You are on page 1of 1

(Ghazal) Ghazab Kiya Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya

ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya


tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
hansaa hansaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiya
tasalliyaan mujhe de-de ke beqaraar kiya
ham aise mahv-e-nazaara na the jo hosh aata
magar tumhaare taghaaful ne hoshiyaar kiya
fasaana-e-shab-e-gham un ko ek kahaani thi
kuchh aitbaar kiya aur kuchh naa-aitbaar kiya
ye kisne jalvaa humaare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha haaye beqaraar kiya
tadap phir aye dil-e-naadaan ki ghair kehte hain
aakhir kuchh na bani sabr ikhtiyaar kiya
bhula bhula ke jataayaa hai unko raaz-e-nihaan
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiya
tumhein to vaada-e-deedaar hum se karna tha
ye kya kiya ke jahaan ko ummeedvaar kiya
ye dil ko taab kahaan hai ke ho maalandesh
unhone vaada kiya hum ne aitbaar kiya
na poochh dil ki haqeeqat magar ye kehte hain
vo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya
kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummeed mujhe
kuchh aap ne mere kehne ka aitbaar kiya
Sent from http://goo.gl/JepuR0

Chaman mein takht per jis dam shah-e-gul ka tajammul tha


Hazaron bulbulein thi bagh mein aik shor tha gul tha
Khuli jab aankh nargis ki, na tha juz khaar kuch baqi
Batata bagh ban ro ro, yahan guncha yahan gul tha

file:///C/Users/zafar/Google%20Drive/My%20Collection/(Ghazal).txt[3/31/2016 5:30:17 PM]

You might also like