You are on page 1of 6

Scene 1

Monisha balcony pe khadi hai aur rally dekh rahi hai. Adlib - Naare baazi: Anna tum aage badho, hum tumhare saath hai, Anna tum aandhi ho, Desh k agle Gandhi ho. Monisha: Sahil !Sahil ! Sahil ! Dekho Anna ki rally jaa rahi hai. Sahil (murmur dialogue): Phir char aana, aath aana, hamesha paise. Haan darling, bolo bahot excited lag rahi ho? Zarur jana chahti ho is mein! Monisha: Haan! Desh ke liye rally hai na. Sahil: Ahaa! Monisha: Woh actually kal rally khatam hone par sham ko vada pav aur chaai milega, aur who bhi FREE! Sahil: Oho! Free! Okay darling, tum rally ke liye taiyari karo but pehle can I have my breakfast? Monisha: Haan tum jaldi breakfast karo, mujhe narebaazi ki taiyari karni hai.

Scene 2 Living room


Indu is busy eating. Maya enters. Maya: Indravadan! Indu: Woh actually maya . Maya: Oh please cut it out. Yeh shor kaisa hai? Monisha enters, practicing nara. Roshesh encourage karta hua aata hai aur Maya ko dekhte hi still ho jata hai. Roshesh: Oh Momma! Maya: Oh Monisha! Beta ab tum kya karnewali ho? Monisha: Mummyji, mein kal Annaji ki rally mein ja rahi hu, aap bhi chaliye. Maya: Nahi beta, mein itni badi rally mein jaa kar kya karungi. Mujhe bas Annaji ke support mein 100 logo ki cocktail party mein jaana hai. And by the way tum Anna ke bare mein janti kya ho? Roshesh: Wo Momma, hum na free vadapav aur chai ke liye ja rahe hai. Maya stares at him. Roshesh: Nahi momma, matlab sirf bhabhi ja rahi hai. Indu: Accha, kyun? Abhi toh tumhe jaana tha, ab vadapav nahi khana hai tumhe? Roshesh: Momma! Dekho dad mujhe firse ched rahe hai. Maya: Indu, please, tum hamesha mere bacche ke piche pade rehte ho. Indu: Yeh? Yeh baccha hai? Monisha: Mummyji, Mein kaisi naarebaazi kar rahi hu? Maya: Wonderful beta! Wonderful! Sahil aane wala hoga, tumhe dinner nahi banana. Monisha: Nahi mummyji, who kal ki khichdi bachi hui hai na. Maya: Bichara Sahil. Accha Roshesh, where is my speech for the cocktail party? Indu: Accha Maya, tumne Roshesh se speech likhwai hai? Good! Good! Very Good! Roshesh: Yes momma, yeh rahi aapki speech. Aur meine aapke liye ek poem bhi likhi hai.

Maya: Awww! How sweet beta! Padho beta padho. Roshesh recites the poem:

Maya: Oh lovely! Indu: Lovely tha! Bahot lovely tha! Kaunsi language mein tha? Monisha beta, zara ja kar who bade wala chaku le aana yahan toh. Isko maar dunga ya khud ko maar dunga. Roshesh: Momma Maya: Shut up Indu. Sonia and Dushyant enters. Sonia: Hi everyone, accha hai sab yahan hai. Where is Sahil bhai? Sahil: Tere piche, aur dushyant ab kya naya lekar aaye ho tum? Sonia: Uski chodo meri suno. Meine apne future globe mein dekha hai ki mom ke saath kuch honewala hai. Mom aap kahin bahar jaanewali hai? Maya: No beta. Monisha: Haan, mummyji cocktail party mein jaanewali hai. Maya: Oh shut up monisha. So middleclass. Tumhare liye yeh bahar hoga. Cocktail parties toh 5-star hoyels mein hoti hai, par woh tumhe toh nahi pata hoga. Tum toh chote mote restaurants mein jaati ho. Wahan bache hue pickels uthati ho aur ek bottle mein mix karke kehti ho yeh mix pickle hai. Apne ghar mein Picasso ki painting ke paas onion ke bunch lagati ho. Gas pe jame hue grease par apna naam likhti ho ungli se. Sahil: Mom, pehle hum Sonia ki baat sune ki who kehna kya chahti hai. Indu: Tumhari bahu ki burai session hum baad mein kar lenge maya. Sonia: Haan mom, kahan hai aapki party. Maya: Aur kahan, Bandra.

Sonia: Are mom, please wahan mat jaao. Wahan pe Anna dispute ki wajah se kafi riots ho gaye hai. Indu: Are nahi nahi Maya, tumhe toh jaana hi chahiye. Tum 21st century ki aurat ho. Naari shakti kabhi darti nahi. Sahil: Okay naradmuni shant. Haan mom, ROshesh sahi keh raha hai. You should not go there. Monisha: Haan mummyji, aap wahan mat jao aap mere saath chalo. Aap thoda late bhi aa sakti ho. Waise bhi free wale vadapav aur chai toh sham ko milenge. Maya: Oh Monisha! Please don t drag me in this middleclass stuff, your vadapav and whatever. I have to go through my speech for the party. Dushyant: Mummyji! Mummyji! Mere paas ek device hai jise aap safely .

Indu: Haan, haan ja aur is momma part 2 ko bhi lekar jao

Scene 3
Dushyant: Mummyji jab Sonia ne mereko riots ke bare mein bataya toh meine ek device banaya. Roshesh: Really! Kya device Dushyant? Dushyant: Mummyji, yeh device safety ke liye hai. Wait! Let me explain tum mummyji ho. Roshesh: Momma I am you. Maya: Come to the point dushyant. Dushyant explains the device. Dushyant: Aur maan li jiye mein ek suit hu. Yeh suit aapko aise hi cover karke rakhega aur jab riots honge tab who aise tight ho jaayega. Roshesh shouts: Momma! Maya: Ok Dushyant, Enough! I don t need any of your devices. Roshesh: But momma, you should not go there. Aapko kuch ho gaya toh mein akela Daddy ke saath is ghar mein kaise rahunga? Oh Momma (crying). Maya: Ok! Ok! Baby don t cry. I ll think about it. Roshesh come here. Maan lo

Scene 4
Repetition of naara. Everyone is busy with narebaazi. Monisha: Sahil, kab milenge hume vadapav? Sahil: Shant sweetie, milenge na. sab over toh hone do, phir hume vadapav bhi mil jaayenge. Tum aaram se beth ke khana. Roshesh: Waise who is anna and who aisa kyun kar rahe hai? Indu: Momma part 2 tujhe itna bhi nahi pata? Sahil: Dad, roshesh ki tarah half of the people are here for free vadapav. Unhe anna hazare ke bare mein kuch nahi pata. Maya: Exactly, tum logo ko kuch nahi pata. Maya comes and lifts her burkha and everybody screams.

You might also like