You are on page 1of 1

Namaste

Humara naam Bulbul hain. Gaon Chandpur jilla Gorakhpur UP ke Rehne walein hai hum.
Bachpan se humara ek hi sapna tha ki bahut padhna hai aur apne maa baba ko iss gaon aur
gareebi se dur lejana hai.
Humara yeh sapna pua hi hone wala tha ki uss par fullstop laga diya gaya. Nahi nahi humare
baba ne nahi iss samaaj ne.
Logon ko bardasht nahi tha ki gaon k eek chotte se dukaan wale ki ladki aise sapne rakhti hai.
Toh unn ne humein aise vicharon ka fal diya nahi nahi English mein kya bolte hai… haan..
reward diya……humara rape karke.
College se ghar aa rahen thee hum tabhi humara rasta roka dekha toh pata laga gaon ka
sarpanch ka beta chandu tha aur uske awaara dost. Unne humein pehle toh chedda bola ki
aaon topper tmhe humare bich meinn sawaari karwaye. Humne bahut ignore kiya aur fir uss
gussa aaya. Usne humein bola ki ppadh likh kar sir chadh gayi hai, apni aukaat bhul rahi hai.
Bahut shok hai na tumhe padhne likhne ka toh aaj tumhara shok humesha ke liye pura kar
deta hun. Woh humein baal se ghasit kar legaya aur baari baari se unne humara rape kiya.
Humare ghar walon ko hum wahin behoshi ke halat mein mile. Hume ghar par sabne bola
chup rehne ke liye lekin humne bhi taan liya tha ki ab hum rukege nahi aur oi humaari
padhayi aise nahi chhuda sakta. Hum police station gayi report likhwane ke lya wahan par
daroga ne FIR likhne se mana kardiya toh humne use bade adhikaari ko chitti likhi. Humara
case court mein 5 saal tak chala aur fir humein Insaaf mila unhe 9 saal ki saja sunayi gayi.
Humein laga ki ab hum ajaad hai padhne likhne ke liye lekin hum galat the. Sammaj ne hume
zimedaar tehraaya iss sabka aur humare parivaar ka bahishkaar kiya. Humein aaj tak humaari
galti samajh nahi aayi ki humara padhn galat tha ki humaara Insaaf magna?

You might also like