You are on page 1of 10

Kach Dhaga

Maqsood Hasni

Ashya ki manivat khatam nahain hoti likin waqt gozarnay kay sath
sath kaam aur phir os cheez ko meaz umer-e-rafta ki yaad’gar ka
darja hasal ho jata hai. Mohabat ki kabhi maniviat khatam nahain
hoti. Yah wo reshta hai jo hamaisha motabar aur mohtaram rehta
hai. Aasha Parbhaat say maira khoon ka reshta na’sahi likin woh
mairay liay apni sagi bhen say bhar’kar rahi hai. Mein ossay
kabhi aur kisi moor par bhool nahain saka. Her saal RAKHI kay
tehwar par mairi aakhain dehleez par baiti rahi hain. Rakhi
daikhnay ko meaz eak kacha dhaga hai likin apni mazboti main
mongay ki chatan say bhar kar mazboot hota hai.
Es post kay sath Aasha Parbhaat ki taraf say mosool honay wali
rakhiaan aur 5 khtoot shamil kar raha hoon.
Allah karay woh thek ho aur Eshvar ki aman main ho. Khatoot niji
cheez hotay hain likin apnay walihana’pun kay hawala say bari
maniviat rakhtay hain. Adbhi tehreroon main shaed hi koe en say
ziyada sacha aur khara raha ho. Rakhi ka ehtaram koe aasan
kaam nahain likin es main reshtay ki iazzat dil ki somondar
gehraeoon main mehsus ki jati hai.
Maqsood Hasni

You might also like