You are on page 1of 3

SaiRat OS: Baate

There was a knock on the door of Usha Mavshi's room. Sai opened the door only to find Virat
standing there. She sighed and turned around clearly indicating that she has no interest in
talking to him.
'Sai, mujhe tumse kuch baat karni hai', Virat said politely but she just went further inside the
room.
'Mavshi inse keh do ki mujhe inse koi baat nahi karni aur na hi inki koi baat sunni hai…', Sai
said looking at Usha Mavshi. 'Inse keh do ki yaha se chale jaye aur mujhe akela chhod de'.
Usha mavshi looked at him helplessly.
'Sai… main janta hu ki mujhse galati hui hai… par tum mujhe samjhane ka mauka toh do!', Virat
said more gently stepping inside the room.
'Usha Mavshi, inse keh do ki inhone kabhi mujhe samajhne ki koshish ki hai.. Jo main inhe khud
ko samjhane ka mauka du?', Sai asked him indirectly and he realized that she was right. He
didn't try to understand her, and became even more embarrassed after hearing this.
'Sai.. Bas ek bar meri baat sun lo…uske baad tum jo kahogi main maan lunga', Virat said trying
to pacify her anger and looked at Usha mavshi for some help.
'Mavshi inse keh do.. '
'Sai, mujhe na kal subah ke nashte ke liye matki (sprouts) bhigo kar rakhni hai', Usha mavshi
said before Sai could say anything else. 'Main bas abhi ati hu.. Haan!', she said and quickly left
the room leaving the husband and wife alone. Sai sighed and sat down on the mattress not
looking at Virat. He went and sat beside her.
'Sai.. Aaj tumne jo bhi mere liye kiya uske liye..', Virat tried but before he could continue she
spoke up.
'Aapko thanks kehne ki jarurat nahi hai Virat sir.. maine sirf wahi kiya jo sahi tha.. sach samne
lana jaruri tha… agar aapki jagah koi aur bhi hota toh bhi main yahi karti', she replied without
looking at him. He felt a bit hurt at that but also felt proud of her this trait, to think about others
before herself. Because of her this quality only, she had been ready to risk her life to save a little
girl, and he admired her for that.
‘I know… fir bhi main kehna chahta hu… Thank you Sai’, he said with a small smile. She looked
at him with a blank face.
‘Yahi baat karni thi aapko? Agar aapki baat ho gayi ho toh aap ja sakte hai’, she said sternly
and his smile faded due to her indifference.
‘Nahi…. actually main tumse ye kehna chahta tha ki… aaj jis tarah tum bina hichkichaye,
bekhauf hoke DIG sir se milne gayi…wo kabil-e-tarif hai…. Tum bohot bahadur ho Sai, bilkul
Kamal sir ki xerox copy ho’, he said truly praising her. She looked in his eyes and he hoped she
could see how proud he was of her.
‘Thanks’, she said and looked away again.
‘Par tum mujhe bata kar bhi toh ja sakti thi?’, he asked.
‘Agar bata deti toh kya aap mujhe jane dete?’, she asked back looking at him sternly. ‘Aapke
liye toh main ek nasamajh, immature bacchi hu… jo kabhi kisi situation ki seriousness ko
samajh hi nahi sakti… to situation ko solve karna toh dur ki baat hai, hai na?’, she asked in
direct words.
‘Aisa nahi hai Sai, main..’
‘Aisa hi hai Virat sir… mujhse shadi karna aapki zindagi ki ek galati hai, aur main sirf ek bojh hu
aapke upar… aapki sari problems ki wajah hu… isiliye aap mujhse apni koi pareshani share
nahi kar sakte, sirf mujh par gussa ho sakte hai’, Sai let out all the things that had hurt her, and
he sensed her getting sad with every word she uttered. It stung him too. He didn’t want to see
her sad and he was ready to do anything to make her feel better. He held her shoulders and
turned her to face him completely.
‘Nahi Sai yeh sach nahi hai… main janta hu mujhse galati hui hai… mujhe apna gussa tum par
nahi utarna chahiye tha… us waqt main pareshan tha aur mera dimag kam nahi kar raha tha,
aur is wajah se sara frustration tum par nikal gaya….Lekin iska matlab yeh bilkul nahi hai, ki tum
mere liye bojh ho…. Main bas bohot gussa tha us Vitthal Mane ke upar aur us gusse me tumhe
bohot kuch ulta sidha bol gaya… I am sorry’, he said gently, but she didn’t respond to him.
‘Accha kan pakad ke sorry’, he said holding both his ears, and it made her smile lightly. He
smiled back at that.
‘Aur tum sahi keh rahi ho, mujhe tumse baat karni chahiye thi…. Us waqt main kuch samajh
nahi paa raha tha… par mujhe tumse apni pareshani share karni chahiye thi…. Tum Kamal sir
ki beti ho, aur in sab mamlo me bilkul un par hi gayi ho… mujhe samajhna chahiye tha ki tum is
baat ko bhi samajh jaogi…’, Virat said being honest with her.
‘Yahi toh baat hai na Virat sir… aap mujhe kabhi samajhna hi nahi chahte’, she complained but
now in a more light hearted manner. ‘Aapko lagta hai ki aap mujhe acchi tarah jante hai, aapko
lagta hai ki aap mere bare me sab kuch jante hai….. par sach yeh hai, ki aap mujhe nahi jante,
aur na hi samajhte hai’, she as always spoke the truth bluntly, but this time he didn’t feel bad.
‘Accha! Toh tum hi bata do...kya kya janna chahiye mujhe tumhare bare me?’, he asked with
genuine curiosity.
‘Aapko bhi sabki tarah sirf yahi pata hai ki main muhfat hu, aur jo dil me aye bol deti hu… aur isi
wajah se aapko ye bhi lagta hai ki main bado se badtameezi karti hu…. Par ye sach nahi hai
Virat sir’, she said and looked directly in his eyes. ‘Sach yeh ki meri baate logo ko kadvi lagti
hai, kyunki wo sach hoti hai… sach yeh hai ki main kisi galat baat ya nainsaafi ko dekh kar chup
nahi reh sakti, fir chahe wo bado se ya aap se hi kyun na hui ho… ab log ise badtameezi
samjhe toh samjhe… lekin kisi ke kuch sochne se, main apne Aaba ke diye hue sanskaron ko
bhul nahi sakti’, she said making him smile in appreciation.
‘Kamal sir thik kehte the… tumhari zabaan tikhi jarur hai, lekin dil bilkul saaf hai’, he said smiling
at her.
‘Abhi toh bohot kuch hai mere bare me jo aapko janna baki hai Virat sir… lekin uske liye baate
karni padti hai.. Pareshaniya baantni padti hai, bina wajah gussa hone se kuch nahi hota’, she
said taunting him with a smirk.
‘Accha baba maan liya galati ho gayi...aage se aisa nahi hoga’, he said and she smiled.
‘Actually mere pass ek idea hai… hum ek kam karte hai,.... aaj se hum tay karte hai ki agar
hume koi bhi pareshani ho, ya takleef ho..toh hum use ek dusre ke sath share karenge, done?’,
he asked forwarding a hand towards her. She acted as if thinking about it and then placed her
hand in his.
‘Done’, she replied with a smile.
‘Good.. ab apna takiya uthao, aur chalo mere sath… main tumhe vapas apne kamre me le jane
aaya hu’, he said and she looked at him unbelievably. ‘Aise kya dekh rahi ho? Wo tumhara hi
kamra hai… chalo’, he said and got up from the bed.
‘Aye Aye...ACP sir’, she said in a lighthearted way and he just shook his head at that. She then
picked up her pillow and stood up to go with him.
‘Aur Sai… tumhe nahi lagta ab tumhe mujhe sir bolna band kar dena chahiye?’, he asked
looking at her seriously and she got shocked to hear it from her. ‘Tumhare muh se Gabbar hi
accha lagta hai’, Virat said with a smirk. They both burst out laughing at that and left for their
room laughing together.

You might also like