You are on page 1of 1

AUN O MUHAMMAD KIYU'KAR

Maa na roegi tumhe Aun o Mohammad Kyu'kar


Jab madine mein nazar aaegi viraniy e ghar

Jab ke zindan mein tum dono ka sar aya tha


Mai na roie thi tumhe tumko gila to hoga
Maaf karna jo agar ho soke ay lakhte jigar
Maa na roegi tumhe....

Mujhse poochenge jo Abdullah kaha'n hain bachche


Kya waja hai meri nazro'n se niha'n hain bachche
Kya jawab unko ye maa degi mere noore nazar
Maa na roegi tumhe...

Hujre dekhungi tumhare to tadap jaungi


Kis tarah se dile betaab ko samjhaungi
Ab nahi lautke aaenge mere rashqe qamar

Tum nahi paas to ab naaz uthau'n kiske


Hujre hatho'n se bhala ab mai sajau'n kiske
Kaash mar jati tere sath hi dukhiya madar
Maa na roegi tumhe...

Tum nahi ho to maza kuch bhi nahi jeene mein


Haey is gham se phataa jata hai dil seene mein
Kaun ab mujhko pukarega bhala maa kehkar
Maa na roegi tumhe...

Ay mere laal tere baad ghazab hum pe hua


Haey is chashme falak ne bhi ye manzar dekha
Sar barahna ye laee'n legae humko dar dar
Maa na roegi tumhe...

Bain sunkar ye uthi Zain BAQAIYYA se sada


Gham na kha ay meri beti ke ye maa tumpe fida
Hain mere paas mere Aun o Mohammad dilbar

You might also like