You are on page 1of 10

Bichad ke mujhse kabhi tumne ye bhi socha hai

adhura Chand bhi kitna Udaas lagta hai


ye khatam-e-wasal ka Lamha hai,Rayegan na samajh
ke iske bad wahi dooriyon ka Sehra hai
kuch aur der na jhadna Udassiyon ke Shajar
kise Khabar tere Saye me kaun baitha hai
ye Rakh rakhao Muhabbat sikha gayi usse
wo rooth kar bhi mujhe Muskura ke milta hai
mai kis tarah tujhe dekhun Nazar Jhijakti hai
tera badan hai ye ke Ainon ka darya hai
kuch is qadar bhi to asaan nahi hai ishq tera
ye zehar Dil me utar ke hi Raas ata hai
mai tujhe paa ke bhi khoya hua sa rehta hun
kabhi kabhi to tune mujhe thik samjha hai
mujhe khabar hai ke kya hai Judayion ka azaab
ke maine Shaakh ko Gull se bichadte dekha hai
mai Muskura bhi pada hun to kyoon Khaffa hain log
ke Phool tooti hui Qabar pe bhi khilta hai
isse ganwah ke mai is tarah Zinda hun Mohsin
ke jaise tez Hawa me Chiraagh jalta hai

Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko HosIa Detay ..!!
Yahi Buhat Tha Keh Har Ghum Peh Muskura Detay..!!


Hawa ki Doorr UIajti Jo UngIiyun Say Kabi..!!
Hum Aasmaan Peh Tera Naam Tak Saja Detay..!!


Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhm DiI Ki JaIak...!!
Hum Aai'ney Ko Bhi Apni Tarah RuIaa Detay..!!


Humein Bhi Roshin'ion Par Jo Dastaras Hoti ..!!
Kabi Chiragh JaIatey Kabhi Bhujaa Detay..!!


Hamaray Paoon Hawa'on Ki Zadh Mein Thay Warna..!!
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay...!!


Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein..!!
Woh Khuwaab Bhi Toa Nahe Tha Keh Hum BhuIa Detay..!!
------------------------------------------------------------------------------

Ussi Kay Wastay Mohsin Kahe Hay Taza GhazaI..!!
Hum Uski SaaIgira Par Ab Aur Kiaa Detay...?????

Hamaray Baad ChaIi Rasm-e-Dosti Keh Nahe..??


Hawa Ki Zadd mein Koi Shamaa Phir JaIi Keh Nahe..!!


Bichar kay Jab Bhi MiIay Mujse , Pochta Hay Woh Shaks..!
Keh In Dinoo Koi Taza GhazaI Howe Keh Nahe..??


Suna Hay Aam Thi KaI Shab Ko Chaand Ki Bakhshish...!!
Bujey Gharoon Mein Bhi Uthri Hay Chandni keh Nahe..??


NikaI Kay Jissey Howa Apna Dard Awara...!!
Kisi Kay DiI Mein Woh MehfiI Bhi Phir Saji Keh Nahe..??


Woh Reh-guzar Jo Andheroon Mein Saans Leti Thi..!!
Tumharay Naqsh-e-Qadam Say Chamak Utti Kay Nahe..??


Diyaar-e-Hijar Say Aye Hoo Kuch Kaho Mohsin..!!
Keh Shaam-e-Ghum Bhi Kisi Morr Par MiIi Keh Nahe...???

Tujey Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!


Yea Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Hona Tha..!!


Namuu Ka Runj Na Abar Gureez-pa Say MaIaaI..!!
Keh Mujko Baanj Zamenoon Mein Beej Bona Tha ..!!


Yea Kia K Gird-e-Raah-e-Raf'tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!


Jo Dastaan Ussey Kehna Thi Phir Na Ghuftaa Rahi ..!!
Keh Main Bhi Thakk Sa Gaya Tha,, Ussey Bhi Sona Tha..!!


Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
KhuIi Jo Aankh Toa Sehra Mera Bichoona Tha..!!!


Lut-tey Kahan Keh Sahib-e-Jageer Hum Na Thay..!!
Noor Jahan Na Thi Woh, Jahanghir Hum Na Thay..!!


Apni Dua Say Maa'nid Na Parta Kisi Ka Hussan..!!
Itnay Barey Toa Sahib-e-Taa'seer Hum Na Thay..!!


MiIta Raha Woh Khuwab Mein Kitnay KhuIoos Say..!!
Aankhein KhuIein Toa Khuwab Ki Tabeer Hum Na Thay..!!


Hum Ko Na Dhe Piyaam-e-Rehayee Hawa-e-Subah..!!
Wajeh-e-Khuroosh -e-Khana Zanjeer hum Na Thay..!!


Har Door-e-Be-sadda Mein Har Ek ZuIm Kay KhiIaaf..!!
Hum Ko Hi BooIna Tha Kay Tasweer Hum Hi Thay..!!


Sub AhI-e-Shaher Phir Dar-e-Dhushman Peh Jhuk Gaye..!!
Mohsin KhuIaa Keh Shaher Ki Taqdeer Hum Na Thay...!!!

Barka'ein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein..!!


Sehra Mera Chehra Hay, Samander Teri Ankhein..!!


Phir Kaun BhaIa Daad-e-Tabassum Inhein Dega..!!
Roo'yein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein..!!


KhaIi Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki HatheIi ..!!
Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein..!!


BoojaI Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin..!!
KhuIti Hein Buhat DiI Mein Uther Kar Teri Ankhein..!!


Ab Takh Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mitt'ta
Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer, Teri Ankhein..!!


Mumkin Hoo Toa Ek Taza GhazaI Aur Bhi Keh Loon..!!
Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader, Teri Ankhein..!!


Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon..!!
Shayid Muje Dekhein Ghi PaIat Kat Teri Ankhein...!!


Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin..!!
Woh Kaanch Ka Pekar Hay Toa Pather Teri Ankhein..!!
Zikar-e-Shab-e-Firaaq Say Wehshat Ussey Bhi Thi..!!
Meri Tarah Kisi Say Muhabat Ussey Bhi Thi...!!


Mujko Bhi Shoq Tha Naye Chehroon Ki Deed Ka..!!
Rasta BadaI Kay ChaInay Ki Aadat Ussey Bhi Thi..!!


Uss Raat Dher Takh Raha Woh Mehw-e-Guftagoo..!!
Masroof Mein Bhi Kam Tha,, Faraghat Ussey Bhi Thi...!!


Mujse Bichar Kay Shaher Mein GuII MiI Gaya Woh Shaks..!!
HaIankay Shaher Bhar Say Adawat Ussey Bhi Thi...!!


Woh Mujse Bhar Kar Zabt Ka Aadi tha... Jee Gaya..!!
Warna Har Eik Saans Qayamat Ussey Bhi Thi...!!


Sunta Tha Woh Bhi Sub Say Purani Kahaniyaan..!!
Shayid Rafaqatoon Ki Zarorat Ussey Bhi Thi..!!


Tanha Howa Safar Mein Toa Mujpar KhuIa Yea Ba'ed ..!!
Saye Say Pyaar , Dhoop Say Nafrat Ussey Bhi Thi..!!!


Mohsin Mein Ussey Keh Na Saka Yun Bhi HaaI-e-DiI..!!
Darpaish Ek Taza Mosibath Ussey Bhi Thi....!!!
Kander Ankhon Mein Ghum Abaad Karna..!
Kabhi Fursat MiIay toa Yaad Karna..!!


Aziyat Ki Hawas Bujnay Lagi Hay..!!
Koi Taza Sitamm Ejad Karna..!!


Kaye Sadiyan PigaInay Ka AmaI Hay..!!
Badan Say Rooh Ko Azad Karna...!!


Abhi Kaisi Paristash Bij'Iion Ki...!!
Abhi Ghar Kis Leye Barbad Karna..!!


Tumhara Jhoot, Sach say Moth'bher Hay..!!
Meray Haq mein Bhi Kuch Irshad Karna..!!


Ajab Hay Dhop Cha'on Hijar'ton Ki...!!
Kabhi Hans'na Kabhi Faryaad Karna..!!


Jahanum JheInay Say Bhi ..Kattin Hay..!!
Anaa Ko Khogar-e-Bedaar Karna...!!


Kabhi Pathar Say Sarr Takra Kay Mohsin..!!
Adaa Qarz Sar-e-Farhaaad Karna..

Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna..??
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kia Rakhna..??


Apnay Jaisa Koi MiIta Hi Nahe...!!
Aankh Mein DoIat-e-Ghum Kia Rakhna..??


Baat Chup Reh Kar Bhi Hoo Sakti Hay..!!
Paas Qirtaas-o-QaIam Kia Rakhna...??


Aaoo KashkooI Ko NeIaam Karein..!!
Qarz-e-Arbaab-e-Karam Kia Rakhna..??


Fikar-e-Araish-e-MaqtaI Mein Rahoo..!!
Mehr-o-Mezaaan-e-AIam Kia Rakhna..??


Uski Yadoon Ko Ghanimat Janoo...!!
Is Ta'Iuq Ko Toa Kam Kia Rakhna...??


Hans Bhi Lena Kabi Khud Per Mohsin..!!
Har Gari Aankh Ko Numm Kia Rakhna..??

Azad-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay..!!


Mein Sharam-saaz Howa Teri Justaju Kar Kay...!!


Kander Ki Teh Say Bareeda Badan Sarron Kay Siwa..!!
MiIIa Na Kuch BHi Khazanoon Ki Aarzo Kar Kay...!!


Suna Hay Shaher Mein Zakhmi DiIoon Kar MeIa Hay..!!
ChaIein Hum Bhi Magar Pair'hen Rafoo kar Kay...!!


Musafat-e-Shab-e-HIjraan Kay Baad Ba'ed KhuIa..!!
Hawa Dukhi Hay ... Chiraghon Ko Be-A'abro Kar Kay...!!


Zameen Ki Piyaas Ussi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye..!!
Woh Khush Howa Tha Samunder ko Aa'a-Bajo Kar Kay...!!



Yea Kisnay Humsey Lahoo ka Khiraaj Phir Mangha..!!
Abhi Toa Soye Thay MaqtaI Ko Sur'khuru Kar Kay...!!


JaIoos-e-AhI-e-Wafa Kis Kay Dar Peh Puhancha Hay...??
Nishan-e-Tooq-o-Fa-zeenat GiIoo Kar Kay...!!


Ujaar Rutt Ko GhuIabi Banaye Rakhti Hay...!!
Hamari Aankh Teri Deed Say Wuzo Kar Kay...!!


Koi Toa Habs-e-Hawa say Yea Pochta Mohsin..!!
MiIIa Hay Kia Ussey KaIi'yun Ko Be-Namo Kar Kay...!!!

Hijr Ki Shaam Deyaan Mein Rakhna..!!


Ek Diaa Bhi Makaan Mein Rakhna...!!

Aa'yenay Baichney Aye........Ho...!!
Chund Pathar Dhukaan Mein Rakhna..!!

Aye Zameen Hashar Mein Bhi Maa'n Ki Tarah..!!
Mujko Apni Amaan Mein Rakhna...!!

Teer PaItey Toa DiI Na Zakhmi Hoo..!!
Yea Hunnar Bhi Kamaan Mein Rakhna..!!

Eik Duniya Yaqeen Say Roshan Hoo..!!
Eik Aa'Iam Ghumaan Mein Rakhna...!!

Khud Peh Jab Bhi GhazaI Suno Mujse..!!
Aa'yena Darmiyaan Mein Rakhna...!!

DiI Say NikIay Na Yaad QaatiI Ki..!!
Yea Shikaari Ma'chaan Mein Rakhna..!!

Jab Zameen Ki Fiza Na Raas Aye..!!
Aa'smaan Ko Uraan Mein Rakhna...!!

Mar'seya Jab Likhoo Baharoon Ka....!!
Zakhm Koi Zubaan Mein Rakhna...!!

Khud Bhi Wahe'moon Ki JaaI Mein Rehna...!!
Usko Bhi Imti'haan Mein Rakhna...!!

Itni Ruswa'iyaan Bhi Kia Mohsin ...??
Kuch Bharam Toa Jahan Mein Rakhna...!!!

Wo Bazahir Jo Zamaney Say Khafa Lagta Hay..!!


Hanns Kay BooIey Bhi Toa Duniya Say Judda Lagta Hay..!!

Aurr Kuch dheirr Na Bujne Dhe Issey Rab-e-Saher..!!
Doob'ta Chaand Mera Dast-e-Duaa Lagta Hay...!!

Jis'say Moun Pairr Kay Rastey Ki Hawa Guzri Hay...!!
Kisi Ujray Howey Aanghan Ka Diaa Lagta hay...!!

Ab Kay Sawan Mein Bhi Zardii Na Gaye Chehroon Ki..!!
Aisay Mausum Mein Toa JungIe BHi Harra Lagta Hay...!!

Shaher Ki Beer Mein KhuItey Hein Kahan Uskay Naqoosh..!!
Aa'oo Tanhayee Mein Sochein Keh Woh Kiya Lagta Hay...!!

Mounn Chupaye Howey Guzra Hay Jo Eh'baab Say Aaj...!!
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta hay...!!

Abb Toa Mohsin Kay Tasawar Mein Utter Rab-e-JaIeeI...!!
Iss Udasi Mein Toa Pathar Bhi Khuda Lagta Hay.....!!!

Shikasta Aa'inoo Ki Kirchian Achi Nahe Lagthein..!!


Muje Wadoon Ki KhaaIi Seephiyan Achi Nahe Lagthein..!!


Guzishta Rutt Kay Ranghon Ka Asar Dekho Keh Ab Mujko..!!
KhuIey Aanghan Mein Urthi TittIiyan Achi Nahe Lagthein..!!


Woh Kia Ujaar Nagar Tha Jisski Chahat kay Sabab Ab Takh..!!
Harri Bay'Ioon Say UIjee Tehni'yaan Achi Nahe Lagthein...!!


Dabhey Pa'on Hawa Jin Kay Chiraghoon Say BaheIthi Hoo...!!
Muje Aisay Gharoon Ki Khirkiyaan Achi Nahe Lagthein...!!


BhaIey Lagtey Hein Toufanoon Say Lartey Baadbaan Mujko...!!
Hawa Kay Rukh Peh ChaIti kashtiyaan Achi Nahe Lagthein..!!


Yea Keh Kar Aaj Ussey Bhi Tau'Iuq Torr Aya Hoon...!!
Meri Jaan Mujko Ziddi Larkiyaan Achi Nahe Lagthein...!!


Kisi Ghar Mein Rassn Basta Rahen Jo Raat Din Mohsin ..!!
Mujey Akser Woh Sehmii Hirniyaan Achi Nahe Lagthein ...!!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!


Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

Kaisay Hotey Hein Bicharnay WaIay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

DiI Jo Tootey Toa Sar-e-MehfiI Bhi..!!
BaaaI Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney WaIay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

KhaaIi Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!

Jiski Qismat Hi Dar-Badar Tehray ..!!


Woh Bhuja Chand Kis Kay Ghar Tehray..!!


Umar Guzri San'waartey DiI Ko..!!
Kaash Woh DiI Mein Lamha Bhar Tehray..!!


Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan..!!
Jiski ManziI Hi Rehguzar Tehray..!!


Uski Qeemat , Azaaab Suraj Ka..!!
Woh Sitara Jo Taa-Saher Tehray..!!


Uss Ki Ankhein Udher Gaye Hi Nahe...!!
Log Kya Kya Na Morr Per Tehray..!!


Hum Say Kaisa Ha'zer Hawa-e-Safar..!!
Hum Toa Gird-e-Raah-e-Safar Tehray..!!


Jukh Kay Chomey Na Kyun FaIak Mohsin ..!!
Jab Sinaa'n Par Kisi Ka Sarr Tehray..!!
Roshan Kiye Jo DiI Nay Kabhi Din DhaIey Chiragh..!!
Apnay Ujaar Ghar Mein Lagey..!! Kya BhaIay Chiragh...!!


Shayid Mera Wojood Ki Sooraj Tha Saher Mein..!!
Mein Bujj Gaya Toa Kitnay Gharoon Mein JaIey Chiragh..!!


Darya Ki Te'h Mein Kitnay Siraroon Ka Aks Tha..!!
Pani Kay Saath Saath kahan Takh ChaIey Chiragh...!!


Aye Sub'ho Ki Shareer Kiran Inn Ka Ehtiraam..!!
Tayy Karr Gaye Hein Shab Kay Sabhi MarheIay Chiragh...!!


Kyun'kar Na Hum Bhujein Tujey MiIker, Keh Bazam Mein..!!
Sooraj Tera Badann Hay Toa Hum DiI-JaIey Chiragh...!!


Mohsin Woh Dhoondta Tha Kissey PichIi Raat Ko..??
Aankhein Hawa Ki Zadd Mein Thein ..Damann TaIey Chiragh..!!

QataI chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khuIny Iagy maqtaI bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar saIamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki taIqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugaIty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohIat na miIy
ShoIy ugtay nazar aay mujhy guIzar k bech

dhaIty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, maIbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech..

Kaash hum khuI k zindagi kartay


Umar guzri hai khud kushi kartay

bijIian iss taraf nahi aaiin
warna ham ghar main roshni kartay

kaun dushman teri tarah ka tha
aur ham kis say dosti kartay

ishq ijrat taIab na tha warna
hum teray dar pay nokri kartay

iss tamanna main ho gaye roswa
hum b jee bhar k aashqi kartay

hussn aus ka na khuI saka muhsin
thak gaye Iog shayeri kartay

You might also like