You are on page 1of 2

Khwahish…

Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta

Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta

Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar

Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta

Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari

Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta

Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri

Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta

Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai

Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta

Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me

Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta

Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq

Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta

Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe

Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta

*Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye


Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye…
`
Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai
Her Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai
Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi…
`
Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai…
`
Zindagi Hai Nadan Isiliye Chup Hoon,
Hoth Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka,
Shayad Nazron Se Vo Baat Ho Jaye,
Is Ummid Se Karte Hain Intezar Raat Ka,
Ke Shayad Sapne Me Mullakat Ho Jaye…
`
Jindagi Kisi Ki Amanat Nahi Hoti,
Amanat Main Kabhi Kayamat Nahi Hoti,
Dil Ko Sambhal Kar Rakhna,
Meri Dosti Ki Kaid Main Jamanat Nahi Hoti.
`
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se.
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai…

*hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay


kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur....(
Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai
Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai
chipak raha badan par lahu se pairaahan
hamare jeb ko ab haajat-e-rafu kya hai
jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
Kuraidtay ho jo ab raakh justajoo kya hai
Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee
to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai

to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai


Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai

*Unke Dekhne se jo aa jati he muhn per roneq


Woh samajte hain k beemar ka haal acha hai

*Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai Galib


Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote

You might also like