You are on page 1of 1

Kehti hai do aankhen mujhse

kuch khas hai tere mere beech me...

Sharmake jab yeh jhukti hai aise


Chupake jazbaat sare palkon me,
Dhadkane tez ho jati hai dil ki
Unn sari shokh adaaon me...

Na jane kab se thi ye raaz chupaye


ki dhadakta tha wo dil mere liye
Na jane kyu na jaan paya?
Kyun na dekh paya?
Kyun na padh paya un aaknho me
Ki barso se wo pyaar tha mere liye..

Na jane kyun na jhank paya


Apni khush naseebi me,
Ke barso se kuch khas tha
Tere mere beech me

Ab aayi hai jo zindagi me


Ye aankhen bahar banke...
Vada hai inse na jane dunga,
Dur ek pal bhi nazron se...

Ab toh khuda bhi,


tere noor se milne ki ijaazat mangega
Jab bhi bulaayega tujhe pass,
tere aur apne raste me,
bakhuda is nacheez ko khada payega...

Thama hai ab jo yeh hath


Na chutega kabhi iss hath se
Chahe maut bhi laga le zor
apni puri taakat se...

Kyunki ab yeh ehsaas hai hume


Ki Kuch Khas Hai tere mere beech me

You might also like