You are on page 1of 2

Maa ke pet se marghat tak hai

Teri kahani pag pag pyaare


Dangal dangal, dangal dangal
Sooraj tera chadhta dhalta
Gardish mein karte hain taare
Dangal dangal

Dhadkane chhaati mein


Jab dubak jaati hain
Peeth thapthapa unko phir jaaga
Baat ban jaati hai

Baawle haathi si
Har chunauti hai re
Saamne khadi ghoor ke badi
Aankh dikhlati hai
Toh aankh se uski aankh mila ke
Bhid jaane ka naam hai pyaare
Dangal dangal, dangal dangal

Sooraj tera chadhta dhalta


Gardish mein karte hain taare
Dangal dangal, dangal dangal

Thhos majboot bharosa


Apne sapno pe karna
Jitne muh utni baatein
Gaur kitno pe karna

Aaj logon ki baari


Jo kahe keh lene de
Tera bhi din aayega
Uss din hisab chukake rehna aa..

Arre bhed ki hahakaar ke badle


Sher ki ek dahaad hai pyaare
Dangal dangal, dangal dangal

Sooraj tera chadhta dhalta


Gardish mein karte hain taare
Dangal dangal, dangal dangal
Dangal dangal, dangal dangal

Kar dikhane ka mauka


Jab bhi kismat deti hai
Gin ke taiyari ke din
Tujhko mohlat deti hai

Maangti hai laagat mein


Tujhse har boond paseena
Par munaafa badle mein
Yeh jaan le behad deti hai eh

Re bande ki mehnat ko kismat


Ka saadar parnaam hai pyaare
Dangal dangal, dangal dangal

Sooraj tera chadhta dhalta


Gardish mein karte hain taare

You might also like