You are on page 1of 9

Kritaghn Bharatvanshi..

Bharat Vasrh ek pramparavaadi , sanskaari , sanskratik , aur uchein natik mulyoin ki virasat vaala desh mana jaata hai .. Is desh ka pauranik sahitya aisi anek prerak kathayoin se bhara hua hai jinhe padh kar lagta hai ki humne awashya ki kuch punya arjit kiye honge tabhi to itni mahan virasat ke uttaradhikaari ke roop main yaha janm liya hai.. par aaj yadi hum apne charoin ore dekhein to kya dikhta hai?

Kya hum apni viraasat ki raksha kar paye hain? , kya hum parampraoin ko nibha rahe hain? Kya hum sanskaari hain? Kya humare natik mulya zinda hain? Aakhir kahan hai vo log jinhone sharan main aaye pakshi ke liye apne sharer ka maans daan main diya? Kahan hai ve log jinhone satya ki raksha ke liye swayam ko parivaar sahit bech diya? Kahan hai ve log jinhone pita ki icha ke liye 14 varsh ka vanvaas sweekar kiya? Kahan hai vo log jinhone balyavastha ki parvaah na karte hue desh ki sena se yudh kiya taaki ve apni mata ko

samman dila sake? Kahan hai vo log jinhone apne angoothe katva diye? Kahan hai ve log jinhone dharma ke liye vanvaas aur agyatvaas bitaya? Kahan hai ve log jinhone choti si umra main chakrvyooh ka bhedan kiya tha? Kal bharat vasrh ki swatantrata ke adhaarshila rakhne vale manneey Shaheed Sukhdev ji ke parivvar se sambandh rakhne vale Shree Arjun ji ne Shree Rajguru ke parivaar ke saath hue vyavhaar ka ullekh kiya to meri gardan sharm se jhuk gayee , fir is sahrm ne ek

aakrosh ka roop le liya aur maine apne aap se poocha ki kya humne vaastav main apni viraasat ko samhal ke rakha hai? Hum itne dhoort hain ki humari bhalayee ke liye jin logoin ne hunste hue balidaan diya , humare behtar bhavishya ke liye jinhone apna jeevan nyochavar kar diya , aaj hum unki niji bhoomi ko bhi hadap baithe.. Dhikkaar hai hum par.. Tamam bharat vaasiyoin ka yah vishvaas raha hai ki yadi M K

Gandhi ne us samay prayatn kiye hote to sambhavtah unki fansi taali ya roki ja sakti thee , yah to pata nahi ki is baat main kitna satya hai fir bhi yadi aisa tha to yah Mahtma Gandhi ke alag charitra ka hi ek ang raha hoga ho sakta hai ki vo in teen mahan aatmayoin ke vyatitva kea age apni varshoin ke mehnat ko bahut chota hota dekh rahe ho.. Desh ki yuva shakti ke unke prati badhte lagaav ko apne liye ek raajneetik khatre ke roop main dekh rahe hoin , vajah job hi ho is baat is inkaar nahi kiya ja sakta ki Mahtma aur Pandit ji

ke mukhaotoin ko oodh chuki congress in krantikaariyoin ko apne shatru samajh rahee thee isiliye tab se lekar aaj tak unki upeksha hoti rahi.. Aur aaj jab yah pata chala hai isi congress ke logoien ne Shree Rajguru ke parivaar ke saath fir se upeksha ki hai to ek baar fir se neeyat main khot dikhayee de raha hai.. Hum apni viraasatoin ko lekar to aapas main bhid jaate hain ki Ram aur Krishna ke hone ka koi pramaan nahi to in batoin ka

kya laabh par is baat ke pramaan prastut karne ki koi awashykta nahi ki Desh main Kabhi Bhagat , Rajguru , ya Sukhdev jaise kraantikaari hue the aur ve humare behtar bhavishya ke liye alp aayu main hi kaal ke gaal sama gaye the.. isliye inke upakroin ko na bhoolte hue yah prayaas kare ki yah mudda jyaada se jyaada logoin tak pahuche , aap jinse bhi mile unhe iske bare main batayein.. Ek vyakti jo humare aur aapke liye jeevan tyaag chukka hai uske parivaar ko yadi hum yah ehsaash na dila paye ki hum unke saath hain to

humari peedhi per kritaghn bharatvanshiyoin ki peedhi hone ka kalank lag jayega.. Adhi jaankaari ke liye sampark karein.. Shri Arjun Thapar.. contact nos
7206375580 and 9268680760 He is from Sukhdev ji Family Shri Rajguru Family Can be contacted on 9822012003 Contact person Shree Satyasheel Rajguru.. Dhanyvaad

Shailendra

You might also like