You are on page 1of 1

Pranamji, Shareer aur jeev ke bare main to bahaut log jante hain par aatma ki baat tartam vaani

ke bina koi nahin jaanta. Shareer-

y y y y y

Jiska koi aakar ho yani jo sakar hai Jo apni indriyon ke madhyam se prakriti yani maya se bandha hua hai Jiski aayu seemit hai Jo jeev ke bina mitti ke saman hai Nitya pralay mein hi shareer samapt ho jata hai

Jeevy y y y y y y y y y y y

Jeev bahut hi suksm hota hai aur use keval samadhi avastha mein hi dekha ja sakta hai Jeev Narain ka ansh hota hai Narain mein yogmaaya se chetna shakti aati hai aur usi chetna ka ansh jeev mein bhi hota hai Jeev ki shakti se hi shareer kisi kaam ka hota hai Tartam gyan ke bina log jeev ko hi aatma samajhte hain Jeev bhi amar nahin hai. Namittik, prakrit aur maha pralay mein jeev Narain mein sama jata hai Jeev ka swaroop Narain ke hi samaan hota hai Jeev ke saath mann juda hota hai aur mann moh se banta hai Mann hi jeev ko maaya mein fasaye rakhta hai Mann ke hi adhikar mein sabhi indriyan hain. Isliye pura shareer mann ke adhikar mein hai. Jab Jeev balwan ho tab hi woh mann ko apne vash mein kar sakta hai Jeev ko bal keval bhakti ya chitwani se hi milta hai

Aatmay y y y

Aatma Paraatam ka swaroop hai jo ki Shri Raj ji ka swaroop hai Aatma anadi se anant kal tak ek samaan rahti hai Aatma ka asli ghar Paramdhaam hai jahan Narain bhi nahin ja sakte. Akshar Brahm bhi Mool Milawa mein nahin ja sakte. Aatma se juda mann bhi Paramdham ke noori mann ke saman hai

You might also like