You are on page 1of 2

Cinema Ka Ishq

Patras Bukhari
All dialogues in Roman Urdu
1. “ Aray bhai chalain gay kyun nahi? Kya hum Insaan
nahi? Humain tafreeh ki zarurat nahi hoti? Aur phir
humnay ajj tak aisi Bay murawati bhi barti hai ke
tumne chalnay ka kaha hou aur humne tumhara
sath na diya hou?
2. Bhae ab kay hou saka toh waqt par pohonchain
gay! Theek hai na?
3. Kyun bhai cinema ajkal 6 bajay shuru hota hai na?
4. Bhai yeh humain maloom nahi!
5. Mera khayal hai 6 bajay hi shuru hota hai.
6. Ab tumharay khayal ki toh koyi sund nahi!
7. Nahi mujhe yakeen hai 6 bje shuru hota hai
8. Tumhe yakeen hai toh mera dimagh kyun muft
mein chaat rahay hou?
9. Kyun hazrat aap andar hi thay?
10. Haan mein andar hi tha!
11. Meri awaz aap nay nahi suni?
12. Acha yeh tum thay. Mein samjha koyi aur hai!
13. Toh acha ab chalain gay ya nahi?
14. Wooh kahan?
15. Aray khuda ke banday ajj cinema nahi jana?
16. Haan cinema, cinema! (yeh keh ker who kursi
pay beth gaya) theek hai. Cinema, mein bhi soch
raha tha ke koyi na koyi baat aisi zarur hai jo
mujhe yaad nahi ati hai. Acha hua tumne yaad
dilaya verna mujhe raat bhar uljhan rehti!
17. Toh chalo phir ab chalain?
18. Haan who toh chalain gay hi, mein soch raha
tha ajj zara kapray badal lete, khuda janay dhobi
kambakht kapray bhi laya hai ya nahi. Yaar inn
dhobiyon ka toh koyi intezam kero!
19. Mirza bhai, Allah mujh par reham kero, mein
cinema chalnay kou aya hun! 6 baj chuke hain aur
tum jun ke tun bethe hou!
20. Aray bhai chalo!
21. Chal toh raha hun yaar, aakhir itni bhi kya
aafat hai?
22. Aur yeh tum kya ker rahay hou?
23. Paan ke liye zara sa tambaku le raha tha!
24. Yeh Darwaza band kardo jee.
25. Mein na kehta tha ke jaldi chalo khuamukha
mein hum ko ruswa kar diya na. Gadha kahi ka!
26. Yaar tum say nichla nahi betha jata, ab jo
humain sath laye hou toh film toh dekhne dou.
27. Kyun bhai Mirza aglay Jumehraat cinema
chalo gay na?

You might also like