You are on page 1of 5

EPISODE:- 1

● Scene:- 1.
● Laxmi Home's.. Main Door - Day - Ext..
● Character:- Gopi, Kishmish Devi, Meva Lal..

Gopi thela par sabji laad rha hai...or meva lal gopi ke sabji ladne me madad kar rhe
hai.. tabhi Kishmish Devi aati hai..

Kishmish Devi:- Beta laxmi dikhaee nahi de rhi hai..pta hai Kahan gyi hai..
“​ye kahte hue Kishmish Devi thele ke pass aakar khri ho jaat hai​.”

Gopi:- Maa Laxmi mandir gyi hai..

​ e kahte hue gopi apne kaam me lag jaata hai..tabhi meva laal Gopi ke tarf dekhta hai or
“Y
tana marta hai”

Meva Lal:- Tum to kabhi school ke munh tak nahi dekhe..humesa padhai likhaee se
tumhaara chhatish ka aankra rha..kaam bhi karte ho to sabji bechne ka…

Charge on Kishmish Devi.. Kishmish Devi in sab baato ko sun kar naaraj ho rhi hai...or gopi
apne kaam me lga hua hai..or in baato ko ansuna karne ki koshish kar rha hai.

Meva Lal:- Lekin ek kaam tum jivan me achha kiye.. Laxmi jaisi bahu le aaye..sakshat
humare ghar ki Laxmi hai wo..jab usko dekhte hai to humara Sina Garv se choura ho
Jata hai..

Ye kahne ke baad meva lal ghar ke under jaane lgte hai..tabhi Kishmish Devi rokti hai..

Kishmish Devi:- kya Kah rhe hai humare beta ke baare me.. Hira hai humara beta Hira..
or ye mat bhuliy ki esi ke wajah se es ghar me aap ke Garv se Sina choura karne wali
bahu bhi aayi hai..

Charge on Meva Lal..wo in sab baato ko sun kar ghar ke under chle jaate hai..or Kishmish
Devi Gopi Ke pass ja kar uske kandhe par haath rakh kar dilasha dene ki koshish Karti hai..

Gopi:- Maa Mai babuji ke tana sunte sunte tang aa Chuka hu.. jab dekho humko nicha
dikhane ki koshish karte rahte hai.. Mujhe pta hai ki Mai nahi padha likha hu.. Lekin
mujhe Apne jimmedariyo ka ahsash hai..

Kishmish Devi:- Beta unke baato ko Dil par mat lena.. unka to kaam hi bolna hai..ek
din Jaa karke sabji bechne tab pta chalega ki mera beta kitna mehnat ka kaam karta
hai..

Kishmish Devi apne haatho se Gopi ke sar Ko sahlaate hue bolti hai.. gopi apna thela lekar
nikalta hai..or Kishmish Devi ghar ke under Chali jaati hai..
● Scene:- 2
● Mandir - Day - Ext..
● Character:- Laxmi, Chor, Mahila, Gaav wale..

•Ek chor bhag rha hai..or Gaav wale chor - chor kahte hue uske pichhe bhag rhe
hai..tabhi hum dikhate hai ki ek haath aata hai or chor ke munh par jordar tamacha
Marta hai..chor gir jaata hai..or sabhi gaanv wale paas aakr khre ho jaate hai.. or kahte
hai ki maaro.. ese..maaro..
Tabhi awaaj gunjati hai…​ NAHI… ​ sabhi gaanv wale dekhne lagte hai..

"Charge on Laxmi"
Laxmi:- Jab tak Laxmi yahan hai koi bhi vakti kaanun Apne haath me nahi lega..

Tabhi bhir se nikal kar ek mahila aati hai or chor Ko pitne lagti hai..or pitate hue kahti hai..

Mahila:- Mangal sutra le kar bhagta hai..tumhare munh me kire pare..Bhagwan ke


darbar me aisa kaam karte hue Sharm nahi aati hai..

Laxmi Chor Ko us mahila se chhorati hai or chor se mangalsutra lekar mahila Ko waps Karti
hai..Or chor se kahti hai..

Laxmi:- Sharm nahi aati hai chori karte hue.. Bhagwan ne itna badhiya sharir diya hai..
mangalsutra le kar kyu bhag rhe the..

Apne haatho se chor ka collar pakarte hue..

Chor:- Galti ho gyi maidam..aage se aisa nahi karunga..2 chhote - chhote bachhe
hai..ghar me khane Ko kuchh nahi hai..

Ye kahte hue chor Laxmi ke pairo Ko pakar kar girgirane lagta hai..

Laxmi:- To Ja kar ke mehnat se char paise kamaao..Apne Biwi bachhe ka pet Bharo..
chori karne se sirf tumhe jel ki hwa or police ke dande milenge..

Chor:- es baar maaf kar dijiye maidm aage se fir kabhi chori nahi karunga..

Charge on crowd.. Sabhi log Laxmi or chor Ko dekh rhe hai..

Laxmi:- Theek hai..es baar chhor de rhi hu.. sudhar ja.. agar aage fir kabhi chori karte
hue pakray n..to thane me ulta Latka kar pitungi..

Chor:- nahi maidam aage se aisa galti nahi karunga..


Ye kahte hue chor wahan se bhagta hai..laxmi Apne scooty ke paas jaati hai or scooty start
karke ghar keliy nikalti hai..
● Scene:- 3
● Road - Day - Ext..
● Character:- Laxmi & Gopi

Gopi thela par sabji lad kar udas man se market ja rha hai..or Laxmi apne scooty se aa rhi
hai.. Laxmi ki Nazar Gopi par parta hai..Laxmi apna scooty Gopi ke thele ke pass rokti hai.
Gopi bhi Laxmi Ko dekhta hai..

Laxmi:- kya hua ji..aap itne udas kyu hai..??

Gopi:- kuchh nahi.. har baar ki tarah es baar bhi babuji tana maare hai.. ki tum padhe
likhe nahi ho..kisi kaam ke nahi ho..

Laxmi scooty se utar kar scooty stand par khra Karti hai or gopi ke paas jaati hai..

Laxmi:- ooho.. aap to jaante hai babuji ke aadat ke baare me.. unka to roj ka yahi kaam
hai..unke baato ko sun kar aap apna mood khrab kyu kar the hai..

Gopi:- Janti ho jab bhi koi hume humaare padhai likhaee ya humare peshe ko lekar
Hume nicha dikhane ki koshish Karta hai..to ye baate humare Dil Ko chho jaati hai..
Laxmi:- dekhiye oo humlogo ke baabuji hai or wo humlogo Ko kuchh bhi kah sakte
hai ye unka hak hai..or aap padhe likhe nahi hai to kya hua.. hum aap ke kismat se to
yahan tak pahunche hai..aap ke Karan hi to Hume gaanv me itna ijjat milta hai..

Laxmi apne haatho se Gopi ke kandho Ko dabate hue bolti hai..

Gopi:- kabhi kabhi to hum ye sochte hai ki tum mere jivan me nahi Hoti to pta nahi
humara kya hota..

​ uskurate hue" ​nahi hoti aise kaise nahi Hoti Janam Janam ka rishta hai aap
Laxmi:- "m
se..achhaa Mai ab ghar keliy Nikal rhi hu. Aap apna khayal rakhiyga..or market se jaldi
ghar aaeeyega..

Ye kahte hue Laxmi scooty par baithti hai or gopi ko dekhte hue Nikal jaati hai.. Gopi bhi
apna thela lekar niklta hai..

● Scene:- 4
● Laxmi Home's - Day - Ext.. - Int..
● Character:- Laxmi, Meva Lal, Kishmish Devi..

Laxmi apne ghar pahunchti hai, darwaje par scooty khari karti hai or under jaati hai..

Kishmish Devi:- aa gyi bahu mandir se.. tumhaara hi intjar kar rhi thi.. kya kahe bahu..
Gopi ke jaane ke baad humaare mayke se phone aaya tha..

Charge on Meva Lal..wo apne patni or bahu Ko chup chap dekh rhe hai..
Kishmish Devi:- humare bare bhaiya ki tabiyat bahut jyada khrab hai.. esliye hum or
tumhaare sasur ji unhi ko dekhne ja rhe hai.. Gopi or apna khayal rakhna..

Laxmi:- Lekin maa ji… Mama ji ka tabiyat jyada khrab hai..

Kishmish Devi:- haa bahu.. Phone par to aisi hi khbar Mili hai..

Laxmi:- theek hai maa ji.. aaplog achhe se jaeeyega..or pahunchte hi phone kar
dijiyega..

Kishmish Devi:- theek hai bahu..apna or gopi ka khyal rakhna..

Ye kahte hue Kishmish Devi darvaje ke tarf badhti hai tabhi meva Lal Apne bag se ek packet
dete hue Laxmi Ko kahte hai..

Meva Lal:- Bahu ye kuchh saman hai..ese mere dost Brijbhushan Ko de de Dena..
shayad humlogo Ko loutne me 2-3 din ka samay lag jaay..

Laxmi wo packet Meva Lal ke haatho se le leti hai..Meva Lal or Kishmish Devi ghar se
nikalte hai..

● Scene:- 5
● Gaanv ki gali.. Day - Ext..
● Character:- Gopi & gaanv ke log

Gopi thela par sabji bech rha hai..aas paas gaanv ke log khre hai..

Man-1:- bhaiya ye bhindi kaise kilo hai..??


Gopi:- 25₹ Bhaiya..
Man-1:- Aadha kg de dijiye..

Man-2 :-louki kaise hai Bhaiya..


Gopi:- 30₹
Man-2:- Bhaiya sahi bhav me dijiye..aap to jyada daam bta rhe hai..
Gopi:- jyada nahi bta rhe hai Bhaiya..din par din mahngaee badhti ja rhi hai..

Es tarah se Gopi or grahko ke bich mol bhav ho rha hai..or gopi grahko ko sabji taul kar de
rha hai..

CUT TO

● Scene:- 6
● Laxmi Home..main door..& bramda day - Int - Ext..
● Character:- Laxmi & chapatu Singh (sipahi)
Chapatu Singh aata hai or darwaja khtkhtata hai.. Laxmi darwaja kholti hai..Laxmi ki Nazar
chapatu par jaati hai..

Laxmi:- tum yaaha.. tum yaaha kaise..?? Tumhari duty to bord exam me lgi hui hai..

Chapatu:- maidm Brijbhushan ji exam me Apne pota (Grandson) Ko chori karwa rhe
the..

Charge on Laxmi...wo Naam sun kar shocked ho jaati hai..

Chapatu:- humare mna karne par bhi wo nahi maane..

Laxmi:- kya bakwas kar rhe ho tum..lgta hai tumhara dimag khrab ho gya hai..tumne
sahi se nahi dekha.. oo koi or aadmi hoga..

Chapatu:- Nahi..maidam..Mai sahi Kah rha hu..Mai Inka photo bhi khicha hu.. ye
dekhiy..

Chapatu Singh Apne Jeb se mobile nikalkar Brijbhushan ka photo dikhati hai..
Laxmi Photo dekh kar shocked ho jaati hai..

​ REEZE"
"F

You might also like