You are on page 1of 29

JANNAT

KA
BAYAN
TEHREER-
MUHAMMAD
IQBAL
KEELANI

Romanised by:
Nasreen Sabha
JANNAT KI MAUJUDGI KA
SABOOT

MASLA : 1: Ramzan me jannat ke darwaaze khol diye jaate


hain:
Hazrat Abu huraira r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya” Jab Ramzan aata hai to jannat ke darwaaze khol diye
jaate hain aur jahannum ke darwaaze band kardiye jaate hain aur
shayateen zanjeeron me jakad diye jaate hain. “ Ise Muslim ne
riwayat kiya hai.

MASLA : 2: Qabar me jannati aadmi ko jannat me uska


thikhana dhikhaya jaata hai:

1 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Jab tum me se koi aadmi faut hota hai to usey subha-
o-shaam uska thikhana dhikhaya jata hai agar jannati hai to
jannat me ( uska thikhana dhikhaya jata hai ) agar jahannumi hai
to jahannum me ( uska thikhana dhikhaya jata hai )”. Ise bukhari
ne riwayat kiya hai.

MASLA : 3: Nabi s.a.w. ne jannat me Hazrat Umar r.a. ka ghar


dekha hai:

Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain hum Nabi s.a.w. ki khidmat
me haazir the aap s.a.w. ne irshaad farmaya “ Main so raha tha
ke main ne apne aap ko jannat me paaya, main ne ek mehal ke
andar kone me ek aurat ko wuzu karte dekha to poocha ye mehal
kiska hai?” Unhon ne kaha “ Umar Bin Khattab r.a. ka” mujhe
umar ki gairat ka khayal aaya to main peet pher kar chala aaya”.
Hazrat Umar r.a. ( sunkar ) rone lage arz kiya “ Ya Rasoolallah
s.a.w. kiya main aap par gairat karunga?” Ise Bukhari ne riwayat
kiya hai.

2 THE WAY OF SALAFIYYAH


JANNAT KE NAAM

MASLA : 4: Jannat ka ek naam “Daarus Salaam” (salamati


waala ghar) hai:

Aur Allah Taala tumhein daarus salaam ki taraf dawat de raha hai
( Hidayat usi ke ikhtiyaar me hai lihaza ) jise wo chahta hai seedha
raasta dikhata hai. ( surah Yunus ayat 25).

MASLA : 5: Jannat ka dusra naam “ Daarul Muttaqeen” (


muttaqi logon ka ghar) hai:

Jab muttaqi logon se poocha jaata hai ke tumhare Rab ki taraf se


kiya naazil kiya gaya hai. To wo kehte hain “ Behtareen cheez
utari hai” aise neik logon ke liye is dunya me bhi bhalayi hai aur
aaqirat ka ghar to unke liye bohat hi acha hai, kiya hi acha hai
muttaqi logon ka ghar ( Daarul muttaqeen ) daayimi qiyaam ki
jannatein jinme wo daakhil honge unke qiyaam gaahon ke
neeche nehrein beh rahi hongi wahan har baat unki khuwaish ke

3 THE WAY OF SALAFIYYAH


mutabiq hogi, muttaqi logon ko Allah taala aisa hi badla dete
hain.( surah nahal ayat 30,31).

MASLA : 6: Jannat ka teesra naam “ Daarul qaraar” ( Qaraar ki


jagah) hai:

Aye meri qaum ke logon! Ye dunya ki zindagi to bas chand roza


hai qaraar ki jagah to aakhirat hi hai ( surah momin ayat no: 39).

MASLA : 7:Jannat ka chawtha naam “ Muqaam Ameen” (Aman


ki jagah) hai:

Beshak muttaqi log aman ki jagah me honge baaqon aur


chashmon me rahenge. (surah dukkhan ayat 51,52).

MASLA : 8: Jannat ko “ Daarul aakhirat” (aakhirat ka ghar) bhi


kaha gaya hai:

Aakhirat ka ghar hi behtareen hai un logon ke liye jinhon ne


Taqwa ikhtiyaar kiya’ kya tum log aqal se kaam nahi lete. ( surah
Yusuf ayat no: 109).

MASLA : 9: Jannat ko “Jannatul Nayeem” (Niyamaton bhari


jannatein ) bhi kaha gaya hai:

4 THE WAY OF SALAFIYYAH


Aur aage waale to aage waale log hain wahi to muqarrib log hain,
Niyamat bhari jaanaton me rahenge.( surah waaqiya ayat 10,12).

MASLA : 10: Jannat ko “ Jannat-e-adan” ( sada bahar jannatein)


bhi kaha gaya hai:

Ahle Emaan ke liye sada bahar jannatein hain jinke neeche


nehrein beh rahi hongi wahan wo sone ke kangan pehnaaye
jaayenge aur sabz rang ke baarik resham aur atlas o deeba ke
kapde pehnenge aur oonchi musannadon par takiye lagakar
baithenge, behtareen ajar aur aala darja ki jaaye qiyaam .( surah
kahaf ayat 31).

JANNAT QURAN-E-
MAJEED KI ROSHNI ME

MASLA : 11: Emaan laane ke baad neik amal karne waale log
jannat me jaayenge.

5 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 12: Jannat ke phal naam aur shakal me dunya ke
phalon se milte jhulte honge.

MASLA : 13: Jannat ki auratein zaahiri aalayishon ( maslan haiz-


o-nifaas waghaira ) aur baatini aalayishon ( maslan
gussa,geebat,hasad aur soknapa waghaira ) se paak hongi.

MASLA : 14: Jannat ki zindagi la zawaal hongi:

( Aye Muhammad !) khush khabri dedo un logon ko jo emaan


laaye aur neik amal kiye ke unke liye aise baagh hain jiske neeche
nehrein behti hongi un baaghon ke phal dunya ke phalon se milte
jhulte honge jab koi phal unhe khane ke liye diya jaayega to wo
kahenge ke aise hi phal isse pehle humein ( dunya me ) diye gaye
the unke liye wahan pakiza biwiyaan hongi aur wo usme
hamesha rahenge. ( sure baqra ayat 25).

MASLA : 15: Ahle jannat qayamat ke roz har tarah ki zillat aur
ruswaayi se mehfooz rahenge.

MASLA : 16: Ahle jannat ko jannat me Allah Taala ka deedar


naseeb hoga:

6 THE WAY OF SALAFIYYAH


Jin logon ne ( emaan laane ke baad dunya me ) neik kaam kiye
unke liye ( aakhirat me ) acha sila ( yaani jannat ) hoga aur usse
ziyada ( Inaam o ikraam ) bhi ( yaani deedar e ilaahi ) unke
chehron par zillat aur siyaahi na hogi, ( balke khushi aur chamak
hogi ) ye hain jannati log jo usme hamesha hamesha rahenge (
surah Yunus ayat 26).

MASLA : 17:Ahle emaan me se jinke dilon me dunya me ek


dusre ke khilaf koi nafrat ya hasad hoga, jannat me jaane ke
baad Allah Taala khatam farma denge:

Aur jo kuch unke dilon me keena tha usko hum khatam kardenge
unke ( Mehlon ke ) neeche nehrein behti hongi aur wo kahenge
ke Allah Taala ka ehsaan hai, jisne hum ko yahan ka raasta
dhikhaya aur agar humko Allah ye raasta na dikhata to hum kabhi
ye raasta na pa sakte. Beshak hamare Allah ke Rasool haq baat
lekar aaye the aur ( us roz ) munadi kardi jaayegi ke tum un amaal
ke sile me jo ( dunya me ) karte the jannat ke maalik bana diye
gaye ho, ( surah Araaf ayat 43).

MASLA : 18: Jannat me ahle jannat kabhi bhook ya piyaas


mehsoos nahi karenge.
7 THE WAY OF SALAFIYYAH
MASLA : 19: Jannat me na sardi ki shiddat hogi na garmi ki
balke sada bahar mausam hoga:

( Aye Adam! ) tu jannat me bhooka rahega na nanga, wahan tere


liye piyaas hogi na dhoop me jalna hoga, ( surah taa haa ayat
118,119).

MASLA : 20: Neik khandaan, jinme a’aba o ajdaad, biwiyaan


aur unki auladein shaamil hongi, jannat me ek hi jagah ikhatte
kardiye jaayenge:

Abdi jannatiyon me jannati log khud bhi dakhil honge aur unke
aa’ba o ajdaad , unki biwiyon aur auladon me se jo neik honge
wo bhi unke sath jannat me jaayenge, jannat ke har darwaze se
firishte ahle jannat ke paas aayenge aur kahenge “ Salamati ho
tum par ye jannat tumhare sabar ka badla hai ( jo dunya me
tumne kiya) aakhirat ka ghar tumhe mubarak ho, ( surah raa’d
ayat 23,24).

MASLA : 21: Ahle Jannat ko jannat me kisi qisam ki mehnat ya


mushaqqat nahi karni padegi:

8 THE WAY OF SALAFIYYAH


Ahle jannat ko jannat me kisi qisam ki thakaan na hogi na hi wo
us se nikale jaayenge, ( sure hajr ayat 48).

MASLA : 22: Jannat me jannati logon ke sath badi izzat aur


ehtiraam ka sulook kiya jaayega.

MASLA : 23: Jannat ke khaadim jannati logon ki khidmat me


sufaid rang ki lazeez sharab ke jaam pesh karenge.

MASLA : 24: Jannat ki sharab hosh o hawaas me bigadh paida


nahi karengi.

MASLA : 25: Ande ke chilke ke neeche chupi hui jhali se ziyada


naram o naazuk aur khubsurat moti aankhon waali hoorein,
jannatiyon ko inaam ke taur par di jaayengi:

Jannati logon ke liye ( jannat me ) jaana pechana rizq hoga, mewe


honge aur niyamat bhari jannatein jinme wo izzat ke sath rakhe
jaayenge, aamne saamne takhton par takya lagaye baithe honge,
sharab ke chashmon se jaam bhar bhar kar jannatiyon ki khidmat
me pesh kiye jaayenge, sharab hogi sufaid rang ki lazeez, jis se na
zarar pahunchega na aqal kharab hogi aur unke paas haya daar,

9 THE WAY OF SALAFIYYAH


khubsurat moti aankhon waali hoorein hongi aisi naram o naazuk
jaise ande ke neeche chupi hui jhali ( surah saaffaat ayat 41,49).

MASLA : 26: Jannatiyon ke liye adan ( jannat ke ek mehal ka


naam ) ke aise baaghaat honge jinke darwaze unke liye
hamesha khule rakhe jaayenge.

MASLA : 27: Jannati log pal bhar me dheron phal aur


mashroobaat kha pi jaayenge jo fauran hazam hojayega.

MASLA : 28: Jannat ki hoorein khubsurat, sharmili, moti


aankhon waali aur apne shoharon ki hum umar hongi.

MASLA : 29: Jannat ki niyamatein kam hongi na khatam hongi:

Aur muttaqi logon ke liye behtareen thikana hai, baaghaat adan


ke darwaze unke liye ( hamesha ) khule rakhe jaayenge usi me
takiye lagaye baithe honge,phal aur mashroob ba kasrat talab
karenge unke paas sharmili aur hum umar biwiyaan hongi ye wo
cheezein hain jinhe hisaab ke din ata karne ka tum se wada kiya
jaaraha hai, hamari ye ata kabhi khatam na hogi,( surah swaad
ayat 49,54)

10 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 30: Ahle jannat apni neik biwiyon ke sath jannat me
khush o kharm zindagi basar karenge.

MASLA : 31: Jannati jodon ( miya biwi ) ke saamne ,sone ke thal


jinme mukhtalif qisam ke phal aur khaane honge aur sone ke
saagir jinme mukhtalif qisam ke mashroobaat honge, pesh kiye
jaayenge.

MASLA : 32: Jannat mein qalb-o-nazar ko lazzat


pahunchanewali har cheez maujood hogi.

MASLA : 33: Jannati logon ki izzat afzayee aur hausla afzayee


ki khaatir unhein bataya jayega ke yeh jannat aur uski
niyamatien tumhare aamaal ke badle mein Allah ne tumhein
ata farmayi hain:

“Dakhil hojao jannat mein tum aur tumhari biwiyan (Aaj)


tumhein khush kardiya jayega unke aage sone ke thaal aur sone
ke saqir gardish karaye jayenge aankhon ko lazzat dene wali aur
jannatiyon ki har matlooba cheez wahan maujod hogi (unse kaha
jayega) tum iss jannat mein hamesha hamesha rahoge. Tum iss
jannat ke waris un aamaal ki wajah se banaye gaye ho jo tum
duniya mein karte rahe ho (surah Zukhruf, aayat 70 – 73)
11 THE WAY OF SALAFIYYAH
MASLA : 34: Jannat mein koi ranj, dukh, musibat ya pareshani
nahin hogi balke har waqt aur har taraf musarrat, raahat aur
aman-o-salaamati hogi.

MASLA : 35: Jannati logon ka libaas barik aur mote resham se


banaya gaya hoga.

MASLA : 36: Moti aur Khubsurat aakhon wali gori auraton se


unka nikah kiya jayega.

MASLA : 37: Jannat mein maut nahin aayegi balke abdi zindagi
hogi.

MASLA : 38: Ibtidan jannat mein dakhil hone wale log


jahannum ke azaab se mukammil taur par mehfooz rahenge.

MASLA : 39: Allah Taala ke fazal-o-karam ke baghair jannat


mein jana mumkin nahi.

MASLA : 40: Jannat mein dakhil hona hi asal falah aur kamiyabi
hai.

Muttaqi log yaqinan aman ki jagah (jannat) mein honge baghon


aur chashmon mein (maze karenge) hareer (barik resham) aur
deba (mota resham) pehne aamne saamne baithe honge yeh
12 THE WAY OF SALAFIYYAH
hogi unki shaan aur gori gori khubsurat moti aakhon wali auraton
se unka nikah kardenge, jannati log har tarah ki lazeez cheez
poore itminaan aur be fikri se talab karenge (yani kisi cheez se
inkar hone ya kisi cheez ke katam hone ka qatra nahi hoga)
jannat mein log maut ka mazah nahi chakhenge bas pehli
(zindagi ki) maut jo aachuki so aachuki, Allah taala unhein apne
fazal se jahannum ke azaab se bachalega. Aur yeh bahut badi
kamiyabi hogi. (Surah Dukhaan, Aayat 51 – 57)

MASLA : 41: Jannat me saaf sutre aur khalis paani, doodh,


sharab, aur shehad ki nehrein hongi jinse jannati log piyenge.

MASLA : 42: jannat ki nehron ke mashrubaat ka rang aur


zaayiqa hamesha ek jaisa rahega.

MASLA : 43: Ahle jannat ko Allah Taala tamaam gunahon se


paak saaf karke jannat me daakhil farmayenge:

Muttaqi logon ke liye jis jannat ka waada kiya gaya hai uski shaan
to ye hai ke us me nehrein beh rahi hongi saaf aur sutre paani ki
aur aise doodh ki jiska zayiqa na badla ho aisi sharab ki jo peene
waalon ke liye lazeez ho aur saaf shifaaf shehad ki, wahan unke

13 THE WAY OF SALAFIYYAH


liye har tarah ke phal honge aur unke rab ki taraf se maghfirat
hogi.( Surah-e-Muhammad ayat 15).

MASLA : 44: Neik auladon ko neik aaba-o-ajdaad ke sath jannat


me ikhatta kardiya jaayega aur agar unke baahimi darjaat me
farq hoga to kam darja waalon ke darjaat ko Allah Taala apne
fazal-o-karam se badhakar dono ko oonche darja me mila
denge taake jannat me wo sab khush o khurram rahen aur ek
dusre ko dekh kar unki aankhein thandi ho:

Jo log emaan laaye hain aur unki aulaad bhi emaan ke kisi darja
me unke naqsh-o-qadam par chali hai unki aulaad ko bhi hum (
jannat me ) unke sath mila denge aur unke ( yaani aaba-o-ajdaad
ke) amal me koi kami nahi karenge har shaks apne amaal ke iwaz
rehan hai.( surah-e-toor ayat 21).

MASLA : 45: Jannatiyon ko lazeez phalon ke sath sath unka


mann pasand gosht bhi mahiyya kiya jaayega.

MASLA : 46: Jannati log khate peete waqt aapas me cheena


chabti karke khush tabyi karenge.

14 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 47: Jannatiyon ke khaadim ladke us qadar haseen –o-
jameel honge jaise mehfooz kiye hue khubsurat moti ho:

Hum unhein har tarah ke lazeez phal aur man pasand gosht dete
chale jaayenge wo ek dusre se jaam-o-sharab ki cheena chabti
karenge, aisi sharab jiske peene se na to behuda goyi hogi na koi
gunah sarzard hoga. Mehfooz kiye hue motiyon ki tarah
khubsurat ladke unki khidmat me har waqt haazir rahenge.(
Surah-e-Toor ayat 22-24).

MASLA : 48: Jannat me muqarrabeen ( Allah ke khaas khaas


neik bandon ) ke liye do do baagh honge jo niyamaton ke lihaaz
se aam momineen ( Ashaabul yameen ) ke baaghon se afzal
honge.

MASLA : 49: Dono baaghon me do chasme, har tarah ke lazeez


phal aur reshmi musannadon par mushtamil baithakein hongi.

MASLA : 50: Jannatiyon ki biwiyaan intihaayi sharmili,


paakbaaz, heeron aur motiyon jaisi chamakti damakti
khubsurat, sirf apne showharon ki khatir daari karne waaliyaan
hongi.

15 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 51: Jannatiyon ki biwiyon ko jannat me daahil hone se
pehle naye sire se paida kiya jaayega aur us paidaish ke baad
unhe kisi insaan ( ya jinnat ki biwiyon ko kisi jin) ne hath tak
nahi lagaya hoga:

Jo shaks apne Rab ke huzoor pesh hone se darta raha uske liye
do baagh honge ( aye jin-o-ins) Tum apne rab ki kin kin
niyamaton ko jhutlaoge, dono baagh hari bhari daaliyon se
bharpoor honge (to phir aye jin-o-ins) tum apne rab ki kin kin
ehsanaat ko jhutlaoge? Dono baaghon me har phal ki do qismein
hongi ( ek dunya me istimaal ki hui dusri usse alag ) phir tum apne
rab ke kin kin inamaat ko jhutlaoge? Jannati log aise aise
farishton par takiye lagakar baithenge jinka astar ( andar ka
kapda) mote resham ka hoga aur baaghon ki daaliyaan phalon ke
bojh se jhuki hongi ( Jannatiyon ko khud phal todne me koi waqt
nahi hogi) phir tum apne Rab ki kin kin niyamaton ko jhutlaoge?
Un niyamaton ke darmiyaan sharmili nighaon waali hongi jinhe
us se pehle kisi insaan ya jin ne chua nahi hoga phir tum apne
Rab ki kis kis niyamat ko jhutlaoge( wo biwiyaan) aisi khubsurat

16 THE WAY OF SALAFIYYAH


jaise heere aur moti phir tum apne Rab ke kin kin ehsanaat ko
jhutlaoge. ( surah-e-Rehmaan ayat 46-59).

MASLA : 52: Ashabul yameen ( Aam momineen) ko bhi do


baagh ata kiye jaayenge jo muqarrabeen ke baaghon ki nisbat
muqaam aur martaba me kam honge.

MASLA : 53: Un baaghon me bhi chashme aur lazeed phal


maujood honge.

MASLA : 54: Neik, paakbaaz, haseen-o-jameel,moti aankhon


waali gori gori auratein (hoorein) unki biwiyaan hongi jinhe
usse pehle kisi ne chua tak nahi hoga:

Un (do baaghon) ke alawa do baagh aur honge phir tum apne


Rab ke kin kin ehsanaat ko jhutlaoge? Dono baaghon me do
chashme fawaron ki tarah ubal rahe honge phir tum apne Rab ke
kin kin inamaat ko jhutlaoge? Dono baaghon me ba kasrat phal
khajoorein aur anaar honge phir tum apne Rab ke kin kin
ehsanaat ko jhutlaoge? Un niyamaton ke darmiyaan neik,
paakbaaz aur haseen –o-jameel biwiyaan hongi phir apne Rab ki
kin kin niyamaton ko jhutlaoge? Hoorein kheemon me tehrayi
gayi hongi phir tum apne Rab ki kin kin niyamaton ko jhutlaoge?
17 THE WAY OF SALAFIYYAH
Jannatiyon se pehle kisi insaan ya jin ne un ( auraton) ko chua na
hoga phir tum apne Rab ki kin kin inamaat ko jhutlaoge? Jannati
log sabz qaleenon aur nafees o naadir farishton par takye lagakar
baithenge phir tum apne Rab ki kin kin ehsanaat ko jhutlaoge?
Badi barkat wala hai tere Rab jaleel –o-kareem ka naam ( surah-
e-Rahman ayat 62,78).

MASLA : 55: Saari zindagi na jaiz khuwaishaat –e-nafs se ruke


rehne waale aur Allah ki qayam karda hudood ki pabandi karne
waale log hi Jannat me jaayenge.

MASLA : 56: Jannat me garmi ki shiddat hogi na sardi ki balke


khushgawaar saaye honge aur mustaqal mausam –e-bahar!

MASLA : 57: Jannat ke khadim chaandi aur sheeshe ke bartano


me jannatiyon ki aao baghat karenge.

MASLA : 58: Jannat ke phal is qadar neeche honge ke jannati


khade baithe ya lethe jab chahege tod sakenge.

MASLA : 59: Jannat ke chashme “ salsabeel ” se aisi sharab bar


aamad hogi jisme sonth ki aamezish hogi, jo jannati logon ko
pilayi jaayegi.

18 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 60: Har jannati ke baagh ek waseeh o areez saltanat
ka manzar pesh karenge.

MASLA : 61: Jannatiyon ko chaandi ke kangan pehnaye


jaayenge:

Allah Taala unke sabar ke badle me unhein jannat aur reshmi


libaas ata farmayega jahan wo oonchi musannadon par takye
lagaye baithe honge na wahan sooraj ki garmi hogi na sardi ki
shiddat ( balke hamesha mausam e bahar rahega ) Jannat ke
daraqton ke saaye unpar jhuke hue honge, jannat ke phal har
waqt jannatiyon ke bas me honge, unke aage chaandi ke bartan
aur sheeshe ke piyale gardish karaye jaarahe honge.sheeshe bhi
wo jo chaandi ki qisam ke honge piyalon ko ( khidaam ne) theek
andaaze ke mutabiq bhara hoga ( yaani jitna kisi ne peena hoga
bas utna hi khidaam daalenge) jannatiyon ko aisi sharab ke jaam
pilaye jaayenge jisme sonth ki ameezish hogi ye jannat ka ek
chashma hoga jise “ salsabeel ” kaha jaata hai. Jannatiyon ki
khidmat ke liye aise ladke dodhte phir rahe honge jo hamesha
ladke hi rahenge tum unhe dekhoge to yun lagega jaise bhikre
hue moti hain, wahan jidhar bhi tum nazar daaloge niyamatein

19 THE WAY OF SALAFIYYAH


hi niyamatein hongi aur ek badi saltanat ka sar-o-samaan tumhe
nazar aayega. Jannatiyon ke jismon par sabz barik aur mote
reshmi libas honge unhein chaandi ke kangan pehnaaye
jaayenge unka Rab unhe nihayat pakiza sharab pilayega ( unhe
bataya jayega ) ye hai tumhare amaal ki jaza. Tumhari jad-o-
jahad qaabil e qadar tehri hai.( surah e dahr ayat 12-22).

MASLA : 62: Pur ronaq chehre baaghat, ba kasrat phal,


khubsurat, naw jawan kuwari aur apne showharon ki hum
umar auratein, pakiza sharab, chilakte jaam, har qisam ki lagu
aur behuda baaton se paak aur saaf mahool, behte chashme,
buland-o-baala musannadein, qitaar dar qitaar gaao takye aur
naadir-o-nafees qaleen ye sab jannat ki niyamatein hain, jinse
ahle jannat mustafeed honge:

Kuch chehre us roz ba ronaq honge apni kar guzari par khush
honge, aalishaan jannat me, jahan koi behuda baat nahi
sunenge, jannat me chashme beh rahe honge buland o baala
musannadein hongi, saaqir rakhe honge gaao takyon ki qitaarein
lagi hongi aur nafees farsh biche hue honge.( surah e gaashiya
ayat 8-16).

20 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 63: jannat me kaanton ke baqair beriyaan hongi.

MASLA : 64: Jannati logon ki neik dunyawi biwiyon ko Allah


Taala dubara paida karenge jinme darj-e-zail teen khubiyaan
hongi: 1) kuwaari hongi, 2)apne showharon ki hum umar hongi,
3) apne showharon se jee bhar kar pyaar aur Muhabbat karne
waaliyaan hongi:

Aur daayein baazu waale, unki khush naseebi ka kiya kehna, wo


be qhaar beriyon, ta bar ta kelon aur door tak pheli hui chaon
aur har dam rawaan rawaan paani aur kabhi qatam na hone
waale, be rok tok milne waale ba kasrat phalon aur oonchi
nishsat gaahon me honge, unki biwiyon ko hum khaas taur par
naye sire se paida karenge aur unhe bakra banadenge apne
showharon se jee bhar kar muhabbat karne waaliyaan aur unki
hum umar. Ye saari niyamatein hain daayein baazu waalon ke
liye, ( surah e waaqiya ayat 27-38).

MASLA : 65: jannat ke chashma “ kaafoor” se aisi sharab bar


aamad hogi jisme kaafoor ki aamzish hogi jo jannatiyon ko
pilayi jaayegi.

21 THE WAY OF SALAFIYYAH


MASLA : 66: Jannat me saare kaam jannatiyon ki khuwaish aur
iraade par hi chashm zadan me poore hojayenge:

Neik log (jannat me) sharab ke aise saaqir piyenge jinme kaafoor
ki aamzish hogi, kafoor ( jannat me ) ek chashma hai jisse Allah
Taala ke bande piyenge aur us chashme ki nadiyaan jidhar
chahenge ( sirf khuwaish karne se hi ) bahale jayenge.( surah-e-
dahr ayat 4-5).

MASLA : 67: Jannat ki niyamatein ahle jannat ke qalb-o-nazar


ko thandik pahunchane waali hongi.

MASLA : 68: Jannat ki niyamaton ka is dunya me tasawwur


karna mumkin nahi:

Ahle jannat ki aankhon ko thandak pahunchane ke liye jo maqfi


niyamatein tayaar ki gayi hain unka ilm kisi mutanafs ko nahi, (
surah-e-sajda ayat 17).

22 THE WAY OF SALAFIYYAH


JANNAT KI SHAAN

MASLA : 69: Jannat ki niyamaton aur khubiyon ka bayan


karna aur is dunya me unhein samajhna hatta ke unka
tasawwur karna bhi na mumkin hai:

Hazrat Sahl Bin Saad Saadi r.a. se riwayat hai main Rasoolallah
s.a.w. ki ek majlis me haazir tha usme Aap s.a.w. ne jannat ka
haal bayan kiya yahan tak ke be intiha tareef farmayi aakhir mein
farmaya jannat me aisi aisi niyamatein hain jinhe kisi aankh ne
dekha nahi na kisi kaan ne unki tareef suni hai na hi unka
tasawwur kisi aadmi ke dil me paida hua hai phir Aap s.a.w. ne
ye ayat tilawat farmayi ( ye jannat un logon ke liye hai) jinke
pehlu bistaron se alag rehte hain apne Rab ko ( azab ke ) darr se
aur sawab ki umeed se pukarte hain aur jo rizq humne unko diya
hai use ( Allah ki raah me) kharch karte hain,koi nahi jaanta un
niyamaton ko jo unki aankhon ko thandak pahunchane waali
hain aur unse chupa kar rakhi gayi hain, ye niyamatein badla hai

23 THE WAY OF SALAFIYYAH


un amaal ka jo wo ( dunya ki zindagi me) karte rahe hain, ( surah-
e-sajda ayat 17) ise muslim ne riwayat kiya hai.

MASLA : 70: Jannat me chadi barabar jagah dunya aur usme


maujood tamaam niyamaton se afzal hai:

Hazrat Sahl bin saad saadi r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya: “ Jannat me chadi ke barabar jagah dunya aur dunya ki
har cheez se behter hai”. Ise Bukhari ne riwayat kiya hai.

MASLA : 71: Jannat me kamaan barabar jagah dunya ki har us


cheez se behter hai jispar sooraj tuloo-o-ghuroob hota hai.

MASLA : 72: Jannat ki niyamaton me se koi ek niyamat


naakhun ke barabar is dunya me zaahir hojaye to zameen o
aasmaan roshan hojayein.

MASLA : 73: Jannat me maut hoti to jannati log jannat ki


niyamaton ko dekkar khushi se marjate:

Hazrat Abu Sayeed r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne


farmaya: “ Qayamat ke roz maut ek chatakbare mendhe ki shakal
me jannat aur jahannum ke darmiyaan khadi ki jaayegi aur use
zubah kiya jaayega, jannati aur jahannumi log ise dekh rahe

24 THE WAY OF SALAFIYYAH


honge agar khushi se marna mumkin hota to jannati khushi se
marjate aur gham se marna mumkin hota to jahannumi gham se
marjate”. Ise tirmazi ne riwayat kiya hai.

MASLA : 74: Jannat ki khushbu chalees saal ki musafat se


aayegi:

Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai ke Nabi s.a.w. ne


farmaya “ Jis ne kisi admi ko ( Na haq) qatal kiya wo jannat ki
khushbu tak nahi paayega aur jannat ki khushbu chalees saal ki
musafat se aayegi”. Ise Bukhari Ne riwayat kiya hai.

MASLA : 75: Jannat ki tamaam ashya dunya ki tamaam cheezon


se aala aur afzal hain, sirf naam ek jaise hain:

Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne


farmaya “ Jannat ki koi cheez bhi dunya ki cheezon se nahi milti
siwaye naamon ke”. Ise Abu Naeem ne riwayat kiya hai.

MASLA : 76: Saari zindagi dukhon aur musibaton me basar


karne waala shaks jannat ki ek jhalak dekhte hi dunya ke saare
dukh aur gham bhool jaayega:

25 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hazrat Anas Bin Maalik r.a. se riwayat hai Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya, “ Qayamat ke roz aise shaks ko laaya jaayega jiska
jahannum me jaana taye ho chuka hoga dunya me usne badi aish
o ishrat ki hogi use dozakh me ek gouta diya jaayega aur use
poocha jaayega “ Aye Ibn Adam ! Kya dunya me tum ne koi aish
o ishrat dekhi, Kabhi dunya me tumhara naaz o naa’m se waasta
pada?” Wo kahega “ Aye mere Rab! Teri qasam kabhi nahi”. Phir
ek aise aadmi ko laaya jaayega jo jannati hoga lekin dunya me
badi takleef ki zindagi basar ki hogi use jannat me ek gauta diya
jaayega aur use poocha jaayega, “ Aye Ibn Adam! Kabhi dunya
me tune koi takleef dekhi ya ranj o gham se kabhi tumhara wasta
pada?” wo kahega “ Aye mere Rab! Teri qasam, kabhi nahi,
mujhe to na kabhi ranj o gham se waasta pada na kabhi koi dukh
ya takleef dekhi”. Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

MASLA : 77: Jannat ki niyamatein aur darjaat dekhne ke baad


ahle jannat ki hasrat:

Hazrat Maaz r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “


Ahle jannat ko kisi cheez par itni hasrat nahi hogi jitni us lamhe

26 THE WAY OF SALAFIYYAH


par jo dunya me Allah ki yaad ke baghair guzar gaya”. Ise Tibrani
ne riwayat kiya hai.

-----------------------------------------------------------------------------------

27 THE WAY OF SALAFIYYAH


28 THE WAY OF SALAFIYYAH

You might also like