Yazeede nahes ne darbar me bula bheja Behen se shaye ki shahadath ka waqeya poocha Tarap ke binthe Ali ne yazeed se ye kaha Zamee ki goad me Islam ka sitara hai Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain
Kaha yazeed se Zainab ne aye sitam ara
Ghazab kiya tere lashkar ne roze Aashora Mere Hussain ko jangul me ghair kar mara Ali ka kardiya barbad ghar ka ghar sara Jo bekafan hai abhi tak Ali ka pyaara hai Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain
Suhaag ojra kisi ka kisiki kokh jali
Kisi ka jal gaha daman rida kisi ki chini Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi Nabi ki aal hai zindan me ya Ali madadi Jahan mai Zainab e dilger besahara hai Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain
Shaheed ho gaye Abbaso Khasim o Akbar
Wo mere Aaon o Mohammed wo mere noor e nazar Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar Bathao bibion main roon aaj kis kis par Shakhi ne Sibthe Payember ka sar utara hai Mere gareeb ko lakhon ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain Ye ranjo gham sitam o zoor aur jafa kabtak Rasool zadiyan balwe me berida kabtak Rahegi qaid me Aulade Murtuza kabtak Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak Mujhe tho mauth bhi alam me ab gawara hai Mere Hussain ko lakhon ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain
Na marte marte kisi ek ko mila pani
na bekaso ke kareeb aaya bewafa pani tadap ke reh gaye bache na mil saka pani wo tadpe pani ko unpe tadap gaya pani zameen jalti hai aur zarra ek sharara hai Mere gareeb ko lakho ne milke mara hai Haaye Hussain pyaase Hussain