You are on page 1of 4

Anqareeb, one trillion (yaani dus kharab) dollars se zaaid maaliat

rakhne wali companiion ke exclusive club mein aik paanchvi


company aaney wali hai. Balkey pichley haftey, barrhtey stock ki
qadar ke baa’is thorri deyr ke liye ye iss nafsiaati hadd ko paar bhi
kar chuki hai.

Pehli chaar companion ko toh aap sab jaantey hongey; iss


paanchvi company ka naam aap mein se buhat pehli baar sunn
rahay hongay.

Ye company aakhir hay kaunsi?

Pehli chaar companiaan, iss paanchvi ki tarah tech companies


hee hain. Microsoft, Amazon, Apple aur Google ki parent
company Alphabet. Inn mein se koi bhi kisi ta’aruf ki muhtaaj nahi.
Front-end consumer products, ya services banati hain. Aur achi
banati hain. Haan, stock market ke iss saanp-seerrhi ke khel mein
valuations aksar buray business models ke baa’is aagey ja ke
thhap ho jati hain, lekin inn chaaron ki marketability ke baarey
mein zaahir si baat hai koi shaq nahi tha. Lekin one trillion ki
market capitalisation inn ki current profitability se nahi, inn ke
mustaqbil ke promise se munsalik hai. Stock market ke tamaam
inveseron ne inn pe haath rakh kar kaha hai ke ye mazeed profits
kamaaengi aur buhat deyr takk kamaaengi.

Paanchvi company ka promise inn chaaron ki tarah obvious nahi.


Haan, front-end products bechti toh hai, mehnge daamon pe, aur
achey margin ke saath, lekin woh products hum mein se buhat
log jaantey bhi nahi.
Company hai NVIDIA. Aur products hain speciality computer
chips aur processors.

Inn ka sab se barra product hai GPUs. Graphical Processing


Units. Ye unn computer games khelney walon ke liye hota hai jinn
ki pasandeeda games ke liye darkaar processing power aam
computers mein nahi hoti.

Ye advanced 3D design aur audiovideo production ke kaam


waley professionals bhi yehi GPUs istemaal kartey hain.

Lekin ye donon categories toh buht thhorray logon ki hain.


Aaakhir itni growth kayse dekh paa rahay hain investors?

Jawab hai artificial intelligence. Aur investors ko ye baat clear ho


jana ke AI hee future hai. Haan, Microsoft aur Google ki AI
supremacy pe aik jang toh chal rahi hai, lekin AI processes ke
peechay maqbool Deep LEarning algorithms ke liye processing
power NVIDIA ke GPUs hee muhayya karenge.

Google, Microsoft ke ilawa, chaahey Facebook ho ya Netflix,


chahey Pharam industry ka koi giant kya aviation ka, statistical
deep learning algorithms ko istemaal karnay wali har company
NVIDIA hee ka rukh kar rahi hain.

Iss ke ilaway globally, 3000 se zaaid exclusive AI startups hain,


aur beshtar NVIDIA hee ke products ke khareedar hain.
1993 mein qaaim ki gaee NVIDIA corporation GPU market ke
nihayat hee ibtedaai saalon mein wajood mein aai. Buht si
companion ne mustaqbil mein GPUs ki demand ko parakh lia tha,
woh bhi jab un ko AI wali develpoment ka andaaza bhi nahi tha.

Lekin 90 ki dihaai mein 70 GPU companion mein se sirf dou -


NVIDIA aur AMD abhi tak kaam kar rahi hain.

AMD ki apni kahani bhi dilchasp hai lekin GPUs ke market share
mein NVIDIA ke see buhat hee peechay hai.

NVIDIA jald hee trillion dollar club ka mustaqil hissa ban jaaegi.
Aur ye darassal aqqaasi karta hai maujooda halaat ke trends ki.

Microsoft ne lead li thi personal computers ke operating systems


ke farogh mein. Apple ne apne duusray janam mein lead li thi
smartphones mein.

Aur NVIDIA lead le raha hai AI aur deep learning ke field mein.
Bazaat-e-khud nahi, lekin AI firms ke liye hardware develop
karney ki field mein.

Shayad khud AI algorithms aur software bananay wali company


issi list ki chatti company ban paae…

You might also like