You are on page 1of 154

Saanpon

Ke
Shikaari
Taimur And Bortle Ka Daftar Puri Imarath
Mein Faila Hua Tha.! Iss Firm Ke Alawa Iss
Imarath Mein Aur Kisi Ka Karobaar Nahi Tha,
Isliye Yeh Imarath ‘COBRA MANSION” Ke Naam
Se Mashoor Ho Gayi Thi.! Waise Iska Naam
Kuch Aur Tha
Taimur And Bortle Ki Firm Saanp Ki Khaalo
Ka Vyapaar Karti Thi….Karobaar Bohath Badha
Tha
Daftar Mein Darjano Clerk The, Har
Department Ke Manager Alag-Alag The Aur
Unki Sankhiya 12 Se Kisi Tarah Kam Nahi
Thi….
Teen Darjan Shikaari The….Jinke Zimme
Saanpon Ko Laane Ka Kaam Tha….Lekin Yeh
Sapere Nahi The….Aur Na Yeh Maante The Ki
Been Sunkar Saanp Jhoomne Lagte Hai
Yeh Padhe Likhe Log The Aur Saanpon Ke
Shikaar Ke Silsile Mein Unka Kaam Karne Ka
Tareeqa Scientific Hota Tha
Unhe Badhi-Badhi- Tankhwahein Milti Thi Aur
Unki Zaahiri Halath Dekh Kar Koi Nahi Kahe
Sakta Tha Ki Unka Pesha Itna Neech Aur
Ganda Hoga
Cobra Mansion Ka Hall Firm Ka Showroom
Tha.! Yahan Na Sirf Saikdon Qism Ke Saanpon
Ki Khaale Maujood Thi, Balki Kayi Qism Ke
Zinda Saanp Bhi The
Hafte Mein Do Din Yeh Showroom Public
Museum Bann Jaya Karta Tha
Yani
Hafte Mein Do Din Har Aadmi Kisi Rok-Tok Ke
Ba-Ghair Wahan Jaa Sakta Tha….
Aaj Itwaar Tha, Aur Cobra Mansion Ke Uss
Badhe Hall Mein Til Dharne Ki Bhi Jagaah
Nahi Thi.! Aaj Kuch Videshi Saanp Numaish
Ke Liye Rakhe Gaye The, Jinme Dakshin
America Ke Jararaca….Aur Africa Ke Black
Mamba Bhi The
Raziya Sirf Unhi Do Qismon Ke Saanp Dekhne
Ke Liye Yahan Ayi Thi, Varna Aur Sab To
Uske Dekhe Hue The….
Use Saanp Bohath Ache Lagte The….Uske Paas
Saikdon Qism Ke Saanpon Ki Tasveerein Thi
Aur Uske Zahen Par Bhi Saanp Savaar The.!
Wo Jab Bhi Aankhe Bandh Karti, Use Ek Saath
Hazaaron Saanpon Ki Kulbulahath Mehsoos
Hone Lagti….
Jab Wo Sone Ke Liye Palang Par Lethti To
Use Aisa Lagta Jaise Uske Saare Jism Par
Thande-Thande Saanp Rengtein Fir Rahe Ho
Lekin Usse Use Darr Nahi Lagta Tha, Balki
Wo Ek Ajeeb Qism Ka Sakoon Aur Itminaan
Mehsoos Karti….Iss Par Khud Use Bhi Hairath
Thi
Wo Kaafi Der Tak Cobra Mansion Ke Showroom
Mein Rahi….Wo Unn Saanpon Mein Itna Kho
Gayi Thi Ki Use 5 Bajne Ki Bhi Khabar Na
Hui
Halaanki Yeh Waqt Uski Zindagi Mein
Ahmiyath Rakhta Tha….Wo Jahan Kahi Bhi
Hoti, Rozana Thik 5 Baje Shaam Ko Uska
“IRSHAD MANZIL” Pahunchna Zaroori Tha….Raat
Use Wahi Guzaarni Padhti Thi….
Budha IRSHAD Uska Dada Tha….Carodon Ki
Daulath Ka Maalik.! Uske Teen Bete The
Lekin
Unme Se Koi Bhi “IRSHAD MANZIL” Mein Khadam
Nahi Rakh Sakta Tha….Yahan Tak Ki Khud
Raziya Ka Baap Bhi Nahi
Unka Pariwaar Bohath Badha Tha….Lekin
Raziya Ke Alawa Aur Koi Bhi Budhe Irshad Se
Khareeb Nahi Tha….Irshad Use Bohath Pasand
Karta Tha….Aur Wo Bhi Uska Bohath Zyada
Khayaal Rakhti Thi….Lekin Yeh Duty Use Bhi
Bohath Khalti Thi….Chahe Jo Kuch Ho, Uska 5
Baje Shaam Ko Budhe Irshad Ke Paas
Pahunchna Bohath Zaroori Tha
Aaj Sadhe Paanch Baje Pahunchi.! Irshad
Jhallaya Hua Tha.! Use Dekhte Hi Baras
Padha….
Maine Abhi Tak Chai Nahi Pi.! Wo Gurraya.!
Tum Jaanti Ho Ki Main Thik Sawa Paanch Baje
Chai Pita Hu Aur Tum Har Haal Mein Mere
Saath Hoti Ho….
Jee….Wo Meri….Ek Saheli….!
Saheli….? Mujh Se Zyada Thi….?
Jee….Wo….Dekhiye….!
Kuch Nahi….Jao….Ab Yahan Tumhari Zaroorath
Nahi Hai….Irshad Ne Kaha Lekin Uski Awaaz
Mein iLzaam Ki Bajayi Shikwein Ka Putt
Zyada Lag Raha Tha
Dada Jaan….Aap To Samajhte Nahi….Wo
Meri….Saheli.!
Maine Abhi Chai Nahi Pi….
To Main Mangwati Hu Chai….! Raziya Kamre Se
Chali Gayi….
Irshad Ki Umr 80 Se Kam Nahi Thi.! Dubla-
Patla Pilpiley Jism Ka Aadmi Tha….Chahre
Par Kayi Gehri Jhurriyaan Thi….Lekin Wo
Rozana Shave Karne Ka Aadi Tha Log Use
Jhaggi Samajhte The…. Irshad Manzil Mein Wo
Akela Rehta Tha
Pariwaar Ke Dusre Log Shaher Ke Alag-Alag
Hisse Mein Rahte The
Unka Sarparast Irshad Hi Tha, Lekin Unhe
Irshad Manzil Mein Khadam Rakhne Ki Ijazath
Nahi Thi.! Iski Wajah Khud Unn Logon Bhi
Nahi Maalum Thi
Irshad Manzil Ek Bohath Badi Imarath Thi
Aur
Shayad Shaher Ki Sabse Khoobsurat Imarathon
Mein Uska Shumaar Hota Tha
Wahan Ek-Do Nahi, Balki Pure 15 Naukaron Ki
Fauj Rehti Thi….
Dheron Paaltu Pareende The….Darjano
Billiyaan Thi….Aur Utne Hi Khargosh
Aur
Kabhi-Kabhi Raziya Yeh Samajhne Lagti Thi
Ki Wo Bhi Unhi Paaltu Jaanwaron Mein Se Ek
Hai.! Yeh Khayaal Uske Dimaagh Mein Irshad
Ke Bartav Se Paida Hota Tha
Wo Use Ek Choti-Si-Bachchi Samajhta Tha Aur
Use Apni Marzi Ka Pabandh Banaye Rakhna
Chahta Tha….Uski Zara-Zara Si Baaton Ki
Thoh Mein Rehta….Aur Uss Waqt To Raziya Ko
Sach-Much Ghussa Aa Jata, Jab Wo Uska Bag
Tatolne Lagta.! Use Khol Kar Usme Rakhi Hui
Cheezein Ulat-Pulat Daalta
Iss Waqt Bhi Wo Yahi Harkath Kar Raha Tha
Raziya Chai Ke Liye Uske Kamre Se Chali
Gayi Aur Wo Mez Se Uska Bag Utha Kar Use
Khol Raha Tha
Achanak Uske Muh Se Ek Halki Si Cheekh
Nikli Aur Wo Bag Ko Paer Se Jhatak Kar
Kursi Samet Dusri Taraf Ulath Gaya….
Uss Bag Se Ek Chota Sa Saanp Nikal Kar
Zameen Par Lahrein Le Raha Tha….
Budha Irshad Badi Furti Se Zameen Se
Utha….Lekin Na To Usne Shor Machaya Aur Na
Kisi Ko Apni Madad Ke Liye Awaaz Di
Saanp Ki Raftaar Mein Tezi Nahi Thi, Wo
Dheere-Dheere Zameen Par Reng Raha Tha….
Irshad Ne Apni Sair Karne Wali Chadi Se
Asaani Se Uska Sar Kuchal Diya.! Thodi Der
Baad Wo Fir Aaram Se Usi Kursi Par Baitha
Kuch Sonch Raha Tha….Raziya Ka Bag Usne
Wahi Par Rakh Diya Tha Jahan Se Uthaya Tha
Lag-Bhag 10 Minute Baad Raiya Khud Hi Chai
Ki Tray Apne Haatho Par Uthaye Hue Kamre
Mein Daakhil Hui
Irshad Ne Apni Kursi, Mez Ki Taraf Khiska
Li….
Achanak Raziya Ki Nazar Mare Hue Saanp Par
Padhi….Wo Chai Ki Tray Rakh Chuki Thi
Arey….Yeh Saanp
Budha Use Ghoorne Laga….
Lekin Raziya Ke Chahre Par Hairath Ke
Aasaar The….
Yeh Yahan
Fir.! Fir Use Kahan Hona Chahiye Tha.?
Irshad Ne Dheere Se Pucha
Main Kya Jaanu….Mera Matlab Yeh Hai Ki….Yeh
Yahan Kamre Mein Tha….!
Maine Use Maar Daala….! Irshad Uska Chehra
Ghaur Se Dekhta Hua Bola
Magar Yaha Kaise Aya….!
Tum Layi Thi.! Irshad Bara-Bar Uske Chahre
Par Nazar Jamaye Raha
Raziya Hasne Lagi….
Lekin
Irshad Ki Sanjeedhgi Mein Thoda Sa Bhi Farq
Na Aya
Main Use Spirit Mein Rakhungi
Yeh Kitna Khush-Rang Hai….
Raziya Ne Irshad Ke Liye Chai Udhelte Hue
Kaha
Dono Thodi Der Khamoshi Se Chai Pite Rahe
Fir Irshad Ne Kaha- Tum Mujh Se Tang Aa
Gayi Ho….Kyun.?
Nahi To….Yeh Aap Kya Kahe Rahe Hai
Main….Main Mehsoos Kar Raha Hu
Iss Maamle Mein Main Aap Se Ladh Jaungi.!
Aakhir Aap Kiss Bina Par Aisa Kahe Rahe Hai
Isliye Ki Main Sach-Much Tum Par Zulm Karta
Hu….
Main To Aisa Nahi Samajhti.! Aakhir Aaj Aap
Yeh Jhagda Kyun Le Baithe Hai
Zaroorath Ke Vaaste….Aaj Meri Zara Si
Ghaflath Mujhe Maut Ke Ghaat Utaar
Deti….Yeh Saanp Tumhare Bag Mein Tha
Nahi.! Raziya Baukhla Kar Khadi Ho Gayi
Baith Jao….Yeh Haqeeqath Hai….Yeh Waqai Ek
Ghalath Baat Hai Ki Main Tumhare Bag Mein
Haath Daal Diya Karta Hu….!
Arey….Dada Jaan….Khuda Ki Qasam….Mere
Farishte Ko Bhi Pata Nahi
Raziya Ka Chehra Pila Padh Gaya Tha Aur
Uska Seena Dhonkni Ki Tarah Fool-Pichak
Raha Tha.! Wo Baar-Baar Apne Sukhe Honthon
Par Zubaan Fer Rahi Thi
Baith Jao….Chai Piyo.! Irshad Ne Narm Awaaz
Mein Kaha
Raziya Baith Gayi….Lekin Uska Saara Jism
Kaanp Raha Tha….
Irshad Ne Ek Baar Fir Use Ghaur Se Dekh Kar
Pucha.! Yeh Saanp Tumhare Bag Mein Kisne
Rakha Hoga
Main….Main….Iske Baare Mein Kuch Nahi
Jaanti….! Lekin
Haa….Lekin Kya….!
Abhi Maine….Aap Se Jhoot Bolne Ki Koshish
Ki Thi….!
Kya.?
Main Kisi Saheli Ke Ghar Nahi Gayi
Thi….Balki Main Taimur And Bortle Ke
Showroom Se Seedhi Yahan Ayi Hu
Wahan Tum Kyun Gayi Thi.?
M M….Mujhe Saanpon Mein Dilchaspi Hai….
Main Jaanta Hu
Ghar Se Jab Main Chali Hu To….Mujhe Yaqeen
Hai Ki Mere Vanity Bag Mein Saanp Nahi
Tha….Kyun Ki Maine Raaste Mein Bhi Ek Jagah
Use Khola Tha
Showroom Mein Saath Aur Kaun Tha.?
Koi Bhi Nahi.! Main Akeli Gayi Thi.! Mujhe
Khabar Mili Thi Ki Wahan Aaj Do Bilkul Naye
Qism Ke Saanp Numaish Ke Liye Rakhe Jayenge
Irshad Thodi Der Tak Kuch Sonchta Tha….Fir
Bola. Meri Iss Buri Adath Ko Sabhi Log
Jaante Honge Ki Main Tumhara Bag Khol Kar
Dekha Karta Hu
J J….Jee….Haa….!
Tumne Shikayath Ke Vaaste….Logon Ko Bataya
Hoga….!
Oh….Wo….Dekhiye….!
Main Bura Nahi Maanta….Sirf Yeh Jaanna
Chahta Hu Ki Kuch Log Ise Jaante Hai Ya
Nahi
Sirf Gharwale….
Ghar Se Matlab Sirf Tumhara Ghar Hai Na….Ya
Jawwad Aur Amjad Ke Gharwale Bhi Jaante
Hai.?
Jee Hai.! Unhe Bhi Maalum Hai
Irshad Ek Lambi Saans Le Kar Kursi Par
Baith Gaya….
Wo Chhat Ki Taraf Dekh Raha Tha Aur Uske
Chahre Ki Jhurriyan Kuch Aur Zyada Gehri
Maalum Hone Lagi Thi
Dada Jaan.! Aap Yaqeen Ki Jiye….!
Main Yeh Nahi Kehta Ki Yeh Harkath Tumhari
Hai….! Budhe Irshad Ne Dheere Se Kaha….!
Aap Ne Yeh Kyun Pucha Tha Ki Bag Ke Baare
Mein Kaun-Kaun Jaante Hai….!
Main Fir Yahi Kehta Hu Ki Yeh Harkath
Tumhari Nahi Ho Sakti….
To Iska Matlab Hai Ki Aap Khandaan Ke Kisi
Dusre Par Shak Kar Rahe Hai
Kyun Na Karu….Kya Aadmi Ki Haisiyath
Daulath Se Zyada Hoti Hai….
Oho.! Achanak Raziya Ka Chehra Laal Ho
Gaya.! Tab To Yeh Harkath Meri Bhi Ho Sakti
Hai
Nahi, Tum Aisa Nahi Kar Sakti.! Mujhe
Yaqeen Hai
Isiliye Aap Khandaan Walo Ko Yahan Nahi
Rakhte.! Raziya Ne Pucha.! Uski Awaaz Mein
Talkhi Thi Aur Chahre Se Saaf Zaahir Ho
Raha Tha Ki Use Achanak Ghussa Aa Gaya Hai
Haa, Iski Wajah Yehi Hai
Fir Aap Ko Mujh Par Itna Bharosa Kyun Hai
Bas, Yun Hi….!
Na Hona Chahiye….Ab Main Yahan Kabhi Na
Aaungi.! Kabhi Nahi.! Main Graduate Hu Aur
Apni Rozi Khud Kama Sakti Hu
Main Isliye Tumhe Pasand Karta Hu Isiliye
Mujhe Tum Par Bharosa Hai.! Budha Irshad
Muskura Kar Bola.! Tum Meri Khushamad Nahi
Karti….Imaandari Se Kaam Leti Ho….
Lekin Main Ise Bardasht Nahi Kar Sakti Ki
Aap Walid Sahab Par Kisi Qism Ka Shak Kare
Isse Meri Apni Pasand Par Koi Asar Nahi
Padh Sakta
Baherhaal, Aap Khule Hue Alfaaz Mein Walid
Sahab Par Apna Shak Zaahir Kar Rahe Hai
Irshad Kuch Nahi Bola….Wo Khamoshi Se Chai
Pi Raha Tha
Aur
Raziya Ki Chai Thandi Ho Chuki Thi….Usne
Abhi Tak Ek Ghoont Nahi Pi Thi
Irshad Khayalon Mein Khoya Hua Tha.! Usne
Uski Taraf Dhyan Nahi Diya….
Fir Ab Meri Yahan Kya Zaroorath Hai.!
Raziya Uthte Hue Boli.! Kyun Ki Saanp Ke
Bachche Sapoliye Kahe Late Hai.! Walid
Sahab Agar Aap Ko Khatm Kar Ke Koi Faida
Uthana Chahte Hai To Isme Mera Bhi Hissa
Hoga….Aur Daulath Ke Baare Mein Abhi Aap Hi
Khayal Zaahir Kar Chuke Hai
Tum Har Baat Mein Meri “MAA” Ki Tarah Ho.!
Irshad Ne Uske Haath Par Haath Rakh Kar
Aage Ki Taraf Jhukte Hue Kaha Wahi Surat-
Shakl….Wahi Baat Karne Ka Tareeqa, Waisa Hi
Mizaaj, Fir Batao….Magar Tum Kya Jano Iss
Baat Ka Tumhare Maa-Baap Ko Bhi Pata Nahi
Hai, Koi Nahi Jaanta….Siwa Mere….!
Kaun Si Baat….?
Lekin Main Tumhe Zaroor Bataunga.! Mujhe
Tum Par Ab Bhi Bharosa Hai
Raziya Hairath Se Use Dekhti Rahi
Aao….Mere Saath.! Budha Irshad Uthta Hua
Bola.! Main Tumhe Kuch Dikhana Chahta Hu
Wo Use Building Ke Ek Hisse Mein Laya,
Jahan Ke Taale Lage Kamro Mein Kisi Ka
Guzar Nahi Hota Tha
Khud Raziya Bhi Nahi Jaanti Thi Ki Unme Kya
Hai Aur Wahan Taale Kyun Laga Rakhe Hai
Irshad Ne Ek Kamre Ka Taala Khol Kar
Darwaaze Ko Dhakka Diya….Kamre Mein Andhera
Tha Darwaaza Khulte Hi Raziya Ne Kuch Iss
Qism Ki Boo Mehsoos Ki Jaise Wo Kamra
Saalon-Saal Se Taaza Hawa Se Mehroom Raha
Ho….Usi Boo Mein Chamgadadhon Ki Beet Ki
Badhboo Bhi Shamil Thi
Thodi Der Baad Jab Uski Aankhe Andhere Ki
Aadi Ho Gayi To Usne Dekha Ki Kamre Ka
Farsh Dhool Se Ataa Hua Hai Aur Deewaron
Par Bhi Dhool Ki Kaafi Moti Tahe Maujood
Hai Yahan Use Kisi Qism Ka Samaan Nahi
Dikha….
Albatta Saamne Hi Deewar Par Ek Bada Sa
Frame Tha Aur Uske Shishe Par Itni Dhool
Jami Hui Thi Ki Wo Bilkul Ganda Ho Kar Rahe
Gaya Tha
Fir Usne Irshad Ko Shishe Ki Dhool Saaf
Karte Dekha….
Uss Frame Mein Ek Tasveer Thi….
Lekin
Uss Kamre Mein Use Apne Baap Naushad Ki
Tasveer Dekh Kar Badi Hairath Hui Aakhir
Yeh Tasveer Kamre Mein Kyun Lagayi Gayi
Yeh Kaun Hai.? Irshad Ne Raziya Ki Taraf
Mud Kar Pucha
Aakhir Isse Aap Ka Kya Maqsadh Hai.! Raziya
Ne Uktaye Hue Andaaz Mein Kaha
Yeh Kiski Tasveer Hai.? Irshad Ne Fir Pucha
Ab Kya Main Walid Sahab Ko Bhi Nahi
Pehchanungi.! Raziya Ne Be-Dili Se Kaha
Khoob Ghaur Se Dekho….!
Dekh Rahi Hu….To Fir Kya Aap Yeh Kehna
Chahte Hai Ki Yeh Walid Sahab Ki Tasveer
Nahi Hai
Haa, Main Yahi Kehna Chahta Hu.! Irshad
Muskura Kar Bola
Tab Fir Mujhe Samjhna Chahiye Ki Aaj Aap
Mujhe Chidane Par Tul Gaye Hai
Nahi, Nanhi Bachchi.! Irshad Ne Sanjheedhgi
Se Kaha, Yeh Naushad Nahi Hai…!
Yeh Mere Ek Chacha Ki Tasveer Hai….Aur Mere
Teeno Ladke Naushad, Jawwad Aur Amjad Isse
Kaafi Mail Khaate Hai Aur Tumhara Baap To
Hu-Ba-Hu Isi Ki Naql Hai
Raziya Aage Jhuk Kar Ghaur Se Tasveer
Dekhne Lagi….Uske Chahre Par Hairani Thi
Agar Tasveer Ke Jism Par Purane Zamane Ka
Pahenawa Na Hota To Wo Apne Dada Ki Baat
Par Kabhi Yaqeen Na Karti….
Lekin Ab Bhi Use Shak Tha
Uski Jaankari Mein Purane Qism Ke Kapde Iss
Zamane Mein Muhaiyya Karna Mushkil To Nahi
Tha….
Kyun Ki Wo Zyadatar Dramo Aur Filmo Mein
Saikdo Saal Pahle Ke Kapde Dekh Chuki Thi….
Wo Kuch Pal Khamosh Rahi fir Usne Irshad Se
Kaha- Agar Main Maan Bhi Lu….To Fir….!
To Fir….Main Kahunga Ki Isi Shakl Ki Wajah
Se Main Apne Teeno Ladko Se Dur Hi Rehna
Pasand Karta Hu
Raziya Ko Puri Baat Jaanne Ka Shauq Badh
gaya Usne Kaha Main Kuch Nahi Samjhi
Main Abhi Samjhata Hu.! Irshad Ne Darwaaze
Ki Taraf Badhte Hue Kaha
Wo Dono Uss Kamre Se Nikal Aye….Irshad Ne
Usme Fir Taala Laga Diya….
Fir Irshad Ne Kaha, Tum Yahi Thehro….Torch
Ke Ba-Ghair Kaam Nahi Chalega….Main Torch
Le Kar Aata Hu….
Wo Raziya Ko Wahi Chhod Kar Chala Gaya Aaj
Uss Budhe Par Raziya Ko Shak Ho Raha Tha
Thodi Der Baad Irshad Wapas Aa Gaya….Uske
Haath Mein Torch Thi….Usne Barabar Ke Dusre
Kamre Ka Taala Khola….Uss Kamre Mein
Andhera, Aur Gandgi Aur Badhboo Hi Ka Raj
Tha….
Lekin Raziya Ko Yahan Kuch Bhi Nahi Dikha
Irshad Usse Kahe Raha Tha.! Tum Har Maamle
Mein Bilkul Apni Par-Dadi Hi Ki Tarah Ho.!
Mujhe Umeed Hai Ki Unhi Ki Tarah Ek Mazboot
Kirdar Ki Maalik Hogi
Kya Ab Aap….Koi Bohath Darauni Cheez Saamne
Lana Chahte Hai.? Raziya Ne Pucha
Haa….Baat Kuch Aisi Hi Hai….Main Aaj Tumhe
Sab Kuch Bata Dena Chahta Hu Yeh Raaz Mere
Alawa Aur Koi Nahi Jaanta….Lekin Tum Use
Humesha Raaz Hi Rakhogi Humesha Mujhe
Yaqeen Hai Ki Tum Apni Par-Dadi Hi Ki Tarah
Acha Aur Mazboot Kirdar Rakhti Ho
Thik Hai, Main Raaz Ko Raaz Hi
Rakhungi….Mujhe Bataiye….
Acha….Thahero….! Irshad Ne Kamre Ke Ek Kone
Ki Taraf Badhte Hue Kaha
Raziya Wahi Khadi Rahi….
Kone Mein Pahunch Kar Irshad Ne Farsh Ki
Dhool Saaf Ki
Aur Fir
Raziya Ko Aisa Laga Ki Jaise Usne Kisi
Sandooq Ka Dhakkan Uthaya Ho….
Farsh Mein Ek Chakor Si Khaali Jagah Dikh
Rahi Thi Jiski Lambayi-Chaudhayi 1 Foot Se
Se Zyada Na Rahi Hogi….
Irshad Ne Jhuk Kar Uss Khaali Jagah Mein
Torch Ki Roshni Daali….Aur Thodi Der Usi
Halath Mein Raha Fir Raziya Ki Taraf Mudh
Kar Bola
Aao….Daro Nahi….!
Raziya Ladhkhadate Hue Khadmo Se Aage Badhi
Budhe Irshad Ke Rawwaiye Ne Use Sach-Much
Dara Diya Tha
Aao….Dekho Yahan Ek Tahe-Qana Hai….
Raziya Usme Jhaankne Lagi….Wo Kuch Palo Tak
Aankhe Faadhti Rahi, Lekin Uski Samajh Mein
Kuch Bhi Na Aya….
Torch Ki Roshni Kaafi Gehrayi Mein Kisi
Aisi Cheez Par Padh Rahi Thi Jo Khud Use
Saaf Nahi Dikh Rahi Thi….
Lekin Fir
Jald Hi Uske Chahre Par Paseena Foot
Aya….Aur Gala Sookhne Laga….
Jiss Cheez Par Torch Ki Roshni Padh Rahi
Thi, Wo Kisi Aadmi Ki Haddiyon Ka Dhaancha
Tha
Dekh Chuki….? Achanak Irshad Ne Pucha….
Raziya Ko Aisa Laga Jaise Uski Awaaz Bohath
Dur Se Ayi Ho….
Jee Haa Usne Mari Hui Awaaz Mein Jawaab
Diya
Kya Dekha….?
Had….Haddiyon….Ka Dhaancha.! Raziya Thook
Nigal Kar Boli
Thik, Bas Aao….Irshad Use Ek Taraf Hata Kar
Ched Ka Dhakkan Bandh Karta Hua Bola
Thodi Der Baad Wo Dono Kamre Ke Bahar Aa
Gaye
Irshad Ne Usme Taala Laga Diya….Aur Wo Fir
Wapas Aa Gaye
Raziya Ka Chehra Peela Padh Gaya Tha Aur
Aankhon Mein Darr Dikhne Laga Tha
Dono Kaafi Der Tak Khamosh Baithe Rahe
Budha Irshad Khayaalon Mein Khoya Hua
Tha….Peele Rang Ke Dheele-Dhale Kapde Mein
Uska Chota Sa Jhurriya Hua Chehra Puri
Tarah Se Bhed-Bhau Maalum Ho Raha Tha
Main Jo Kuch Bhi Kahne Jaa Raha Hu, Wo Raaz
Humesha Tumhi Tak Rahega Usne Kuch Der Baad
Bharrayi Hui Awaaz Mein Kaha
Main Wada Karti Hu….Aap Itminaan
Rakhiye….Raziya Ka Shauq Aur Ghussa Ab
Bohath Zyada Badh Gaya Tha
Suno….Wo Mere Dada Ki Haddiyon Ka Dhaancha
Tha
Raziya Ke Honth Hile, Lekin Awaaz Na Nikli,
Wo Hairath Se Budhe Irshad Ko Ghoor Rahi
Thi
Isi Zameen Par Aaj Se 65 Saal Pahle Ek
Bohath Badi Tragedy Hui Thi Aur Wo Aaj Bhi
Ek Bohath Badi Tragedy Hai….Sirf 50 Rupiye
Ki Baat Thi….Mere Khuda….Main Aaj Bhi Yaad
Karta Hu To Mere Rongte Khade Ho Jate Hai
Jaldi Se Kahe Daaliye….Mujhe Ghabrahath
Hone Lagi Hai.! Raziya Ne Kaha
Budha Kuch Pal Khamosh Raha Fir Usne Kaha,
Abhi Tum Jiski Tasveer Dekh Chuki Ho….Usne
Mere Dada….Yani Apne Baap Ko Sirf 50 Rupiye
Ke Liye Qatl Kar Diya Tha….
Aur
Wo Laash Aaj Tak Ba-Ghair Kafan-Dafan Ke
Padhi Hai….Khuda Mujhe Aur Sab Ko Muaaf
Kare….
Mujhme Itni Bhi Himmat Nahi Ki Unn Haddiyon
Ko Wahan Se Nikaal Kar Dafna Saku….Mera
Baap Bhi Himmat Haar Gaya Tha.! Budha
Irshad Khamosh Ho Gaya
Lekin Wo Haddiyan Ba-Ghair Kafan-Dafan Ke
Kyun Hai.? Raziya Ne Naraazgi Ke Andaaz
Mein Pucha.! Mujhe Pura Waqiya Bataiye
Chacha Ko 50 Rupiye Ki Zaroorath Thi….Wo
Acha Aadmi Nahi Tha Kisi Bure Kaam Mein
Kharch Karne Ke Liye Use Rupiyo Ki
Zaroorath Thi….
Wo Sharab Ke Nashe Mein Tha….Dada Sahab Ne
Na Sirf Inkaar Kiya, Balki Use Bura-Bhala
Bhi Kaha
Wahi Deewar Par Ek Kulhaadi Tangi Hui
Thi….Chacha Ne Ghusse Mein Aa Kar Usi
Kulhaadi Se Un Humla Kar Diya….Lagataar
Teen-Chaar Waar Kiye Aur Wo Wahi Thande Ho
Gaye
Fir Wo Kameena Faraar Ho Gaya Aur Uss Din
Se Aaj Tak Uski Khabar Hi Nahi Mili….
Walid Sahab Aur Mere Sab Se Chote Chacha
Ghar Hi Mein Maujood The Jitni Der Mein Wo
Wahan Pahunchte, Sab Kuch Khatm Ho Chuka
Tha….Ghar Mein Uss Waqt Sirf Teen Aadmi The
Meri Maa, Walid Sahab Aur Chote Chacha
Main Maujood Nahi Tha….Tum Yaqeen Jaano 40
Saal Ki Umr Tak Mujhe Yeh Qissa Maalum Nahi
Ho Saka
Wajah Yeh Hui Ki Dada Sahab Usi Dauraan Haj
Ke Liye Jane Wale The….Jab Main Ghar Aya To
Mujhe Bataya Gaya Ki Wo Haj Ke Liye Chale
Gaye
Sab Yehi Jaante The Ki Wo Haj Ke Liye Gaye
Hai Magar Haqeeqat Yeh Thi Ki Walid Sahab
Aur Chote Chacha Ne Mil Kar Unki Laash
Tahe-Qane Mein Daal Di Wo Nahi Chahte The
Ki Khandaan Badnaam Ho Kyun Ki Humara
Khandaan Sadiyon Se Izzatdar Samjha Jata
Raha Hai
Baherhaal
Kuch Dino Baad Dada Sahab Ki Liye Mashoor
Kar Diya Gaya Ki Unka Baitullah-Shareef
Mein Inteqaal Ho Gaya
Rahe Gaya Gumshuda Chacha Ke Maamle Ki
Taraf Kisi Ne Dhyaan Bhi Na Diya, Kyun Ki
Wo Ek Awaara Aadmi Tha Waise Bhi Maheeno
Ghar Mein Uski Shakl Dikhayi Nahi Deti Thi
Lekin…..! Raziya Ne Thook Nigal Kar Kaha,
Laash Yun Hi Kyun Padhi Rahe Gayi….?
Oh….Fir Kisi Ki Himmat Hi Nahi Padhi Ki Wo
Uss Tahe-Qane Mein Utarta….Walid Sahab Ne
Mujhe Uske Baare Mein Uss Waqt Bataya Jab
Main 40 Saal Ka Tha, Yaani Aaj Se 40 Saal
Pahle….
Lekin
Main Tumse Kya Batau….Mujhme Bhi Itni
Himmat Nahi Ki Tahe-Qane Mein Utar Kar Unn
Haddiyon Ko Khaak Ke Hawale Kar Du
Kuch Der Ke Liye Kamre Mein Khamoshi Chaa
Gayi
Fir Budha Bola.! Jab Tak Yeh Baat Mujhe
Maalum Nahi Hui Thi….Main Apne Bachcho Par
Jaan Deta Tha….Lekin Jab….Yeh Waqiya Maalum
Hua….Mujhe Unn Teeno Se Wehshath Hone Lagi
Walid Sahab Ki Zindagi Tak Wo Mere Saath
Rahe….Fir Maine Unhe Alag Kar Diya….!
Aakhir Unka Kya Kasoor Tha.? Raziya Ne
Pucha
Chacha….Se Humshakli Ki Wajah Se Mujhe Unse
Wehshath Hoti Hai….Tumhare Baap Se To
Khaas-Taur Par….
To Kya Aap Samajhte Hai….Wo Bhi Humshakli
Hone Ki Wajah Se Aap Se Wahi Bartau
Karenge.?
Main Jaanta Hu Ki Yeh Ek Ghalath Khayaal
Hai….
Magar
Main Kya Karu….Aur Ab To Mujhe Aur Zyada
Hoshiyaar Rehna Padhega Aakhir Wo Saanp
Tumhare Bag Mein Kaha Se Aya Tha, Mujhe
Batao….!
Raziya Kuch Na Boli….Uske Paas Iss Baat Ka
Koi Jawaab Nahi Tha….
Haalaath Ko Madde-Nazar Rakhte Hue Yahi
Sonch Sakti Thi Ki Saanp Kisi Ne Ghar Hi
Mein Rakha Hoga
Lekin Use Achi Tarah Yaad Tha Ki Wo Ghar Se
Rawana Ho Kar Cobra Mansion Jaane Se Pahle
Ek Restro Mein Gayi Thi Aur Wahan Usne
Payment Karne Ke Liye Apna Bag Bhi Khola
Tha….
Fir
Kya Cobra Mansion Mein Kisi Yeh Harkath Ki
Thi.? Magar Wahan To Bag Uske Haath Hi Mein
Raha Tha….Ho Sakta Hai Ki Kisi Ne Iske Ba-
Wajood Haath Ki Safayi Dikhayi Ho….
Magar Wo Uska Baap Ya Koi Chacha Hargeez
Nahi Ho Sakta Tha
Kya Sonchne Lagi.? Irshad Ne Pucha
Usi Saanp Ke Baare Mein….
Mat Soncho….Mujhe Yaqeen Hai Ki Yeh Harkath
Tumhari Nahi Ho Sakti
Magar Dada Jaan Main Apne Baap Ya Kisi
Chacha Par Bhi Shak Nahi Kar Sakti
Khatm Karo, Inn Baato Ko.! Budha Haath Hila
Kar Bola.! Main Apni Maut Se Pahle Nahi Mar
Sakta
Agar Yahi Khayal Hai….To Fir Aap Ne Unn
Logon Ko Alag Kyun Kar Diya Hai.?
Tumhari Bahez Mujhe Tang Kar Daalti Hai
Maine Alag Kar Diya….Meri Marzi, Mera Jo
Dil Chahega Karunga….
Baherhaal, Main Ab Yahan Nahi Rahungi
Kya.? Budha Aankhe Nikaal Kar Bola.! Tum
Mujhe Akele Nahi Chhod Sakti Main Apni
Aulaadon Mein Tumhe Sab Se Zyada Pasand
Karta Hu Tum Nahi Jaa Sakti
Raziya Khamosh Baithi Rahi, Lekin Uske
Chahre Par Bezaari Chaayi Hui Thi
Captain Fayaz Ne Jaise Hi Kamre Mein Khadam
Rakha
Imran Sar Peetne Laga….Fayaz Ne Iski
Parwaah Na Ki….Aage Badh Kar Uske Dono
Haath Pakad Liye Aur Daant Pees Kar Bola
Tum Bekaar Mein Ek-Na-Ek Dhamaka Chhod Kar
Humesha Alag Ho Jate Ho
Dhamaka Khud-Ba-Khud Chuthta Hai, Pyare
Fayaz.! Imran Ne Sanjheedgi Se Kaha, Shayad
Tum Taimur And Bortle Wali Baat Ki Taraf
Ishara Kar Rahe Ho….Baith Jao….Aaj Mere Sar
Mein Bohath Dard Hai, Isliye Main Koi
Mehnath Nahi Kar Sakta
Mera Mood Bohath Kharab Hai….Agar Tumne
Uth-Pataang Baate Shuru Ki To Main Maar
Baithunga
Main Aaj-Kal Tileesme Haatimtai Ki Aathvi
Khist Likh Raha Hu….Baitho….Baitho….Maine
Tumhe Kuch Tukde
Khilau….Arrrrr….Sunaunga….!
“Imran”….!
Yes My Dear Super Fayaz….Yeh Tukda Bade
Ghazab Ka Hai….Aana Hudh-Hudh Mursaposh Ka
Taraf Kahe Chakhmaakh Ke Aur….Yahan Se Do
Kalmiya Dastaan….Wald Sakhinaama….Maasil
Baaqi Navees, Arey Baap Re….!
Fayaz Ne Uth Kar Uska Muh Daba Diya….
Tum Bekaar Mein Mujh Se Na Uljho, Varna….!
Fayaz Badh-Badhaya….
Varna Kya Hoga….Imran Ne Apne Muh Par Se
Haath Hatate Hue Kaha
Main Tumhe Kisi Musibath Mein Fasa
Dunga….Tumne Neele Pareende Wale Maamle
Mein Ek Bohath Bada Fareb Kiya Tha….
Kya Matlab….?
Tumne Home-Secretary Ka Jo Certificate
Dikhaya Tha Jaali Tha
Aaj Samjhe Ho Yeh Baat Imran Ne Thahaka
Lagaya Magar Pyare Captaan Sahab Tum Mera
Kuch Nahi Bigaad Sakte….
Chalo Chhodo Main Kisi Se Iska Zikr Nahi
Karunga….
Iss Tarah Tum Khud Apne Upar Ek Bada Ehsaan
Karoge.! Imran Ne Dheere Se Kaha
Aakhir Tum Taimur And Bortle Ke Baare Mein
Saaf-Saaf Kyun Nahi Batate.?
Saaf-Saaf….Yeh Usi Waqt Bata Sakunga Jab
Mujhe Saaf-Saaf Maalum Ho Jaye….Waise Wo
Log Koi Ghair-Khanooni Harkath Zaroor Kar
Rahe Hai
Uska Koi Tareeqa Hi Bata Do
Yahan Se Do Kalmiya Dastaan Hairath Nishan
Fayaz Khachchar Sawaar Ke Bayaan Kiye Jaate
Hai Ki Pahelwan Zabardast Tha….Maar Khana
Uske Haath Se Imran Sahab Quran Aalishaan
Ke….Aur Rona Sar Peet-Peet Kar….Hip.!
Tum Gadhe Ho….! Fayaz Jhunjhula Gaya
Yahi Baat Tumne Pahle Kahe Di Hoti Itna Sar
Na Maarna Padhta
Parso….! Taimur And Bortle Ke Showroom Mein
Tum Bhi The….Tumne Do Ya Teen Minute Tak
Wahan Irshad Ki Poti Raziya Se Baat-Cheet
Bhi Ki Thi….Kyun….? Kya Main Ghalath Kahe
Raha Hu….Raziya Tumhari Bahen Suraiya Ki
Saheli Hai
Haa, Haa Toh Fir.?
Tum Yeh Maante Ho Ki Wo Tumhe Wahan Mili
Thi
Bilkul….Imran Ne Kaha Aur Jeb Mein Chewing-
Gum Ka Packet Talaash Karne Laga
Tab Fir Tumhe Mere Kuch Sawaalon Ke Jawaab
Dena Padhega
Sawaal Likh Kar Laye Ho….Parcha Dhai Ghante
Se Kam Na Hona Chahiye….Saath Mein Paanch
Sawaal Zaroori Ho
Faarighirti….Arrrrr….Kya Kahte Hai….Use
Khushkismati….Arrrrr….Nahi….Ku…Ya
Kahte….Khushkhati….Khushkhati….Ke Number
Alag
Jab Tum Usse Mile The Toh Uska Bag Uske
Haath Mein Tha Ya Nahi
Nahi, Bag To Nahi Tha Albatta Usne Apne
Gale Mein Kayi Jholiyan Latka Rakhi Thi
Imran, Main Tumse Sanjheedgi Apnane Ki
Guzarish Karunga
Kya Faida.! Imran Sar Hila Kar Bola.! Agar
Main Sanjheeda Ho Gaya To Tum Kamre Ke
Bahar Nazar Aaoge….Ya Fir Iss Khabil Nahi
Rahe Sakoge Ki Nazar Aa Sako….!
Mere Sawaal Ka Jawaab Do.! Fayaz Daant Pees
Kar Bola
Ch Ch Imran Ne Salaah Dete Hue Kaha, Isi
Qism Ki Badh-Ehtiyadi Ki Bina Par Daant
Kamzor Ho Jate Hai Aankhon Ke Saamne Neeli-
Peeli Chingariyan Udhti Hai, Sar Chakrata
Hai….Aur Aql Kaam Nahi Karti Ki Kiss
Dawakhane Se Sampark Kiya Jaye Taaki Imaan-
Dharm Se Kahe Dene Par Aadhi Kheemat Wapas
Mil Jaye….!
Acha, Tum Bhugtoge….Fayaz Uth Kar Darwaaze
Ki Taraf Badhta Hua Bola
Bhugatne Hi Ke Darr Se Maine Abhi Tak
Shaadi Nahi Ki
Uske Bag Mein Saanp Tha.! Fayaz Ne Darwaaze
Ke Paas Ruk Kar Imran Ki Taraf Mudhte Hue
Kaha
Badi Kam Himmatwali Ladki Maalum Hoti Hai
Imran Ne Laparwaahi Se Kaha, Agar Main
Ladki Hota To Mere Bag Se Kam-Se-Kam Ek
Haathi Zaroor Baramad Hota….iLLa
Mashallah….!
Imran Main Tumhe Daftar Mein Bula Kar Tumhe
Inn Sawaalon Ke Jawaab Par Majboor Karunga
Jab Tak Tum Mujhe Puri Baat Nahi Bataoge,
Mujh Se Kuch Bhi Maalum Nahi Kar Sakoge
Fayaz Fir Palat Aaya….Kuch Pal Khamosh
Baitha Raha….Fir Bola….
Irshad Ke Baare Mein Jaante Ho….
Haa, Mushairon Mein Aksar Irshad Se Meri
Mulaqaath Hoti Hai, Acha Shayar Hai.! Imran
Ne Sanjheedgi Se Kaha….
Main Shaher Ke Mashoor Carorepati Irshad Ki
Baat Kar Raha Hu.! Fayaz Jhalla Gaya
To Aise Bolo Na….Haa, Maine Uska Naam Suna
Hai….Aur Uski Poti Raziya Ko Achi Tarah
Jaanta Hu, Kyun Ki Wo Suraiya Ki Saheli Hai
Parso Uske Bag Se Ek Saanp Baramad Hua
Tha….Bag Irshad Ne Khola Tha….
Raziya Ko Uske Bag Mein Saanp Hone Ka Pata
Nahi Tha Aur Yeh Khud Raziya Hi Ka Bayaan
Hai Ki Budha Aksar Uska Bag Khol Kar Usme
Rakhi Hui Cheezein Ulat-Palat Daala Karta
Tha
Bohath Achi Adath Hai….! Aaj-Kal Ki
Ladkiyan Na Jane Kya-Kya Apne Bago Mein
Liye Firti Hai
Irshad Ka Khayal Tha Ki Yeh Harkath Use
Maar Daalne Ke Liye Ki Gayi Thi Kisne Ki
Thi….Yeh Ab Tak Nahi Maalum Ho Saka
Kamaal Hai Yaar Fayaz….Kahi Tumhe Ghaans To
Nahi Kha Gayi Abhi Tum Kahe Rahe The Ki
Saanp Bag Se Baramad Hua Tha
Wo Nahi Jaanti Ki Saanp Uske Bag Mein Kaise
Pahuncha Tha
Fir Kya Karu….! Imran Apne Maathe Par Haath
Maar Kar Bola.! Mera Dimaagh Kyun Chaat
Rahe Ho.?
Wo Taimur And Bortle Ke Showroom Mein Saanp
Dekhne Gayi Thi….Lekin Tum Wahan Maujood
The Tumhara Wahan Kya Kaam Tha….?
Main Wahan Jhak Maar Raha Tha….Tumse
Matlab….?
Tum Abhi Pure Haalaath Se Aagha Nahi Ho.!
Fayaz Ne Bura Sa Muh Bana Kar Kaha, Varna
Iss Tarah Na Chahekte
To Chahekna Bandh Kara Do Na….Mera….Imran
Laparwaahi Se Bola
Parso Raat Raziya Apne Kamre Mein So Rahi
Thi….Wo Irshad Manzil Hi Mein Raat Guzara
Karti Hai Uske Alawa Irshad Ke Pariwaar
Mein Se Aur Koi Irshad Manzil Mein Nahi
Daakhil Ho Sakta….
Baherhaal
Wo Wahi Rehti Hai Hai Uske Aur Irshad Ke
Bed-Room Ke Bich Sirf Ek Deewar Hai….Raziya
So Rahi Thi….Achanak Kisi Qism Ki Tez Awaaz
Ne Use Jaga Diya….Aur Fir Dusri Cheekh Usne
Jaagne Par Suni….Wo Sau Feesad Irshad Ki
Cheekh Thi
Lag-Bhag 5-6 Minute Tak Wo Palang Par Chup-
Chaap Padhi Rahi Irshad Ke Kamre Se Ab Kuch
Iss Qism Ki Awaaze Aa Rahi Thi Jaise Kayi
Aadmi Ladh Padhe Ho….Thodi Der Baad Bilkul
Sannata Ho Gaya
Khuda Ka Shukr Hai.! Imran Dheere Se Badh-
Badhaya
Fayaz Ke Maathe Par Lakeerein Ubhri
Lekin Wo Imran Se Uljhe Ba-Ghair Bolta
Raha….Raziya Uth Kar Seedhe Naukaron Ke
Quarters Mein Gayi….Aur Unhe Jaga Kar Apne
Saath Irshad Ke Bed-Room Tak Layi Jiska
Darwaaza Khula Hua Tha….
Lekin
Bed-Room Khali Tha
Irshad Ke Bistar Par Bohath Se Khoon
Tha….Palang Ke Niche Ek Khanjar Mila….Wo
Bhi Khoon Se LathPath Tha
Sirhane Ki Choti Mez Ulti Padhi Thi
Do Kursiyan Ulat Gayi Thi Matlab Yeh Ki
Saaf Maalum Ho Raha Tha Ki Wahan Kaafi Der
Tak Kash-Ma-Kash Hui Hai….
Magar….
Irshad Kahi Pata Na Tha
Imran Kuch Na Bola.! Wo Ghaur Se Fayaz Ki
Taraf Dekh Raha Tha….
Irshad….Ab Bhi Laapata Hai….? Raziya Ne
Bohath Kuch Bataya Hai….Haalaanki Khud Apna
Wajood Bhi Shak Se Upar Nahi Rakha….
Usne Kya Bataya Hai….? Imran Ne Pucha
Yahi Ki Irshad Apne Teeno Ladkon Ki Taraf
Se Mutmayeen Nahi Tha….Yahi Wajah Unke Alag
Rahne Ki Bhi Thi….Raziya Ke Alawa Aur Koi
Irshad Manzil Mein Nahi Jaa Sakta Tha
Uss Ladki Par Use Bohath Bharosa Tha.?
Haa.! Uska Bayaan Yahi Hai….!
Tumhara Kya Khayal Hai.?
Main Abhi Tak Koi Raye Khayam Nahi Kar Saka
Jiss Din Tum Raye Khayam Karne Ke Khaabil
Hue, Uss Din Tumhari Biwi Baaligh Ho Jayegi
Imran….! Main Tum Se Puchta Hu Ki Tum Wahan
Kya Kar Rahe The.?
Kaha My Dear Fayaz….!
Taimur And Bortle Ke Showroom Mein….!
Imran Achanak Sanjheeda Ho Gaya Kuch Pal
Fayaz Ko Ghoorta Raha Fir Bola, Tum Mujh
Par Kiss Baat Ka Shak Kar Rahe Ho
Main Filhaal Tum Par Kisi Qism Ka Shak Nahi
Kar Raha….Sirf Yeh Puchna Chahta Hu Ki Tum
Wahan Kya Kar Rahe The.?
Wahan Khareeb-Khareeb Dedh Sau Aadmi
The….Imran Ne Sanjheedgi Se Kaha, Main Unse
Mashwara Karne Ke Baad Tumhare Iss Sawaal
Ka Jawaab Dunga
Fayaz Ko Fir Ghussa Aa Gaya Usne Ghurra Kar
Kaha Tum Samajhte Ho Shayad Main Iss Case
Mein Tumhari Madad Chata Hu
Nahi, Main Achi Tarah Jaanta Hu Ki Tum
Dusron Ka Waqt Barbaad Karne Ke Specialist
Ho
Tum Jhak Maar Rahe Ho Fayaz Kursi Se Uthta
Hua Bola.! Raziya Ke Bag Se Baramad Hone
Wale Saanp Ki Wajah Se Maine Tumse Milna
Munaseeb Samjha, Kyun Ki Tumne Ek Baar
Taimur And Bortle Walon Ki Ghair-Khanooni
Harkaton Ka Zikr Kiya Tha….Raziya Kahti Hai
Ki Showroom Mein Jaane Se Pahle Saanp Bag
Mein Nahi Tha
Kahti Hogi….Mat Bore Karo….Jao, Apna Kaam
Dekho….Main Aaj-Kal Bohath Busy Hu Iss Waqt
Mere Paas Talaaq Ke 12 Case Hai Har Case
Mein Kam-Se-Kam Ek Hazaar Milne Ki Umeed
Hai
Taimur And Bortle Ka Manging-Director
Taimur Apne Shaandar Makaan Ke Shaandar
Kamre Mein Baitha Apni Firm Ke Do
Shikariyon Se Baat-Chet Mein Mashghul Tha
Taimur Darasal Uss Firm Ka Hissedar Tha
Dusra Hissedar Bortle Tha Jo Angrez Tha Aur
Zyadatar Samandar Paar Rahe Kar Hi Bahari
Tijarath (vyapaar) Ki Dekh-Bhaal Karta Tha
Taimur Lambe-Chaude Kadh Ka Aadmi Tha Umr
50 Ke Lag-Bhag Rahi Hogi Chehra Ab Bhi
Purkashish Tha
Tum Dono.! Wo Shikariyon Se Kahe Raha Tha,
Kabhi-Kabhi Bohath Aage Badh Jate Ho Main
Ise Pasand Nahi Karta
Shikariyon Mein Ek, Jo Jawaan Aur Mazboot
Haath-Paer Wala Tha, Bola.! Aage Badhe Ba-
Ghair Agar Kaam Chal Sake To Iski aroorath
Hi Kya Hai….!
Nahi….Ab Tum Apni Marzi Se Koi Kaam Nahi
Karoge.! Taimur Ki Awaaz Mein Kadakpan Thi
Aap Apni Awaaz Thik Ki Jiye, Mister
Taimur….Jawaan Shikaari Ne Kaha
Kya….? Taimur Iss Tarah Chaunka Jaise Uske
Sar Par Bomb Fata Ho….Kuch Pal Uske Chahre
Par Hairath Ke Aasaar Dikhte Rahe Fir Wo
Achanak Laal Ho Gaya….
Tumne Mujh Se Iss Tarah Ki Baat Karne Ki
Himmat Kaise Ki.? Wo Gurraya
Mister Taimur.! Jawaan Shikaari Muskura Kar
Bola.! Main Bohath Hi Himmatwala Aadmi Hu
Aur Main Zindagi Bhar Isi Haisiyath Mein
Nahi Rahunga Ho Sakta Hai….10-5 Saal Baad
Firm Ka Naam Hi Badal Jaye….Log Use Tariq
Taimur And Bortle Ke Naam Se Yaad Karne
Lage….
Pahle To Bortle Ki Firm Thi….Mister Taimur
Uske Ek Mamuli Naukar The Fir Ek Din
Achanak Wo Firm Ke Hissedar Ho
Gaye….Main….Tariq….Aaj Ek Mamuli Shikari
Hu….Ho Sakta Hai….
Shut-Up Taimur Pure Gale Se Cheekha
Mujh Par Iska Koi Asar Nahi Hua Mister
Taimur….! Tariq Bara-Bar Muskurata Hua Bola
Tariq Be-Tooki Baate Mat Karo Uske Saath Ke
Shikari Ne Dabi Hui Zubaan Se Kaha
Tum Khamosh Raho Naseer….! Tariq Ne Usse
Kaha
Main Tumhe Isi Waqt Naukri Se Bahar Kar
Raha Hu Aur Ab Tumhari Shakl Nahi Dekhna
Chahta….! Taimur Ne Kadak Awaaz Mein Kaha
Mister Taimur, Jaldbaazi Achi Nahi Hoti.!
Tariq Ne Apne Gathile Baaquon Par Haath
Ferta Hue Kaha, Anjaam Par Ghaur Kar Li
Jiye
Taimur Use Fir Ghoorne Laga.! Isse Kya
Matlab Hai Tumhara….? Usne Pucha
“X-539” Tariq Dheere Se Bola Lekin Wo
Seedhe Taimur Ki Aankhon Mein Dekh Raha Tha
Aur
Uski Aankhon Mein Ajeeb Qism Ki Wehshiyana
Chamak Thi
Achanak
Taimur Ka Chehra Bujh Gaya Aur Dusre
Shikari Naseer Ne Bhi Yeh Tabdeeli Mehsoos
Kar Li
Bas Mister Taimur, Humari Aaj Ki Baat-Cheet
Khatm Ho Gayi.! Tariq Uthta Hua Bola.! Aao
Naseer
Naseer Chup-Chaap Uth Gaya Aur Wo Dono
Taimur Ke Kamre Se Bahar Aa Gaye
Porch Mein Ek Motorcycle Khadi Thi Tariq Ne
Uski Seat Par Baith Kar Use Start
Kiya….Naseer Carier Par Baith Chuka Tha
Motorcycle Farrate Bharti Hui Gate Se Nikal
Ayi Thi
Tariq Yeh Kya Qissa Tha.? Naseer Ne Pucha
Tariq Halka Sa Qahe-Qaha Laga Kar Bola.!
Agar Iss Qism Ke Qisse Har Ek Ki Samajh
Mein Aane Lage Toh Har Ek Taimur And Bortle
Ka Hissedar Ho Jaye Main Apni Aankhein
Khuli Rakhta Hu Dost….!
Magar Yaar,Iss Waqt To Tumne Kamaal Hi Kar
Diya….Magar Wo Number Kya Tha….Jise Sunte
Hi Wo Badh-Hawaas Ho Gaya Tha
Suno Naseer.! Hum Dono Gehre Dost Hai….!
Tariq Ne Kaha Aur Khamosh Ho Gaya
Naseer Intezar Mein Tha Ki Wo Kuch Aur Bhi
Kahega….Lekin Wo Khamosh Raha
Main Iss Jumle Ka Matlab Nahi Samjha.!
Naseer Ne Kaha
Iska Matlab Fir Kabhi Samjha Dunga Filhaal
Ek Car Humara Picha Kar Rahi Hai Usme
Yaqeenan Taimur Ke Aadmi Honge Isliye Main
Chahta Hu Ki Unhe Ek Acha Sabaq Sikhau
Naseer Ne Mudh Kar Dekha….Waqai Uss Car Ke
Alawa Sadak Par Dur Tak Koi Car Nahi Dikh
Rahi Thi
Wahem Hai Tumhara….Naseer Badh-Badhaya
Wahem Nahi, Balki Umeed….Tariq Ne Kaha Uss
Baat-Cheet Ke Baad Taimur Mujhe Zinda
Dekhna Pasand Nahi Karega….Khair
Dekho….Abhi Maalum Hua Jata Hai….!
Tabhi Tariq Ne Motorcycle Ek Gali Mein Modh
Di….Dusri Car Bhi Usi Gali Mein Mudh Gayi
Kyun, Ab Kya Khayal Hai.? Tariq Ne Halke Se
Qahe-Qahe Ke Saath Kaha
Thik Hai.! Naseer Badh-Badhaya
Kya Main Tumhe Kahi Utaar Du.? Tariq Ne
Pucha.! Wo Log Hume Rasmalayi Nahi
Khilayenge
Kya Tum Mujhe Buzdil Samajhte Ho.? Naseer
Ne Kaha
Nahi Pyare.! Matlab Yeh Tha Ki Tumhe Khatre
Se Aghaah Kar Du….Magar Hume Yeh Zaroor
Dekh Lena Chahiye Ki Wo Kitne Aadmi Hai
Naseer Kuch Nahi Bola
Tariq Motorcycle Ko Gali Se Nikaal Kar
Dusri Sadak Par Aa Gaya….
Fir
Café Grand Ke Saamne Use Rok Kar Engine
Bandh Kar Diya….
Dusri Car Bhi Thode Faasle Par Ruk Gayi….
Dono Utar Kar Café Grand Mein Daakhil
Hue….Uska Hall Chota Hi Tha….Aur Upar
Chaaro Taraf Gallery Bani Hui Thi….Iss
Tarah Choti Si Jagah Mein Zyada Se Zyada
Seat’s Ka Intezaam Kiya Gaya Tha
Tariq Niche Baithne Ki Bajaye Upar Jane Ke
Liye Sidhiyaan Chadhne Laga….
Naseer Ne Dekha Ki Chaar Aadmi Café Mein
Aye….
Aur
Wo Kankhaniyon Se Unn Dono Ki Taraf Dekh
Rahe The….
Jab Tak Ki Tariq Aur Naseer Upar Jaa Kar
Baith Nahi Gaye, Wo Log Bhi Khade Rahe
Dekhne Se Aisa Lag Raha Tha Jaise Wo Chaaro
Taraf Nazar Dauda Kar Apne Liye Koi Jagah
Chun Rahe Hai
Tariq Aur Naseer Gallery Ki Jaliyon Se Lag
Kar Iss Tarah Baithe Ki Niche Se Kam-Se-Kam
Unke Sar Dikhayi De Sake….
Wo Chaaro Log Bhi Baith Chuke The….Lkin
Unhone Bhi Aisi Jagah Chuni Thi Jahan Se Wo
Asaani Se Unn Par Nazar Rakh Sakte The
Tariq Dheere-Dheere Parda Khiska Kar Apne
Chahre Ki Taraf Laa Raha Tha….Thodi Hi Der
Mein Uska Chehra Parde Ke Piche Ho Gaya….
Lekin
Naseer Ab Bhi Niche Walo Ko Dikhayi De Raha
Tha
Naseer.! Tariq Ne Use Dheere Se Kaha.!
Zyada Nahi Sirf 20 Minute Tak Unhe Yahan
Roke Rakho….Uske Baad Fir Tumhe Aisa
Tamasha Dikhaunga Ki Tum Dang Rahe Jaoge….
Kiss Tarah Roku….? Main Tumhara Matlab Nahi
Samjha
Tum Bas Isi Tarah Baithe Raho….Main Sirf 20
Minute Ke Liye Bahar Jaa Raha Hu….Yeh
Darwaaza Dekh Rahe Ho Iski Seedhiyan
Bawarchi-Khane Mein Jaa Kar Khatm Hoti Hai
Main Udhar Hi Jaunga….
Lekin
Niche Walo Ko Yahi Maalum Hona Chahiye Ki
Main Yahan Maujood Hu….Tum Kabhi-Kabhi Iss
Tarah Idhar Dekhte Rehna Jaise Mujh Se Baat
Kar Rahe Ho
Tum Kaha Jaa Rahe Ho.?
Bas, Wapas Aa Kar Bataunga….
Tariq Gallery Ki Seedhiyon Se Dusri Taraf
Utar Gaya
Naseer Wahi Baitha Raha….
Tariq Ke Jaane Ke Baad Chai Bhi Aa
Gayi….Iss Beech Naseer Shaandar Acting Kar
Raha Tha….Wo Tariq Se Umr Mein Bada
Tha,Lekin Taaqath Mein Uska Loha Maanta
Tha….
Usne Iss Andaaz Mein Chai Undheli Jaise Wo
Saath-Saath Apne Saathi Se Baat-Cheet Bhi
Karta Jaa Raha Ho Waise Uski Nazar Chai Ki
Piyaali Hi Ki Taraf Thi
Fir Usne Niche Baithe Hue Aadmiyon Par
Uchakti Se Nazar Daali….
Wo Chaaro Abhi Hall Mein Maujood The
20 Minute Beet Gaye, Lekin Tariq Wapas Nahi
Aya….Uski Wapsi Thik Adhe Ghante Baad Hui
Aur Wo Iss Tarah Haanf Raha Tha Jaise Use
Bohath Daudna Padha Ho
Kya Kar Aye….? Naseer Ne Muskura Kar Pucha
Bas Abhi Dekh Lena….Aur Ab Utho….!
Wo Seedhiyon Se Utar Kar Hall Mein
Aye….Lekin Unke Andaaz Se Yahi Maalum Ho
Raha Tha Jaise Wo Picha Karne Walo Se Be-
Khabar Ho….
Bahar Aa Kar Tariq Ne Fir Motorcycle
Sambhaali….Naseer Carier Par Baith Gaya Aur
Motorcycle Chal Padhi….
Lag-Bhag 15-20 Minute Tak Wo Alag-Alag
Sadko Par Daudte Rahe
Fir
Tariq Ne Naseer Se Kaha Zara Ghadi To Dekho
Kya Time Hua Hai
5:30 Naseer Ne Jawaab Diya
Car Abhi Bhi Hum Logon Ka Picha Kar Rahi
Hai….
Aakhir Iska Maqsadh Kya Hai.? Naseer Ne
Pucha
Unhe Maalum Hai Ki Aaj-Kal Shikaar Ho Raha
Hai Aur Hum Yahan Se Seedhe Camp Ki Taraf
Jayenge Zaahir Hai Ki Iske Liye Hume Ek
Sunsaan Sadak Se Guzarna Hoga
Mere Khuda….! Naseer Hadh-Badha Kar Bola.!
To Iska Matlab Yeh Hai Ki Wo Log Hume Maar
Daal Ne Ki Firaaq Mein Hai
Yaqeenan.! Tariq Ne Qahe-Qaha Lagaya, Varna
Hum Do Khoobsurat Teetliyan To Hai Nahi Wo
Humare Gharo Ka Pata Lagaane Ke Liye Humara
Picha Kar Rahe Hai
Aur Camp Hi Ki Taraf Jayenge.? Naseer Ne
Sawaal Kiya
Yaqeenan….! Hum Wahi Jayenge Aur Usi Sadak
Se Guzrenge Jisse Rozana Guzarte Hai
Tab Tum Paagal Ho Gaye Ho
Parwaah Na Karo….Sirf 3 Minute Baad Tum Bhi
Paagal Ho Jaoge Yaqeen Na Aye To Ghadi Ki
Taraf Dekhte Raho….Aur Tumhare Paagal Ho
Jane Ki Khabar Sunn Kar Taimur Paagal Kutte
Ki Tarah Bhaunkne Lagega
Naseer Kuch Na Bola Wo Ab Fikr Mein Tha Ki
Kisi Bahane Filhaal Tariq Se Picha Chhuda
Le, Lekin Aise Mauqe Par Amuman Bahana
Paida Karne Ka Koi Pahlu Hi Nahi Nikalta
Naseer Ka Zahen Usi Mein Ulajh Kar Rahe
Gaya
Motorcycle Ki Raftaar Tez Hoti Jaa Rahi Thi
Aur
Ab Wo Camp Hi Ki Taraf Jane Wali Sadak Par
Mudh Chuki Thi
Naseer Ka Dil Dhadakne Laga Usne Mudh Kar
Dekha
Car Bhi Usi Sadak Par Mudhi Thi
Lekin
Sadak Ka Yeh Hissa Sunsaan Nahi Tha, Kyun
Ki Abhi Shahri Aabaadi Ka Silsila Khatm
Nahi Hua Tha
Tariq….Sach….Much….! Naseer Haklaya….Lekin
Use Apni Haklahath Jaari Rakhne Ka Mauqa Na
Mil Saka
Kyun Ki
Achanak Ek Tez Dhamake Ne Use Chaunka Diya
Usne Ek Saath Kayi Cheekhe Suni Mudh Kar
Dekha To…..Use Thodi Hi Duri Par Aag Ki
Lapet Dikhayi Di
Tariq Be-Tahasha Hass Raha Tha….Aur
Motorcycle Chali Jaa Rahi Thi….!
Ab Yeh Kal Akhbaaron Mein Dekhna Ki Kitne
Mare Aur Kitne Zakhmi Hue.! Tariq Ne Kaha
Yah….K….Kya Hua….! Naseer Fir Haklaya
“Time Bomb”
Usi Car Mein….!
Haa, Main Aadhe Ghante Tak Jhak Nahi Maar
Raha Tha….!
Magar….Ofo….Ofoh….! Tumne Yeh Kya Kiya
Tariq….!
Main Shikaari Hu Naseer….Bas Isse Zyada Aur
Kuch Kahne Ki Zaroorath Hi Nahi
Magar
Inn Shikaaron Ki Khaal Taimur Ke Kisi Kaam
Na Aa Sakegi
Tumne Unhe Maar Dala….
Haa, Mere Dost.! Tariq Ne Bade Itminaan Se
Jawaab Diya.! Saanpon Ko Fann Uthane Ki
Mohlath Hi Na Deni Chahiye Yahi Humara Sab
Se Pehla Sabaq Hai
Naseer Par Sakhta Chha Gaya Uske Saare Jism
Se Thanda-Thanda Paseena Foot Raha Tha
Kya Tum Darr Rahe Ho.! Tariq Ne Fir Qahe-
Qaha Lagaya
Naseer Kuch Na Bola.! Uska Dimaagh Khopdi
Se Nikal Kar Jaise Hawa Mein Tairne Laga
Tha Uss Dhamake Ka Asar Ab Bhi Use Chaunka
Raha Tha Aur Fir Tariq Ki Baate Bhi Uss
Dhamake Se Kya Kam Thi
Aaj Fayaz Ko Fir Imran Ki Talaash Thi,
Lekin Wo Apne Flat Mein Nahi Mila
Baherhaal
Uss Tak Pahunchne Ke Liye Fayaz Ko Achi
Khaasi Jasoosi Karni Padhi….Wo Use Shaher
Ke Ek Ghatiya Se Sharab-Khane Mein Mila
Lekin
Fayaz Yeh Na Maalum Kar Saka Ki Imran Wahan
Kya Kar Raha Tha
Haqeeqat To Yeh Thi Ki Uss Waqt Use Yeh
Maalum Karne Ki Zaroorath Hi Nahi Mehsoos
Hui Thi Ki Imran Wahan Kyun Aya Tha Ho
Sakta Hai Ki Kisi Dusre Mauqe Par Yeh
Jaanne Ki Zaroorath Use Padh Gayi Hoti….
Lekin
Aaj To Khud Uske Hi Zahen Mein Bohath Hi
Hairath-Angez Khayal Ubal Rahe The….
Imran Fayaz Ko Sadak Se Hi Dekh Kar Sharab-
Khane Se Uth Gaya Tha, Lekin Iss Waqt Use
Fayaz Ka Aana Mahenga Padha
Imran Ne Sadal Par Aa Kar Fayaz Ko Ishara
Kiya Ki Wo Aage Badh Jaye
Lekin
Fayaz Ishara Na Samajh Kar Usi Ki Taraf
Badhta Raha….
Nateeja Yeh Hua Ki Imran Dusri Taraf Mudh
Kar Badhi Tezi Se Chalta Hua Ek Gali Mein
Chala Gaya….
Baherhaal
Baat Uss Waqt Fayaz Ki Samajh Mein Ayi Jab
Imran Nazro Se Ghayab Ho Gaya
Ab Fayaz Bhi Dheere-Dheere Usi Gali Ki
Taraf Badh Raha Tha Aur Gali Mein Daakhil
Ho Kar Usne Apni Raftaar Tez Ki
Magar
Imran Ka Kahi Pata Na Tha
Fayaz Gali Se Nikal Kar Dusri Sadak Par Aa
Gaya….
Lekin….
Ab….Ab….Bhi
Imran Kahi Nahi Dikha
Fayaz Ko Lag-Bhag Ek Ya Dedh Minute Tak
Wahi Khade Rahe Kar Sonchna Padha Ki Ab Use
Kya Karna Chahiye
Achanak
Use Ek Restro Ki Khidki Mein Imran Ka
Chehra Dikh Gaya….
Fayaz Ne Tezi Se Sadak Paar Ki Aur Restro
Mein Daakhil Ho Gaya
Kya Musibath Aa Gayi Hai….! Imran Ne
Jhallayi Hui Awaaz Mein Kaha….Uski
Jhallahath Ka Pradarshan Bhi Bohath Hi
Mazaqiya Maalum Ho Raha Tha
Tum Baitho To….Yaqeenan Tum Iss Maamle Mein
Dilchaspi Loge.! Fayaz Ne Uske Khaande Par
Haath Rakh Kar Kaha
Kya Hai Jaldi Se Bako….Aur Kuch Dino Ke
Liye Mera Picha Chhod Do
Wo Ladki Raziya Ab Ek Nayi Kahani Suna Rahi
Hai….Fayaz Ne Kaha, Magar Tum Itne Ukhde-
Ukhde Se Kyun Ho.?
Fikr Mat Karo….! Main Kulfi Ki Tarah Jamm
Gaya Hu….Tumhari Aankhon Ka Suroor
Hai….Imran Ghadi Ki Taraf Dekhta Hua Bola,
Main Tumhe Sirf 15 Minute De Sakta Hu
Tab Tum Jahunnum Mein Jao….Mujhe Kuch Nahi
Kehna
Nahi.! Tumhe Bohath Kuch Kehna Hai….Tumhe
Yeh Batana Hai Ki Irshad Apne Ladko Se
Khafa Tha Aur Tumhe Uss Tasveer Ke Baare
Mein Batana Hai Jo Irshad Ne Bete Naushad
Se Milti-Jhulti Hai….Fir Tum Mujhe Insani
Haddiyon Ke Ek Dhaanche Ke Baare Mein
Bataoge….!
Oh….To Raziya Pahle Hi Bata Chuki
Hai….Fayaz Ne Mayusi Se Kaha
Nahi Usne Mujhe Kuch Nahi Bataya….
Tum Aur Kya Jaante Ho.? Fayaz Ne Pucha
Zaahir Hai Main Itna Hi Jaanta Hu Jitna
Mujhe Raziya Ne Bataya Hoga…. Imran Ne Kade
Andaaz Mein Kaha Kuch Pal Khamosh Raha Fir
Bola.! Lekin Raziya Ko Iska Kya Pata Ki
Tumne Haddiyon Ke Uss Dhaanche Ko Tahe-Qane
Se Nikalwa Liya Hai
Acha Fir.! Fayaz Apne Hontho Par Zubaan Fer
Kar Bola
Aur Haddiyon Ke Uss Dhaanche Ko Dekh Kar
Tuumhe Badi Mayusi Hui….Kyun Ki Wo Haddiyan
Hargiz Nahi Thi
Albatta
Tum Dil Se Uss Kaarigari Ki Qayal Zaroor
Ho….Ladki Ka Pinjra Bana Kar Uss Par Safed
Polish Karna Aasaan Kaam Nahi Hai….Kaafi
Mehnath Ki Gayi Hogi….Kyun Kya Khayal Hai
Tumhe Yeh Sab Kaise Maalum Hua.?
Nihayath Aasaani Se Jin Logon Ne Tahe-Qane
Mein Jane Ka Raasta Banaya Tha….
Bilkul Ghalath Unme Se Koi Bhi Nahi Bata
Sakta Wo Sab Mere Department Ke Aadmi Hai.!
Fayaz Ne Kaha
Aur Tumhare Department Mein Sab Farishte
Hai Unhe Na To Sharab Se Dilchaspi Ho Sakti
Hai Aur Na Aurat Se Meri Secretary Rushi Ko
Tum Kya Samajhte Ho.! Super Fayaz….! Usne
Tumhare Ek Aadmi Se Sab Kuch Maalum Kar
Liya Hai….Haaa-Haaaa….Hip
Fayaz Kuch Na Bola Lekin Wo Imran Ko Bara-
Bar Ghoore Jaa Raha Tha
Ab Raha Uss Tasveer Ka Maamla….To Uske
Baare Mein Tum Mujhe Bataoge.! Imran Ne
Kaha Fir Ghadi Ki Taraf Dekh Kar Bola Sirf
5 Minute Aur Baaqi Hai
Main Ghoonsa Maar Dunga.! Fayaz Jhunjhula
Gaya
Magar 5 Minute Ke Andar-Andar….Imran Ne
Sanjheedgi Se Kaha
Fayaz Kuch Kahe Ba-Ghair Uth Gaya….Use
Umeed Thi Ki Shayad Imran Use Rokega….
Lekin Wo Waise Hi Baitha Raha Fayaz
Darwaaze Tak Ja Kar Fir Palat Aya
Main Ab Sirf Yeh Kehna Chahta Hu Ki Agar
Tumne Iss Case Mein Dakhal-Andaazi Ki To
Acha Na Hoga.! Fayaz Ne Kaha
Lanath Bejhta Hu Tumhare Case-Wase Par
Imran Bura Sa Muh Bana Kar Bola Mujhe
Taimur And Bortle Ki Firm Mein Naukri Mil
Gayi Hai
Fayaz Achanak Chaunk Padha….
Naukri Mil Gayi Hai.? Usne Hairani Se
Dohraya
Aur Kya Ek-Na-Ek Din Aql Aa Hi Jati
Hai….Maheene Mein 5 Hazaar Rupiye
Milenge….Bohath Hai, Aur Kya….
Fayaz Fir Baith Gaya….!
Haa, To Main Yeh Kahe Raha Tha.! Fayaz Ne
Gramaphone Ki Tarah Bol Na Shuru Kar Diya.!
Naushad Ko Jab Yeh Bataya Gaya Ki Wo Uske
Baap Ke Kisi Chacha Ki Tasveer Hai To Wo
Be-Tahasha Hasne Laga Fir Usne Bataya Ki
Haqeeqat Mein Usi Ki Tasveer Hai, Jo Usne
Purane Kapde Mein Ek Chitr-Kaar Se Banwayi
Thi Usne Chitr-Kaar Ka Naam Aur Pata
Bataya….Aur Chitr-Kaar Ne Bhi Uske Bayaan
Ki Tasdeeq Kar Di
Tasveer Kab Banwayi Gayi Thi.? Imran Ne
Pucha
Aaj Se 10 Saal Pahle
Fir Ab Tumhara Kya Khayal Hai.? Imran Ne
Pucha
Zaahir Hai Aise Haalaath Mein Yeh Nahi
Samajha Jaa Sakta Ki Irshad Ko Koi Haadsa
Pesh Aya Ho….!
Aur Kuch….? Yeh To Badi Moti Si Baat Thi
Imran Ne Kaha, Haalath Ke Madde-Nazar
Rakhte Kar Koi Be-Padha Likha Constable Bhi
Yehi Kahe Sakta Hai….Magar Tum Department
Of Investigation Ke Supritendent Ho
Tum Kya Kehna Chahte Ho.? Fayaz Ne Pucha
Mujhe Alag Hi Rakho To Behtar Hai….Varna
Tum Khud Hi Kahe Chuke Ho Ki Acha Na Hoga
Fayaz Kuch Na Bola Fir Thodi Der Baad Kahne
Laga Maamla Bohath Hi Tedha Hai….Agar Wo
Pinjar Lakdi Ka Na Saabit Hua Hota To Kaha
Jaa Sakta Tha Ki Wo Apne Ladke Naushad Ko
Fasana Chahta Hai
Bandel….!
Kya Matlab….Fayaz Use Ghoorne Laga
Kuch Nahi Main Dusri Baat Sonchne Laga
Tha….
Magar Haa….Tum….! Iss Maamle Ko Chipa Kyun
Rahe Ho….? Mera Khayal Hai Ki Yeh Pura Case
Akhbaaron Mein Aa Jana Chahiye Aur Khoob
Fayaz Meri Jaan Behathren Mauqa Hai Wo
Daily Mail Ki Reporter Hai Na….Miss
Mona….Tum Ek Baar Uss Par Mar Mite The….Fir
Baad Mein Kya Hua Tha….
Khair, Baherhaal….
Tum Use Phone Kar Ke Apne Paas Bulao….
Aur
Sirf Uske Akhbaar Ke Liye Ek Report Muhaiya
Kara Do….
Haaye….Wo Bhi Tum Par Mar Mitegi
Main Filhaal Iski Publicity Nahi Chahta.!
Fayaz Ne Kaha
Achi Baat Hai To Fir Main Hi Miss Mona Ko
Mar Mitne Ka Chance Dunga
Tum Aisa Nahi Karoge.! Fayaz Ne Kadak Awaaz
Mein Kaha
Ama, Lanath Hai Uss Par….LAHOL WILA
QUWWATH.! Mujhe Kya Main To Taimur And
Bortle….
Taimur And Bortle Wali Baat Bhi Tumhe
Batani Padhegi Imran Ki Baat Bich Hi Mein
Kaat Kar Fayaz Bola
Bata Do Diya Ki Mujhe Wahan Naukri Mil Gayi
Hai
Khair….Parwaah Nahi.! Fayaz Ne Laparwaahi
Zaahir Karne Ki Koshish Karte Hue Kaha,
Main Tumhe Kaamyaab Nahi Hone Dunga….!
15 Minute Pure Ho Gaye Imran Use Ghadi
Dikhata Hua Bola Lekin 1 Minute Aur De Kar
Main Yeh Zaroor Kahunga Ki Tum Case Ki
Publicity Kiye Ba-Ghair Kaamyaab Na Ho
Sakte
Lekin
Iss Silsile Mein Uss Saanp Ka Zikr Karna
Nahi Bhoologe Jo Raziya Ke Bag Se Baramad
Hua Tha
Aur
Raziya Taimur And Bortle Ke Showroom Se
Nikal Kar Seedhe Irshad Manzil Gayi Thi
Fayaz Kuch Sonchne Laga Aakhir Usne Thodi
Der Baad Sar Hila Kar Kaha, Ab Main Bhi
Yahi Sonch Raha Hu Ki Inn Waqiyaath Ki
Publicity Zaroor Honi Chahiye Aakhir Isse
Irshad Ka Maqsadh Kya Tha
Good, Tum Bohath Ache Bachche Ho
Bas
Ab Tum Jao….
Lekin
Tum Raziya Ke Bag Wale Saanp Ke Baare Mein
Taimur Se Zaroor Puch-Gaach Karoge
Kya Faida Hoga.?
Bohath Faida Hoga….Yeh Nuqsa Kamar Dard Ke
Liye Bohath Acha Hai….
Fir Utar Aye Bakwaas Par
Parwaah Na Karo….Haa, Sab Se Zyada Zaroori
Baat To Rahe Hi Gayi….
Akhbaaron Mein Iss Case Ke Chapne Ke Baad
Hi Tum Taimur Se Puch-Gaach Karoge….Isse
Pahle Nahi
Yaar Imran….Kyun Bore Kar Rahe Ho Aakhir
Isse Kya Hoga.?
Dilivery Aasaani Se Ho Jayegi
Khuda Samjhe Tumse
Arey Haa….!
Taimur And Bortle Ke Daftar Mein Mujh Se
Milne Ki Koshish Kabhi Na Karna Samjhe Bas
Ab Jao….Main Duty Par Jaa Raha Hu, Lunch
Time Khatm Hone Mein Sirf 10 Minute Baaqi
Hai
Fayaz Ke Uthne Se Pahle Imran Hi Uth Kar
Bahar Chala Gaya
Typist Ladki Julia Use Bohath Ghaur Se Dekh
Rahi Thi Wo Kaagzaath Par Jhuka Hua Bure-
Bure Muh Bana Raha Tha Aur Aisa Maalum Ho
Raha Tha Jaise Wo Khud Ko Iss Chote Se
Partition Mein Akela Mehsoos Kar Raha Ho
Iss Partition Mein Sirf Do Meze Thi….
Ek Par Typist Ladki Julia Baithti Thi
Aur
Dusri Mez Assistant Accontant Ki Thi….
Budha Assistant Accountant Chaar Pahle Do
Maah Ki Chutti Par Chala Gaya Tha….
Pahle Din Julia Use Dekh Kar Bohath Khush
Hui….Usne Soncha Tha Ki Kam-Se-Kam Do Maah
Ki Boriyath Se Dur Rahegi….
Puran Accountant Bohath Nakchada Tha Aur
Julia Use Pasand Nahi Karti Thi….
Magar
Yeh Naya Accountant Uss Accountant Se Bhi
Zyada Bore Saabit Hua
Wo Saara Din Sar Jhukaye Hisaab-Kitaab Mein
Duba Rehta….
Aur
Iss Partition Mein Type-Writer Ki Kat-Pat
Ke Alawa Aur Koi Awaaz Nahi Sunayi Deti
Purane Accountant Ki Bakwaas Julia Ko
Mahengi Padhti Thi….
Aur
Ab Naye Accountant Ki Hadh Se Badhi Hui
Khamoshi Use Khalne Lagi
Kabhi Wo Use Zaheni Taur Par Bohath Uncha
Aadmi Maalum Hone Lagta….
Aur
Kabhi Bilkul Buddhu….
Wo Use Zyadatar Type-Writer Par Haath Rok
Kar Use Ghaur Se Dekhne Lagti
Iss Waqt Bhi Wo Kaam Bandh Kar Ke Hole-Hole
Apni Ungliyaan Daba Rahi Thi….
Aur
Uski Nazre Accountant Hi Par Thi….
Jo Kaagzaath Par Sar Jhukaye Ungh Raha
Tha….Aksar Wo Chaunk Kar Iss Tarah Aankhein
Faadne Lagta Jaise Neend Ko Bhagaane Ki
Koshish Kar Raha Ho Dekhte Hi Dekhte Usne
Apne Gaal Mein Bohath Zor Se Chutki Li….Aur
Siiii Kar Ke Muh Bisoorne Laga
Julia Ko Ek-Dam Se Hasi Aa Gayi Uska Qahe-
Qaha Sunn Kar
Accountant Chaunk Padha Aur Fir Uske Chahre
Se Kuch Iss Tarah Ki Lajja Bhari Badh-
Hawaasi Jhalakne Lagi Jaise Kisi Ne Bich
Sadak Par Use Chaanta Laga Diya Ho
Wo….Wo Dekhiye….Wo Haklaya Mujhe Darasal
Neend Aa Rahi Thi….aur Main Neend Bhagaane
Le Liye Karta Hu
Mera To Khayal Tha Ki Aap Ko Kabhi Neend Hi
Na Aati Hogi.! Julia Ne Kaha
Kyun….Wo….Aati Kyun Nahi
Lekin Khwaab Mein Aap Ko Gintiyan-Hi-
Gintiyan Dikhti Hongi
Jee Haa Aur Aaj-Kal Type-Writer Ki Kat-Pat
Bhi Sunayi Deti Hai Accountant Ne Rukhi
Awaaz Mein Kaha
Aap Isse Pahle Kahan Kaam Karte The
Isse Pahle Main Kisi Kaam Ka Nahi Tha
Aap Ke Dost To Bohath Honge.! Julia Bekaar
Mein Use Baato Mein Uljhana Chahti Thi
Nahi, Ek Bhi Nahi Hai.! Accountant Badi
Masoomiyath Se Kaha, Baat Yeh Hai Ki Miss
Nilia
Julia Usne Naam Ko Thik Kar Ke Bataya
“I Am Sorry”…. Miss Julia….Baat Yeh Hai Kli
Mujhe Dosti Karte Hue Badi Sharm Aati Hai….
Sharm….Main Aap Ka Matlab Nahi Samjhi….
Sharm….Darasal….Use Kahte Hai….Jo Aa Jati
Hai….Aati Hai….Yaani Ki Sharm….Aap Sharm
Nahi Samajhti
Maine Sharm Ki Wajah Puchi Thi….?
Bohath Si Wajah Ho Sakti Hai.! Jee Haa….!
Accountant Ke Chahre Par Uss Waqt Na Jane
Kaha Ki Bewaqoofi Foot Padhi Thi….
Julia Ne Soncha, Chalo Isi Tarah Waqt
Katega Bewaqoof Aadmi Bhi Dilchaspi Ka
Samaan Hote Hai
Aap Ke Kitne Bachche Hai.? Julia Ne Pucha
Mujhe Mila Kar 7….!
Aap Ko Mila Kar Kyun….?
Jee Haa, Agar Aap Na Milana Chahe To Koi
Burayi Nahi….Fir Bhi 6 Bachte Hai
Baat Yeh Hai Miss
Moliya….Arrrr….Shayad….Main Ghalath Naam Le
Raha Hu….Khair Jo Kuch Bhi Aap Ka Naam Ho,
Matlab Yeh Hai Ki….Haa To Main Abhi Kya
Kahe Raha Tha
Mujhe Hairath Hai Ki Aap Doston Ke Ba-Ghair
Kaise Zinda Hai
Main Zinda Kab Hu.! Accountant Ne Mayoosi
Se Kaha
Yaqeenan Aap Ke Dil Par Gehri Chont Lagi
Hai.! Julia Ne Afsos Jataya
Oho….! Jee Haa….Aap Ko Kaise Maalum Hua….?
Kamaal Hai Kya Aap Dil Ki Baat Jaan Leti
Hai.?
Jee Haa Pichle Saal Lagi Thi….Badi
Pareshani Uthayi….Teen-Chaar X-Ray Liye
Gaye….
Lekin
Alag-Alag Docter Kisi Ek Baat Par Raye
Khayam Na Kar Sake….Aakhir
Badi Koshisho Ke Baad Maalum Hua Ki Ghutne
Ki Haddi Apni Jagah Se Khisak Gayi Hai….
Urdu Mein Kahawath Hai Miss Julia Ki
“Maaru Ghutna Fute Aankh”
Magar….
Ab Main Maaru Aankh Fute Ghutna Ka Kayal Ho
Gaya Hu….
Main Kuch Samajh Nahi Saki.! Julia Boli
Yaani Aap Iska Ek Bata Chaar Bhi Nahi
Samjhi….Oh Muaaf Ki Jiye, Mera Matlab Yeh
Tha Ki Aap Kuch Bhi Nahi Samjhi
Aap Har Waqt Gintiyon Se Khelte Rahte Hai.!
Julia Muskurayi
Yeh Meri Badh-Naseebi Hai Miss….Kya Naam
Hai….Julia….Main Apni Adath Se Majboor Hu
Mujhe Arithmetic Se Ishq Hai….
Lekin Mujhe Arithmetic Se Nafrath Hai….!
Julia Ne Kaha
Apna-Apna Muqaddar Hai….Kam-Az-Kam Aap Ki
Shaadi To Ho Jayegi
Kyun Shaadi Aur Arithmetic Se Kya Taaluq….?
Bohath Gehra Taaluq Hai….Miss Julia.!
Accountant Ne Ek Lambi Saans Li
Main Nahi Samajh Sakti
Har Ek Nahi Samajh Sakta Miss Julia….
Aap Samjhaiye Bhi To….Mere Liye Yeh Baat
Bilkul Nayi Hogi Aur Main Apni Jaankari
Mein Iss Izafe Ke Liye Humesha Aap Ki
Ehsaanmand Rahungi
Acha To Samajhne Ki Koshish Ki Jiye
Angrezi Mein Biwi Ko Better-Half Yani Aadha
Behtar Kahte Hai Yani Ek Bata Do Behtar….
Yehi Baat Maine Apne Hone Wali Biwi Ke Baap
Se Kahe Di Thi Wo Pata Nahi Kyun Bigadh
Gaye
Maine Kaha Aap Apni Biwi Se Aadha Badhtar
Hai Yani Ek Bata Do….
Shayad
Aap Samajh Gayi Hongi Miss Julia Yeh Shaadi
Na Ho Saki….Aur Shayad Kabhi Na Ho Sake
Accountant Ki Aankhon Se Aansu Bahne Lage….
Julia Kuch Na Boli Uski Samajh Mein Nahi Aa
Raha Tha Ki Wo Humdardi Ke Kuch Alfaaz Kahe
Ya Zor-Zor Se Hasna Shuru Kar De
Accountant Ungliyon Se Mez Par Tabla Bajane
Laga Lekin Aansu Bara-Bar Bahte Rahe Aisa
Lag Raha Tha Jaise Use Unn Aansuon Ka iLm
Hi Na Ho
Tariq Taimur Ke Daftar Mein Daakhil Hua
Taimur Wahan Akela Hi Tha Tariq Ko Be-
Dhadak Andar Ghuste Dekh Kar Uske Chahre
Par Narazgi Dikhne Lagi
Tum Ijazath Liye Ba-Ghair Yahan Kyun Aye.?
Taimur Use Ghoor Kar Bola
Oh.! Muaaf Ki Jiye Janab Tariq Ne Muskura
Kar Kaha, Main Samjha Tha Shayad Ab Iski
Zaroorath Baaqi Na Rahi Hogi
Baith Jao Taimur Ne Kursi Ki Taraf Ishara
Kiya
Tariq Baith Gaya Taimur Use Kuch Pal
Ghoorta Raha Fir Bola Tum Mujhe Blackmail
Nahi Kar Sakte, Samjhe
Jee Haa Main Samajh Gaya Blackmail Karna
Chichore Aadmiyon Ka Kaam Hai….
Aap Ne Shayad Unn Logon Ka Anjaam Sunn Liya
Hoga, Jo Pichli Shaam Mera Picha Kar Rahe
The….
Blackmailer Aam Taur Par Buzdil Hote
Hai….Dhamki Ka Naam Blackmailing Hai….
Aur Dhamki Wahi Deta Hai Jo Kamzor Ho Main
Kamzor Nahi Hu Mister Taimur….Main Cheen
Kar Khane Ka Aadhi Hu….
Abhi Bachche Ho….Bachpan Ke Hawai Qilon Ki
Koi Ehmiyath Nahi Hoti….
To Aap Raazi Nahi Hai
Nahi….! Taimur Mez Ki Daraaz Khol Kar Usme
Kuch Talaash Karta Hua Bola
Ab Firm Ko Tumhari Zaroorath Nahi Hai….Yeh
Lo….Yeh Raha Notice.!
Tariq Ne Uss Kagaz Ki Taraf Dekhne Ki
Zehamth Bhi Gawara Nahi Ki, Jo Taimur Ne
Mez Ki Daraaz Se Nikaal Kar Uske Saamne
Rakha Tha….
Lekin
X-539 Tariq Dheere Se Badh-Badhaya Iss Waqt
Mere Kabze Mein Hai
Tum Jhoote Ho Tumhe Uski Hawa Bhi Nahi Lagi
Yeh Tumhara Khachcha Khayal Hai Mister
Taimur….!
Get-Out….!
Bohath Khoob Shukriya Lekin Mera Saath
Tamaam Shikaari Denge Mera Alag Hona Unka
Bhi Alag Hona Hoga….Samjhe Aap….
Taimur Ne Chaprasi Ko Bulane Ke Liye Ghanti
Bajayi
Main Jaa Raha Hu Mister Taimur, Uski
Zaroorath Nahi Padhegi….Lekin Aaj Shaam Tak
Aap Apne Nuqsaan Ke Baare Mein Jaan Jayenge
Tariq Bahar Nikal Aya….
Kuch Clerkon Ne Use Dekh Kar Sar Hilaya….
Aur
Wo Unn Sab Ko Chedhta Hua Aage Badh Gaya
Fir
Wo Uss Partition Ke Saamne Ruka Jahan
Typist Girl Julia Aur Assistant Accountant
Baithte The….
Hello Tariq….! Julia Ne Use Dekh Kar Awaaz
Di
How Do You Do….Juli
OK….Ol Boy….Come In….Come In
Tariq Partition Mein Daakhil Ho Kar
Darwaaze Ke Khareeb Hi Thithak Gaya
Aap Ki Tareef.? Usne Naye Accountant Ki
Taraf Ishara Kar Ke Pucha
Humare Naye Accountant….! Julia Ne Jawaab
Diya
Naye Accountant Ka Chehra Sharm Se Laal Ho
Gaya Aur Wo Nazre Jhuka Kar Ungli Se Mez
Khatkaane Laga
Julia Ne Ishare Se Tariq Ko Bataya Ki Wo
Bilkul Buddhu Hai
Kaho Dost, Kya Naam Hai Tumhara….? Tariq Ne
Uske Sar Par Haath Fer Kar Kaha….
Aur
Julia Muh Daba Kar Hasne Lagi
Accountant Uska Haath Jhatak Kar Aur Zyada
Sharma Gaya
Julia BE-Tahaasha Jasne Lagi….
Lekin
Tariq Use Sanjheedgi Se Ghoorta Raha….Aisa
Lag Raha Tha Jaise Wo Koi Bohath Hi Ahem
Baat Sonchne Laga Ho
Yeh Bohath Zaroori Hai Usne Dheere Se Kaha,
Ki Yahan Baithne Wala Har Accountant Mere
Gahre Doston Mein Se Ho….
Accountant Hairath Se Uski Taraf Dekhne
Laga….
Tariq Kursi Khinch Kar Baithne Hi Wala Tha
Ki Do Pathaan Chaukidaar Cabin Mein Daakhil
Hue
Daftar Se Nikal Jao….Ek Ne Aage Badh Kar
Tariq Ka Haath Pakadte Hue Kaha
Tariq Ki Khunkhaar Aankhein Uski Taraf Uthi
Aur Wo Uska Haath Chhod Kar Alag Hatt Gaya
Jao….! Wo Darwaaze Ki Taraf Haath Utha Kar
Cheekha Taimur Se Kahe Dena Ki Yeh
Battameezi Use Bohath Mahengi Padhegi
Aur
Fir Wo Unn Dono Ko Ek Taraf Dhakelta
Hua….Bahar Nikal Gaya….
Accountant Aur Julia Hairath Se Aakhein
Faade Chup-Chaap Baithe Rahe….!
Dono Pathaan Bhi Hontho-Hi-Hontho Mein Kuch
Badh-Badhate Hue Bahar Jaa Chuke The
Fir
Accountant Uth Bahar Jhaankne Laga….
Pure Daftar Mein Makkhiyon Si Bhanbhanahath
Gunj Rahi Thi….
Wo Julia Ki Taraf Mudha….Jo Apne Sukhe
Hontho Par Zubaan Fer Rahi Thi
Yeh Kaun Sahab The….? Accountant Ne Julia
Se Pucha
Tariq….Ek Shikaari Hai….
Bohath Ghusse Mein Maalum Hote The
Haa, Wo Bohath Teekhe Mizaaz Wala Aur
Bohath Hi Khatarnaak Aadmi Hai
“Khatarnaak”….! Arey Baap Re….! Accountant
Bewaqoofo Ki Tarah Palke Jhapkane Laga
Pata Nahi Kya Baat Hai….Mister Taimur Ko
Kyun Gaaliya De Raha Tha
Mister Taimur Ko Gaaliya….! Accountant Ne
Baukhla Kar Kaha Fir Bheench Kar Kuch
Sonchte Rahne Ke Baad Dheere Se Bola
Maine Nahi Suna….Varna Uska Sar Todh Deta
Mister Taimur To Bohath Ache Aadmi Hai
Aap Uska Sar Todh Dete.? Julia Hasne Lagi
Kyun, Kya Main Usse Kamzor Hu….?
Oh….! Unn Pathaano Ki Halath Dekhi Thi Aap
Ne….? Kaanp Kar Rahe Gaye The
Rahe Gaye Honge….!
Main Nahi Samajh Sakti Ki Kya Baat Hui
Hai.! Julia Ne Afsos Karte Hue Kaha
Main Use Zaroor Pitunga Kya Aap Mujhe Uske
Ghar Ka Pata Batayengi.?
Julia Fir Hasne Lagi
Tabhi Accountant Bigadh Gaya
Aap Mera Mazaaq Udha Rahi Hai
Julia Uski Baat Ka Jawaab Diye Ba-Ghair
Partition Se Nikal Gayi….Shayad Wo Uss
Waqiye Ki Wajah Maalum Karna Chahti Thi
Accountant Bhi Parda Hata Kar Darwaaze Par
Khada Ho Gaya
Saare Clerk Ek Dusre Se Khusar-Fusar Kar
Rahe The Manager Ki Kursi Khaali Thi….
Accountant Ki Nazar Taimur Ke Kamre Ki
Taraf Uth Gayi….Wo Kuch Pal Kuch Sonchta
Raha
Fir
Usne Apni Patloon Ki Jebein Tatoli Aur
Lambe-Lambe Khadam Rakhta Hua Bathroom Ki
Taraf Chala Gaya
Bathroom Taimur Ke Kamre Ke Piche Tha Aur
Dono Ke Bich Mein Sirf Ek Deewar Thi
Usne Bathroom Ka Darwaaza Andar Se Bandh
Kar Ke Sheeshon Par Kaala Parda Kheench
Diya
Fir
Patloon Ki Jeb Se Ek Choti Si Kaale Rang Ki
Dibiya Nikaali Jisse Ek Patla Sa Taar Juda
Hua Tha
Dekhte-Hi-Dekhte Usne Wo Taar Uss Taar Se
Jodh Diya, Jo Ek Chote Se Roshandaan Se
Niche Latak Raha Tha
Wo Taar Aisa Maalum Ho Raha Tha Jaise Makdi
Ke Jaale Mein Koi Halka Sa Tinka Fas Gaya
Ho
Kaale Rang Ki Dibiya Usne Apne Dahine Kaan
Se Laga Li….
Dibiya Darasal Ek Chota Sa Magar Taqathwar
Detective Phone Ka Reciever Thi
Dusri Taraf Taimur Iss Baat Se Bilkul Be-
Khabar Tha Ki Uske Kamre Mein Kahi Par Ek
Detective Phone Chupa Hai
Aur
Uss Waqt Uski Saari Baate Bathroom Mein
Suni Jaa Rahi Hai Wo Apne Manager Kahe Raha
Tha
Uss Launde Ka Intezaam Zaroori Hai Varna
Sab Barbaad Ho Jayega Yeh Chaaro Buri Tarah
Zakhmi Hai Gaadi Company Ki Thi
Isliye Police Ka Idhar Dhyaan Dena Zaroori
Hai….Dusri Musibath
Aaj Ka Akhbaar To Tumne Padha Hi Hoga
Irshad Ki Kahani Ke Baare Mein Kya Khayal
Hai
Wo Meri Samajh Mein To Nahi Ayi.! Manager
Bola
Iss Baat Par Bohath Zyada Zor Diya Gaya Hai
Ki Wo Ladki Jiske Vanity-Bag Se Saanp Nikla
Tha, Humare Showroom Se Nikla Kar Seedhe
Irshad Manzil Gayi Thi
Iska Yeh Matlab Hua Ki Police Iss Maamle
Mein Hume Gherne Ki Koshish Karegi
Iss Tarah Do Alag-Alag Maamlo Mein Hume
Police Ka Saamna Karna Padhega….
Khair,Baherhaal….
Lekin
Yeh To Dekho Ki Tariq Kya Kar Raha
Hai….Mera Daava Hai Ki Ladki Ke Bag Mein
Usi Ne Saanp Rakha Hoga
Aise Haalaath Paida Kar Ke Wo Mujhe
Blackmail Karna Chahta Hai
Lekin Irshad….!
“Irshad”.! Taimur Ek Lambi Saans Le Kar
Bola, Haa Uska Maamla Bhi Ghaur Karne Wala
Hai
Kya Yeh Bhi Tariq Hi Ki Shararath Ho Sakti
Hai.?
Kuch Kaha Nahi Jaa Sakta Yeh Maamla Bohath
Pechida Hai Filhaal Use Rahne Do Main Tariq
Ke Liye Koi Acha Intezaam Karna Chahta Hu
Mujhe Sirf Teen Din Ka Time Di Jiye Inn
Teen Dino Mein Kuch-Na-Kuch Zaroor Ho
Jayega
Magar
Aap Ko Thoda Sabr Se Kaam Lena Chahiye Tha
Aap Jaante Hai Wo Sher Ki Tarah Nidarr Aur
Lomdi Ki Tarah Chalaak Hai
Hoga.! Ab To Jo Kuch Hona Tha Ho Chuka Uske
Liye Kuch Kehna Hi Bekaar Hai
Kuch Der Tak Khamoshi Rahi
Fir
Taimur Ne Kaha, Usne Dhamki Di Hai Ki Uske
Saath Hi Dusre Shikaari Bhi Firm Se Naata
Todh Lenge
Isliye
Tumhe Sab Se Pahle Yeh Maalum Karna Chahiye
Ki Saare Shikaari Camp Mein Maujood Hai Ya
Kuch Chale Bhi Gaye
Andhera Fael Chuka Tha….Tariq Café Grand
Hotel Se Nikal Kar Apni Motorcycle Par
Baitha Hi Tha Ki Kisi Ne Uske Khaande Par
Haath Rakha
Tariq Chaunk Kar Mudha….Aur Use Yeh Dekh
Kar Hairath Hui Ki Uske Khaande Par Haath
Rakhne Wala….
Taimur And Bortle Ka Naya Accountant Tha
Hum Kahi Itminaan Se Baith Kar Baat-Cheet
Karna Chahte Hai.! Accountant Ne Kaha
Koi Khaas Baat Hai.? Tariq Ne Pucha
Zindagi Aur Maut Ka Maamla Hai.! Accountant
Sanjheedgi Se Sar Hila Kar Kaha
Aao….To….Fir.! Tariq Motorcycle Ki Seat Se
Hat Ta Hua Bola
Usne Motorcycle Ka Stand Dobara Gira Diya
Aur
Accountant Ka Haath Pakde Hue Hotel Mein
Jaa Kar Use Ek Cabin Mein Le Aya
Baith Jao Usne Ek Kursi Ki Taraf Ishara
Kiya
Accountant Ne Baithe Hue Ek Lambi Saans
Li….
Kyun….Kya Baat Hai….?
Tum Mujh Se Wo Ladki Ko Nahi Cheen Sakte.!
Accountant Ubal Padha….Hargiz Nahi….Kabhi
Nahi….Maine Sirf Usi Ke Liye Wahan Naukri
Ki Hai Saalo-Saal Use Cheep-Cheep Kar
Dekhta Raha Hu….Hargiz Nahi….!
Main Nahi Samjha Ki Tum Kya Kahe Rahe Ho….?
Wo Tumhe Pasand Nahi Karti Hai….Accountant
Bakta Raha Tumhari Bahaduri Ki Qayal Hai
Lekin
Main Iska Faisla Karna Chahta Hu Ki Hum
Dono Mein Se Kaun Zyada Taqathwar Hai
Main Samjha Shayad Tum Julia Ke Baare Mein
Kahe Rahe Ho.! Tariq Hasne Laga
Kya Tumhe Bhi Usse Mohabbath Hai.?
Accountant Ne Dardnaak Awaaz Mein Pucha
Tum Ghaans Kha Gaye Ho Kya….? Tariq Fir Has
Padha….
Ghaans….? Nahi To….Mujhe Aisa Sher Yaad
Nahi Aata Jisme Aashiq Ne Mohabbath Mein
Ghaans Khayi Ho….Tum Mujhe Dhoka Nahi De
Sakte….Ha….
Acha Maan Lo….Agar Main Usse Mohabbath
Karta Hu To Tum Mera Kya Karoge.?
To Main Bilkul Khamosh Ho Jaunga Aur Tum
Aap Se Aap Mere Raaste Se Hat Jaoge
“Yani”….!
Main Kya Batau….Nahi Batata….Bata Du Taaki
Tum Hoshiyaar Ho Jao….
Aur
Mera Kaam Bigadh Jaye, Jab Tum Hi Na Rahoge
To Fir Julia Kise Chahegi Kiski Taqath Ki
Tareef Karegi
Haaaaaa Haaaaaaa…….Kya Baat Bani Hai Main
Duniya Sab Se Aqlmand Aadmi Hu….Waah
Tum Kya Kahe Rahe Ho Dost….? Tariq Aage
Jhuk Kar Uski Aankhon Mein Dekhta Hua
Dheere Se Bola….
Accountant Uss Waqt Ek-Dam Beaqoof Lag Raha
Tha
Main Kuch Nahi Kahe Raha Koi Baat Nahi
Hai….Mujhe Dekhna Hai Ki Tum Usse Kitne
Dino Tak Mohabbath Karte Ho
Mujhe Usme Bilkul Dilchaspi Nahi Tumhe
Ghalath-Fehmi Hui Hai
Oh….Waqai….! Accountant Khushi Se Cheekha
Yaqeen Karo.! Tariq Use Ghaur Se Dekhta Hua
Bola
Acha To Aaj Ki Raat Tumhare Liye Bohath Hi
Khatarnaak Hai….Tum Maar Daale Jaoge
Tumhe Kaise Maalum Hua.?
Bas, Kisi Tarah Maalum Ho Gaya Hai Maine
Taimur Sahab Aur Unke Manager Ki Baat-Chet
Kisi Tarah Sunli Thi….
Tumhare Piche Bohath Se Aadmi Lage Hue
Hai….Manager Ne Taimur Sahab Ko Bataya Tha
Ki Tum Kayi Dino Se Camp Mein Sone Ke
Bajaye Jungle Ke Ek Gupt Sthaan Par Sote
Ho….
Manager Ko Uss Jagah Ka Pata Chal Gaya
Hai….
Aur
Aaj Raat….Tum….Thik….Haa….
Tariq Kuch Pal Khamoshi Se Use Dekhta Raha
Fir Dheere Se Bola, Yeh Log Tumhe Kitni
Tankhwa De Rahe Hai
Chaar Hazaar Se Zyada….Pure Pure Paanch
Rupiye.! Accountant Ne Seena Chaudha Karte
Hue Kaha
Chaar Hazaar Rupiye….! Chhh-Chhh Tariq Ne
Afsos Zaahir Kiya
Fir Dheere Se Bola
Bhala Itni Choti Si Raqm Julia Ki Mohabbath
Ka Bhaar Kaise Sambhaal Sakegi
Wo Apni Mohabbath Ka Bhaar Sambhaal
Legi….Aur Main Apni Mohabbath Ka Bhaar
Sambhaal Lunga
Use Bhi To Achi Tankhwa Milta Hai.!
Accountant Ne Sanjheedgi Se Kaha
Tum Buddhu Ho.! Tariq Ne Muskura Kar Kaha,
Lekin Main Tumhara Bohath Gehra Dost Hu
Lo….Filhaal Ye Do Hazaar Rupiye Rakho Kal
Shaam Julia Ko Kisi Shaandar Park Mein Le
Jana….!
Nahi, Main Nahi Rakhta Kya Tum Mujhe
Bhikari Samajhte Ho.? Accountant Bura Maan
Gaya
Nahi….Baat Yeh Nahi Hai Yeh Darasal Uss
Khabar Ki Qeemath Hai Jo Tumne Mujhe Iss
Waqt Di Hai….
Aur
Aage Bhi Tumhare Liye Achi Aamdani Ki
Umeedein Maujood Hai
Yani Tum Chahte Ho Ki Main Humesha Tumhare
Liye Unn Logon Ki Khoj Mein Raha Karu
To Isme Tumhara Nuqsaan Hi Kya Hai.? Tariq
Ne Sawaal Kiya
Nuqsaan To Kuch Bhi Nahi Hai
Lekin
Agar Unhe Maalum Ho Gaya….To….!
Zyada Se Zyada Kya Hoga Ki Tum Wahan Se
Nikaal Diye Jaoge Iss Surat Mein Jab Tak
Tumhe Dusri Naukri Na Mile Mujh Se Har
Maheene Paanch Hazaar Rupiye Lete Rehna….
Chalo, Manzoor Hai
Lekin
Main Yeh Sab Sirf Julia Ke Liye Kar Raha Hu
Agar Tumhara Irada Dhoka Dene Ka Hoto….Main
Inn Rupiyon Par Laanath Bejhta Hu
Nahi Dost Tum Itminaan Rakho Waise Tumhara
Naam Kya Hai.?
Mera Naam ABDUL MANNAN Hai….Haa….!
Acha Dost Abdul Mannan….Iss Khabar Ka
Bohath Bohath Shukriya….Fir Milenge.! Tariq
Use Wahi Chhod Kar Bahar Nikal Gaya
Jungle Ki Ujaadh Raat….Shayad Ek Baje Ka
Waqt Tha….Andhera Kuch Aur Gehra Ho Gaya
Tha….
Badal Chaye Hue The Mahol Bohath Darauna
Lag Raha Tha
Dur Kahi Se Kabhi-Kabhi Siyaar Ke Huaane Ki
Awaaze Sunayi De Rahi Thi
Tariq Khatre Ki Khabar Mil Jaane Ke Ba-
Wajood Bhi Wahi Tha Jahan Usne Apni Pichli
Do Raate Guzaari Thi
Yahan Ki Zameen Bara-Bar Thi Jiske Chaaro
Taraf Ghani Jhadiyaan Thi….
Ek Jagah Pual Ka Dher Tha Aur Uss Par Ek
Kambal Bicha Hua Tha Yehi Uska Bistar Tha….
Aaj Yahan Tariq Ne Aag Bhi Jala Rakhi Thi….
Aur
Wo Apne Bistar Hi Par Maujood Tha Lekin
Soya Nahi Tha
Achanak
Usne Halki Si Sarsarahath Suni
Wo Chaunk Kar Uth Baitha Kuch Pal Usne
Awaaz Ki Taraf Kaan Lagaye Rakhe
Sarsarahath Fir Sunayi Di
Wo Dheere Se Bistar Se Jhadiyon Mein Sarak
Gaya
Dusre Hi Pal Do Aadmi Apne Haatho Mein
Bade-Bade Kulhade Pakde Hue Jhadiyon Se
Khuli Jagah Nikal Aye
Tariq Ka Bistar Khali Tha
Ek Taraf Alav Jal Raha Tha Aur Itni Roshni
Thi Ki Khareeb Ki Cheeze Aasaani Se Saaf-
Saaf Dikh Sakti Thi….
Alav Ki Laal Roshni Mein Unn Dono Ke Chahre
Kaafi Bhayanak Maalum Ho Rahe The
Achanak
Kisi Ne Piche Se Unn Dono Par Humla Kar
Diya….Unke Haatho Se Kulhade Chhut
Gaye….Aur Wo Dono Uchal Kar Bhaage
Dekhna….! Tariq Ki Awaaz Andhere Mein
Gunji….Yeh Zinda Na Jane Paaye
Koi Andhere Mein Gira….Ek Cheekh Ubhri….Aur
Fir Sannata Chha Gaya….
Kayi Dahadte Hue Khamdo Ki Awaazo Se Jungle
Gunj Raha Tha
Lag-Bhag 10 Minute Ke Baad Siti Ki Awaaz
Sannate Mein Laherayi….
Dur Se Kisi Ne Uska Jawaab Diya….Aur Fir
Sannata Chha Gaya
Naseer….Naseer….! Tariq Ki Awaaz Andhere
Mein Ubhri
Tariq….Main Hu….Jahan Ho Wahi Thahero….!
Naseer Jald Hi Tariq Ke Paas Pahunch Gaya
Kya Hua.? Tariq Ne Pucha
Yaar….Kya Batau Wo Dono Saaf Nikal Gaye
Khair Parwaah Na Karo.! Tariq Bola.! Maine
Unhe Pehchaan Liya Hai Tony Aur Mukesh The
Agar
Nikal Gaye Hai To Yeh Samajh Lo Ki Ab Hume
Unki Shaklein Kabhi Na Dikhayi Dengi….
Maine Yeh Aag Isi Liye Jalayi Thi Ki
Humlawaro Ki Shaklein Dekh Saku.! Aao Wapas
Chale
Wo Dono Fir Wahi Aa Gaye Jahan Aag Jal Rahi
Thi
Lekin
Wahan Khadam Rakhte Hi Tariq Ke Muh Se
Halki Si Cheekh Nikal Gayi….
Aur
Wo Achanak Pual Ke Dher Par Toot Padha….Wo
Dono Haatho Se Pual Utha-Utha Idhar-Udhar
Fenk Raha Tha….
Jab Saari Pual Apni Jagah Se Hat Gayi To
Uske Muh Se Ek Gandi Gaali Nikli….
Aur
Wo Bharrayi Hui Awaaz Mein Dahada Aao Chont
Ho Gayi
Kya Hua….!
Tariq Use Koi Jawaab Diye Ba-Ghair Paagalo
Ki Tarah Idhar-Udhar Daudne Laga
Naseer Bhi Usi Ke Saath-Saath Bhaagta Fir
Raha Tha
Fir Wo Dono Shikaariyon Ke Camp Tak Aye, Jo
Unki Rukne Ki Jagah Se Lag-Bhag Ek Meel Dur
Tha….
Yahan Teen Tambu The….Lekin Unn Par
Khamoshi Chayi Hui Thi
Unme Se Kisi Mein Bhi Jaagne Ke Asaar Nahi
Paaye Jate The
Aakhir Tum Kya Talaash Kar Rahe The.?
Naseer Ne Pucha
Oh….X539….Meri Saari Mehnath Barbaad Ho
Gayi.! Tariq Haanfta Hua Bola
Fir Kuch Pal Khamosh Rahne Ke Baad Usne
Kaha
Acha….Khair Dekha Jayega….Main Dekhunga Ki
Taimur Kitna Chalaak Hai….!
Imran Thik 3 Baje Raat Ko Flat Mein Dhaakil
Hua….Flat Ka Darwaaza Andar Se Bandh Nahi
Tha….Kamre Mein Roshni Thi
Aur
Department Of Investigation Ka Supritendent
Captain Fayaz Aaram-Kursi Par Padha So Raha
Tha
Imran Ne Lakdi Ki Wo Chothi Si Pethi Mez
Par Rakhi Jise Wo Apne Saath Laya Tha
Wo Thodi Der Tak Khada Fayaz Ko Ghoorta
Raha
Fir
Aage Badh Kar Use Jhinjhodne Laga….
Fayaz Jaagte Hi Uchal Khada Ho Gaya
“O” Fayaz Sahab Yeh Koi Saraye Hai Ya
Bhatiyaar-Khana Tum Itni Raat Gaye Yahan
Kya Kar Rahe Ho.?
Aaiye.! Baithiye.! “Abdul Mannan Sahab”
Fayaz Ne Badi Tankhi Se Kaha, Main Apna
Kaam Karne Par Majboor Hu Fayaz Ne Jeb Se
Hathkadhiyon Ka Joda Nikaal Kar Mez Par
Daal Diya
Kya Matlab….?
Matlab Baad Mein Puchna Dosti Apni Jagah
Par Hai
Lekin
Main Apna Kaam Zaroor Karunga.! Fayaz Ki
Awaaz Mein Rukhapan Tha
Abe, Kuch Bakoge Bhi Ya Yun Hi Bore Kiye
Jaoge.?
Tumhara Warrant Hai….Abdul Mannan Ka
Warrant….Jo Taimur And Bortle Ke Yahan
Assistant Accountant Hai….Uske Khilaaf 5
Lakh Ke Ghaban Ka iLzam Hai….Taimur And
Bortle Ke Manager Ne Abdul Mannan Ki Photo
Bhi Diya Hai
Fayaz Ne Warrant Nikaal Kar Imran Ke Saamne
Rakh Diya Uss Par Imran Ki Photo Bhi Lagi
Thi
Oh….Main Samjha….To Shayad Unhe Meri
Asliyath Maalum Ho Gayi Hai.! Imran Dheere
Se Badh-Badhaya
Tum Mujhe Ullu Nahi Bana Sakte Fayaz Garaj
Kar Bola Bade Sharm Ki Baat Hai Yahi To
Main Kehta Tha Ki Aakhir Tumhara Kharch
Kahan Se Chalta Hai
Kya Bachau Ki Surat Nahi.! Imran Ne Be-Basi
Se Kaha
Hargiz Nahi Main Bilkul Majboor Hu
Farz Ada Karne Se Pahle Tumhe Mera Karz Ada
Karna Chahiye….
Main Be-Tooki Baate Sunne Ke Mood Mein Nahi
Hu….Mera Khayal Hai Ki Tum Chup-Chaap Mere
Saath Chale Chalo, Varna Baat Badh Jayegi
Taimur Kahe Raha Tha Ki Wo Tumhara Photo
Akhbaaron Mein Chapwayega
Waah Yaar, Isse Badh Kar Kya Baat Ho Sakti
Hai Log Dekhenge Aur Kahenge Ki Yeh Shakhs
Surat Se Abdul Mannan Nahi Maalum Hota….
Maine Apna Khel Isi Waqt Khatm Kar Diya Hai
Aur Ab Tumhari Aankhein Kholne Jaa Raha Hu
Shaher Mein Kya-Kya Hua Karta Hai Aur
Tumhare Department Ke Kaano Par Jun Tak
Nahi Rengti
Imran Ne Mez Se Lakdi Ki Wo Pethi Uthayi
Jise Wo Apne Saath Laya Tha….
Yeh Ek Foot Lambi Aur Lag-Bhag 9 Inch
Chaudi Thi Unchayi Zyada Se Zyada 6 Inch
Rahi Hogi
Yeh Pethi….Usne Kaha Tokiyo Se Hawai Dhaak
Se Ayi Hai Is Par Taimur And Bortle Ka Pata
Likha Hai Aur Yeh Number….
Pata Nahi Us Cheez Ka Number Hai Ya Yeh
Pethi Ki Ginti Ke Liye Number Hai….
X-539….Ab Main Ise Kholne Jaa Raha Hu Ho
Sakta Hai, Ghaban Kiye Hue Rupiye Isi Mein
Se Baramad Ho Jaye
Usne Jeb Se Chaakhu Nikaal Kar Pethi Ki
Kilein Nikaalni Shuru Kar Di
Fayaz Kuch Na Bola Wo Khamoshi Se Use Dekh
Raha Tha Baar-Baar Use Aise Mauqe Naseb Hue
The Jab Wo Imran Par Chadh Dauda Tha
Lekin
Baad Mein Use Musibath Uthani Padhi Thi
Imran Aadath Ke Khilaaf Iss Waqt Zyada
Sanjheeda Tha Usne Saari Kilein Nikaal
Daali Aur Fir Do-Adath Khaufnaak Qism Ki
Fufkaaron Ke Saath Dakkan Aap Se Aap Upar
Uthta Chala Gaya
Arey Baap Re….! Imran Uchal Kar Piche Hatt
Gaya
Aur Fayaz Ne Mez Par Chalaang Lagayi
Pethi Mein Kaale Rang Ke Do Saanp Fann
Uthaye Khade The
Khuda Ki Qasam Imran….! Fayaz Haanfta Hua
Bola Tum Dekhna Apna Hashr….
Fayaz Pyare, Chont Ho Gayi….Khuda Ki Qasam
Ise Jaan Par Khel Kar Laya….Kulhade Aur
Khaufnaak Aadmiyon Ke Chungal Se Nikaal
Laya….Arey Tauba….
Tauba Ke Bachche….Hathkadhiyan
Lagaunga….Tum Samajhte Ho Shayad Main Mazaq
Kar Raha Hu
Magar Tauba Ka Bachcha Pahle Hi Bahar Nikal
Chuka Tha….
Fayaz Mez Chalaang Laga Kar Uski Taraf
Jhapta
Lekin
Imran Ko Paa Lena Aasaan Kaam To Tha Nahi
Dusri Subaah Ke Akhbaaron Mein Imran Ka
Photo Chapa Tha Jo Ek Ishtihaar Se Tha
Taimur And Bortle Ki Taraf Se Pachaas
Hazaaar Rupiye Ke Inaam Ka Elaan Unn Logon
Ke Liye Kiya Gaya Tha Jo Uska Pata-Nishaan
Bata Sake
Imran Ne Uss Ishtehaar Ko Dekha Aur Khud Ko
Sach-Much Abdul Mannan Mehsoos Karne Laga….
Pichli Raat Wo Shuru Hi Se Tariq Ke Piche
Laga Raha Tha
Tariq Sab Se Pahle Shikaariyon Ke Camp Mein
Gaya Tha Fir Naseer Ko Saath Le Kar
Thahelta Hua Uss Jagah Par Pahuncha Jahan
Wo Raat Guzaarta Tha….
Wahan Pahunch Kar Ek Baar Usne Naseer Se
Bhi Picha Chhudaya….Use Shikaariyon Ke Camp
Ki Taraf Kisi Kaam Se Bejh Diya….
Fir
Imran Ne Use Ek Taraf Jate Dekha Tha Imran
Sirf Tariq Hi Ki Chaal-Chalan Ki Nigrani
Kar Raha Tha Isliye Wo Usi Ke Piche Chalta
Raha
Baherhaal
Ek Jagah Ruk Kar Tariq Ne Kaantedar
Jhaadiyon Ke Jhund Se Wo Pethi Nikaali Thi
Jise Imran Ne Na Jane Kya Samajh Kar Bade
Josh=Kharosh Ke Saath Fayaz Ke Saamne
Kholne Ki Koshish Ki Thi….
Aur
Nateeje Ke Taur Par Use Do-Adath Saanp
Baramad Hue The
Tariq Ne Uss Pethi Ko La Kar Pual Ke Dher
Ke Niche Cheepa Diya Tha Aur Khud Usi Par
Kambal Daal Kar Let Gaya Tha….
Fir Jis Waqt Tariq Par Humla Hua….Imran Uss
Pethi Ko Pual Ke Dher Ke Niche Se Nikaal
Kar Chup-Chaap Khisak Gaya
Tariq Aur Taimur Ki Ladhai Ki Wajah Uski
Samajh Mein Nahi Ayi Thi
Lekin
Unn Saanpon Ne Use Bohath Kuch Samjha Diya
Tha Use Yaqeen Tha Ki Wo Pethi Kisi-Na-Kisi
Tarah Taimur Hi Ke Paas Se Tariq Tak
Pahunchi Hogi
Varna
Usme Zinda Saanpon Ki Maujoodgi Samajh Mein
Nahi Aa Sakti Aur Fir Tariq Ne Uss Pethi Ko
Bohath Ehtiyaath Se Ek Jagah Cheepa Rakha
Tha
Aur
Fir Shayad Use Apne Bistar Ke Niche Rakhne
Hi Ke Liye Usne Naseer Ko Bhi Taal Diya Tha
Uss Pethi Ka Raaz.? Imran Uske Baare Mein
Ghanton Ghaur Karta Raha
Wo Iss Waqt Shaher Ke Ek Mamuli Se Hotel Ke
Ek Kamre Mein Thahera Hua Tha….Apne Jism Ka
Huliya Bhi Usne Thoda Sa Badal Liya Tha….
Sar Ke Baalon Ka Ulathne Ka Andaaz Badal
Diya Tha Aur Suit Utaar Kar Sirf Patloon
Aur Jacket Hi Pahen Rakhi Thi
Aankhon Par Kaale Sheeshon Ke Ek Ainak Thi
Banawati Muchein Bhi Istemaal Karni Padhi
Thi….
Halaanki
Use Iss Baherupiyepan Se Sakht Nafrath Thi
Lekin
Iss Waqt Wo Karta Bhi Kya Wo Jaanta Tha Ki
Fayaz Ne Yeh Sab Kuch Sirf Isliye Kiya Hai
Ki Wo Use Saare Halaath Se Ba-Khabar
Rakhe….
Lekin
Yeh Bhi Ho Sakta Tha Ki Wo Apni Dhamki Par
Amal Bhi Kar De, Kyun Ki Filhaal Imran Ke
Khilaaf Uske Paas Koi Saboot Maujood Nahi
Tha
Aur
Fir Yeh To Baad Ki Baat Hoti Ki Asliyath
Kya Thi
Imran Thik 8 Baje Raat Ko Hotel Se Nikal
Kar Daulathpur Jane Wali Bus Par Baith Gaya
Usi Bus Ke Zariye Wo 10 Meel Ka Raasta Taye
Kar Ke Shikaariyon Ke Camp Tak Pahuncha
Jab Tak Bus Shaher Ke Bahar Nahi Nikal Ayi
Wo Bohath Zyada Ehtiyaath Se Raha Wo Jaanta
Tha Ki Uski Talaash Mein Sarkari Aur Ghair-
Sarkari Dono Hi Tarah Ke Log Honge
10 Meel Chalne Ke Baad Wo Bus Se Utar Gaya
Ab Use Ghane Junglon Mein Lag-Bhag Dedh
Meel Paidal Chalna Tha
Camp Mein Pahunch Kar Wo Bedhadak Ek Padau
Mein Ghoos Gaya
Yahan Chaar Aadmi Apne Bistaron Par Padhe
Gappe Maar Rahe The Imran Ko Dekh Kar Wo
Uth Baithe
Naseer Bahi Kaha Hai.? Imran Ne Bohath Hi
Narm-Dili Se Pucha
Bara-Bar Wale Tent Mein Ek Ne Jawaab Diya
Lekin Wo Imran Ko Shak Ki Nazar Se Dekh
Raha Tha
Iss Waqt Imran Ki Aankhon Mein Kaale
Sheeshon Wali Ainak Nahi Thi
Imran Ulthe Paaun Uss Padhau Se Nikal Kar
Bara-Bar Wale Padhau Mein Ghoos Gaya
Naseer Yahan Maujood Tha Iske Alawa Do
Aadmi Aur Bhi The
“Naseer Bhai” Imran Ne Use Bulaya Aur
Naseer Uchal Kar Khada Ho Gaya
Tum Kaun Ho.?
Main….Ullu Hu….! Imran Badi Sanjheedgi Se
Jawaab Diya
Kya Matlab….?
Ullu Ka Matlab Ullu Hi Hota Hai Naseer
Bhai.! Imran Ne Jawaab Diya
Achanak Naseer Uss Par Toot Padha….
Abdul Mannan Hu Pyare Bhai.! Imran Use
Rokta Hua Dheere Se Bola
Oh….! Naseer Piche Hatt Gaya Kuch Pal Use
Ghaur Se Dekhta Raha Fir Uska Haath Pakad
Kar Padhau Se Bahar Nikal Aya
Dono Khamoshi Se Chalte Rahe Jab Padhau
Kaafi Piche Rahe Gaya To
Naseer Ne Ek Jagah Ruk Kar Kaha, Tum Yahan
Kyun Aye Ho.?
Main Tariq Se Milna Chahta Hu
Kyun….?
Yeh To Main Sirf Tariq Hi Ko Bata Sakta
Hu.! Imran Bola
Main Nahi Jaanta Ki Tariq Kaha Hai
Tab Mera Bedha-Gharq Ho Gaya.! Imran Thandi
Saans Le Kar Bola
Haa.! Maine Akhbaaron Mein Dekha Tha Naseer
Ne Kaha.! Lekin Tumne Bhes Bade Kamaal Ka
Badla Hai
Arey Yaar Main Kya Jaanu Bhes-Wase….Yeh To
Mere Ek Dost Ki Kaarigari Hai Jo Film
Company Mein Kaam Karta Hai….
Magar Yeh To Batao Ki Tum Mujhe Kaise
Pehchaante Ho.?
Yeh Sab Kuch Main Tariq Ke Saamne Hi
Bataunga
Nahi, Tum Mujhe Batao Varna Yahan Se Zinda
Bach Kar Nahi Jaa Sakte
Yaar, Yeh To Tumne Badi Bedhab Baat
Kahi….Acha Chalo Nahi Batata Jo Kuch Karna
Hai Kar Lo
Tumhe Gala Ghont Kar Maar Daalunga
Maar Bhi Daalo Yaar Usse To Yahi Behtar Hai
Varna Agar Pakda Gaya To 5 Lakh Rupiye Kaha
Se Paida Karunga
Unn Logon Ko Shayad Maalum Ho Gaya Hai Ki
Maine Tariq Ke Liye Kuch Jaankari Haasil Ki
Hai….Isliye Mujh Par Yeh Musibath Aan Padhi
Hai
Tum Mujhe Kaise Jaante Ho.? Mere Sawaal Ka
Jawaab Do….
Acha Tum Na Batao Tariq Ka Pata Main Jaa
Raha Hu.! Imran Ne Badi Sanjheedgi Se Kaha
Tum Nahi Jaa Sakte
Mujhe Kaun Rokega.? Imran Ne Dheere Se Kaha
Main….! Tum Nahi Jaa Sakte
Acha To Rok Lo….Nahi Yun Nahi.! Imran Ne
Sanjheedgi Se Kaha Main Zyada Se Zyada 15
Gaz Ke Andar Hi Andar Rahunga
Tum Mujhe Pakad Lo….Agar Mere Jism Mein Bhi
Haath Laga Sako To Apna Naam Badal Lunga
Chalo Pakdo.! Yeh Kahe Kar Imran Ne Naseer
Ke Sar Par Ek Chapaat Lagayi….
Naseer Jhalla Kar Uss Par Toot Padha….
Wo Dono Khule Aasmaan Ke Niche The Aur
Taaro Ki Chaaun Mein Ek Dusre Ko Aaram Se
Dekh Sakte The
Imran To Samjhiye Hawa Mein Udh Raha Tha
Apne Wade Ke Ke Mutabeeq Wo Naseer Ke
Khareeb Hi Khareeb Raha
Lekin
Wo Kuch Iss Andaaz Mein Uchal-Kudh Kar Raha
Tha Ki Naseer Use Choo Bhi Nahi Saka
Yeh Raha….Yeh Aya….Yeh Gaya….Yeh Padhi
Chapaat.! Imran Ne Fir Uske Sar Par Chapaat
Lagayi Aur Baar-Baar Bakwaas Karta Raha
Yeh Aya….Yeh Gaya….Yeh Raha….Fir Lo
Chapaat….!
Zara Si Der Mein Das Pandrah Chapate Naseer
Ke Sar Par Padh Gayi….
Lekin
Wo Use Na Pakad Saka….
Bas Karo.! Khatm Karo.! Naseer Haanfta Hua
Bola Nahi Sunte Tum Suar Ke Bachche
Tum Mujhe Tariq Ke Paas Le Chalo.! Imran
Ruke Ba-Ghair Kaha
Varna
Isi Tarah Chapate Maar-Maar Kar Khatm Kar
Dunga
Le Chalunga….Le Chalunga.! Naseer Ne Haante
Hue Kaha
Aaj Tariq Ne Dusri Jagah Thikana Banaya Tha
Yeh Ek Gufaa Si Thi Aur Uske Upar Kayi
Pedhon Ki Shaakhein Jhuki Hui Thi….Andar
Itni Jagah thi Ki Teen-Chaar Aadmi Aasaani
Se Raat Guzaar Sakte The
Tariq Khareeb-Khareeb Teen Ya Chaar Minute
Se Imran Ko Ghoor Raha Tha
Aur
Imran Iss Tarah Sar Jhukaye Tha Jaise Koi
Fikrmand Baap Apne Bachche Ke Beech Mein
Baitha Unke Bhavishye Ke Baare Mein Sonch
Raha Ho….
Naseer Bahar Nikalne Ke Raaste Ke Sire Par
Khada Tha….
Tabhi Tariq Bola.! Pahle Main Tumhe
Bewaqoof Samjha Tha Lekin Ab Mujhe Tum Par
Bharosa Nahi Hai
Aur
Meri Iss Baat Ka Matlab To Tum Samajhte
Hoge….Mujhe Batao Ki Tumne Naseer Ko Kaise
Pehchaan Liya Tha.? Tum Use Kya Jano.?
Mujhe Julia Ne Bataya Tha Ki Naseer Tumhara
Gehra Dost Hai
Bas Itna Hi Na Tumne Yeh Kaise Jana Ki Yahi
Naseer Hai….?
Isliye Ki Inki Naak Kaafi Lambi Hai Aur
Naak Ke Chedh Bohath Bade-Bade Hai….Aisi
Naak Wala Har Aadmi Mujhe Naseer Maalum
Hota Hai….
Mera Waqt Na Barbaad Karo Tum Mujhe Ullu
Nahi Bana Sakte
Aur Tum Mujhe Yun Hi Ullu Banate Chale
Jaoge….Tariq Sahab Tumne Mera Carrier
Barbaad Kar Diya Main Choron Ki Tarah Muh
Chupaye Fir Raha Hu
Tumhe Yahan Kisne Bejha.? Tariq Ne Kadak
Awaaz Mein Pucha
ALLAH Miyan Ne Bejha Hai….Ab Kaho….
Kya Tum Yeh Samajhte Ho Ki Yahan Se Zinda
Nikal Sakoge
Acha Jee.! Imran Naak Chida Kar Bola Kya
Tumhara Dil Bhi Chapatein Khane Ko Chah
Raha Hai
Janab Tariq Sahab Main Aadmi Nahi Balki
Bhoot Hu Mere Jaanne Wale Mujhe Isi Naam Se
Yaad Karte Hai Yeh Gufaa Tum Dono Ki Qabr
Bann Jayegi
Aur
Main Tumhe Yaqeen Dilata Hu Ki Apne Dono
Haathon Ke Alawa Aur Kuch Nahi Istemaal
Karunga
Tariq Ghussa Hone Ba-Wajood Bhi Hass Padha
Use Apni Taaqath Par Bada Ghamand Tha Use
Imran Ki Yeh Baat Aisi Lagi Jaise Koi
Machchar Kisi Haathi Ko Challenge Kar Raha
Ho
Tum Hass Rahe Ho Tariq Imran Bola Lekin
Mere Paas Zyada Waqt Nahi Mujhe Aaj Hi Raat
Ko 5 Lakh Rupiye Muhaiyya Karne Hai
Aur
Uske Liye Main Taimur Hi Ki Tijori Todhne
Ka Irada Rakhta Hu Wo Bhi Kya Yaad Karega
Ki Kisi Ghareeb Ko Sataya Tha
Tumne Abhi Tak Meri Baat Ka Jawaab Nahi
Diya.? Tum Naseer Ko Kaise Pehchaan Gaye
The.?
LAHOL WILA QUWWATH
Fir Wahi Naseer….Acha Main Qasam Khata Hu
Ki Maine Naseer Ko Bilkul Nahi Pehchaana
Tha
Pahle Ek Dusre Tent Mein Jaa Ghusa Tha
Wahan Maalum Hua Ki Naseer Bara-Bar Wale
Tent Mein Hai
Dusre Tent Mein Pahunch Kar Maine Sirf
Naseer Ka Naam Liya Tha
Inki Taraf Dekh Kar Khaas Taur Se Inko
Pukara Nahi Tha Yeh Hazrat Apna Naam Sunte
Hi Uchal Padhe Aur Main Samajh Gaya Ki
Naseer Yahi Hai
Mujhe Ab Bharosa Nahi Hai.! Tariq Ne Gardan
Jhatak Kar Kaha
Tab Fir Ek Hi Surat Rahe Jati Hai.! Imran
Ne Thandi Saans Le Kar Mayoosi Ke Andaaz
Mein Kaha Wo Yeh Ki Hum Dono Sar Ladhaye
Agar Mere Sar Fatt To Main Jhoota Agar
Tumhara Sar Fatt Jaye To Hum Dono Ullu Ke
Patthe
Tariq Fir Khamosh Ho Kar Use Ghoorne Laga
Tum Mere Paas Kyun Aye Ho.? Usne Thodi Der
Baad Pucha
Sirf Yeh Maalum Karne Ke Liye Ki Tum Mujhe
Taimur Ke Ghar Ka Naqsha Samjha Sakoge Ya
Nahi Itna Mujhe Maalum Hai Ki Uski Tijori
Uske Kamre Mein Thik Uske Sirhaane Rakhi
Rehti Hai
To Tum Sach-Much Uski Tijori Todhoge.?
Tariq Main Jhoot Bohath Kam Bolta Hu
Main Tumhe Iski Raye Na Dunga Ki Tum Uski
Tijori Mein Haath Bhi Lagao
Main Raye Lene Nahi Aya….Tariq Sahab.!
Imran Na-Khush Hote Hue Kaha Mera Naam
Abdul Mannan Hai Jo Kuch Sonchta Hu Kar
Daalta Hu Waise Maine Abhi Tak Karne Ke
Baare Mein Nahi Soncha
Meri Baat To Suno Tumhe Sirf 5 Lakh Rupiye
Chahiye Na Wo Main Tumhe De Dunga
Tum Mujhe 5 Lakh Rupiye Doge.? Imran Ne
Mano Uski Baat Ko Mazaq Samajhte Hue
Thahaka Lagaya
Yaqeenan De Sakta Hi Mere Liye Yeh Koi Aisi
Badi Baat Nahi Hai
Isliye Gufaaon Aur Jhaadiyon Mein Cheepte
Fir Rahe Ho Imran Fir Hass Padha
Aur
Tariq Ko Ek Baar Fir Ghussa Aa Gaya Lekin
Wo Khaomshi Se Apni Jagah Par Baitha Raha
Uski Tikhi Aur Tez Nazre Imran Ko Tatol
Rahi Thi
Main Nahi Samajh Sakta Ki Tum Kya Bol Rahe
Ho Usne Kuch Der Baad Kaha
Na Samjho To Behtar Hai.! Imran Laparwaahi
Se Bola Na Jane Kitne Yahi Hasrath Kiye Hue
Duniya Se Chale Gaye
Samjhaute Ki Baat Karo Aur Mujhe Apne Baare
Mein Batao.! Tariq Ne Narm Awaaz Mein Kaha
Hum Dono Ko Chahiye Ki Ek-Dusre Ko Samajhne
Ki Koshish Kare Uske Ba-Ghair Hum Ek-Dusre
Ke Khareeb Nahi Ho Sakte
Imran Use Iss Andaaz Mein Dekhne Laga Jaise
Wo Tariq Ke Unn Jumlon Mein Sachchai
Talaash Kar Raha Ho
Lekin Agar Tumne Iske Ba-Wajood Bhi Mujhe
Dhoka Dita To Kisse Fariyaad Karunga Usne
Thodi Der Baad Kaha
Main Dhoka Kiss Tarah Dunga.?
Yahi Ki Agar Tumne Mere Haalaath Se Police
Ko Ba-Khabar Kar Diya To….
Tariq Hasne Laga….Fir Bola Bhala Mujhe
Police Se Kya Sarokar….Mere Apna Pesha Bhi
Khanoon Ki Nazar Mein Izzatdar To Nahi
Tumhara Pesha.? Imran Ne Hairath Se Kaha
Main Samjha Nahi
Haa….Police Meri Dost Nahi Ho Sakti
Yaar, Jab Tum Khud Bhi Nahi Khulte To Mujhe
Paagal Kutte Ne Kata Hai.?
Main Daake Daalta Hu Ab Samjhe
Samajh Gaya….Aur Main Bhi….Daake To Khair
Nahi Daalta….Lekin Tijori Todhne Mein Apna
Jawaab Nahi Rakhta….
Aur
Haath Ki Safayi….Aisi Ki Din Dahade Beech-
Bazaar Se Haathi Ghayab Kar Du Aur Kisi Ko
Khabar Tak Na Ho
Yeh Baat….! Tariq Aankhein Faadh Kar Bola
Lekin Uski Awaaz Se Abhi Tak Be-Yaqeeni
Jhalak Rahi Thi
Haa Dost, Yahi Baat Hai
Mujhe Yaqeen Kaise Aye.?
Yaqeen….! Acha To Suno Jis Waqt Naseer Par
Chapate Padh Rahi Thi Usi Waqt Uske Coat Ki
Andar Ki Jeb Se Uska Purse Nikal Kar Meri
Jeb Mein Aa Gaya Tha….
Naseer Baukhla Kar Apno Jeb Tatolne Laga
Aur Uske Muh Se Ek Halki Si Hairath Se
Awaaz Nikli
Ghabrao Nahi….! Apna Purse Sambhalo Imran
Ne Jeb Se Purse Nikaal Kar Naseer Ke Aage
Fenk Diya
Waah Yaar.! Tariq Khushi Se Jhoom Utha
Yahi Nahi.! Acha, Tum Batao Kya Maine Abhi
Tak Tumhare Jism Ko Haath Lagaya Hai….Yaad
Kar Ke Batao
Nahi To….Kyun….?
Tumhara Purse Bhi Mere Paas Hai
Kya.? Tariq Bhi Apni Jebein Tatolne Laga
Lekin
Itni Der Mein Uska Purse Bhi Uske Saamne
Fenk Diya Gaya
Acha Dost.! Tariq Ne Ek Lambi Saans Le Kar
Kaha Humari Dosti Kaafi Kaam Ki Sabeet Ho
Sakti Hai
Bas, Tum Mujhe Uska Ghar Ke Andar Ka Naqsha
Samjha Do.! Imran Ne Kaha
Bakwaas Hai.! Usse Koi Khaas Faida Nahi
Hoga Badi Raqmein Koi Bhi Ghar Mein Nahi
Rakhta
Tijori Mein Se Agar Tumne Do-Chaar Lakh
Rupiye Nikaal Bhi Liye To Kya Hoga Kitne
Din Khaoge….Aadmi Ko Humesha Lamba Haath
Maarna Chahiye
Arey Yaar, To Kuch Batao Bhi Na.! Imran Ne
Ghusse Mein Pehlu Badal Kar Kaha
Saal Bhar Mein Hum Teeno Crorepati Ho
Jayenge.! Tariq Ne Kaha
Yaar Tariq Jaldi Batao Ab Agr Tumne Bekaar
Mein Baat Ko Badhaya To Main Apna Gala
Ghont Lunga
Khareeb Hi Bandargaah Par Taimur And Bortle
Ka Maal Utrega….Usme Se Tumhe Kuch Pethiyan
Udaani Hongi
Arey, Yeh Kitni Badi Baat Hai Hazaaron
Aadmiyon Ki Aankhon Mein Dhool Jhonk Kar
Nikaal Lunga
Bandargaah Par Kaamyaab Na Ho Saka To Wahan
Se Godhaam Tak Ke Raaste Mein Yaqeeni Taur
Par Yeh Kaam Ho Jayega.!
Yaar, Tum Abdul Mannan Ko Kya Samajhte Ho
Lekin Unn Pethiyon Ki Pehchaan
Tariq Kuch Sonchta Hua Bola Unn Sab Par X-
539 Likha Hua Hoga
Haa, Zara Ek Minute.! Imran Jeb Se Apni
Notebook Aur Pencile Nikaalta Hua Bola.!
Number Likh Lu….Haa….Kya….X-39….!
Nahi.! X….5….3….9….!
Bas, Samajh Lo Ki Pethiyan Ghayab Ho Gayi.!
Imran Notebook Aur Pencile Jeb Mein Daalta
Hua Bola.! Magar Unn Pethiyon Mein Hoga
Kya.?
Unme Saanpon Ki Khaalein Nahi Hongi
Acha To Fir Kya Zinda Saanp Honge.? Imran
Ne Pucha
Nahi Yaar….Yeh Abhi Na Pucho Bas, Unhe Udha
Lao Fir Hum Dekhenge Ki Unme Kya Hai
Yaani Tumhe Bhi Maalum Nahi Hai.?
Haa, Yehi Samajhlo
Tum Batana Nahi Chahte.? Imran Ne Kaha
Khair, Na Batao Main Apne Doston Par
Humesha Bharosa Karta Hu Mujhe Yaqeen Hai
Ki Tum Na Jaante Hoge
Lekin
Kisi-Na-Kisi Cheez Par Shak Zaroor Hoga
Kyun Kya Ghalath Kahe Raha Hu
Bohath Kuch Ho Sakta Hai Bhai Abdul
Mannan….! Ghair-Khanooni Taur Par Baramad
Ki Hui Koi Bhi Cheez….Mera Matlab Yeh Hai
Koi Bohath Qeemti Cheez….Sona Jawaharath….!
Magar Yeh Tareeqa Khatarnaak Hai….Agar
Pethiyan Goom Ho Jaye To….!
Thik Hai, Use Bas Ek Tarah Ka Jua Samajh Lo
Wo Pethiyan….Aisi Companiyon Ki Taraf Se
Bejhi Jati Hai Jo Saanp Ki Khaalon Ki
Tijarath (Business) Karti Hai….Bhala Kaun
Sonch Sakta Hai Ki Koi Qeemti Cheez Itni
Laparwaahi Se Bejhi Jaa Sakti Hai….!
Magar Tumhare Bayaan Se Sabeet Hota Hai Ki
Unn Numberon Ke Alawa Aur Bhi Alag-Alag
Numberon Ki Pethiyan Hoti Hongi Jinme Se
Mujhe Sirf X-539 Number Ki Pethiya Ghayab
Karni Hongi
Yaqeenan Tumhe Wahan Alag-Alag Numberon Ki
Pethiyan Milengi….Yeh Number Darasal
Khaalon Ki Qismon Ke Hote Hai
Lekin Tumhe Kaise Maalum Hua Ki Wahi
Pethiyan Ghaple Wali Hai Jin Par X-539
Likha Hua Hota Hai
Tum Bekaar Mein Bahez Nikaal Baithe Ho.!
Tariq Badh-Badhaya
Kuch Aur Na Samajhna Pyare.! Imran Jaldi Se
Bola Main Sirf Apna Itminaan Karna Chahta
Hu Kahi Aisa Na Ho Ki Main Saanpon Ki
Khaalein Dhota Rahe Jau Mujhe Bada Dukh
Hoga
Baat Yeh Hai Ki X-539 Number Ki Pethiyan
Kabhi Godhaam Mein Nahi Jati Taimur Aur
Manager Khaas Taur Se Unki Nigrani Karte
Hai Aur Kisi Ko Pata Nahi Chalne Pata Ki Wo
Pethiyan Kaha Gayi
“Oho” Imran Ne Kaha, Bas Mujhe Yaqeen Aa
Gaya Unme Zaroor Kuch Ghapla Hai
Acha Pyare Bas Tum Mujhe Ek Din Pahle Bata
Dena Ki Kab Maal Utrega
Kuch Der Ke Liye Wo Khamosh Ho Gaye Fir
Tariq Ne Naseer Se Kaha
Yaar Zara….Wo Scotch Ki Bottle To
Nikaalna….Iss Dosti Ki Khushi Mein Kuch Ho
Jaye
Bas Dost, Mujhe To Muaaf Hi Rakho.! Imran
Ne Kaha
Kyun Kyun.? Tariq Aur Naseer Ek Saath Bole
Ustaad Ne Hume Yeh Sikhaya Hi Nahi Unka
Kehna Tha Ki Jiss Din Aurat Aur Sharab Ke
Nazdeek Bhi Gaye….Usi Din Gardan Fas
Jayegi….Yeh Sab To Sirf Shareef Aadmiyon Ke
Kaam Hai
Gahre Ho Pyare.! Tariq Uske Khaande Par
Haath Maar Ke Bola
Magar
Fir Wo Julia Ka Qissa
Uspar Imran Ne Bade Zor Se Qahe-Qaha Lagaya
Aur Kaafi Der Tak Haste Rahne Ke Baad Bola
Wo Sab Bandal Tha Tum Mujhe Apne Kaam Ke
Aadmi Maalum Hue The, Isliye Main Tumse
Betaqalluf Hona Chahta Tha
Kamaal Hai.! Tariq Use Khushi Ki Nazron Se
Dekhta Hua Bola Surat Se Bilkul Bewaqoof
Maalum Hote Ho….
Aur
Yahi Tumhare Unche Hone Ki Daleel Hai Kahi
Mujhe Tumhari Shagirdi Na Karni Padhe
Arey Arey….Bhala Yeh Abdul Mannan Kiss
Qabil Hai
Waqai Tum Kis Qabil Ho, Ke I.Double S….Kiss
Qabil.! Tariq Hass Kar Bola
Aur Kuch.?
Aur Tum Bhes Badal Ne Mein Maahir Ho
Captain Fayaz Uljhano Ka Shikaar Tha….Use
Kayi Baar Imran Ke Saath Kaam Karne Ka
Ittefaaq Hua Tha
Lekin
Iss Qism Ke Halaath Kabhi Bhi Nahi Pesh Aye
The Kabhi Aisa Nahi Hua Ki Use Imran Ki
Giraftari Ka Warrant Jeb Mein Daal Kar Uski
Talaash Mein Bhaagna Padha Ho
Filhaal Uske Paas Do Case The Ek To
Crorepati Irshad Ka Maamla Aur Dusra Imran
Imran Wala Case To Khair Usne Khud Hi Apne
Haath Mein Le Liya Tha, Varna Wo To Qattai
Civil-Police Ka Case Tha
Unn Dono Ki Dosti Badi Ajeeb Thi Fayaz
Kabhi Imran Ke Liye Apne Dil Mein Bepanaah
Mohabath Mehsoos Karta Tha Aur Kabhi Use
Imran Se Itni Nafrath Hoti Thi Ki Uska
Khayal Bhi Mahenga Padhta
Imran Ne Usse Taimur And Bortle Wale Ki
Kisi Ghair-Khanooni Harkath Ka Bayaan Kiya
Tha
Lekin
Uski Wajah Hi Nahi Batayi Thi Uske Baad Hi
Irshad Wala Case Saamne Aya
Uska Kuch-Na-Kuch Talluq Taimur And Bortle
Walon Se Bhi Tha….
Fir Ek Aisi Car Mein Bomb Ka Dhamaka Hua Jo
Taimur And Bortle Ki Firm Se Talluq Rakhti
Thi….
Usme Chaar Aadmi Zakhmi Hue Taimur And
Bortle Walon Ne Kaha Ki Wo Car Unke Yahan
Se Churayi Gayi Thi
Zakhmi Hone Walon Ne Bhi Iska Khulasa Kiya
Tha Haqeeqath Mein Wo Uss Car Ko Chura Le
Jana Chahte The
Lekin
Wo Iske Baare Mein Nahi Jaante The Ki Car
Mein Kisi Jagah Bomb Cheepa Hua Hai Uske
Baad Hi Teesra Shagufa Khula
Yani
Imran Par Firm Ki Taraf Se Ghaban Ka iLzaam
Laga Kar Police Ki Madad Talab Ki Gayi
Inn Sab Baaton Ki Wajah Se Fayaz Ne Apna
Pura Dhyaan Uss Firm Par Laga Diya Jiska
Nateeja Yeh Nikla Ki Paanchvi Hairath Angez
Haqeeqath Uske Saamne Aa Gayi
Wo Yeh Ki Budhe Irshad Ka Bhi Kaafi Paisa
Firm Mein Laga Hua Tha….Ab Maamla Aur Zyada
Ulajh Gaya
Fayaz Ne Ek Baar Fir Taimur Ko Apne Office
Mein Talab Kiya Taimur Ne Apne Manager Ko
Bejh Diya Khud Nahi Aya….
Fayaz Bohath Zyada Jhallaya Hua Tha….Kyun
Ki Irshad Wale Maamle Mein Puch-Taach Ke
Dauraan Unn Logon Ne Yeh Nahi Bataya Tha Ki
Irshad Bhi Firm Ke Hissedaron Mein Se Tha….
Wo To Ittefaq Se Usi Tafteesh Ke Dauraan
Uski Nazron Se Kuch Kaagzaath Guzre Jinse
Use Irshad Ke Shamil Hone Ka Pata Chal Gaya
Varna Yeh Baat Parde Mein Rahe Jati
Fayaz Manager Par Baras Padha
Mujhe Iska Jawaab Chahiye Ki Yeh Baat
Chipayi Kyun Gayi.? Usne Kaha
Janab, Apne Uske Baare Mein Pucha Kab Tha.?
Manager Ne Jawaab Diya
Yeh Baat Baherhaal Mere Saamne Aani Chahiye
Thi
Main Nahi Samajh Sakta Ki Kiss Tarah….Iske
Aap Ki Tafteesh Ka Kya Talluq Ho Sakta Hai
Yeh Ek Kaarobaari Baat Thi….Ab Aap Ne Pucha
Hai To Hum Bata Sakte Hai Ki Irshad Sahab
Bhi Firm Ke Hissedaron Mein Se The
Kitne Ke Hissedar The…?
Mujhe Yaad Nahi, Kaagzaath Dekh Kar Bataya
Jaa Sakta Hai
Uske Baad Fayaz Ki Gaadi Fir Thap Ho
Gayi….Aur Usne Yeh Baat Fayaz Ko Pahle Nahi
Batayi To Uss Par Kisi Aitraaz Ki Gunjaish
Nahi Thi
Yeh Harkath Ghair-Khanooni Nahi Kahi Jaa
Sakti Thi….Achanak Fayaz Ko Car Wala Haadsa
Yaad Aa Gaya Aur Usne Baat Ka Rukh Uski
Taraf Modh Diya
Car Ki Chori Ki Report Pahle Hi Kyun Nahi
Likhayi Gayi Thi.?
Jab Maalum Hua Tab Likhayi Wo Car Bohath
Kam Istemaal Mein Rehti Thi
Yeh Baat Bhi Khatm Ho Gayi….Aur Fayaz Ko
Use Do-Chaar Dhamkiyan De Kar Ruqsath Kar
Dena Padha
Main Jaanta Hu….Sab Samajhta Hu Fayaz Ne
Kaha Bas Waqt Ka Intezar Hai Tum Jaa Sakte
Ho
Lekin
Uske Farishte Ko Bhi Kisi Khaas Baat Ka
Pata Nahi Tha
Waise Sab Se Badi Khaas Baat Yeh Thi Ki
Imran Apna Waqt Yun Hi Nahi Barbaad Kar
Raha Tha
Magar Fayaz Ki Uss Dhamki Ne Taimur Aur
Uske Manager Ko Bohath Kuch Sonchne Par
Majboor Kar Diya Dono Kaafi Der Se Isi
Maamle Par Baat-Cheet Kar Rahe The
Uss Dhamki Ka Matlab Yeh Hai Ki Unhe Shak
Ho Gaya Hai.! Taimur Ne Kaha
Jab Yeh Baat Tariq Ko Maalum Hui To Police
Kaise Nahi Jaan Sakti Hai.? Manager Bola
Khair, Tariq Ki Baat Chhodo Usne Bohath
Khareeb Se Dekha Hai Mera Khayaal Hai Ki
Use Bhi Sirf Shak Hi Hua Hai Haqeeqath Nahi
Maalum
Iski To Fikr Na Ki Jiye Manager Ne Kaha,
Jiss Din Bhi Mera Daav Chal Gaya Maamla
Saaf Ho Jayega
Aur Uss Accountanr Ke Baare Mein Kuch
Maalum Hua….? Taimur Ne Pucha
“Accountant” Manager Kuch Sonchne Laga….Fir
Thodi Der Baad Bola Mera Khayaal Hai Ki Wo
Bhi Tariq Ke Aadmiyon Mein Se Koi Tha….
Aur Suniye….
Detective Phone Ka Ek Set Mere Kamre Mein
Bhi Mila Hai
Mera Khayaal Hai Ki Tariq Kisi Bade Giroh
Se Talluq Rakhta Hai, Varna Mujhe Iss Tarah
Challenge Karne Ki Himmat Nahi Kar Sakta
Tha.! Taimur Bola
Mujhe Yaqeen Nahi Hai Ki Tariq Ab Tak Zinda
Ho.! Manager Kuch Sonchta Hua Bola Tony Aur
Mukesh Ki Nakaami Ke Ba-Wajood Wo Na Bach
Saka Hoga
Kyun.? Kiss Tarah.? Taimur Hairani Se Pucha
Main Abhi Aap Ko Nahi Batana Chahta Tha
Lekin
Baat Aa Hi Gayi Hai To Suniye….
Mujhe Pahle Hi Se Yaqeen Tha Ki Tariq Ko
Asliyath Maalum Nahi Hai Wo Sirf Itna
Jaanta Hai Ki X-539 Number Ki Pethiyaan
Godhaam Mein Nahi Jati Aur Usi Se Usne
Andaaza Kar Liya Hoga Ki Unn Pethiyon Mein
Koi Khaas Cheez Hoti Hai
Zaahir Hai Ki X-539 Ka Number Uske Liye
Khaas Kashish Rakhta Hoga Iss Shaitani
Khayaal Ko Saamne Rakhte Hue Maine Ek
Harkath Ki Aur Wo Sau Feesadi Kaamyaab Rahi
X-539 Ki Ek Khaali Pethi Mein Do Zaheerile
Saanp Pack Kiye Aur Uss Pethi Ko Apne Kamre
Mein Cheepa Diya
Shaam Ko Daftar Se Jate Waqt Use Kamre Se
Nikaala Tariq Daftar Ke Bahar Maujood Tha….
Maine Khaas Taur Se Use Pethi Ka Number
Dikhane Ki Koshish Ki Lekin Iss Andaaz Mein
Ki Use Zara Sa Bhi Shak Na Ho Sake
Tariq Mere Haath Mein Pethi Dekhte Hi Wahan
Se Khisak Gaya Aur Main Car Mein Baith Kar
Chal Padha Kuch Hi Der Ke Baad Maine
Mehsoos Kiya Ki Ek Motorcycle Meri Car Ka
Picha Kar Rahi Hai….
Motorcycle Par Tariq Tha Maine Raftaar Tez
Ki Ghar Pahunchne Ke Liye Mujhe Ek Veeran
Sadak Se Guzarna Padhta Hai….
Wahin Tariq Ki Motorcycle Car Ke Barabar
Chalne Lagi Usne Mujhse Car Rokne Ko
Kaha….Meri Car Aur Motorcycle Saath Hi
Ruki….
Aur
Tariq Ne Jhapat Kar Pethi Utha Li Jo Car Ki
Pichli Seat Par Padhi Hui Thi….Uske Ek
Haath Mein Revolver Tha Pethi Par Kabzaz
Kar Lene Ke Baad Usne Dhamkate Hue Kaha
Bas, Jao Koi Harkath Karoge To Fauran Goli
Maar Dunga
Baherhaal
Main Wahan Se Rawana Ho Gaya Tony Aur
Mukesh Pahle Hi Se Uske Piche Lage Hue The
Maine Unhe Samjha Diya Tha Ki Wo Use Pethi
Kholne Ka Mauqa Hi Na De Main Chahta Tha Ki
Wo Jungle Mein Apne Kheme Mein Pahunch Kar
Use Khole Aur Fir Andhere Mein Use
Sambhalne Ka Bhi Mauqa Na Mil Sake
Magar Wo To Uss Waqt Tak Zinda Tha.! Taimur
Ne Kaha
Jee Haa….Aur Mujhe….Yaqeen Hai Ki Usne Uss
Waqt Tak Use Khola Nahi Tha Tony Aur Mukesh
Ne Yehi Report Di Hai….
Fir Tony Aur Mukesh Se Uss Par Humla
Karwane Ki Kya Zaroorath Thi.? Taimur Ne
Pucha
Maine Unn Gadho Se Yeh Hargiz Nahi Kaha Tha
Ki Wo Uspar Humla Kare Maqsadh Sirf Yeh Tha
Ki Wo Uss Pethi Ko Jaldi Mein Khole Aur Unn
Saanpon Ka Shikaar Ho Jaye….
Darasal
Unn Dono Ne Sirf Apne Bachau Ke Liye Uspar
Humla Kiya Tha Ki Unhe Shak Ho Gaya Tha Ki
Tariq Wahan Unki Maujoodgi Se Aghaah Hai
Isliye Isse Pahle Ki Wo Unn Par Haath
Daalta Unhone Khud Usi Par Humla Kar Diya….
Aur
Uske Baad Bhaag Khade Hue.! Taimur Ne Taana
Maarte Hue Kaha
Yaqeenan….Agar Iss Qism Ka Koi Humla Meri
Scheme Ke Mutabeeq Hota To Zaroor Kaamyaab
Hota
Thodi Der Tak Khamoshi Rahi
Fir
Taimur Ne Pucha Shikaariyon Mein Se Kaun-
Kaun Uske Saath Hai.?
Dekhne Se To Koi Bhi Nahi Hai Halaanki
Naseer Bhi Yahi Kehta Hai Ki Wo Firm Ka
Nukar Hai Aur Firm Ke Faide Ke Muqable Mein
Apni Aur Tariq Ki Dosti Ki Bhi Parwaah Nahi
Karega
Shikaariyon Se Tariq Ke Baare Mein Puch-
Taach Ki Thi.?
Jee Haa….Unhone Use Humle Ki Raat Ke Baad
Se Ab Tak Nahi Dekha….
Naseer Camp Mein Hai.?
Jee Haa….!
Lekin Taimur Kuch Sonchta Hua Bola
Tony Aur Mukesh Ke Bayaan Ke Mutabeeq Humle
Wali Raat Ko Naseer Bhi Tariq Ke Saath Tha
Jee Haa Aur Mujhe Unn Dono Ke Bayaan Par
Yaqeen Hai….Filhaal Maine Naseer Ko Dheel
De Rakhi Hai….Iss Baar Ka Maal Utarwalu Fir
Use Bhi Samajh Lunga
To Tumhe Yaqeen Hai Ki Tariq Mar Gaya
Hoga.? Taimur Ne Muskura Kar Pucha
Jee Haa, Mujhe Yaqeen Hai
Kya Wo Saanp Itne Zaheerile The Ki Tariq
Paani Bann Kar Bahe Gaya Hoga….Aakhir Uski
Laash Kya Ho Gayi….?
Tumhare Bayaan Ke Mutabeeq Agar Naseer
Tariq Ka Saathi Hai To Usne Tariq Ki Maut
Ki Khabar Shikaariyon Ko Kyun Nahi Di….?
Zaahir Hai Ki Wo Uske Kheme Mein Jata Raha
Hoga
Uh.! Manager Ne Laparwaahi Se Apne Khaande
Ko Uchkaya Agar Wo Zinda Bhi Hai To Kya
Hua….Main Use Thikaane Laga Dene Ka Zimma
Leta Hu
Itni Der Baad Ek Baat Kaam Ki Kahi Hai
Tumne.! Khair….Hatao Inn Baaton Ko….Main
Yeh Kehna Chahta Tha Ki Iss Baar Maal
Utarne Mein Ehtiyaadh Barta Jaye….
Tariq Ki Wajah Se Nahi Kahe Raha….Balki
Police….Captain Fayaz Ki Dhamki Kuch-Na-
Kuch Matlab Zaroor Rakhti Hai
Imran Thik 9 Baje Raat Ko Tariq Ke Kheme
Mein Pahunch Gaya Aaj Uska Huliya Kuch Aur
Tha
Tariq Use Dekhte Hi Kulhada Tek Kar Utha
Arey….Abdul Mannan Meri Jaan….! Imran Ne
Seene Par Haath Rakh Kar Jhukte Hue Kaha
Haaye….Yeh Tum Ho.? Tariq Ne Hairani Mein
Kaha
Sau Feesad Main Hi Hu
Yaar Tum Aadmi Ho Ya Shaitaan.?
Shaitaano Ko Aadmi Aur Aadmiyon Ko Shaitaan
Maalum Hota Hu Baaqi Sab Khairiyath Hai
Kya Raha.?
Batata Hu Tum Fikr Na Karo Pahle Mujhe
Coffee Pilao Bohath Thak Gaya Hu
Tariq Ne Coffee Ka Bartan Angheti Par Rakh
Diya….Aur Apne Pipe Mein Tambaku Bharta Hua
Bola
Agar Tumne Koi Buri Khabar Sunayi To Main
Bohath Buri Tarah Pesh Aaunga, Kyun Ki
Tumne Aaj Mujhe Yahan Se Nikalne Nahi Diya
Agar
Iss Baar Ki Pethiyan Humare Haath Na Aayi
To Bohath Bura Hoga Ho Sakta Hai Ki Fir
Aage Wo Koi Dusra Tareeqa Apnaye
Main Tumhari Tarah Aladi….Nahi….Akhadi….Kya
Kahte Hai Use….Aa Haa….Anaadi
Anaadi….Main Tumhari Tarah Anaadi Nahi Hu
Humesha Pakka Kaam Karta Hu
Pethiyan Udhadi Tumne.? Tariq Seedha Ho Kar
Baithte Hue Bola
Bas Udhi Hi Samjho
Kya Matlab….?
Main Unhe Unke Ghar Tak Pahuncha Aya Hu
Saaf-Saaf Batao.? Tariq Jhalla Gaya
Saaf-Saaf Bata To Raha Hu
Abdul Mannan….Tariq Gurraya
Arey, To Bigadhte Kyun Ho Pahle Mujhe
Coffee Pi Lene Do Fir Itminaan Se Bataunga
Main Bohath Bura Aadmi Hu Tariq Ne Kulhade
Ke Hatthe Ko Mazbooti Se Pakadte Hue Kaha
Ghalath Kahte Ho Tum….Surat Se Miyaan Aadmi
Maalum Hote Ho….Agar Daadhi Rakh Lo To Hum
Jaise Log Bhi Tumhara Ahteram Kare
Chalo, Coffee Pilao Yaar….Kya Tumhe Mujh
Par Bharosa Nahi Hai
Udhel Kar Pi Lo….Tariq Ne Na-Khush Hote Hue
Kaha
Imran Ko Laga Ki Uska Baya Haath Kulhade Ke
Hatthe Par Hai Aur Daya Haath Jeb Mein
Wo Jaanta Tha Ki Tariq Revolver Bhi Rakhta
Hai….Lekin Wo Badi Beparwaahi Se Cup Mein
Coffee Udhelne Laga
Coffee Ki Do-Teen Chuskiyan Lene Ke Baad
Usne Kaha, Kuch 15 Pethiyan Hai Maine Achi
Tarah Gin Liya Tha….
Magar Yaar
Mujhe Wazan Kuch Zyada Nahi Maalum Hua
Kya Tumne Utha Kar Dekha Tha.? Tariq Ne
Pucha
Nahi, Uthane Walon Ki Shaklein Dekhi
Thi….Bojh Uthane Wale Ki Shakl Dekh Kar
Wazan Ka Andaaza Ho Jata Hai….Shayad Tum
Samajh Gaye Hoge
Haa, Main Samajh Gaya Hu Lekin Tumne To
Kaha Tha Ki Main Unhe Raaste Hi Se Ghayab
Kar Dunga
Haa, Main Jaadugar Hu Na Chhu Kiya Aur
Maamla Saaf
Yaar Tariq, Tumne Aql To Nahi Bech
Khayi….Maalum Hota Hai Ki Tumne Chhu Mantar
Wale Jasoosi Novel Bohath Padhe Hai
To Fir, Kya Jhak Maarte Rahe Ho.? Tariq Fir
Jhalla Gaya….
Chalo, Yahi Samajhlo Lekin Main Abhi Thodi
Der Mein Tumhari Aankhein Khol Dunga
Tariq Kuch Na Bola Wo Tez Nazron Se Imran
Ko Ghoor Raha Tha….
Imran Sar Jhukaye Coffee Pita Raha Fir
Pyala Khali Karne Ke Baad Use Zameen Par
Patak Kar Aasteen Se Honth Sukhane Laga
Main Samjha Tariq Gurraya Tumhari Neeyath
Mein Khot Aa Gaya Hai Aur Tum Akele Hi
Hazam Karna Chahte Ho
Bas, Ab Chup Raho, Varna Mujhe Bhi Ghussa
Aa Jayega….Aur Mujhe Ghussa Aane Ka Matlab
Yeh Hota Hai Ki Main Hafton Haspataal Mein
Padha Rahu
Batao Wo Pethiyan Kahan Hai.? Tariq Ne Kisi
Saanp Ki Tarah Fufkaar Kar Revolver Nikaal
Liya
Arey….Arey….Waah Yaar….Neki Aur Puch-
Taach….LA LAHOL, Shayad Main Ghalath Bol
Raha Hu Wo Kya Muhawara Hai
Neki Ka Fal….Nahi….Kya Kahte Hai….Tum Hi
Batao….Main Kaun Sa Muhawara Istemaal Karna
Chahta Hu Iss Mauqe Par….Mauqe Par Koi Sher
Yaad Nahi, Varna Wahi Sunata….!
Pethiyan Kaha Hai.? Tariq Garaj Kar Bola
Wo Baad Ko Puchna….Pahle
Muhawara….Aha….Yaad aa Gaya….Neki Barbadi
Gunaah Laazim….Lo Dusra Bhi Yaad Aa Gaya
Shayad….
Hatimtai Ka Muhawara Hai….Neki Kar Dariya
Mein Daal….Waise Urdu Ke Ek Lekhak Ne
Shaadi Kar Dariya Mein Daal Bhi Likha
Hai….Jo Bhi Pasand Aye Iss Mauqe Ke Liye
Chun Lo
To Tum Nahi Bataoge.?
Suno Jefferson Road Par Khaad Banane Ke
Kharkhaane Ke Khareeb Ek Building Hai….Uske
Alawa Wahan Aur Koi Building Nahi
Hai….Pethiyan Usi Building Mein Hai
Regal Lodge Mein.? Tariq Jaldi Se Bola
Oh….Wo Building Taimur Hi Ki Hai….!
Main Abhi Ek Ghante Pahle Unn Dono Ko Usi
Building Mein Chhod Kar Aya Hu.! Imran Ne
Kaha
Pethiyan Wahin Hai.? Tariq Ne Pucha
Haa….Haa….Haa….! Aur Wo Dono Bhi Wahin Hai
Unke Alawa Aur Koi Nahi Hai Hum Unhe Din
Dahade Loot Sakte Hai
Iss Ghalath-Fehmi Mein Na Rehna Tariq Ne
Sanjheedgi Se Kaha, Taimur Aur Manager Dono
Hi Khatarnaak Aadmi Hai….Daulath Ne Unhe
Chahre Se Shareef Bana Rakha Hai
Lekin
Wo Murdarkhor Geedadon Se Bhi Badhtar
Hai….Khaas Taur Se Taimur Ke Haath Mein
Agar Revolver Hoto Wo Deewana Ho Jata Hai….
Arey Chhodo Bhi Abhi Tum Bhi To Deewane Ho
Gaye The
Fir Kyun Jeb Mein Rakh Liya Revolver.? Arey
Hum Wo Hai Ki Topon Ke Rukh Fer De….Chalo
Utho
Agar
Isi Waqt Saari Pethiyan Sametna Lu To Muh
Par Thook Dena Ya Mujhse Kehna Main Chaand
Par Thookunga Aur Wo Palat Kar Khud Mere
Muh Par Aa Jayega….Muhawara….
Muhawara Nahi Kaam Ki Baat Karo Tumhari
Scheme Kya Hai.?
Dono Ko Pakad Kar Khoob Achi Tarah
Marrammat Karenge Aur Unki Aankhon Ke
Saamne Saari Pethiyan Nikaal Layenge Kya
Tum Yeh Samajhte Ho Ki Wo Uski Report
Police Mein De Sakenge.?
Kuch Kaha Nahi Jaa Sakta Mujhe Yaqeen Nahi
Hai Ki Wo Dono Uss Building Mein Akele Hi
Honge
Acha To Tum Hi Apni Scheme Batao.? Imran Ne
Kaha
Meri Scheme Filhaal Koi Bhi Nahi Hai Unn
Pethiyon Ka Uss Building Tak Pahunch Jana
Acha Nahi Hua….Na Tumne Khud Kuch Kiya Aur
Na Mujhe Karne Diya
Tum Kya Jano Maine Kya Kiya Hai Meri Jagah
Hote To Aankhein Nikal Padhti
Aur Kya Kiya Hai Tumne….?
Raaz Ki Baate To Main Apne Baap Ko Bhi Na
Bataunga Maine Tumse Pethiyon Ka Wada Kiya
Hai
Wo Tumhe Iss Waqt Se Le Kar Teen Baje Ke
Abdar-Andar Mil Jayengi Dil Chahe Meri
Madad Karo Ya Na Karo
Main Tumse Uske Liye Bhi Na Kahunga Bas,
Dur Se Tamaasha Dekhte Rehna 11 Baje Tak
Khaad Ke Kaarkhane Ki Aakhri Shift Chalti
Hai Uske Baad Wo Bandh Kar Diya Jata Hai
Hume Uske Bandh Hone Ka Intezar Karna
Padhega
Baherhaal
Main Thik 12 Baje Uss Building Mein Chala
Jaunga….Samjhe
Wahan Pahunch Kar Kya Karoge.?
Ande Dunga.! Imran Jhalla Gaya Tumhe Isse
Kya Matlab Ki Main Kya Karunga Pethiyan Tum
Mujhse Lena
Agar
Tumhe Unn Dono Se Khauf Maalum Hota Hai To
Bahar Hi Mera Intezar Karna Main Tumhe
Majbooe Nahi Karunga Agar Main Maara Jau To
Doom Daba Kar Bhaag Aana Bas
Tum Mujhe Buzdil Samajhte Ho.? Tariq
Gurraya
Baate To Buzdilon Ki Si Karte Ho….
Chalo, Utho Tariq Uska Haath Pakad Kar
Kheenchta Hua Bola
Magar Main Naseer Ko Nahi Le Jaunga
Kyun….?
Bewaqoof Aadmi Hai, Kaam Bigadh Jayega Wo
Tumhari Tarah Aqalmand Aur Maamla Samajh
Nahi Hai
Huh.! To Chalo
Tumhari Motorcycle Kaha Hai.? Imran Ne
Pucha
Chalo, Wo Bhi Mil Jayegi
Tariq Ne Apna Revolver Load Kiya Kuch
Kartoos Jeb Mein Daale Aur Wo Dono Gufaa Se
Nikal Aye….
Tariq Ne Motorcycle Ek Jagah Jhadiyon Mein
Cheepa Rakhi Thi
Thodi Der Baad Motorcycle Ki Tez Awaaz
Jungle Ke Sannate Mein Gunj Rahi Thi
Manzil Tak Pahunchne Mein Sirf Ek Ghanta
Laga….Aur Motorcycle Sadak Ke Kinare Ek
Naale Mein Utaar Di Gayi
Yahan Chaaro Taraf Sannata Tha….Khaad Ki
Factory Bandh Ho Chuki Thi….
Factory Ke Chaaro Taraf Aur Regal Lodge Ke
Alawa Aur Koi Building Nahi Thi
Wo Dono Regal Lodge Ki Taraf Badhne
Lage….Bahar Ki Taraf Khulne Wali Kisi Bhi
Khidki Mein Roshni Nahi Dikhayi De Rahi Thi
Yahan Kutte Zaroor Honge.! Tariq Bola
Hai, Lekin Sirf Do Adad Aur Wo Andar Apne
Bistaron Par Padhe Honge Lekin Unme Ek Bhi
Bhonkna Nahi Jaanta Wo Sirf Kaatne Wale
Kutte Hai….Khair Aao….
Imran Ne Aage Badh Kar Ek Khidki Ke Sheeshe
Todhe Aur Andar Haath Daal Kar Chitkhani
Niche Gira Di
Fir Khidki Khol Kar Wo Dono Andar Koodh
Gaye Chaaro Taraf Andhera Tha
Imran Ne Jeb Se Torch Nikaali Aur Wo Uski
Halki Si Roshni Mein Aage Badhte Hue Chale
Gaye
Abhi Tak Unhe Torch Ki Roshni Ke Alawa Aur
Koi Dusri Roshni Nahi Dikhayi Di Wo
Khamoshi Se Alag-Alag Kamron Se Guzarte
Rahe
Achanak
Wo Be-Tahasha Chaunke Kyun Ki Ab Wo Jis
Kamre Se Guzar Rahe The Wahan Achanak
Roshni Ho Gayi Thi
Tum Dono Apne Haath Upar Uthalo Kisi Ne
Piche Se Kaha Aur Imran Dhadaam SeSe Piche
Ki Taraf Chaaro Khaane Cheet Gira….
Tariq Uski Iss Harkath Par Baukhla Gaya
Kyun Ki Usne Fire Ki Awaaz Bhi Nahi Suni
Thi
Do Revolveron Ki Naale Uski Taraf Uthi Hui
Thi
Tum Use Dekho.! Taimur Ne Manager Se
Kaha….Ishara Imran Ki Taraf Tha
Manager Revolver Ka Rukh Uske Seene Ki
Taraf Kiye Hue Aage Bada
Taimur Tariq Ko Cover Kiye Hue Tha
Imran Ne Apne Hontho Par Ungli Rakh Kar
Manager Ko Khamosh Rahne Ka Ishara Kiya
Imran Uss Waqt Abdul Mannan Ke Huliye Mein
Nahi Tha
Varna Shayad
Tariq Se Pahle Usko Khatm Kar Diya Jata
Baherhaal
Imran Ki Iss Dostana Isharebaazi Par
Manager Baukhla Zaroor Gaya Tha
Imran Ne Muskura Kar Use Aankh Maari Aur
Barabar Muskurata Raha
Manager Bhi Bekar Mein Muskura Padha Lekin
Fir Uss Bewaqoofi Ka Ehsaas Hote Hi Fauran
Sanjheeda Ho Gaya
Nahi Pehchana.? Imran Ne Dostana Andaaz
Mein Kaha, Iss Saale Ko Badi Mushkil Se
Faans Kar Laya Hu
Imran Ne Yeh Baat Itni Zor Se Kahi Thi Ki
Tariq Aur Taimur Bhi Chaunk Gaye
Aur
Tariq Ne Imran Ko Ek Gandi Si Gaali Di
Tum Kaun Ho.? Manager Ne Narmi Se Pucha
Uska Revolver Wala Haath Aap Se Aap Niche
Jhuk Gaya Wo Imran Ke Khareeb Aa Gaya
Achanak
Imran Ne Lete-Hi-Lete Dono Paer Jodh Kar
Uske Pet Par Maar Diya Aur Wo Ek Bhayanak
Cheekh Ke Saath Taimur Par Jaa Gira….Dono
Farsh Dher Ho Gaye….
Tariq Sambhalo Inhe.! Imran Cheekha
Tariq Isse Pahle Hi Hoshiyaar Ho Gaya Tha….
Aur
Fir Unn Dono Ko Farsh Se Uthna Naseeb Nahi
Hua….
Tariq Aur Imran Ne Ghunse Maar-Maar Kar
Dono Ko Murga Bana Diya Dono Ke Revolver
Unse Bohath Dur Padhe Hue The
Ab Inhe Baandh Do….Imran Ne Kaha Resham Ki
Dori Mere Jeb Mein Hai
Unn Dono Mein Bilkul Taqath Nahi Rahe Gayi
Thi Iss Dauraan Unke Muh Se Ek Lafz Bhi
Nahi Nikla
Tariq Aur Imran Ne Unke Haath-Paer Baandh
Kar Unhe Ek Taraf Daal Diya
Yaar….Main To Darr Hi Gaya Tha Tariq Ne
Shikayathi Taur Par Kaha
Ustaad Maante Ho Ya Nahi.? Imran Ne Pucha
Maanta Hu Maine To Pahle Hi Kaha Tha Ki
Mujhe Tumhari Shagirdi Karni Padhegi
Fir
Tariq Ek Kursi Par Baith Kar Pipe Mein
Tambaku Bharne Laga
Tum Yahin Thahero Imran Ne Usse Kaha Main
Zara Dekhu Ki Wo Pethiyan Kaha Hai
Nahi Hai Wo Nahi Hai Tabhi Taimur Gala
Faadh Kar Cheekha
Abdul Mannan Kabhi Ghalath Baat Nahi Kehta
Abdul Mannan….! Dono Ke Muh Se Achanak
Nikla
Jee Haa Kahiye Imran Ne Banawati Munche
Ukhadi Aur Naak Par Se Plastic Ka Khol Bhi
Utaar Diya
Aur
Fir Muskura Kar Bola Ab Aap Log Chavanni
Wale Tamashaiyon Ki Tarah Taaliyan Bajaiye
Wo Unn Teeno Ko Wahi Chhod Kar Kamre Se
Nikal Gaya Unn Dono Ke Revolver Bhi Apne
Saath Leta Gaya
Kyun Taimur Sahab Ab Kya Khayal Hai? Tariq
Ne Pipe Sulga Kar Aaram Kursi Par Baithte
Hue Kaha
Tum Kya Karna Chahte Ho.? Taimur Ne Kaha
Main To Sirf Wo Pethiyan Le jaunga Aur Tum
Logon Ka Kya Hashr Hoga Iska Faisla Mera
Saathi Karega
Unn Pethiyon Mein Kya Hai.? Taimur Ne Pucha
Jo Kuch Bhi Ho, Mujhe Isse Bahez Nahi Karni
Hai
Unn Pethiyon Mein Lakhon Rupiyon Ka Maal
Hai Taimur Ke Hontho Par Shaitani
Muskurahath Naachne Lagi
Lekin
Tum Iska Faida Uthane Ki Himmat Bhi Nahi
Kar Sakoge Jaante Ho Unme Kya Hai.?
Jawaharath Ya Sona….! Tariq Ne Laparwaahi
Se Jawaab Diya
Iss Par Taimur Aur Uska Manager Zor Se Hass
Padhe
Bhole Ladke Taimur Ne Sanjheedgi Se Kaha,
Tum Jaldbaaz Ho Main Jaanta Hu Ki Tum
Taqathwar Aur Diler Ho
Yeh Bhi Jaanta Hu Ki Shaher Mein Daale Jane
Wale Bade Daakon Mein Taumhara Haath Zaroor
Hota Hai
Lekin
Tum Unn Pethiyon Se Koi Faida Nahi Utha
Sakte Kyun Ki Unme Cocin Hai….
Aur
Cocin Bech Lena Asaan Kaam Nahi Hai
“Cocin” Tariq Ke Haath Se Pipe Chhut
Gaya….Nahi Tum Mujhe Dhoka Dene Ki Koshish
Kar Rahe Ho
Wo Mardood Gaya Hai Abhi Tum Khud Dekh Lena
Tariq Ka Muh Latak Gaya Aisa Lag Raha Tha,
Jaise Wo Khud Ko Bewaqoof Mehsoos Kar Raha
Ho
Bolo Karte Ho Maamla Taimur Ne Use Khamosh
Dekh Kar Kaha, Iss Pure Maal Ke Nafe Par
Chautha Hissa Tumhara….
Aur
Yeh Chautha Hissa Pachaas Hazaar Rupiye Se
Kisi Tarah Kam Na Hoga
Tariq Kuch Na Bola
Chalo, Khol Do Hume Tum Iss Raaz Ko Jaan
Gaye Ho Isliye Tumhe Hissedar To Banana Hi
Padhega
Lekin Agar Tum Apne Waade Se Mukar Gaye
To….
Tumhare Haath Har Waqt Humari Gardanon Tak
Pahunch Sakenge Kyun Ki Tum Humare Raaz Ko
Jaan Gaye Ho
Haa, Acha Thik Hai Tariq Unhe Kholne Ke
Liye Utha Hi Tha Ki Imran Kamre Mein Ghusa
Yaar Abdul Mannan Usne Jhenpi Hui Hasi Ke
Saath Kaha Saari Mehnath Barbad Ho Gayi
Kyun Kya Hua….?
Tariq Ne Taimur Se Jo Kuch Suna Tha Dohra
Diya Aur Fir Bola, Nafe Ka Chautha Hissa
Kam Nahi Hoga Usme Se Aadha Tumhara….Aur
Aadha Mera Chalo Kholo Unhe
Mujhe Koi Aitraaz Nahi Hai; Magar Thahero,
Iss Tarah Inki Baat Par Yaqeen Kar Lena
Thik Nahi Hai
Inse Baqaida Ek Kaagaz Par Yeh Baat Likhwa
Li Jaye Aur Uss Kaagaz Ko Hum Apne Paas
Rakhenge Taaki Humesha Munafe Ki Raqm Hume
Milti Rahe….
Hum Kuch Likh Kar Hargiz Nahi Denge Taimur
Ghurraya
Tum Kya Tumhare Baap Bhi Denge Main Tariq
Ki Tarah Bhola Nahi Hu, Samjhe….Main Cocin
Ko Bechne Ka Bhi Intezaam Kar Sakta Hu
Nahi Tariq Unhe Utha Kar Uss Kamre Mein Le
Chalo Jahan Likhne Ki Mez Hai….Jaldi Karo
Yaar….Chalo Bhi
Unn Dono Ko Utha Kar Dusre Kamre Mein Laya
Gaya Yahan Phone Bhi Maujood Tha….Aur Lakdi
Ki 15 Adad Pethiyan Ek Dher Ki Surat Mein
Padhi Hui Thi
Tumhara Jo Dil Chahe Karo Taimur Cheekha
Lekin Hum Se Kuch Likhwa Kar Tum Hargiz
Nahi Le Jaa Sakte
Imran Hasne Laga Fir Usne Tariq Se Kaha,
Zara Apna Revolver To Nikaalna….Inhe Apne
Bohath Se Raaz Ugalne Padhenge
Tariq Ne Revolver Nikaal Kar Imran Ki Taraf
Badha Diya
Imran Ne Bayein Haath Mein Revolver Pakda
Aur Daayein Haath Se Tariq Ke Jabde Par Ek
Zordar Ghunsa Maar Diya
Arey….Arey….Yeh Kya….! Tariq Farsh Par Dher
Hota Hua Cheekha
Munafe Ki Raqm Ka Chautha Hissa Uska Aadha
Mujhe De Sakte Hoto De Do Imran Ne Use
Uthne Ka Mauqa Nahi Diya Us Par Badi Tezi
Se Ghunson Aur Laaton Ki Baarish Karta Raha
Abe, Kya Paagal Ho Gaya Hai….? Tariq Ne
Uski Gardan Pakadne Ki Koshish Karte Hue
Kaha
Nahi.! Na Aadha….Na Chauthayi Yeh Saari
Coci Main Hazam Karunga Mujhse Jo Bechegi,
Wo Mere Baal-Bachche Khayenge Imran Ne Kaha
Aur
Uska Haath Marod Kar Use Aundha Kar Diya
Fir Peet Par Ghutne Tek Kar Jeb Se Resham
Ki Teesri Dori Nikaali Aur Dekhte Hi Dekhte
Uske Haath Piche Ki Aur Baandh Diye
Iss Dauraan Tariq Ke Muh Se Gaaliyon Ka
Tufaan Umadhta Raha
Taimur Aur Manager Zor-Zor Se Haste Rahe
Kyun Tariq, Ab Kaisi Rahi Taimur Ne Jali-
Bhuni Awaaz Mein Kaha, Tum Ne Jo Kuaan Apne
Maalik Ke Liye Khoda Tha Usme Khud Bhi Gir
Gaye
Yeh Baat Tum Ne Pate Ki Kahi Hai Taimur
Sahab Imran Ne Sar Hila Kar Bola
Fir
Wo Phone Ki Taraf Badha Aur Kisi Ka Number
Dail Kar Ka Mouth-Piece Mein Bola
“Hello” Intelligence-Bereau….Captain Fayaz
Kaha Hai.?
Ghar Par….
Acha Shukriya.! Imran Ne Phone Disconnect
Kar Ke Number Dail Karne Jaa Hi Raha Tha Ki
Teeno Ek Saath Cheekhe
Tum Yeh Kya Karne Jaa Rahe Ho.?
Iss Cocin Ko Baatne Ka Intezaam Aakhir Main
Akele Kitna Khaunga Imran Ne Bohath Hi
Sanjheedgi Se Jawaab Diya….
Aur
Captain Fayaz Ka Number Dail Karne Laga
Tumhe Isse Kya Faida Pahunchega.? Taimur
Ghighiyaya
Chalo, Nafe Ki Aadhi Raqam Par Maamla Tai
Kar Lo
Tai Karne Ki Zaroorath Hai Nafe Ki Puri
Raqam Har Haal Mein Meri Hai Imran Ne Kaha
Fir
Mouth-Piece Mein Bola
“Hello” Kya So Rahe The.! Haa, Haa, Main Hi
Bol Raha Hu Meri Jaan
Abdul Mannan Yani Ali Imran M.sc, P.hd
Oxford….
Hello Haa Aao….Giraftaar Kar Lo Mujhe
Mister Taimur Bhi Yahan Maujood Hai Aur
Unke Manager Bhi….
Aur
Ek Teesra Murgha Jiski Tumhe Kaafi Dino Se
Talaash Thi….
Wahi Jisne Teen Maah Guzre Bank Of Bangkok
Mein Daaka Daala Tha
Uska Naam Tariq Hai….Wahan Ki Tijoriyon Par
Paye Jane Wale Ungliyon Ke Nishaanon Aur
Tariq Ke Ungliyon Ke Nishaanon Mein Tum Koi
Farq Nahi Paoge….
Acha, Tum Hi Batao Ki Main Kaha Se Bol Raha
Hu….Jefferson Road….Khaad Ki Factory Ke
Saamne Regal Ladge Se….
Yeh Imarath Taimur Hi Ki Milkiyath Hai….
Yeh Teeno Mujhe Achi-Achi Gaaliyan De Rahe
Hai
Isliye Fauran Aao….
Iss Waqt Mere Kabze Mein Lakho Ki Cocin
Hai….Haa, Meri Jaan Kyun Mazaa Aa Gaya Na….
Jaldi Aao….Kayi Raato Se Puri Neend Nahi
Naseeb Hui….Ari-Hip
Tt….Tu….Tum….! Taimur Hakla Kar Rahe Gaya
Haa Main Ali Imran Urf Abdul Mannan….Jo
Chaho Samajhlo
Tumne Mera Naam Pahle Bhi Suna Hoga
Kamre Par Khamoshi Chaa Gayi
Dusre Din Shaam Ko Captain Fayaz Imran Ke
Flat Mein Daakhil Hua
Imran Apne Naye Naukar Ko Darwin Ka Maamla
Samjha Raha Tha
Aur
Wo Itna Mashghul Tha Ki Use Fayaz Ke Aane
Ki Khabar Na Hui Ya Shayad Ho Gayi Ho
Imran Ki Baat Imran Hi Jaane
Baherhaal
Uske Andaaz Se Yahi Maalum Ho Raha Tha Ki
Use Fayaz Ke Aane Ki Khabar Nahi Hui Hai
Wo Apne Anpadh Naukar Se Kahe Raha Tha Ab
Limark Aur Darwin Ki Theory Mein Farq
Samajhne Ki Koshish Karo Samajhne Ki
Koshish Karoge
Jee Haa Sahab Naukar Ne Kaha Lekin Ek Sahab
Aye Hai
Hello….Super….Fayaz
Imran Darwaaze Ki Taraf Mudh Kar Cheekha
Bhai, Main Qayal Ho Gaya Fayaz Muskura Kar
Bola
Tum Iss Waqt Apni Zindagi Ka Ek Ahem Kaam
Anjaam De Rahe The
Baherhaal
Main Tumhe Ek Hairath Angez Khabar Sunane
Aya Hu
Haaye, Kya Bachcha Hua Hai Tumhare.! Imran
Khushi Se Cheekh Kar Khada Ho Gaya
Fayaz Sirf Bura Sa Muh Bana Rahe Gaya
Lekin
Usne Jeb Se Ek Lifafa Nikaal Kar Imran Ke
Saamne Daal Diya
Imran Lifafe Se Khat Nikaal Kar Zor Se
Padhne Laga
“Fayaz Sahab”
Main Irshad Hu Akhbaaron Mein Taimur And
Bortle Ke Karnaamon Ke Baare Mein Padhne Ke
Baad Aap Ko Yeh Khat Likh Raha Hu Main Bhi
Uss Firm Ka Hissedar Tha, Lekin Unke Ghair-
Khanooni Business Mein Main Shaamil Nahi
Tha Kaafi Dino Se Mujhe Unn Logon Par Shak
Tha, Lekin Main Khul Kar Koi Baat Nahi Kahe
Sakta Tha Kyun Ki Mere Paas Apne Daave Ki
Daleel Mein Koi Thos Saboot Nahi Tha Mujhe
Kuch Logon Se Sirf Itna Maalum Ho Saka Tha
Ki Wo Ghair-Khanooni Taur Par Koi Karobaar
Karte Hai Maine Apna Paisa Uss Firm Se
Nikaal Ne Ki Koshish Ki Lekin Taimur Ke
Hathkandon Ne Mujhe Usme Kaamyaab Na Hone
Diya Main Police Se Bhi Shak Ka Izhar Kar
Sakta Tha Lekin Zaahir Hai Ki Mujhse Saboot
Zaroor Maanga Jata….Isliye Maine Kaafi
Ghaur Karne Ke Baad Police Ka Dhyaan Iss
Firm Ki Taraf Dilane Ke Liye Yeh Saara
Drama Kiya Tha Haddiyon Ke Dhaanche Ki
Haqeeqat To Aap Par Saaf Ho Chuki Hogi Iske
Alawa Aur Dusri Baate Bhi Sau Feesadi
Ghalath Thi Raziya Ke Vanity-Bag Mein Main
Hi Saanp Rakhwaya Tha Aur Wo Saanp Naqli
Tha Main Jaanta Tha Ki Wo Uss Din Yaqeeni
Taur Par Showroom Mein Jayegi Baherhaal
Main Apne Maqsadh Mein Kaamyaab Ho Gaya
Lekin Aap Ki Kaamyaabi Bohath Badi Hai Yeh
Sab Kuch Kar Daalne Ke Ba-Wajood Bhi Mujhe
Yaqeen Nahi Tha Ki Police Unki Ghair-
Khanooni Harkathon Ka Suraag Paa Legi
Baherahaal Meri Taraf Se Mubarakbad Qubool
Farmaiye Main Do-Teen Baad “Irshad Manzil”
Mein Wapas Aa Jaunga
Khat Khatm Kar Ke Imran Ne Bra Sa Muh
Banaya Fir Bola
Yeh Kusath Yehi Samajhta Hai Ki Uski Iss
Harkath Ki Bina Par Kaamyaabi Hui Hai
Halaanki Maine Bohath Pahle Tumse Kaha
Tha….
Tumhe Yaad Hoga Ki Maine Tumse Kaha Tha Ki
Irshad Wale Maamle Ki Jitni Zyada Publicity
Ho Utna Hi Acha Hai
Aur
Raziya Ke Bag Wale Saanp Ki Publicity Khaas
Taur Par Ki Jaye….
Kyun Ki Mujhe Pahle Hi Shak Ho Gaya Tha Ki
Irshad Iss Tarah Kisi Khaas Waqiye Ki Taraf
Ishara Karna Chahta Hai Jisme Taimur And
Bortle Wale Shaamil Hai….
Taimur And Bortle Wale Kisi Ghair-Khanooni
Harkath Ki Taraf Maine Irshad Ki Iss
Harkath Se Pahle Hi Ishara Kiya Tha….
Aur
Khuda Kare
Tumhari Aqal Par Itne Patthar Padhe Ki Tum
Dusri Shaadi Kar Ke Apne Maujooda Ohde Se
Istifa De Do….Tum Meri Giraftaari Ka
Warrant Laye The….Khuda Tumhe Gharath
Kare….!
Fayaz Khamosh Hi Raha
Fir
Thodi Der Baad Bola
Aakhir Irshad Akela Kyun Rehta Hai.?
Haa.! Kyun….? Yeh Koi Khaas Baat Nahi Use
Aadmiyon Se Zyada Billiyan, Khargosh, Kutte
Aur Pareende Pasand Hai
Aadmiyon Mein Use Sirf Naukar Pasand Honge
Jo Uski Har Baat Ko Chu-Char Kiye Baghair
Qabool Kar Lete Honge….!
Magar Mujhe Uske Liye Kuch-Na-Kuch To Karna
Hi Padhega Fayaz Ne Kaha
Kuch Apne Liye Bhi Karo Super Fayaz.! Imran
Sanjheedgi Se Bola
Cocin Ki Smugling Ke Silsile Mein Abhi
Tumhe Custom Mein Bhi Ek Party Ka Pata
Lagana Hai….
Jiski Madad Ke Baghair Taimur Kaamyaab Ho
Hi Nahi Sakta Tha
Yaqeenan
Uss Party Ke Log X-539 Ki Pethiyon Ko
Inspection Se Bachaye Rakhte Honge….
Wo Sab Ho Chuka Hai Taimur Ko Sab Kuch
Ugalna Padha Hai Teen Aadmi Custom Se Bhi
Giraftaar Kiye Jaa Chuke Hai.! Fayaz Ne
Kaha
Acha, To Bas Ab Khisak Jao Main Tilism-E-
Hatimtai Padhne Jaa Raha Hu
Imran Ne Kaha Aur Bura Sa Muh Bana Kar Sar
Khujane Laga

The End

You might also like