You are on page 1of 9

Do you want to log in or join Facebook?

Join
or

Log In

Fariq Manzoor edited a doc in the group: SIRAT-AL-MUSTAQEEM.


March 20, 2012 at 3:43 AM ·

(img:320089678050180)
"VED AUR QURAN" part-1

assalamo alaikum, aj se hum yaha sirf quran ko hi ni balki hinduism ke pavitr granthon (holy books)
jaise ved, upnishad, bhagwad gita aur puraanh ko samajhne ki koshish karenge. agr hame kinhi do
mazhab ke bich similarities dekhni ho to mazhab ke manne walo ko ni dekhna chaiye balki mazhab ke
pavitr granthon (holy books) ko samajhna chaiye. kyunki bahut se manne wale aise bhi hote hain jo
khud apne mazhab ki sahi baton se waaqif (aware) ni hote.

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-2

kisi mazhab ko samajhne ka sabse acha tarika yeh hai k us mazhab ke pavitr grantho (holy books) ko
sajha jaye. HOLY BOOKS OF ISLAM-allah quran sharif me surah nisa, ayat 49 ke alawa kai baar frmata
hai-"ai iman walo agyakari (obedient) bano allah t'ala ke aur (obedient) bano rasool s.a.w. Ke" is tarah
islam ko samajhne ka sabse acha tarika yeh hai ki islam k pavitr grantho QURAN (allah ka kalaam)
AUR SAHIH HADEES (rasool s.a.w. Ki bate) ko samjha jaye. HOLY BOOKS OF HINDUISM- isi trah
hinduism ko samajhne ka sabse acha tarika yeh hai k iske pavitr grantho ko samjha jaye. Hinduism ke
pavitr granth VED, UPNISHAD, ITIHAAS, BHAGWAD GEETA AUR PURAANH hain.

"VED AUR QURAN" part-3

DEFINITION OF HINDU-hindu word ek geographical word hai jiska istemaal indus nadi ke paar rehne
walo ke lye hota hai ya hindustan me rehne walo ke liye hota hai. Jawahar lal nehru apni kitab
'talaash-e-hind' page 74-75 par likhte hain ki hindu shabd ka sabse pehle hawala 8vi sadi isvi ke ek
tantrik ke yahan milta hai jaha ise sirf ek aam admi ke liye bola jata tha, kisi khas mazhab ke maanne
wale ke liye nahi. Kisi khas mazhab ke sath iska istemaal iske baad ke zamane ki bate hain.
:
to be continued...
"VED AUR QURAN" part-4

DEFINITION OF HINDUISM- hindu vidwano ke mutabiq hindu mazhab ke liye hinduism ka istemaal
ghalat hai, hinduism ka istemaal bahaisiyat mazhab ya to SANAATAN mazhab ke liye hona chaiye jiska
matlab abdi mazhab (hamesha rehne wala mazhab) hai ya VAIDIK mazhab ke liye jiska matlab vedo ka
mazhab hai. Swami vivekanand ke mutabiq hindu mazhab ke manne walo ko VENDANTIST kaha jata
hai. next part me hum MUSLIM AUR ISLAM ki definitions ko samjhenge inshallah..

to be continued...

"VED AUR QUQAN" part-5

last part me humne HINDU AUR HINDUISM ki definition ko samjha ab hum ISLAM AUR MUSLIM ki
definition ko samjhenge. DEFINITION OF ISLAM- islam ka matlab wo aman (peace) hai jo apne aap ko
allah ke hawale kar dene se hasil hota hai. Quran me surah aal-e-imran ayat 3 aur 85 ke alawa quran
aur hadis me bahut si jagho par islam word ka zikr aya hai. DEFINITION OF MUSLIM- muslim use
kehte hain jo poori tarah se apne aap ko allah ke hawale karde. Muslim word ka zikr surah aal-e-imran
ayat 64 aur surah hameem sajda ayat 33 ke alawa quran aur hadis me bahut si jagho par aya hai.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-6

surah baqrah ayat no-177 me allah SWT farmata h : "sari achai uttar aur dakshin ki taraf muh karne
me hi nahi, balki haqiqat me acha wo insan hai jo allah par, qayamat ke din par, farishton par, allah ki
kitab (quran) par aur nabiyon par imaan rakhne wala ho" yahi sari bate hinduism k pavitr grantho me
bhi mojood hain isliye ab hum in do bade mazhab me, inke pavitr grantho (holybooks) ki roshni me
tasawwur-e-ilah (bhagwan me vishwas) ka jayza (reviewe) lenge aur inme mojood ek si bato ko
samajhenge. next part me hum hinduism me tasawwur-e-ilah (bhagwan me vishwas) par bat karenge
inshallah.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-7

HINDUISM ME TASAWWUR-E-ILAH (BHAGWAN ME VISHWAS)-agar aap kuch adharmik hinduon se


puchenge ki wo kitne dewtaon par vishwas rakhte hai to kuch kahenge 3, kuch kahenge 33, kuch
:
kahenge hazaar aur kuch 33 crore bhi keh sakte hain lekin agar aap kisi hindu vidwan se malum
karenge jo hindu granthon se achi tarah jankari rakhta ho to wo jawab dega ki hinduo ko vastaw me
sirf ek khuda par vishwas rakhna chaiye aur usi ki ibadat karni chaiye..

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-8

HINDUISM AUR ISLAM ME SIRF IZAAFAT (RELATION) KA FARQ HAI. (har chiz khuda hai-har chiz
khuda ki hai) hinduon aur muslim ke bich sabse bada farq izaafat (relation) ka hai. hindu kehte hain
har chiz khuda hai, ped (tree), suraj, chand, sanp, bandar, insaan sab khuda hain, jabki muslim ka
manna yeh hai ki har chiz khuda ki hai. agar hum izaafat (relation) ke is farq ko hal (solve) karlen to
hindu aur muslim ek ho sakte hain. surah aal-e-imraan, ayat 64 me quraan kehta hai-AAO US BAAT KI
TARAF JO HUM MEIN TUM MEIN YAKSA (BARABAR) HAI. sabse pehli manzil ya padao kya hai? yeh
hai ki "ALLAH KE SIWA KISI AUR KI IBAADAT (POOJA) NA KAREN.. isliye hume hindu aur muslim ke
pavitr granthon (holybooks) ko samajhkar ek jaisi baaton ki taraf aana chaiye.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-9

VED, BHAGWAD GEETA, UPNISHAD, PURAANH etc. hindu mazhab ke pavitr granth hain jinme likha
hai ke hume sirf ek khuda ki ibaadat karni chaiye. upnishad ki ginti hindoun ke pavitr granthon
(holybooks) me hoti hai- --shandogiya upnishad, vishey-6, adhyaye-2, abhyas-1 : "EKAM
EVADVITIYAM"-wo sirf ek hi hai baghair kisi doosre ke. --shivyata shivaatra upnishad, vishey-6,
abhyaas-9 : "NAAKAASYA KAASKAJ JAANITA NA KAADI PEH"- iske na maa baap hain na iska koi
maalik aur aaqa hai. --shivyata shivaatra upnishad, vishey-4, abhyaas-19 : "NAATASYA PRITIMA
ASTI"- us jaisa koi nahi hai. --shwetaashwatr upnishad, adhyaye-4, sarg-20 : "NA SAMDARSHI SE
TISTHATI ROOPAM ASYA, NAACHKASOSA PAASYATI KAAS KANAYI NAM"- iski shakl dekhi nahi jaa
sakti, koi ise aankhon se nahi dekh sakta.

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-10

last part me humne upnishad ke kuch references pesh kiye the is baar hum dekhenge ke BHAGWAD
GEETA me kya likha hai. bhagwad geeta hindu granthon me sabse zyada mashhoor (famous) hai.
bhagwad geeta 7:20 me likha hai- "JINKI AQAL BHOTIK ICHCHAON NE CHURA LI HAI WAHI ARDH
DEWTAON KI POOJA KARTE HAIN YANI JO MADDA PARAST (FUNDAMENTALIST) HAIN WAHI ARDH
DEVTAON KI POOJA KARTE HAIN EK HAQIQI KHUDA KO CHORKAR DOOSRE MANGHADAT
DEVTAON KI POOJA KARTE HAIN."
:
to be continued...

"VED AUR QURAN" part-11

hindu grantho me sabse zyada VED ko pavitr samjha jata hai. Bunyadi tor par 4 VED hain-RIGVED,
YAJURVED, SAAMVED AUR ATHARVAVED. -yajurved, adhyaye 32, sarg 3 me likha h-"NATASYA
PRITIMA ASTI-uski koi shakl surat nahi hai" isme yeh b likha hai ki "use kisi ne paida nahi kiya hai wo
hamari ibadat ka mustahiq hai" (yajurved, devi chand m.a. Page 337) yajurved, adhyaye 40, sarg 8 me
likha hai-uska koi jism nahi hai wo khaalis hai. yajurved, adhyaye 40, sarg 9-ANDHATMA PRIVISHANTI
YE ASAMBHUTI MUPAASTE-jo log qudrati chizon ki pooja karte hain wo andhkaar me daakhil hote
hain.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-12

ATHARWAVED, ADHYAYE 20, STUTI 58, SARG 3- "dev maha osi"-"khuda vastav me mahaan hai."
RIGVED 1, STUTI 164, SARG 46- "ekam sat vipra bahudha vadanti"-"aarifeen (padhe likhe deeni
peshwa) ek khuda ko alag alag namo se yaad krte h" rigved me khuda ki kam se kam 33 alag alag
khoobiyo ki charcha ki gai h. Inme se anek khoobiyo ki charcha rigved adhyaye 2 stuti 1 me hai. Joki
hum next part me pesh karenge inshallah.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-13

1-BRHAMMA = PAIDA KARNE WALA (KHAALIQ) RIGVED, ADHYAYE 2, STUTI 1, SARG 3 rigved me
btae gaye gudon me khuda ka sabse khubsurat gud BHRAHMMA hai. Arbi me iska anuwad KHAALIQ
se kiya jata h. Islam ko is par objection ni h ki koi khuda ko BRHAMMA ya KHAALIQ ke naam se yad
kare lekin jb koi ye kehta h ki BRHAMMA yani khuda ke 4 sar h aur har sar par ek taaj h aur is
BRHAMMA ke 4 hath h, to islam is par objection karta h. Kyunki is tarah ki taarif se khuda ki ek shakl
banti h, is tarah ki taarif to un chizo ke bhi opposite h jo YAJURVED, ADHYAYE 32, SARG 3 me pesh ki
gai h- NAA TASYA PRITIMA ASTI..USKI KOI SHAKL NAHI HAI.

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-14


:
VISHNU=PAALANHAAR=RAB rigved, adhyaye 2, stuti 1, sarg 3 me likha dusra khubsurat gun VISHNU
h yani paalanhaar, paalne wala. Arbi me iska anuwad RAB se kiya jata h, agar koi khuda ko RAB,
PAALANHAAR YA VISHNU ke naam se yaad kre to islam ko is par koi objection nai h lekin jab koi
kehta h ke VISHNU khuda h aur is vishnu k 4 baazu h, ek daayen baazu me chakkar h aur
baayen baazu me ghunga machli, vishnu ek chidiya par sawaari karta h aur saanp ki pith par araam
karta h to islam is par objection karta h, kyunki vishnu ki is tarah ki tarif se khuda ki shakl banti h aur
is tarah ki taarif YAJURVED, ADHYAYE 32, SARG 3 me pesh ki gai taarif k opposite h NAA TASYA
PRITIMA ASTI..USKI KOI SHAKL NAHI.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-15

hum pehle bata chuke h ki islam me ALLAH ki sbse mukammal aur behtar tarif surah ikhlaas (112),
ayat 1-4 me ki gai hai. Hindu grantho me aise bahut example h jo waise hi similar (ek jaisa) matlab
rakhte h jaise surah ikhlaas, ayaat 1-4 ka h. ISLAAM-aap keh dijiye ki woh allah t'aala ek hi h. (surah
ikhlaas, ayat 1) HINDUISM-"ekam adwitiyam"-woh sirf ek hi hai baghair ksi dusre ke. (chandogya
upnishad, adhyaye 6, khand 2, abhyas 1) aise hi aur example dekhenge hamare next part me
inshallah.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-16

ISLAAM- "allah t'aala beniaaz hai, na isse koi paida hua hai na woh kisi se paida hua". (surah ikhlaas
112, ayat 2-3) HINDUISM- "woh jo mujhe utpatti kiya hua khayaal nahin karta hai, jiska koi aarambh
nahi hai, jo saare sansaar ka mahaan swaami hai." (bhagwad geeta 110:3)

ISLAAM- "aur us jaisa koi nahi hai." (surah ikhlaas 112, ayat 4) HINDUISM- "naa tasya pratima asti-us
jaisa koi nahi hai." (yajurved 32:3)

hinduism ka brhamma sootr-"ekam braahm devta naasti nanaanaasti kinchan"-"bhagwan ek hi hai,


dusra nahi hai, nahi hai, nahi hai, zara bhi nahi hai"

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-17

ISLAM ME FARISHTEY- farishtey allah ki makhlooq (living being) hain, woh roshni se paida kiye gaye
:
hain aur aamtor par woh dikhai nahi dete. inka apna koi sankalp nahi hota isiliye woh sada allah ke
aadesho ko poora karte hain. kyunki inhe sankalp aur adhikaar ki azaadi nahi hoti isliye woh allah ki
nafarmaani bhi nahi kar sakte. alag alag kaam ke liye allah ne alag alag farishton ko niyukt kar rakha
hai jaise farishton ke sardaar hazrat jibraail ko allah ke paighambaron par allah ki 'wahi' naazil karne
ke liye niyukt kiya gaya hai. farishtey khuda ki makhlooq hain, khuda nahi hain isliye musalman inki
pooja nahi karte. HINDUISM ME FARISHTEY- hinduism me farishton ka koi tasawwur nahi hai. phir bhi
hinduon ka vishwas hai ki kuch aisi makhlooqaat (living being) hain jo aise kaam anjaam de sakti hain
jinhe ek aam insaan nahi kar sakta. kuch hindu, devtaon ki haisiyat se in uchch aur mahaan
makhlooqaat ki pooja bhi karte hain.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-18

HINDUISM ME 'WAHI' KA TASAWWUR- jis trah quran majid allah ne 'wahi' (woh paigham jo allah apne
farishtey ke zariye nabi tak pahuchata hai) ke zariye pyare nabi s.a.w. par nazil kiya. usi tarah
hinduism me bhi kuch aisi holy books hain jinhe khuda ki aur se nazil kiya gaya samjha jata hai. 1-
SHRUTI- shruti ka matlab hai jise suna gaya, mehsoos kiya gaya, samjha gaya ya jise 'wahi' kiya gaya.
yeh hindu granthon me bahut purana aur pavitr mana jata hai. shruti ko ko 2 khas bhagon me banta
gaya hai-VED aur UPNISHAD. in dono ko hi 'uloohiulasl' yani khuda ki or se nazil kiya gaya samjha jata
hai. 2- SMRATI- smrati, shruti ki tarah pavitr nahi hai. aj ke hinduo me yeh mana bhi jata hai aur ise
important bhi samjha jata hai. smrati ka matlab yad dasht ya jise yad kiya gaya ho. smrati ko
'uloohiulasl' nahi samjha jata hai balki insani likhawat ki shaily se use manzoor kiya jata hai.

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-19

> VED- nisandeh mahaan aur vishaalta to khaaliq (srashta) hi ki hai -rigved 5:81:1

> QURAN- sab taarif allah ke liye hai jo tamaam jahano ka paalne wala h. -surah fatiha 1, ayat 1

> VED- hume sidhi raah dikha aur hum se in gunahon ko hata de jo hame barbaad karde ya gumrah
karde. -yajurved 40:16

> QURAN- hume sidhi raah dikha, un logo ki raah jin par tune inaam kiya, unki nahi jin par azaab kiya
gaya aur na gumrahon ki. -surah fatiha 1, ayat 5-7

mashallah ved ho ya quran dono me ek hi bat hume sikhne ko milti h ke bhagwan ek hi h, hume ek hi
bhagwan ki pooja krni chaiye jo sare jahanon ka maalik h.
:
to be continued...

"VED AUR QURAN" part-20

> BHAGWAD GEETA 7:20 ME LIKHA HAI-

"jin ki buddhi bhotik ichchaon ne chura li hai, wahi ardh devtao ki puja karte h, yani jo bhotikwad h
wahi ardh devtao ki puja karte h, ek haqiqi khuda ko chorkar dusre manghadat devtaon ki puja karte
h"

> YAJURVED, ADHYAYE 40, SARG 9 ME LIKHA HAI-

"jo log kudrati chizo ki puja karte hai woh andhkaar me daakhil hote h"

> QURAN ME SURAH HAA'MEEM, AYAT 37 ME LIKHA HAI-

"suraj aura chaand ko sajda na karo balki usko sajda karo jisne inhe paida kiya h"

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-21

ISLAM AUR HINDUISM ME TASAWWUR-E-RISAALAT- islam is bat par yakin nahi rakhta ki ALLAH
insani shakl ikhtiyar karta h. Woh insan me se hi kisi insan ko chunta h aur ek sambandh qaayam karta
h taki woh aam insano tak apne paigham ko pahuncha sake. Ye chune hue log ALLAH ke nabi kehlate
hain. hinduism me nabi ko AVTAAR naam se jana jata h, avtaar 'av' aur 'tar' se bana hai jiska matlab h
niche ana ya utarna. Kuch vidwano ka khyal h ki "khuda ka avtaar" khuda se sambandh ko zahir karta
h. Aur iska haqiqi matlab ek aise insan ka nuzool (utarna) hai jiska ALLAH ke sath khas sambandh ho,
khuda k zariye is qism ke chune hue insano ka zikr charo vedo me h. Islam in logo ko paighambaro ka
naam deta h. next part me hum janenge k hamare akhiri paighambar MOHAMMAD MUSTUFA S.A.W
ka zikr hinduism me kis tarah kiya gaya hai, inshallah.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-22

ab tak humne hinduism me ek khuda ki kalpna ke bare me padha ab hum janenge ki hinduism me
:
hamare akhiri nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke bare me kya likha h?

> MUHAMMAD (sallallahu alaihi wa sallam) KI BHAWISHYAWANI HINDU GRANTHO ME-

bhawishya puranh me muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ki peshangoi mojud h. prati sarg khand
3, adhyaye 3 shlok 5-8 me bhawishya puranh ke anusar " ek maleech (videsh se sambandh rakhne
wala aur videshi bhasha bolne wala) ruhaani ustad apne sathiyon ke sath ayega. iska naam
muhammad hoga. raja is mahaan farishta sifat arab ko ganga aur panchgoya ka snaan dene yani
tamaam gunaaho se paak karne ke baad apni khalis shradhha aur samman ka izhar karte huye kahega
: ai arab ke rehne wale tujh par, jis par manavta garv karti h main tere aage sheersh nawaata hun apne
shaitan ki samaapti ke liye mahaan taaqat ikhatta kar li hai aur khud apne videshi pratipagyi aur
dushmano se apni hifaazat ka intezaam kiya hai.

age hum aur vistaar se padhenge inshallah..!!

to be continued..

"VED AUR QURAN" part-23

muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ki bhawishyawani hindu grantho me- bhawishya puranh me
aap (sallallahu alaihi wa sallam) ki peshangoi me wazaahat ke sath ye bayaan kiya h ki- 1- paighambar
ka naam muhammad hoga. 2- iska sambandh arab se hoga, sasnkrit shabd 'marvsthal' ka arth retili
zamin ya banjar hota h. 3- paighambar k sathiyo yani sahaaba ka khas byaana h. Kisi paighambar ke
pas itne sahaaba ni the jitne muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) ke pas the. 4- inhe parbats-nath
yani fakhr-e-insaniyat (jis par manavta garv kare) kaha gaya h. quran me bi surah qalam 68, ayat 4 me
likha h- "aur isme koi shak ni aap bahut bade akhlaq par h" 5- woh shaitan ko khatm kar dega yani
but parasti aur tamaam prkar ki khudai prtinidhitw ka vinaash karega. 6- woh paighambar apne
dushmano se surakshit rahega.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-24

last 2 parts se hum hinduism me paighambar (sallallahu alaihi wa sallam) ki bhavishyawani ke baare
me padhte a rahe h.
kuch log yeh keh sakte h ki peshangoi me kaha hua raja bhoj 11th sadi me muhammad (sallallahu
alaihi wa sallam) ke aane ke 500 saal baa ka insaan tha aur yeh ki woh raja shaali wehen ki dasvi nasl
ki aulaad me se tha. inko yeh baat samajh me nahi ayi ki "bhoj" sirf ek raja nahi tha jis tarah misr ke
baadshahon ko firon aur roomi shenshahon ko "qaisar" ke naam se jana jata tha isi tarah hindustani
raja "bhoj" ke laqab (padvi) se yaad kiye jate the. 11th sadi isvi ke raja bhoj se pehle anek raja mojud
:
the.
paighambar ne jismani taur par panchgoya ya ganga ke pani se snaan nahi kiya tha, ganga ka pani
pavitr samjha jata h iske pani se snaan karna tamaam gunahon se khudko paak wa saaf karne ka
lakshan h. peshangoi ka matlab yeh h ki muhammad (sallallahu alaihi wa sallam) maasoom the yani
kisi qism ke gunah se aalooda (kalankit) nahi the.

to be continued...

"VED AUR QURAN" part-25

ab tak hamne ye padha k jis tarah QURAN me ALLAH ki tarif btai gai h k wo apni zaat me akela or
paak h uska koi sharik nhi isi tarah VED me bhi khuda ki tarif btai gai h. Jis tarah QURAN me
paighambar MUHAMMAD (sallallahu alaihi wa sallam) ko akhiri nabi or bar haq btaya gaya h usi tarah
VED aur PURAANH me bhi AAPKI bhawishyawani mojud h. hum sab musalman aur hindu bhaiyon
behno ko chaiye ki hame dono mazhabo ki ek jaisi bato ki taraf ana chaiye k hum sbko sirf ek khuda ki
ibadat karni chaiye sirf ek khuda me yakin rakhna chaiye or akhiri nabi hazrat muhammad (sallallahu
alaihi wa sallam) par imaan lana chaiye. lekin ALLAH par aur AAP (sallallahu alaihi wa sallam) par
imaan laane k sath sath hame AKHIRAT (marne ke baad ki zindagi) par bhi imaan rakhna hoga kyunki
akhirat ka zikr bhi QURAN aur VED aur GEETA me mojud h. next part se hum padhenge ki HINDUISM
me maut ke baad ki zindgi k baare me kis tarah aur kahan zikr aya h, tamaam sabhi bato par roshni
daali jayegi inshallah..

Like Share

2 Shares

Fariq Manzoor
is document me hamare article "VED AUR QURAN" ke saare parts dye gaye h..
10 yrs Like Report

Samra Siddiqui
masha-allah
10 yrs Like Report

Do you want to log in or join Facebook?

Join

or

Log In
:

You might also like