You are on page 1of 1

Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki

Allah ne yeh shan barhai tere darr ki


bakshi hai malaik ko gadai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki
bakshi hai malaik ko gadai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

panney ko to khurseed O qamer charkh ne paye


panney ko to khurseed O qamer charkh ne paye
kya paya ager khak na paai tere darr ki
kya paya ager khak na paai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

hooron ne malaik ne ajina ne bashar ne


hooron ne malaik ne ajina ne bashar ne
kis kis ne kahan bheek na paai tere darr ki
kis kis ne kahan bheek na paai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

Allah ke ghar se hai rasai tere darr tak


Allah ke ghar se hai rasai tere darr tak
Allah ke ghar tak hai rasai tere darr ki
Allah ke ghar tak hai rasai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

ley jaye gee ik din mujhe taiba mein urra kar


ley jaye gee ik din mujhe taiba mein urra kar
jiss waqt hawa jhoom ke aai tere darr ki
jiss waqt hawa jhoom ke aai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

seene mein bhara hai teri naaton ka khazana


seene mein bhara hai teri naaton ka khazana
alam mein lootata hoon kamaai tere darr ki
alam mein lootata hoon kamaai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

mehshar mein bhi iss shan se jaon ga munawar


mehshar mein bhi iss shan se jaon ga munawar
rakhe huwe kandeh pey chatai tere darr ki
rakhe huwe kandeh pey chatai tere darr ki
Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

bakshi hai malaik ko gadai tere darr ki


Allah ne yeh shan barhai tere darr ki

You might also like