You are on page 1of 3

CHAPTER 9

BTY MAINT & STORAGE


Bhoomika.

1. Kisi bhi eqpt ki life ko barkrar rakne aur use adhik samay tak istemal mein lene
ke liye uska maintenance kiya jata hai. Isi baat ko maddhe nazar rakhte hue battery
ka bhi maint kiya jata hai taki woh ziada samay tak kam aa sake. Battery maint ke
bare mein aur battery ko charge karne ke liye yeh hidayaten janna zaruri hai.

Uddesh.

2. Battery ka maintenance aur storage karne ke tariqa ke bare mein jankari hasil
karna hai.

Battery ka Maintenance.

3. Battery ke durust maintenance ke liye nimnlikhit karwai karen :-

(a) Battery ko upar aur side se bilkul saaf aur khushk karo.

(b) Terminals aur connectors ko bilkul saaf aur unpar mineral jelly lagao.

(c) Filler plug ko saaf karo.

(d) Electrolyte kam hai to distilled water se bharo aur pura karo.

(e) Battery ke case ko serviceability ke liye check karo,

(f) Carrying handles ko working halat mein check karo.

(g) Locking clamp ko serviceability ke liye check karo.

(h) Battery ki voltage aur specific gravity ko check karo.

(j) Agar kisi wazah se electrolyte gir jata hai to electrolyte ki SG ko malum
karo aur usi SG ka elctrolyte dalo.

Battery Charge Karne wale ke Liye Hidayaten.

4. Battery charge karne wale ke liye hidayaten is prakar hain :-

(a) Battery ko level jagah par rakho.

(b) Battery ko jorne ke liye moti wire ka istemal karo.

(c) Vent plug ko khol do.

(d) Electrolyte ka level check karo aur kam hai to pura karo.
(e) Sahi rate se battery ko charge karo.

(f) Har 2 ghante ke bad battery ki voltage aur SG check karte raho.

(g) SG padhte waqt hydrometer ko cell se bahar mat nikalo .

(h) Battery ko disconnect karne se pahle generator ke sw ko off karo.


Agar off nahi karen to battery sparking ki wazah se fat sakti hai.

(j) Filler plug ko achchi tarah tight karo.

(k) Jab battery charge ho rahi ho us samay aag ko nazdik mat lao kyon ki
battery se hydrogen gas nikalti hai jis se aag lag sakti hai.

(l) Battery charging ke dauran yakin karo ki hawa ke circulation ke lie khuli
jagah hai ya exhaust fan ka bandobast hai.

Battery ka Istemal aur Charging ki Am Baten.

5. Battery ka istemal aur battery charging ki kuchh am baten is prakar hain :-

(a) Battery ki handling thik prakar se karo taki usmen koi nuqs na pare.

(b) Initial charge ke bad battery ko bekar mat rakho.

(c) Discharge ki halat mein battery ko ziada der mat para rehne do.

(d) Cell ko kabhi bhi 1.8 volt aur 1.150 SG se kam discharge mat hone do.

(e) Battery ko over charge aur discharge mat karo.

(f) Primary cell aur secondary battery ko ikatha mat rakho. Primary cell se
gas nikalti hai jo secondary cell par ek jhilly paida kar deti hai jo insulator type
hoti hai aur terminal ki life ko kam kar deti hai.

(g) Battery charge ka record battery log sheet par rakhna chahiye aur
khyal rahe har ek battery har hafte ke bad charge ke lie charging shop mein
jani chahiye, chahe woh fully charge kyon na ho. Fully charge battery ko
trickling charge diya jata hai.

Battery ka Storage.

6. Jahan tak mumkin ho sake battery ko istemal mein rakhna chahiye, taki
normal charge milta rahe. Jab battery istemal nahin ki ja rahi ho us samay har
mahine gassing charge diya jae. Agar battery ko kafi samay tak istemal mein nahin
lana ho yani battery ko lambe samay ke lie storage karna ho to niche diye gaye
tariqe istemal karo :-
(a) Pahla Tariqa.

(i) Battery ko fully charge karo aur uske bad electrolyte nikal do.

(ii) Distilled water bharo aur 24 ghante tak isi tarah para rahne do.

(iii) Battery ko khali karo aur store mein rakho.

(iv) Do hafte tak rojana temperature check karo agar garmaish milti
hai to dobara distilled water se bharo aur thanda hone do. Thanda
hone par distilled water nikal do aur store karo.

(b) Dusra Tariqa.

(i) Battery ko full charge karo.

(ii) Electrolyte ko nikal do aur distilled water bharo.

(iii) Battery ko discharge karo jab tak ki ek cell ka voltage 0.5 volt na
ho jae.

You might also like