You are on page 1of 4

Nukkad Natak

All:-Suno suno Bhai suno suno x2

Kaan kholke

Suno suno

Aankh kholke

Dimg kholkar

Suno suno

Suno suno Bhai suno suno x2

Suno suno Bhai suno suno X2

Baat pate ki hum batlaye, natak tumko aaj dikhlaye

Suno suno Bhai suno suno X2

Actor :-Natak .......kesa natak

Narrator:- Jo desh ki baat kare burai par parhar kare

Jo manav ka uddhar kare har janam jai jai kar kare

Suno suno Bhai suno suno x2

MAUSAM:-

---Banjar si jameen dushit hai hawa, paani ko bhi humne ganda kar dia. (x2) ---

ADMI 1: bhai october agya abhi tak monsoon nahi ayaaya aur toh aur upar se yeh garmi

Ladka 2: lagta hai indra dev naraz hogye hai.

Ldka 3: dekhna dec jan me baarish hogi bemausam.

Ladka 4: sara kuch tum logo ki wajah se ho rha hai itna pollution karte ho saari gandagi nadi
me baha dete ho aur to aur diwali me itne sare patake jalate ho

Ladka 1: acha! Wojo tumhari 4-4 factoria hai uska kya?


2: uska kuda kaha jata h?

4: wahi jaha sabka jata hai, bolo ganga mayiya ki jai(chorus)(laughter)

1: Aapne office me AC kyu ni lagwa lete

2: bhaiya mene suna hai AC se gas wayes nikalti h jisse uss layer me ched hojati h

1: tumhe kha lagta hai tumhare ek AC lagwane se ozone layer me ched hojayega. Are mere
office me toh 6-6 AC lagi hai aur toh aur meri biwi sardio me bhi AC chala kar soti hai

Narrator: bachpan me hume pdhaya jata tha ki shardio ke baad garmi ati hai, qur uske baad
baad barsat magar aav mausam badal chuka hai av kab kya ajaye koi nahi janta yeh sab
issliye horha hai kyuki humne prakriti ko loot uska dohan kia hai apne swarth keliye peso
keliye aur apne so called vikas keliye.

---Banjar si jameen dushit hai hawa, paani ko bhi humne ganda kar dia.---

1: are itne parehsan kyu lag rhe ho?

2: kya bataun. Khetti keliye mene apna ghr bar bech dia itne sare karje liye magar phir bhi
meri sari fasal barbaad hogyi.

3: kyu?

2: kahe ki e sasura baarish sahi time pe huyi hi nahi

3: phir tube well lagwa le

2: kya fyeda zameen ke andar paani ho tab na aur upar se yeh bijli

3: aur dekh kese dubla gaya hai

1: apne sehath ka dhyan rakha kar

2: av kya dhyan rakhe sehat ka sabkuch toh barbaad hogya issliye humne v soch lia hai

1 and 3: kya?

2: av jine ka koi fayeda nahi isliye me khudko latka ke jaan dedunga

3: pagal mat baan

2: toh kya karu btayiye kavi baar ajati hai, toh kavi sukha par jata hai agar yeh baarish shi
samaye pe hojaye na toh humaari adhi samasya aise hi khatam hojayegi.

Narrator: iss pollution aur global warming ke wajah se lakho logo ki zindagia barbaad hoti hai
magar in sabme marta kon hai? Kisaan gareeb adi-wasi jiske pass pesa nahi hai rehne ko
ghar nahi h. Sarkar aur co-operates development ke nam par humaare environment ko
barbaad kar rhe h natiza apke samne hai. Karkhaane khole ja rhe h.

LGBT:-

---Tu zinda hai toh zindagi ki jeet pr yakeen kr agr kahi h swarg toh utr la zameen pr ...

Tu zinda hai×3---

Ladka1: wo dekh gay ja rha hai.

Ladka2: tujhe kese pata wo gay hai?

Ladka1: dekh nahi raha uski chal, aur ldkio wali adaye aur to aur sara din ladko ke aage piche
ghumta rehta hai.

Ladka2: agar isse ladke itne hi pasand hain, toh isse bolna ek ad din humaare kamre me
sszbhi ajaye aur hume satisfy kare.( laughter)

Pehla: tune pandey ji ki beti ke bare me suna?

Dusra: kya hua?

Pehla: agle mahine uski shaadi hone wali thi magar wo kisi ladki ke sath bhaag gyi.

Dusra: kya? Ladki ke sath. Haye haye kya jamana agaya hai. Ladka ladka ladki ladki pata nahi
bache kaha se ayenge?

Pehla: aasman se tapkenge aur kya(laughter)

Pehla: yaar ek baat bata yeh lesbian aur gay toh samjh me ata hai. par yeh bisexual kya hota
hai?

Dusra: bisexuality toh bass ek bahana hai yeh Sare paidayisi tharki hote hain aadmi ho ya
aurat jo miljaye ussi pe hath saaf kar dete hain(laughter)

Narration: paidayisi tharki?? Iss tarah ki betuki baate mazak charo taraf faili huyi hai, hum
bina kuch soche samjhe bolte hain. Uska mazak udate hain hume jo v humse alag dikhta hai
hum uska khilli udate hain.kavi moral policing ke nam par kavi dharm ke nam par aur kavi
sanskriti ke nam par unhe samaj ke hasiye par fhek dete hain

Baap: mene teri parwarish me kya kami chori thi jo tu gay ban gaya?

Mama: are samaj kya kahega log kya kahege.


Beta: par mama???

Baap: mujhe kuch nahi sunna! Pariwar ka kya hoga? Bache kaha se ayenge kahndan kese
age badhe ga.

Narrator: khandan kese age badhega? Bache kha se ayenge? Kya apni tarah jindagi jena
gunah hai agar aap ghosit stree ya purush nahi hain toh yeh samaj toh choriye aapko apke
ghar wale nahi samjhege accept tak ni krege. Lesbian hona, gay hona koi bimari nahi hai
balki yeh bilkul normal hai.

Baap: Tu nahi sudhrega pure pariwar ka nak kata dia hai.

Maa: hey baghwan yeh ladka hume kahi ka nahi chorega

Pure samaj me thu thu ho rhi hai humaari

Dost1: ooye chikne dega kya?

Doet2: Tu jese ladko ke wajah se pura samaj kharab hirha hai

Dost 3: tum jesi ke wajah se hum ladke badnam hote hai.

Narration: aise hadse iss tarah ki ghatnaye humaare as pas aae din hoti rehti hai kuch
samne ati hai toh kuch chupa di jati hai. Har kisi ki apni physical jarurate aur sexual fantasies
hoti hai. Chahe wo LGBTQ ho ya apka so called straight. Love and affection do logo ke bich
hota jaruri nahi ki do different genders ke bich ho. Humaari supreme court aur samvidhan
mai iski azaadi di huyi hai toh hum kon hote hai rokne wale uska mazak banane wale? Yeh
samajhna bahut jaruri hai ki yeh sirf sex se jura mudda nahi hai.

Yeh mudda hai pehchan ka, apne astitva ka, yeh mudda hai atmasamman ka

Dhanyawad

You might also like