You are on page 1of 4

04 Nov 2022

THOSE MOMENTS WITH HER

¥
mai juth nahi bol rha abhi 1.48 A.M ho rhe h! Mai

aise hi nahi jag rha tha. 1.20 tk vanshika ji se


achi khasi baatein hui h meri, and economics ka
UT h kl to preparation kr rha tha. {Vanshika ke
sath chat krke}΄

Chat over hone ke baad mere mind mein ek cheez


hit hui. Aaj se theek 10 mahine pehle, vahi
wakt,vahi baatein,vahi mera phone,vahi stars
waali dim light,vahi chating pose!! Bs agar kuchh
badla h to ashmita ki jagah vanshika.. mai yeh
nahi keh rha ki maine ashmita ki jagah Vanshika
ko dedi, mai ye dikhana chahta hu ki jin palo ke
liye mai itne mahine tarsa,itna roya, itna intzar
kiya, vo pal,un palo ko mai phir se jee paa rha

hu...

School mein jb mai gya. Koi nahi aaya tha! Mai


vinay ke paas chla gya. Unka biology ka UT tha.
Jb himanshu aaya vo mujhe pakad ke le gya
economics ke doubt puchhne. Divya and Ashmita
bhi aa chuke the tb tk. Mai jis tarah se himanshu
ko samjha rha tha, Divya ne kaha bhai mujhe bhi
bta de mai aur himanshu divya ke paas chle gye.
Divya ke just aage ashmita baithi thi. vo bhi
group mein shaamil ho gyi.
Ashmita mujhe samjhane ko bol rhi thi to maine
kaha yaar mujhme naa vo samjhaane waali skills
ͯ nahi h, mujhe sb aata h mai likhke aa jaunga
divya ne environmental crises ki defination
puchhi thi. Maine explain krne ka try kiya ki do
points mention krne h agar unka violence hua
then it leads to environmental crises. Usne
puchha aree iska matlab kya hota h? Maine kaha
hindi mein kya btau ab, paryavaran ghanti?
Ashmita hasne lagi phir usne kaha Divya ko

kaha behen harmful hoga environment ke liye vo.


Maine kaha haa yes yahi word harmful Divya ne
ͯ
kaha chal yaha se bta paa nahi rha kuch!

Then kanika and divya ke sath important dates


discuss krne lag gye. And hands pe cheating ke
liye note kr rhe the. Dates mein do date white
revolution and golden revolution ki aayi thi.
Ashmita ne mujhse, meri aankhon mein aakhein
milake puchha difference kya h dono revolution
mein white or golden mein? Usne ek baar pehle
bhi green and golden revolution mein difference
puchha tha mam ke samne. Tb mai nazre ashmita
se nahi mila paaya tha ,mam ko dekhke ans kra
tha. Magar is baar vo galti nahi Kari maine. Uski
taraf face krke, uski aankhon mein dekhke,
poore confidence ke sath maine ans diya.. usko
clear ho gya!!

Mai usko samjhane ke baad class se bahar chala


gya. Dusri class mein jaake jo khush hua mai, jo

naacha hu mai!! Vinay ne kaha tujhe kya ho gya?


ͯ Mujhe ye pal humesha yaad rhega! Himanshu
ne kaha bro control your feelings, baat aage nahi
badhani h. Vo bs friend ke naate puchh rhi thi
doubts apne.. maine usko ek pyari si gaali diͯ
aur phir usi ke khyalon mein kho gya!!

You might also like