You are on page 1of 1

Sharat ka who ek haseen subah tha, dhako ki awaj, shankho ki dhwani, speaker pe gane aur mantr

path ma durga ki agaman byakt kar rha tha. Calcutta ka har kona kona jashn mana rha tha. Dhiman
apne dosto ke sath pandal ghum ne gaya hua tha, sabh khush the par Dhiman ka dil to teji se dharak
tha. Uske dosto ke group me aj “who” bhi ai hui thi. Dhiman ke lie yeh sharat nahi basant lag rha tha.
Kuch kehna tha jo ab tak hajaro bar kehne ki koushish kar chuka hai, par har bar uske gale me atak
jate hai. Ma Durga shakti ki devi hai. Aj unse shakti mangke Dhiman usse keh dega. Dhiman saDurga
pratima ke samne sar jhuka ke hath jor ke pranam kiya aur manokamna baya kiya.Uss ne jab ankhe
khola to usse laga ki usko apni manokamna mil chuki hai. Uske bagal me khara hoke koi aur bhi ankhe
mundke devi ko naman kar rha tha. Ussne bhi apne ankhe kholi, Dhiman ki taraph muskuruaya, par
tabhi piche se kisi aur ke hatho ne uski haath tham liya aur “woh” bhi unn hatho ko bare hi pyar se
apne hatho me sama li, Dhiman dekhta rha……………

You might also like