You are on page 1of 1

1) Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain

Dekhna….had-e-nazar se aagey barh kar dekhna bhi jurm hai

Sochna….apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar

sochna bhi jurm hai

Aasman dar Aasman asraar ki parten hata kar jhankna

bhi jurm hai

“Kyun” bhi kehna jurm hai….

“Kaisey” bhi kehna jurm hai!!!!

Saans lene ki to aazadi mayassar hai … magar

Zinda rehne ke liye Insan ko kuch aur bhi darkar hai

Aur is “kuch aur bhi” ka tazkira bhi jurm hai !!!!

Ae hunar mandaan-e-aa’een-o-siaasat
Ae khuda-wandaan-e-aewaan-e-aqaa’id
Zindagi ke naam par bas ik inayat chahiye

Mujh ko in saray jaraa’im ki ijazat chahiye!!!!

You might also like