You are on page 1of 7

Tadap Hindi song

By Jagadish

Tadapta hain dil tujhko pane ke liye

Ho gayi der intezaar mein

Kuch bhi kar jaunga tujhko milna hain zaroor

Aina samne hain par kismat saath na de

To kuch karne ki chah mein main amar ho chala

Tere pyaar mein main alvida kar gaya

Jhooth aur nafrat ki is deewar mein

Main hamesha ke liye gumshuda ho chala

Wade kiye the maine apne aap se

Zinda rahoonga sirf teri khatir

Kya socha tha kya ho gaya

Maine bhi nafrat ki is deewar ko

Phansi ka takht soch kar jee gaya

Bolo mere saath kya yadein the

Soch kar dar ke mare shaamil na ho saka

Sachi batata hoon paiso ki khatir

Main bik to gaya par teri yaad mein

Main hamesha ke liye tere se door rehna pada

Gehrayiyon mein main dooba dooba raha

Jism jaan sab gava chuka par kismat azamane ke liye

Tere se door hi raha aur sochte sochte main phas gaya

Paiso ki khatir main hamesha ke liye tere se door hi rahoonga


Dekhe the maine apni zindagi mein

Tere saath saath gana bajana karoonga

Do chaar panktiyan seekh to gaya

Par paiso ki lalach mein main hamesha

Tujhe apne se alag hi rakha

Bolo kyon bolo kyon

Teri zindagi meri zindagi se alag hi to hain

Sapne ate hain mujhe malamal mujhe hain banna

Par tere khayal se maine use chod du maine socha nahi tha

Tujhe to hamesha paisa hazm hi nahi hota

Vakalat karke mujhe gumshuda hone par nasiyat de chalti hain

Paisa kya cheez hain mere samne mujhe hain tujhe batlana

Dushmano ki paltan hamesha mujhe tareef mein sunayi di

Hosh awaaz kho kar maine nasiyat paa li

Jitna bhi main paisa lau duniya se ojhal ho jau

Yahi par seekha ki dushman hote hi hain is duniya mein

Sab gayab ho jate hain aur koi bhi nahi milta

Akele ki zindagi mein main akela hi mujhko maine paya hain

Kya mili zindagi mein maine kya khoya jab maine tujhse pucha

To tune keh diya paiso ki lalach mein tu andha hain

Samne ladki hain par pichwade mein saamp nagin dank maar rahe hain

Shaadi tujhse karoo main mari ya gujri tujhe kya malum


Tadapta hain dil tujhko pane ke liye

Ho gayi der intezaar mein

Kuch bhi kar jaunga tujhko milna hain zaroor

Aina samne hain par kismat saath na de

To kuch karne ki chah mein main amar ho chala

Tere pyaar mein main alvida kar gaya

Jhooth aur nafrat ki is deewar mein

Main hamesha ke liye gumshuda ho chala

Kitna paisa chahiye yeh main kaise batau

Teen chaar saal ki kurbani kafi hain

Yeh main kaise tujhe batlau

Ho gaya pyaar tujhse par is paiso ki gand main

Main andhi na ban saki

Kuch kehna tha tujhse to maine bol di

Paisa to chahiye shaadi ki khatir

Par itna bhi nahi ki dushmano ki raftar bade

Kaise ate hain log teri is parchayi mein

Main dar ke mare kaamp jati hun

Sun ke teri gustakhi jo tune kar di

Jee bhar ke paise to tune to lane ki koshish ki

Par mujhe puche bina itna malamal banne ki koshish kyon ki

Agar tu mujhe janta aur mujhse puchta

To main bata deti ki is duniya mein paiso ki jab barish hogi

Usse pehle teri shaadi mujhse honi jaroori thi


Wade kiye the maine apne aap se

Zinda rahoonga sirf teri khatir

Kya socha tha kya ho gaya

Maine bhi nafrat ki is deewar ko

Phansi ka takht soch kar jee gaya

Bolo mere saath kya yadein the

Soch kar dar ke mare shaamil na ho saka

Sachi batata hoon paiso ki khatir

Main bik to gaya par teri yaad mein

Main hamesha ke liye tere se door rehna pada

Gehrayiyon mein main dooba dooba raha

Jism jaan sab gava chuka par kismat azamane ke liye

Tere se door hi raha aur sochte sochte main phas gaya

Paiso ki khatir main hamesha ke liye tere se door hi rahoonga

Mujhe malum nahi tha ki paiso se pehle

Tere saath rehna kitna jaroori hain

Mujhe seekh to mili par buri tarah se phas gaya

Koi dost agar mile to bol doonga

Yaari mein aur dostana mein shaadi ka matlab

Paiso ka rog nahi hota

Shaadi pehle kar loo phir baad mein paiso ki rakhwali

Saath mein nibha dalenge yehi to main samajh nahi saka


Teri is nadani ne mujhe andha bana to diya

Par mere faisle bhi hote hain parivar ko samajhne ke liye

Kaise doo tujhe nasiyat main to phas jaungi tere is galtiyon mein

Jaroor yaad rakhna aur bhool na jana

Jab tere pass paisa hoga main nahi rahoongi

Mujhe chahiye hi tab jab teri shaadi hogi

Bina paiso ki shaadi to nahi hogi

Par itne paiso ki vakalat bhi mujhe shobha nahi deti

Samajh gaya mein is duniya mein

Ladka aur ladki ka dar ek hi hain

Maut ki is rekha mein main ojhul ho jau

Yeh kavita tujhe achi nahi lagi

Ho jaunga main bhi gumshuda

Kyon tadapta hai yeh pyar ke liye

Itna bewkoof kyon hoon mujhe nahi pata

Hote hote tere se pyaar to ho gaya

Par nadani mein main samajh nahi saka

Teri bato ko maine nazar andaaz kiya

Puri zindagi ab tere bina gujarni padegi

Kya socha tha kya ho gaya

Main paiso ki bhookh main

Andha ho gaya aur tere se baat kiye bina

Apne aap ko malamal samajh baitha


Kitna paisa chahiye yeh main kaise batau

Teen chaar saal ki kurbani kafi hain

Yeh main kaise tujhe batlau

Ho gaya pyaar tujhse par is paiso ki gand main

Main andhi na ban saki

Kuch kehna tha tujhse to maine bol di

Paisa to chahiye shaadi ki khatir

Par itna bhi nahi ki dushmano ki raftar bade

Kaise ate hain log teri is parchayi mein

Main dar ke mare kaamp jati hun

Sun ke teri gustakhi jo tune kar di

Jee bhar ke paise to tune to lane ki koshish ki

Par mujhe puche bina itna malamal banne ki koshish kyon ki

Agar tu mujhe janta aur mujhse puchta

To main bata deti ki is duniya mein paiso ki jab barish hogi

Usse pehle teri shaadi mujhse honi jaroori thi

Tadapta hain dil tujhko pane ke liye

Ho gayi der intezaar mein

Kuch bhi kar jaunga tujhko milna hain zaroor

Aina samne hain par kismat saath na de

To kuch karne ki chah mein main amar ho chala

Tere pyaar mein main alvida kar gaya

Jhooth aur nafrat ki is deewar mein

Main hamesha ke liye gumshuda ho chala


END OF TADAP HINDI SONG

You might also like