You are on page 1of 23

1|Page

SHORT FILM

“ADHORI MANZIL”
2|Page

SCENE 1
Character: Waqar & Crowd

Location: Auditorium hall with a Stage

DREAM SEQUENCE
Ye scene ek montage ka hah jaha pe ek stage hah aur Waqar Zafar jo ke is film ka
main character hah ek stage pe khara hah poray hall me andhera hah aur spot lite
hah bs stage pe jis ki roshni sirf Waqar ko cover kr rhe hah…

Wha pe is film ka title track chalta hah Din Dhalay ke nam se jis pe Waqar Free
Dance Style perform karta hah aur choras se pehle hii pora hall talliyo ki gonj me
uth parta hah aur Waqar spot lite ke neechay ruka taliyoon ko wasool karta hah….
3|Page

SCENE 2
Characters: Waqar, Waqar’s Mother

Locations: Waqar’s House

Sub-Locations: Waqar’s Room

Time: Morning

PROPS: Waqar’s old pics on wall, Waqar’s Room Setting

Ek 10/10 foot ka room hah jis ki window pe halki c roshni ki kiran par rhe hah aur
bistar pe letay ayaan ki achanak se aankkh khulti hah aur jase us ne ek khuwab
dekha hah aur wo us khuwab se waqif hah.. itnay me Waqar ki AMA room me ati
hah aur kamre ka parda side pe kar ke apnay betay ko uthati hah pyaar se aur
naashtay ka kae ke jati hah…

(AMA room me a ke parday ki trf jati hah ye kehte hue)

AMA: beta Waqar uth jao bht time ho gya hah… office ke lye late hoo jao ge..

(Waqar utha hua hah lekin parda hatnay se roshnni parti hah to chehray pe hath
rakhta hah…)

Waqar: Jee MAA uth gya hoo… Itna bara ho gya hoo lekin aj bhi ap ne mjhe subho
uthana nahi chora…. Kahi tu zemedar honay de mjhe…

(Ama bed pe a ke uske sirhanay bethtii hah aur usay pyar se uthati hah)

AMA: Tum chahe khud do bacho ke baap hi ku na hooo jao raho ge tu mere betay
hi naa… aur mjhe tumhe subho rooz uthana bhi tu bht acha lgta hah… jab tumhari
begum aa jae gii tu phir wo hi uthaya kare ge…

Waqar: Ama ap ase ku kehti hah…. Ankh khultay hi apka asa muskrata chehra
dekh kr jo sakoon mlta hah wo mai ni smjha sakta….
4|Page

AMA: acha chaloo MAA ko makhan na lgao aur uth jao office ke lye late hoo jao
ge… aur jaldi ready ho ke neechay aoo mai nashta lga rhe hoo… tumhay pta hah
naa tumhare BABA kaa ke sab akthe nashta karee ek table pe ek wqt par… is ly
family me pyaar bna rehta hah…

(Ye kae ke MAA chali jati hah room se aur Waqar apne khuwab ke baray me
sochnay lagta hah… aur khud kalami karta hah..)

Waqar (VOICE OVER): Aaj phir ek nai subho lekin khuwab whe ek adaqaar bnne
ka… aj bhi usi kahani me phasa hoo jis ko khatam karna ab namumkin ho chukka
hah…. Ye kirnay tu ek nae din ki hah lekin kahani meri whe purani si hah….

(Ye sochta hua Waqar bister se uthta hah aur washroom jata hah… )

Aur poray room ko cover karta ek shot jis me waqar ki memories wall pics aur
winning awards dekhae jae ge…

(Waqar pent coat pehna ek sheshay ke samne khara apni tie band raha hah…. Aur
abhi bhi usi khuwab ki soch me ghum hah aur phir se khud kalami karta hah)

Waqar (VOICE OVER): yhe hah mera wo huliya jis ke pechay maine apne ap ko
chupaya hah…. Lekin aj bhi wo yadein wo khuwab mera peecha nahi chortey….
Kase chorain gey… jo hoo jasa hoo ye bhi tu adaqari hi kar rha hoo… acting tu
banawati hi hoti hah… bn rha hoo whe jo ye dunia aur is ki majbooria bnana
chahti hah mjhe….

CUT
5|Page

SCENE 3:
Characters: Waqar’s, Mother, Father

Locations: Waqar’s House

Sub-Locations: Dinning Area

Time: Morning

PROPS: Breakfast Items, Office Bag, News Paper

Nashtay ke table ka scene hah jha pe Ahmed Cheema Sahib bethay hah aur
Waqar apna bag pakra tyaar ho kr ata hah… Cheema Sahib Waqar ke career se aur
uski kamyabi se bht khush hah aur jab bhi subho miltay hah usay tu uth ke usay
galey lgatey… sab beth ke nashta kar rhe hotay ke AMA wha chae le kr ati aur
beth jati….

Cheema SAHIB: Waqar tumhe dekh kr mjhe apne din bht yad atay hah mai bhi
rooz ase hii proper ready ho kr apne office jaya karta thaa ase hi mehnat se aur
emandaari se kaam karta tha…

AMA: shuroo ho gae ap subho subhoo…. Ap ab retire hoo chukay hah 60 saal ke
ho gae hah lekin apni jawani ke rung aj tk bholay nahi hah….

Cheema SAHIB: tum mjhe budha samjh rhe hoo… 60 saal ka ho gya hoo lekin aj
bhi active wase hi hoo ku ke aj bhi tumhare lye rooz gulab ka phool lana nhi
bholtaaa….

AMA: ap bhi naa… Betay ke samnay shurro ho jatay hah.. pta nahi ek tu apke
andar ka ye waheed murad kb khatam hoga…

(Waqar AMA ABA ke beech ka pyaar dekh kar hassta hah…)


6|Page

Cheema SAHIB: Array mai tu bs ye kehna chah rha thaa ke apni emandari aur
mehnat mai dekhta hoo Waqar ke andar aur mjhe fakhar hah hamray betay pe ke
is ne hamari parwarish pe kbhi koi sawall anay nahi diyaa….

(Sab bht hanstay hah… aur khushi se ek table pe bethey nashta kartay hah…
Waqar ke chehre pe muskrahat tu hah lekin wo andar se ye sab dekh kr bhi chup
hah aur khud kalami karta hah….)

(MAA waqar ko soch me gum hote dekhti hah aur pochti hah……)

AMA: Waqar… Kya soch rhe hu beta…

Waqar: Kuch Nahi Maa… Bs ap dono ko itna khush dekh kr bht acha lagta hah
mjhe… Allah mjhe taufeeq de ke mai apko hamesha ase hi khush dekho…

(Sab Nashta karne lag jate hah….)

CUT
7|Page

SCENE 4:
Characters: Waqar, Umer (Friend), Faiza

Locations: outdoor (ROAD)

Sub-Locations: University Campus, Admission Office

Time: Morning

PROPS: Car, college bag

Waqar gaari me apne office ja rha hah aur soch rha hah usi khuwab ke barey
me…. Aur khudkalami karte hue kehta hah….

VOICEOVER:

(Kb tk mera ye KAL mjhe is bat ka ehsas dilate rhe ga ke mere manzillay kcuh aur
thi mere khuwab kuch aur the…. Kb tk mai ase hi andar andar larta rhu ga khud
se…. kisy btao kase btao…… Faiza se share kro ga tu wo mazeed bharke gi mjh
pe….)

Dehan btane ke liye wo radio chlata hah aur ek song chlta hah jo use ek memory
ki trf le jata hah jha wo SAIRA ko pehli bar dekhta hah….

DISSOLVE
FLASHBACK 1: Waqar apne dost Umer ke sath University ke courtyard pe betha
hah aur new comers ki ragging kr rhe hah…. Ke achanak wha se ek larki shalwar
kameez ke guzarti hah aur Waqar ghorta hua kho jata hah aur uske peechay chal
parta hah ke uska dost bhi sath me chal parta hah….
8|Page

Admission office ke andar khari wo larki apna kam kar rhe hah jo ke Faiza hah aur
Waqar use haka bakka dekhta rehta hah ke achanak Umer use hosh dilate hah ke
guard a gya hah chal yha se….

DISSOLVE
Ke Flash back se wapis ata ha aur peechay khari gari horn bja rhe hoti hah aur
Waqar fooran wha se nikal parta hah…

CUT
9|Page

Scene 5
Characters: Waqar, Faiza, Boss, Peon, Office Colleagues, University Crowd

Locations: Waqar’s Office

Sub-Locations: University Campus

Time: DAY

PROPS: office accessories

Waqar apnay office me hah aur kam kar rha hah ke achanak peon ata hah.

PEON: Waqar Bhai wo BOSS bula rhe hah apko….

Waqar uth kr jata hah to BOSS office me ni hote to wo peon ko pochne lgta ke
achanak ek cabin se BOSS bulata

BOSS: Waqar is trf… yha ao…

Waqar jata hah… to ek hali cabin hota hah jo BOSS dekha kr phir main hall me lata
hah aur BOSS wha pe congrats krtaa hah aur poray office me announce krta hah
ke AYAN is promote to a manager post.

Waqar: Thank you so much Sir.. This is really a big surprise for me…

BOSS: Thanks mat kahu… it’s all because of your hard work and dedication. Your
creative ideas and strategies make this success for you…. Congratulations again..

sab taaliya bjate hah aur Waqar un taliyoo ki gonj me gum hota hua flashback
me jata hah jha university me woe k dance pe perform kar rha aur idr gird jama
crowd zoor zoor se Waqar ka nam pukar rhe hah aur taaliya bja rhe hah…. Waqar
jase perform kr ke Rukta hah tu Faiza apni dost mahnoor ke sath wha a jati hah.
(Faiza jis ke sath Waqar ka affair chal rha hah)

Faiza: ho gya apka tu chalain kuch khane….


10 | P a g e

Waqar: Jo hukam apkaa… Chalain…

(Waqar Faiza mahnoor aur umer café kuch khane ke lye chle jate hah….)

Dissolve
11 | P a g e

SCENE 5A
Characters: Waqar, Faiza, Crowd in cafe

Locations: Café Restaurant

Time: Day

PROPS: Food for lunch

Waqar aur Faiza ek café me khana kha rhe hah Waqar ki promotion ko celebrate
kr rhe hah aur Saira jo bht khush hah excited hah….

Faiza: Waqar mai bht khush huu aj… mai tmhe ni bta sakti ke Mama Baba tumhari
promotion ka sun kr kitna khush huge… ab tumhari life sach me ek track pe a gai
hah…. Mai aj hi mama baba ko kehti hu ke wo shadi ke date b fix kr de hamari…

(Faiza note krti hah ke Waqar kahi khoya hua hah aur uska dehan blkl bhi Faiza ki
bato pe nahi hah… Tu Faiza Waqar ko pochti hah…)

Faiza: kha khoye hoe huu… mai itni excitement me itnaa kuch kae gae…. Tum ne
kuch suna hi nahi…

Waqar: nahi asa kuch nahii mai bss…

Faiza: bs kya.. tum khana bhi thek se ni kha rhe… kya hua koi problem hah…??

Waqar: array nahi baba… kase btao tmhe… dekho tum please gussa mat hona… aj
mjhhe phir khuwab aya tha… wohi sab… ke mai ek stage pe….

(Faiza Waqar ko wohi tokti hah….)

Faiza: Hum is bat pe lakho martaba behas kr chukay hah larh chukay hah…. Tum
kya huu… tumhare pass sab hah… achi job… achi salary… secure future… tumhara
pyaar… sab kuch hah tumhare pass lekin tum abhi bhi unhi chakro me phasay
12 | P a g e

hu…. Mjhe tu kbh kbh lgta hah ke shaed maine zabardasti tmhe khud ke sath
bandh rkha hah…

Waqar: Nahi Faiza asi bat nahi hah tum nahi smjh rhi….

Faiza: kya nahi smjh rhi…jo tm smjhana chah rhe wo smjhna na mumkin hah… kya
tumhe wqt ni diya tha… jo aj tumhare pass hah jo is job se ek respect aur ek
secure future milla hah kya us profession me milla tmhe… nahi na… Larkay sari
zindagi laga dete hah asi job panay me asa lifestyle pannay aur apne pasand ki
shadi krne me… pagal hu jate hah….. tm ku na shukrre bn rhe hu… dekho Waqar…
mere baba bht mushkil se mane the hamre lye ab tum bar bar ye sab bech me la
ke sb khrb krnaa chahtee hu… tu bta doo.. maine mahnoor ku yha bulaya tha ke
hum mill ke celebrate ku ke use lagta tha tum kbhi is jga tk phnch ni skte… aur mai
kehti thi ke nahi waqar mere liye sab kar skta hah… sb kuch….

Faiza gussay se uthti hah (Mai mahnoor ke sath ghar chli jao gi….) aur wha se chali
jati hah…. Aur Waqar whi betha rae jata hah…. Aur mazeed pareshani me chle
jata hah…

FLASHBACK
13 | P a g e

SCENE 5B
Characters: Faiza, Mahnoor & extra persons

Locations: University Campus

Sub-Location: Courtyard

Time: Day

PROPS: Faiza & Mahnoor Bags

Mahnoor courtyard me apne dost ke sath bethi hah ke uske cell pe call ati hah
Faiza ki….

Mahnoor: Haa Faiza, kid rho?? Mai idhr courtyard me main gate ke samne….

Faiza: Haa dekh liya am coming there…. Please Ahmed ko wha se bhej doo….

(Mahnoor Ahmed ko bhej deti hah itne me Faiza wha ati hah aur utra hua chehra
le kr beth jati hah….)

Mahnoor: Kya hua… tumhari waja se mjhe Ahmed ko ase bhjna para aur tum asa
mu le kr mere sath beth gai hu….

Faiza: Tu aur kya kro yar mai bht pareshan hu….

Mahnoor: Pareshani batane se khatam hoti hah…. Aur uska hal nikalta hah….

Faiza: tum kya help kr skti yar….

Mahnoor: tumhari ek mai hi asi dost hu jis se tum apni koi bhi bat beggar kisi waja
ke share kr skti hu….. tu ab idr udr ki bate krni hah ke point pe ana hah….

(Faiza ek dum soch me jati hah….)


14 | P a g e

Mahnoor: Faiza jb bhi tum aur waqar larte huuu tu hamesha un laraiyo ko
suljhane wala kaun…. Mai… waqar ko indirectly tumhari hi bat manne pe majboor
kaun,… mai… tu ab ye masla bhi shaed mai hi solve kr du jis pe tum itna soch rhi….
Faiza: yar mahnoor Amma ne aj mjhe deadline de di hah ke mere rishte ane lag
pare hah tu agr koi asa larka mjh pasand hah jo kahi stand krta hah tu wo unhe
bta de…. Aur un se milwae….

Mahnoor: bilkul thek kae rhe hah… atleast shukar kro they are asking for your
pasand…. Waqar se milwa do na… kya problem hah…..

Faiza: Kase milwa do… U know abhi waqar pass out ho rha wo kya karna chahta….
Kya achieve karna chahta wo…. He needs time… aur mai waqar ko khona ni
chahti… I really love him… I don’t wanna lose him…..

Mahnoor: to tum waqar ko smjhao ke he needs to choose now….

Faiza: tum kasi bate kr rhe hu…. Mai kase us se ye sab cheen lu… uska khuwab
uska passion…. Uski itni salo ki mehnat…..

Mahnoor: dekhoo ek meyaan me do talwar ni rae skti Faiza….

Faiza: Mtlb…. Kya kehna chahti hu tum….

Mahnoor: mtlb ye ke wo ya to tum se shadi krne ka khuwab pora kar skta ya phir
actor bnne ka…. Dekho Faiza zindagi muhskil faislo ka nam hah aur mushkil faisle
krane parte hah…. There is a women behind every successful man… Is ke peechay
ki sachai ye hah ke hum lead krte hah unh eek sahi raste pe tu ab tumhe lead krna
hah waqar ko… ek sahi rasste pe… deep down u know… ke waqar ka ye actor
bnne ka khuwab koi jan pehchan ni koi kuch tumhe bhi le dubbay ga aur usay
bhe….. tu u had to lead him now… use smjhao…. Balke mere pass ek way hah….
Ke use track pe ahsta ahsta kase laya ja sakta….. u love him naa… and he loves
uuu…. Tu bs sunoo ke abhi tum ne kya karna……

(Mahnoor use samjha rhe hah and scene silent mode pe chalta hah)

SOUND CUT
15 | P a g e

SCENE 5C
Characters: Waqar, Faiza, Umer, Mahnoor & extra persons

Locations: University Campus

Sub-Location: Rehearsal Area

Time: Day

PROPS: Faiza & Mahnoor Bags, Rehearsal area setting

Waqar rehearsal room me apne baki members ke sath ek play ki practice kr rha
hah k eek dum se room ka darwaza khulta hah Faiza sb dekhte hah aur zoor ka
darwaza bnd krti hah aur sb dekhte hah… Faiza ati hah aur ek kone me ja ke beth
jati hah… mahnoor waqar ko ishara kr ke uske pass jao dosri trf chli jati hah….
Uska mu utra hota hah aur pareshan lag rhi hoti hah….

Waqar uske pass ata hah….

Waqar: kya hua… ab kis ne kuch kae dea…

Faiza: kuch nahi mjhe please akela chor du….

Waqar: akela hi rehna tha… to washroom ja ke roo leti.. ab ap yha ii hah tu iska
matlab yhi hah ke mjhe na chahte hue bhi ap se pochna ho ga….

Faiza: tumhhe har time Mazak sojta hah…. Tum kbhi kisi cheez ko le kr serious na
hona Waqar.

Waqar mazaqiya hasi haste hue

Waqar: acha sorry btao kya hua…

Faiza: baba ki call I thi… sham ko jaldi ghr bulaya hah… mera rishta dekhne a rhe
hah….
16 | P a g e

Waqar: array wah…. Mithai ni lai tumm….

Faiza gussay se Waqar ki trf dekhti hah… to wo apne kan pkr ke sorry kehta hah…

Faiza: Waqar tumhara last smester hah mera phir abhi 2 years rrehte hah….
Tumhe kahi stand hona paray ga nahi to mere baba meri shadi kahi aur kr de ge…
u dnt knw my father….

Waqar: Faiza mai try kr tu rha hu… u know ke media ki field me enter hona kitna
mushkil hah…. Talent ke nam pe bs chance mill jae to kya hi bat thi na….

Faiza: dekho Waqar mai janti huu ke tum actor aur dancer bnna chahte huu and
tmhe pta hah ke maine tmhe hamesha support kiya hah…. Aur age bhi karo gii
lekin agr tm jald hi apne pero pe khare na hue ya tum ek line chose na ki jo hum
mere baba ke samne rakh sake to wo tumhare liye saaf na kar de ge…. Mai tumhe
ziada time ni de sakti… University khatam hote hii tumhe koi organisation join krni
hogi jo mai apne baba ko bta sako ke larka krta kya hah…. Ni to bhool jana mjhe…
aur please mai tmhe khona ni chahti waqar lekin mai is se ziaada ni kr skti kuch… I
will take stand for you…. But u need to take stand for me as well…

Ye kae ke Faiza uth ke tu mahnoor aur baki sab larkiyo ke sath beth jati hah aur
batay krna start kr deti hah aur Waqar whi hakka bakka betha rehta hah…

CUT
17 | P a g e

SCENE 6:
Characters: Waqar

Locations: Waqar’s Office

Sub-Locations: Parking

Time: Evening

PROPS: office bag, Car, Mobile

Waqar apne office se nikalta hah aur gari ki trf ata hah ke uska mobile pe message
ata hah aur wo dekhta hah… Faiza ka message hota hah ke we are at your home…
deciding dates for marriage when will you come… Itne me Waqar gari me bethta
hah aur beechen sa ho jata hah pani ki bottle dhondta hah aur pani peeta hah ke
wo message kr deta hah faiza ko ke plan things with our parents I have an
important meeting today at office… meet you soon love… ye type kr ke mobile
seat pe phenkta hah aur wha se speed pe nikal jata hah….

CUT
18 | P a g e

SCENE 7:
Characters: Waqar

Locations: Outdoor

Sub-Locations: Bank of River

Time: Evening (Magic Hour)

PROPS: Car, Mobile, Cigarette

Waqar ek darya kinare khara hah gari se tek lgai aur cigarette pe rha hah aur bht
pareshani me duba hah… khudkalami karta hah…

VOICEOVER: Mai kya karo kha jao… kis se ja ke kahu ke mai kya chahta hu mere
andar kya chalta hah…. Kis trha Faiza ko smjhao ke mai us se kitni muhabbat krta
huuu… kis trha btao ke mere andar ek asa guilt paida ho gya hua hah ke maine
usko panay ke ly khud ke sath nainsafi kar di… kase mai AMA ABBA ki khushiyo ke
age ek question mark lga do ye bta kar ke mai kya chahta tha… wo kase react kre
ge…. Wo mere pe itna yaqeen karte hah… itna fakhar hah unhe mjh pe… lekin wo
man bhi jate hah to Faiza ko kase chor duu… jee tu mai uske beggar bhi ni sktaa….
YA ALLAH kasi uljhan me hu mai… mere zemedariya hi mere khuwabo ka gala
ghont rhi hah…. Ye ghuttan mjhe mar de gi…. Zoor zoor se chilata hah….. usje
andar ki becheni use pgl krti hah…. Agr aj mai khud ko yha khatam kr do tu shaed
sb pareshaniya bhi dur hu jae… aur sab ki umeede bhi ni tote gi… accident hi
hoga… kisi ko kya pta chle ga…

Ye kehte hue Waqar pani ki trf chal parta hah… aur gari ke andar uska mobile para
jis pe bar bar Faiza Ki call a rhe hoti hah…. Waqar pani ki trf jate hue apne MAA
BAAP ke muskrate chehre yad krta hah…. Aur Faiza ke sath guzara muhbbat bhara
wqt ki memories ko recall karta hah…. Kuch seconds me uski pori zindagi uske
samne a jati hah….

FADE OUT
19 | P a g e

FADE IN

SCENE 7A:
Characters: Waqar

Locations: Auditorium

Sub-Locations: Stage

Time: Night

PROPS: Spot light

Waqar is doing MIME on stage on a DIN DHALAY by BAYAAN BAND wearing white
shirt and pajama under a spot light.

FADE OUT
20 | P a g e

SCENE 8:
Characters: Waqar, Waqar’s Mother & Father

Locations: Waqar’s House

Sub-Locations: TV Lounge

Time: Night

PROPS: office bag, mobile, glass water

Waqar ki Ama pareshani se TV lounge me phir rhe hah ke Waqar abh tk ghr ni
aya… wo phone bhi ni utha rha…

Waqar FATHER: tum ku itna pareshan hu rhi hu office me kbh kbh asa ho jata hu…

MOTHER: ap tu rehne hi de… apko tu koi fikar ni hah betay ki….

FATHER: bs kar do tum… wo bara ho chukka hah wo apna khyal rkh skta hah….
Itna pareshan na hu….

Ye kae kar ABBA room me jane lgte hah ke door bell hoti hah…

FATHER: Loo a gaya apka ladla… ab jae kholay darwaza…

Amaa foran se jati hah darwaza kholti hah aur Waqar samne khra hah… shirt ke
button khule ahh aur bal kuch bikhre….

Mother: Kya hua Waqar itna late… kidr tha tu beta… kb se phone kr rhe huu
phone bhi ni tha utha rha…

Waqar: haa AMA wo phone ki battery khtm ho gai thi… aur kya btao office me aj
bht kam tha….

MOTHER: NI tu kuch chupa rha hah mjh se sach saach bta….


21 | P a g e

FATHER: yar tum bhi na… wo bechara thakka aya hah use paani pocho khane ka
poochoo… tum apne weham le kr beth gai hu….

Waqar: array nahi baba…. Mai khana aj office me collegues ke sath hi kha liya
tha…. Thak gya hu bs bohot…. Hum subho bat krte naaa… ap loog bhi aram kare…

MOTHER: tu khush hah na beta… sach me…??

Waqar: G AMA mai bht khush hu… apko aur BABA ko ase khush dekh leta hu….
Mjh zindagi me aur kya chye hah…. Is se bari khushi ho hi kya sakti hah…..

BAAP khara hota hah aur Waqar ko galay se lgata hah…

FATHER: am proud of u beta…. Love uuu… khush rhuuu… abad raho…

Waqar ijazat leta hah room me janay ki…

CUT
22 | P a g e

SCENE 8A:
Characters: Waqar

Locations: Waqar’s HOUSE

Sub-Locations: Waqar’s ROOM

Time: Night

PROPS: office bag, mobile

Waqar apne room me ata hah…. Bag bed pe rakhta hah…. Dressing ke samne a ke
khara hota watch aur studs utar ke rkhta hah ke khud ko mirror me dekhta hah…
aur khud kilami karta hah…

VOICEOVER: WAQAR AHMED…. Ab khush… ab saari zindagi acting karne kre ge..
ap bhi khush aur baki sab bhi khush…. Ase hi subho uthe ga ek costume pehne gaa
aur sara din acting kr ke room me aa ke costume utar de jald hi kahani me isi
kamre ko bhi share kre ga acting skills ko aur strong krna pare ge…. Hahha….

Fresh hone washroom ki trf chal parta hah….

FADE OUT
23 | P a g e

THE END

You might also like