You are on page 1of 1

Kashmir k maslay ka hal baat cheet ma hai aur iss baaat se sari dunya abb wakif ho chuki hai.

Jang kisi
bhi maslay ka hal kabhi bhi nhn rhi na hi hogi. Iss ki wazay misaal dehshat gardi k khilaf america ki jang
hai jo wo 17 saal se afghanistan ma larr rha hai aur aab wo bhi iss nateejay per phounch gya hai k iss ka
wahid hal table per baat cheet se hai. Pakistani hakoomat aur khaas torr per wazir e azam Imran Khan
ne baat cheet per iss maslay ka hal nikaalnay ki dawaat di hai. Jis ka koi musbat jawaab bharat ki traf se
nahi aya. Haal hi mein makbooza kashmir ma bharat ki fauj per aik hamlaa hua jis ka ilzam hamesha ki
trah bharat bina kisi saboot Pakistan per laga dia. Bhaarti janta Party k leader aur bhaarat k majooda
wazir e azam Narendra Modi pakistan k khilaf propegenda ker k ainda anay walay election ma apni
position ko mazboot bna rhen hain. Iss baat ko dimagh ma rkhe beghair k India aur Pakistan k darmayan
kasheedgi se na hi dono mumalik ko nuksaan hoga blkay agr jang ka aghaaz ho jata hai tou dono
mumalik ki awaam tou iss se mutasir hogi hi balkay sari dunya ko khatraat lahak ho jayen gey kyun k
dono mumalik aitmi taqatain hain aur agr wo apnay aitmi asaason ka istemaal krtay hain tou na sirf
dono mumalik tabah o barbaad ho jayein gey balkay pooray khitay ma zindagi ka nishaan baki na rhe
gaa. Yehi wo waja hai k dunya k tamam mumalik apni khaarja policy k zariye dono mumalik ko peace aur
maslay ka hal maiz per kernay ki appeal ker rhe hain. Pakistan ki policy iss maamlay ma bilkul yaktarfa
hai aur wo masla ka hal baat cheet se hal kerne ka khuwahish mand hai. Bhaarat iss baat ko smjhnay se
kaasir hai aur wo apna jaharana rawiya dikha ker apnay voters ki taadaad brhanay ma laga hua hai. Iss
maslay ka wahid hal aalmi takaton ka bharat per dabao hai k wo masla e kashmir ka hal maiz per aur
baaat cheet k zariye hal kere aur khitay k aman ko kharab na kre. Aqwaam mutahida jo itna arsaa maslae
kashmir per khamosh rhi hai ka ye farz bnta hai k wo kashmir ki awam ko un ka hak dilaye jo bharat 71
saalon se takat k zorr talay dabaye hue hai.

You might also like