Professional Documents
Culture Documents
Subah -
subah ka samay hai bahin paas main kuch shrab ki khali botlen padi hui hain ! Logon aur
gadiyon ke aane jane ki aawaz aa rahi hai . Sanjay karbaten badal - badal ke so rha hai .
Sanjay ke ghar se thodi doori par ak tempo aakar rukta hai usme ghar ka sara saman bhra
hua hai . Temo ke andar se ak lambi dadhi rakhe hue q mulla ji utarte hain. Tempo enjan ki
aawaz zada one ke karn sanjay ak baar uthkar mulla ji aur unki gharbali ko dekhta hai . Fir so
jata hai . Mulla ji ke sath me unki ladki bhi hai . Jiska naam ruksaar hai . Vo bhi tempo se
utarkar khidki ke paas main hi khdi ho jati hai . Mulla ji paas main hi baithe logon se baat
karne lagte hain . Enjen ki aawaz zada hone ke karan sanjay uthkar mulla ji ko hi dekhne
lagta hai . Vo baat kar rahe hote hain banha par kai log baithe hue Hain. Mulla ji ak rikse pe
baithe hue aadmi se baat kar rahe hain .
Rahisuddin - bhaiya is saman ko us bale ghar ke andar pahuchane ke liye koi mazdoor
milega .
Rikshe bala rikshe utarkar temo ke paas jakar us saman ko dekhta hue
Manish fir umesh se nazren htakar ruksaar ko dekhne lagta hai , ruksaar bhi ak baar ladke
ke taraf dekhkar , halke se muskurati hai . Driver gadi ke piche ka dala kholta hai .
Day -
kuch ladke pahlwani kar rahe hain . Usme jo refri kar rahen hain vo sanjay ke pita hain . Vo
unhe ladne ke davn bta rahe hain . Tabhi fone par ring hoti hai . Vo fone ko jakar jeb se
nikalte hain . Fone ko uthakar !
Refri - haan , utha soker ya nahi !
Mummi - haan utih gva hai . Panjiri ka saman le aiyo .
Refri fone ko gusse main kat karke jeb main. Daal lete hain. Aur ladkon ko dekhte hain sab
ladke kasrat kar rahe hain . Kuch ak dusre ko pakad kar davn lga rahe . Refri apne kurte ko
utarkar pahnte hue. Saikil uhaker chal deta hai. Cut to
Sanjay apne balon ko sishe main dekhkar bna rha ghar main sanjay ke bade bhai ki garbali
ke baccha hua hai to garme kuch polrogram ki teyari chal rahi hai. Maa samjha rahi hai .
Sanjay ko .
Maa - dekh aaj kahin mat jana . Aur tere papa bhi aa rahe hain .
Ghar ke andar kuch log tent ka saman lekar aa rahe hain . Tabhi sanjay ke pita ki saikil aa kar
rukti hai . Cut to
Sanjay chupchap khda hua hai .papa ak side main bethkar gali de rahe hain . Bhai , maa ,
sab paas main hi khade hain . Bahar se jo saman le le kar aa rahe hain . Vo ruk ruk ke dekhte
ja rahe hain .
Bhai jeb se pars nikal kar usme se ak 100 ka note nikal kar use pakda deta hai . Papa use
ghoor ke dekh rahe hain . Tabhi bhai bua se
Bhaiya - aap chorahe par jab utri thi , tabhi fone kar diya hota hum aapko sikil se le aate
aakar .
Bua - accha , lalla aajo shrir main , chalbe ki jaan hai.
Hansti hain , sanjay darwaze se bahar nikal jata hai . Pita sanjay ko dekh rahe hain .
Cut to .
Sanjay gaaon ki galiyon se guzarta hua chala aa rha galiyon main log baithe hain . Ja rahe
hain , aa rahe hain hai , tabhi achanak ak gali main mudta hai ., bahin par kuch log baithe
hue chilm pi rahe hain , sanjay baithta hai , ak aadmi unmese chilm main dam marte hue .
Aur dam ko khinchkar chilam aage logon ke taraf bdha kar chalne ko hota hai . Tabhi dusra
aadmi .
Vinod ki ghrbali hath main danda pakde vinod se kuch pta kar rahi hai , vinod bahut hi bhola
vyakti hai. Gharbali vinod ko danda dikhate hue .
Sanjay darwaje par aakar vinod ke ghar ke darwajon ki daraaz se dekh rha hota hai . Tabhi
vinod ki gharbali danda uthakar puchte hue
Vaise hi bahar se sanjay darwaje ki kundi khatkhta deta hai . Kundi ki aawaz sunte hi gharbali
dande ko ak tarf rakhte hue darwaze ko jakar kholti hai . Bahar sanjay khada hua hai .
( Vinod chupchap kisi galti kiye bacche ke tarah sanjay ke sath chla jata hai . )
Cut to
Sanjay apni chat ke upar reling se tika khda hua , idhar udhar dekh rha hai . Piche ke jis ghar
main akar ruksaar rahi hai , uski chat ke uppar ruksaar aur uski ammi , abba dono chat ke
upar tarpal ko bandh rahe hain . Ruksaar tarpal ke ak kone ko pakad kar sanjay ko dekh kar
dhime - dhime se dekh kar muskura rahi hai. Azaan ki aawaz bhi aa rahi hai. Kuch ladkiyan
bagal ki chat par baithkar duptte main kadhai kar rahi hain . Sanjay bhi ruksaar ko dekhkar
muskura rha hai . Niche gali main ak thele bala aaya hua hai , us par vo bindi , jhumke ka
saman Bech rha hai . Usme ak Saund bhi lga hua hai . Jis par ak gana baj rha , vo mere
samne baethi hai magar , usse kuch baat na ho paai hai , gaane ki awaaz tez hai .
Rahisuddin ruksaar se .
Tabhi sanjay upar se utarta hua aata hai , akdam se vo bahar jane ko hota hai tabhi bda bhai
sanjay ko dekh leta hai . Aawaz lagata hai .
Papa - lalla
Bda bhai - haan , papa
Papa - ( bag ko hath main dekar ) lo zra dekho main abhi aata hun .
Sanjay dekhta rahta hai . Jese hi bhai bhi idhar udhar dekhne lagta hai , tabhi hath ka donga
ak ladke ko pakda kar , chup chaap vanha se nikal leta hai .
Cut to
Ruksaar , gali night
Sanjay ruksaar ki gali main andhere main , khda hai , ruksaar dhire se nikal ke dekhti hai ,
sanjay use bahar aane ka ishara karta hai , vo sar ko hilakar mna karti hai . Sanjay use ak
parchi dikhata hai . Ruksaar parchi ko dekhkar aane ka ishara karti hai , aur ghar ke andar
jakar ammi se .
Ruksaar - ammi abbu se tel ke liye to bola hi nahi .
Ammi - abhi jakar le aati hun
Ruksaar - main le aaun jakar
Ammi - batuye se pese nikal le
Cut to
Ak bakra kta hua latka hai , kasai usi bakre se muton kaat - kaat ke banch rha hai .
Rahisuddin usi shop pe muton ko lene ke liye khade hue hain . Rahisuddin se pahle kasai
muton ko ak bhabhi ke liye bazan kar rha hai .
Bhabhi peson ko badhate hue kasai ke hath se theli ko jhtke main lekar.
Bhabhi - hun......
karke chali jati hai , jidhr bhabhi ja rahi hai bahin par ak moter sikil aakar rukti . Uspe par se
ak sabil naam ka aadmi muh main paan hai , vo utrkar bhabhi ko dekhte hue , muton ki
dukaan pe kasai se bolte hue aakar rukta hai .
Kasai muton ko kaat kar bazan karne main lga hua hai.
Kasai - lijiye
Rahisuddin - ji
Rahisuddin muton ko uthakar thele main rakhkar 500 ka note bdha dete hain . Kasai note ko
hath main lekar . Sabil se
Kasai - chay pil bai jaye sabil bhai ( baki pese rahisuddin ko lotate hue )
Sabil - nahi bhai , idhar se guzar rha tha to mulakat kar lun , aur kismat dekho yanha purani
jaan pahchaan mil gayi .
Rahisuddin ke taraf dekhta hua , rahisuddin, sabil dono hanste hain , chal dete hain . Tabhi
rahisuddin
Tabhi sabil ka fone ring karta hai , sabil fone ko nikal kar
Sabil - aata hun , aata hun yaar
Rahisuddin baat karte karte baith jate hain. Sabil bike ko bdha deta hai
Cut to
Gali main bahut halki roshni hai sanjay ne ruksaar ke hath ko pakad rkha hai . Ruksaar apne
hath ko chuda rahi hai . Sanjay use apni taraf khinchte hue .
Apne taraf khinch kar jor se uske honthon par kis karta hai . Vaise hi jis taraf ruksaar ka
chehra hai . Usi taraf se moter sikil aati dekhti hai , vo apne aapko chudati hui .
Ruksaar dhkka dete hue bhagti hai tabhi fir sanjay use pakad ke jeb se parchi nikal kar use
pakda deta hai . Ruksaar parchi pakad ke ghar bhaag jati hai .
Moter sikil sidhe ruksaar ke ghar ke samne aakar rukti hai . Rksaar ghbrakar ak kamre ke
andar jane ko hoti hai vaise hi darwaje ki kundi khtakti hai . Vo dawaje ke taraf mud ke
dekhti hai . Ruksaar ke chere par pasina aa jata hai . Darwaje ki kunddi fir khtakti hai . Sath
main aawaz bhi aati hai .
Sabil - ye....
Rahisuddin - yahi hai meri ladki ruksaar
Ruksaar - slabalekum
Sabil - balekum salam jiti raho
Tabhi fir sabil ka fone ring karta hai. Sabil fone ki Display ko rahisuddin ke taraf dikhata hai .
Bike ko ghumakar chla jata hai .
Cut to
Rahisuddin ghar ke andar jakar apne kurte ko utarte hue . Ruksaar se
Ruksaar jakar darwaje ko kholti hai . Ammi andar aati hain ammi ke hathon main ak plat hai.
Uske upar ak safi padi hui hai. Us plat main jalebiyan hain . Andar aakar vo plat se jalebi ka
ak pees uthakar rahisuddin ko deti hain . Rahisuddin let jate hain . Ammi ko dekhkar
Sath main kaam bhi karti ja rahi hain . Rahisuddin uthkar paas main piche aakar ammi ki
kamar main , hath daalte hue , ruksaar kichan se sirf unki aawaz ko sun kar dhire dhire
muskura rahi hai .
Rahisuddin - vaise ak baat kahen
Ammi - nahi do kaho
( sath main kapdon ko sambhalti ja rahi hain . Rahisuddin thoda gal ko gal se bhidakr )
Rahisuddin - aaj tak jawani ke tarah hi bhav khati ho
Ammi - ( qmar ko chudate hue ) are chodo ghar main bacche hain . Ye to dekh liya karo
Rahisuddin - bacche hain kiske
( qmar ko aur kaske pakadte hue )
Ammi - are Hato.....
Rahisuddin ko dhkka dekar , ammi ruksaar ke paas jakar baith jati hai . Ammi aur ruksaar
dono ak dusre ko dekhkar muskurate hain .
Cut to
Vinod shop , night
Market main lagbhag sari dukane band ho chuki hain . Vinod ki dukan khuli hai . Sanjay
vinod dono paas main hi baithe chilam pi rahe hain. Sath main baat bhi kar rahe hain .
Vinod - ( nashe main ) yaar azib zindgi di hai , upar balene ( thoda rukkar ) vaise aaj ka to ho
gya.
( Chilm ko bdhate hue , sanjay chilm ko lekar usme muskurate hue dam lagata hai. )
Vinod chilam ko sanjay pakdata hai aur jhatke se satr ko girake , usme tala dalta hai , sanjay
use dekhte hue .
Sanjay chilm ko jhtke main , khali karta hue dono chal dete hain .
Sanjay - kyun
Vinod - unhone kashi pahunchte hi koi guru kar liye . Usne , unse kha aapne apne tirth ko
pahchaan hi nahi paya . Vo aapke maa - baap the , aapki unki seva karte bahin se aapka
udhaar hota , vahin se aapka udhaar
Hota , vahin se aapko swarg milta ,
Sanjay - ( fir zor se hansta hua ) vaise ak baat to hai , jo us pandit ne bola hai , vo Sach hai ki
nahi ,
Dono ruk jate hain , vinod snajay ki aankho main dekta hai , sanjay halki si smile ke sath uski
peeth ko thonkta hua ,
Sanjay - chal subah milta hun .
Cut to
Sanjay apne gaon ki ak kisi gali main chalta aa rha hai . Tabhi samne se ak qasim naam ka
ladka bhagta hua aakar , paas main hi ghar ke paas chip jata hai . Uske theek piche hi ak
bulat gadi ki halki si roshni dikhti hui hai gadi aakar vo bhi sanjay ke paas main hi rukti hai .
Us par do contestable baithe hue Hain. Piche bale conestable ke hath main ak bag hai uske
andar ganja hai , Vo dono sanjay ki aankho main dekhte hue . Bike ko start karke nikal jate
hain.
Contestable - haan , pahlwan ji , idhar kisi ko jate hue dekha .
Sajay - nahi ,
Constable use upar se niche tak tikhi nazron se chek karta hai , aur sidha idhar udhar
dekhta hua nikal jata hai . Vahin pe khda hua unhe jate hue dekhta rahta hai . Jab vo dikhna
band ho jate hain tabhi aawaz lagata hai .
Ghar ke piche se qasim apne kapdon ko jhdta hua nikalta hai . Sanjay use dekhta hai . qasim
uske paas akar uske kandhe pe hath rakhkar thonkte hue .
Qasim - tu apni dileri ke naam par pure gaon main charchit hai . Ye suna tha magar aaj dekh
bhi liya ,
Qasim - kabhi kisi bhi chiz ki zarurat ho to , bhole ke mandir chale aana , aur khaaskar paisa
Qasim Apne hath ko aage bdhta hai , sanjay ke taraf milane ke liye , sanjay usko dekhta hai
fir ak nazar hath ko dekhta hai kuch der fir chal deta hai .
Cut to ......
Ghar ke andar sab so rahe hain . Sanjay ki dadi darwaje ke paas leti hui hain . Sanjay darwaje
par darwaje ko dhire - dhire khatkhtate hue .
Dadi halke se darwaje ki taraf dekhti hai , pure ghar ki lite band hai . Dadi ke paas ak mitti ke
tel ki dibbi rakhi hui hai , vo bahut dhime dhime jal rahi hai . Dadi bister se halke se uthti
hain aur darwaje ko khol ke sanjay se
Bolta hua Sanjay dhire se ghar andar aakar dadi ke mathe par kis karta hai , kundi band
karta hai chpke chupke chat par jakar so apni khat pe shrt nikal kar aise hi daal deta hai .
Pant bhi aise hi nikal kar side main daal deta hai khat pe baithkar ruksaar ke ghar ke taraf
dekhta hai . Uske ghar main ak balb ki roshni jal rahi hoti hai . Vo kuch pal use dekhta hai
kuch palon ke baad balb band ho jata hota hai . Sanjay let ko chadar odhta hai .
Cut to.....
6 month after
Rahisuddin tea sttal , market morning
Rahisuddin ne market main ak chay ki dukaan kholi hai . Tahnd ka musam hai . 4 - 5 log
baithkar chay bhi pi rahe hain. Paas main hi baith kar sabil bhi chay pi rha hai . Rahisuddin
chay ko ak kanch ke gilash main chan rahe hain . Aur hansh hansh ke dono log baat bhi kar
rahe hain .
Sabil - rahisuddin bhai , chay ke andar jo ye keshar ki khushboo aati hai . Tumhari kasam dil
ko chu jati hai .
Isi beech sanjay bhi dukaan par aa jata hai
Ak chay ka rahisuddin ko ishara karta hai . Rahisuddin chay ko chan rahe hote hain usi main
se ak gilash chay ka uthakar . Sanjay ke taraf bdha dete hain . sanjay chay ko lekar sabil ke
paas main khali padi jagah main baith jata hai . Sbil rahisuddin ki beaten chalti ja rahi hain .
Rahisuddin - sabil bhai , nikah bagera ke bare main kuch socha
Sabil - usme kya sochna sab sucha suchya hai .
Rahisuddin - matlab
Sabil - matlab yahi ki jisne karli usne kya kar liya , haan jisne nahi ki usne bhale hi kuch kar
liya ho .
Vinod ak bike ko sanbhal rha hai. Uska aakhiri bolt ko kaskar do chele hain . Unse kehta hai .
Sanjay - ye sab mile tab inke naam bane , main tujhse bahut pyar karta hun . Ak nazar main
hi tu mere dil pe utar gyi thi . Bahut bahut bahut pyar karta .
Vinod ki nazar samne padti hai .
Sanjay jaldi baldi chilam ko uthakar jeb main daal leta hai . Aur khda ho jata hai , papa ka
sctoor aakar akdam paas main aakar rukta hai. Vinod ke papa sanjay ko dekhne lagte hain.
Vinod sikil ko sanbhal new lagta hai . Sanjay chalte chalte .
Cut to ...
Sanjay market se hoker ja rha hai . Tabhi uski nazar bheed main khade qasim par padti hai .
Uske sath main ak ladki bhi hai uska naam ishiqa hai , ishiqa ak bag ko pakad ke khadi hai ,
tabhi do ladke bike lekar aate hain . Vo badle main ak chota bag dete hain . Aur ishiqa apne
hath ka bag use pakda deti hai . Vo bike ko lekar chale jate hain . Qasim bhi ak side main lagi
chaar pahiye ki gadi main jaakar baith jata hai . Ishiqa bhi baith jati hai . Samne ak janha par
gadi khadi hai uske bagal main ak paan ki dukaan hai. Us dukaan se paan bala utarkar aata
hai . Hath main uske do sigret ki dibbi hain vo shise se unko andar deta hai . Qasim kuch
paise use pakdata hai . Sanjay samne se khade hokar dekh rha hota hai , tabhi qasim gadi
start karke chalne ko hota hai , tabhi sanjay ke upar nazar padti hai . Qasim gadi main
akdam se brake lagata hai . Ishiqa ki bhi nazar sanjay ke upar padti hai , Qasim halki si smile
karta hai . Aur gadi ko lekar nikal jata hai . Sanjay fir ghar ke taraf chal deta hai .
Cut to ...
Sanjay ke papa baithe hue hain . Bacche khel rahe hain . Sanjay ki maa bhi ak side main
baithi hui hain . Sanjay ki dadi bhi ak chaarpai par baithi hui hain . Kuch log sanjay ki shaadi
ke liye dekhne aaye hain . Vo log bhi baithe hue Hain. Sath main unke ak ledis bhi hai . Sab
chay pi rahe hain .
Bacche dhire dhire hanste hain . Snajay ke papa dadi ke taraf dekhte hain . Tabhi dadi chup
ho jati hai .
Papa - haan , foto to hogi bahut pahle khinch bai thi ramlila main .
Mummi - are vo foto to bahut purani hai .
Ladki papa - are koi baat nahi , lalla hai kanha
Papa - idhar hi kahin gya hoga kisi kaam se
Ladki maa - pdhai kitni ki hai bhiya ne
Papa - hai school tak , uske baad
Tabhi ladki ke papa baat ko katte hain .
Ladki papa - are haan bhiya , kaam bhi zaruri hai sath sath main nahi to vyah ke baad
parivaar ko kon sanbhalega .
Isi beech sanjay bhi aa jata hai . Ghar andar mahmano ko dekh sahm jata hai . Sab sanjay ko
hi dekhne lagte hain . Sanjay dhire se namaste karta hai . Aur sidhi se chuchaap chat par
chadh jata hai . Ladki ki maa use dekhti rahti hain . Jab vo chat par chadh jata tab vo kahti
hain .
Ruksaar - tum fone kyun baar baar kat kar rahe the
Sanjay - tumhar papa ke sath bizi tha
Rksaar - mazak mat kiya karo
Sanjay - kabhi kabhi main sach bhi bolta hun
Ruksaar - kya bol rahe the abbu
Sanjay - pahle kis do
Ruksaar - batao....
Sanjay - pahle kis
Ruksaar - batao
Sanjay - kis
Ruksaar - hum fone kaat denge
Sanjay - kaat do
Bhabhi - lage raho , lage raho do do ak teyari upar chal rahi hai , ak ki niche
Sanjay - ( shrmake ) nahi bhabhi vo bas aise hi
Bhabhi - papa ko bulaun ....
( muskrate hue mazak main kahne ko hoti hai , vaise hi sanjay bhabhi ka hath pakad ke )
Sanjay - Bhabhi.....
Vaise hi niche se sanjay ke papa ki aawaz aati hai .
Papa - sanjay..
Bhabhi - chalo , niche chalo papa bula rahe hain .
Ruksaar samne se dekh rahi hai . Sanjay bhi ruksaar ko dekhta hua .
Bhabhi ne kuch kapdon ko hath main utha rkha hai jo chat par sookh rahe the . Vo sanjay
aur ruksaar ko dekhti hui niche utarti hain . Sanjay ruksaar no. Fir se dayal karta hai . Tabhi
fir niche se papa ki aawaz aati hai .
Fone ko kat deti hai , umesh niche utarne lagta hai . Vaise hi papa ki aawaz fir aati
Papa - upar ka tel lga rahe ho . Bhosdi ke . Hum to parshaan ho gaye hain . Aesi aulaad paida
karke
Cut to ....
Sanjay khda hua hai . Parivaar ke sabhi log chupchaap dekh rahe hain . Papa sanjay par
bhadak rahe hain.
Papa - barbad ho gaye hain. Tere chakkar main . Tere alava aur bhi log hain is parivaar main
, unke liye bhi sochna hai hame . Kaam dhaam karle kuch sirf teri aawaragardi ke chakkar
main lot gaye hain. Ladki bale .
Parivaar ke sabhi log chupchaap khade dekh rahe haan , sanjay bhi abhi bahin pe khda hua
hai .
Sanjay bahar ke taraf chalne lagta hai. Tabhi sanjay ki maa sanjay ko rokne ko hoti hai vaise
hi sanjay ke papa unka hath pakad lete hain .
Papa - ( sanjay se ) aur sun dubara is darwaje par kadam mat rakhna . Meri is ghar main laas
padi ho dekhne mat aana
( sabko dekh kar ) aur na hi tum main se koi isse rishta rakhega samjhe , aaj se hum sab tere
liye mar gaye hain .
Sabki aankho se aansu nikal aate hain . Sanjay ak baar sabko dekhkar chuchaap chla jata hai
.
Cut to ...
Sanjay apni gali se sidha ja rha hota hai . Tabhi achanak nazar ruksaar ki maa par padti hai .
Unhone hath main kuch pakad rkha hai . Vo market ke taraf ja rahi hain . Sanjay unhe
dekhkar jeb se fone nikal kar Ruksaar ka no. Dayal karta hai . Ruksaar gahr pe khane ki teyari
kar rahi hai . Uske dono hathon main aata lga hua hai . Tabhi ruksaar ka fone ring karta hai .
Ruksaar uthkar fone ko dekhti hai . Aur apne hathon ko saaf karti hai . Tab tak fone ka ring
hona band ho jata hai . Ruksaar fir aata lagane lagti hai hai , idhar snajay dekhta hai fone
nahi utha vo fone ko jeb main rakhkar ruksaar ke ghar ki taraf chal deta hai .
Cut to ...
Sanjay ke papa bister par baithe hue Hain. Sanjay ki maa khane ki thali lakar unhe deti hain .
Papa khane ko khana suru karte hain . Vaise hi sanjay ki maa .
Sanjay ke papa unhe ak nazar ghoor ke dekhte hain . Aur thali ko uthakar zor se fenkte hain .
Cut to....
Sanjay ruksaar ke ghar ke pass aa chuka hai . Ruksaar roti ko senk rahi hai . Chulhe main .
Ghar ka darwaja khula hua hai . Sanjay sidhe ghar ke andar aa jata hai . Ruksaar sanjay ko
dekhkar dar jati hai . Darwaje par bhaag kar jati hai gali main idhar udhar dekhti hai ,
darwaaje ko band kar deti Hai . Akdam se sanjay ke paas aakar
Sanjay ruksaar ka hath pakad ke apni taraf khinch leta hai . Uske honthon se honth sta kar
kis karta hai . Ruksaar bhi darwaje ke taraf dekhte hue kis kar rahi hai . Thoda chudane ki bhi
kosis kar rahi hai manish sanjay kis karte karte use god main utha leta hai . Bister tak lekar
jata hai . Bister par litata hai . Vaise hi darwaje ki kundi khtakti hai. Ruksaar akdam se
utarkar khadi ho jati hai . Sanjay se bolti hai .
Sanjay bhagta hua . Chat pe chad jata hai piche jakar idhar udhar dekhkar sidhe kud jata hai
.
Cut to .....
Ruksaar jaldi baldi apne kapdon ko sanbhalti hui . Chera utra hua , aakar darwaje ko kholti
hai . Samne sabil khda hua hai . Ruksaar sabil ko dekhkar.
Rukasaar andar jakar dudh ka dolu lakar sabil ko pakda deti hai . Sabil dolu lekar chala jata
hai . Ruksaar darwaja band karke . Fone uthakar sanjay ka no. Dayal karti hai . Sanjay
ruksaar ki dukaan ke taraf Langdata hua ja rha hai . Tabhi sanjay ka fone ring karta hai .
Sanjay fone ko nikal kar uthate hue .
Sanjay fone ko kat kar deta hai . Tabhi fir fone ring karta hai . Abki sanjay jeb se fone nikal
kar uski battery nikal kar switch off kar deta hai .
Cut to ....
Ruksaar ki ammi ak thele ak palithin main kuch subjiyan pakde hue ghar bapas aa rahi
Hain . Samne se tab tak sanjay langdata hua aa jata hai . Ruksaar ki ammi use kuch pal tak
dekhti hai . Sanjay bhi unhe ak nazar dekh kar stall par padi balch par baith jata hai . Ammi
side ghar nikal jati hai .
Qasim bhole baba ke mandir ke piche bane ak kamre main baitha hai. Qasim ke paas kuch
ladke baithe hue Hain. Jo bade bade paikton main ganja ko bhar rahe hain. Kuch ladke
pakton ko bag ke andar rakh rahe hain . Qasim ke fone par ring hoti hai . Piche se logon ke
gane bajane ki aawaz aa rahi hai . Qasim fone ko risiv karke
Qasim - hello
Sanjay - kanha hai qasim
Qasim - kon
Sanjay - sanjay
Qasim - kon sanjay
Sanjay - tujhe raat ko police se bachane bala sanjay
Rahisuddin sanjay ko dekhte hue chay ka gilash bdhate hain. Sanjay baat karte karte chay le
leta hai .
Sanjay fone ko kat karke mo. Ko jeb main daal leta hai. Gilash ko side main rakhta hua . Jeb
se nikal kar chay ke peson ko badhata hai . Rahisuddin peson ko lete hue
Rahisuddin use aktak dekte rah jate hain , sanjay uske haton se baki ke pese le leta hai. Aur
jeb main rakhte hue rod ke dusri side main jakar khda ho jata hai . Samne se ak riksha aa rha
hota hai . Use vo hath deta hai . Magar vo sanjay ko ignore karke chla jata hai . Samne se
Rahisuddin use dekh rha hai . Vo fir rikshe bale ko hath deta hai . Abki ye rikshewala rukta
hai .
Rikshebala bina kuch bole rikshe ko bdha deta hai . Sanjay ki nazar fir rahisuddin par jati hai
vo aktak use dekh rahe hain . Sanjay jeb se mo . Ko fir se nikal kar . Vinod ke no . Ko dayal
karta hai. Tabhi sabil ki moter sikil aakar rahisuddin ki dukan par rukti hai , sanjay use
dekhkar Sidhe rod se hote hue vinod ke ghar ke taraf nikal jata hai .
Cut to ....
Sanjay vinod ke ghar ke samne ke rod se chla aa rha hai . Vinod ke pita gate ke paas ka
chaarpai par lete hue hain . Unke paas main unka purane time ka chamkila scooter khda hua
hai . Vinod ke papa kharrante maar maar ke so rahe hain. Sanjay us sctoor ko dekhta hai .
Fir vinod ke ghar ke piche jata hai . Idhar udhar dekhkar fir chat ke taraf dekhta hai . Side
main diwaar par
Kuch int ke robe nikle hue hain. Sanjay un robon ko pakad pakad ke upar ki aur chadhne
lagta hai . Magar aadhi diwaar par chadhte hi sanjay ka pair silip ho jata hai . Magar upar ke
robon ko hathon se kaskar pakde hone ke khatir bach jata hai . Fir jese tese karke apne
aapko sanbhalta hai . Fir dhire dhire chadhne lagta hai . Aur upar chadh jata hai . Vinod
chaarpai par pair felay so rha hai . Sanjay uske paas main jakar uske muhn par halke se
thappad marta hai . Vinod ak dam se uthkar baith jata jata hai . Umesh uska munh akdam
se haton se dwakar uske chere ko apni taraf ghumata hai .
Vinod ki baat ko sunkar sanjay chalne ko hota hai . Tabhi vinod Uska piche hath pakad leta
hai .
Vinod - par baat kya hai .
Sanjay - main ghar chod ke aaya hun
Vinod -kya pagal ho gay hai
Sanjay - haa yaar main pagal ho gya hun mujhe abhi bhole ke mandir main pahunch na hai ,
Qasim se milne
Vinod - kya , marne ka plan bnakar aaya hai . .
Sanjay - mar to ghar se nikalte hi gya tha ab tu bta
Vinod - ( kuch secend baad ) yaar buddhe ne dekh liya to Gand main danda daal dega
Sanjay use kuch pal dekhta rahta hai . Fir uthkar jese hi utarne ko hota hai .