You are on page 1of 32

WELCOME TO

LEARN ENGLISH SENTENCES


Enjoy Tenses I hope you will like it. Thank you and keep supporting us.
Aaiye, Is course ko start karne se pahle ham apko angrezi bhasha ki kuch
choti choti cheeze btaege.

1. SUBJECT (Kaam karne vala)

Subject wo hota hai Jo kuch kaam kar rha ho ya uske baare me baat ho rhi
ho sentence me.

For Example

1. Woh ja raha hai.


1. He is going.

2. Rahul so raha hai.


2. Rahul is sleeping.

Jaise ki apne example me dekha ki Woh ja rha hai yaha pe jaane ka kaam
kaun kar rha hai Woh kar raha hai to yaha par Woh subject hai. Vaisahi
doosre example me Rahul so raha hai to yaha par sone ka kaam kaun kar
rha hai Rahul kar rha hai to yaha par Rahul subject hai.

Subject 2 tarah ke hote hai ( There are two types of Subject )

1. Singular
Jab subject 1 person ho ya 1 thing ho ya 1 place ho to wo Singular
Subject kehlata hai.
For Example: He, She, Name, It etc.

2. Plural
Jab subject 1 person se zyada ho ya 1 thing se zyada ho ya 1 place se
zyada ho to woPlural Subject kehlata hai.
For Example: I, You, We, They etc.
Singular Subject Plural Subject
He (Woh, Use) (Boy) I (Mai, Mujhe)
She (Woh Use) (Girl) You (Tum, Tumhe)
Name (Naam) We (Hum, Hame)
It (Yeh) They (Ve, Unhe)

2. Helping Verb

Yeh Verb, Subject ki avastha ke baare me batata hai. Jaise Jaise ap aage
padhege apko samjh me aata jaega.

For Example

Was Has Can


Were Have May
Will Had Should
Shall Is Would
Be Am Could
Being Are Might
Been Do, Does, Did Must
3. Verb

Verb subject kiya kar rha hai uski jaankari deta hai jaise ki Gaana,
Naachna, Khelna, Sochna , Padhna etc.

For Example

Sona (Sleep) Jaana (Go)


Naachna (Dance) Khelna (Play)
Sochna (Think) Daudna (Run)
Likhna (Write) Chalna (Walk)
Dekhna (See) Khareedna (Buy)

Common Rule to make a Simple Sentences

SUB + Helping Verb + Verb

For Example

1. Mai ja sakta hu
1. I can go.
2. Tumhe jaana chahiye
2. You should go.
3. Mai aaonga.
3. I will come.
4. Tumhe khel sakte ho.
4. You can play.
5. Mai naach sakta hu.
5. I can dance.
Negative Sentence

Negative sentence ke liye ap simply not ko teesre number pe rakhde


helping verb ke baad apka sentence ban jaega.

For Example

1. Mai nahi ja sakta hu


1. I can not go.
2. Tumhe nahi jaana chahiye
2. You should not go.
3. Tum nahi khel sakte ho.
3. You can not play.

Note *
1. Jis sentences ke end me sakta hai, sakte hai ae to vaha par ham Can
ka use karte hai.
2. Jis sentences ke end me chahiye ae to vaha par ham Should ka use
karte hai.

Exercise

1. Tum gaa sakte ho.


2. Tumhe nahana chahiye.
3. Tum nahi daud sakte ho.
4. Tumhe likhna chahiye.
5. Tumhe nahi dekhna chahiye
Chaliye ab hamlog jaante hai ki Affirmative Sentences, Negative Sentences
and Interrogative Sentences kise kehte hai.

1. Affirmative Sentences

Affirmative sentences normal hote hai jisme nahi, kyu, kya ye sab nahi
aate hai.

Rule
Sub + Helping Verb + Verb.

Trick to make a sentence


Sub + Right taraf se translate karo

Example
1. Ram khel sakta hai.

Sabse pahle subject likho fir right taraf se translate karo.


Subject - Ram
Sakta hai - Can
Khel - Play
To hamara sentence banega
Ram can play.

2. Negative Sentences.

Negative sentences wo hote hai jisme nahi ata hai.


In sentences me bas teesre number pe not ajaega helping verb ke baad
baki same rhega.

Example
1. Ram nahi khel sakta hai.
2. Ram can not play.
3. Interrogative Sentences.

Interrogative sentences ki shuruwat Kya se hota hai.


In sentences me helping verb sabse pehle aa jayega baaki same rhega.

Example
1. Kya Ram khel sakta hai?
2. Can Ram play?

Let’s translate one more sentence.

1. Dhoni bharat ke liye Pakistan ke khilaf cricket khel sakta hai.

Hint: Vahi trick apnae pahle subject fir right taraf se translate kare.

Subject - Dhon.
Sakta hai - can
Khel - play
Ke khilaf - against
Pakistan - Pakistan
Bharat ke liye - for India

1. Dhoni can play against pakistan for India. (Affirmative Sentence).

1. Dhoni can not play against pakistan for India. (Negative Sentence).

1. Can Dhoni play against pakistan for India? (Interrogative Sentence).


Exercise

1. Mai talab me tair sakta hu.

2. Sharukh khan katrina kaif ke sath movie bana sakta hai.

3. Woh meri bhavnao ko samajh sakti hai.

4. Wo 15 kg utha sakta hai.

5. Rahul English farrate daar bol sakta hai.

6. Tum yahan ruk sakte ho.

7. Woh bahut tezi se daud sakta hai.

8. Tum yaha gaadi park kar sakte ho.

9. Tum ab ghar ja sakte ho.

10. Aapko vaha jaana chahiye.


Tense
Tense 3 tarah ke hote hai.
1. Present Tense.
2. Past Tense.
3. Future Tense.

Aur har Tense 4 tarah ke hote hai


1. Present / Past / Future Indefinite Tense
2. Present / Past / Future Continuous Tense
3. Present / Past / Future PerfectTense
4. Present / Past / Future Perfect Continuous Tense

1. Present Indefinite Tense


Jis sentences ke end me TA HAI, TI HAI, TE HAI, TA HU, TU HU ae to
use ham Present Indefinite Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + Verb1 + s/es (If subject is singular)

Negative Sentence
Rule: Sub + Do/Does + not + verb

Interrogative Sentence
Rule: Do/Does + Sub + verb

Singular Subject He, She, Name, It s/es and Does

Plural Subject I, You, We, They Do


Example

1. Woh padhta hai.


1. He reads.
1. He does not read.
1. Does he read?

2. Mai bazar jata hu.


2. I go to market.
2. I do not go to market.
2. Do I go to market?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Woh school jata hai.

2. Rahul bolta hai.

3. Mai dekhta hu.

4. Tum acha gana gaate ho.

5. Woh nahata hai.

6. Mai dance karta hu.

7. Rahul cricket nahi khelta hai.

8. Rahul nahi bolta hai.

9. Kya woh waha jaata hai?

10. Kya tum mujhe jaante ho?


2. Past Indefinite Tense

Jis sentences ke end me TA THA, TI THI, TE THE ae ya AA, EI, AE ki


awaaz ae to use ham Past Indefinite Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + Verb2

Negative Sentence
Rule: Sub + did + not + Verb2

Interrogative Sentence
Rule: Did + Sub + Verb1

Singular Subject He, She, Name, It Did

Plural Subject I, You, We, They Did

Example

1. Ek Raja rehta tha.


1. A king lived.
1. A king did not live.
1. Did a king live?

2. Maine kaha.
2. I said.
2. I did not say.
2. Did I say?
3. Maine socha.
3. I thought.
3. I did not think.
3. Did I think?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Usne socha.

2. Ram ne gaana gaya.

3. Mera bhai IT company me kaam karta tha.

4. Mai aadhi raat ko ghar pahucha.

5. Usne mujhe dekha.

6. Woh gaana gaata tha.

7. Rahul cricket nahi khelta tha.

8. Usne kuch kaha.

9. Maine use nahi pehchana.

10. Woh rota tha.


3. Future Indefinite Tense

Jis sentences ke end me GA, GI, GE ae to use ham Future Indefinite


Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + will/shall + V1

Negative Sentence
Rule: Sub + will/shall + not + V1

Interrogative Sentence
Rule: Will/Shall + Sub + V1

I, We Shall

You, They, He, She, Name, It, I, We Will

Example

1. Mai ghar jaoga.


1. I shall go home.
1. I shall not go home.
1. Shall I go home?

2. Mai intezar karunga.


2. I shall wait.
2. I shall not wait.
2. Shall I wait?
3. Tum T.V dekhoge.
3. You will watch the T.V.
3. You will not watch the T.V.
3. Will you watch the T.V?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Mai mobile khareedunga.

2. Mai uska intezar nahi karunga.

3. Aaj hamare ghar mehman aenge.

4. Mai aaj cricket nahi khelunga.

5. Kya tum vaha jaoge?

6. Kya tum mere sath chaloge?

7. Tum yeh kitab padhoge.

8. Mataji khana bnaegi.

9. Woh tumhara dil tod dega.

10. Tum gaana gaoge.


4. Present Continuous Tense

Jis sentences ke end me RAHA HAI, RAHI HAI, RAHE HAI, RAHE HO ae
to use ham Present Continuous Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + is/am/are + V1 ing.

Negative Sentence
Rule: Sub + is/am/are + not + V1 ing

Interrogative Sentence
Rule: Is/Am/Are + Sub + V1 ing

I Am

He, She, Name, It Is


You, They, We Are

Example

1. Mai so raha hu.


1. I am sleeping.
1. I am not sleeping.
1. Am I sleeping?

2. Rahul football khel raha hai.


2. Rahul is playing Football.
2. Rahul is not playing Football.
2. Is Rahul playing Football?
3. Mai ghar ja raha hu.
3. I am going to home.
3. I am not going to home.
3. Am I going to home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja rahe hai.

2. Mai movie dekh raha hu.

3. Aaj mai football nahi khel raha hu.

4. Kya tumhara pitaji office ja rhe hai?

5. Mai tumse baat kar raha hu.

6. Kya tum jaa rahe ho?

7. Ham kitab nahi padh rahe hai.

8. Kya tum kuch pooch rhe ho?

9. Woh kuch nahi bata rahi hai.

10. Rahul doodh paka raha hai.


5. Past Continuous Tense

Jis sentences ke end me RAHA THA, RAHI THI, RAHE THE ae to use
ham Past Continuous Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + was/were + V1 ing.

Negative Sentence
Rule: Sub + was/were + not + V1 ing

Interrogative Sentence
Rule: Was/Were + Sub + V1 ing

I, He, She, Name, It Was


You, They, We Were

Example

1. Mai so raha tha.


1. I was sleeping.
1. I was not sleeping.
1. Was I sleeping?

2. Rahul football khel raha tha.


2. Rahul was playing Football.
2. Rahul was not playing Football.
2. Was Rahul playing Football?
3. Mai ghar ja raha tha.
3. I was going to home.
3. I was not going to home.
3. Was I going to home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja rahe the.

2. Mai movie dekh raha tha.

3. Aaj mai football nahi khel raha tha.

4. Kya tumhara pitaji office ja rhe the?

5. Mai tumse baat kar raha tha.

6. Kya tum jaa rahe the?

7. Ham kitab nahi padh rahe the.

8. Kya tum kuch pooch rhe the?

9. Woh kuch nahi bata rahi thi.

10. Rahul doodh paka raha tha.


6. Future Continuous Tense

Jis sentences ke end me RAHA HOGA, RAHI HOGI, RAHE HOGE ae to


use ham Future Continuous Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + will/shall be + V1 ing.

Negative Sentence
Rule: Sub + will/shall + not + be + V1 ing

Interrogative Sentence
Rule: Will/Shall + Sub + be + V1 ing

I, We Shall be
You, They, He, She, Name, It, I, We Will be

Example

1. Mai so raha hoga.


1. I shall be sleeping.
1. I shall not be sleeping.
1. Shall I be sleeping?

2. Rahul football khel raha hoga.


2. Rahul will be playing Football.
2. Rahul will not be playing Football.
2. Will Rahul be playing Football?
3. Mai ghar ja raha hoga.
3. I shall be going home.
3. I shall not be going home.
3. Shall I be going home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja rahe hoge.

2. Mai movie dekh raha hoga.

3. Ham aam kha rahe hoge.

4. Kya tumhare pitaji office ja rhe hoge?

5. Mai tumse baat kar raha hoga.

6. Kya tum jaa rahe hoge?

7. Ham kitab nahi padh rahe hoge.

8. Kya tum patang uda rahe hoge?

9. Woh kuch nahi bata rahi hoga.

10. Rahul doodh paka raha hoga.


7. Present Perfect Tense

Jis sentences ke end me CHUKA HAI, CHUKI HAI, CHUKE HAI, AA HAI,
EI HAI, AE HAI, LIYA HAI, DIYA HAI, KIYA HAI ae to use ham Future
Perfect Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + has/have + V3.

Negative Sentence
Rule: Sub + has/have + not + V3.

Interrogative Sentence
Rule: Has/Have + Sub + V3.

I, We, You, They, Have


He, She, Name, It Has

Example

1. Mai so chuka hu.


1. I have slept.
1. I have not slept.
1. Have I slept?

2. Rahul football khel chuka hai.


2. Rahul has played Football.
2. Rahul has not played Football.
2. Has Rahul played Football?
3. Woh ghar ja chuka hu.
3. He has gone home.
3. He has not gone home.
3. Has he gone home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja chuke hai.

2. Mai movie dekh chuka hu.

3. Maine aam kha liya hai.

4. Kya tumhare pitaji office ja chuke hai?

5. Maine tumse baat karli hai.

6. Kya tum vaha gae ho?

7. Kya tum kitab padh chuke ho?

8. Kya tum patang uda chuke ho?

9. Woh sab kuch bata chuki hai.

10. Rahul doodh paka chuka hai.


8. Past Perfect Tense

Jis sentences ke end me CHUKA THA, CHUKI THI, CHUKE THE, AA


THE, EI THI, AE THE, LIYA THA, DIYA THA, KIYA THA ae to use ham
Future Perfect Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + had + V3.

Negative Sentence
Rule: Sub + had + not + V3.

Interrogative Sentence
Rule: Had + Sub + V3.

I, We, You, They, He, She, Name, It Had

Example

1. Mai so chuka tha.


1. I had slept.
1. I had not slept.
1. Had I slept?

2. Rahul football khel chuka tha.


2. Rahul had played Football.
2. Rahul had not played Football.
2. Had Rahul played Football?
3. Woh ghar ja chuka tha.
3. He had gone home.
3. He had not gone home.
3. Had he gone home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja chuke the.

2. Mai movie dekh chuka tha.

3. Maine aam kha liya tha.

4. Kya tumhare pitaji office ja chuke the?

5. Maine tumse baat karli thi.

6. Kya tum vaha gae the?

7. Kya tum kitab padh chuke the?

8. Kya tum patang uda chuke the?

9. Woh sab kuch bata chuki thi.

10. Rahul doodh paka chuka tha.


9. Future Perfect Tense

Jis sentences ke end me CHUKA HOGA, CHUKI HOGI, CHUKE HOGE,


AA HOGE, EI HOGI, AE HOGE, LIYA HOGA, DIYA HOGA, KIYA HOGA
ae to use ham Future Perfect Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + will/shall have + V3.

Negative Sentence
Rule: Sub + will/shall + not + have + V3.

Interrogative Sentence
Rule: Will/Shall + Sub + have + V3.

I, We, You, They, He, She, Name, It Will have


I, We Shall have

Example

1. Mai so chuka hoga.


1. I will have slept.
1. I will not have slept.
1. Will I have slept?

2. Rahul football khel chuka hoga.


2. Rahul will have played Football.
2. Rahul will not have played Football.
2. Will Rahul have played Football?
3. Woh ghar ja chuka hoga.
3. He will have gone home.
3. He will not have gone home.
3. Will he have gone home?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school ja chuke hoge.

2. Mai movie dekh chuka hoga.

3. Maine aam kha liya hoga.

4. Kya tumhare pitaji office ja chuke hoge?

5. Maine tumse baat karli hogi.

6. Kya tum vaha gae hoge?

7. Kya tum kitab padh chuke hoge?

8. Kya tum patang uda chuke hoge?

9. Woh sab kuch bata chuki hogi.

10. Rahul doodh paka chuka hoga.


10. Present Perfect Continuous Tense

Jis sentences ke end me SE RAHA HAI, SE RAHI HAI, SE RAHE HAI, SE


RAHA HU SAMAY KE SATH ae to use ham Present Perfect Continuous
Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + has been/have been + V1 ing + since/for + time.

Negative Sentence
Rule: Sub + has/have + not + been + V1 ing + since/for + time.

Interrogative Sentence
Rule: Has/Have + Sub + been + V1 ing + since/for + time.

He, She, Name, It Has been


I, We, You, They Have been

Morning, Day Name, Month Name, Since


Year Name, Weather Name, Time
Name, Condition Name etc...
Many Days, x Days, x Months, For
Some Minutes, Some Years, Many
Years, x Hours etc...

Example

1. Mai 2 ghante se so raha hu.


1. I have been sleeping for 2 hours.
1. I have not been sleeping for 2 hours.
1. Have I been sleeping for 2 hours?
2. Rahul subah se football khel raha hai.
2. Rahul has been playing football since morning.
2. Rahul has not been playing football since morning.
2. Has Rahul been playing football since morning.

3. Tum 2 baje se padh rahe ho.


3. You have been reading since 2 pm.
3. You have not been reading since 2 pm.
3. Have you been reading since 2 pm?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school me subah se padh rhe hai.

2. Mai 2 ghante se movie dekh raha hu.

3. Maine 1 ghante se aam kha raha hu.

4. Kya tumhare pitaji kal se so rahe hai?

5. Mai tumse 2000 se baat nahi kar raha hu.

6. Kya tum 3 ghante se khana kha rhe ho?

7. Woh shaam se tumhara intezar kar rahi hai?

8. Kya tum 3 baje se patang uda rahe ho?

9. Tum 2 baje se nahi padh rahe ho.

10. Woh 1992 se kaam kar raha hai.


11. Past Perfect Continuous Tense

Jis sentences ke end me SE RAHA THA, SE RAHI THI, SE RAHE THE,


SE RAHA THA SAMAY KE SATH ae to use ham Past Perfect
Continuous Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + had been + V1 ing + since/for + time.

Negative Sentence
Rule: Sub + had + not + been + V1 ing + since/for + time.

Interrogative Sentence
Rule: Had + Sub + been + V1 ing + since/for + time.

He, She, Name, It, I, We, You, They Had been

Morning, Day Name, Month Name, Since


Year Name, Weather Name, Time
Name, Condition Name etc...
Many Days, x Days, x Months, For
Some Minutes, Some Years, Many
Years, x Hours etc...

Example

1. Mai 2 ghante se so raha tha.


1. I had been sleeping for 2 hours.
1. I had not been sleeping for 2 hours.
1. Had I been sleeping for 2 hours?

2. Rahul subah se football khel raha tha.


2. Rahul had been playing football since morning.
2. Rahul had not been playing football since morning.
2. Had Rahul been playing football since morning.

3. Tum 2 baje se padh rahe the.


3. You had been reading since 2 pm.
3. You had not been reading since 2 pm.
3. Had you been reading since 2 pm?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school me subah se padh rhe the.

2. Mai 2 ghante se movie dekh raha tha.

3. Maine 1 ghante se aam kha raha tha.

4. Kya tumhare pitaji kal se so rahe the?

5. Mai tumse 2000 se baat nahi kar raha tha.

6. Kya tum 3 ghante se khana kha rhe the?

7. Woh shaam se tumhara intezar kar rahi thi?

8. Kya tum 3 baje se patang uda rahe the?

9. Tum 2 baje se nahi padh rahe the.

10. Woh 1992 se kaam kar raha tha.


12. Future Perfect Continuous Tense

Jis sentences ke end me SE RAHA HOGA, SE RAHI HOGI, SE RAHE


HOGE, SE RAHA HOGA SAMAY KE SATH ae to use ham Future
Perfect Continuous Tense kehte hai.

Simple Sentence
Rule : Sub + will/shall have been + V1 ing + since/for + time.

Negative Sentence
Rule: Sub + will/shall + not + have been + V1 ing + since/for + time.

Interrogative Sentence
Rule: Will/Shall + Sub + have been + V1 ing + since/for + time.

He, She, Name, It, I, We, You, They Have been

Morning, Day Name, Month Name, Since


Year Name, Weather Name, Time
Name, Condition Name etc...
Many Days, x Days, x Months, For
Some Minutes, Some Years, Many
Years, x Hours etc...

Example

1. Mai 2 ghante se so raha hoga.


1. I will have been sleeping for 2 hours.
1. I will not have been sleeping for 2 hours.
1. Will I have been sleeping for 2 hours?

2. Rahul subah se football khel raha hoga.


2. Rahul will have been playing football since morning.
2. Rahul will not have been playing football since morning.
2. Will Rahul have been playing football since morning.

3. Tum 2 baje se padh rahe hoge.


3. You will have been reading since 2 pm.
3. You will not have been reading since 2 pm.
3. Will you have been reading since 2 pm?

Translate the following sentences by yourself for practice.

1. Ladke school me subah se padh rhe hoge.

2. Mai 2 ghante se movie dekh raha hoga.

3. Maine 1 ghante se aam kha raha hoga.

4. Kya tumhare pitaji kal se so rahe hoge?

5. Mai tumse 2000 se baat nahi kar raha hoga.

6. Kya tum 3 ghante se khana kha rhe hoge?

7. Woh shaam se tumhara intezar kar rahi hogi?

8. Kya tum 3 baje se patang uda rahe hoge?

9. Tum 2 baje se nahi padh rahe hoge.

10. Woh 1992 se kaam kar raha hoga.

Thank You keep supporting us. 

You might also like