You are on page 1of 3

Barf ka tukda

Badal se tootkar Barf ka ek tukda Aise chalta hai jaise jaldi me ho Jameen se milne ki Wo girta chala ja raha hai Aur achanak kahin beech me Wo Dheeme se behti narm hawa ke gaalon ko chhoo leta hai.... chookar guzar jaata hai... Ye kisne choo liya!! kaun guzra itne qareeb se hairani!! Is chhuvan ke ehsas se hawa thithur uthti hai bahen sametne lagti hai aur ab uske chehre ki khamosh si muskurahat kuch bayan kar rahi hai

ye sard hawa ka behta sa ehsaas shayad use andar tak chho ke gaya hai...

idhar ye barf ka tukda bhi zara pighla sa hai is narmi se haan!! zara aur pighal jaye to behtar ho iske liye aakhir zameen pe girega to toot kar bikhar jayega.... ya fir seedha bhap ki manind ghul jaye isi hawa me upar uthhe aur us hawa ka hath tham le ke fir wo gote laga sake jab talak chahe muhabbat ke faile aasman me umr bhar....

pighalna bhi chahe, udna bhi chahe muhabbat bhi karna chahe par main barfa tukda wazan itna hai ke na pighal sakta hoon

na ud hi sakta hoon bas dauda chala jaa raha hoon us manzil ki aur jahan maloom to mujhe bhi hai bikhar jaunga main tootkar yahan waha.....

You might also like