You are on page 1of 2

agar baḳhshe zahe qismat na baḳhshe to shikāyat kyā

sar-e-taslīm ḳham hai jo mizāj-e-yār meñ aa.e

Tere Dariya mein Toofan kyun nahee hai


Khudi Teri Musalman kyun nahee hai

Abas hai shikwa e Taqdeer e Yazdaan


Tu Khud Taqdeer e Yazdaan kyun nahee hai

Kaha Iqbal ne Shaykh e Haram se


Tahey Mehraab e Masjid so gaya koun

Nidaa Masjid ki Deewaron se aaye


Farangi But-kadey mein kho gaya koun

Hazaron chashmein tere sang-e raah se phootey


Khudi mein doob kar Zarb-e Kaleem paida kar

Khirad se Rahrav-o Roshan Basar hai


Khirad kya hai, Charag-e Rah guzar hai
Daroon e Khana-e Hangamein hain kya kya
Charag-e Rah guzar ko kya khabar hai

===
Harem Tera, Khudi Ghair Ki ! Maaz Allah
Dobara Zinda Na Kar Karobar-e-Laat-o-Manat
===
na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai

jo baat mard-e-qalandar kī bārgāh meñ hai

sanam-kada hai jahāñ aur mard-e-haq hai ḳhalīl

ye nukta vo hai ki poshīda lā-ilāh meñ hai

vahī jahāñ hai tirā jis ko tū kare paidā

ye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai

mah o sitāra se aage maqām hai jis kā

vo musht-e-ḳhāk abhī āvārgān-e-rāh meñ hai

talāsh us kī fazāoñ meñ kar nasīb apnā

jahān-e-tāza mirī āh-e-sub.h-gāh meñ hai

mire kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nāb


na madrase meñ hai baaqī na ḳhānqāh meñ hai
-============
Quran Mein Ho Ghota-Zan Ae Mard-e-Musalman
Allah Kare Tujh Ko Atta Jiddat-e-Kirdar

Jo Harf-e-‘Qulil-Affo’ Mein Poshida Hai Ab Tak


Iss Dour Mein Shaid Woh Haqiqat Ho Namoodar!
--------
Hazrath Shaykh Abul Hasan Shazili RA
Hazrath Shaykh Abdus Salam ibn Mashish RA
Hazrath Shaykh Abul Madeen Maghrabi RA (Pir of Shaykh Mohiyuddin Ibn al Arabi RA)
Sarkar Badey PIR RA

=================================================================================
Allah ka Zikar. 18:24 (wazkur Rabbaka izaa naseeta)

Agar Allah ka Zikar bhool jaao, toh yaad karo kisi aawaz se. Maslan, gaadi ki
Aawaaz, Ghar mein Bartano ki Aawaaz ya aur koi Aawaaz suno,
fauran apney sanson mein dekho ki Allah ka Zikar Jaari hai ya nahee. Agar Jaari
nahee hai toh kuch lamhey sanson ka Mashq kar lo.

Doosra maana: Apney Rab ko Is tarah Yaad kar, je Wus ke siwaa har Shai ko bhool
jaaye.
Apney Rab na naam Japp, aur har ek se katkar Wusee ka ho jaa.

Jab Zikar is darja pahunch jaaye, toh phir apney aap ko bhi bhool ja aur bas wohi
yaad rahe.
========================
Quran 53:11 Surah najam. Sarkar e Do Aalam ka Allah Paak ko Dekhna.
Dil ne nai jhutlaya, jo kuch aankon ne dekha.
Aur dekha is tarah, ke na aankh jhapki, na bhatki.

You might also like