You are on page 1of 2

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Idhar bhi nigahe karam Gause Azam

Karo door ranjo alam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Khilata pilata hai rabbe do alam

Tuje deke apni kasam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Muje khvab mai aake jalva dikha do

Karo aaj ki shab karam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Tera hu mai tera mere is kahe ka

Sare hashr rakhna bharam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Kahi gir na jaau khudara sambhalo

Mere dagmagaye kadam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Bahot chubh raha hai khudara nikalo

Mere dil se teere alam Gause Azam


Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Tumhare hi dar ka rahu mai bhikari

Nahi khvahishe Takhte jam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

Jila payega dil Ubaide Raza ka

Zara rakh do apna kadam Gause Azam

Shai in Lillah Ya Abdal Qadir

Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jilani

You might also like