You are on page 1of 84

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 57>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 74
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 17 Baqiyah Hissah Part 2: >>>

(Qisam Doum: Woh Shakhs hay jiss nay Jhalaton ko Samait liya hay aur Unn Hee Kay Saharay
Jahilon kay darmiyan Durr Laga Raha hay Fitnon Kee Tareekhiyon main Durr raha hay aur
Amaan O Sullah kay Fawaid say Yaksar Ghaafil hay Insan Numaan Logon nay Uss Kaa Naam
Alaam Rakh diya hay Halaan Khay Uss Kaa Elaam say Koe Talaaq nhen hay Subah Sawaray say
Unn Baton kee Talash Main Nikaal Parhta hay Jinn Kaa Qaleel Unn Kay Kaseer say Baytar hay
Yhan Taak Khay Jaab Gandahay Pani say Sairab Ho Jata hay aur Mehmaal aur Bay Faidah
Baton Ko Jamma kar Layta hay to Logon kay Darmiyaan Qaazi Ban kar Bhayth jata hay aur Uss
Amar Kee Zimdahdari Lay Layta hay khay Jo Amoor Dusray Logon par Mushtabah hain woh
unhain Saaf Kar day gaa Uss kay Baad Jaab Koe Mubhim Masllah aa jata hay to uss kay Liyay
Baysood aur Farsoodah Dalail ko Akhatha karta hay aur Unn Hee say Faisllah kar dayta hay yhe
Subhaat main Isee tarah Giraftaar hay Jiss Tarah Makri Apnay Jalay main Phans Jati hay Isay
Yhe bhe nhen Maloom hay Khay Saheeh Faislah kia hay yaa Ghalaat Agar Saheeh kia hay to bhe
darta hay khay Shahid Ghalaat ho aur Aghar Ghalaat kiya hay to bhe yhe Umeed rakhta hay khay
Shahid Saheeh ho Aysa Jahil Hay Jo Jahalaton Main Bhataak raha hay aur Aysa Andah hay Jo
Andhairon kee Sawari Par Sawaar ho Nah Elaam main koe Hatmee Baat Samjah hay aur Nah
Kisee Haqeeqat ko Parkha hay Rawayaat Ko Youoon Urra dayta hay Jiss Tarah Taiz Hawah
Tinkon ko Ura dayti hay Khuda Gawah hay khay Yhe Inn Faislon kay Sadar karnay Kay Qabaal
nhen hay jo Iss par Warid hotay hain aur Uss Kaam kaa Ayhail nhen hay jo Iss Kay Hawallah
kiya hay Jiss Cheez ko Naqablay Tawajjah Samjta hay Uss main Elaam Kaa Ahaytamaal bhe
nhen dayta hay aur Pouncha kay Mawara kisee aur Rayay kaa Tasawar bhe nhen karta hay Agar
Koe Masllah Waziyah nhen hota hay to Usay Chupa dayta hay Khay Isay Apni Jahalaat Kaa
Elaam hay Naa Haq Bahayay huway Khoon Iss kay Faislon kay Zulam say Faryadi hain aur
Ghaalat Taqseem kee hue Mairas Chilaa rahee hay Main Khuda Kee Bargaah main Fariyaad
karta hun Aysay Garoh kee jo Zindah Rhaytay hain to Jahalaat kay sath aur Mar Jatay hain to
Zalalat kay sath Unn Kay Nazdeek koe Matta Kitaabay Khuda say Zaidah Qeemat nhen hay
Agar Iss kee Waqiyah He Tilawat kee Jayay aur Koe Matta Iss Kitaab say Zaidah Qeemati aur
Faidah Mand nhen hay Agar Iss kay Mafaheem main Tehreef kar dee jayay Inn kay Liyay
Maroof say Zaidah Munkir Khuch nhen hay aur Munkir say Zaidah Maroof khuch nhen hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 59>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 76
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 18: >>>

Aap Kar Arshaday Garami Ulama Kay Darmiyan Ikhtalaafay Fatwa kay Baray main aur Isee
main Ahaylay Rayay Kee Muzamat aur Quran kee Mirajiyat Kaa Zikar kiya Gaya hay>>>

Muzamat Ahaylay Rayay>>>

Inn logon kaa yhe Alaam hay khay Aik Shakhs kay Paas Kisee Masllah Kaa Faisllah Ata hay to
woh Apni Rayay Say Faisllah Kar Dayta hay aur pher yhe he Qaziyaah Boayeena Dusray kay
Paas Jata hay to woh iss kay Khaylaaf Faisllah dayta hay Iss kay Baad Tamam Qazaat Iss
Hakaam kay Paas Jamma hotay hain Jiss nay Unhain Qaazi banaya hay to woh Saab Kee Rayay
Kee Tayeed kar dayta hay Kab Khay Saab Kaa Khuda Aik Nabi s.a.w.w aik aur Kitaab Aik hay
to Kiya Khuda He nay Unhain Ikhtaylafaat Kaa Hukaam diya hay aur yhe Usee Kee Etaat kar
rahay hain Yaa Uss nay Inhain Ikhtaylaaf say Manna Kiya hay Magar Pher bhe Uss Kee
Mukhalafaat kar rahay hain? ya Khuda Nay Deen Naqaas Nazaal Kiya hay Aur Inn say Iss Kay
Takmeel kay liyay Madaad Mangee hay Yaa Yhe Saab Khud Uss Kee Khudayee He main
Shareek hain aur Inhain yhe Haq Hasaal hay khay Yhe Baat Khayain aur Khuda Ka Faraz hay
khay Woh Qabool karay Ya Khuda nay Deenay Kamal Nazal Kiya tha aur Rasoolay Akram
s.a.w.w Uss kee Tableegh aur Adaygee main Kotahee kar dee hay Jaab Khay Uss Ka Aylaan hay
Khay Hum nay Kitaab main Kisee Tarah kee Kotahee nhen kee hay aur Iss Main Har Shay Kaa
biyaan Mujood hay aur yhe bhe Bataya hay Khay Uss Kaa aik Hissah Dusray Kee Tasdeeq karta
hay aur Uss main Kisee Tarah Kaa Ikhtaylaaf nhen hay yhe Quran Ghairay Khuda Kee Taraaf
say Hota to Iss main Bay Pannah Ikhtaylaaf hota Yhe Quran woh Hay Jiss Kaa Zaahir
Khoobsurat aur Bataan Umeeq aur Ghairah hay Iss Kay Ajaib Fanna Honay walay nhen hain
aur Tareekiyon Kaa Khatmmah Iss kay Elawah aur Kisee Kalaam say Nhen Ho sakta hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 59>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 76
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 19: >>>

App a.s Kaa Arshaday Garaami Jisay Uss Waqat Arshad Farmaya Jab Memberay Kuffah par
Khutbah day rahay thay aur Ashas Bin Qais nay Tokk Diya khay yhe Biyaan Aap Khud Apnay
Khaylaaf day Rahay hain>>>

Aap a.s Nay Phaylay Nigahun ko Neecha kar kay sakoot Farmaya Aur pher purr Jalal Andaaz
say Farmaya:>>>
(Tujhay Kiya Khabar khay Kon See Baat meray Muwafiq hay aur Kon See meray Khaylaf hay
tujh par Khuda aur Tamam Lanaat Karnay Walon Kee Lanaat tun Sukhaan Baaf aur Tanay Banay
Darust karnay walay kaa Farzand hay tun Munafiq hay aur tera Baap Khullah huwa Kafir tha
Khuda Kee Qasam tun Aik Martabah Kuffer Kaa Qaidi Bana aur Dusri Martabah Islam Kaa
Laykan Nah Tera Maal Kaam Aya Nah Hassaab aur Jo Shakhas Bhe Apni Qoum kee Taraf
Talwaar ko Rastah Batayay Gaa aur Mout ko Khainch kar Layay Gaa woh Iss Baat Kaa Haqdaar
hay Khay Qareeb Walay iss say Nafraat karain aur Door walay Uss Par Barosah nah Karain>>>

Syed Razi iss Khutbah Kay Baray Main Farmatay Hain: Imam a.s Kaa Maqsaad yhe hay khay
Ashaas bin Qais aik Martabah Duray Kufaar main Qaidi Bana Tha aur Dusri Martabah Islam
Lanay Kay Baad Talwaar Kee Rehnumaye Kaa Maqsaad yhe hay khay Jaab Yamamah Main
Khalid Bin Walid Nay Charyee ke to Uss nay Apni Qoum say Ghadari kee aur Saab ko Khalid
Kee Talwaar kay Hawallah kar diya Jiss kay Baad Uss Kaa Laqaab (Uraaf Alnaar) ho Gaya Jo
Iss Durr main Har Ghadar Kaa Laqaab huwa karta tha>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 61>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 78
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 20: >>>

Aap a.s Kaa Arshaday Garami jiss main Ghaflat say Baydar kia gaya hay aur Khuda kee Taraf
Durr Kar anay kee Dawaat Dee gayee hay>>>

(Yaqeenan Jin Halaat ko tum say Phaylay Marnay Walon nay Daykh liya hay agar Tum bhe
daykh kaytay to Pareshan O Muztarib ho Jatay aur Baat Sunnay aur Etaat karnay kay Liyay
Tiyaar ho Jatay Laykan Mushkal yhe hay khay abhe woh Cheezain tumharay Liyay Pasay Hijaab
hain aur Anqareeb yhe Pardah Uthnay wala hay Bayshak tumhain saab khuch daykhaya jaa
chuka hay agar tum Nigahay Beena rakhtay ho aur Saab Khuch Sunaya Ja Chuka hay Agar tum
Gosh Shanwa rakhtay ho aur tumhain Hadayat dee jaa chuki hay agar tum Hadayaat Hasaal
Karna Chaho aur main Bilkul Barhaq Khay raha hun khay Abratain tumharay Samnay khul kar
aa Chuki hain aur tumhain Iss Qadar Darayaa Jaa Chuka hay Jo Baqadar Kaafi hay aur Zahir hay
khay Asmani Farishton kay Baad Elahi Payghaam ko Insaan he Pounchanay wala hay)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 61>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 78
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 21: >>>

Aap a.s Kay Khutbah Kaa Aik Hissah Jo aik Kalaymah hay Laykan Tamam Azmat O Hikmat Ko
apnay Andar Samaitay Huway hay>>>

(Bayshak Manzalay Maqsood tumharay samnay hay aur Saatay Mout tumharay Taaqab main hay
aur tumhain apnay sath lay kar chal rahee hay Apna Bojh Halka kar lo Ta Khay Phaylay Walon
say Mulhiq ho jawo khay Abhe Tumharay Sabiqeen say Tumhara Intayzar Karaya Jaa Raha
hay)>>>

Syed Razi Iss Kalam Khay Mutlaq Apni Ray Kaa Izhar Kartay Hain: Iss Kalaam Ko Kalamay
Khuda Aur Rasool s.a.w.w kay Baad Kisee Kalaam kay Sath Rakh diya jayay to Iss Ka Pallah
bhari he rhay ga Aur Yhe Saab Say Agay Nikaal Jayay Gaa (Takhafoo Talhakoo) say Zaidah
Mukhtasar Kalaam To Kabhee daykha aur Sunna he nhen gaya hay Iss Kalaymah main Kiss
Qadar Gehrayee Payee jati hay aur iss Hikmat Kaa Chashmah Kiss Qadar Shafaf hay Hum Nay
Kitaab Khasais main Iss Kee Qadar O Qeemat aur Azmaat O Sharafat Par Mukamal Tabsirah
Kiya Hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 61>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 78
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 22: >>>

Aap a.s kay Khutbah Ka aik Hissah Jaab Aap a.s Ko Khabar Dee Gayee khay Khuch Logon nay
Aap a.s kee Bait Torr dee hay>>>

Agaah Ho Jawo Khay Shaytaan nay Apnay Garoh ko Bharkana Shuru kar diya hay aur Fujj ko
Jamma kar liya hay Taa Khay Zulam Apni Manzal Par Palaat Ayay aur Battal Apnay Markaz Kee
Taraf Wapis Aa Jayay Khuda Kee Qasam Inn Logon nay Nah Mujh par Koe Sacha Ilzaam
Lagaya hay aur Nah Meray Aur Apnay Darmiyan Koe Insaaf kiya hay yhe mujh say uss Haq Kaa
Mutalbbah Kar Rahay hain jo Khud Unhon Nay Nazar Andaaz kiya hay aur Uss Khoon Kaa
Taqazah kar rahay hain Jo Khud Unhon Nay Bhaya hay Pher Agar main Unn Kay sath Shareek
Tha to Unn Kaa Bhe to Hissah tha aur woh Tannha Mujjram thay to Zimadari bhe Unn Hee Par
hay Bayshak Unn Kee Azeem Tareen Daleel bhe unn hee kay khaylaaf hay yhe uss Maan say
Doodh Peena Chatay hain Jiss Kaa Doodh Khatam Ho Chuka hay aur Uss Bidaat Ko Zindah
Karna Chatay hain Jo Mar Chuki hay Hay Kiss Qadar Naa Muraad Yhe Jang kaa Dayee hay Kon
Pukaar raha hay? Aur Kiss Maqsad kay liyay Uss Kee Baat Sunni Jaa Rahee hay? Main Iss Baat
say Khush hun khay Parwardaygar kee Hujjat Inn Par Tamam Ho Chuki hay aur woh Inn Kay
Halaat say Bakhabar hay>>>

Abb Agar Inn Logon nay Haaq Kaa Inkaar kiya hay to main Inhain Talwaar Kee Barah Ata
Karon Gaa Khay Woh He Bataal kee Bimari say Shafa Daynay wali aur Haq Kee Waqiyah He
Madadgaar hay Hairat Anghaiz Baat hay khay yhe Log Mujhay Naizah Baazi kay Maidaan
main Nikalnay aur Talwaar kee Jang Shaynay Kee Dawaat day rahay hain Ronay Waliyan Unn
Kay Ghaam main Royain mujhay to Kabhee bhe Jang say Khoufzadah nhen kiya Jaa Sakta hay
aur Nah main Shamsheer Zani say Marghoob huwa hun main to Apnay Parwardaygar ke Taraf
say Manzalay Yaqeen par Hun aur Mujhay Deen Kay Baray Main Kisee Tarah Kaa Koe Shaak
nhen hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 63>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 80
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 23 Part 1:>>>

Aap a.s kay aik Khutbah kaa aik aik Hissah jiss main Fuqraa ko Zuhad aur Sarmayadaron ko
Shafqat Kee Hadayaat Dee gayee hay>>>

(Amaa Baad! Insaan kay Maqsoom main kaam yaa Zaidah jo khuch bhe hota hay uss kaa Amar
Asmaan say Zameen kee taraf Barish kay Qatraat kee tarah nazaal hota hay Lihazah Agar Koe
Shakhs Apnay Bhai kay Paas Ayhail O Maal Yaa Nafaas Kee Farawaani Daykhiyay to Uss kay
Liyay Fittna nah Banay>>>

Khay Marday Muslim kay Kirdar main Agar Aysee Pasti nhen hay Jiss kay Zahir ho Janay kay
Baad Jab Bhe Uss Kaa Zikar kiya jayay uss kee Nigaah Sharam say Jhuk Jayay aur Past Logon
kay Hoslay iss say Buland ho jayain to Iss Kee Misaal Uss Kamiyaab Juwaari ke hay jo Juway
kay Teeron Kaa Panssah Phaink kar phalay he Marhallah main Kamiyaabi Kaa Intayzar karta
hay Jiss say Faidah Hasaal ho aur Guzishtah Fasaad Kee Talafi ho jayay>>>

Yhe he Haal uss Marday Musalman kaa hay Jiss Kaa Damaan Khayanaat say Paak ho khay woh
Humeshan Parwardaygar say 2 Main say 1 naiki kaa Umeedwar rhayta hay Yaa Dayee Ajaal Aa
Jayay to Jo Khuch Uss Kee Bargaah main hay woh Iss Duniyah say Kahayeen zaidah Baytar hay
Yaa Rizaqay Khuda Hasal ho jayay to woh Saahibay Ahayal O Maal bhe ho gaa aur Uss Kaa
Deen aur Waqaar bhe barqarar rahay gaa Yaad rakho Maal Aur Aulaad Duniyah kee Khaytee hay
aur Amalay Salayhay Akharat Kee Khaytee hay aur Kabhee Kabhee Parwardaygar Baaz
Aqwaam kay liyay Dono ko Jamma Kar Dayta hay Lihazah Khuda say Iss Tarah Daro Jiss Tarah
Uss nay Darnay Kaa Hukaam diya hay aur Uss Kaa Khouf iss Tarah Paidah Karo Khay Pher
Mazraat nah karna Parhay Amal Karo to Daykhanay Sunnanay say Alag rakho Khay Jo Shakhs
bhe Ghairay Khuda kay Wastay Amaal karta hay Khuda Usay Usee Shakhs kay Hawallay kar
Dayta hay Main Parwardaygaar say Saheedon Kee Manzal Naik Bandon Kee Sohbaat aur
Ambiyah Karam a.s kee Rafaqaat kee Dua Karta Hun>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 65>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 82
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 23 Baqiyaah Hissah Part 2:>>>

Ayeeyo Haan Naas! Yaad Rakho khay koe Shakhs Kiss Qadar bhe Sahibay Maal kion nah ho
jayay apnay Qabeelah aur Unn Logon kay hath aur Zuban kay Zariyay Difah karnay say Bay
Niyaaz nhen ho sakta hay yhe log Insaan kay Baytreen Muhafiz hotay hain Iss kee Paragandi kay
Durr karnay walay aur Museebat kay Nazool kay waqt uss kay Haal par Mehrbaan hotay hain
Parwardaygar Bandah kay liyay jo Zikaray Khair Logon kay Darmiyaan Qarar dayta hay woh
uss maal say kaheen zaidah Baytar hota hay jiss kay Waris dusray Afraad ho jatay hain>>>

Agaah Ho jawo khay tum say koe Shakhs bhe apnay Aqrabaa ko Mohtaaj daykh kar uss maal say
hajjat barari karnay say Guraiz nah karay jo Baqi rahay jayay to barh nhen jayay gaa aur
Kharach kar diya jaayay to kaam nhen ho jayay gaa iss liyay khay jo Shakhas bhe Apnay
Asheerah aur Qabeellah say Apna Hath rokk layta hay to uss Qabeellah say aik hath rukk jata
hay aur khud uss kay liyay Bayshumarr hath rukk jatay hain aur jiss kay Mazaaj main narmi
hotee hay woh Qoum kee Muhabbat ko humeshan kay liyay Hasaal Kar Layta hay>>>

Syed Razi Iss Khutaba kay Baray Main Farmatay hain>>>

Iss Maqaam par Ghafeerah Kasraat kay Maynee main hay Jiss Tarah Jamma Kaseer Ko Jamma
Kaseer kaha Jata hay Baaz Rawayaat Main Ghafeerah kay Bajayay Afwaah hay jo Muntakhib
aur Pasandeedah shay kay maynee main hay istamal hota hay (Afwah Al Tawaam) Pasandeedah
khanay ko kaha jata hay Aur Imam a.s nay Iss Maqaam Par Baytreen Nukttah kee Taraf Isharah
Farmaya hay khay Agar kisee nay Apna Hath Asheerah Khainch liya to goyaa khay aik Hath
Kaam Ho gaya Laykan Jaab Unn Kee Nusraat aur Imdaad kee Zaroorat ho gee aur woh Hath
Khainch layain gay aur Uss Kee Awaaz Par Labaik nhen khain gaay to Bhout say Barhnay Walay
Hathon aur Uthnay walay Qadmon say Mehroom ho jayay gaa>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 67>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 84
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 24:>>>

Aap a.s Kay Khutbah Ka Aik Hissah Jiss main Etaatay Khuda Kee Dawaat Dee Gayee hay>>>

(Meri Jaan Kee Qasam! Main Haq Ke Mukhalayfat karnay Walon aur Gumrahee Main
Bhataknay Walon say Jahaad Karnay Main nha koe Narmi Kar Sakta hun aur Nah Sussti Allha
Kay Bando! Allha say Daro aur Uss Kay Ghazaab say Farrar kar kay uss kee Rehmat main
Panah lay lo Uss Rastah Par Chalo Jo Uss Nay Bana Diya hay aur Unn Ahaykaam Par Amaal
Karo Jinhain tum say Marboot kar diya gaya hay Uss Kay Baad Ali a.s tumhari Kamiyaabi Kaa
Akharat main Barhaal Zimahdar hay Chahay duniya main Hasaal Naah Ho Sakay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 67>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 84
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 25:>>>

Aap a.s kay Khutbah Kaa Aik Hissah>>>

Jaab aap ko Musalsal khay Maviyah kay Sathiyon nay Shair par Qabzah kar liya hay aur Aap
Kay Do Aamil Yaman Ubaid Ullah Bin Abbas aur Saeed Bin Nimraan Busar Bin Abi Al Taat kay
Muzalim say Pareshan ho kar Aap a.s Kee Khidmat main Aa Gayay To Aap a.s Nay Ashaab kee
Kotahiyay Jahaad say Badil ho Kar Member par Kharay Ho Kar yhe Khutbah Arshaad Farmaya
Aab Yhe He Kufah hay Jiss Kaa Bast O Kushad Meray Hath main hay Ay Kufah Agar tun Aysa
he raha aur Yun he teri Andiyaan chaltee raheen to Khuda Tera Bura Karay Gaa (Iss kay Baad
Shair kay Iss Shair kee Taseel Biyaan Farmayee Aay Umeroo! teray achay Baap kee Qasam
mujhay to uss Bartaan Kee Thay main Lagee hue chiknayee he milee hay Iss Kay Bad Farmaya
mujhay Khabar Dee Gayee hay Khay Bussar Yaman Taak Aa Gaya Hay aur Khuda Kee Qasam
Mera Khayaal Yhe Hay khay Anqareeb yhe Log tum say Iqtaydar ko cheen layain gay iss liyay
khay yhe Apnay Batil Par Mutahid hain aur tum Apnay Haq Par Mutahid Nhen ho yhe apnay
Peshwa Kee Batal Main Etaat Kartay hain aur tum apnay Imam a.s Kee Haq Main Bhe
Nafarmani Kartay ho yhe apnay Maalik kee Amanaat Uss kay Hawalay kar daytay hain aur tum
Khayanat kartay ho yhe apnay Shair Main Aman O Amaan rakhtay hain aur tum apnay Shair
main Fasaad Kartay ho>>>

Main to tum say kisee ko Lakri kay Piyallah Ka Bhe Ameen Banawun to yhe khouf rahay gaa
khay woh Kundah Lay Kar Bhaag Jayay Gaa Khudaya main Inn say Tang Aa Gaya Hun aur yhe
mujh say Tang aa Gayay hain main inn say Uktaa Gaya hun aur yhe mujh say Ukta Gayay hain
Lihazah Mujhay inn say baytar Qoum Anayat Kar Day aur Inhain Mujh say (Badtar) Hakaam
Day day aur Inn kay Dilon ko Youn Bayghllah day Jiss Tarah Paani main Namak Ghola Jata hay
Khuda Kee Qasam Main Yhe Pasand Karta hun khay Inn Saab Kay Badalay Mujhay Bani Faraas
Bin Ghanam kay Siraf aik Hazar Sipahee Mill Jayain Jin Kay Baray Main Unn Kay Shair nay
Kaha Tha>>>

(Uss Waqt main agar tun unhain Awaz Day Gaa to Aysay Shahaysawar Samnay Ayain Gay Jinn
Kee Taiz Raftari Garmiyon kay Badlon say Zaidah Saryee Tar ho Gee)>>>

Syed Razi Iss Khutbah Kay Baray Main Farmatay hain: Urmiyah Raami Kee Jamma hay Jiss
Kay Mayne Badal kay hain aur Hameem Garmi kay Zamana Kay Maynee Hain Shair Nay Garmi
kay Badlon Kaa Zikar Iss Liyay kiya hay khay Unn Kee Raftar Taiz Tar Aur Subak Tar hotee hay
Iss Liyay Khay Unn Main Paani nhen hota hay Badaal Kee Raftar Uss Waqt Sust Ho Jati hay
Jab Uss main Paani Bahr Jata hay aur Yhe Aam Torr Par Sardiyon kay Zamana main Hota hay
Shair Nay Apni Qoum Kee Awaaz Par Labaik Khaynay aur Mazloom Kee Fariyaad Rassi main
Subaak Raftari Kaa Zikaar kiya hay Jiss Kee Daleel (Lawo Daoot) hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 69>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 86
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 26:>>>

Aap kay Khutbah Ka Aik Hissah jiss main Bosaat say Phaylay Araab kee Halaat Kaa Zikar Kiya
gaya hay aur pher Apni Bait say phaylay kay Halaat Kaa Tazkirah kiya gaya hay>>>

(Yaqeenan Allha nay Hazrat Muhammad s.a.w.w ko Alaymeen kay Liyay Azabay Elahi say
Daranay Wala aur Tanzeel Ka Amanaatdar Bana Kar Uss Waqt Bhayja hay Jab tum Grohay
Araab Badtareen Deen kay Maalik aur Badtareen Elaqah kay Rhaynay Walay Thay Na Humwaar
Pathron aur Zhaireelay Sampon (Snaks) kay Darmiyan Bood O Baash rakhtay thay Ghandah
Paani Peetay thay aur Ghaleez Ghaza Istaymaal kartay thay Apaas main aik Dusray Kaa Khoob
Bahatay thay aur Qurabatdaron say Baytalqi rakhtay thay Butt tumharay darmiyaan Nasab thay
aur Gunah tumhain Ghairay Huway thay>>>

Bait Kay Hangaam>>>

Main nay daykha khay siwayay meray Ghar Walon khay koe mera Madadgaar nhen hay to main
nay unhain Mout kay Munh main daynay Say Guraiz kiyar aur Iss Haal main Chasham Poshi kee
Khay Ankhon main Khas O Khashaak tha Main Gham O Gussah kay Ghonth Piyay Aur Guloo
Garfangee aur Hanzal say Zaidah Talakh Halaat Par Sabat kiya>>>
Yaad rakho! Umero Aas nay Maviyah Kee Bait uss waqt taak nhen kee jab taak khay Bait Kee
Qeemat nhen thay kar lee Khuda nay Chahay to Bait karnay walay Ka Soda Kamiyaab nah ho
gaa aur Bait Laynay Walay ko bhe Siraf Ruswayee he Naseeb ho gee>>>

Lihazah Ab Jang Ka Samaan Sambhal lo aur Iss Kay Asbaab Muhaiyah Kar Lo Khay Iss Kay
Showlay Bharaak Uthay hain aur Laptain Buland Ho chukee hain aur Daykho Sabaar ko apna
Shuwaar Bana Lo khay yhe Nusrat O Kamrani Kaa Bayteen Zariyaah Hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 71>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 88
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 27 Part 1:>>>

Aap a.s Kay Khutbah Kaa Aik Hissah jo Uss Waqt Arshaad Farmaya Jab Aap Ko Khabar Milee
Khay Maviyah kay Lashkar nay Ambaar Par Humllah kar diya hay Iss Khutbbah main Jahaad
Kee Fazeelat Kaa Zikar kar kay Logon ko Jang Par Amadah Kiya Gaya hay aur Apni Jangi
Muharaat Kaa Tazkirah Kar Kay Nafarmani kee Zimahdar Laskhar Walon Par Daali Gayee
hay>>>

Amaabaad! Jahaad Jannat kay Darwazon main say aik Darwazah hay Jisay Parwardaygar nay
Apnay Makhsoos Awoliya kay liyay Khola hay yhe Taqwa ka Libaas aur Allha Kee Mehfooz o
Mustahikam zadah aur Mazboot Sipar hay Jiss Nay Ayraaz Kartay Huway Nazar Andaaz Kar
diya usay Allha Zilaat Kaa Libaas Phayna Day Gaa aur Uss Par Museebat Haawi ho jayay gee
aur Usay Zilaat O Khuwari kay Sath Thayra diya jayay gaa aur Uss Kay Dil par Ghaflaat kar
Pardah Daal Diya Jayay Gaa aur Jahaad Ko Zayaa karnay kee Binna Par Haq uss kay Hath say
Nikaal Jayay Gaaa aur Usay zilaat Bardasht karna parhay gee aur woh Insaaf say Mehroom ho
jayay gaa>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 71>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 88
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 27 Baqiyah Hissah Part 2:>>>


Agah ho jawo khay main nay tum logon Ko iss qoum say Jahaad karnay kay liyay din main
Pukara aur Raat main Awaaz dee Khufiyaah Tareeqah Say Dawaat dee aur Alal Aylaan Amadah
Kiya aur Barabar Samjhaya khay Unn kay Humllah karnay say phaylay Tum Maidaan Main
Nikaal awo khay khuda Kee Qasam Jiss Qoum say Uss kay Ghar kay Andar Jang kee Jaati hay
uss kaa Hissah Zillaat kay elawah khuch nhen hota hay laykan tum nay Taal Matol Kiya aur
Susti kaa Muazahirah kiya Yahan Taak khay tum par Musalsal Hummlay Shuru Ho gayay aur
tumharay Elaaqon par Qabzah Kar liya Daykho yhe Bani Ghamad kay Admi (Sufiyan Bin Auf)
Kee Fuj Ambar main Dakhal Ho Gayee hay aur Uss nay Hasaan Bin Hasaan Bakri ko Qataal kar
diya hay aur tumharay Sipahiyon ko unn kay Marakaz say Nikaal Bahir kar diya hay aur mujhay
to yhan tak Khabar Milee hay khay Dushman kaa aik aik Sipahee Musalman Ya Musalmanon
kay Muwahidah main rhaynay wali Auraat kay Paas Warid hota tha aur Uss kay Pairon kay
Karay Hath Kay Kangan Galay Kay Guloo Band aur kaan Kay Goshwaray Utaar Layta tha aur
woh Siwayay Ina Lillah Parhnay aur Rhaym O Karam Kee Darkhuwast karnay Kay Khuch nhen
kar sakti thee aur woh Sara Saz O Saman lay kar Chala Jata tha nah koe Zakham khata tha aur
nah Kisee Tarah Kaa Khoon Bhata tha Iss Suratay Haal kay Bad Agar Koe Mard Musalman
Sadmah Say Mar bhe Jayay to Qablay Muzamat nhen hay Balkhay meray Nazdeek Haq Bajanab
hay Kiss Qadar Hairat Angaiz aur Tajaab Khaiz Suratay Haal hay Khuda Kee Qasam Yhe Baat
Dil Ko Murdah Bana Daynay Waali aur Hum O Gham ko Samaitnay Wali hay khay yhe Log
Apnay Batil Par Mujtamah aur Mutahid Hain aur tum Apnay Haq par bhe Mutahid nhen ho
Tumhara Bura Ho Kiya Afsos Naak Haal hay Tumhara Khay tum Teer Andazon Kaa Mustaqil
Nishana Ban Gayay ho tum Par Humllah Kiya Jaa Raha Hay aur tum Humllah Nhen Kartay ho
tum say Jang kee Jaa Rahee hay aur tum Bahir nhen Nikaltay ho Log Khuda kee Nafarmani kar
rahay hain aur tum Iss Suratay Haal say Khush Ho main tumhain Garmi Main Jahaad kay Liyay
Nikalnay ke Dawaat Dayta hun to Khaytay ho Khay Shadeed Garmi hay Thori Mohlaat Deejiyay
khay Garmi Guzar jayay uss kay Bad Sardi Main Bulata hun to Khayta ho Sakhat Jara Parh Raha
hay Zara Thair Jaiyay khar Sardi Khatam ho jayay Halaan khay yhe saab Jang say Farar karnay
kay Bhanay hain Warna Jo Qoum Sardi aur Garmi say Farar Karti ho Woh Talwaron say Kiss
Qadar Farar karay Gee>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 73>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 90
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 27 Baqiyah Hissah Part 3:>>>

Ay Mardon Kee Shakal O Surat Walo aur Waqiyaan Naa Mardo tumhari Fikarain Bachon jaysee
aur tumhari Aqlain Hujllah Nasheen Auraton Jaysee hain meri Dilee Khuwahish thee khay Kash
main tumhain nah daykhta aur tum say Mutaraf nah Hota Jiss kaa Nateejah Siraf Nadamat aur
Ranj O Afsos hay>>>
Allha tumhain Ghaarat kar day tum nay meray dil ko Peep say Bhar Diya hay aur meray Seenay
Ko Ranj O Ghaam say Chalkaa diya hay tum nay Har Sans main Hum O Ghaam kay Ghoont
Pilayay Hain aur apni Nafarmani aur Sarkashi say meri Rayay ko bhe Baykaar O Bay Asar Bana
diya hay Yhan Taak khay Ab Quresh walay Yhe Khaynay Lagay Hain Khay Farzanday Abu
Talib Bahadur to Hain Laykan Unhain Fanoonay Jang kaa Elaam Nhen hay>>>

Allha Unn Kaa Bhallah Karay Kiya Unn main koe Bhe Aysa hay Jo Mujh say Zaidah Jang Ka
Tajarbah rakhta ho aur mujh say phaylay say koe Maqaam Rakhta ho main nay Jahaad kay Liyay
Uss Waqt Qiyaam Kiya Jab meri Umer 20 Saal bhe nhen thee aur ab to 60 say Zaidah ho chuki
hay Laykan Kiya Kia jayay Jiss kee Etaat Nhen Kee Jaati hay Uss Kee Rayay koe Rayay nhen
hotee hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 75>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 92
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 28 Part 1:>>>

Aap kay Khutba Ka aik Hissah Jo Iss Khutbah kee Aik Fasal Kee Haysiyat rakhta hay Jiss Kaa
Aghaaz (Alhamdo Lillah Ghair Manqoot Man Rhaymat) say huwa hay aur Iss main Giyaraan
Tambhiyaat Hain>>>

(Ama Baad! Yhe Duniya Peet Phair Chuki hay aur iss nay Apnay Wodaa Kaa Aylaan kar diya
hay aur Akharat Samnay Aa rahee hay aur uss kay Asaar Numayaaan ho Gayay Hain Yaad
Rakho Khay Aaj Maidanay Amal hay aur Kaal Muqabllah ho Gaa Jahan Sabqaat Karnay Walay
Kaa Inaam Jannat ho gaa aur Bad Amaal Ka Anjhaam Jahanam ho gaa Kiya Aab Bhe Koe Aysa
Nhen hay Jo Mout say Phaylay Khatawun say Tobbah Kar lay aur Sakhti kay din say Phaylay
Apnay Nafaas kay liyay Amal Kar lay Yaad Rakho Khay tum Aaj Umeedon kay Dinon Main ho
Jiss Kay Peechay Mout Lagee hue hay to Jiss Shakhs nay Umeed kay Dinon main Mout anay say
Phaylay Amal Kar liya Usay Uss Kaa Amal Yaqeenan Faidah Pounchayay Gaa aur Mout Koe
Nuqsaan nhen Pounchayay gee Laykan Jiss Nay Mout say Phaylay Umeed kay Dinon Main
Amal Nhen kiya uss nay Amaal ke Manzal Main Ghata uthaya aur Uss Kee Mout bhe Nuqsaan
dhay ho gee>>>

Agaah Ho jawo tum Log rahat kay halaat main Usee Tarah Amal Karo Jiss Tarah Khouf kay
Alaam Main Kartay ho Khay Main Nay Jannat Jaysa Koe Matloob nhen daykha hay Jiss Kay
Talabgaar saab so rahay hain aur Jahanam Jaysa Koe Khatrah nhen daykha hay Jiss say
Bhaghnay walay saab Khuwaabay Ghaflaat main parhay huway hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 75>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 92
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 28 Baqiyyah Hissah Part 2:>>>

Yaad Rakho Khay Jisay Haq faidah Nah Pouncha Sakay Gaa usay Batil Zaroor nuqsaan
pounchayay gaa aur Jisay Hadayat Seedhay Rastay Par Nah Laa Sakay gee usay Gumrahee
Barhaal Khainch Kar Halakaat tak Pouncha day gee>>>

Agah ho Jawo khay tumhain Kooch Kaa Hukaam Mill Chuka hay aur Tumhain Zaday Safar bhe
Bataya Jaa Chuka hay aur tumharay Liyay Saab say Bara Khoufnaak Khatrah do Cheezon kaa
hay Khuwahishat Ka Etaybah aur Umeedon Kaa Toolani hona Lihazah Jaab Tak Duniya main ho
Iss duniya say woh Zaday Rah Hasaal Kar Lo Jiss kay Zariyah Kaal apnay Nafaas kaa Tahafaaz
Kar Sako>>>

Syed Razi Iss Khutba Kay Baray Main Farmatay Hain: Agar koe Aysa Kalaam ho sakta hay jo
Insaan Kee Gardan Pakar kar Usay Zuhad Kee Manzal taak pouncha day aur Amaal Akharat Par
Majboor kar day to woh yhe he Kalaam Hay yhe Kalaam Duniya Kee umeedon kay Qatta karnay
aur Waaz O Naseeiyat Qabool karnay kay Jazbaat ko Mushtaal karnay kay liyay Kaafi hota
Khasoosiyat kay Sath Hazrat Ka Yh Arshaad Khay (Aaj Maidaanay Amaal hay aur Kaal
Muqabllah Iss kay Baad Manzalay Maqsood Jannat hay aur Anjhaam Jahanam Iss Main Alfaaz
kee Azmaat Muwani Kee Qadar O Manzalat Tamseel kee Sadaqat aur Tashbeeh Kee Waqiyat kay
sath woh Ajeeb O Ghareeb Raaz Nijaat aur Latafaatay Mafhoom hay Jiss Ka Andazah nhen kiya
ja sakta hay>>>

Pher Hazrat a.s nay Jannat O Jahanam kay Baray main (Sabqah) aur (Ghayatah) kaa Lafaz
Istaymal kiya hay Jiss Main Siraf Lafzi Ikhtaylaf nhen hay Balkhay Waqiyan Maynavee Iftiraaq
O Imtiyaaz Paya Jata hay khay Nah Jahanam ko Sabqah (Manzal) kaha Ja Sakta hay aur Nah
Jannat Ko Ghayatah (Anjhaam) Jahaan Tak Insaan Khud Bakhud Pounch jayay gaa Balkhay
Jannat kay Liyay Durr Dhoop Karna ho gee Jiss Kay Baad Inaam Milnay Wala hay aur Jahanam
Bad Amali Kay Nateejah main Khud Bakhud Samnay Aa Jayay Gee Uss kay Liyay Kisee
Ishtiyaq aur Mehnaat kee Zaroorat nhen hay isee Buniyaad par Aap Nay Jahanam ko Ghayatah
Qarar diya hay Jiss Tarah Khay Quran Majeed nay Isay (Maseer) say Tabeer kiya hay (Faan
Maseer Kum Alanaar) >>>

Haqeeqatan iss Nuktaah par Ghorr karnay kee Zaroorat hay khay Iss Kaa Bataan Intayhayee
Ajeeb O Ghareeb aur Iss Kee Ghairayee Intayhayee Lateef hay aur yhe Tanha Iss Kalaam Kee
Baat Nhen Hay Hazrat kay Kalaymaat main Aam Torr par yhe he Balaghaat payee Jati hay aur
Iss Kay Muwani main Isee Tarah kee Latafat aur Ghairayee Nazar Atee hay Baaz Rawayaat main
Jannat Kay Liyay Sabtaqat Kaa Lafaz Istaymaal huwa hay jiss kay Maynee Inaam Kay Hain Aur
Khulee Hue Baat hay Khay Inaam Bhe Kisee Mazmoom Amaal Par Nhen Milta hay Balkhay
Uss Ka Talaaq Bhe Qablay Tareef Amaal he say hota hay Lihazah Amaal barhaal Zaroori hay aur
Amaal Ka Qablay Tareef hona Bhe Lazmi hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 77>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 94
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 29:>>>

Aap a.s Kay Khutbah Kaa aik Hissah Jaab Thaykeem kay Baad Maviyah Kay Sipahee Zuhaak
Bin Qais nay Hujjaaj kay Qafillah par Humllah Kar diya aur Hazrat a.s ko Iss Kee Khabar Dee
Gayee to Aap a.s Nay Logon ko Jahaad par Amadah karnay Kay Liyay Yhe Khutbah Arshaad
Farmaya:>>>

(Ay Woh Logo! Jin kay Jisaam aik Jagah par hain aur Khuwahishaat Alag Alag hain tumhara
Kalaam to Sakhat Tareen Pathar ko bhe Naram Kar Sakta hay Laykaan Tumharay Harkaat
Dushmanon ko bhe tumharay baray main Pur Umeed Bana Daytay hain tum Mehfalon main
Bhaith kar Ayse Ayse Batain Kartay ho khay khuda ke Panah Laykan Jab Jang Ka Naqshah
Samnay Ata hay to Khaytay ho (Durr Bash Durr) Haqeeqat Amar Yhe Hay khay jo tum ko
Pukaray gaa uss kee Pukaar Kabhee Kamiyaab nah ho gee aur jo tumhain Bardasht karay gaa uss
kay Dil ko kabhee Sakoon nah Milay Gaa tumharay Paas Siraaf Bahanay Hain aur Ghalaat
Saalat hawalay aur pher mujh say Takheeray Jang kee Farmayish Jaysay Koe Nadayhindah
Qaraz ko Talna Chata hay Yaad Rakho Zaleel Admi Zilaat Ko nhn rok sakta hay aur Haq
Mehnaan Kay Baghair Hasaal Nhen ho sakta hay tum Jaab Apnay Ghar Kaa Difaah Nah kar sako
gay to kiss kay Ghar kaa Difaah Karo Gay aur jaab meray Sath Jahaad nah karo gay to Kiss Kay
sath Jahaad karo gay Khuda Kee Qasam Woh Faraib Khurdah hay jo tumharay Dhokkah main
Aa Jayay aur jo tumharay saharay Kamiyaabi Chahay gaa Usay Siraf Na kaami Kaa Teer Haath
Ayay Gaa>>>

Aur Jiss nay tumharay zariyah Teer Phainka uss nay woh Teer Phainka Jiss Kaa Paykaan tooth
chuka hay aur sofaar Khataam ho chuka hay Khuda Kee Qasam main In Halaat main nah
Tumharay Qoul kee Tasdeeq kar sakta hun aur Nah tumhari Nusraat kee umeed rakhta hun aur
nah tumharay Zariyay Kisee Dushman ko Thaydeen kar sakta hun Akhar tumhain kiya ho gaya
hay? Tumhari dawa kiya hay? Tumhara Elaaj kiya hay? Akhar woh log bhe tumharay he jaysay
Insaan hain yhe Bahair Elaam Kee Batain Kaab Taak aur yhe baghair Taqwa Kee Ghaflaat
Tabkay aur Baghair Haq kay Bulandi Kee Khuwahish Kahan Tak?>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 79>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 96
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 30:>>>

Aap a.s Kaa Arshaaday Garaami Qatalay Usman Kee Haqeeqat kay Baray main:>>>

Yaad Rakho! Agar main nay usay Qataal Kar diya hota to Yaqeenan main Qataal hota aur Agar
main nay Manna Kiya hota to Yaqeenan main Madaad Gaar Qaraar Pata Laykaan Barhaal Yhe
Baat Thay Shudah hay khay Jinn Bani Ummaiyah nay Madaad kee hay woh Apnay ko Inn say
Baytar nhen khay saktay hain Jinon nay Nazar Andaaz kar diya hay aur Jin Logon nay Nazar
Andaaz Kar diya hay woh yhe nhen khay saktay Khay Jiss Nay Madaad Kee hay woh hum say
Baytaar hay Aab main Iss Qattaal Ka Khulasah Batayay Dayta hun (Usman Nay Khaylafat Ko
Ikhtiyaar kiya to Badtareen Tareeqah say Ikhtiyaar kiya aur tum Ghabraa Gayay to Buri Tarah
say Ghabraa gayay aur Ab Allha Dono Kay Baray main Faislah Karnay Wala hay)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 79>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 96
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 31:>>>

Aap a.s kaa Arshaday Garaami Jaab Aap nay Abdullah Bin Abbas ko Zubair kay Paas Bhayja
khay usay Jang say Phaylay Etaatay Imam a.s Kee Taraaf Wapis Lay Jayain>>>

(Khabardar Tallah say Mulaqaat nah karna khay uss say Mulaqaat karo gay to usay uss Bail
Jaysa Pawo gay jiss kay seengh muray huway hain woh Sarkish Sawaari par sawar hota hay aur
usay Raam kiya huwa khayta hay tum siraf Zubair say Mulaqaat karna khay Uss Ke Tabiyaat
Qadray Naram hay uss say khayna khay tumharay Mamoon Zaad Bhai Nay Farmaya hay khay
tum nay Hijaaz main mujhay pounchana tha aur Iraaq main Aa Kar Bilkul bhool gayay ho Akhar
yhe Naya Saniyah Kiya ho gaya hay>>>

Syed Raazi Khutba kay Baray main Farmatay hain (Maa Adaa Mima Badaa) yhe Fiqrah phaylay
Phail Tareekh Arbiyaat main Ameer Al Momineen a.s he say sunna gaya hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 79>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 96
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 32 Part 1:>>>

Aap a.s Kay Khutba Ka aik Hissah jis main Zamana kay Zulam kaa Tazkirah hay aur Logon ke 5
Aqsaam ko Biyaan kiya gaya hay aur Uss kay Baad Zuhad Kee Dawaat dee gayee hay:>>>

Aaiyo Han Naas Hum aik Aysay Zamana Main Paida Huway hain jo Sarkash aur Naa Shukrah
hay yhan Naik Kirdaar Bura Samjah jata hay aur Zalaam apnay Zulaam main barhta hee jaa raha
hay nah hum elaam say koe Faidah Uthatay hain aur Nah Jin Cheezon say Naa Waqif hain unn
kay Baray main Sawaal kartay hain aur nah Kisee Museebat kaa uss Waqt Taak Ahaysaas kartay
hain Jaab taak woh Nazaal nah ho jayay>>>

Log iss zamanay main Chaar Tarah Kay Hain Baaz woh hain Jinhain Roayay Zameen Par Fasaad
karnay Say Siraaf Unn Kay Nafaas kee Kamzori aur unn kay Asllah Kay Dhaar kee Kundi aur
unn kay Asbaab ke Kami nay roke rakaha hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 81>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 98
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 32 Baqiyah Hissah Part 2:>>>

Baaz woh hain jo Talwaar Khainchay huway Apnay Shurkaa Aylaan kar rahay hain aur Apnay
Sawaar O Piyadah ko jama kar rahay hain apnay Nafas ko Maalay Duniya kay Hasool aur
Lashkar kee Qiyadat Ya Member kee Bulandi par Arooj kay Liyay Waqaf kar diya hay aur apnay
Deen ko Barbaad kar diya hay aur yhe Badtareen Tijaarat hay Khay tum Duniya ko apnay Nafas
Kee Qeemat Bana Do Yaa Akaray Akharat Kaa Badaal Qarar day do>>>

Baaz woh hain jo duniya ko Akharat kay Amaal Kay Zariyay Hasaal Karna Chatay hain aur
Akharat ko duniya kay Zariyay nhen Hasaal Karna Chatay hain Unhon nay Nigahon ko Neecha
Bana Liya hay Qadaam Naap Naap kar rakhtay hain daaman ko samait liya hay aur apnay Nafaas
ko Goya Amanatdari kay liyay Arastah Kar liya hay aur Parwardaygar ke Pardah Dari ko
Masiyaat kaa Zariyah Banayay Huway hain>>>

Baaz woh hain jinhain Hasoolay Iqtaydar say Nafaas kee Kamzori aur Asbaab ke Naboodi nay
Dur rakha hay aur jaab Halaat nay Saaz Gari Ka Sahaara nhen diya to usee kaa naam Qanaat
rakh liya hay yhe log Ahaylay Zuhaad kaa Libaas Zaibay Taan kiyay huway hain Jab Khay Nah
Unn Kee Shaam Zahidana hay aur Nah Subah>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 81>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 98
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 32 Baqiyah Hissah Part 3:>>>

(Panchween Qisam) Iss kay Baad khuch log Baqi Rhay gayay hain Jin Kee Nigahon ko Baz
Gashat ke Yaad Nay Jhukaa diya hay aur Unn Kay Ansoowon Ko Khoonay Mehshar nay Jaari
Kar diya hay unn main Baaz Awarah Wattan aur Durr Aftadah hain aur Baaz Khoufzadah aur
Goshah Nasheen Baaz Kee Zubanon Par Mohaar Lagee hue hay aur Baaz Ikhlaas Kay Sath
Mhaiyway Dua hain aur Dard Raseedah kee Tarah Ranjeedah hain Unhain Khoufay Hukaam
Nay Gumnami Kee Manzaal Tak Pouncha Diya hay>>>

Aur Baychargee nay Unhain Ghair Liya hay Goya woh aik Kharay Samundar kay Andar
Zindagee Guzaar rahay hain Jahan Munah Band hain aur Dil Zakhmi hain Unhon nay Iss Qadar
Moaaz kiya hay khay Thak Gayay hain aur woh Iss Qadar dabayay gayay hain khay Bil Akhar
Daab Gayay hain aur Iss Qadar maray Gayay hain khay unn Kee Tadaad Bhe Kaam Ho Gayee
hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 83>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 100
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 32 Baqiyah Hissah Part 4:>>>

Lihazah Ab Duniya ko tumhari Nigahon main Keekar kay chilkon aur Aoon kay Raizon say bhe
Zaidah Past hona chaiyay aur apnay Phaylay Walon say Abraat Hasaal karni Chaiyay Qabal iss
kay Khay Baad Walay Tumharay Anjhaam say Abraat Hasaal Karain Iss Duniya ko Nazar
Andaaz Kar Do yhe Bhout Zaleel hay yhe unn kay Kaam nhen Ayee hay jo tum say Zaidah Iss
say Dil Laganay Walay thay>>>

Syed Raazi Iss Khutbah Kay Baray Main Farmatay Hain:>>>


Baaz Jahilon nay Iss Khutbah ko Maviyah kee Taraf Mansoob kar diya hay Jab Khay Billaa
Shubah yhe Ameer Al Momineen a.s Kaa Kalaam hay aur Bhallaa Kiya rabt hay Sonay Aur
Mittee main aur Sheereen aur Showrr main? Iss Haqeeqat kee Nishandahee Fanay Balaghat kay
Mahir aur Ba Baseerat Tanqeedi Nazar Rakhnay Walay Alaam Umer Bin Bhair Al Jaahiz nay
bhe kee hay Jab Iss Khutbah ko (Albiyaan Wal Tabiyeen) main Naqaal karnay kay Baad yhe
Tabsirah kiya hay khay Baaz Logon nay Usay Maviyah kee Taraf Mansoob kar diya hay Halaan
Khay Yhe Hazrat Ali a.s kay Andazay Biyaan say Milta Julta hay Khay Aap a.s He Iss Tarah
Logon kay Aqsaam Mazahib aur Qhair O Zillaat aur Taqiyaah O Khouf Kaa Tazkirah kiya kartay
thay Warna Maviyah ko Kab Apni Guftagoo main Zahidon Kaa Andaaz Ya Abdion Kaa Tareeqah
Ikhtiyaar kartay daykha hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 83>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 100
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 33:>>>

Aap a.s kay Khutba Ka aik Hissah Ahaylay Basrah say Jahaan Kay Liyay Nikaltay Waqt Jiss
main Aap nay Rasoolon kee Boshat Kee Hikmaat aur Pher Apni Afzaliyat aur Khuwaraj Kee
Razeeliyat kaa zikar kiya hay>>>

Abdullah Bin Abbas kaa Biyaan hay khay main Maqaam Zee Qaar main Ameer Al Momineen a.s
kee Khidmat main Hazir huwa Jab Aap a.s Apni Nalain kee Muramat Kar rahay thay Aap a.s
Nay Farmaya Ibnay Abbas Inn Jooton kee kiya Qeemat Hay? Main nay Araz kee khuch nhen
Farmaya Khay Khuda Kee Qasam yhe mujhay tumhari Hakoomat say Zaidah Azeez hay Magar
yhe khay Hakoomat kay Zariyah main Kise Haq ko Qaim Kar Sakoon yaa Kisee Batal ko Daffa
kar sakoon Uss kay Bad Logon kay Darmiyan Aa Kar Yhe Khutbah Arshaad Farmaya:>>>

Allha nay Muhammad s.a.w.w ko Uss Waqt Maboos kiya Jab Arabon main koe Nah Asmani
Kitaab Parhna Janta tha aur Nah Naboowat Kaa Dawaydar tha Aap s.a.w.w nay Logon ko
Khainch kar Unn kay Maqaam Tak Pounchwaya aur Unhain Manzalay Nijjat say Ashna Bana
Diya Yhan Tak khay unn kee Kujee Darust ho gayeey aur unn kay Halaat Istawar ho gayay Agah
Ho Jawo khay Bakhuda Qasam main Iss Suratay Haal kay Tabdeel Karnay walon main Shamal
tha Yhan Tak khay Halaat Mukamal torr par tabdeel ho gayay aur main nah Kamzor huwa aur
Nah Khouf Zadah huwa aur Aaj bhe mera yhe Safar waysay he Maqasad kay liya hay main Batal
Kay Shikaam ko chaak kar kay Uss kay Phayloo say Woh Haq Nikaal lun gaa Jisay Uss nay
Mazalam kee Thayhon main chupa diya hay>>>

Mera Quresh say Kiya Talaaq hay main nay Kaal Unn say Kufar Kee Bina Par Jahaad kiya tha
aur Aaj Fitnaa aur Gumrahee kee Bina Par Jahaad karun gaa Main Unn Kaa Purana
Madaymuqabal hun aur Aaj bhe Unn Kay Muqabllah par Tiyaar hun Khuda Kee Qasam Quresh
ko hum say koe Adawaat nhen hay Magar yhe khay Parwardaygar nay humhain Muntakhib
Qarar diya hay aur hum nay Unn ko Apni Jammayat main Dakhal Karna chaha to woh Inn
Ashaar kay Musadiq Ho Gayay>>>

Humari Jaan Kee Qasam Yhe Sharaab Nabay Sabah>>>

Yhe Charb Charb Ghazayain Humara Sadqah Hain>>>

Hum He nay tum ko yhe Sari Bulandiyan Dee hain>>>

Wagarnah Yhe Taigh O Sanaan Baas Humara Hissah Hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 85>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 102
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 34 Part 1:>>>

Aap Kay Khutba Ka aik Hissah Jiss main Khuwaraj kay Qissah Kay Bad Logon ko Ahaylay
Shaam say Jahaad Kay Liyay Amadah Kiya Gaya hay aur Unn Kay Halaat Par Afsos Kaa Izhaar
Kartay Huway Unhain Nasiyat Kee Gayeey hay>>>

Haif hay tumharay Haal par main tumhain Mulamat kartay kartay thak Gaya Kiya tum log
Waqiyan Akharat Kay Aywaaz Zindagani Duniya par Raazi ho gayay ho aur tum nay Zilaat Ko
Ezaat Ka Badal Samaj liya hay? Khay Jab main tumhain dushman say Jahaad kee Dawaat dayta
hun to tum Ankhain Pheranay Lagtay ho Jaysay Mout Kee Bay Hoshee Taari ho aur Ghaflaat kay
Nashah main Mubtila ho tum Par Jaysay Meri Guftagoo kay darwazay Band ho gayay hain khay
tum Gumrah hotay Jaa rahay ho aur tumharay Dilon par Diwangee Kaa Asaar Ho Gaya hay khay
tumhari Samaj he main khuch nhen aa raha hay tum Kabhee meray Liyay Qablay Aytamaad nhen
ho saktay ho aur Nah Aysa Satoon ho Jiss Par Barosah kiya Ja Sakay aur Nah Ezaat kay Wasail
ho Jiss Kee Zaroorat Mehsoos ke Ja Sakay tum to unn Uoonthon Jaysay ho Jinn kay Charwahay
gum ho Jayain khay Jab Aik Taraf say Jamma Kiyay Jatay hain to Dusri Taraf say Bharak Jatay
Hain>>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 85>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 102
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 34 Baqqiyah Hissah Part 2:>>>

Khuda kee Qasam tum Badtareen Afraad ho Jin Kay Zariyah Aatashay Jang ko Bharkaya Ja
Sakay tumharay sath Makar Kiya Jata hay aur tum koe Tadbeer bhe nhen kartay ho tumharay
Elaqay kam hotay jaa rahay hain aur tumhain Gussah bhe nhen ata hay dushman tumhari taraf
say Ghaafal nhen hay magar tum ghaflat kee Neend so rahay ho Khuda Kee Qasam Susti
Baratnay Walay Humeshan Malghoob ho Jatay hain aur Ba Khuda main tumharay baray main
yhe he Khayaal rakhta hun khay Agar Jang nay Zorr Pakar Liya aur Mout Kaa Bazaar Garam ho
gaya to Farzanday Abu Talib a.s say Youn he Alaag ho Jawo Gay Jiss Tarah Jissam say Sar Alaag
ho Jata hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 87>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 104
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 34 Baqqiyah Hissah Part 3:>>>

Khuda kee Qasam agar koe Shakhs apnay Dushman ko Itna Qaboo day Dayta hay khay woh uss
kaa Goshat Utaar lay aur Hadi Torr Dalay aur Khaal kay Tukray Tukray kar day to Aysa Shakhs
Ajazi kee Akhari Sarhaad par hay aur uss kaa woh dil Intayhayee Kamzorr hay jo uss kay
Phayloowon kay darmiyan hay tum chaho to aysay he ho jawo laykan main Khuda Gawah hay
khay Iss Nobat kay anay say phaylay woh Talwaar Chalawoon gaa khay Khopriyaan Tukray
Tukray ho Kar Urtee daykhayee dayain gee aur Hath Pair Kat kar Girtay Nazar Ayain Gay Uss
Kay Baad Khuda Jo Chahay gaa woh Karay Gaa>>>

Ayeeyo Han Naas! Yaqeenan aik Haq mera tumharay zimah hay aur aik haq tumharay meray
Zimah yhe hay khay main tumhain Nasiyaat karun aur Bait Ul Maal Kaa Maal tumharay
Hawalay Kar Dun aur tumhain Taleem Dun taa khay tum Jahil nah rhay jawo aur Adaab
Sikhawun Taa khay Ba Amaal Ho Jawo aur mera Haq Tumahray Uper yhe hay khay Bait Ka Haq
Ada Karo Aur Hazir O Ghaib Har Hal Main Khair Khuwah Raho Jab Pukarun to Labaik Khawo
Jab Hukaam Dun to Etaat Karo>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 87>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 104
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 35:>>>

Aap a.s Kay Khutbah Ka Aik Hissah Jab Thaykeem kay bad uss kay nateejah kee Etlaah dee
gayee to Aap a.s nay Hamaad O Sanayay Elahi kay Baad Uss Billaa Kaa Sabab Biyan
Farmaya>>>

(Har Haal Main Khuda Kaa Shukar hay Chahayay Zamana Koe Bari Museebat kion nah lay ayay
aur Hadsaat kitnay he Azeem kion nah ho jayain aur main Gawahee dayta hun khay woh Khuda
aik hay uss kaa koe Shareek nhen hay aur uss kay sath koe dusraa Mabood nhen hay aur Hazrat
Muhammad s.a.w.w uss kay Badnah aur Rasool s.a.w.w hain (Khuda Ke Rhaymat unn par aur
unn Kee Aal a.s Par)>>>

Amaa Baad (Yad Rakhwo) khay Naashay Shafique aur Alaam Tajarbah Kar kee Nafarmani
Humeshah Baisay Hasrat aur Mujabay Nadamat huwa karti hay main nay tumhain thaykeem kay
baray main apni rayay say Baa Khabar kar diya tha aur apni Qeemati rayay Ka Nichorr biyaan
kar diya tha Laykan ay Kaash Qaseer kay Hukaam kee Etaat Kee Jaati tum nay to meri iss Tarah
Mukhalayfat kee jiss tarah Badtareen Mukhalaf aur Ayhaid Shikaan Na Farmaan kiya kartay hain
yhan tak khay Nasiyaat karnay wala Khud bhe Shubah main parh jayay khay Kiss ko Nasiyaat
Kar Dee aur Chaqmaaq nay Shullahay Bharkanay Band Kar diyay aab humara aur tumhara woh
he Haal Huwa hay jo Bani Hawazan kay Shair nay Kaha Tha>>>

Main nay tum ko apni Baat Maqam Munaraj Alawa main Bata dee thee>>>

Laykan tum nay uss kee Haqeeqat ko dusray din Kee Subah he ko Paychana>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 89>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 106
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 36:>>>

Aap a.s kay Khutba Ka aik Hissah Ahalay Nehrwaan ko Amjhaam Kaar say Daranay Kay
Silsalah Main>>>

(Main tumhain Ba Khabar Kiyay dayta hun khay iss Nhair kay morron par aur iss Nashaib Kee
Humwaar Zameenon par paray daykhayee do gay aur tumharay paas Parwardaygar kee taraf say
koe Waziyah Daleel aur roshan hujjat nah ho gee tumharay gharon nay tumhain Nikaal Bahir Kar
diya aur Qaza O Qadar nay tumhain Giraftaar kar liya main tumhain iss thaykeem say Manna
Kar raha tha Laykan tum nay Ayhaid Shikaan Dushmanon kee Tarah Meri Mukhalayfat kee Yhan
Taak khay main nay Apni Rayay Ko Chorr kar Majbooran tumhari Baat ko Tasleem Kar liya
magar tum dimagh kay Halkay aur Aqaal kay Ahaymaq Nikalay Khuda tumhara Bura Karay
main nay to tumhain kisee Museebat main nhen dala hay aur tumharay liyay koe Nuqsaan nhen
chaha hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 89>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 106
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 37:>>>

App a.s Kaa Arshaday Garami Ko Bamanzallah Khubah hay aur iss main Nhairwaan kay
Waqiyah kay baad Aap a.s nay apnay Fazail aur Karnamon Kaa Tazkirah Kiya Hay>>>

(Main Nay uss waqt apni Zimahdariyon kay sath Qiyam kiya Jab Sab Nakaam ho Gayay Thay
aur Uss Waqt Sar Uthaya Jab saab Goshon main chupay huway thay aur uss waqt bola jaab sab
gongay ho gayay thay aur uss waqt Nooray Khuda kay Saharay agay barah Jab Sab Thairay
huway thay Meri Awaaz saab say Dheemi thee laykan meray Qadam sab say Agay Thay Main
Nay Anaan Hakoomat Sambhali to Uss main Qoowat Parwaaz Paida ho gayeey aur Main Tan
Tanha Iss Maidaan main Baazi lay Gaya Mera Sabaat Paharon jaysa Tha Jinhain nah Taiz
Hawain hilaa sakti theen aur Nah Andiyan Hitaa Sakti theen nah Kisee kay Liyay Meray Kirdaar
main Taan O Tanz kee Gunjaish thee aur Nah Koe Ayaib laga sakta tha Yaad Rakho khay
tumhara Zaleel meri Nigah main Azeez hay yhan tak khay uss kaa Haq dilwa dun aur tumhara
azeez meri nigah main Zaleel hay Yahan Tak khay Uss Say Haq lay Lun main Qaza Elahi par
Raazi Hun aur usee kay Hukaam kay samnay sarapa Tasleem hun kiya tumhara Khayal hay khay
maiin Rasoolay Akram s.a.w.w kay baray main koe Ghalat biyaani kar sakta hun jaab khay saab
say phaylay main nay Aap s.a.w.w kee Tasdeeq kee to aab saab say Phaylay Jhoot Bolnay wala
nhen ho Sakta hun main nay apnay Muamllah par Ghorr kiya to meray liyay Etaatay Rasool
s.a.w.w Kaa Marhallah Bait Par Muqadaam tha aur meri Gardan main Hazrat s.a.w.w kay Ayhaid
Kaa Touq Phaylay say Para Huwa Tha>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 91>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 108
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>
Khutba No 38:>>>

App a.s Ka Arshaday Garaami Jiss Main Shubah kee Wajjah Tasmiyah Biyaan Kee Gayee hay
aur Logon kay Halaat Kaa Zikar Kiya gaya hay>>>

(Yaqeenan Shubah ko Shubah isee liyay kaha jata hay khay woh Haq say Mushabah hota hay iss
Moqaa par Awoliya Allha kay liyay Yaqeen Kee Roshni hotee hay aur Simatay Hadayat kee
rhaynomayee Laykan Dushmananay Khuda Kee Dawat Gumrahee aur rhaynoma Bay Baseerati
hotee hay Yaad Rakho khay Mout day Darnay wala Mout say Bach nhen sakta hay aur Baqaa
Kaa Talabgaar Baqayay Duwaam Paa nhen sakta hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 91>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 108
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 39:>>>

Aap a.s Kay Khutba Ka Aik Hissah Jo Maviyah kay Sardaray Lashkar Nouman bin Baseer kay
Ain Al Tamar Par Humllah kay Waqt Arshaad Farmaya aur Logon ko apni Nusraat par Amdah
Kiya>>>

(Main Aysay Afraad main Mubtalaa ho gaya jinhain hukaam dayta hun to Etaat nhen kartay hain
aur Bulata hun to Labaik nhen khaytay hain Khuda Tumhara Bura karay apnay Parwardaygar kee
Madaad karnay main kiss Cheez kaa Intayzar kar rahay ho kiya tumhain Jamma karnay wala
Deen nhen hay aur kiya Jush Dilanay Wali Ghairat nhen hay main tum main Khara ho kar Awaaz
dayta hun aur tumhain Fariyaad kay liyay Bulata hun laykan nah meri Baat Sunntay ho aur nah
meray Hukaam kee Etaat kartay ho Yhan tak khay Halaat kay Badtareen Nataij samnay Aa
Jayain sachee bat yhe hay khay tumharay Zariyah nah Kisee Khoonay Na Haq Ka Badllah Liya
Ja Sakta hay Aur nah koe Maqsad Hasaal kiya jaa sakta hay main nay tum ko tumharay he
Bhaiyon kee Madaad kay liyay Pukara Magar tum Uss Ouoonth Kee Tarah Bilbalanay lagay jiss
kee Naaf main dard ho aur uss Kamzor Shutar kee Tarah Susst parh Gayay jiss Kee Pusht
Zakhmi ho Uss Kay Bad tum say aik Mukhtasar see Kamzor pareshan Haal Sipaah Baramad hue
iss Tarah Jaysay Unhain Mout kee Taraf dhakayla jaa raha ho aur yhe Baykaasi say Mout Daykh
rahay hun)>>>

Syed Raazi Iss Khutba kay Mutalaq Farmatay hain Hazrat a.s Kay Kalaam main Mutazaib O
Muztarib kay Maynee main hay khay Araab iss Lafaz ko Uss Hawaa kay Baray main Istaymaal
kartay hain jiss kaa Rukh Moyeeyan nhen hota hay aur Bairiyay ko bhe Zaib Iss Liyay Khaytay
hain khay uss kee Chaal Bay Hangam hotee hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 93>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 110
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 40:>>>

Aap a.s Kaa Arshaday Garaami Khuwaraj kay baray main Unn Kee Yhe Maqoolah Sunn Kar
(Hukaam Allha Kay Elawah Kisee kay liyay Nhen hay)>>>

Yhe aik Kalaymahay Haq Hay jiss say batil maynee muraad liyay gayay hain bayshaq hukam
siraf Allha kay liyay hay laykan unn logon kaa Khayna hay khay Hakoomat aur Amaarat bhe
siraf Allha kay liyay hay Halaan Khay khulee hue baat hay khay Nizamay Insaniyat kay liyay aik
Haakim ka hona Barhaal Zaroori hay Chahay Naik Kirdar ho yaa Faasiq khay Hakoomat kay
zairay saaya he Momin ko kaam karnay kaa Mouqa Mill Sakta hay aur Kafir Bhe Mazay Urra
sakta hay aur Allha Har Cheez Ko Uss Kee Akhari Haad tak pouncha dayta hay aur Malay
Ghaneemat O Khairaaj waghairah Jamma kiya jata hay aur Dushmanon say Jang Kee Jaati hay
aur Raston Kaa Tahafuz kiya Jata hay aur Taqaatwar say Kamzor Kaa Haq Liya Jata hay Khay
Naik Kirdaar Insaan ko Raahat Milay aur Badkirdar insaan say Raahat milay (Aik Rawayaat
main hay khay Jab Aap ko Thaykeem kee Etllaah milee to Farmaya) Main tumharay Baray main
Hukamay Khuda Kaa Inatayzar Kar raha hun>>>

Pher Farmaya: Hakoomat Naik hotee hay to Mutaqi ko Kaam Karnay Ka Moqaa Milta hay aur
Haakam Faasaq O Faajar hota hay to Badbakhton ko Mazah Uraanay Ka Moqaa Milta Hay
Yahan Tak Khay Uss Kee Mudaat Tamam Ho Jaya aur Mout Usay Apni Garift Main Lay
Lay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 93>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 110
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 41:>>>

Aap a.s kay Khutbah Kaa aik Hissah jiss main Ghadaari say roka gaya aur iss kay Nataij say
Daraya gaya hay>>>

(Ayeeyo Haan Naas! Yaad rakho wafa humeshah sadaqat kay sath rhaytee hay aur main iss say
baytar muhafiz koe sipar nhen janta hun aur jisay baazgasht kee kaifiyat kaa andazah hota hay
woh ghadaari nhen karta hay hum aik aysay dorr main waqiyah huway hain jiss ke aksariyat nay
ghadaari aur Makaari kaa naam hoshiyaari rakh liya hay aur ahaylay jahalaat nay is kaa naam
husanay tadbeer rakh liya hay akhar inhain kiya ho gaya hay Khuda inhain Gharaat karay woh
insaan jo halaat kay ulaat phair ko daykh chuka hay woh bhe heelah kay rukh ko janta hay
laykan Amar O Nayeeiyay Elaahi uss ka Rastah rokk laytay hain aur woh amkaan rakhnay kay
bawajood uss rastah ko taraak kar dayta hay aur woh Shakhs uss Moqaa say Faidah Utha Layta
hay jiss kay liyay Deen Saday Raah nhen hota hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 95>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 112
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 42:>>>

Aap a.s kaa Arshaaday Garaami Jiss main Etayba Khuwahishat aur Tool Amaal say Daraya Gaya
hay>>>

(Ayoo Haan Naas! Main tumharay Baray main saab say zaidah Do Cheezon kaa Khauf rakhta
hun Etaybaa Khuwahishat aur Darazi Umeer khay Etaybahay Khuwaishat Insaan Ko Rahay Haq
say rok dayta hay aur Tool Amal Akharat ko Bhula dayta hay Yaad rakho duniya Munh Phair Kar
Jaa rahee hay aur uss main say khuch Baaqi nhen rhay gaya hay magar itna jitna bartan say cheez
ko Undhail daynay kay baad thay main baaqi rhay jata hay aur Akhrat Aab samnay aa rahee
hay>>>

Duniya O Akharat dono kee apni Aulaad hain Lihazah tum Akhrat kay farzandon main shamal
ho jawo aur khabardaar Farzandanay Duniya main Shumaar nah hona iss liyay khay Anqareeb
Har Farzand ko uss kay Maan Kay sath Mila diya jayay gaa Aaj Amal kee Manzal hay aur koe
Hisaab nhen hay Aur Kaal Hisaab he Hisaab hay aur koe Amaal Ke Gunjahish nhen hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 95>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 112
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 43:>>>
Aap a.s kay Khutba ka aik Hissah Jab Jareer bin Abdullah Albajli ko Maviyah kay paas bahyjnay
aur Maviyah kay inkaray bait kay baad Ashaab ko ahaylay Shaam say jang par Amadah karna
chaha>>>

(Iss Waqt meri Ahaylay Shaam say Jang kee Tiyaari Jab khay Jareer wahan mujood hain Shaam
par Tamam darwazay band kar dayna hay aur unhain khair kay rastah say rok dayna hay agar
woh khair kaa iradah bhe karna chahain main nay Jareer kay liyay aik waqt muqarar kar diya hay
uss kay bad woh wahan ya kisee dhokha kee bina par rukk saktay hain yaa nafarmani kee bina
par aur dono suraton main meri rayay yhe he hay khay intayzar kiya jayay lihazah abhee
peshqadmi nah karo aur main Manna bhe nhen karta hun agar andar andar tiyaari kartay raho
main nay iss Masllah par mukamal ghorr o fikar kar liya hay aur iss kay zaahir o batan ko Ulaat
Palaat kar daykh liya hay aab meray samnay do he rastay hain yaa jang karun yaa Biyanatay
Payghambaray Islam s.a.w.w kaa Inkaar kar dun mujh say phaylay iss Qoum kaa aik hukmaran
tha uss nay Islam main Bidatain Ejaad keen aur logon ko Bolnay kaa Moqaa Diya to logon nay
zubaan kholee pher apni Narazgee kaa Izhaar kiya aur Akhar main samaaj kaa dhancha badal
diya>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 97>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 114
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 44:>>>

Hazrat a.s kaa Arshaaday Garaami Uss Muqa par Jab Masqillah bin Heerah Shaybaani nay aap
kay Aamil say Bani Nahiyah kay Aseer Khareed kar azaad kar diya aur Jab Hazrat a.s nay uss
say Qeemat Ka Mutalbah kiya to Badiyanti kartay huway shaam kee taraf faraar kar gaya>>>

(Khuda Bura karay Maslaqah kaa Khay Uss nay Kaam Shareefon jaysa kiya laykan faraar
Gulamon kee tarah kiya abhe uss kay Madaah nay Zubaan Khulee bhe nhen thee khay Uss nay
Khud hee Khamosh kar diya aur uss kee Tareef khuch khaynay wala khuch khaynay bhe nah
paya tha khay uss nay Munh Band Kar diya Agar woh Yaheen Thairah rhayta to main jis Qadar
Mumkin hota uss say Lay Layta aur Baaqi kay liyay uss kay Maal kee Ziyadatti Kaa Intayzar
karta)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 97>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 114
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 45:>>>

Aap a.s Kay Khutba kaa aik Hissah Yhe Eid Ul Fittar kay Moqa par Ap a.s kay kay Taweel
Khutba ka aik Juz hay Jiss main Hamaday Khuda aur Muzamatay Duniya Kaa Zikar kiya gaya
hay>>>

(Tamam Tareef uss Allha kay liyay hay Jiss Kee Rhaymat say Mayoos nhen huwa jata aur jiss
kee Naymat say kisee kaa Daman Khalee nhen hay Nah Koe Shakhs uss kee Maghfiraat say
Mayoos ho sakta hay aur nah kise main uss kee Ebadat say Akarnay Ka Amkaan hay Nah Uss
Kee Rhaymat Tamam hotee hay aur nah Uss kee Naymat Kaa Sisalah Rukta hay>>>

Yhe duniya aik aysa ghar hay jiss kay liyay fanna aur uss kay Bashindon kay liyay Jala Wattni
Muqadar hay yhe daykhnay main sheereen aur sarsabaz hay jo apnay Talabgaar kee taraf taizi
say barhti hay aur uss kay dil main sama jati hay Lihazah Khabardar iss say Kooch kee Tiyaari
karo aur Baytreen Zaaday Raah lay kar chalo iss duniya main zaroorat say zaidah kaa sawaal nah
karna aur jitnay say kaam chaal jayay uss say zaidah kaa Mutalbah nah Karna)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 97>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 116
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 46:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garami Jab Shaam kee Taraf Janay kaa Iradah Farmaya aur iss dua ko
Rakaab main Pawon Mubarik rakhtay huway Wiraday Zubaan Farmaya>>>

(Khudaya main safar kee Mushaqat aur wapisi kay Andoh O Gham aur Ahyal O Maal O
Awolaad kee Badhaali say teri panah chahata hun to he Safar kaa sathi hay aur ghar ka
Nigayraan hay khay yhe dono kaam teray Elawah koe dusra nhen kar sakta hay khay jisay ghar
main chorr diya jayay woh safar main kaam nhen ata hay aur jisay safar main sath lay liya jayay
woh ghar kee Nigayrani nhen kar sakta hay)>>>

Syed Razi iss Khutba Mubarik kay baray main Arshad Farmatay hain iss dua ka Ibtaydayee
Hissah Sarkaray Do Alam s.a.w.w say Naqaal kiya gaya hay aur Akhari Hissah Molayay Kainat
a.s k Tazmeen ka hay jo Sarkaar a.s kay Kalaymaat kee Baytreen Tozyeeh aur Takmeel hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 99>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 116
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 47:>>>

Aap a.s Ka Arshaday Garam Koofah kay baray main>>>

(Ay Koofah! Jaysay khay main daykh raha hun khay tujhay Bazaar Eaykaaz kay chamray kee
tarah Khaincha jaa raha hay tujh par Hawadas kay humllay ho rahay hain aur tujhay zalzalon ka
murakab bana diya gaya hay aur mujhay yhe maloom hay khay jo zalaam bhe teray sath koe
burayee karna chayay gaa Parwardaygar usay kise nah kisee Museebat main Mubtilla kar day ga
aur usay kisee Qaatal kee zad par lay ayay gaa)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 99>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 116
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 48:>>>

App .a.s Kay khutbay jo Kufa say nikaltay huway Maqamay Nakhliya par Arshad Farmaya
tha>>>

(Parwardaygar kee hamad hay jab bhe raat ayay aur tareeki chyay ya Sitara chamkay aur doob
jayay Parwardaygar kee Hamad O Sana hay khay uss ke Naymatain khatam nheh hoteen aur us
khay Aysanaat ka badla nhen diya ja sakta>>>

Amaan Baad! Main nay apnay Lashkar ka Harawal Dasta Rawana kar dia hay aur unhain hukam
day diya hay khay iss nahair kay kinaray Thair kar meray Hukam ka intayzar karain Main Chata
hun khay is Dariyay Dajlah ko Aboor kar khay tumhari aik mukhtasar Jamayat Tak Pounch
jawun Jo Atraafay Dajlah Main Muqeem hay ta khay Unhain tumharay sath jahaad kay liyay
Amaada kar sakoon Aur un kay Zariyay tumhari Qoowat main Izafah kar sakoon)>>>

Syed Razi is Khutbay kay baray main Farmatay hain khay Multaat Say Muraad Dariya ka kinara
hay Aur Asaal main yhe lafaz humwar Zameen kay Maynon main istaymaal hota hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 99>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 118
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 49:>>>

App a.s ka Arshaaday Garami jiss main Parwardaygar kay Mukhtalaf Awosaaf aur uss kay Elaam
Ka Tazkirah kiya gaya hay>>>

(Sari Kainat uss Khuda kay liyay hay jo Makhfi Amoor kee Ghairaiyon say Bakhabar hay aur uss
kay wajood kee rhaynomayee Zahoor kee tamam Nishaniyan kar rahee hain woh daykhnay
walon kee nigahon main anay wala nhen hay laykan nah kise nah daykhnay walay kee ankh us
kaa inkaar kar sakti hay aur nah kisee Asbaab karnay walay ka dil uss kee Haqeeqat ko daykh
sakta hay woh Bulandiyon main itna agay hay khay koe shay uss say buland tar nhen hay aur
qurbat main itna qareeb hay khay koe shay uss say qareeb tar nhen hay nah uss kee bulandi usay
Makhooqat say durr bana sakti hay aur nah uss kee qurbat barabar kee jagah par laa sakti hay uss
nay aqlon ko apni sifton kee hadon say bakhabar nhen kiya hay aur baqadaray wajabay marayfat
say mehroom bhe nhen rakha hay woh ayse hasti hay khay uss kaa inkar karnay walay kay dil
par uss kay wajood kee nishaniyan Shahadat day rahee hain woh Makhlooqat say tashbeeh
daynay walay aur inkaar karnay walon kee baton say buland tar o Bala hay)>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 101>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 118
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 50:>>>

Ap a.s ka Arshaaday Garami Iss main unn Fitnon kaa Tazkirah hay jo Logon ko Tabbah kar
daytay hain aur unn kay Asraat kaa bhe Tazkirah hay>>>

(Fitnon kee Ebtayda unn khuwahishat say hotee hay jin kaa Etayba kiya jata hay aur un Jadeed
Tareen Ahaykamaat say hotee hay jo Garh liyay jatay hain aur Sarasar Kitabay Khuda kay
Khaylaf hotay hain iss main khuch log dusray logon say sath ho jatay hain aur deenay Khuda say
Alaag ho jatay hain aur agar batil haq kee Amaizish say alag rhayta to Haq kay Talbgaron par
Makhfi nah ho sakta aur agar Haq Batil kee Millawat say alaag rhayta to dushmanon kee
Zubanain nah khul sakteen Laykan aik Hissah iss main say liya jata hay aur aik uss main say aur
pher dono ko milaa diya jata hay aur aysay hee mowaqay par shaytaan apnay Sathiyon par
musalat ho jata hay aur siraf who log nijaat hasaal pa saktay hain jin kay liyay Parwardaygar kee
taraf say Naiki phaylay hee pounch jati hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 101>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 118
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 51:>>>

(Jab Maviyah kay sathiyon nay Ap a.s kay sathiyon ko hatta kar Safeen kay qareeb Furaat par
Ghalbah Hasal kar liya aur pani band kar diya)>>>

Daykho dushmanon nay tum say Ghzayay Jang ka Mutalbah kar diya hay ab ya to tum zilaat aur
apnay maqaam ki pasti par qaim rah jawo’ Ya apni Talwaron ko khoon say seeraab kar do aur
khud pani say siraab ho jawo darhaqeeqat mout zilaat kee zindagee main hay aur zindage izaat
kee mout main hay agah ho jawo khay maviyah gumrahon ki aik jamaiyat kee qiyadat kar raha
hay jss par tamam haqaiq posheedah hain aur unhon nay jahalaat kee buniyad par apni gardanon
ko teeray ajaal ka nishana bana diya hay. >>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 103>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 119
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 52:>>>

(Jiss main duniya main Zuhad kee targheeb aur pesh Parwardaygar uss kay Sawaab aur
Makhlooqat par Khalaq kee naymaton ka tazkirah kiya gaya hay)>>>

Agah ho jawo duniya ja rahee hay aur iss nay apni rukhsat ka aylan kar diya hay aur iss kee jani
paychani cheezain bhe ajnabee ho gayee hain who taizee say munh phair rahee hain aur apnay
bashindon ko fana kee taraf lay jar rahee hay aur apnay humsaiyon ko mout kee taraf dhakail
rahee hay aur woh napa tulla ghount rah gaya hay jisay piyasa pee bhe lay to uss kee piyas nhen
bujh sakti hay lihazah bandayganay Khuda abb iss duniya say kooch karnay ka iradah kar lo jiss
kay rhaynay walon ka muqadar zawaal hay aur bay khabardar! Tum par khuwashishat Ghalab
nah anay payain aur iss mukhtasar mudat ko taweel nah samaj layna.>>>
Khuda kee qasam agar tum unn Awoothon kee tarah bhe fariyaad karo jinn ka bacha gum ho giya
ho aur unn kabootaron kee tarah Nalaa O Fugaan karo jo apnay jhund say alaag ho gayay hun
aur unn rahiyon kee tarah bhe giryaa o fariyaad karo jo apnay ghar barr ko chorr chukay hun aur
maal O Awolaad ko chorr kar qurbatay Khuda kee talash main nikaal parho ta khay uss kee
bargaah main darjaat buland ho jayain ya who gunah maaf ho jayain jo uss kay daftar main sabat
ho gayay hian aur Farishton nay unhain Mehfooz kar liya hay to bhe yhe saab uss Sawaab say
kaam ho ga Jiss kee main tumharay baray main umeed rakhta hun ya jiss Azaab ka tumharay
baray main Khuf rakhta hun>>>

Khuda kee qasam agar tumharay dil bilkul pighaal jayain aur tumhari ankhon say ansoo kay
bajayay raghbatay Sawaab ya Khaufay Azaab main Khoon jaari ho jayay aur tumhain duniya
main akharat tak baaqi rhaynay ka moqa diya jayay to bhe tumharay amaal uss kee azeem tareen
naymaton aur hadayatay Imaan ka badlah nhen ho saktay hain chahay unn kee raah main tum
koe kasaar utha kar nah rakho.>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 103>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 121
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 53:>>>

(Jiss main Rozay Eid Ul Aza ka Tazkirah hay aur Qurbani kay Sifaat ka Zikar kiya gaya hay)>>>

Qurbani kay janwaar ka kamal yhe hay khay uss kay Kaan buland hun aur ankhain salamat hun
khay agar Kaan aur Ankh salamat hain to goya Qurbani Salam aur mukamal hay chahay uss kee
Seengh Tooti hue ho aur woh pairon ko ghaseet kar apnay ko qurban Gaah taak lay jayay>>>

Syed Raazi: iss maqaam par Mansak say Muraad Zibah aur Qurban Gaah hay>>.>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 105>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 122
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 54:>>>

(Jiss main Aap a.s nay apni Bait ka Tazkirah kiya hay).>>>
Log mujh par youn Toot parhay jaysay woh piyasay Awounth pani par Toot parhtay hain jin kay
nigranon naay unhain Azaaad chorr diya ho aur unn kay pairon ke rasiyan khol dee hun yhan tak
khay mujhay yhe aysaas paida ho gaya khay yhe mujhay maar he dalain gay ya aik dusray ko
qatal kar dayain gay main nay iss Amaray Khaylafat ko Youn Ulaat Pulaat kaar daykha hay khay
meri neend taak urr gayee hay aur ab yhe mehsoos kiya hay khay ya inn say Jahaad karna ho ga
yaa Payghambar s.a.w.w kay Ahaaykam ka inkar kar dayna ho ga Zaahir hay khay meray liyay
jaang kee sakhtiyon ka bardashat karna Azaab ke sakhti bardasht karnay say Asaan tar hay aur
duniya kee mout aur tabahee say subaak taar hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 105>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 122
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 55:>>>

App ka Arshaday Garami:>>>

(Jab App kay Ashaab nay yhe izhaar kiya khay Ahaylay Safeen say jahaad kee ejaazat main
Taakheer say kaam lay rahay hain)>>>

Tumhara yhe sawaal khay kiya yhe takheer mout kee nagawari say hay to Khuda ke qasam
mujhay mout kee koe parwaah nhen hay khay main iss kay paas warid ho jawun ya woh meri
taraf nikal kar aa jayay aur tumhara yhe khayal khay mujhay Aahaylay Shaam kay batal kay
baray main koe shaaq hay to Khuda Gawah hay khay main nay aik din bhe jang ko nhen Taala
hay maggar iss kayaal say khay shahid koe garoh mujh say mulhaq ho jayay aur hadayat paa
jayay aur meri Roshni main apni Kamzor ankhon ka Elaaj kar lay khay yhe baat meray nazdeeq
iss say kaaheen zaiddah baytar hay khay main uss ke gumrahi kee bina par usay qatal kar dun
agarcha uss qatal ka gunah use kay Zimah ho ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 107>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 123
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 56:>>>
Ap a.s kaa Arshaaday Garami:>>>

(Jiss main Ashaabay Rasool s.a.w.w ko yaad kiya gaya hay uss waqat Jab Safeen kay moqa par
Ap a.s nay Logon ko Sullah ka Hukam diya tha)>>>

Hum Rasoolay Akram s.a.w.w kay sath apnay Khandan kay Bazurg, Bachay, Bhai Band aur
Chachawon ko bhe qattal kar diya kartay thay aur uss say humaaray Iman aur Jazbah Tasleem
main Izafah he hota tha aur hum barabar Seedhay Rastah par Barhatay he ja rahay thay aur
Museebaton kee sakhtiyon par Sabar he kartay ja rahay thay aur dushman say Jahaad main
kosishain he kartay ja rahay thay humara Sipahee Dushman kay Sipahee say iss tarah Muqabllah
karta tha jiss tarah Mardon ka Muqabllah hota hay khay aik dusray kee jaan kay darpay ho jayain
aur har aik ko yhe he fikar ho kay dusray ko mout ka jaam pila dayain pher kabhee hum
dushman ko mar laytay thay aur kabhee dushman ko hum par Ghalbah ho jata tha uss kay baad
jab Khuda nay humari Saadaqat ko Azma liya to humaray dushman par Zillat nazal kar dee aur
humaray Ooper Nusrat ka nazool Farma diya yhan tak khay Islam Seena Taik kar apni Jagah Jam
gaya aur apni Manzal par Qaim ho gaya>>>

Meri Jan ke qasam agar humara kirdaar bhe tumhee jaysa hota to nah Deen ka koe Satoon Qaim
hota aur nah Iman kee koe Shaakh hari hote Khuda kee qasam tum apnay kartoot say doodh kay
badlay Khoon Doho gay aur akhar main pachtawo gay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 107>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 123
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 57:>>>

App ka Arshaday Garami:>>>

(Aik Qablay Muzamat Shakhs kay baray main)>>>

Agaah ho jawo khay Anqareeb tum par aik Shakhs Musalat ho ga jiss ka Halaq Khushadah aur
Pait Bara ho ga jo pa jayay ga kaha jayay ga aur jo nah payay ga uss kee justajoo main rahay ga
tumhari Zimahdari ho gee khay usay qattal kar do magar tum har giz qattal nah karo gay>>>

Khair who Anqareeb tumhain, Mujhay Galiyaan daynay aur mujh say baizari karnay ka bhe
Hukaam day ga to agar Galiyon kee baat ho to mujhay bura bhala khay layna khay yhe meray
liyay pakeezgee ka samaan hay aur tumharay liyay dushman say nijjaat ka laykan Khabardar
mujh say Burraat nah karna khay main Fitraatay Islam par paida huwa hun aur main nay Imaan
aur Hijraat donon main sabqaat kee hay>>>
Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 109>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 125
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 58:>>>

App ka Arshaday Garami:>>>

(Jiss ka Mukhatab unn Khuwaraj ko bananya gaya hay jo Thaykeem say Kinrah Kash ho gayay
aur “La Hukam Illallah” ka Narah laganay lagay)>>>

Khuda karay tum par Andhiyaan Ayain aur koe tumharay Haal ka Issllah karnay wala nah rhay
jayay kiya main Parwardaygar par Imaan lanay aur Rasoolay Akram s.a.w.w kay sath Jihaad
karnay kay baad apnay baray main Kuffer ka Aylaan kar dun aysa Karun ga to main Gumraha ho
jawon ga aur Hadayyat Yafftah Logon main nah rhay jawon ga Jawo Pallat jawo apni Badtareen
Manzaal kee taraf aur wapis chalay jawo apnay Nishanaat Qadaam par magar Agah ho khay
meray baad tumhain Humah Geer Zillat aur Katnay wali Talwaar ka Samna karna ho ga aur iss
Tareeqah kaar ka Muqaballah karna ho ga jisay Zaalam tumharay baray main apni Sunnat Bana
layain gay yaani har Cheez ko apnay liyay Makhsoos kar layna>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 109>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 125
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 59:>>>

Aap a.s nay Uss Waqat Arshaad Farmay Jab Aap a.s nay Khuwaraj say Jang ka Azam kar liya aur
Nairwaan kay Pull ko Paar kar liya:>>>

Yaad Rakho! Dushmanon kee Qattal Gaah Dariya kay uss taraf hay Khuda kee Qasam nah unn
main kay Daas Baqi Bacahin gay aur nah tumharay Daas Halaak ho sakain gay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 109>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 126
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 60:>>>

(App a.s nay Farmaya Uss Waqat Jab Khuwarij kay Qattal kay Baad Logon nay Kaha khay Ab to
Qoum Ka Khataymah ho chuka hay)>>>

Hargiz Nhen Khuda Gawah hay khay yhe abhee Mardon kay Salaab aur Auraton kay Rayhaim
main Mujood aur Jab bhe inn main koe sar nikalay gaa usay Kaat diya jayay ga Yahan Taak khay
Akar main Siraaf Lutayray aur Chorr ho kar rhay jayain gay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 111>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 128
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 61:>>>

App a.s nay Farmaya:>>>

Khabardar Meray Baad Kharooj karnay walon say Jang nah karna khay Haq kee Talab main
Nikal kar bayhaik janay wala uss kay jaysa nhen hota hay jo Batal kee Talash main Nikalay aur
Haasal bhe kar lay>>>

Syed Razi Farmtay hain khay Akhari Jumllah say Muraad Mawiyah aur uss kay Ashaab hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 111>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 128
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 62:>>>
Ap a.s kaa Arshaday Garami Jab Aap a.s ko achanak Qattal say Daraya gaya>>>

Yaad Rakho meray liyay Khuda kee Taraf say aik Mazboot o Mustahikam Sipar hay uss kay Bad
jab mera din Aa jayay ga to yhe Sipar mujh say Alag ho jayay gee aur mujhay Mout kay
Hawalay kar day gee uss waqat nah Teer Khaata karay ga aur nah Zakhaam Mudammil ho sakay
ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 111>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 128s
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 63:>>>

(Jiss main Duniya kay Fitnon say Daraya gaya hay)>>>

Agah ho jawo khay yhe Duniya aysa Ghar hay jiss main Salamati ka Samaan isee kay andar kiya
ja sakta hay aur koe aysee Shay Waseelahay Nijaat nhen ho sakti hay jo he kay liyay ho Log iss
Duniya kay Zariyay Azmayay Jatay hain Jo Log Duniya ka Samaan Duniya he kay liyay Hasaal
kartay hain woh isay Chorr kar chalay jatay hain aur pher Hisaab he dayna hota hay aur jo Log
Yahan say wahan kay liyay Hasaal kartay hain who Wahan jaa kar pa laytay hain aur usee main
Muqeem ho jatay hain yhe Duniya Darhaqeeqat Saahibanay Aqaal kee Nazaar main aik Sayaa
Jaysee hay jo daykhtay daykhtay simaat jata hay aur phayltay phayltay kam ho jata hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 111>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 128
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 64:>>>

(Naik Amaal kee Taraf Sabqat kay baray main)>>>

Bandayganay Khuda! Allha say Daro aur Amaal kay sath Ajal kee Taraf Sabqat karo iss duniya
kay faani maal kay Zariyay baqi rhaynay wali Akhrat ko khareed lo aur yahan say kooch kar
jawo khay tumhain taizee say layjaya Ja raha hay aur Mout kay liyay amadah ho jawo khay woh
tumharay saron par mandla rahee hay iss Qoum jaysay ho jawo jisay Pukara gaya to Furan
hosiyaar ho gayee aur uss nay jaan liya khay duniya uss kee manzal nhen hay to usay Akhrat say
badal liya iss liyay khay Parwardaygar nay tumhain Baykaar nhen paida kiya aur nah Mehmal
chora diya hay aur Yaad rakho khay tumharay aur Jannat O jhanam kay darmiyan itna he waqfah
hay khay mout nazal ho jayay aur anjaam samnay aa jayay aur mudatay Hayaat jiysay har
Lehzah kam rka raha ho aur har Saat uss kee Amarat ko Muhadam kar rahee ho woh qasar al
Midaat he samajnay kay laiq hay aur woh mout jisay din raat dhakail kar agay la rahay hun usay
bout jald anay wala he khayal karna chaiyay aur woh shakhs jiss kay samnay kamiyabi ya
nakami aur badbakhti anay wali hay usay baytreen Samaan Mohiyah he karna chaiyay lihazah
tum duniya main rahay kar duniya say Zaaday Raah Hasaal kar lo jiss say Kaal apnay Nafaas ka
Tahafuz kar sako uss ka rastah yhe hay khay Bandah apnay Parwardaygar say Daray apnay
Nafaas say Ikhlaas rakhay tobah ko Muqadam karay Khuwahishaat par Ghalbah Hasaal karay iss
liyay khay uss kee Ajaal iss say Posheedah hay aur uss kee Khuwahish uss say Musalsal Dhokha
daynay wali hay aur Shaytaan uss kay sar par Sawaar hay jo Mosiyatton ko arastah kar raha hay
ta khay Insaan Murtakib ho jayay aur Tobbah kee Umeedain dilata hay ta khay uss main takheeer
karay yahan tak khay Ghaflaat aur bay Khabri kay Alaam main Mout uss par Hamlah Awaar ho
jati hay Hayay kiss qadar Hasraat ka Maqaam hay khay Insaan kee Umer he uss kay Khaylaaf
Hujjat ban jayay aur uss ka rozgaar he ussay Bad Bakhti tak pouncha day Parwardaygar say Dua
hay khay humhain aur tumhain unn Logon say Qarar day jinhain Naymatain Maghroor nhen
banati aur koe Maqsaaday Etaatay Khuda main Kotahee par Amadah nhen karta hay aur Mout
kay baad unn par Nidamat aur Ranj O Gham ka Nazool nhen hota hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 113>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 130
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 65:>>>

(Jiss main Elamay Elahi kay Lateef Tareen Mubhais kee Taraf Isharah kiya gaya hay)>>>

Tamam Tareefain uss Khuda kay liyay hain jiss kay Sifaat main Taqadam O Takhar nhen hota
hay khay who Akhar honay say phaylay Awal raha ho aur Batan bannay say phaylay Zahir raha
ho uss kay Elawah jisay bhe Wahid kaha jata hay uss kee Whadat Qillaat hay aur jisay bhe Azeez
Samjah jata hay uss kee Ezaat Zilaat hay uss kay Samnay har Qawi Zaheef hay aur har Maalik
Mamlook hay, Har Alaam Mutalaam hay aur Har Qadar Ajaaz hay har Sunnay Wala Lateef
Awazon kay liyay Bhairah hay aur Ownchi Awazain bhe usay Bhairah Bana Daytee hain aur
Durr kee Awazain bhe uss kee Had say Bahir Nikal jati hain aur usee tarah uss kay Elawah har
daykhnay wala Makhfee Rang aur Lateef jisam ko nhen daykh sakta hay uss kay Elawah har
Zahir Ghair Batan hay aur har Batan Ghair Zahir uss nay Makhlooqat ko apni Hakoomat kay
istaykaam ya Zamana kay nataij kay Khouf say nhen paida kiya hay>>>

Nah usay kisee Barabar walay Humlah Awar ya Sahibay Kasraat Shareek ya Takranay walay
Maday Muqabal kay Muqabla main Madaad layna thee yhe Saari Makhlook usee kee Paida kee
hue aur Paali hue hay aur yhe saray banday usay kay samnay saray Tasleem kham kiyay huway
hain uss nay Ashiya main Halool nhen kiya hay khay usay kisee kay andar samaya huwa kaha
jayay aur nah itna durr ho gaya hay khay alag thalag khayaal kiya jayay Makhlooqat kee Khalqat
aur Masnoowat kee Tadbeer usay Thaka nhen sakti hay aur nah koe Takhleeq usay Ajaz bana
sakti hay aur nah kise Qaza O Qadar main usay koe Shubah paida ho sakta hay uss ka har Faislah
Muhkam aur uss ka har Elaam Mutaqin aur uss ka har Hukam mustahikam hay Narazgee main
bhe uss say Umeed wabastah kee jati hay aur Naymaton main bhe uss ka Khouf La Haq rhayta
hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 115>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 131
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 66:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garami>>>

(Taleemay Jang kay baray main)>>>

Muslmano! Khoufay Khuda ko apna Shuwar Banawo Sakoon O Waqar kee Chadar Ourh lo
Danton ko Bhainch lo khay iss say Talwarain Saron say Uchat jati hain Zirah Poshi ko Mukamal
kar lo Talwaron ko Niyaam say Nikalnay say phaylay Niyaam kay andar Harkat day lo Dushman
ko tirchee nazar say daykhtay rahwo aur Naizon say donon taraf war kartay rahwo usay apni
Talwaron kee Barh par rakho aur Talwaron kay Humlay Qadam Agay Barha kar karo aur yhe
yaad rakho khay tum Parwardaygar kee Nigah main aur Rasoolay Akram s.a.w.w kay Ibnay
Umm kay sath ho Dushman par Musalsal Humlay kartay rahwo aur Farar say Sharam karo khay
uss ka Arr Naslon main Rhay jata hay aur uss ka anjaam Jahanam hota hay apnay Nafason ko
Hansi Khushi Khuda kay Hawalay kar do aur Mout kee Taraf Nahayat Darja Sakoon O
Etmaynan say Qadam agay Barhawo Tumara Nishana aik Dushman ka Azeem Lashkar aur
Tanab Dar Khaymah hona Chaiyay khay usee kay Wast par Humllah karo khay Shaytaan usee
kay aik Goshah main Bhaitha huwa hay uss ka Haal yhe hay khay uss nay aik Qadam Hummlah
kay liyay Agay Barha Rakha hay aur aik Bhagnay kay liyay peechay kar rakha hay Lihazah tum
Mazbooti say apnay Iraday par Jamay rahwo Yahan tak khay Haq Subah kay Ujalay kee Tarah
Waziyah ho jayay aur Mutmayeen raho khay Bulandi tumhara Hisah aur Allha Tumharay sath
hay aur who tumharay Amaal ko Zaya nhen kar sakta hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 117>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 133
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 67:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garami Jab Rasoolay Akram s.a.w.w kay Bad Saqeefah Bani Saadah kee
Khabrain pouncheen aur Aap a.s nay Poocha khay Ansaar nay kiya Ahaytayjaj kiya to Logon nay
bataya khay who yhe khay rahay thay khay aik Ameer humara ho ga aur aik tumhara to Aap a.s
nay Farmaya:>>>

Tum Logon nay unn kay Khaylaf yhe Istadlal kion nhen kiya khay Rasoolay Akram s.a.w.w. nay
tumharay Naik Kirdaron kay sath Husanay Salook aur Khata Karon say Darguzar karnay kee
Wasiyat Farmayee?>>>

Logon nay kaha khay iss main kiya Istadlal hay?>>>

Farmaya khay agar Imamat O Amaarat unn ka Hisah hote to unn say Wasiyat kee jati nah khay
unn kay baray main Wasiyat kee jati uss kay baad Aap a.s nay Sawaal kiya khay Quresh kee
Daleel kiya thee? Logon nay kaha khay who apnay app ko Rasoolay Akram s.a.w.w kay Shajrah
main Sabat kar rahay thay Farmaya khay Afsos Shajrah say Istadlal kiya aur Summrah ko Zayya
kar diya>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 117>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 133
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 68:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garami Jab App a.s nay Muhammad Bin Abi Bakar ko Misar kee Zimahdari
Hawalah kee aur unhain Qattal kar diya gaya>>>

Mera Iradah tha khay Misaar ka Haakim Hashim Bin Utbah ko banwun aur agar unhain bana
dayta to har gizz Maidaan ko Mukhalayfeen kay liyay Khali nah chortay aur unhain Moqa say
Faidah nah Uthanay daynay (Laykan Halaat nay aysa nah karnay diya)>>>

Iss Biyaan ka Maqsad Muhammad Bin Abi Bakar kee Muzamat nhen hay iss liyay khay who
mujhay Azeez tha aur mera he Parwardah tha>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 117>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 133
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 69:>>>

Ap a.s ka Arshaday Garaami Apnay Ashaab ko Sarzanish kartay huway>>>

Kab tak main tumharay sath who narmi ka bartwo karun jo Bimaar Awounth kay sath kiya jata
hay jiss ka Kohaan andar say khokhla ho gaya ho ya uss Boseedah kapray kay sath kiya jata hay
jisay aik taraf say siya jayay to dusri taraf say phat jata hay jab bhe shaam ka koe dastah
tumharay kise dastah kay samnay ata hay to tum main say har Shakhs apnay ghar ka darwazah
band kar layta hay aur iss tarah chup jata hay jaysay Suraakh main Goh ya Bhatt main Bijoo
Khuda kee Qasam Zaleel who he ho ga jiss kay tum jaysay madadgar hun gay aur jo tumharay
Zariyah Teer Andazi karay ga goya who Sofar Shikastah aur paikan Nadashtah Teer say Nishana
lagayay ga Khuda kee Qasam tum Sayhain Khana main bhout daykhayee daytay ho aur
parchamay Lashkar kay Zairay Sayaah bout kam nazar atay ho main tumhari Islaah ka tareeqah
janta hun aur tumhain Seedah kar sakta hun laykan kiya karun apnay Deen ko barbaad kar kay
tumhari Islaah nhen karna chata hun Khuda tumharay Chairon ko Zaleel karay aur tumharay
Naseeb ko Bad Naseeb karay tum Haq ko iss tarah nhen paychantay ho jiss tarah batal kee
Marayfat rakhtay ho aur Batal ko uss tarah Bataal nhen qarar daytay ho jiss tarah Haq ko Ghalat
Thairatay ho>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 119>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 136
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 70:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garmi>>>

(Uss Sayhair kay Hangaam Jab Aap kay Saray Aqdas par Zarab Lagayee Gayee)>>>

Abhe main Bhaitah huwa tha khay Achanak Ankh lag gayee aur aysa Mehsoos huwa khay
Rasoolay Akram s.a.w.w samnay Tashreef Fama hain main nay Araz ke khay main nay App
s.a.w.w kee Ummat say bay Panah Kajravee aur dushmani ka Mushahidah kiya hay Farmaya
khay Bad Duwa karo?>>>
To main nay yhe dua kee Khudaya mujhay inn say Bhaytar Qoum Day day aur inhain mujh say
Sakhat tar Rehnoma day day>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 119>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 136
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 71:>>>

App a.s kay Khutba ka aik Hissah Ahaylay Iraq kee Muzamat kay baray main>>>

Ama Bad Ay Ahaylay Iraq! Bass tumhari misaal uss Hamilah Aworat kee hay jo 9 Maah tak
bachay ko shikam main rakhay aur Jab Willadat ka waqt ayay to Saaqit kar day aur pher uss ka
Shohar bhe mar jayay aur Baywagee kee Mudat bhe taweel ho jayay khay Qareeb ka koe waris
nah rhay jayay aur durr walay waris ho jayain>>>

Khuda Gawah hay khay main tumharay paas apnay ikhtiyar say nhen aya hun balkay halaat kay
jabar say aya hun aur mujhay yhe khabar milee hay khay tum log mujh par jhoot ka ilzaam
lagatay ho Khuda tumhain Gharaat karay main kiss kay khaylaf Ghlat biyaani karun ga?>>>

Khuda kay Khaylaf? Jab khay main sab say phaylay uss par Imaan laya hun>>>

Ya Rasoolay Khuda kay Kay Khaylaf? Jab khay main nay sab say phaylay unn kee tasdeeq kee
hay>>>

Har giz nhen! Balkhay yhe bat aysee thee jo tumhari samaj say bala tar thee aur tum uss kay
Ayhal nhen thay Khuda tum say samjay main tumhain Jawahir Paray Naap Naap kar day raha
hun aur koe qeemat nhen maang raha hun magar Ay Kaash tumharay paas uss ka Zaraf hota! Aur
Anqareeb tumhain iss kee Haqeeqat Maloom ho jayay Gee>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 121>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 138
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 72:>>>
Aap a.s kay Khutba ka aik Hissah Jiss main Logon ko Salwaat kee Taleem dee gayee hay aur
Sifaatay Khuda aur Rasool s.a.w.w ka Zikar kiya gaya hay>>>

Ay Khuda! Ay Farashay Zameen kay Bichanay walay aur Buland tareen Asmanon ko roknay
walay aur Dilon ko unn kee naik bakhat ya bad bakhat Fitraton par Paida karnay walay>>>

Apni Pakeezah Tareen aur Musalsal barhnay walay Barkaat ko apnay bandah aur Rasool Hazray
Muhammad s.a.w.w par Barqarar day jo Naboowaton kay Khatam karnay walay Dil O Dimagh
kay band darwazon ko kholnay walay, Haq kay Zariyay Haq ka Aylaan karnay walay Batal kay
josh o kharosh ko Rafah karnay walay aur Gumrahiyon kay Humlon ka sar khuchalnay walay
thay jo Baar jiss tarah unn kay Hawalah kiya gaya unhon nay utha liya teray Amar kay sath
Qiyaam kiya Teri Marzi kee Rah main Taiz Qadam barhatay rahay nah agay barhnay say inkaar
kiya aur nah unn kay iradon main Kamzori ayee Teri Wahee ko Mehfooz kiya teray Ayhaid kee
Hifazat ke Teray Hukaam kay Nifaaz kee raah main barhtay rahay yahan tak khay Roshni ke
justajoo karnay walon kay liyay Aag Roshan kar dee aur gum kardah Raah kay liyay Rastah
Waziyah kar diya unn kay Zariyah Dilon nay Fiton aur Gunahon main Gharaq rhaynay kay baad
bhe Hadaya pa lee aur unhon nay Rastah Daykhanay walay Nishanaat aur Waziyah Ahaykaam
Qaim kar diyay who teray Amanatdaar Banday, Teray Poshidah Aloom kay Khazana Dar, Rozay
Qiyamat kay liyay teray Rahay Haq kay sath bhayjay huway aur Makhlooqat kee taraf teray
numaindah thay>>>

Khudaya unn kay liyay apnay Sayayay Rhaymat main Waseeh Tareen Manzal Qarar day day aur
unn kay Khair ko apnay Fazal say do gunah kar day Khudaya unn kee Emarat ko tamam
Emaraton say buland tar aur unn kee Manzal ko apnay paas Bazurg tar bana day unn kay noor
kee Takmeel Farma aur Risalaat kay Silaah main unhain Maqbool Shahadat aur Pasandeedah
Aqwaal ka Inaam Anayat kar khay unn kee Guftagoo Humeshah Adilana aur unn ka Faislah
Humeshah Haq O Batal kay Darmiyan Haday Fasaal raha hay>>>

Khuda humhain unn kay sath Khushgawar Zindagee, Naymaat kee Manzal Khuwahishat O
Lazaat kee Takmeel kay Markaz Araish O Tamanat kay Maqam aur Karamaat O Sharafat kay
Tufon kee Manzal par Jamma kar day>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 123>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 138
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 73:>>>

Ap a.s ka Arshaaday Garaami Jo Marwaan Bin Al Hukam say Basrah main Farmaya>>>
Kaha jata hay khay Jab Marwaan Bin Al Hukaam Jangay Jamal main Giraftar ho gaya to Imam
Hassan a.s O Hussain a.s nay Ameer Ul Momineen a.s say uss kee Safarash kee aur Aap a.s nay
usay Azaad kar diya to donon Hazraat nay Araaz kee khay ya Ameer Ul Momineen a.s yhe Abb
Ap a.s kee Bait karna chata hay to App a.s nay Farmaya:>>>

Kiya uss nay Qatalay Usman kay baad meri Bait kee the? Mujhay uss kee Bait kee koe Zaroorat
nhen hay yhe aik Yahoodi Qisam ka Hath hay agar hath say Bait kar bhe lay ga to Rakeek
Tareeqah say usay Torr Dalay ga Yaad Rakho usay bhe Hakoomat milay gee Magar Siraf Itnee
Dair Jitnee Dair main Kuta apni Naak Chatata hay Uss kay Elawah Yhe Chaar Baiton ka Baap
bhe hay aur Umaatay Islamiyah iss say aur iss kee Awolaad say Bad Tareen Din Daykhnay Wali
hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 125>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 142
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 74:>>>

Aap a.s kay Khutba ka aik Hissah Jab Logon nay Usman kee Bait karnay ka Iradah kiya>>>

Tumhain Maloom hay khay main tamam Logon main saab say Zaidah Khaylafat ka Haqdar Hun
aur Khuda Gawah hay khay main iss waqat tak Halaat ka sath dayta rahun ga jab tak
Musalmanon kay Masail Theek rahain aur Zulam Siraf meri Zaat tak Mehdood rahay ta khay
main uss ka Ajar O Sawaab Hasaal kar sakoon aur iss Zaib O Zeenat Duniya say apni bay niyazi
ka Izhaar kar sakoon jiss kay liyay tum saab maray ja rahay ho>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 125>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 142
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 75:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garaami Jab Aap a.s ko Khabar Milee khay Bani Ummaiyah Aap a.s par
Koonay Usman ka Ilzaam laga rahay hain>>>
Kiya Bani Ummaiyah kay Waqiyahee Maloomaat unhain mujh par Ilzaam Tarashee say nhen rok
sakay aur kiya Jahilon ko meray Karnamay iss Ithaam say baaz nhen rakh sakay? Yaqeenan
Parwardaygar nay Tohmat O Iftaraa kay Khaylaaf jo Nasiyaat Farmayee hay who meray Biyaan
say kaheen Zaidah Baleegh hay main Barhaal in Bay Deenon par Hujjat tamam karnay wala Inn
Ayaid Shikaan Mubtala Tashkeek Afraad ka Dushman Hun aur Tamam Mushtaba Mamlaat ko
Kitaabay Khuda par Pesh karna Chaiyay aur Rozay Qiyamat Bandon ka Hisaab unn kay Dilon
kay Muziraat (Niyaton) he par ho ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 127>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 143
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 76:>>>

Aap a.s kay Khutba ka aik Hissah Jiss main Amalay Salhay par Amadah kiya gaya hay>>>

Khuda Rehmat Nazal karay uss Bandah par jo kise Hikmat ko sunay to Mehfooz kar lay aur usay
kise Hadayat kee Dawat dee jayay to uss say Qareeb tar ho jayay aur kise Rehnoma say
Wabastah ho jayay to Nijaat Hasal kar lay apnay Parwardaygar ko har Waqt Nazar main rakhay
aur Gunahon say Darta rahay Khalaas Amaal ko Agay Barhayay aur Naik Amaal karta rahay
Qablay Zakheerah Sawaab Hasaal karay Qablay Parhaiz Cheezon say Ijtaynaab karay Maqsad
Ko Nigahon main Rakhay Ajar Samait lay Khuwahishaat par Ghalab Aa jayay aur Tamanawon
ko jhutla day Sabar ko Nijaat ka Murakab bana lay aur Taqwa ko Wafaat ka Zakheerah Qarar day
lay Roshan Rastah par chalay aur Waziyah Shahirah ko Ikhtiyaar karay Muhlaatay Hayaat ko
Ghaneemat qarar day aur Mout kee Taraf Khud Sabqat karay aur Amaal ka Zaday Raah lay kar
agay Barhay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 127>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 143
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 77:>>>

Ap a.s ka Arshaday Garaami Jab Saeed Bin Al Aas nay Ap a.s ko Ap a.s kay Haq say Mehroom
kar diya>>>
Yhe Banni Ummaiyah Mujhay Mairaasay Payghambar s.a.w.w ko bhe thora thora kar kay day
rahay hain Halaan khay agar main zindah rahay gaya to iss tarah jhaar kar phaink dun ga jiss
tarah Qasaab Gosht kay Tukray say Matti ko jhaar dayta hay>>>

Note: Syed Razi Iss kalam kay baray main Farmatay hain khay Baaz Rawayaat main “Wazaam
Tarbah” kay bajayay “Turab Al Wazmah” hay jo Maynee kay Aytabar say Makoos Tarkeeb
hay>>>

“Layfooqoumaynee” ka Mafhoom hay Maal ka thora thora kar kay dayna jiss tarah kay Awounth
ka doodh nikala jata hay Fawaq Awounth ka aik Martabah ka Doodha huwa doodh hay aur
Wazaam O Zimah kee Jama hay jiss kay Maynee Tukray kay hain Yaani Jigar ya Anton ka who
Tukra jo Zameen par girr jayay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 127>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 144
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 78:>>>

Aap a.s kee Dua Jisay brabar Takrar Farmaya kartay thay>>>

Khudaya meri Khatar inn Cheezon ko Maaf kar day jinhain tun mujh say baytar Janta hay aur
Agar pher Inn Amoor kee Takrar ho to tun bhe Maghfirat kee Takrar Farma Khudaya Inn Wadon
kay baray main bhe Maghfirat Farma Jinn ka Tujj say Wadah kiya gaya laykan unhain Wafa nah
kiya ja saka Khudaya Inn Amaal kee bhe Maghfirat Farma Jinn main Zuban say Teri Qurbat
Ikhtiyar kee gayee laykan dill nay uss kee Mukhalayfat he ke>>>

Khudaya Ankhon kay Tanziyah Isharon Dhan kay Nashahistah Kalaymaat Dil kee Beeja
Khuwahishaat aur Zuban ke harzah Sariyon ko bhe Maaf Farma day>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 129>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 146
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 79:>>>
Ap ka Arshaaday Garami jab Jangay kay liyay Nikaltay waqt Baaz Ashaab nay kaha khay Ameer
Al Momineen a.s iss Safar kay liyay koe dusra waqt ikhtiyar Farmayainn iss waqt Kamiyabi kay
amkanaat nhen hain khay Elamay Najoom kay Hisabaat say yhe he andazah hota hay>>>

Kiya tumhara khayal yhe hay khay tumhain who Saat Maloom hay jiss main nikalnay walay say
Balayain Tal jayain gee aur tum iss Saat say Darana chatay ho jiss main safar karnay wala
Nuqsanaat main ghirr jayay ga? Yaad rakho jo tumharay iss Biyaan kee Tasdeeq karay ga who
Quran kee Takzeeb karnay wala ho ga aur Mehboob Ashiyaa kay Hisool aur Na Pasandeedah
Amoor kay Dafa karnay main Madaaday Khuda say bay Niyaaz ho jayay ga kiya tumhari
Khuaish yhe hay khay tumharay Afaal kay mutabiq amal karnay wala Parwardaygar kay bajayay
tumhari he Tareef karay iss liyay khay tum nay apnay Khayal main usay uss Saat ka patah bata
diya hay jiss main Manfiyat Hasaal kee jati hay aur Nuqsanaat say Mehfooz raha jata hay>>>

Ayo Hanaas! Khabardar Najoom ka Elaam matt Hasal karo magar itna he jiss say Bar O Bahaar
main rastay dariyaft kiyay ja sakain khay yhe Elaam Kahanat kee taraf lay jata hay aur Manjam
bhe aik Tarah ka Kahaan (Ghaib kee Khabar daynay wala) ho jata hay jab khay Kahan Jadoogar
jaysa hota hay aur Jadoogar Kafir jaysa hota hay aur Kafir ka Anjaam Jahanam hay Chalo
Namay Khuda lay kar Nikal parho>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 129>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 146
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 80:>>>

Ap a.s kay Khutbah ka Aik Hissah Jangay Jamal say Faraghat kay bad Aworaton kee Muzamat
kay baray main>>>

Logo! Yad rakho khay Aworatain Iman kay Aytaybar say Meraas kay Hissah kay Aytabar say Aur
Aqal kay Aytabar say Naqas hote hain Iman kay Aytaybar say Naqas honay ka Matlab yhe hay
khay who Ayamay Haiz main Nimaz Rozah say Baith jati hain aur Aqlon kay Aytabar say
Naqaas honay ka Matlab yhe hay khay unn main do Aworaton kee Gawahee aik Maraad kay
barabar hote hay Hisaah ke Kami yhe hay khay unhain Mairaas main Hisaah Mardon kay Adhay
Hisah kay Barabar milta hay Lihazah tum Badtareen Aworaton say bachtay raho aur Baytareen
Aworaton say bhe Hoshiyaar raho aur Khabardar Naik Kaam bhe unn kee Etaat ke Bina par
Injaam nah dayna khay unhain buray kaam ka Hukaam dayna ka Khayalpaida ho jayay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 131>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 147
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 81:>>>

App a.s ka Arshaday Garaami Zuhad kay Baray main>>>

Ayo Hanaas! Zuhad Umeedon kay kam karnay Naymaton ka Shukriya Ada karnay aur
Muharaymat say Parhaiz karnay ka Naam hay Ab agar yhe kaam tumharay liyay Mushkal ho
jayay to kam az kam itna karna khay Haraam tumhari Qoowatay Bardasht par Ghalab nah anay
payay aur Naymaton kay Moqa par Shukriya Ko Faramosh nah kar dayna khay Parwardaygar
nay Nahayat Darjah Waziyah aur Roshan Daleelon aur Hujjat tmam karnay wali kitabon kay
Zariyah tumharay har Uzar ka Khataymah kar diya hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 131>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 148
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 82:>>>

App a.s ka Arshaday Garaami Duniay kay Sifaat kay baray main>>>

Main iss Duniya kay baray main kiya kahun jiss kee Ibtayda Ranj O Gham aur Intayha Fanna O
Neesti hay iss kay Halaal main Hisaab aur Haraam main Aytaab hay jo iss main Gani ho jayay
who Azmahishon main Mubtilla ho– jayay aur who Ranjeedah O Afsurdah ho jayay jo iss kee
Taraf Durr lagayay uss kay hath say nikaal jayay aur jo munh phair kar bhaith rahay uss kay paas
Hazir ho jayay jo iss ko Zariyah Bana kar Agay daykhay usay Beena Bana day aur jo iss ko
Manzooray Nazaar bana lay usay Andah bana day>>>

Syed Razi Iss Khutba kay Baray main Farmatay Hain Agar koe Shakhs Hazrat kay iss Arshaday
Garmi “Main Absar Bayha Baysiratahoo” Main Ghorr kar to Ajeeb O Ghareeb Maynee aur Door
Raas Haqaiq ka Idraak kar lay ga jinn ke Bulandiyoh aur Gehrayiyon ka Idraak Mumkin nhen
hay Hasoosiyat kay sath agar dusray Fiqrah “Man Absar Alayha Umataho” ko mila liya jayay to
“Absar Bayha” aur Absar Alayha” ka Faraq aur Numaiyaan ho jayay ga aur Aqal Madhosh ho
jayay gee>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 131>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 148
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 1:>>>

App a.s kay Khutba ka aik Hissah iss Ajeeb O Ghareeb Khutba ko Ghara Kaha Jata Hay>>>

Iss Khutba main Parwardaygar kay Sifaat, Taqwa kee Nasiyat, Duniya say Baizari ka Sabaq,
Qiyamat kay Halaat Logon kee Bay Rukhee par Tambiyah aur pher Yaday Khuda Dillanay main
apni Fazeelat ka Zikar kiya gaya hay>>>

Saari Tareef uss Allha kay liyay hay jo apni Taqat kee Bina par Buland aur apnay Ahaysasaat kee
Bina par Bandon say Qareeb tar hay who har Faidah aur Fazal ka Ata karnay wala aur har
Museebat aur Ranj ka Talnay wala hay main uss kee karam Nawaziyon aur Naymaton kee
Farawaaniyon kee Bina par uss kee Tareef karta hun aur uss par Imaan rakhta hun khay who he
Awal aur Zahir hay aur usee say Hadayat Talab karta hun khay who he Qareeb aur Haadi hay
usee say Madaad Chata hun khay who he qadar aur Qahir hay aur usee par Barosah karta hun
khay who he Kaafi aur Naasir hay>>>

Aur main Gawahee Dayta hun khay Hazrat Muhammad s.a.w.w uss kay Bandah aur Rasool
s.a.w.w hain unhain Parwardaygar nay apnay Hukaam ko Naafaz karnay, Apni Hujjat ko Tamam
karnay aur Azaab kee Khabrain Pesh karnay kay liyay bhayja hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 133>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 149
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 2:>>>

Bandayganay Khuda! Main tumhain uss Khuda say Darnay kee Dawat dayta hun jiss nay
tumhari hadayat kay liyay Misalain Biyaan kee hain tumhari Zindage kay liyay Mudaat
Moyeeyan kee hay tumhain Mukhtalaf qisam kay libaas phaaynayay hain tumharay liyay
Asbaabay Mayeeshahat ko Farwaan kar diya hay tumharay Amaal ka mukamal Ahaatah kar
rakha hay aur tumharay liyay Jaza ka Intayzaam kar diya hay tumhain mukamal Naymaton aur
Wasi Tar Aatiyon say nawaza hay aur Mowasar Daleelon kay Zariyah Azaabay Akharat say
Daraya hay tumharay Adaad ko Shumaar kar liya hay aur tumharay liyay iss Imtayhaan Gaah aur
Maqamay Abraat main Mudatain Moyeeyan kar de hain Yaheen tumhara Imtayhaan liya jayay ga
aur usee kay Aqwaal O Amaal par tumhara Hisaab kiya jayay ga>>>
Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 133>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 150
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 3:>>>

Yaad rakho iss duniya ka Sarchishma Gandah aur iss ka Ghaat Gulay Alood hay iss ka Manzar
Khoobsurat dikhayee dayta hay Laykan andar kay Halaat Intayhayee Darjah Khatarnak hain yhe
Duniya aik Mitt janay wala Dhokha aik bujh janay wali Roshni aik Dhaal janay wala saya aur
aik Gir janay wala Sahara hay jab iss say Nafrat karnay wala manoos ho jata hay aur isay bura
samjnay wala mutmayeen ho jata hay to yhe achanak apnay pairon ko pataknay lagtee hay aur
Ashiq ko apnay Jaal main Giraftar kar laytee hay aur pher apnay Teeron ka nishana bana laytee
hay Insaan kee Gardan main Mout ka Phandah Daal Daytee hay aur usay Khainch kar Tangee
Murqad aur Wahishahtay Manzal kee taraf lay jati hay jahan who apna Thikana daykh layta hay
aur apnay amaal ka Muwavzaa Hasaal kar layta hay aur Youn he yhe Silsala Nasloon main
Chalta rhayta hay khay Awolaad Bazurgon kee Jagah par Aa Jati hay nah Mout Cheerah
Dastiyon say baaz atee hay aur nah anay walay Afraad Gunahon say Baaz atay hain puranay
Logon kay Naqashay qadam par chaltay rhaytay hain aur Taizee kay sath apni Akhari Manzalay
Intayha O Fana kee Taraf Barhtay rhaytay hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 135>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 151
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 4:>>>

Yahan tak khay Jab tamam Muamlaat khatam ho jayain gay aur tamam zamanay Beet jayain gay
aur Qiyamat ka waqt Aa Jayay ga to unhain Qabron kay Goshon Parindon kay Ghonslon
Darindon kay bhaton aur Halakat kee Manzlon say Nikala jayay ga uss kay Amar kee Taraf Taizi
say Qadam Barhatay huway aur apni Wadah Gah kee Taraf Barhtay huway Garoh Dar Garoh
Khamosh Saaf Bastah aur Istadah>>>

Nigaahay Qudrat unn Par Havee aur Daayee Elahi kee Awaaz unn kay kanon main Badan par
Baychargee ka Libaas aur Khud Sapurdagee O Zilaat kee Kamzori Ghalab Tadbeerain Gum,
Umeedain Munqata Dil Mayoos kun khamoshi kay saht bhaythay huway >>>>
Aur Awazain Dab kar Khamosh ho jayain gee Paseenah Munh main Lagaam laga day ga aur
Khoufay Azeem ho ga Kaan uss Pukarnay walay kee Awaaz say Laraz Uthain gay jo Akhari
Faislah Sunayay Ga aur Amaal ka Mawazah Daynay aur Akharat kay Awoqaab Ya Sawaab kay
Hasool kay liyay Awaaz day ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 137>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 154
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 5:>>>

Tum who banday ho jo uss kay iqtaydar kay Izhaar kay liyay paida huway ho aur uss kay Ghalba
O Taslat kay sath unn kee Tarbiyat hue hay Naza kay Hangaam unn kee Rohain Qabaz kar lee
jayain gee aur unhain Qabron kay andar Chupa diya jayay ga yha Khaak kay andar mill jayain
gay aur pher Alag Alag Uthayay jayain gay unhain Amaal kay Mutaabiq badlah diya jayay ga aur
Hisaab kee manzal main alag alag kar diya jayay ga unhain duniya main Azaab say nikalnay ka
rastah talaash karnay kay liyay Muhlaat dee ja chuki hay aur unhain roshan rastah kee Hadayat
kee ja chuki hay unhain Marziyay Khuda kay Hasool ka Moqa bhe diya ja chuka hay aur unn ke
nigahon say Shak kay parday bhe uthayay ja chukay hain unhain maidanay Amal main Azaad
bhe chora ja chuka hay ta khay Akharat kee Durr ke Tiyari kar layain aur souch samj kar manzal
kee Talash kar layain aur itnee muhlat pa layain jitnee Fawaid kay Hasal karnay aur Ayaindah
Manzal ka Saman Muhaiyah karnay kay liyay Zaroori hote hay>>>

Hayay yhe kiss Qadar Saheeh Misalain aur Safa Bakhash Nasiyatain hain agar unhain Pakeezah
dil, sunnay walay kaan, Mazboot Rayain aur Hosiyaar Aqlain Naseeb ho jayain lihazah Allha say
Daro uss Shakhs ke Tarah jiss nay Nasiyaton ko Suna to Dil main Khashoo Paida ho gaya aur
Gunah kiya to Furaan Aytraaf kar liya aur Khoufay Khuda Paida huwa to Amal Shuroo kar
diya>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 137>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 154
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 6:>>>


Akharat say Dara to Amal kee Taraf Sabqat kee Qiyamat ka Yaqeen Paida kiya to Baytreen
Amaal Injhaam diyay Abraat Dilayee gayee to Abraat Hasaal kar lee Khouf Dilaya gaya to Dar
gaya Roka gaya to Ruk gaya Sadayay Haq par Labaik khayee to uss kee Taraf Mutawajo ho gaya
aur Murr kr aa Gaya to Toba kar lee Bazurgon kee Iqtayda kee to unn kay Naqashay Qadam par
Chala Manzaray Haq daykhaya gaya to daykh liya Talab Haq main Taiz Raftaari say Baraah aur
Batal say Farar kar kay Nijaat Hasaal kar lee apnay liyay Zakhairyay Akharat Jama kar liya aur
apnay Batan ko paak kar liya Akharat kay Ghar ko Abaad kiya aur Zaad Raah ko Jama kar liya
uss Din kay liyay jiss Din Yhan say Kooch karna hay aur Akharat ka Rastah Ikhtiyaar karna hay
aur Amaal ka Muhtaaj hona hay aur Mhail Fuqar kee Taraf jana hay aur humeshan kay Ghar kay
liyay Saman Agay Agay Bhaij diya>>>

Allha kay Bando! Allha Say Daro uss Juhat ke Gharaz say jiss kay liyay tum ko Paida kiya gaya
hay aur uss ka Khouf Paida karo iss Tarah jiss Tarah uss nay tumhain apnay Azmat ka Khouf
Dilaya hay aur uss ka Ajar ka Istayqaq Paida karo jiss ko uss nay tumharay liyay Muhaiya kiya
hay uss kay Sachay Wadhay kay Pura karnay aur Qiyamat kay holl say bachnay kay Mutalbah
kay sath>>>

Uss nay tumhain Kaan Anayat kiyay hain taa khay Zaroori Baton ko Sunain aur Ankhain dee
hain ta khay Bay Basri main roshni Ata karain aur jisam kay who Hisay Diyay hain jo Mukhtalaf
Aza ko Samaytanay Walay hain aur unn kay Paich O Kham kay liyay Munasab hain Suraton kee
Tarkeeb aur Umeron kee mudat kay Aytaybar say aysay Badinon kay sath jo apni Zarooraton ko
Pura karnay walay hain aur Aysay Dilonn kay sath jo apnay Rizaq ke Talaash main rhatay hain
uss kee Azeem Tareen Naymaton, Aysan Mand bananay wali bakhshashon aur Salamti kay
Hisaron kay darmiyan uss nay tumharay liyay who umerain Qarar dee hain jin ko tum say
Makhfee rakha hay aur tumharay liyay Maazi main Guzar janay walon kay Asaar main Ebratain
Faraim kar dee hain who log jo apnay Khat O Naseeb say Lutaaf O Andoz ho rahay thay aur har
Bandhan say Azaad thay laykan mout nay unhain Umeedon kee takmeel say phaylay he Griftar
kar liya aur Ajaal kee Halakat Samaniyon nay unhain Hasoolay Maqsad say Alag kar diya unhon
nay Badan kee Salamti kay Waqt koe Tiyaari nhen ke the aur ibtaydayee Awoqaat main koe
Abrat Hassaal nhen kee thee to kiya Jawani kee Taro Tazah Umerain rakhnay walay Burhapay
main Kamar jhuk janay ka Intayzar kar rhay hain aur kiya Sayhaat kee Tazgee rakhnay walay
Museebaton aur Baymariyon kay Hawadas ka Intayzar kar rhay hain aur kiya baqa kee Mudaat
rakhnay walay Fanna kay waqt kay Muntazir hain jab khay waqtay Zawaal Qareeb ho ga aur
Intayqaal kee Saat Nazdeek tar ho gee>>>

Aur Bistaray Marag par Qalaq ke Baychainiyan aur Sozo Tapash ka Ranj O Alam aur Laab
Dahan kay phanday hon gay aur who Hangaam ho ga jab Insaan Aqraba Awolaad, Aza,
Ahaybaab say Madaad Talab karnay kay liyay Idar Udhar Daykh raha ho ga, to kiya Aj Taak
Kabhee Aqraba nay Mout ko Dafa kar dia hay Ya Fariyaad kise kay Kaam Ayee hay? Hargiz
nhen Marnay walay ko to Qabristan main Griftar kar diya gaya hay aur Tangee Qabar main
Tanha Chorr diya gaya hay iss Alaam main khay Keeray Makoray uss kee jild ko para para kar
rahay hain aur Pamaliyon nay uss kay Jisam kee Tazgee ko Boseedah kar diya hay Andhiyon nay
uss kay Asaar ko Mitaa diya hay aur Rozgaar kay Hadsaat nay uss kay Nishaanat ko Mehwar kar
diya hay jisam tazgee kay bad Halaak ho gayay hain aur Hadiyan Taqat kay bad Boseedah ho
gayee hain Roohain apnay Bojh kee Garani main Giraftaar hain aur ab Ghaib kee khabron ka
Yaqeen Aa gaya hay ab nah naik Amaal main koe Izafaah ho sakta hay aur nah Badtareen
Lagzashon ke Maynee Talab ke ja sakti hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 141>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 158
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 8:>>>

To kiya Tum log un he Abawo Ajdaad kee Awolaad nhen aur kiya un he kay bhai banday nhen ho
khay Pher un hee kay Naqashay Qadam par Chalay ja rahay ho aur un he kay Tareeqa ko
apnayay huway ho aur un hee kay rastah par Gamzan ho? Haqeeqat yhe hay khay Dil apna
Hisaah Hasaal karnay main Sakhat ho gayay hain aur Rahay Hadayat say Ghafal ho gayay hain
Ghalat maidanon main Qadam jamayay huway hain aysa maloom hota hay khay Allha ka
Mukhatab unn kay Elawah koe aur hay aur Shahid Saari Aqalmandi duniya he kay jamma kar
laynay main hay>>>

Yad rakho tumhari Guzar Gaah Siraat aur uss kee Halaakat Khaiz Laghzashain hain tumhain inn
Laghzashon kay Holnaak Marahail aur tarah tarah kay Khatarnaak Manazil say Guzarna hay
Allha kay Bando! Allha say Daro Iss Tarah jiss Tarah who Saahibay Aqal Darta hay jiss kay Dil
ko Fikaray Akharat nay Mashghool kar liya ho aur uss kay Badan ko Khouf nay Khastah Haal
Bana diya ho aur Shab Baidaari nay uss kee Bachi Khuchi Neend ko bhe Baydaari main Badal
diya ho aur Umeedon nay uss kay Dil ke Tapash ko Piyaas main Guzar diya ho aur Zahid nay uss
kay Khuwahishaat ko Pairon Thalay Rond diya ho aur Zikaray Khuda uss kee Zubaan par Taizi
say Durr raha ho aur uss nay Qiyamat kay Aman O Amaan kay liyay Yaheen khouf ka Rastah
Ikhtiyaar kar liya ho aur seedhi raah par chalnay kay liyay Tairi Rahon say Katraa kar chala ho
aur Matlooba Rastah Tak pounchnay kay liyay muhtadil Tareen Rastah Ikhtiyaar kiya ho>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 141>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 158
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 9:>>>


Nah Khush Faraibiyon nay Iss main Iztayraab Paida kiya ho aur nah Mushtaba Amoor nay Uss
kee Ankhon par Pardah Dala ho Basharat kee Musarat aur Naymaton kee rahat Hasal kar lee ho
Duniya kee Guzar Gaah say Qabalay Nafraat Andaaz say Guzar Jayay aur Akharat ka Zaday
Raah Naik Bakhtee kay sath Agay Bhaij Day Wahan kay Khatraat kay peshay Nazar Amal main
Sabqat kee Aur Muhlaat kay Awoqaat main Taiz Raftaari say Qadam Baraahaya Talabay Akharat
main Raghbaat kay Sath agay Barha Aur Buraiyon say Musalsal Farar karta raha Ajj kay Din
Kaal Par Nigaah rakhee aur Humeshan Aglee Manzalon ko Daykhta raha Yaqeenan Sawaab aur
Ata kay liyay Jannat aur Azaab O Wabaal kay liyay Jahanam say Baala Tar kiya hay aur pher
Khuda say Bhaytar Madaad karnay Wala aur Intayqaam laynay Wala kon hay aur Quran kay
Elawaah Hujjat aur Sannad kiya hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 143>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 160
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 10:>>>

Bandayganay Khuda! Main tumhain uss Khuda say Darnay Kee Wasiyat karta hun Jiss nay
Daranay Wali Ashiya kay Zariyah Uzar ka Khataymah kar diya hay aur Rastah Daykha kar
Hujjat tamam kar di hay tumhain uss Dushman say Hosiyaar kar diya hay jo Khamoshi say dilon
main Nafooz kar jata hay aur chupay say kaan main phonk dayta hay aur iss tarah gumrah aur
Halaak kar dayta hay aur wadah kar kay umeedon main mubtilaa kar dayta hay bad tareen jaraim
ko Khoobsurat bana kar pesh karta hay aur Muhlik Gunahon ko Asaan bana dayta hay Yahan tak
khay Jab apnay Sathi Nafas ko apni Lapait main lay layta hay aur apnay Qaidi ko ba Qaidah
Giraftaar kar layta hay to jiss ko Khoobsurat banaya tha uss he ko Munkir bana dayta hay aur
jisay Asaan banaya tha uss hee ko Azeem khaynay lagta hay aur jiss kee taraf say Mehfooz bana
diya tha uss hee say Daranay lagta hay>>>

Zara uss Makhlooq ko daykho jisay bananay walay nay Rayhaim kee Tareekiyon aur Mutadaad
Pardon kay Andar Youn banaya khay Uchalta huwa Nutfa tha pher Munjamid Khoon bana Pher
Janeen bana pher Razahat kee Manzal main Aya pher Tufalay Nokhaiz bana pher Jawaan ho gaya
aur uss kay bad malak nay usay Mehfooz karnay wala dil, bolnay wali zuban, daykhnay wali
ankh anayat kar dee ta khay abrat kay sath samj sakay aur nasiyat ka asar laytay huway buraiyon
say baaz rahay laykan jab uss kay Ayzaa main Aytaydaal paida ho gaya aur uss ka Qad O Qaamat
apni Manzal tak pounch gaya to Gharoor O Takabar say Akar gaya aur Aandhay Pan kay sath
Bhataknay laga aur huwa O Hawaas kay Doul bhar bhar kar khainchnay laga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 143>>>

To Be Continue will be in a Next post........


Page no 160
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 11:>>>

Tarab kee Lazaton aur Khuwahishaat kee Tamanawun main Duniya kay liyay An Thaak Kosish
karnay laga nah kise Museebat ka khayal rhay gaya aur nah kise Khouf O Khatar ka Asar Rhay
gaya Fitnon kay Darmiyaan Faraib Khurdah Mar gaya aur Mukhtasar see Zindagee ko
Bayhoodgiyon main Guzaar Gaya nah Kise Ajar Ka Intayzaam kiya aur nah kise Fareezah ko
Adaa kiya usee Baqi Manidah Sar Kashi kay Alam main Marag Bar Museebatain uss par Toot
pareen aur who Hairat Zadah rhay gaya ab ratain Jagnay main Guzar Rahee theen khay Shadeed
Qisam kay Alaam thay aur tarah Tarah kay Amraaz O Asqaam Jab khay Haqeeqi Bhai aur
Mehrbaan Baap aur Fariyaad karnay wali Maan aur Iztaraab say Seenah Kobi karnay wali Bhan
bhe Mujood thee laykan Insaan Sikraat Mout kee Madhosiyon Shadeed Qisam kee Bad
Hawasiyon Dard Naak Qisam kee Fariyadon aur Karab Angaiz Qisam kee Naza kee Kaifiyaton
aur thaka Daynay wali Shidaton main Mubtila tha>>>

Uss kay baad usay Mayoosi kay Alam main Kafan main Lapait diya gaya aur who Nahayat
Darjah Asaani aur Khud Sapurdagee kay sath Khaincha janay laga uss kay Baad usay Takhtah
par lita diya gaya iss Alam main khay Khastah Haal aur Bimariyon say Nidhaal ho chuka tha
Awolaad aur Biradari kay log usay Utha kar uss Ghar kee Taraf lay ja rahay thay jo Ghurbat ka
Ghar tha aur Jahan Mulaqaton ka Silsalah band tha aur Tanhayee kee Wahishaht ka Durr Durah
tha Yahan Tak khay Jab Mushaiyat karnay walay Wapis Aa Gayay aur Giryah Zaari karnay walay
Palat gayay to usay Qabar main Dubarah Utha kar Bitha Diya gaya Sawaal O Jawaab kee
Dhayshat aur Imtayhaan kee Laghzashon ka Samna karnay kay liyay Aur Wahan kee Sab say
Bari Museebat to Kholtay huway Paani ka Nazool aur Jahanam ka Dar hay jahan Aag Bharak
Rahee ho gee aur Sholay Buland ho rahay hun gay Nah koe Rahat ka Waqifah ho ga aur nah
Sakoon ka Lamha nah koe Taqatay Azaab ko roknay wali ho gee aur nah koe Mout Sakoon
Bakhash ho gee Had Yhe hay khay koe Tasali Bakhash Neend bhe nah ho gee Tarah Tarah kee
Moutain hun gee aur Dambadam Ka Azaab Bayshaq hum uss Manzal par Parwardaygar kee
Panah Kay Talab Gaar hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 145>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 162
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 83 Part No 12:>>>


Bandayganay Khuda! Kahan hain who log jinhain Umerain dee gayee to Khoob mazay Urayay
aur bataya gaya to sab samj gayay laykan Muhlat dee gayee to Ghaflat main Parh gayay Sayhat
O Salamti Dee gayee to uss Naymat ko bhool gayay unhain Kaafi Taweel Muhalat dee gayee aur
Kaafi Achee Naymatain Dee gayee aur unhain dard naak Azaab say Daraya bhe gaya aur
Baytareen Naymaton ka Wadah bhe kiya gaya Lyakan koe Faidah nah huwa ab tum log Muhlak
Gunahon say Parhaiz karo aur Khuda ko Naraaz karnay walay Ayoob say Durr rahwo tum
Sahibanay Samaat O Basarat aur Ahaylay Afiyaat O Sarwat ho batawo kiya Bacahwo kee koe
jagah ya Chutkara kee koe Gunjaish hay koe Thikana ya Panah Gaah hay koe Jayay Farar ya
Duniya main Wapisi kee koe Surat hay? Aur Agar nhen hay to Kider Bhaykay ja rahay ho aur
kahan tum ko lay jaya ja raha hay ya kiss dhokay main parhay ho?>>>

Yad Rakho! Iss Taweel O Areez zameen main tumhari qismat Siraf Baqadar Qamat Jagah hay
jahan Rukhsaron ko Khaak par rhayna hay>>>

Bandayganay Khuda! Abhee Moqa hay Raasi Dheeli hay Rooh Azaad hay tum Hadayat kee
Manzal aur Jismani Rahat ke Gagah par ho Majlison kay Ijma main ho aur Baqiyah Zindage kee
Muhlat salamat hay aur rastah Ikhtiyaar karnay kee Azaadi hay aur Toba kee Muhlat hay aur
Jagah kee Wusat hay Qabal iss kay khay Tangee Layhaid, Zeeq Makaan, Khouf aur Jankini ka
shikaar ho jawo aur Qabal iss kay khay who mout aa jayay jiss ka Intayzar ho raha hay aur who
Parwardaygar apni Grift main lay lay jo Sahibay ezaat o Ghalba aur Sahibay Taqat O Qudrat
hay>>>

(Syed Razi Iss Khutba Kay Baray Main Farmatay hain khay Kaha Jata hay khay jab Hazrat Ali
a.s nay iss Khutba ko Arshaad Farmaya to Logon kay Rongtay Kharay ho gayay aur Ankhon say
Ansoo jari ho gayay aur dil laraznay lagay Baaz log iss Khutba ko “Khutbayay Ghara” kay Nam
say yaad kartay hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 147>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 164
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 84:>>>

App a.s kay Khutba Ka Aik Hissah Jiss main Umer O Aas ka Zikar Kiya gaya hay>>>

Taajab Hay Nabghah kay Baitay Say khay yhe Ahaylay Sham say Biyaan karta hay khay meray
Mizaaj main Mizaah paya jata hay aur main koe khail Tamashah wala Insaan Hun aur Hansi
Mazaaq main laga rhayta hun Yaqeenan uss nay yhe baat Ghalaat khayee hay aur iss ke Bina par
Gunah Gaar bhe huwa hay>>>
Agah ho jawo kahy Badtareen Kalaam Ghalat Biyaani hay aur yhe jab bolta hay to jhoot he bolta
hay aur jab wadah karta hay to Wadah Khaylafi he karta hay aur jab iss say khuch manga jata
hay to Bukhal he karta hay aur jab khud mangta hay to chamat jata hay Ayhaid O Paymaan main
Khayanat karta hay Qarabaton main Qata Rhaim karta hay Jang kay Waqt Daykho to kiya kiya
Amr O Nayee karta hay Jab tak Talwarain apni Manzal par zorr nah pakar layain warnah jab aysa
ho jata hay to iss ka sab say bara Harbah yhe hota hay khay Dushman kay samnay apni pusht
pesh kar day khuda Gawaah hay khay mujhay khail kood say yaday Mout nay rok rakha hay aur
isay Harafay Haq say Nisyaanay Akhrat nay rokk rakha hay uss nay Mawiyah kee bhe uss waqt
tak nhen kee jab tak uss say yhe thay nhen kar liya khay usay koe Hadiyah day ga aur uss kay
samnay Tarakay Deen par koe Thofah pesh karay ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 149>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 166
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 85:>>>

App a.s kay Khutbah Ka Aik Hissah Jiss main Parwardaygar kay 8 Sifaat ka Tazkirah kiya
Gaya Hay>>>

Main Gawahee Dayta hun khay Allha kay Elawah koe Khuda nhen hay who Akayla hay uss ka
koe Shareek nhen hay who Aysa Awaal hay jiss say phaylay khuch nhen hay aur Aysa Akhar hay
jiss ke koe had Moyeeyan nhen hay Khayalaat uss kee kise Sifat ka Idraak nhen kar saktay hain
aur Dil uss kee koe Kayfiyaat Thay nhen kar sakta hay uss kee Zaat kay nah Ajza hain aur nah
Tukray aur Nah who Dil O Nigah kay Ayhatah kay andar Aa Sakta hay>>>

Bandayganay Khuda! Mufeed Abraton say Nasiyat Hasal karo aur Waziyah Nishaniyon say
Abrat ko Baleegh Daranay wali Cheezon say Asar Qabool karo aur Zikar O Mowazat say Faidah
Hasal karo yhe Samjho khay Goya Mout apnay panjay tumharay andar Gaarh Chuki hay aur
Umeedon kay Rishtay tum say Munqata ho chukay hain aur Dhayshat Naak Halaat nay tum par
Humllah kar diya hay aur Akhari Manzal kee Taraf lay janay ka Amal Shuroo ho chuka hay Yaad
Rakho khay “Har Nafas kay sath aik Hankanay wala hay aur aik Gawah Rhayta hay” Hankanay
Wala Qiyamat kee Taraf Khainch kar lay ja raha hay aur Gawahee daynay wala Amaal kee
Nigarani kar raha hay>>>

Sifaatay Jannat:>>>

Uss kay Darjaat Mukhtalaf aur uss kee Manzalain Past O Buland hain Laykan uss kee
Naymatain Khatam honay wali nhen hain aur uss kay Bashindon ko khayeen aur Kooch karna
nhen hay uss main Humeshan rhaynay wala bhe Boorah nhen hota hay aur uss kay rhaynay
walon ko Faqar O Faqa say Sabqah Nhen parhta hay>>>
Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 149>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 166
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 86:>>>

(Ap a.s Kay Khutba ka Aik Hissah Jiss main Sifaatay Khaliq “Jala Jalala hoo” Ka Zikar kiya
gaya hay aur pher Logon ko Taqwa kee Nasiyat ke gayee hay)>>>

Bayshaq who Posheedah Israr ka Alam aur Dilon kay Razon say Ba Khabar hay usay har Shay
par Ayhaatah Hasal hay aur who har Shay par Ghalab hay aur Taqat Rakhnay wala hay>>>

Mowayzah:>>>

Tum main say har Shakhs ka Faraz hay khay Muhlat kay dinon main Amal karay Qabal iss kay
khay Mout Hail ho jayay aur Fursat kay dinon main Kaam karay qabal uss kay khay Mashghool
ho jayay abhee jab khay Saans laynay ka Moqa hay Qabal iss kay khay Gala Ghont diya jayay
apnay Nafas aur apni Manzal kay liyay Saman Muhaiyah kar lay aur uss Kooch kay ghar say uss
Qiyaam kay ghar kay liyay Zaday Raah Farhaim kar lay>>>

Logo! Allha ko Yaad Rakho aur uss say Dartay raho uss Kitaab kay baray main jiss ka tum ko
Muhafiz banaya gaya hay aur unn Haqooq kay baray main jin ka tum ko Amanatdar Qarar diya
gaya hay iss liyay khay uss nay tum ko baykaar paida nhen kiya hay aur nah Mehmal Chorr diya
hay aur nah kise Jahalat aur Tareeki main rakha hay tumharay liyay Asaar ko biyaan kar diya hay
Amaal ko bata diya hay aur Mudaatay Hayaat ko likh diya hay who Kitaab Nazal kar de hay jiss
main har Shaay ka Biyaan paya jata hay aur aik Muddaat tak apnay Payghambar s.a.w.w ko
tumharay darmiyaan rakh chuka hay Yahan Tak khay tumharay liyay apnay uss Deen ko Kamil
kar diya hay jisay uss nay Pasandeedah Qarar diya hay aur tumharay liyay Payghambar s.a.w.w
kee Zubaan say unn tamam Amaal ko pouncha diya hay jin ko who dost rakhta hay Ya Jin say
Nafrat karta hay apnay aur Azaab kay Anay say phaylay he Hosiyaar kar diya hay Lihazah Ab
Jitnay Din Baqi rhay gayay hain unheen main Tadraak kar lo aur apnay Nafas ko Sabar Amadah
kar lo khay yhe Din Ayamay Ghaflaat kay Muqabalah main bhout Thoray hain jab tum nay
Mowazah sunnay ka bhe Moqa nhen nikala Khabardar apnay Nafas Ko Azaad maat Choro warna
yhe Azaadi tum ko Zalimon kay Rastah par lay jayay gee aur uss kay sath narmi nah barto warna
yhe tumhain Museebaton main Jhonk Day ga>>>

Bandayganay Khuda! Apnay Nafas ka Sab say Sacha Mukhlas who he hay jo Parwardaygar ka
Sab say Bara Etaat Guzaar hay aur apnay Nafas say Sab say Bara Khayanat karnay wala who
hay jo apnay Parwardaygar ka Musiyat kar hay Khasarah main who hay jo Khud apnay Nafas ko
Ghatay main rakhay aur Qabalay Rashak who hay jiss ka Deen Salamat rahy jayay Naik Bakhat
who hay jo Dusron kay Halaat say Naseeiyat Hasal kar lay aur bad Bakhat who hay jo
Khuwahishat kay Dhokha main aa jayay>>>

Yaad Rakho khay Mukhtasar saa Shaibah Raya Kari bhe aik Tarah ka Shirak hay aur Khuwahish
Paraston kee Shubat bhe Imaan say Ghafal bananay wali hay aur Shaytaan ko Samnay Lanay
Wali hay Jhoot say Parhaiz karo khay who Imaan say Kinarah Kash rhayta hay Sach Bolnay
wala Humeshah Nijaat aur Karamat kay Kinarah jata hay aur jhoot bolnay wala humeshan
Tabahee aur Zilat kay Dhana par rhayta hay Khabardar aik Dusray say Hasad nah karna khay
“Hasad Imaan ko iss Tarah Kaha jata hay jiss tarah Aag Sookhee Lakri ko Kaha jati hay” aur
Apas main aik dusray say Bughaz nah rakhna khay Bughaz Imaan ka Safaya kar dayta hay Yaad
Rakho khay Khuwahish Aqal ko bhula daytee hay aur Zikaray Khuda say Ghafal bana dayti hay
Khuwahishaat ko Jhutlwo khay yhe Siraf Dhokha hain aur inn ka sath daynay wala aik Faraib
Khurdah Insaan hay aur khuch nhen hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 151>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 168
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 87 Part 1:>>>

App kay Khutbah ka Aik Hissah Jiss main Mutaqeen aur Fasiqeen kay Sifaat ka Tazkirah kiya
gaya hay aur Logon ko Tambiyee kee gayee hay>>>

Bandayganay Khuda! Allha kee Nigah main Sab say Mehboob Bandah who hay jiss kee Khuda
nay uss kay Nafas kay Khaylaf madad kee hay aur uss nay Andar Hizan aur Bahir Khouf ka
Libaas phain liya hay uss kay Dil main Hadayat ka Charagh Roshan hay aur uss nay Anay Walay
Din kee Mehmaani ka Intayzaam kar liya hay apnay Nafas kay liyay Anay walay Bayeed (Mout)
ko Qareeb kar liya hay aur Sakhat marhalah ko Asaan kar liya hay Daykha hay To Baseerat Paida
kee hay aur Khuda ko Yaad kiya hay to Amal main Kasrat Paida ke hay Hadayat kay uss
Chashmayay Sheerin O Khushgawar say Sairaab ho gaya hay jiss par Warid honay ko Asaan
Bana diya gaya hay jiss kay Nateejah main Khoob Chaak kar pee liya hay aur Seedhay Rastah
par Chaal para hay Khuwahishat kay Libaas ko Juda kar diya hay aur tamam Inkaar say Azaad
ho gaya hay Siraf aik Fikaray Akharat Baqi rhay gayee hay jiss kay Zairay Asar Gumrahee kee
Manzal say Nikaal Aya hay aur Ahaylay hawa O Hawaas kee Shirkat say Door ho gaya hay
Hadayat kay Darwazah kee Kaleed Ban gaya hay aur Gumrahee kay Darwazon ka Qafal ban
gaya hay apnay Rastah ko daykh liya hay aur use par Chaal para hay Hadayat kay Sitarah ko
phaychaan liya hay aur Gumrahiyon kay Dhaaray ko Thay kar liya hay Mazboot Tareen
Waseelah say Wabastah ho gaya hay aur Mohkaam Tareen Rasi ko Pakar liya hay iss liyay khay
who apnay Yaqeen main Bilkul Nooray Aftaab Jaysee Roshni rakhta hay apnay Nafas ko Buland
Tareen Amoor kee Khatar Rahay Khuda main Amadah kar liya hay khay har anay walay masllah
ko Haal kar day ga aur Farooh ko unn kee Asaal kee Taraf Palta day ga Who Tareekiyon ka
Charagh hay aur Andhairon ka Roshan karnay wala Mubhimaat kee Kaleed hay to Mushkilaat ka
Difah karnay wala aur Pher Shairawon main Rahaynomayee karnay wala who bolta hay to Baat
ko Samjha layta hay aur Chup rhayta hay to Salamti ka Bandobast kar layta hay uss nay Allah
say Ikhlaas Barta hay to Allha nay usay apna Bandahay Mukhlas bana liya hay ab who Deenay
Khuda ka Muwadan hay aur Zameen ka Rukanay Azaam uss nay apnay Nafas kay liyay Adal ko
Lazam Qarar day liya hay aur uss kay Adaal kee phaylee Manzal yhe hay khay Khuwahishat ko
apnay Nafas say Door kar diya hay aur ab haq he ko Biyan karta hay aur usee par Amal karta hay
naiki kee koe manzal aysee nhen hay jiss ka Qasad Nah karta ho aur koe Aysa Ahaytaymal Nhen
hay jiss ka Iradah nah rakhta ho apnay Amoor kee Zamam Kitaab Khuda kay Hawalah kar dee
hay aur Ab who he uss kee Qaid aur Peshwa hay Jahan uss ka Saman Utarta hay waheen Warid
ho jata hay aur Jahan uss kee Manzal hotee hay waheen Parawo Daal dayta hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 153>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 170
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 87 Part 2:>>>

Iss kay barkhaylaaf aik Shakhs who bhe hay jiss nay apna Naam Alam Rakh liya hay Halan khay
Elam say koe Wastah nhen hay Jahilon say Jahalat ko Hasal kiya hay aur Gumrahon say
Gumrahi ko Logon kay Wastay Dhokha kay Phanday aur Makar O Faraib kay Jaal Bichaa diyay
hain kitaab kee Taweel apni Rayay kay mutabiq kee hay aur Haq ko apnay Khuwahishaht ke
Taraf Morr diya hay Logon ko Baray Baray Jaraim ke Taraf say Mehfooz banata hay aur unn kay
liyay Gunahanay Kabeerah ko bhe Asaan bana dayta hay khayta yhe he hay khay main Shubhaat
kay Muwaqa par Toqaaf karta hun laykan Waqiyatan unheen main Gir Parhta hay aur pher
khayta hay khay main Bidatton say Alag rhayta hun Halaan khay un hee kay Darmiyaan Uthata
Bhaythata hay uss kee Suraat Insanon jaysee hay laykan dil Janwaron jaysa hay nah hadayat kay
Darwazah ko pounchata hay khay uss ka Etayba karay aur nah Gumrahee kay Rastah ko Janta
hay khay uss say Alag rahay yhe Darhaqeeqat aik chaltee pherti Maiyaat hay aur khuch nhen
hay>>>

To Akhar tum Log kider ja rahay ho aur tumhain kiss simat morra ja raha hay? Daykho tumharay
darmiyaan tumharay Nabi kee Etraat mujood hay yhe saab haq kay Zamam Dayair Deen kay
Parcham aur Sadaqat kay Tarjaman hain Inhain Quraanay Kareem kee Baytareen Manzal par
jagah do aur inn kay paas iss Tarah Warid ho jiss tarah Piyaasay Awonth Chashman par warid
hotay hain>>>

Logo! Hazrat Khatamal Nabiyeen s.a.w.w kay iss Arshaaday Garami par Amal karo khay
“Humaray marnay wala Maiyaat nhen hota hay aur hum main say koe Marwar zamana say
Boseedah nhen hota hay” Khabardar who nah khawo jo tum nhen jantay iss liyay khay Basa
Awoqaat Haq usee main hota hay jisay tum nhen paychantay ho aur jiss kay Khaylaaf tumharay
paas koe Daleel nhen hay uss kay Uzar ko Qabool kar lo aur who main hun kiya mainn nay
Saqalay Akbar Quran par Amal nhen kiya hay aur kiya Saqalay Asghar Ahaylay Bait a.s ko
tumharay darmiyaan nhen rakha hay main nay tumharay darmiyaan Imaan kay parcham ko
Nasab kar diya hay aur tumhain Halal O Haraam kay Hadood say Agaah kar diya hay apnay
Adal ke Bina par tumhain Libaasay Afiyaat Phaynaya hay aur apnay Qoul O Fail kee Naikiyonn
ko tumharay liyay Farash kar diya hay aur tumhain apnay Buland Tareen Ikhlaq ka Nazar dikhala
diya hay Lihazah Khabardar jiss baat kee Ghairayee tak Nigahain nhen pounch sakti hain aur
jahan tak fikar kee Rasyee nhen hay uss main apni Rayay ko Istaymaal nah karna>>>

Ghalaat Fhaimee>>>

(Bani Ummaiyah kay Mazalim nay iss Qadar Dhaishat Zadah bana diya hay khay) Baaz Log
khayaal kar rahay hain khay Diya Bani Ummaiyah kay Daman say Baandh dee gayee hay
unheen ko Fawaid say Faiziyaab karay gee aur who he uss kay Chasmah Par Warid hotay rahay
gay aur ab iss Ummat kay Sar say unn kay Taziyanay aur Talwarain Uth nhen sakti hain Halan
khay yhe Khayaal bilkul Ghalat hay yhe Hakoomat Faqat aik Lazeezah Qisam ka Abay Dhan
hay jisay thori dair chooshain gay aur pher Khud he Thook dayain gay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 155>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 172
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 88:>>>

(App a.s Kay Khutbah Ka Aik Hissah Jiss main Logon kee Halakat kay Asbaab Biyaan kiyay
Gayay Hain)>>>

Ama Baad! Parwardaygar nay kise Durr kay Zalimon kee Kamar uss waqt tak nhen tori hay jab
tak unhain Muhlaat aur Dheel nhen day dee hay aur kise Qoum ke Tooti hue hadi ko uss waqt tak
jora nhen hay jab tak usay Museebaton aur Balawon main Mubtilaa nhen kiya hay apnay liyay
Jin Museebaton ka tum nay Samna kiy hay aur jinn Hadsaat say tum Guzar chukay ho un hee
main Samanay Abrat mujood hay magar mushkal yhe hay khay har Dil wala Aqal mand nhen
hota hay aur har Kaan wala Samyee ya har Ankh wala Baseer nhen hota hay>>>

Kiss Qadar Hairat Angaiz baat hay aur main kiss tarah Taajab nah karun khay yhe tamam Firqay
apnay apnay Deen kay baray main Mukhtalaf Dalail rakhnay kay bawajood sab Ghalati par hain
khay nah Nabi s.a.w.w kay Naqashay Qadaam par chaltay hain aur nah unn kay Amaal kee
Pairavee kartay hain nah Ghaib par Imaan rakhtay hain aur nah Ghaib say Parhaiz kartay hain
Shubhaat par Amal kartay hain aur Khuwahishaat kay Raston par Qadam Agay Barhatay hain
unn kay Nazdeek Maroof who he hay jiss ko yhe Naiki Samjhain aur Munkir who he hay jiss ka
yhe Inkaar kar dayain Mushkilaat main unn ka Marjay Khud Unn kee Zaat hay aur Mubhaim
Masail main unn ka Aytaymaad Siraf apni rayay par hay Goya khay unn main ka Harr Shakhs
apnay Nafas ka Imam hay aur apni har Rayay ko Mustahikam Wasail aur Mazboot Dalail ka
Nateejah Samjtah hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 157>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 174
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 89:>>>

(Aap Kay Khutbah Ka Aik Hissah Rasoolay Akram s.a.w.w aur Tableeghay Imam Kay Baray
Main)>>>

Allha nay unhain iss durr main bhayja jab Rasoolon ka Silsalah Muqoof tha aur Umatain
Khuwaabay Ghaflat main parhee hue then Fitnay Sar Uthayay huway thay aur Jummllah Amoor
main aik Intayshaar kee Kaifiyat thee aur jang kay Shulay Bharak rahay thay duniya ke roshni
kujlayee hue thee aur uss ka Fairaib Waziyah tha
Baghay Zindagee kay patay zard ho gayay thay aur Sammratay Hayyat say Mayoosi paida ho
chalee thee pani bhe thay Naseen ho chukka tha aur Hadayat kay Minaray bhe mitt gayay thay
aur Halakat kay Nishanat bhe nimayaan thay yhe duniya apnay Ahayal ko Tarash royee say
daykh rahee thee aur apny Talabgaron kay samnay munh Bigaar kar pesh Aa Rahee thee uss ka
Sammrah Fitna tha aur uss kee Ghaza Murdah uss ka Androoni libaasay Khouf tha aur Baironi
Libasay Talwaar Lihaza Bandayganay Khuda tum Abrat Hasaal karo aur inn Halaat ko yaad karo
jinn main tumharay baap dada aur bhayee banda Giraftaar hain aur unn kaa Hisaab day rahay
hain>>>

Meri Jaan kee Qasam:>>>

Abhee unn kay aur tumharay darmiyaan zaidah zamana nhen guzra hay aur nah Sadiyon ka
Fasillah huwa hay aur nah Aaj Ka Din Kal kay din say Zaidah durr hay jab tum unhee Bazurgon
kay Salab main thay>>>

Khuda kee Qasam Rasoolay Akram s.a.w.w nay tumhain koe aysee baat nhen sunayee hay jisay
Aaj main nhen sunna raha hun aur tumharay kaan bhe kaal kay Kaan say kam nhen hain aur jiss
tarah kaal unhon nay logon kee Ankhain Khol dee then aur Dil Bana diyay thay wasay he Aaj
main bhe tumhain who saari cheezain day raha hun aur Khuda Gawah hay khay tumhain koe
aysee cheez nhen daykhlayee ja rahee hay jiss say tumharay Bazurg Na Waqif thay aur nah koe
ayse Khaas Baat batayee jaa rahee hay jiss say who mehroom rahay hun>>>
Aur daykho tum par aik Museebat Nazaal ho gayee hay uss Awonth kay Manad jiss kee Takmeel
jhool rahee ho aur jiss ka Tang Dheelaa ho gaya ho lihazah khabardar tumhain pichlay Faraib
khurdah Logon kee Zindagee Dhokha main Daal day kahy yhe Ayaishay Duniya aik Phayla
huwa Saya hay jis kee Mudaat Moyeeyan hay aur Simmat jayay gaa>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 159>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 176
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 90:>>>

Aap a.s kay Khutbah Ka aik Hissah Jiss main Mabood kay Qadam aur uss kee Makhlooqat kee
Azmat ka Tazkirah kartay huway Mowayzaat par Ikhtaytaam kiya gaya hay>>>

Saari Tareef Uss Allha kay liyay hay jo Baghair Daykhay Maroof hay aur Baghair Souchay Paida
karnay wala hay who humeshan say Qaim aur Daim hay jab nah yhe Burjon walay Asman Thay
aur nah buland Darwazon walay Hijjabaat Nah Andhairi Raat thee aur nah Thairay howay
Samundar nah Lambay Choray Raston walay Pahaar thay aur nah Tairi Tirchee Pahari rahain nah
bichay huway Farash wali Zameen thee aur nah kiss Baal wali Makhlooqat who he Makhlooqat
ka Eyjaad karnay wala hay aur who akhar main Saab ka Waris hay who he Saab ka mabood hay
aur saab ka Razaq hay Shamas O Qamar use ke marzi say musalsal Harkat main hain khay har
nayay ko Purana kar daytay hain aur har Bayeed ko Qareeb tar bana daytay hain>>>

Usee nay Saab kay Rizaq ko Taqseem kiya hay aur saab kay Asaar O Amaal ka Ahaysaa kiya hay
use nay har aik kee Sanson ka shumar kiya hay aur har aik kee nigaah kee Khayanat aur Seena
kay chupay huway Israar aur Islaab O Arhaam main unn kay Marakaz ka Hisaab rakha hay
yahan tak khay who apni Akhari Manzal tak pounch jayain who he who hay jis ka Ghazab
Dushmanon par uss kee Wosaat Rhaymat kay Bawajood Shadeed hay aur uss kee Rhaymat us
kay Doston kay liyay uss kay Shidatay Ghazab kay bawajood waseeh hay jo uss par Ghlabah
paida karna chahay us kay haq main Qahir hay aur jo koe uss say Jhagra karna chahay uss kay
Haq main Tabah karnay wala hay har Mukhalaf karnay walay ka Zaleel karnay wala aur har
dushman karnay walay par Ghalaab Anay wala hay jo uss par tawakal karta hay uss kay liyay
Kaafi ho jata hay aur jo uss say sawaal karta hay usay ataa kar dayta hay jo usay Qaraz dayta hay
usay ada kar dayta hay aur jo uss ka Shukar Ada karta hay uss ko jaza dayta hay >>>

Bandayganay Khuda apnay App ko Toll Lo Qabal iss kay khay Tumhara Wazan kiya jayay aur
apnay Nafas ka Muhasbah kar lo Qabal iss kay khay tumhara Hissab kiya jayay Galay ka
Phandah Tang honay say phaylay Saans lay lo aur Zabardasti lay jayay janay say phaylay Az
Khud janay kay liyay Tiyaar ho jawo aur yaad Rakho khay jo Shakhs khud apnay Nafas kee
Madaad kar kay usay Nasiyat aur Tambiyaah nhen karta hay uss ko koe dusra Nah Nasiyat kar
sakta hay aur nah Tambeeh kar sakta hay >>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 159>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 176
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 1:>>>

App a.s kay Khutba ka Aik Hissah Iss Khutba ko Khutba Ashbaah kaha jata hay jisay Ap a.s kay
Jaleel Tareen Khutbaat main Shumaar kiya gaya hay>>>

Saadah Bin Sadiqah nay Imam Jaffer Sadiq a.s say Rawayat kee hay khay Ameer Al Momineen
a.s nay yhe Khutbah uss waqt Arshaad Farmaya tha jab aik Shakhs nay Aap a.s say yhe Taqaza
kiya khay Parwardaygar kay Awosaaf iss Tarah Biyaan karain khay goya who humari Nigah kay
samnay hay ta khay humari Marayfaat aur Muhabbatay Elahi main Izafah ho jayay Aap a.s ko iss
Baat par Ghusah Aa Gaya aur Aap a.s nay Nimazay Jamaiyat ka Aylaan Farma diya Masjid
Musalmanon say Chalaak Uthee to Ap a.s Member par Tashreef lay gayay aur iss Alam main
Khutbah Arshaad Farmaya khay Aap a.s kay Chairay ka Rang Badla huwa tha aur Ghaiz O
Ghazab kay Asaar Namoodar thay Hamad O Sanayay Elahi aur Salawaat o Salam kay baad
Arshaad Farmaya:>>>

Saari Tareef uss Parwardaygar kay liyay hay jiss kay Khazana main Fazal O Karam kay Rok
daynay aur Atawon kay Munjamid kar daynay say Izafah nhen hota hay aur Jod O Karam kay
Tasalsal say Kami nhen ate hay iss liyay khay uss kay Elawah har Ataa karnay walay kay Yhaan
Kami ho jati hay aur uss kay Masiwayay har nah daynay wala Qabalay Muzamat hota hay Who
Mufeed Tareen Naymaton aur Musalsal Roziyon kay Zariyay Ahaysaan karnay wala hay
Makhlooqat uss kee Zimadari main hain aur uss nay saab kay Rizaq ke Zamanat dee hay aur rozi
Moyeeyan kar de hay apni Taraf Tawajo karnay walon aur Apnay Ata ya kay Sailon kay liyay
Rastah Khol diya hay aur mangnay Walon ko nah Mangnay walon say Zaidah Ata nhen karta hay
who Aysa Awaal hay jiss kee koe Ibtayda nhen hay khay uss say phaylay koe ho jayay aur aysa
Akhar hay jiss kee koe Intayha nhen hay khay uss kay Baad koe rhay jayay who Ankhon kee
Beenayee ko apni Zaat tak pounchanay aur uss ka Idraak karnay say rokay huway hay uss par
Zamana Asar Andaaz nhen hota hay khay Halaat Badal jayay aur who kise Makaan main nhen
hay khay wahan say Muntaqil ho sakay agar who inn tamam Jawahiraat ko ata kar day jo
Paharon kay Muwadan apni Sanson say bahir nikaltay hain ya jinhain Samundar kay Sadaf
Muskara kar bahir Phaink daytay hain chahay who Chandi ho ya Sona Moti hun ya Marjaan to
bhe uss kay Karam par koe Asar nah paray ga aur nah uss kay Khazanon kee Wusat main koe
Kami Aa sakti hay aur uss kay paas Naymaton kay who Khazanay rahay jayain gay jinhain
Mangnay walon kay Mutalbaat Khatam nhen kar saktay hain iss liyay khay who aysa Jawad O
Karim hay khay nah Sailon ka Sawaal uss kay Yhaan Kami paida kar sakta hay aur nah Muflison
ka Israr usay Nakheel bana sakta hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 161>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 178
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 2:>>>

Quran Majeed main Sifaatay Parwardaygar>>>

Sifatay Khuda kay baray main Sawal karnay walo! Quran Majeed nay jin Sifaat kee Nishan
Dahee kee hay unheen ka Etayba karo use kay nooray Hadayat say Roshni Hasal karo aur jiss
Elam kee Taraf Shaytaan Mutawajo karay aur uss ka koe Fareezah nah Kitabay Elahi main
mujood ho nah Sunnatay Payghambar s.a.w.w aur Arshadatay Ayaima main to uss ka Elam
Parwardaygar kay Hawalay kar do khay yhe he uss kay haq ke Akhari Had hay aur yhe Yaad
Rakho Rasaykhoon Fil Elam who he Afraad hain jinhain Ghaibay Elahi kay samnay parhay
huway Pardon kay andar darana Dakhal honay say iss amar nay bay Niyaaz bana diya hay who
iss posheedah Ghaib ka Ajmali Iqrar kar laytay hain aur isee Sifat ko uss nay Rasookh say Tabeer
kiya hay khay jiss baat ke Thaiqeeq unn kay Zimah nhen hay uss kee Ghairayiyon main janay ka
Khayaal nhen rakhtay hain tum bhe isee Baat par Iktayfa karo aur apni Aqal kay mutabiq
Azmatay Elahi ka Andazah nah karo khay Halaak honay walon main shumar ho jawo>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 163>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 180
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 3:>>>

Quran Majeed main Sifaatay Parwardaygar>>>

Daykho who aysa Qadar hay khay jab Fikarain uss kee Qudrat kee Intayha Maloom karnay kay
liyay Agay Barhtee hain aur har Tarah kay Waswasay say Pakeezah Uss kee Saltanat kay
Posheedah Israr ko apni Zad main lana Chahata hay aur Dil Walayhana Torr par uss kee Sifaat
kee Kaifiyat Maloom karnay kee Taraf Mutawajo hotay hain aur Aqal kee Rahain uss kee Zaat
ka Elam Hasal karnay kay liyay Sifaat kee Rasayee say Agay Barhna Chahati hain to who unhain
iss Alam main Mayoos wapis kar dayta hay khay who Alamay Ghaib kee Ghairaiyon kee rahain
thay kar rahee hotee hain aur Mukamal torr par uss kee taraf Mutawajo hotee hain jiss kay
Nateejah main Aqlain uss Aytraaf kay sath palat ate hain khay Ghalat Fikron say uss kee
Marayfat kee Haqeeqat ka Idraak nhen ho sakta hay aur Sahibanay Fikar kay Dilon main uss kay
Jalal O Ezaat kaa aik Shimah bhe Khatorr nhen kar sakta hay>>>

Uss nay Makhlooqat ko Baghair kise Namoona ko Nigah main rakhay huway Ejaad kiya hay aur
kise Masabaq kay Khalaq O Mabood kay Naqshah kay Baghair Paida kiya hay uss nay apni
Qudrat kay Iktiyaraat’ apni Hikmat kay munh boltay Asaar aur Makhlooqat kay liyay uss kay
Saharay kee Ahaytiyaaj kay Iqrar kay Zariyah uss Haqeeqat ko bay Naqaab kar diya hay khay
hum uss kee Marayfat par Daleel Qaim honay ka Iqrar kar layain khay jinn Jadeed Tareen
Ashiyaa ko uss kay Asaar Sannat nay Ejaad kiya hay aur Nishanhayay Hikmat nay paida kiya
hay who sab Bilkul Waziyah hain aur har Makhlooq uss kay wajood kay liyay aik Mustaqil
Hujjat aur Daleel hay khay agar who Khamosh bhe hay to uss kee Tadbeer Boll rahee hay aur uss
kee Dalalat Ejaad karnay walay par Qaim hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 163>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 180
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 4:>>>

Quran Majeed main Sifaatay Parwardaygar>>>

Khudaya Main Gawahee Dayta Hun khay jiss nay bhe teri Makhlooqat kay Ayzaa kay Iktaylaf
aur unn kay Juron kay siron kay milnay say teri Hikmat kee Tadbeer kay liyay teri Shabeeh
Qarar diya uss nay apny Zameer kay Ghaib ko teri Marayfat say wabastah nhen kiya aur uss kay
Dil main yhe Yaqeen Paywast nhen huwa khay tera koe Misal nhen hay aur goya uss nay yhe
Payghaam nhen sunna khay aik din Mureed apnay Peer O Murshad say yhe Khay kar bayzaari
karain gay “ Ba Khuda Hum Khulee hue gumrahee main thay jab tum ko Rab Ul Alaymeen kay
barabar qarar day rahay thay bay Shaq Teray Barabar Qarar daynay walay jhoothay hain khay
unhon nay tujhay apnay Asnaam say Tashbeeh dee hay aur apnay Awohaam kee Bina par tujhay
Makhlooqat ka Huliyah Ata kar diya hay aur apnay Khayalaat kee bina par Mujasmon kee tarah
teray Tukray kar diyay hain aur apni Aqlon kee soojh boojh say tujhay Mukhtalaf Taqaton wali
Makhlooqat kay paymanay par Naap Toll diya hay>>>

Main iss Baat kee Gawahee Dayta hun khay jiss nay bhe tujhay kisee kay barabar qarar diya uss
nay tera humsar bana diya uss nay Ayaat Muhikmaat kee Tanzeel ka inkaar kar diya hay aur
Waziyah Tareen Dalail kay Biyanaat ko Jhutla diya hay bay shak tu who Khuda hay jo Aqlon kee
Hadon main nhen aa Sakta hay Khay Afkaar kee Rawani main Kayfiyaton kee Zaad main ajayay
aur nah Ghorr O Fikaar kee Jolaniyon main Sama Sakta hay khay Mehdood aur Tasarfaat ka
paband ho jayay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 165>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 182
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 5:>>>

Quran Majeed main Sifaatay Parwardaygar( Aik Dusra Hissah)>>>

Maalik nay har Makhlooq kee Miqdaar Moyeeyan kee hay aur muhkam Tareen Moyeeyan kee
hay aur har aik kee Tadbeer kee hay aur Lateef Tareen Tadbeer kee hay har aik ko aik Rukh par
Laga diya hay to uss nay apni Manzalat kay Hadood say tajawaz bhe nhen kiya hay aur intayhaa
tak pounchnay main kotahee bhe nhen kee hay aur maalik kay Iradah par chalnay ka hukam day
diya gaya to uss say sartaabi bhe nhen kee hay aur yhe mumkin bhe kaysay tha jab khay saab uss
ke Mashiyat say Manzaray Aaam par ayay hain who tamam Ashiya ka Eyjaad karnay wala hay
Baghair uss kay khay Fikaar kee Jolaniyon kee taraf Rajoo karay ya Taiyaab kee Dakhali Rawani
ka Sahara lay ya Hawadasay Zamana kay tajarbaat say Faidah Uthayay ya Ajeeb O Ghareeb
Makhlooqat kay banana main kise Shareek kee Madaad ka Mohtaaj ho>>>

Uss kee Makhlooqat uss kay amar say tamam hue hay aur uss kee Etaat main Sar Basajood hay
uss kee Dawaat par Labaik khaytee hay aur uss Raah main nah Dair karnay walay ko susti ka
Shikaar hotee hay aur nah Heelah O Hujat karnay walay kee Dheel main Mubtila hotee hay uss
nay Ashiyaa kee kujji ko seedah rakha hay unn kay Hadood ko Muqarar kar diya hay apni
Qudrat say unn kay Mutaazad Anasar main Tanasab Paida kar diya hay aur nafas o badan ka
rishtah jurr diya hay unhain hadood o Miqadeer’ Tabay O Haiyaat kee mukhtalaf jinson main
taqseem kar diya hay yhe no Eyjaad Makhlooqat hay jiss kee Sannat Mustahikam rakhee hay aur
uss kee Fitrat O Khalqat ko apnay Iradah kay Mutabiq rakha hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 165>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 182
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 5:>>>


(Khuch Asmanon kay baray main)>>>

Uss nay Baghair kise Cheez say Wabastah kiyay Asmanon kay Nashaib O Faraaz ko Munazam
kar diya hay aur uss kay Shagafon ko Mila Diya hay aur unhain Apas main aik dusray kay sath
Jaakar diya hay aur uss ka Hukam lay kar utarnay walay aur Bandon kay Amaal ko lay kar janay
walay Farishton kay liyay Bulandi kee Nahamwariyon ko Humwar kar diya hay Abhee Yhe
Asman Dhooyain kee Shaqal main thay khay Maalik nay unhain Awaaz dee aur unn kay Qismon
kay rishtay Apas main Jurr gayay aur unn kay Dawazay Band rhaynay kay Baad Khul gayay
Pher uss nay unn kay Surakhon par Tootatay huway Sitaaron kay Nigaybaan Kharay kar diyay
aur apnay Dastay Qudrat say uss amar say Rok diya khay Huwa kay Phaylawo main Ider Uder
Chalay jayain>>>

Unhain Hukam diya khay uss kay Hukam kay samnay Sarapa Tasleem Kharay rahain unn kay
Aftaab ko Din kay liyay Roshan Nishani aur Mahtaab ko Raat kee Dhundli Nishani Qarar day
diya aur donon ko unn kay Bahawo kee Manzal par Daal diya hay aur unn kee Guzargahon main
Raftaar kee Miqdaar Moyeeyan kar dee hay ta khay unn kay Zariyah Din aur Raat ka Imtiyaaz
Qaim ho sakay aur unn kee Miqdaar say Saal Waghairah ka Hisaab kiya ja sakay Pher Fizayay
Baseet main Saab kay Madaar Moalaaq kar diyay aur unn say uss Zeenat ko Wabastah kar diya
jo Jhotay Jhotay Taron aur baray Baray Sitaron kay Charaghon say Paida hue thee Awazon kay
Churanay Walon kay liay Totatay Taaron say Sangsaar ka Intayzaam kar diya aur unhain bhe
apnay Jabar O Qayhair kee Rahon par Laga diya khay jo Sabat hain who Sabat rahain jo Siyaar
hain who Siyaar rahain Buland O Past Naik O Bad Saab usee kee Marzi kay Tabay rahain >>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 167>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 184
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 6:>>>

(Awosaafay Malaika Ka Hissah)>>>

Uss kay Baad Uss Nay Asmanon ko Abaad karnay aur apni Saltanat kay Buland Tareen Tabqah
ko Basanay kay liyay Malaika Jaysee Anokhee Makhlooq ko Paida kiya aur unn say Asmani
Raston kay Shagafton ko purr kar diya aur Fizza kee Phaynayiyon ko Mamoor kar diya unheen
Shagafon kay Darmiyaan Tasbeeh karnay walay Farishton kee Awazain Qudas kee Char Diwari’
Azmat kay Hijabaat’ Bazurgee kay Sira Pardon kay peechay Goonjh rahee hain aur uss Goonjh
kay peechay jiss say Kaan kay Parday Phath jatay hain Noor kee who Tajaliyan hain jo Nigahon
ko wahan taak pounchnay say rok daytee hain aur Nakaam ho kar apni Hadon par Thair jati
hain>>>
Uss nay In Farishton ko Mukhtalaf Shaklon aur Alaag Alaag Paymanon kay Mutabiq Paida kiya
hay unhain Baal O Par Anayat kiyay hain aur who uss kay Jalal O Ezat kee Tasbeeh main
Masroof hain makhlooqat main uss kee Numaiyaan Sanat ko apni Taraf Mansoob nhen kartay
hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 167>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 184
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 7:>>>

(Awosaafay Malaika Ka Hissah)>>>

Aur Kise Cheez kee Takhleeq ka Aadah Nhen kartay Hain “Yhe Allha kay Mohtram Banday hain
jo uss par kise baat main Sabqat nhen kartay hain aur use kay Hukam kay Mutabiq Amal kar
rahay hain” Allha nay unhain apni Wahi ka Ameen banaya hay aur Mursaleen kee Taraf apnay
Amar O Nayhee kee Amanaton ka Hamil Qarar diya hay unhain Shakook O Shubhaat say
Mehfooz rakha hay khay koe bhe uss kee Marzi kee raah say Inhayraaf karnay wala nhen hay
Saab ko apni Karamad Imdad say Nawaza hay aur saab kay dil main Ajazi aur shikastagee kee
Taway Paida kar dee hay unn kay liyay apni Tamjeed kee sahoolat kay darwazay khol diyay hain
aur Toheed kee Nishaniyon kay liyay Waziyah Minaray Qaim kar diyay hain unn par Gunahon
ka bojh bhe nhen hay aur unhain Shab O Roz kee Gardashain apnay Iradon par Chala bhe nhen
sakti hain Shakook O Shubhaat unn kay Mustahikam Iman ko apnay Khayalat kay Teeron ka
Nishana bhe nhen bana saktay hain aur wahim O Gumaan unn kay Yaqeen kee Pukhtagee par
Humllah bhe nhen ho saktay hain unn kay Darmiyaan Hasad kee Chingaari bhe nhen Bharakti
hay aur Hairat O Istayjaab unn kay Zameeron kee Marayfat ko Salab bhe nhen kar saktay hain
aur unn kay Seenon main chupay huway Azmat wahiyat O Jalalatay Elahi kay Zakheeron ko
Cheen bhe nhen saktay hain aur Waswason nay kabhee yhe soucha bhe nhen hay khay unn kee
Fikar ko Zang Alood bana dayain unn main Baaz who hain jinhain Bojal Badlon buland Tareen
Paharon aur Rareek Tareen Zulmaton kay Pardon main rakha gaya hay aur baaz who hain jinn
kay Pairon nay Zameen kay Akhari Tabqah ko Parah kar diya hay aur who unn Sufaid
Parchamon jaysay hain jo Fizaa kee Wosaton ko Cheer kar Bahir Nikal gayay hun jinn kay
neechay aik Halkee huwa ho jo unhain unn kee hadon par rokay rahay unhain Ebadat kee
Mashghooliyat nay har cheez say bay fikar bana diya hay aur Imaan kay Haqaiq nay unn kay aur
Marayfat kay Darmiyan Ghairah Rabtah paida kar diya hay aur Yaqeenay Kamal nay har cheez
say Rishtah Torr kar unhain Maalik kee Taraf Mushtaq bana diya hay unn kee Raghbatain Maalik
kee Naymaton say Hutt kar kise aur kee taraf nhen hain khay unhon nay Marayfat kee Halawat
ka Mazah Chakh liya hay aur Muhabbat kay Sairaab karnay walay Jaam say Sarshaar ho gayay
hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 169>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 186
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 8:>>>

(Awosaafay Malaika Ka Hissah)>>>

Aun Unn Kay Dilon Kee Thay main uss ka Khouf Jarh Pakar Chuka hay jiss ke bina par unhon
nay Musalsal Etaat say apni Seedhee Kamron Ko Khameedah bana liya hay aur Tool Raghbat
kay Bawajood unn kay Tazara O Zaari ka Khazana Khatam nhen huwa hay aur nah Kamal
Taqarab kay Bawajood unn kay Khashoo kee Rasiyan Dheeli hue hain aur nah Khud Pasandi nay
unn par Ghalbah Hasal kiya hay khay who Guzishtah Amaal ko Zaidah Tasower karnay Lagain
aur nah Jalalay Elahi kay samnay unn kay Inkaysar nay koe Gujahish chori hay khay who apni
Naikiyon ko Bara Khayaal karnay lagain Musalsal Taab kay bawajood unhon nay susti ko Rastah
nhen diya aur nah unn kee Raghbat main koe Kami Waqiya hue hay khay who Maalik say
Umeed kay rastah ko Tarak kar dayain musalsal Manajaton nay unn kee Nokay zubaan ko
Khushak nhen banaya aur nah Masroofiyaat nay unn par Qaboo pa liya hay khay unn kee
Manajaat kee Khufiyah Awazain Munqatah ho jayain nah Maqamaatay Etaat main unn kay
Shaanay Agay Peechay hotay hain aur nah Tameelay Ahaykaamay Elahiyah main kotahee kee
bina par unn kee Gardan kise Taraf Murr jati hay unn ko Koshishon kay Azaim par nah
Ghaflaton kee Nadaniyon ka Humllah hota hay aur nah Khuwahishaat kee Faraib kariyaan unn
kee Himaton ko apna Nishana banati hain unhon nay apnay Maalik Saahibay Arash ko Rozz
Faqar O Faqaah kay liyay Zakheerah Bana liya hay aur jab log dusri Makhlooqat kee Taraf
Mutawajo ho jatay hain to who usee ko apna Hadafay Nigah banayay rakhtay hain yhe Ebadat
kee Intayha ko nhen pounch saktay hain lihazah unn kee Etaat ka Walayhana Jabah kise aur Taraf
lay janay kay bajayay Siraf Umeed O Beem kay Naqabalay Ikhtaytaam Zakheeron he kee Taraf
lay jata hay unn kay liyay Khoufay Khuda kay Asbaab Munqata nhen huway hain khay unn kee
Koshishon main Susti paida kara dayain aur nah unhain Khuwahishaat nay Qaidi banaya hay
khay Waqti Koshishon ko Abadi Sayee par Muqadam kar dayain yhe apnay Guzishtah Amaal ko
bura Khayaal nhen kartay hain khay Agar Aysa hota to ab tak Umeedain Khoufay Khuda ko Fana
kar dayteen unhon nay Shaytaani Ghalbah kee Buniyaad par Parwardaygar kay baray main Apas
main koe Ikhtaylaaf bhe nhen kiya hay aur nah aik dusray say Bigaar nay unn ay Darmiyaan
Iftayraaq Paida kiya hay nah unn par Hasaad ka Keenah Ghalab aya hay aur nah who Shakook ki
bina par Apas main aik dusray say Alag huway hain aur nah Past Himaton nay unhain aik dusray
say juda kiya hay yhe Imaan kay who Qaidi hain jin kee Gardanon ko Kujji, Anhayraaf, Susti,
Fatoor koe cheez Azaad nhen kar sakti hay Fizayay Asman main aik Khaal kay barabar bhe
aysee jagah nhen hay jahan koe Farishtah Sajidah Guzaar ya Durr Dhoop karnay wala nah ho
yhe Toolay Etaat say apnay Raab kee Marayfat main izafah he kartay hain aur unn kay dilon
main Azmaat O Jalalat Barhti he jati hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 173>>>


To Be Continue will be in a Next post........

Page no 190
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 91 Part 9:>>>

(Zameen aur uss kay Pani Par Farash honay kee Tafseelaat)>>>

Uss nay Zameen ko Thay O Bala honay Wali Mujon aur Atha Samunder kee Ghairaiyon Kay
Uper Qaim kiya hay Jahan Mujon ka Talatam Tha aur aik Dusray ko Dhakailnay Wali Lhayrain
Takra rahee theen unn ka Pheen Aysa he tha Jaysay Hijaan Zadah Awounth ka Jhaagh Magar Iss
Toofan ko Talatam khaiz Paani kay Bojh nay Daba diya aur uss kay Josh O Kharosh ko apna
Seenah Taik kar sakan Bana diya aur apnay Shanay Tika kar iss Tarah Daba diya khay who Zillat
O Khuwaari kay sath Raam ho gaya Ab who Paani Mujon kee Ghargharahat kay bad Sakit Aur
Maghloob ho gaya aur Zillaat kee Lagaam main Aseer O Mateeh ho gaya aur Zameen bhe
Toofan Khaiz Pani kee satah par Daman Phayla kar bhaith gayee thee khay uss nay Uthlanay, Sar
Uthanay, Naak Charhanay Jush Daykhanay ka Khataymah kar diya tha aur Rawani kee Bay
Aytaydaliyon par Bandh Baandh diya tha Ab Pani Uchal Kood kay Baad Bay Dam ho gaya tha
aur Just O Khaiz Kee Sar Mastiyon kay Baad Sakit ho gaya tha Ab Jab Pani ka Jush Atraafay
Zameen kay Neechay Saakin ho gaya aur Sar Bakalaf Paharon kay Bojh nay uss kay Kandhon ko
Daba diya to Maalik nay uss kee Naak kay Banson say Chashmay Jaari kar diyay aur unhain
Door Daraaz Shayrawon aur Garhon Tak Muntashir kar diya aur pher Zameen kee Harkat ko
Paharon kee Chatanon aur unchi unchi Chotiyon walay Paharon kay Wazan say Mohtadil bana
diya>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 173>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 190
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 92:>>>

Aap a.s ka Arshaday Garami Jab Logon nay Qatalay Usman kay Bad Ap a.s kee Bait ka Irdah
Kiya>>>

Mujhay Chorr do aur jawo kise aur ko Talash kar lo humaray Samnay who Muamllah hay jiss
kay bhout say Rang aur rukh hain jin kee nah dilon main Taab hay aur nah Aqlain unhain
Bardasht kar sakti hain daykho Ufaq kiss Qadar Abar Alood hay aur Rastay kiss Qadar Anjanay
ho gayay hain Yad Rakho khay Agar main nay Bait kee Dawat ko Qabool kar liya to tumhain
apnay Elam he kay Rastay par Chalwun Ga aur kise kee koe Baat ya Sar Zanash nhen Sunun Ga
laykan agar tum nay mujhay Chorr diya to tumhari he aik Farad ke Tarah Zindage Guzarun ga
Balkhay Shahid tum sab say Zaidah tumharay Hakim kay Ahaykaam ka Khayal rakhun main
tumharay liyay Wazeer kee Haysiyat say Ameer kee Ba Nisbat Zaidah Baytar rahun gaa>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 181>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 198
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 93:>>>

App kay Khutah ka Aik Hissah Jiss main Aap nay apnay Elam O Fazal say Agah kartay huway
Bani Umaiyah Kay Fitna Kee Taraf mutawajo Kiya hay>>>

Hamad O Sana Parwardaygar Kay Baad Logo! Yad Rakho main nay Fitna kee Ankh ko Phorr
Diya hay aur yhe Kaam meray Elawah koe dusra Injhaam nhen day sakta hay jab khay uss kee
Tareekiyan Thay O Bala ho rahee hain aur uss kee Diwangee ka Maraz Shadeed ho gaya hay ab
tum mujh say jo chaho Dariyaft kar lo Qabal iss kay khay main Tumharay Darmiyaan Nah
Rahay Jawun Uss Parwardaygar kee Qasam jiss kay Qabzahay Qudrat main Meri Jaan hay tum
ab say Qiyamat Tak kay darmiyan jiss Cheez kay baray main Sawal karo gay aur jiss Garoh kay
Baray main Dariyaft karo gay jo So Afraad ko Hadayat day aur So (100) ko Gumrah kar day to
main uss kay Lalkarnay walay Khainchnay Walay, Hankanay Walay Sawariyon kay Qiyam kee
Manzal Saman Utarnay kee Jagah Kon unn main say Qatal kiya jayay ga kon apni Mout say
maray ga Sab Bata dun ga Halaan Khay Agar yhe Bad Tareen Halaat aur Sakhat Tareen
Mushkalat meray bad pesh ayay to Dariyaft karnay wala bhe pareshani say sar Jhuka lay ga aur
jiss say Dariyaft kiya jayay ga who bhe batanay say Ajaz rahay ga aur yhe sab uss waqt ho ga jab
tum par Jangain Puri Tiyari kay sath Toot Parain gee aur duniya iss tarah Tang ho jayay gee khay
Museebat kay Din Toolani Mehsoos honay lagain gay Yahan tak khay Allha Baqi Mandah Naik
Bandon ko Kamiyaabi Ata kar day>>>

Yad Rakho Fitnay Jab Atay hain to Logon ko Subhaat main Daal daytay hain aur jab jatay hain to
Hoshiyar kar jatay hain yhe Atay waqt nhen phaychanay jatay hain laykan jab janay lagtay hain
to Paychan liyay jatay hain Hawawon kee tarah Chakar lagatay rhaytay hain kise Shair ko apnni
Zad main lay laytay hain aur kise ko Nazar Andaz kar daytay hain Yad rakho meri Nigah main
sab say Khouf Nak Fitna Bani Ummaiyah Ka hay jo Khud bhe Andah ho ga aur dusron ko bhe
Andhairay main rakhay ga uss kay Khatoot Aam hun gay laykan uss kee Bila Khaas Logon kay
liyay ho ge jo iss Fitna main Ankh Kholay hun gay aur nah Andhon kay Paas say Ba Asaani
Guzar jayay ga>>>
Khuda Ke Qasam! Tum Bani Ummaiyah Ko meray Bad Bad Tareen Saahibanay Iqtaydar pawo
gay jinn kee Misaal uss Katnay wali Awonthani (She Camil) kee ho gee jo Munh say Katay Gee
aur hath Maray gee ya Pawon Chalayay gee aur doodh nah dhonay day gee aur yhe Sisalah youn
he Barqarar rahay ga jiss say Siraf who Afraad Bachain gay jo unn kay haq main Mufeed hun ya
Kam say Kam nuqsan dhay nah hun yhe Museebat tumhain use tarah Ghairay rahay gee Yahan
tak khay tumhari Daad Khuwahi aysay he ho gee jaysay Ghulam apnay Aqa say ya Mureed
apnay Peer say Insaaf ka Taqazah karay tum par unn ka Fitna aysee Bayhanak Shakal main
Warid ho ga jiss say Dar lagay ga aur uss main Jahiliyat kay ajza bhe hun gay nah koe
Minnarahay Hadayat ho ga aur nah koe Rastah daykhanay wala parcham>>>

Bas hum Ahaylay Bait a.s hain jo iss Fitna say Mehfooz rahain gay aur uss kay Daiyiyon main
say nah hun gay Uss kay Bad Allha tum say iss Fitna ko iss Tarah Alag kar day ga jiss Tarah
Janwar kee Khaal Utaar dee jati hay uss Shakhs kay Zariyay jo unhain Zaleel karay Ga aur
Sakhti say Hankayay ga aur Mout kay Talakh Ghount pilayay Ga aur Talwar kay Elawah khuch
nah day ga aur Khouf kay Elawah koe Libas nah Phaynayay Ga who Waqt ho ga Jab Quresh ko
yhe Arzoo ho gee khay Kaash Duniya aur uss kee Tamam Doulat day kar aik Manzal par mujhay
Daykh laytay Chahay Siraf itnee Dair kay liyay Jitnee Dair main aik Awonth (Camel) Nahair
kiya jata hay ta khay main unn say uss cheez ko Qabool kar lun jiss ka aik Hissah Ajj Mangta
hun to who daynay kay liyay Tiyaar nhen hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 185>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 202
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 94:>>>

App a.s kay Khutbah Ka Aik Hissah Jiss main Parwardaygar kay Awosaaf Rasoolay Akram
s.a.w.w aur Ahaylay Baitay Athaar a.s kay Fazail aur Mowayzah Hassna Ka Zikar Kiya gaya
hay>>>

Ba Barkat hay who Parwardaygar jiss kee Zaat Tak Himaton kee Bulandiyan nhen Pounch sakti
hain aur Aqal O Fayhaim kee Zahanatain usay nhen pa skati hain who aysa Awal hay jiss kee koe
Akhari Had nhen hay aur aysa Akhar hay jiss kay liyay Koe Fana nhen hay>>>

(Ambiya Karam a.s) Parwardaygar nay unhain Baytareen Maqamat par Wadiyat rakha aur
Baytareen Manzal main Mustasir kiya who Musalsal Shareef Tareen Islaab say Pakeezah Tareen
Irhaam kee Taraf Muntail hotay rhay khay jab koe Bazurg Guzar gaya to Deenay Khuda kee
Zimdahdari Bad Walay nay Sambhaal lee>>>
(Rasoolay Akram s.a.w.w) Yahan Tak kahy Elahi Sharaf Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w tak
pounch gaya aur uss nay unhain Baytareen Nashonuma kay Muwadan aur Shareef Tareen Asal
kay Markaz kay Zariyah Duniya main bhayj diya use Sajirah Tayyaba say jiss say Ambiya a.s ko
Paida kiya aur apnay Ameenon ka intaykhab kiya Payghmabar s.a.w.w kee Etrat Baytareen aur
unn ka Khandan Shareef Tareen Khandan hay unn ka Sajirah who baytareen Sajirah hay jo Sar
Zameenay Haram par Uga hay aur Bazurgee kay saya main Parwan Charah hay uss kee Sakhain
bhout Taweel hain aur uss kay Phal Insani Dastaras say Bala Tar hain who Ahaylay Taqwa kay
Imam aur Talaybanay Hadayat kay liyay Sar Chishmanyay Baseerat hain Aysa Chargh hain jis
kee Roshni Lo Day rahee hay aur aysa Sitarah hain jiss ka Noor Darakhsan hay aur aysa
Chaqmaq hain jiss kee chamak Baraq Asaa hay unn kee Seerat Mayana Rawi, unn kee Sunnat
Rashad O Hadayat’ Unn ka Kalam Harafay Akhar aur unn ka Faislah Adilana hay Allha nay
unhain uss Waqt Bhayja jab Ambiya a.s ka Silsalah Muqoof tha aur Badamli ka Durr Durah tha
aur Ummat Ghaflat main Doobi hue thee>>>

(Muayzah) Daykh! Khuda tum par Rhaymat Nazal karay Waziyah Nishaniyon par Amal karo
khay Rastah Bilkul Seedah hay aur Jannat kee Taraf Dawat day raha hay aur tum aysay Ghar
main ho jahan Khushnoodiyay Parwardaygar Hasal karnay kee Muhlaat aur Faraghat Hasal hay
Namahyay Amal Khulay huway hain Qalamay Qudrat Chal raha hay Badan Saheeh O Salam
hain Zubanain Azaad hain’ Tobah Sunni Ja Rahee hay aur Amal Qabool kiyay ja rahay hain>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 187>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 204
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 95:>>>

(Jiss main Rasoolay Akaram s.a.w.w Kay Fazail O Manaqib Ka Tazkirah kiya gaya hay>>>

Allha nay unhain uss waqt bhayja jab log gumrahee main Munheer thay aur fitnon main hath
Pawon Mar rahay thay Khuwahishat nay unhain Bhayka diya aur Ghroor nay unn kay Qadmon
main Laghzash Paida kar dee thee Jahiliyat nay unhain Subak Sar Bana diya tha aur who Ghair
Yaqeeni halaat aur Jahalat aur Balawon main Hairaan O Sargardaan thay Aap s.a.w.w nay nasiyat
ka haq ada kar diya’ Seedhay rastah par chalay aur Logon ko Hikmat aur Moyayzah Hussna kee
Taraf Dawaat Dee>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 187>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 204
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 96:>>>

Aap a.s kay Khutbah Ka Aik Hissah Rab Ul Alaymeen aur Rasoolay Akram s.a.w.w kay Sifat
kay baray main>>>

Tamam Tareefain Uss Allha kay liyay hain jo aysa Awal hay khay uss say phaylay koe shay nhen
hay aur Aysa Akhar hay khay uss kay Bad koe shay nhen hay who Zahir hay to uss say Mafoq
khuch nhen hay aur Batin hay to uss say Qareeb tar koe shay nhen hay>>>

(Rasoolay Akram s.a.w.w) Ap s.a.w.w ka Mustaqir baytareen Mustaqir aur Aap kee Naso Numa
Ke Jagah Baytareen Manzal hay Yani Karamaton ka Muwadan aur Salamti ka Markaz Naik
Kiradaron kay dil Aap s.a.w.w kee Taraf Jhuka diyay gayay hain aur Nigahon kay rukh Aap
s.a.w.w kee Taraf Morr diyay gayay hain Allha nay Aap kay Zariyay Keenon ko Dafan kar diya
hay Aur Adawaton kay Shuwlay Bujha diyay hain Logon ko bhai Bhai bana diya hay aur Kufer
kee Biradari ko Muntashir kar diya hay aur Kufer kee Ezat par Akarnay Walon ko Zaleel kar diya
hay Aap s.a.w.w ka Kalam Shariyat ka Biyan hay aur Aap s.a.w.w kee Khamoshi Ahykam kee
Zuban>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 187>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 204
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 97 Part 1:>>>

Ap a.s Kay Khutba ka Aik Hissah Jiss main Apnay Ashaab aur Ashabay Rasoolay Akram s.a.w.w
ka Muwazna kiya gaya hay>>>

Agar Parwardaygar nay Zalim ko Muhlat day rakhee hay to iss ka Matlab yhe nhen hay khay
who iss kee Garift say Bahir Nikal gaya hay Yaqeenan who uss kee Gardan main Achoo lagnay
kee Jagah par uss kee Taak main hay Qasam hay uss Maalik kee jiss kay Qabzah main meri jan
hay khay yhe Qoum Yaqeenan tum par Ghaalab aa jayay gee nah iss liyay khay who tum say
Zaidah Haqdar hain balkhay iss liyay khay who apnay Ameer kay Batal kee Furan Etaat kar
laytay hain aur tum meray haq main humeshah susti say kaam laytay hain tamam duniya kee
Qoumain apnay Hukaam kay Zulam say Khoufzadah hain aur main apni Raiyaa kay Zulam say
Pareshan hun main nay tumhain Jahaad kay liyay Amadah kiya magar tum nah uthay Muayzah
Suna ya to tum nay nah sunna Alal Aylaan aur Khufiyah Tareeqah say Dawat dee laykan tum nay
labaik nah kayee aur Nasiyat karta hun aur tum Bhaag kharay hotay ho Baghiyon kay Jahaad par
Amadah karta hun aur abhee Akhar Kalam tak nhen pounchanay pata hun khay tum Saba kee
Awolaad kee Tarah Muntashir ho jatay ho apni Mehfalon kee Taraf Plat kar jatay ho aur aik
dusray kay dhokha main Mubtila ho jatay ho main Subah kay Waqt tumhain Seedah karta hun
aur tum Shaam kay waqt youn palat kar atay ho jaysay kamaan tumhain Seedah karnay wala bhe
Ajaz aa Gaya aur tumhari Isllah bhe na Mumkin ho gayee>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 189>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 206
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 97 Part 2:>>>

Ay who qoum jiss kay Badan Hazir hain aur Aqlain Ghaib tumharay Khuwahishat Go na Goon
hain aur tumharay Hukam tumhari Baghawat main hain tumhara Ameer Allha kee Etaat karta
hay aur tum uss kee Nafarmani kartay ho aur Shaam ka Hakim Allha Kee Masiyat karta hay aur
uss kee Qoum uss ke Etaat karti hay Khuda Gawah hay khay mujhay yhe Baat Pasand hay khay
Mawiyah mujh say Dirham O Dinaar ka Soda kar lay khay tum main kay Daas lay kar apna aik
Day day>>>

Kufa Walo! Main tumhari wajah say Teen Tarah kee Shakhsiyaat aur do Tarah kee Kaifiyaat say
do Chaar hun tum Kaan rakhnay walay Bhairay Zuban rakhnay walay Gungay aur Ankh rakhnay
walay anday ho tumhari halat yhe hay khay nah Maidanay Jang kay Sachay Jawaan Mard ho aur
nah Museebaton main Qabalay Aytaymaad Sathee tumharay Hath Khaak main mill jayain tum
unn Awonthon jaysay ho jin kay charanay walay Gum ho jayain khay jab aik taraf say jamma
kiyay jayain to dusri taraf say muntashir ho jayain Khuda Kee Qasam main apnay Khayal kay
Mutabiq tumhain aysa daykh raha hunk hay Jang taiz ho gayee aur Maidaan karzaz Garam ho
gaya to tum Farzanday Abu Talib say iss bay sharmi kay sath alag ho jawo gay jiss tarah koe
Aworat Barhana ho jati hay laykan Barhal main apnay Parwardaygar kee Taraf say Daleel
Roshan rakhta hun aur Payghambar s.a.w.w kay Rastah par Chaal raha hun yhe Rastah bilkul
Roshan hay jisay main Batal kay Andhairon main bhe Dhoond layta hun>>>

(Ashabay Rasoolay Akram s.a.w.w) Daykho Ahaylay Baitay Payghambar s.a.w.w par Nigah
rakho aur un hee kay Rastah ko ikhtiyaar karo un hee kay Naqashay Qadam par chaltay rahwo
khay who tumhain Hadayat say Bahir lay jayain gay aur nah Halakat main Palat kar janay dayain
gay who Thair jayain to pher Jawo aur Uth kharay hun to Kharay ho jawo Khabar Dar unn say
Agay nah Nikal jana khay gumrah ho jawo aur peechay bhe nah rhay jana khay Halaak ho jawo
main Nay Ashaabay Payghambar s.a.w.w ka Durr bhe daykha hay magar Afsos tum main ka aik
bhe unn ka jaysa nhen hay who Subah kay Waqt iss Tarah Uthtay thay khay Baal uljay huway
Sar par Khaak Pari hue jab khay Raat Sajidah aur Qiyaam main Guzaar chukay hotay thay aur
kabhee Payshani khaak par rakhtay thay aur kabhi Rukhsar Qiyaamat kee Yad main Goya
Angaron par kharay rhaytay thay aur unn kee Peshaniyon par Sajidon kee wajah say Bakri kay
Ghutnay jaysay Ghathay hotay thay unn kay samnay khuda ka Zikar Ata tha to Ansoo iss Tarah
Baras partay thay khay Girbaan tak Tar ho jata tha aur unn ka Jisam Azaab kay Khouf aur
Sawaab kee Umeedon main iss tarah Larzta tha jiss tarah Sakhat Tareen Adhee kay din koe
Darakht>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 191>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 208
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 98:>>>

App a.s ka Arshaday Garami jiss main Bani Ummaiyah kay Muzalim kee Taraf Ishrah kiya gaya
hay>>>

Khud kee Qasam yhe Youn he Zulam kartay rahain gay yahan tak khay koe Haraam nah bacay
ga jisay Halal nah bana layain aur koe Ayhaid O Paymaan nah bacay ga jisay Torr nah dayain aur
koe Makaan ya Khaymah Baqi nah rahay ga jiss main unn ka zulam Dakhal nah ho jayay aur unn
ka Badtareen Bartawo unhain Tarakay Watan par Amadah nah kar day aur donon Tarah kay Log
ronay par Amdah nah ho jayain duniya dar apni duniya kay liyay royay aur Deendar apnay Deen
kee Tabahee par Ansoo Bahayay aur tum main aik ka dusray say madaad talab karna use Tarah
ho jiss tarah khay Ghulaam Aqa say Madaad Talab karay khay samnay aa jayay to Etaat karay
aru Ghayaib ho jayay to Gheebat karay aur tum main saab say Zaidah Museebat Zadah who ho
jo Khuda par Saab say Zaidah Aytaymad rakhnay wala ho Lihazah Agar Khuda tumhain Afiyaat
day to usay Qabool kar lo aur agar Tumhara Imtayhan liya jayay to Sabar karo khay Anjhaam
kaar Barhaal Saahibanay Taqwa kay liyay hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 191>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 208
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 99:>>>

Ap a.s kay Khutba ka Aik Hissah Jiss main Duniya say Kinara Kashee kee Dawat dee gayee
hay>>>
Khuda kee Hamad hay uss par jo ho chukka aur uss kee Imdad ka Taqaza hay unn Halaat par jo
samnay walay hain hum uss say Deen kee Salamti ka Taqaza isee tarah kartay hain jiss tarah
Badan kee Sayhat O Afiyat kee Duwa kartay hain>>>

Bandayganay Khuda! Main Tumhain Wasiyat karta hun khay uss duniya ko chorr do jo tumhain
Barhal chornay wali hay tum uss kee Khudayee ko pasand nah karo who tumharay jisam ko
Barhaal boseedah kar day gee uss kee Tazgee kee Khuwahish karo tumhari aur uss kee Misal unn
Musafiron jaysee hay jo kisee Rastah par chalay aur goya khay Manzal tak pounch gayay kisee
Nishaanay Raah ka Iradah kiya aur Goya khay usay Hasaal kar liya aur kitna Thora Waqfah hota
hay uss Ghora Duranay walay kay liyay jo Duratay he Maqsad tak pounch jayay uss Shakhs kee
Baqa he kiya hay jiss ka aik din Muqarar ho jiss say agay nah barh sakay aur pher mout Taiz
Raftari say usay hanka kar lay ja rahee ho yahan tak khay Badal Na Khuwastah Duniya ko Chorr
Day Khabardar Duniya kee Ezaat aur uss kee Sar bulandi main Muqabllah nah karna aur uss kee
Zeenat O Naymat ko pasand nah karna aur us kee Dushwari aur Pareshani say Ranjeedah nah
hona khay uss kee Ezaat O Sar Bulandi Khatam ho janay wali hay aur uss kee Zeenat O Naymat
ko Zawal aa janay wala hay aur uss kee Tangee aur Sakhti Barhal Khatam ho janay wali hay
Yahan har Mudat kee aik Intayha hay aur har Zindah kay liyay Fana hay kiya tumharay liyay
Guzishtah Logon kay Asaar main Samanay Tambiyah nhen hay? Aur kiya Abawo Ajdad kee
Dastanon main Baseerat O Abrat nhen hay? Agar tumharay paas Aqal hay kiya tum nay yhe nhen
daykha hay khay janay walay Palat kar nhen atay hain aur baad main anay walay rhay nhen jatay
hain? Kiya tum nhen daykhtay ho khay Ahaylay Duniya Mukhtalaf Halaat main Subah O Shaam
kartay hain Koe Murdah hay jiss par Giryah ho raha hay aur koe Zindah hay to usay Pursah diya
ja raha hay aik Bistar par parah huwa hay to aik uss kee Ayadat kar raha hay aur aik apni Jaan
say jar aha hay koe duniya Talash kar raha hay to mout usay Talash kar rahee hay aur koe Ghaflat
main Parah huwa hay to Zamana uss say Ghaafal nhen hay aur iss Tarah janay walon kay
Naqashay Qadam par Rhay janay walay chalay ja rahay hain Agah ho jawo khay Abhe Mouqa
hay usay yaad karo jo Zilaton ko Fana kar daynay wali Khuwahishaat ko Mukdar kar daynay
wali aur Umeedon ko Qatta kar daynay wali hay Aysay Awoqaat main jab buray Amaal ka
Irtaykaab kar rahay ho aur Allha say Madaad Mango khay uss kay Wajab Haq ko Ada kar do aur
unn naymaton ka Shukriya Ada kar sako jinn ka Shumar karna Na mumkin hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 193>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 210
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 100:>>>

Aap a.s kay Khutba ka Aik Hissah Rasoolay Akram s.a.w.w Aur App s.a.w.w kay Ahaylay Bait
a.s kay Baray main>>>
Shukar hay uss Khuda ka jo apnay Fazal O Karam ka Daman Phaylayay huway hay aur apnay
Wajood O Ata ka Hath Barhayay huway hay hum uss kee Hamad kartay hain uss kay tamam
Muamllaat main aur uss kee Madaad Chahatay hain khud uss kay Haqooq ka Khayal rakhnay
kay liyay hum Shahadat daytay hian khay uss kay Elawah Koe Khuda nhen hay aur Muhammad
s.a.w.w uss kay Banday aur Rasool s.a.w.w hain jinhain uss nay apnay Amar kay Izhaar aur
apnay Zikar kay Biyaan kay liyay Bhayja to unhon nay nahayat Amanatdari kay sath uss kay
payghaam ko pouncha diya aur Rahay Raast par iss Duniya say Guzar gayay aur humaray
Darmiyaan aik Aysa Parchamay Haq Chorr gayay khay jo uss say Agay Barh jayay who Deen
say Nikal gaya aur jo peechay rahay jayay who Halaak ho gaya aur jo uss say Wabastah rahay
who Haq kay sath raha uss kee Taraf Rahaynomayee karnay wala who hay jo Baat Thair kar
karta hay aur Qiyaam Itmaynaan say karta hay laykan Qiyaam kay Baad pher Taizi say kaam
karta hay daykho jab tum uss kay liyay apni Gardanon ko Jhuka do gay aur har Masllah mian uss
kee Taraf Isharah karnay Lago gay to usay Mout aa Jayay gee aur usaylay kar chali jayay gee
Pher jab tak Khuda Chayhay Ga tumhain use Haal main rhayna parhay ga Yahan tak khay who
uss Shakhs ko Manzaray Aam par lay ayay jo tumhain aik Maqam par Jamma kar day aur
tumharay Intayshaar ko durr kar day to daykho jo anay wala hay uss kay Ealwah kisee ko Tama
nah karo aur jo ja raha hay uss say Mayoos nah ho jawo ho sakta hay khay janay walay ka aik
Qadam Ukhar jayay to Dusra Jama rahay aur pher aysay Halaat Paida ho jayain khay donon
Qadam jam jayain>>>

Daykho Alay Muhammad s.a.w.w Kee Misaal Asman kay Sitaron jaysee hay khay jab aik Sitara
Ghaib ho jata hay to dusra Nikal ata hay to Goya Allha kee Naymatain tum par Tamam Ho gayee
hain aur uss nay tumhain who sab khuch daykhla diya hay jiss kee tum Aas lagayay Bhaythay
thay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 195>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 212
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 101:>>>

App a.s kay Khutba ka Aik Hissah Jo Unn Khutbon main hay jin mian Hawadasay Zamana ka
Zikar kiya gaya hay>>>

Saarti Tareef uss Awal kay liyay hay jo har aik say phaylay hay aur uss Akhar kay liyay hay jo
har aik kay baad hay uss kee Awaliyat ka Taqaza hay khay uss ka Awal nah ho aur uss kee
Akhariyat ka Taqaza hay khay uss ka koe Akhar nah ho main Gawahee dayta hun khay uss kay
Ealwah koe Khuda nhen hay aur uss Gawahee main mera Batan Zahir kay Mutabiq hay aur meri
Zubaan Dil say Mukamal Torr par hum Ahang hay>>>
Ayohanaas! Khabardar meri Mukhalfat kee Ghalati nah karo aur meri Nafarmani kar kay Hairaan
O Sargardaan nah ho jawo aur meri Baat suntay waqt Aik Dusray ko Asharay nah karo khay uss
Parwardaygar kee Qasam jiss nay dana ko Sigaftah kiya hay aur Nafoos ko Ejaad kiya hay khay
main jo khuch Khabar day raha hun who Rasoolay Umi s.a.w.w kee Taraf say hay jahan nah
pounchabat wala Ghalat go tha aur nah sunnay wala jahil tha aur Goya khay main iss Badtareen
Gumrah ko bhe daykh raha hun jiss nay Shaam main lalkara aur Kufah kay Atraaf main apnay
Jhanday Garh diyay aur uss kay Bad jab uss ka Dahana Khul gaya aur uss ke Lagaam ka Dahana
Mazboot ho gaya aur Zameen main uss kee Pamaliyaan Sakhat Tar ho gayeen to Fitnay Abnayay
Zamana ko apnay Danton say Katnay lagay aur Jangon nay apnay Thaprairon kee Lapait main
lay liya aur dono kee Sakhtiyan aur Raaton kee Jurhatain Manzaray Aam par Aa Gayeen aur pher
jab uss kee Khaiti Tiyaar ho kar apnay Pairon par Khari ho gayee aur uss kee Sar Mastiyaan apna
Josh Daykhlanay Lageen aur Talwarain Chamaknay Lagyeen to Sakhat Tareen Fitnon Kay
Jhanday Gaarh diyay gayay aur who Tareek Raat aur Talatam Khaiz Samundar kee Tarah
Manzaray Aam par aa gayay aur Kufa ko iss kay Ealwah bhe kitnee he Andiyaan Parah Parah
karnay wali hain aur iss par say kitnay he Jhakar Guzarnay walay hain aur Anqareeb Wahan
Jamayatain Jamayaton say Guthnay wali hain aur khari Khaytiyaan Kaati janay wali hain aur
Katay huway Mahasaal ko bhe Tabah O Barbaad kar diya jayay ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 197>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 214
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 102:>>>

Aap a.s kay Khutbah Ka Aik Hissah Jiss main Qiyamat aur uss main Logon kay Halaat ka Zikar
kiya gaya hay>>>

Who Din who ho ga Jab Parwardaygar Awaleen O Akhireen ko Daqeeq Tareen Hisaab aur Amaal
kee Jaza kay liyay iss Tarah Jamma karay ga khay sab Khazoo O Khashoo kay Alam main
Kharay hun gay Paseena unn kay Dahan Tak pouncha ho ga aur Zameen Laraz rahee ho gee
Baytareen Haal uss ka ho ga jo apnay Qadam Jamanay kee Jagah Hasal kar lay ga aur jisay Sans
laynay ka Moqa mill jayay ga>>>

Aysay Fitnay Jaysay Andheeri Raat kay Tukray jiss kay samnay nah Ghoray Kahray ho sakain
gay aur nah unn kay Parchamon ko Palta ja sakay ga yhe Fitnay Lagaam O Saman kee Puri
Tiyaari kay sath ayain gay khay unn ka Qaid unhain Hanka raha ho ga aur unn ka Sawaar unhain
Thaka raha ho ga uss kee Ayhail aik qoum ho gee jiss kay Humllay Sakhat hun gay Laykan Loot
Maar kam aur unn ka Muqabllah Rahay Khuda main Siraf who log karain gay jo Mutakabireen
kee Nigah main Kamzor aur past hun gay who Ayhalay Duniya Majhool aur Ahaylay Asman
main Maroof hun gay>>>
Ayay Basrah! Aysay Waqt main teri Halat Qabalay Rayhaim ho gee iss Azabay Elahi kay
Lashkar kee Bina par jiss main nah Ghubaar ho ga nah Shor O Ghul aur Anqreeb Teray
Bashindon ko surakh mout aur sakhat bhook main Mubtilla kiya jayay ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 199>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 216
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 103 Part 1:>>>

Aap kay Khutbah ka Aik Hissah Zahid kay Baray Main>>>

Aiyo Hanaas!Duniya kee Taraf iss Tarah Daykho jaysay who log daykhtay hain jo Zahid rakhnay
walay aur uss say Nazar Bachanay walay hotay hain khay Anqareeb yhe apnay Sakinon ko Hata
Day gee aur apnay Khushaliyon ko Ranjeedah kar day gee iss main jo Cheez Munh Pher kar ja
chuki who Palat kar anay wali nhen hay aur jo Anay Wali hay us kaa Haal nhen Maloom hay
khay uss ka Intayzaar kiya jayay us kee Khushi Ranj say Makhloot hay aur uss main Mardon kee
Mazbooti Zuhaf O Natawani kee Taraf Mail hay Khabardar uss kee dil Lubhanay wali Cheezain
tumhainn dhokha main nah daal dayain khay uss main say Sath janay wali Cheezain Bhout kam
hain>>>

Khuda Rhaymat Nazal karay uss Shakhs par jiss nay Ghor O Fikar kiya to Abrat Hasal kee aur
Ebraat Hasaal kee to Baseerat Paida kar lee khay Duniya kee har Mujood Shay Anqareeb Aysee
ho jayay gee jaysay thee he nhen aur Akharat kee Cheezain iss Tarah ho jayain gee jaysay abhee
mujood hain har Gintee main Anay wala Kaam honay Wala hay aur Har who Shay jiss kee
Umeed ho who Anqareeb Anay Wali hay aur jo Anay Wala hay who Goya khay Qareeb aur
Bilkul Qareeb hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 199>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 216
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 103 Part 2:>>>

(Sifatay Alam) Alam Who hay jo Apni Qadar Khud Paychanay aur Insaan kee Jahalat kay liyay
Itna he Kafi hay khay who apni Qadar ko nah Phaychanay Allha kee Nigah main Badtareen
Bandah who hay jisay uss nay use kay Hawalah kar diya ho khay who Seedhay Rastay say Hutt
gaya hay aur Baghair Rhaynuma kay Chaal raha hay>>>

Usay Duniya kay Karobar kee Dawat dee jayay to Amal par Amadah ho jata hay aur Akharat kay
Kaam kee Dawat dee jayay to Susat ho jata hay goya khay khuch kiya hay who he Wajab tha aur
jiss main Susti barti hay who uss say Saqat hay>>>

(Akhar Zamana) Who Zamana Aysa ho ga jiss main Siraf who he Momin Nijaat paa sakay ga jo
goya khay so raha ho ga khay Majma main ayay to log usay paychaan nah sakain aur Ghaib ho
jayay to koe Talash nah karay yhe he log Hadayat kay Charagh aur Raton kay Musafir kay liyay
Nishanay Manzal hun gay nah idar udar lagatay pherain gay aur nah logon kay ayoob kee ishaat
karain gay unn kay liyay Allha Rhaymat kay Darwazay Khoul day ga aur unn say Azaab kee
Sakhtiyon ko durr kar day ga>>>

Logo! Anqareeb aik aysa Zamana Anay wala hay jiss main islaam ko isee Tarah Ulat diya jayay
ga jiss Tarah Bartan ko us kay Saman Samait Ulat diya jata hay>>>

Logo! Allha nay tumhain iss Baat say Panah day rakhee hay khay who tum par Zulam karay
laykan tumhain iss Baat say Mehfooz nhen rakha hay khay Tumhara Imtayhaan nah karay uss
Malik Jala Jalahoo nay Saaf Aylaan kar diay hay khay “iss main humari khuli hue nishaniyan
hain aur hum Barhaal Tumhara Imtayhan laynay walay hain”>>>

(Syed Razi iss Baray main Farmatay hain: Momin kay Nomah (Khuwabeedah) honay ka Matlab
uss ka Gumnaam aur Baysharam hona hay aur Masyeeh Misyaah kee Jammah hay aur who
Shakhs khay jissay kise ka Ayaib Maloom ho jayay to us kee Ishaat kay Baghair Chain nah paray
Buzur Bazur kee Jamma hay Yaani who Shakhs jiss kee Hamaqat Zaidah hay aur uss kee
Guftagoo Laghooiyat par Mushtamil ho>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 201>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 218
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 104:>>>

Aap a.s Kay Khutbah Ka aik Hissah>>>

Ama Bad! Allha nay Hazrat Muhammad s.a.w.w ko iss Dour main Bhayjah hay jab Arab main
nah koe Kitaab Parhna Janta tha aur nah Naboowat aur Wahee ka Adaa karnay wala tha Aap
s.a.w.w nay Etaat Guzaron kay Saharay Nafarmanon say Jahad kiya unhainn Manzalay Nijaat
kee Taraf lay jana chatay thay aur Qiyamat kay anay say phaylay Hadayat day dayna chatay thay
jab koe thaka mandah ruk jata tha aur koe Luta huwa Thair jata tha to uss kay sar par kharay ho
jatay thay khay uss manzal tak pouncha dayain magar yhe khay koe aysa la Khaira ho jiss kay
Muqadar main halakat ho yahan tak khay Ap nay logon ko Markaz say Ashna bana diya aur
unhain unn kee Manzal tak pouncha diya unn kee chaki chalnay lagee aur unn kay Tairay
Seedhay ho gayay>>>

Aur Khuda kee Qasam! Main bhe unn kay Hankanay Walon main say tha yahan tak khay who
mukamal torr par paspa ho gayay aur apnay Bandhanon main Jakar diyay gayay uss Darmiyan
main main nah kamzor huwa nah buzdili ka shikaar huwa nah main nay Khayanat kee aur nah
susti ka Izhaar kiya>>>

Khuda kee Qasam main Batal ka Pait Chaak kar kay uss kay Phayloo say Haq ko Barhal Nikaal
lun ga>>>

(Syed Razi iss Khutba kay baray main Farmatay hain) iss Kutbah ka aik Intaykhaab phaylay
Naqal kiya ja chukka hay laykan chunkhay iss Rawayat main qadaray Kami aur Ziyadati payee
jati thee lihazah Halaat ka Taqaza yhe tha khay usay dubara iss shakal main bhe daraj kar diya
jayay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 203>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 220
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 105 Part 1:>>>

Aap kay Khutbah ka Aik Hissah Jiss main Rasoolay Akram s.a.w.w kay Awosaaf Bani
Ummaiyah kee Thaydeed aur Logon kee Nasiyat ka Tazkirah kiya gaya hay>>>

(Rasoolay Akram s.a.w.w) Yahan tak khay Parwardaygar nay Hazrat Muhammad s.a.w.w ko
Ummat kay Amaal ka Gawah Sawaab kee Basharat daynay wala Azaab say Daranay wala bana
kar bhayj diya Aap Bachpanay main Baytareen Makhlooqat aur San Raseedah honay par
Ashrafay Kainat thay Adaat kay Aytaybar say Tamam Pakeezah Afraad say Zaidah Pakeezah aur
Baranay Rhaymat kay Aytabar say har Sahaab Rhaymat say Zaidah Kareem O Jawad thay>>>

(Bani Ummaiyah) Yhe Duniya tumharay liyay isse Waqt apni Lazaton Samait Khushgawar Bani
hay aur tum uss kay Fawaid Hasal karnay kay Qabal banay ho jab tum nay daykh liya khay uss
kee Muhaar Jhol rahee hay aur uss ka Tang Dheela ho gaya hay uss ka Haram aik Qoum kay
Nazdeek Baghair Katnay wali Bair kee Tarah Mazay Dar ho gaya hay aur uss ka Halal bhout
durr tak na Paid ho gaya hay aur Khuda kee Qasam tum iss duniya ko aik mudat tak phaylay
huway saya ke Tarah daykho gay khay Zameen har Toknay walay say Khalee ho gayee hay aur
tumharay hath khul gayay hain aur Qaideen kay hath bandhay huway hain tumhari Talwarain
unn kay Saron par Latak rahee hain aur unn kee Tawarain Nayaam main hain laykan Yaad rakho
khay har khoon ka aik Intayqam laynay wala aur har haq ka aik Talabgaar hota hay aur humaray
Khoon ka Muntaqim Goya Khud apnay Haq main Faislah karnay wala hay aur who’ who
Parwardaygar hay jisay koe Matloob Ajaz nhen kar sakta hay aur jiss say koe Farar karnay wala
Bhaag nhen sakta hay main Khuda kee Qasam Khaa kar khayta hun ay Bni Ummaiya
khayAnaqareeb tum iss duniya ko Aghiyaar kay Hathon aur Dushmanon kay Diyaar main
daykho gay Agaah ho jawo khay Baytareen Nazar who hay jo Khair main Doob jayay Aur
Baytareen Kaan who hain jo Nasiyaat ko Sunn layain aur Qabool kar layain>>>

(Muwazah) Logo! Aik Ba Amal Nasiyat karnay walay kay Charaghay Hadayat say roshani Hasal
kar lo aur aik Aysay Saaf Chishmah say Seerab ho jawo jo Har Aloodgee say Paak O Pakeezah
hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 203>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 220
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 105 Part 2:>>>

Allha Kay Bando! Daykho apni Jahalat kee Taraf Jhukawo Mat Paida karo aur apni Khuwahishat
kay Ghulam nah Ban Jawo khay uss Manzal par Aa janay wala goya Saylaab Zadah Diwar kay
Kinaray par Khara hay aur Halakaton ko apni Pusht par Laday huway Idar say Udar Muntaqil ho
raha hay inn Afkaar kee Bina par jo Yakay Bad Deegaray Ejaad karta rahay ga aur inn par Aysay
Dalail Qaim karay ga jo har Giz Chispaan nah hun gay aur iss say Qareeb tar bhe nah hun gay
Khuda Ra Khayaal rakho kay apni Fariyaad uss Shakhs say karo jo uss ka Azala nah kar sakay
aur apni Rayay say hukamay Elahi ko Torr nah sakay >>>

Yaad Rakho khay Imam kee Zimdah Dari Siraf who hay jo Parwardaygar nay uss kay Zimah
rakhee hay khay Baleegh Tareen Muayzah karay Nasiyat kee Koshish karay Sunnat ko Zindah
karay Mustahiqeen par Hadood ka Ijraa karay aur Haqdaron tak Mairaas kay Hisay Pouncha
day>>>

Daykho Elam kee Taraf Sabqat karo Qabal iss kay khay uss ka Sabzah Khushak ho jayay aur tum
usay Shibanay Elam say Hasal karnay main apnay Karobar main mashghool ho jawo Munkiraat
say ruko aur Khud bhe bacho khay tumhain roknay ka Hukam roknay kay Baad diya gaya
hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 205>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 222
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 106 Part 1:>>>

Jiss main Islam kee Fazeelat aur Rasoolay Islam s.a.w.w ka Tazkirah kartay huway Ashaab kee
Malammat kee gayee hay>>>

Saari Tareef Uss Khuda kay liyay hay jiss nay Islam ka Qanoon Moyeeyan kiya to uss kay har
Ghaat ko Warid honay kay liyay Asaan Bana diya aur uss kay Arkaan ko har Muqablah karnay
walay kay Muqabllah main Mustahikam bana diya uss nay uss Deen ko Wabastagee Ikhtiyaar
karnay walon kay liyay Jayay Aman aur uss kay Dairah main Dakhal ho janay walon kay liyay
Mahal Salamati bana diya hay yhe deen apnay Zariyah Kalam karnay walon kay liyay Burhaan
aur apnay Waseelah say Muqabllah karnay walon kay liyay Shahid Qarar diya gaya hay yhe
Roshni Hasal karnay walon kay liyay Noor Samjnay Walon kay liyay Fahaim Fikar karnay
walon kay liyay Mughazay Kalam Talashay Manzal karnay walon kay liyay Nishanay Manzal
Sahibanay Azam kay liyay Samanay Baseerat Nasiyat hasal kar daynay walon kay liyay Rahat
aur Sabar karnay walon kay liyay Sipar hay yhe Baytareen Rastah aur Waziyah Tareen Dakhillah
kee Manzal hay iss kay Minaar Buland, Rastay Roshan, Charagh Zo Bar, Maidanay Amal Ba
Waqar aur Maqsad Buland hay uss kay Maidan main Taiz Raftaar Ghoron ka Ijmah hay aur uss
kee Taraf Sabqat aur uss ka Inaam har aik ko Matloob hay uss kay Shahsawaar Ba Ezaat hain uss
ka Rastah Tasdeeq Khuda O Rasool s.a.w.w aur uss ka Minarah Naikiyan hain Mout aik Maqsad
hay jiss kay liyay Duniya Ghorr Durr ka Maidan hay aur Qiyamat uss kay Ijma kee Manzal hay
aur pher Jannat uss Muqabllah ka Inaam hay>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 207>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 224
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 106 Part 2:>>>

(Rasoolay Akram s.a.w.w) Yahan Tak khay Aap nay Har Roshani kay Talabgar kay liyay Aag
Roshan kar dee aur Har Gum Kardah Raah Thairay huway musafir kay liyay Nishanay Manzal
Roshan kar diyay>>>

Parwardaygar! Who teray Mohtaybar Amanatdar aur Rozay Qiyamat kay gawah hain tun nay
unhain naymat bana kar bhayja aur Rhaymat Bana kar Nazal kiya hay>>>

Khudaya! Tun apnay Insaaf say unn ka Hissah Ata Farma aur pher apnay Fazal O Karam say unn
kay Khair ko Dugana Chugna kar day>>>
Khudaya! Unn kee Emarat ko tamam Emaraton say Buland tar bana day aur apni Bargaah main
unn kee Ba Ezaat Torr par Maizbani Farma aur unn kee Manzalat ko Bulandi Ata Farma Unhain
Waseelah aur Rifat O Fazeelatay Karamaat Farma aur Humhain unn kay Garoh main Mehsoor
Farma Jahaan nah Ruswaa hun aur nah Sharmindah hun’ nah Haq say munharaf hun nah Ayhaid
Shikan hun nah Gumrah hun aur nah Gumrah Kun aur nah kisee Fitna main mubtila hun>>>

(Syed Razi iss Khutba kay Baray main Farmatay hain Yhe Kalam iss say phaylay bhe Guzar
Chuka hay laykan hum nay Ikhtalafay Rawayaat kee Bina par Dubarah Naqal kar diya hay
(Apnay Ashaab say Khaytaab Farmatay huway) Tum Allha kee dee hue Karamat say iss Manzal
par Pounch gayay jahan tumhari Kanzeezon ka bhe Aytraam honay laga aur tumharay humsaya
say bhe Acha Bartawo honay laga tumhara Ahaytraam who log bhe karnay lagay jin par nah
tumhain koe Fazeelat Hasaal the aur nah unn par tumhara koe Ahysaan tha aur tum say who log
bhe Khouf khanay lagay jinn par nah tum nay koe Humllah kiya tha aur nah tumhain koe
Iqtyadar Hasal tha magar Afsos khay tum Ayhaiday Khuda ko Tootatay huway daykh rahay ho
aur tumhain Ghussah bhe nhen ata hay jab khay tumharay Bap dada kay Ayhaid ko Torra jata hay
to tumhain Ghairat Aa jati hay aik Zamana tha khay Allha kay Amoor tum he par Warid hotay
thay aur tumharay he paas say Bahir Nikaltay thay aur pher tumhari he taraf palat kar atay thay
laykan tum nay Zalimon ko apni manzalon par Qabzah day diya aur unn kee Taraf apni
Zamamay Amar Barah dee aur unhain saray amoor sapurd kardiyay khay who shubhaat par amal
kartay hain aur Khuwahishaat main Chakar lagatay rhaytay hain aur Khuda Gawah hay khay
Agar yhe tumhain har Sitarahkay neechay muntashir kar dayain gay to bhe Khuda tumhain iss
din jama kar day ga jo Zalimon kay liyay Badtareen din ho ga>>>

Ref: Nehj Ul Balagha Page No: 207>>>

To Be Continue will be in a Next post........

Page no 224
**********
<<<<<§Nehj Ul Balagha Hissah Awaal Mula Ali a.s Sarkar Kay 241 Khutbaat (Urdu Tarjima
Syed Zeeshan Haider Jawadi)§>>>>>

Khutba No 107:>>>

You might also like