You are on page 1of 3

GHAIR ULLAH SE DUA MANGNA SHIRK HAI...

JISKI SAZA JAHANNUM


HAI JISME WO HAMESHA RAHENGE
DUA IBAADAT HAI

Hazrat Muhammed (sallallahu alaihi wasallam) Ne farmaya "Dua hi ibadat hai, phir Aap (SAWL) Ne ye
Aayat padhi "Tumhare RAB kehta hai Mujh se Dua mango Me tumhari Dua khubool karunga" (Ahmed,
Termizi,Nasai Aur Ibne majah)
Aur jo log Allah ke saat kisi Nabi, wali,ya kisi Aur buzrug ka wasila lagate hai aur is ibaadat me shareek
karte hai wo jahannum me daale jayenge
Muhammed (sallallahu alaihi wasallam) Ne farmaya "Jo Shakhs is haalat me margaya ke Dua me Allah
ke Siwa kisi Aur dusre ko Shareek karta thaa (wo jahannum ki) Aag me Dakhil huwa"(BUKHARI)

Allah ne farmaya "Jin hastiyon ko ye log pukarte hai aur Allah ke takharrub ke liye waseela samajhte hai
wo khud khurb ki talaash me hai aur wo usi ki rahmat ke umeedwar rahte hai aur (wo neyk bande) us ke
Azaab se darte rehte hai beshak Aap ke Rab ka Azab darne hi ke layakh hai"(Al-Isra, Ayat no 57)


"Aur ye log Allah ke siwa unki parastish karte hai jo unko na nafah pahuncha sakte hai Aur na nukhsaan
aur kehte hai ke ye Allah ke paas hamare Sifaarshi hai, Aye nabi inse kaho Kya tum Allah ko Ayesi cheez
ki khabar dete ho jo Allah ko malum nahi (jiska wajud na Asman me hai na zameen me) Wo paak wa
bartar hai, Is Shirk Se jo ye karte hai"(Younus, Ayat No 18)

"Aur jin logon ne Allah ke siwa Auron ko kaarsaaz (mushkil kusha, hajat rawa) bana rakha hai (aur kehte
hai ke) hum inki ibaadat sirf Isliye karte hai ke wo hame Allah se khareeb kardenge, yakhinan Allah inke
darmiyaan un tamaam baaton ka faisla kardega jin me wo ikhtilaaf kar rahe hai, beshak Allah Ayese
shakhs ko Hidayat ni deta jo jhoota aur kufran e nehmat karne wala ho"(ZUMAR, AYAT 3)

Ghair ullah se Dua mangna sobse badi gumrahi aur Shirk hai

Allah ne Farmaya " Aye Nabi (sawl) in se kehdi jiye ke "Me Apne hi liye kisi nafah aur nukhsaan ka
ikhtiyaar nahi rakhta siwaye iske jo Allah chahe Aur Me Ilm e ghaib janne wala hota to bohut faida hasil
karleta aur Mujhe koi nukhsan na pahunchta"(Araaf, ayat No 188)

Allah ne Farmaya:

"Sirf isi (ALLAH) ko pukaarna barhakh hai Allah ke Siwa jin hastiyon se ye DUA mangte hai wo unki Duaon
ka koi jawaab nahi desakte, unse Dua mangna Ayesa hi hai jayse koi Shakhs paani ki taraf haath pheylaye
taa'ke Paani uske muh tak Pahunch jaye halanke pani ustak pahunchne wala nahi hai, Kaafiron ki Duayen
bekaar aur abs shey ke Siwa kuch bhi nahi" (Raad 20, ayat No 14)............."Jab ye log kashti par sawaar
hote hai to apne Deen ko Allah ke liye khaalis karke us se Dua mangte hai phir jab wo inhe bacha kar
khushki par ley Aata hai to phir Shirk karne lagte hai" {29:65}

Aajkal bahut se Jahil musalman aur unke peer, mullahi Khabaron, dargahon par jakar unke liye Dua
karne ke bajaye pehle ke Mushrik, yahud,nasara, ki tarha ultha unse Dua mange hai...

ALLAH NE FARMAYA
"Aur jo log Allah ke Siwa jin ghair ullah ko madad ke liye pukaarte hai, wo kisi cheez ko paida nahi kar
sakte balke wo khud makhlukh hai, Murda hai, Zinda nahi hai aur unhe khabar nahi ke wo khud kab
uthaye jayenge"(Nahl 16, Ayat No 20-21)


"us shakhs se zyada gumrah aur kon hoga jo Allah ko chor kar unko pukaare jo Khayamat tak jawaab
nahi desakte balke is se bhi bekhabar hai ke Mushrik unhe pukaar rahe hai"(Ahkhaf, Ayat No 5)

"Beshak Jinhe tum Allah ko chor kar pukarte ho wo tumhare hi jayse bande hai so agar tum sache ho to
unhe pukaro phir unhe chahiye ke tumhe jawaab dey"(Araaf, Ayat No 194)


"Aye logon! ek misaal dijaati hai ise ghour se Suno, Allah ko chor kar jin mahboodon ko tum pukaarte ho
wo sab milkar ek makhhi bhi Paida nahi kar sakte balke makhhi agar unse koi cheez cheenle jaye to wo
use chora bhi nahi sakte madad chahne wale bhi kamzoor aur jinse madad chahi jaati hai wo bhi
kamzoor, in logon ne Allah ki khadar hi nahi pehchani jaysa ke uske pahchanne ka hakh thaa,hakhikat ye
hai ke khuwat aur Izzat wala to Allah hi hai" { Hajj 22, Ayat 73-74}........................................"Jin logon ne
Allah ko chor kar dusre sarprast bana liye hai unki misaal makhdi jaisi hai jo apna ek ghar banati hai aur
sab gharon se zyada kamzoor ghar makdi ka hi hota hai,kaash! ye log is hakhikat ko jante" {Ankaboot,
Ayat No 41}....................................Quran me ayesi kayi misaalein hai magar akhal mand ko sirf ek hi
misaal kaafi hai pehle ke mushrik bhi isi Shirk ki waja se halaak aur barbaad kiye gaye wo bhi bade bade
Nabion aur Walion ko pukarte they, unki khabar ya bud bana kar.............unhe maalum tha ke sirf Allah
hi mushkil door karsakta hai lekin ye hamare Wali aur buzurg log Allah se kehkar hame dete hai, isi liye
Allah ne unko halaak kardiya..Kyun ke Allah ko kisi ki zaroorat nahi wo khud sunta hai aur ata karta hai,
Allah ne farmaya "Aye Nabi {sawl} mere bande agar tum se mere bare me puche to unhe bata do ke me
unse khareeb{yahni dekhta} hi hun, pukarne wala jab mujhe pukarta hai to me uski pukaar ka jawaab
deta hun"{Bakhra,Ayat 186}........."Aur tumhara Rab kahta hai ke mujhe pukaaro me tumhari Duayen
khubul karunga"{40:60} yahni use kisi wasile ki zaroorat hi nahi, wo khud kahta hai ke Mujhe
pukaro................Aur Allah is shirk ko kabhi maaf nahi karega agarche ke Nabi hi kyun na
ho..................................Allah ne farmaya " Aye Nabi! tumhari taraf aur tum se pehle guzre huwe ambiya
ki taraf ye wahi bheji jaa chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhare bhi Amaal barbaad hojayenge
aur tum khasara paane walon me se hojaoge"{Zumar 39. Ayat No 65} ........................Aur yahi wo gunah
hai jise Allah kabhi maaf nahi karega, Allah ne farmaya "Allah ke yahan SHIRK ki bakhshish hi nahi uske
siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jise wo maaf karna chahe"{Nisa, Ayat No 116} ............"Jisne Allah ke
saat shirk kiya uspar Allah ne Jannat haraam kardi hai aur uska thikaana jahannum hai"{5: 72}....Aur
ayese logon ke liye dua bhi nahi ki jaa sakti hai "Nabi aur ahle iman ke liye jaayaz nahi ke wo mushrikon
keliye Makhfirat ki DUA karein chahe wo unke Rishtedaar hi kyun na ho,jab ke unpar ye baat waazh ho
chuki hai ke wo jahannumi hai"{ touba 9. Ayat No 113} ..................Allah tamaam Musalmanon ko is
SHIRK se bachaye Aameeen.

You might also like