You are on page 1of 13

MIP CONSUMPTION PATTERNS

SEC B

(Respondent is a 44-year-old housewife of a family of 3. Her, her husband and her 19-year-old son.
Her son just graduated from A levels in 2020 and is studying in University of Waterloo but attending
online classes from Karachi. Her husband works at PSO as a senior accounts executive).

M: interview mein pre-covid and post-covid consumption patterns k baare mein poochoongi. Mein
groceries k baare mein poochoongi k daal chawal pehlay zyada leti thi ab zyada leti hain, us hisaab
sey batayega, ya phir brands change kiye. Obviously logon ki financial standing mein bhi farq aya hay
covid ki waja sey tou us hisab sey comparison baatyega. Lets start with groceries. Aapki normal
grocery list mein kia kia cheezain ati hain

R: okay, jo regular ati hain cheezain usme rice, oil, sugar, pulses, tea (patti), tetra pack milk. Pehlay
hum everyday milk lia kartay they chai k liye lekin ab tetra pack letay hain instead of everyday.

M: acha tou chai ke liye hi use hota hay milk? Aur kisi cheez ke liye nahi?

R: haan chai k liye aur saarim (son) ke liye. Pehlay dayfresh sirf saarim k liye aya karta tha lekin ab
humne everyday lana chor dia hay because wo sweetener hay, its not milk. Tea whitener hay wo.
Aur uski sugar content bohat hay, is waja sey ye change kia. So precovid humaray ghar chai itni nahi
pee jati thi. Mein bhi nahi peeti thi bilkul bhi. Nouman (husband) letay they chai lekin aisay tha k
kabhi pee kabhi nahi pee. Phir jab covid ki waja sey full time ghar pe they tou aik change ye aya k
breakfast regular basis pe honay laga. Tou aik cup of chai regular breakfast k saath huyi. Precovid
humaray haan dine out aur take away bohat zyada hota tha and jab start hua covid tou sab kuch
band tha tou aisay tha k kabhi kabhi bakery sey patties mil jati thi ya bakery item koi miljata tha tou
uski waja sey sabsey barra change humaray lifestyle mein jo para k covid ki waja sey shaam ki chai
(jo pehlay bilkul nahi hoti thi) aik as a family time shuru hogaya. Wo aisa time hota tha k hum teenon
saath bethtay they tou chai ka aik time add up hogaya. Tou shaam mein bhi agar hum dono (her and
her husband) half half cup bhi pee rahay hain tou everyday humari body mein 2 dafa ja raha hay, aik
breakfast aur aik shaam. Tou we switched to tetra pack milk which we considered better compared
to everyday

M: so basically health ke point of view sey switch kia. Usme did u notice any change in prices of milk
being bought?

R: humaray han pehlay everyday 200g wala chota pack ata tha month mein aik dafa cause chai ki itni
consumption hi nahi thi. Jab march mein lockdown hua 22 nd march ko and rumours huye k grocery
stores bhi shayad band hojayen Imtiaz bhi hum Imtiaz sey grocery shopping kartay hain, sunnay
mein aya wo bhi band hojayega kuch nahi milega, tou humne jo stockup kia tha tou march mein
humari grocery kaafi zyada ayi thi cos rice, chicken stock kia aur aata aur milk bhi thora sa rakh lia,
saari basic cheezain. Lekin march k baad idea hogaya k grocery stores khuli rahaingi tou April mein
itna zyada stock nahi kia. But yes, pehlay humara dine out bohat hota tha, not high-end but still dine
out, tou groceries pre-covid itni nahi ati thi. But then march, April, and mid of may tak because
saaray restaurants band they tou groceries full karni parin. But humare budget per itna farq isliye
nahi aya bc humara dine out per jo cost parti thi utni ki cost ki hum groceries le k atay they after
covid. Tou agar mein sochon k by the end of the month agar humari koi saving huyi, interms of
eating out ya phir groceries, that was not the case. Sirf humari saving huyi fuel consumption ki cause
gaari nahi chalti thi, nouman (husband) office kabhi jatay they kabhi nahi jatay they, socialising bhi
itni nahi huyi. Daily humlog ka aik round lagta tha k kaheen bhi aik drive per chalay gaye so sirf thori
si saving fuel consumption k kum honay ki waja sey huyi.

M: okay so pehlay aap breakfast nahi karti thi so covid k baad meals a day increase huye cos u
started having breakfast? (6:03)

R: meals a day mein increase isliye nahi boloongi cus humlog uthtay they late, 12/1 bjay tou aik sort
of a brunch hi hojata tha tou uswaqt mein aur nouman paratha ya sheermal ya bread omelette k
saath khatay they tou wo itna heavy hojata tha k humara lunch skip hojata tha uske baad maghreb k
time per tea time hojata tha. So 1) brunch 2) tea time and 3) dinner so meals a day utnay hi rahay.

M: but pehlay tou aap breakfast hi nahi karti thi so just lunch and dinner hota tha?

R: pehlay nouman k office sey aanay k baad shaam mein hum log kuch le letay they patties ya kuch
lekin it was not that regular aur chai nahi zaroori banti thi so pehlay bhi 1) lunch 2) shaam ke snacks
and 3) dinner so meals mein farq nahi para bus timings change huye.

M: breakfast mein aap pehlay peeti thi chai?

R: nahi

M: tou post covid aapne breakfast mein chai kyun peeni shuru ki

R: cos pehlay to mein breakfast hi nahi karti thi subah utthay hi mujhse kuch khaya nahi jata tha lekin
nouman ko proper breakfast chahiye so just to be together tou mein saath mein breakfast karleti thi,
sirf usko swallow karne k liye jaisay khane k saath drink letay hain to uswaqt chai bani huyi hoti thi
cus aik ritual hay breakfast mein chai (nouman k liye) uski waja sey chai start ki.

M: applog k han rice aur aatay ki kia consumption hay? Dono k kia ratios hain

R: pre or post covid?

M: dono compare karlain

R: it depends on me, humaray han roti nahi banti, roti aati hai. Jab tak humare haan Naeema
(househelp) thi tab tak humaray han roti banti thi uske baad nahi. Lekin covid mein bhi jab sab bahar
band tha tou humaray haan daily chawal bantay they. Hamesha say aur abhi bhi chawal ka
consumption zyada hay aur roti ka kam.

M: acha cooking oil k baray mein batayen. (9:27)

R: cooking oil obviously zyada lena para. Jaisay humaray 2 pouches use horahay hain cos frying k
waqt bhi use hota hay teatime per agar bahar sey kuch nahi mila tou ghar mein pakora ban rahay
hain, basin bhi zyada use horaha tha, oil bhi zyada use hua, and chawal and chicken. In chaaron
chizon ka barha groceries mein.

M: ok tou precovid oil k 2 pouches atay they aur post covid?

R: 3-4 pouches kardijye. Just for 2-3 months. Uske baad Ramadan shuru hogaya and oil ka
consumption both zyada increase hogaya. So Ramadan mein 5 pouches use huye 1 mahina.

M: dishwashing liquid? Zyada hua? Cos gahr mein hi khanay banay and all

R: haan, cos phelay feb tak househelp ati thi wo max soap bar use karti thi aur mein apne liyie
dishwashing liquid use karti thi lekin feb sey wo nahi ayin tou max soap bar ka expense khatam
hogaya but obviously dishwashing liquid ka barh gaya bc I started washing and har tarha ka meal and
snacks ghar pe bhi ban rahay they tou unke dhonay ki waja sey bhi barh gaya use.

M: inke price points mein kia farq hota hay

R: dishwashing liquid is more expensive than max soap bar. Aur scotchbright humara wala zyada use
honay laga uska kharcha bhi barh gaya, pehlay mein hardly kabhi use karti thi. Jaldi wear out hua.
Agar mein har 2 months change karti thi tou phir monthly karna para change

M: Naeema (househelp) scotch bright nahi use karti thi?

R: wo basic wala use karti thi. Aik basic hota hay aur aik higher level ka. Mein higher wala use karti
thi.

M: aaplog kabhi dhobi sey kapray dhulwatay they?

R: nahi. Nouman ki shirt dry-cleaning k liye jati thi aur wo ab bhi jaati hain. Basically its pre covid and
post covid and pre-naeema and post-naeema. Naeema ka bhi march mein khatam hua and 23 rd
march lockdown bhi hogaya.

M: to kisi aur househelp ko nahi rakha?

R: safayi ke liye to peter (househelp) hay jharoo pocha dusting and bathrooms aur kapray dhonay k
liye ye hay k ab saarim (son) ka school jana bhi khatam hogaya pehlay school uniform roz dhulta tha
ab wo bhi khtam hogaya. Tou ab itnay kapray hain bhi nahi dhulne walay daily k. ab week mein 4 th 5th
day hum washing machine laga letay hain wo huamray liye both comfortable hay. Daily dhulnay
walay aksar kapray hotay bhi nahi hain siwaye underwears k. school k band honay ki waja sey na tou
daily shirt pants chahiye they na socks. Ab Naeema 15 days mein 1 dafa ayengi safayi k liye lekin
kapray nahi dhulwayengay abhi ye setting humare liye theek hay. Dawats k liye bula lengay bartan
dhonay k liye inko. Jab humay covid hua tab humay strike kia k bula letay hain. Degchiyan bhi hum
itni achi nahi dho saktay. Mein peter sey bartan nahi dhulwati bartan hum log roz k khudhi dhotay
hain since after Naeema left.

M: han almost wohi baat hogayi k logon ne covid k baad apne househelp ko ghar bethnay ko bol dia
tha aur aapke han unke aur mislay hogaye so she stopped coming.

R: han aur ye bhi k transport band thin a to inlog k paas koi aane ke means nahi they. Peter ata raha
cos wo khud uski transport hay. Public transport to shayad June mein ja k khuli dobara.

M: so lets talk about househelp. Naeema discontinued in march and peter ko phir kab rakha?

R: nahi jab Naeema ati bhi thi peter tab bhi ata tha alternate days per washrooms ki safayi karne and
mein usko daily pay kia karti thi, lekin phir 1 st June sey phir rakhlia for jharoo pocha dusting as well.

M: shampoo soaps?

R: soaps wesay rahi but shampoos ki consumption kam rahi cause socialising nahi horahi thi cos
pehlay tha k agar week mein 3 din kaheen jana hay to teenon din shampoo karna hay lekin ab ye tha
k khudper depend karraha tha jab bhi need feel huyi to kartay they use. Makeup bilkul use nahi hua

M: shampoos aapne khareedey Pakistan sey is time mein?

R: han.

M: cos saarim and nouman bhai k tou shampoos original yahan sey miltay nahi na?
R: han nouman aur saarim ka tou chal raha tha shampoo. Mera khatam hogaya tha to maine apne
parlour sey lia tha cos mera shampoo market mein available nahi hay.

M: back to food items. Meat ka batayen konsi meat ki zyada consumption hoti hay chicken beef
button fish

R: chicken hi hota hay, beef just in the form of qeema, and baaqi cheezain na tou pehlay ati thi ghar
mein na ab ati hain. Form of meat wohi raha bas chicken ki quantity barh gayi

M: veggies and fruits mein changes?

R: vegetables ka cos cooking ghar mein hi huyi to increase hua jesay onions tomato potato sirf yehi
veggies humaray haan banti hain aur salad mein cucumber and carrots

M: fruits aaplog k ghar itnay khaye nahi jatay?

R: nahi, na pehlay na baad mein. Bakery items ana barh gaye, diff kinds of biscuits and patties and
samosay humne khana bohat shuru kardiye, bazar walay samosay

M: aur saarim jo brownies khata hay?

R: han wo to chalti rehti hain, wo pehlay bhi bohat magwata tha but cos ghar pe raha isliye shayad
uski bhi consumption barh gayi k har waqt koi na koi snack chahiye. Aik farq laga k shuru mein sirf
takeaway ka option tha. Humaray han pehlay takeaway ka itna concept nahi tha humlog bahar ja k hi
khatay they even if dine in nahi kia and gaari mein beth k khaya lekin hum ghar le k nahi atay they
khana, so after covid humari takeaway ki acceptability barh gayi, even now jab dine in khul gaya phir
bhi hum takeaway ghar mein hi a k kha letay they.

M: ok takeaway bhi foodpanda k through ya khudhi ja k lana?

R: nahi foodpanda k through hi, shru mein tou sirf foodpanda hi na. haan ja k bhi lana raha but 50/50
karlain foodpanda and ja k lana

M: foodpanda ki usage bhi barh gayi na

R: han bohat zyada. Mein tou pehlay order karti nahi thi kabhi saarim kabhi karleta tha. Maine
precovid kabhi order nahi kia I didn’t even have the app on my phone.

M: foodpanda k ilawa bhi koi apps use kiye for home delivery?

R: no, just foodpanda. Kabhi hota tha k kuch restaurants foodpanda pe available nahi hain but that
was very rare like once or twice cos 3-4 months after covid foodpanda pe kuch issue hogaya tha.
Bohat Leading restaurants ne foodpanda sey contract khatam kardia tha eg delfrio and espresso ab
espresso foodpanda per nahi hay. Ab to delfrio wapis agaya.

M: tou us time mein aapne phir kia kia

R: well shuru mein tou June July tak sab restuarants they usk baad im not sure exactly kia issue tha
but august mein kaafi restaurants unavailable they

M: ok so jab for eg delfrio nahi tha tou kia ja k order kartay they ya kisi aur restaurant sey order
kartay they?

R: baaqi k options dekhtay they kuch laga acha tou foodpanda sey hi order kia warna 1-2 dafa
directly delfrio sey bhi kia
Han fruits ki baat pe ab yaad aya k covid k zamane mein strawberries bohat ayi humare ghar jo
pehlay kabhi nahi ati thi wo bohat zyada ayen. Strawberries, milk and fresh cream ka consumption
both zyada barh gaya tha cos humare haan saarim k liye fridge mein hamesha aik jug mein
strawberry milkshake rakha hota tha. Aik jug 2 days last karta tha phir 3 rd day dobara banta tha.
Doodh to ghar mein hota hi tha but doodh ki bhi consumption barhi but fresh cream phir lana shuru
kardia ghar mein.

M: acha yogurt nahi dalta tha?

R: no, milk, cream, strawberries and sugar. Iski waja sey sugar consumption bhi increase huyi cos
pehlay to humare haan chai bhi nahi banti thi itni k cheeni chahiye ho, and desserts tou bantay hi
nahi ghar pe baking nahi hoti (cos only saarim likes a few desserts) also cos oven bhi nahi ghar pe

M: acha butter ki consumption kaisi hay (24:15)

R: no, koi khas nahi. Nouman ko 2-3 mahine mein aik ad dafa hota hay k slice pe butter laga k khayen
to butter ki stick ajati hay, other than that koi khass nahi

M: ok and cheese?

R: cheese ki bhi bilkul consumption nahi thi bus covid k shuru shuru mein saarim ko kuch karsa josh
charha tha subah cheese omelettes khud bananay ka, tou uske liye cheese slices aye, ya aik shuru
mein phli dafa “fire chicken” recipe try ki maine usme cheese dalti thi tou first time humare han
cheese aya, but 2-3 mahine ka shoq tha to ab wo freezer mein hi rakhe reh gaye

M: kaafi items isliye bhi aye cos new recipes try ki thi?

R: yes exactly. Only cos restaurants band they tou new dishes ghar mein try ki different karne k liye.
Koyelon ki bbq jo saalon mein 1 dafa hua karta tha wo covid k baad month mein 2-3 dafa honay laga
cuz sab band tha. Shuru k 2-3 mahine tou both hua bbq

M: ok bbq k liye bas koyelay aye? Ya aur kuch bhi? Grill wagera?

R: grill tha, seekhain bhi thi ghar mein. Bus chicken ki consumption barhi is wajah sey aur koyelay
aye.

M: iske ilawa, canned foods?

R: canned foods nahi hotay humaray han,

M: what about canned fruits?

R: um no just once in a while wo bhi agar koi gathering hay, usme dessert k liye use karlia lekin
routine mein nahi ata. Lekin sirf ghar ki gatherings, jaisay ammi wagera agaye, farah (sister) agayen
to wo covid mein zyada raha, pehlay sirf meray ghar ane wali gatherings nahi hoti thin. Pehlay sirf
once in 2 months hoti thi, covid mein every 3 weeks hojati thi k maine bula lia ghar pe close logon
ko. Har gathering mein necessarily canned fruits use nahi huye but still. Close family ki socialising
barhi humare ghar during covid shuru k 3 4 mahine.

M: ok what about frozen foods, nuggets, tender pops etc?

R: cos saarim itne nahi khata isliye wo bhi kabhi nahi aye zyada, covid mein dawn k frozen parathay
zyada aye cos nouman ghar pe hotay they and breakfast daily horaaha tha. Frozen kabab bhi use
nahi huye cos kabab ghar mein bantay hain.
M: kabab kis chiz k hotay hain? Chicken mutton?

R: beef ke. Ghar mein qeema sirf kabab bannay k liye ata hay. Ya tou aloo qeema k liye ya kabab k
liye, only for these 2 things.

M: icecream aplog k han rakhi jati hay?

R: no, jab bhi dil chahta hay tou bahar ja k ussi waqt kha letay hain, store nahi hoti.

M: garmiyan thi tou icecream ki consumption zyada huyi?

R: no, cos wo routine mein wesay nahi khayi jati itni. Very occasionally

M: ok. Most important q, coke k baray mein batayen/ softdrinks

R: han wo bohat zyada barh gayi post covid. Raat ko chips ke saath bhi peeti hu to wo bhi barh gayi.
Aur khane k saath bhi. Koi bhi gathering huyi tabbhi nahi routine mein bhi barh gayi. Wohi tou body
k har taraf sides sey nikal rahi hay, ab nazar ati hay.

M: mahine wise cans ke consumption k hisaab sey?

R: pehlay agar 10 atay they tou ab 15/18 anaay lagay. Pehlay bhi consumption of cold drinks utni hi
thi lekin pehlay dine out kartay waqt peetay they, ghar mein itni nahi ati thi. Ab ghar mein ati hay.
Lekin add on bhi hua roz nightime mein aik coke ka can peena. Jab mein ertugrul dekhti thi snacks k
saath, chips and coke. Wo wali consumption pehlay nahi hoti thi. General bhi jaisay mosam acha hay
tou coke nikal li, pakora banaye tou saath coke nikal li. (30:22)

M: ok and which cold drinks?

R: coke and sprite, mainly coke. Agar 500 ml wali khol rahay hain to hum 2 peenay walay hain aur
mein sirf coke peeti hu so wo share kartay they, sprite agar nouman ko akelay peeni hay tab.
Otherwise agar sirf aik khul rahi hay to coke hi. Mirinda bohat rarely. Coke ka one fourth hay sprite
ka consumption.

M: juices?

R: no tetra pack juices. Na pehlay na baad mein

M: fresh juices?

R: not rlly, sirf strawberry shake bana ghar mein. Aur bohat rarely hota tha k kaheen ja k fresh juice
pee lia.

M: ok snacks?

R: bohat barh gaye. Tea time walay snacks and late night, usme nimco ke chips agaye, samosay and
pakoray, these r daily basis walay snacks. Samosay wo barray bazar walay. Aloo walay. Uske ilawa
croissants ki consumption barhi. Shaam ki chai k saath. Ussay pehlay kabhi nahi khaye. Post covid
routine mein ayen croissants. Is sab ki waja sey weight bhi bohat barh gaya. And lockdown mein cos
koi socialising nhi thi poora waqt ghar mein nightsuit mein guzar rahay hain aur nightsuit hota hay
loose tou pata bhi nahi lagta tha k weight barh gaya. Zyada hit kia hay august mein saman ki shaadi
mein. Uski dawatain huyi, to kapray pehnnay to wo fit nahi aye. And especially winters mein pihcle
saal k jab winter clothes nikalay to koi fit nahi aya, sab ko khulwana para. 4-5 kg mera barha. Raat ko
drama dekhtay waqt andaza hi nahi hota tha chips k packets pe packets khatam hojatay they aik hi
sitting mein. Aur ab barh k kam nahi horaha.
M: ok croissants k ilawa what about bread?

R: na pehlay itna khaya na ab. Haan jis time mein saarim ko omelette khane ka shoq hua to bread
zyada khayi gayi but only for 1-2 months. Warna nouman ko bhi nashtay mein paratha khana pasand
hay.

M: and sandwiches nahi bantay?

R: occasionally banay. Zyada nahi banay. Regular basis per bread ka increase nahi hua.

M: sandwiches ki sauces?

R: han wo first time leen sauces jo pehlay maine kabhi nahi li thi, har qism ki sauce, chipotle,
oregano, peprica, chilli sauce. Jin dinon ghar mein cheezain ban rahi thi us time mein sab le k ayi thi

M: popcorn

R: han raat ka snack jab chips khatam hojatay hain. Order badalta rehta hay ya to pehlay chips ya
pehlay popcorn. Uska consumption increase nahi hua cos wo pehlay bhi hum khatay they.

M: ok ye hogayen khane peenay ki cheezain, phir groceries mein atay hain deodorants, cleansers,
soaps, face washes, etc.

R: soap ka same raha. Shampoo ka I told u thora kam hua consumption, saarim aur nouman ki same
rahi cos wo post covid bhi daily hi shampoo kartay they, unki same routine rahi. Mera ye tha k jab
laga baal both gande horahay tab shampoo kia cos pehlay agar week mein 4 din ja rahay they bahar
to chaaron din shampoo kia and post covid wo week mein 2 times hogaya. Cosmetics bohat kam use
huye.

M: toilet paper, sunblock?

R: sunblock hum use nahi kartay, toilet paper bhi bohat kam use hota hay generally, but paper
towels bohat barh gayi. Pehlay Naeema safayi karti thi to kapray sey karti thi but jabsey humne
karna shuru ki to paper towels use kiye for everything, table saaf karrahay, dusting karrahay. Han
toothbrush toothpaste zahir hay wohi raha.

M: ok househelp change huyi, tou safayi k saman mein farq aya? Bleach, cleaners etc.

R: nope, same raha, new househelp ko pehlay seyhi bata dia tha kitna use karna hay. Pehlay kapray
roz dhultay they lekin ab every 5-6 days. But I feel k washing machine mein zyada washing powder
use hota hay. Hum washing machine use kartay hain sab and Naeema haath sey dhoti thi kapray. Wo
consumption even out hogaya. Same washing powder used.

M: medicines?

R: no change, kam raha actually. Cos bahar na Janay ki waja sey allergies nahi rahi saarim ko jo har
thore arsay baad allergy attack hota tha. Is poore saal mein nahi hua. So wo antibiotic wala
consumption khatam hogaya.

M: aplog ko covid hua tha to ussay bhi farq nahi para medicines mein?

R: no cause mild symptoms thy. Aik aad dafa bas Panadol le li thi. Nouman ne shayad wo bhi nahi li.

M: vitamins?

R: na pehlay letay they na ab


M: insect repellent, mortein.

R: wo sirf chipkali k liye use hua which remained the same pre and post covid. Han macharon ka coil
zyada use hua jab bahar bbq krtay they. Zyada nahi, bus 1 packet aya. Pehlay nahi aya kabhi.

M: newspaper magazines?

R: na pehlay na ab

M: ok and electrical appliances.

R: we don’t have microwave and oven. Toaster oven hay and uski use utni hi rahi. Electrical
appliances while cooking use huyi like blender, chopper, like strawberry shake k liye blender use kia,
and zyada use huuyin sab cheezain cos ghar mein khanay zyada banay. Washing machine ab routine
mein use hoti warna pehlay sirf chadaron k liye use hoti thi. Jo month mein 1 dafa use hoti thi wo ab
5-6 day use hoti hay. TV use hua, not dvd player, Netflix use hua. Mein ipad hi use karti thi.

M: tv per kia dekhtay hain

R: news, political, and sports for saarim. Dramay pehlay bhi nahi dekha jatay they ab bhi nahi. Sirf
maine aik drama dekha ertugrul wo ipad pe on netflix not on tv. Late night jab mein ertugrul dekhti
thi tou nouman youtube per prank videos aur patani kia kia dekhtay they. Wo nadir ali k prank
videos, ya Imran khan k interviews agar miss hogaye to youtube per dekhlia. Sirf nouman ne shayad
cheekh drama dekha tha. And Netflix bhi humara apna nahi hay hum kisi aur ka use kartay password
de dia tha unhone. I only watched ertugrul on Netflix and am watching usman on another website,
wo netflix per nahi hay. Osman online hay koi website

M: ok after watching ertugrul apko religious inclination huyi koi? Did u notice any changes?

R: not really. Admire kia bohat choti choti baton ko, but namaz parhtay hi they, hijab ki taraf abhi dil
maael nahi hua. But appreciated the religious touches. Aik diff aya k wo medicine letay waqt ya
shafayi boltay hain to bus wo. Bc its not really religious media its just a drama sab cheez hay mixture
of religion politics fight their love lives, their social standing, so religion is just a part of it we
wouldn’t call it a religious drama. I just take it as entertainment.

M: ok saarim ka I know Netflix per kabhi Naruto, avatar, friends, suits, different movies sab dekhta
hay wo. Have u ever watched cooking shows?

R: no never, just searched up recipes from superchef

M: ive noticed a lot of ppl turned more towards religion during this time. K namaz zyada parrhay,
quran bhi and religious videos as well. Did any such thing happen to u?

R: jab husbands job per ja rahay hotya hain poora routine set hua hota hay for us housewives, k ye
namaz ka time hay, etc. since nouman was at home to I felt k kabhi bhi ki bahar jaanay ka plan ban
jata tha so I thought mera quran parhne ka time kum hogaya jo zuhr k baad hota tha. Wo khatam hi
hogaya. To sum up how life changed after covid, since job ki taraf sey security thi, k by the end of the
month humaray account mein pay ajayegi, humne ye time as an entertainment li fully, enjoy kia. So
pichle 2 saal sey saarim ghar pe nahi hota tha, aya bhi to uski tuitions hoti thi har waqt. Uske baad ye
laga k oh sab ghar pe hain. Husband week mein 2 dafa office ja rahay wo bhi kuch ghanton mein
wapis ajayengay so the 3 of us enjoyed this time a lot. Cus hamesha nouman ki chuttiyan khatam
hojati thi, ya koi aya hua hay, ya kisi ki shaadi hay, ya were going somewhere tou chuttiyan use hoti
thi, kabhi bhi aisa nahi hota tha k chuttiyan le k ghar bethay. Ye humara aik dream tha jo kabhi nahi
hua. This was like a paid vacation. Somewhat like post retirement wala time humne guzara k koi fikar
nahi but this was only because of job security. Farq sirf life mein ye aya k entertainment wala factor
increase hua, which were missing now, bahar nikle to traffic nahi road pe, zuhr aur asr k baad nikal
jatay they round laga k ajatay they 2 hours mein, north gaye kuch khane ka lenay k liye to traffic
nahi. Sukoon tha. Chutti le k sirf hum 3 ka pehli dafa raha. Agar hum aaj k 5 saal baad sochain k covid
hua tha to hum yehi yaad karaingay k bohat enjoy kia, until noumans office started again, so until
august. March till august meri shaadi k baad best time tha.

M: any books?

R: only one, before I started ertugurl, I forgot the name of the novel. Online hi parha tha wo bhi.
Urdu novel tha. Uske baad I started dil diya dehleez but just read a few chapters and uske baad
ertugurl shuru kardia.

M: precovid parhti thi novels?

R: not rlly, before shaadi yes but not after. Time nahi hota tha. Bas kabhi suna k bohat hi koi acha
novel to wo parh lia saal mein 1 dafa probs. Covid k shuru mein shaam k waqt hum ghar hotay they
so just for entertainemtn start kiya 1-2 novel. Drama start hogaya to doosra novel chor dia. Agar
ertugurl nahi hota to zyada novels parhti.

M: electronic devices ki usage?

R: mera ipad pehlay agar 2 days mein 1 dafa charge hota tha to ab roz hota hay, kabhi even twice a
day. I use it alottt bc I don’t watch tv at all. Nouman uses his ipad. So 3 phones, 2 ipads, and saarim
uses his laptop for constant use. And saarim ka ps4. Saarim ki laptop ki usage increased also cos of
online classes. Pehlay tuitions online hroahi thi phir univ ki online classes.

M: social media usage (59:00)

R: shuru mein facebook insta utna hi use hota raha, uske baad zyada use hua Netflix while using
facebook and insta. Jab ertugrul khatam hogaya to fb and insta per short clips ati rehti hain drame ki
fb watch per and Instagram explore page per dekhti hu. Snapchat ka use zyada raha cos ghar pe jo
bhi activities raheen usko mein update karti rahi though bahar ana jana nahi horaha tha. Phir august
mein shaadi huyi saman ki ussya pehlay ki jo tyaari wagera thi uska bhi update karti rahi. Shayad
meri snap ki posts aisi hoti hongi k doosre sochain “inko apni sehat ka khiyal nahi”, humne socialise
nahi ki but gaari k ander beth k bahar ki video banayi cos seaview wagera is time per both serene
tha. Usually to seaview jao to samadar dikhta hi nahi sirf log dikhtay they but is time per koi nahi
hota tha to bohat maza ata tha k sirf humari hi aik gaari hay. Aik is cheez ko both enjoy kia k pehlay
hum 4 bajay shaam me jatay they, aik dafa hum late hogaye tou right before maghreb tab road block
hoti thi to koi gaari nahi hoti thi sirf o sirf jinlog k wahan apartments hotay they wo hotay they. Achi
families ki larkiyan bhi larke bhi cycling karrahay, aunties bhi apne dogs ko walk karane k liye nikli
huyi hain and cos us time per gyms sab band they, tou gyms Janay walay log walk karne atay they.
Ajeeb sa crowd nahi hota tha, sirf o sirf inlogon ka access tha bohat acha lagta tha jaisay bohat hi
achay environment min agaye hain aunties bhi uncles bhi young larkiyan larke bhi. Lekin mera
snapchat dead hi raha as in mere friends na hi kuch post kartay they na kuch zyadatar mein hi post
karti thi.

M: did u download any new social media app?

R: zoom download kia tha, baaqi the usual whatsapp insta snapchat and facebook

M: workout? Gym or yoga or meditation


R: none at all.

M: music consumption

R: music tab lagta tha during a drive, ghar min nahi. Cng consumption kam isliye rahi cos nouman
office nahi jatay they and saarim ka school nahi, but humara usual round lagta tha seaview tak ka jo
pehlay bho hota tha ab bhi. So during that long drive music sunna but the same as before.

M: what about whatsapp totkay? Jab shuru hua tha to har forwarded message mein koi covid ka ilaaj
hota tha, did u try any

R: haaan, aik kia garlic swallow karne ka. Ab nahi chal raha ab tou covid bhi hogaya. 1-2 months we
would swallow a piece of garlic everyday. Aik dafa aik kahwa banaya tha with adrak wagera I forgot
aur kia tha. But aur kuch nahi kia Cos nouman ko chai mein aur kuch nahi pasand. Jaisay aik dafa I
got the tapal cardamom tea wali patti jisme sirf elaichi daane hotay they thorey unko wo bhi pasand
nahi ayi.

M: oh cardamon chai patti bhi new try ki during covid?

R: phuppijan ayi thi in February to she was searching for elaichi patti tou unko bataya phir feb mein
maine bhi try ki to aik chotta wala pack lia bas wohi chala uske baad nahi khareedi cos nouman ko
pasand nahi ayi. Aik aad dafa aaplog aye tou pilaayi then eid ke nashtay per banayi hogi but that’s all
wo aik hi packet use hua. Yakhni wagera ye log nahi pee saktay to humaray haan aisa kuch nahi
banta.

M: aaplog k haan patti ati hay ya teabags use kartay hain?

R: haan dabbay wali patti. Teabags nahi use hotay. Teabags sirf dawaton k liye atay hain. Greentea
jab mein apne liye banati hu I like it very mild so mein sirf 2 leaves dalti hu tou I use the khulli patti
for myself in green tea lekin green tea teabags humare haan rakhay hotay hain k agar koi mehman
aye tou aik teabag le k usko 2 ya 3 cups mein dip kia cos jaisay bhabi wagera atay hain to wo bhi
both mild peetay hain. So teabags chai k bhi and greentea k bhi ghar mein mojood hotay hain. But
uski consumption mein koi change nahi aya.

M: ok aapke phone mein sms and paid calls mein koi farq aya ?

R: nahi. Whatsapp is free calls and messages, if it wasn’t free to increase ata. But jazz ke paid calls
and stuff usm farq nahi aya. Calls itni increase nahi huyi. Whatsapp ka usage mera wesay bohat
zyada hay. So it stayed the same. Bus 2 4 dafa cousins k saath zoom calls hoagyen thi that’s it.

M: aap monthly jazz ka package dalwati hain wo same raha? Or changed?

R: han same raha, ab I changed 2 months ago, ive shifted to another package. new package mein jazz
to jazz minutes zyada hay its more suitable for me but prices of both were the same, 600 and 620.
Data utna hi hay, sms sey farq nahi parta cos I use whatsapp anyways. Calls zyada hain is walay mein,
data utna hi hay.

M: u said aapke overseas cousins k saath 2 4 dafa zoom meetings huyi for 2/3 hours, uske ilawa bhi
do u think overseas family n friends sey communication zyda huyi in covid?

R: nahi, cos humlog pehlay bhi well connected rehtay they. Daily basis per pehlay bhi baatain hoti thi
aur ab bhi, hum log sab cousins ka whatsapp group hay usper mustaqil baatain chal rahi hoti hain.
Everyoens uptodate with eachothers lives.
M: do u think post covid log zyada active huy us group pe?

R: nahi, ab bhi wohi log baat kartay hain. But 1-2 log jo pehlay bht baat kartay ab wo kam kartay hain
but maybe that has got nth to do with covid shayad wo wesay hi busy hogaye or maybe hes more
busy with work from home. Abhi bhi utni hi frequently baatain hogayen. Zoom calls 4-5 dafa
hogayen. Humare sab cousins cos out of Pakistan hain usne hamesha sey internet k through hi
contact mein rahay, ye nahi hua na k karachi mein bc of covid kisi sey mulaqat nahi horahi tou
internet k through karrahay. Aisa nahi tha. Humara set up hi aisa tha. No diff in that bc of that

M: stormfiber ka package same raha?

R: same raha

M: Bijli, gas and paani.

R: bills same rahay. Ac bhi hum dehaan sey chalatay hain. We made sure k ghar mein dopehar mei ac
nahi chalayengay. Bahar nikalne ka time humne 4 bajay issiliye rakha tha k us waqt garmi hoti hay
ghar mein ac nahi chalayengay gaari ka chala lengay cos car ka fuel consumption kam hua wa hay.
Tou is tarha compensate kia take bills more or less same rahay phlay ki tarha. Baaqi paani and gas ka
wohi raha.

M: plumbing, electrician, repair wagera

R: nahi koi nahi aya

M: ok y baatyen k 2 eids huyen, unme kapray banwayen? Kapray same amount k banaye and
quantity same thi ya different

R: nahi, is dafa eid pe pichle saal k ittefaq sey 1-2 fancy suits aisay they jo phennay nahi gaye they
abhi tak. Aik maria b ka tha aik Zainab chottani ka tha so maine eid per naya dress nahi banwaya tha,
ghar wala aik banwaya tha samjhe jo sapphire walay range ke hotay hain wo 1-2 banaye, lekin jo eid
per 2-3 banatay hain fancy wo maine is dafa nahi banwaye. Pichle saal ka maria b wala use hua.
Nouman aur saarim ka jo aik shalwar kurta ata tha wohi aya dono k liye peter sham sey isliye unke
per farq nahi para. Mera dress agar 4 bantay they, tou 2 banay, 2, 10,000 plus walay nahi banay. 1-2
5,000 walay banay.

M: ok eid per socialisation kaisi rahi

R: zero huyi, sirf ammi sey and bhabi wagera sey huyi. Half socialising sey kam keh saktay hain. Bhabi
k ghar dawat thi, ammi k ghar raat ko dawat thi. Haan aur Baqra eid per aik sobia nazir ka dress
banwaya tha aur aik nouman ne gift kia tha wo ghar mein pehnna tha. Aik general overview denay k
liye wesay jo summer mein kapray bantay they uske half kapray banay, cos ana jana hi nahi hua.
Maine aik aur bhi banaya tha baqra eid per aik aur sobia nazir ka lekin wo use hi nahi hua so mein
usko count hi nahi karahi, cos kaheen jana hi nahi hua. Ab maine wo saarim ki grad party k liye
sambhal k rakh lia hay. Wo bhi drag on huye jarahi hay since July. Pehlay tha k march mein karletay
abhi bhi nahi karrahay jan mein maria ayi huyi thi tab karletay agar hum sab ko covid nahi huye
hotay. Abhi bhi open mein patani log ayen na ayen isliye march mein iffy lag raha hay. To phir June
July mein karna hoga indoor since garmi hogi. So bc of covid iski party aik bohat bara question mark
hay.

M: eid per qurbani ka janwar?

R: uspe koi farq nahi aya


M: eidi detay hain usme kami ayi.

R: um nahi, cos jisko eidi detay hain unsey phir bhi milay, jaisay tayi ki family mein main sabko eidi
nahi deti isliye eidi ayi kam. Cos tayi ki family mein barray detay hain wo nahi mili. Zyada farq nahi
para. Ayi bhi nahi aur gayi bhi nahi

M: international travels

R: yearly travels humare wesay bhi nahi hotay they, derh ya do saal mein aik dafa hota tha wo bhi
covid ki waja sey nahi hua

M: banks visits, financial services, brokers?

R: nahi wesay bhi use nahi karti brokers. Bank bhi ana jana nahi hota cos sirf atm use kartay hain

M: parlour

R: only for root touch up, wo ussi amount mein gayi cos baal usi rate per safaid horahay hain. 5-6
weeks mein chala leti hu, jab white baal nazar ana shuru huye aur karwati hu. Pehlay wesay bhi mein
foran foran nahi karwati, ye nahi k aik baal white hua to karwalia, thoray nazar a bhi jaye tou doesn’t
bother me. unless and until koi special occasion na ho. Same amount post covid mein bhi.

M: tailor ka usage.

R: kam raha cos kapray nahi banay itnay tou diye bhi nahi usko. Summer mein in general kapray nahi
bnwayen but even out hogaya cos august mein shaadi k liye shaadi k kapray silwaye. Phir usko
bulaya jab winter k kapray dheelay karwanay they. Winter mein bannay nahi zyada, yahan winters k
itnay kahan bantay hain, banay sirf 1-2. Winter k kuch sale sey 2-3 le liye lekin silwaye nahi k aglay
saal silwaongi areeba ki shaadi k liye. Dheelay zyada huye kapray. Tailor was used 75%. Cos summer
mein koi bhi kapray khareedtay waqt yehi socha k kahan pehnoongi, tou nahi liye.

M: winters mein koi nayi shawls li?

R: nahi, pichlay saal li thi na aik navy blue wali. Is dafa dekhti rahi lekin bareeze pe prices itni thi k
socha iske bajaye kuch gold ka le loon. Bareeze ki achi thi lekin aik jo nouman ko pasand ayi wo
97,000 ki thi

M: :000000 usme aisa kia tha

R: out of stock bhi hogayi thi. Mujhe aik pasand ayi 30,000 ki but uspe achi sale nahi thi. Ye sab
75,000 plus wali shaadiyon mein phennay walay they. Hum log to 3-piece suit itnay k nahi banwatay.
30,000 wali price k hisaab sey theek thi cos velvet ki thi tou areeba ki shaadi k liye lee ja sakti lekin
cos date nahi fix huyi abhi tou its too early to buy anything. Agar November mein bhi huyi tou cant
wear velvet ki shawl.

M: malls ana jana? Generally aaplog ki outing kia hoti thi

R: week mein mall jana. Mall khulay hi eid k kareeb. Tou phir wapis wohi wala ana jana hogaya k
week mein aik dafa, 10 days mein aik dafa. Uske ilawa humari roz ki drive jo pehlay raat ko hoti thi
wo din mein honay lagi. To wo sale rahi. Mall cause band they to wo jana nahi hua.

M: hair dryer, hair straightener

R: socialising hi nahi huyi to use nahi huye

M: hair conditioner
R: mera use har shampoo wash k baad hota hay, wo same raha. Jab general shampoo hi kam use hua
to conditioner bhi.

M: ac usage

R: wohi rahi and bills mein farq nahi aya. In general khaane peenay ka bhi overall same raha, cos
bahar khan per nahi spend hua to groceries per spend hua. Ghar mein khana banana bhi koi sasta
nahi parta. Udher nahi to idher spend hogaya. Barri family mein bahar khanay aur ghar mein banana
per price ka farq parta hay, but for us aagay peechay hi parti hain prices. Aur diet bhi humari koi
extraordinary nahi hay. At times kuch cheezain ghar pe banana mujhe zyada mehnga para. Hum log
bahar jo khatay they wo hum 5 star hotels mein thori khatay they, humara to ye tha k kabhi Haleem
agaya, biryani agayi, bazaar ki daal agayi, chicken tikka agaya, so humara expensive eating out nahi
tha.

M: online shopping

R: in general shopping hi nahi huyi. Aur yahann tou online shopping hi nahi hoti. Mein hamesha in
person ja k shopping karti hu, online kabhi nahi ki abhi bhi nahi.

M: aap amazon per shopping karti thi America sey mangwati thi through relatives tou uska?

R: han wo order karleen cheezain, maria summer k bajaye abhi winters mein agayi tou cheezain le
ayi. Is dafa zyada cheezain thi, quantity nahi but amount zyada tha. Jaisay laptop mangwaya tha.

M: ok sab hogaya, thanks, Allah Hafiz.

You might also like