You are on page 1of 30

www.dawateislami.

net
Karbala walon kay kareemanah Andaz

‫ط‬
‫ﺍﹶ ۡﻟ ﹶﺤ ۡﻤ ﹸﺪ ﹺﻪﹼﹶﻠﹺﻟ ﹶر ﹺﹼﺏ ﺍ ۡﻟ ٰﻌ ﹶﻠﻤﹺ ۡ ﹶﻦ ﹶوﺍﻟﺼﹼﹶ ﻠٰﻮةﹸ ﹶو ﹼﹶ‬
‫ﺍﻟﺴ ﹶﻼ ﹸم ﹶﻋ ٰﻲ ﹶﺳ ﹺﹼﻴ ﹺﺪ ﺍﻟ ﹸۡﻤﺮۡ ﹶﺳﻠ ﹺ ۡﻦ‬
‫ط‬
‫ط‬
‫ﺍﹶ ﹼﹶﻣﺎ ﹶﺑ ۡﻌ ﹸﺪ! ﹶﻓ ﹶﺎﻋﹸ ۡﻮذﹸ ﺑﹺﺎﷲﹺ ﹺﻣ ﹶﻦ ﹼﹶ‬
‫ﺍﻟﺸ ۡﻴ ٰﻄ ﹺﻦ ﺍﻟ ﹼﹶﺮ ﹺﺟ ۡﻴﻢ ﺑﹺ ۡﺴ ﹺﻢ ﺍﷲﹺ ﺍﻟ ﹼﹶﺮ ۡﺣ ٰﻤ ﹺﻦ ﺍﻟ ﹼﹶﺮﺣ ۡﹺﻴﻢ‬

‫ﹶو ﹶﻋ ٰﻲ ٰﺍﻟﹺﻚﹶ ﹶو ﹶﺍ ۡﺻ ٰﺤﺒﹺﻚﹶ ﹶﻳﺎ ﹶﺣﺒ ﹺ ۡﻴ ﹶﺐ ﺍﷲ‬ ‫ﺍﹶﻟﺼﹼﹶ ﻠ ٰﻮ ﹸة ﹶو ﹼﹶ‬


‫ﺍﻟﺴ ﹶﻼ ﹸم ﹶﻋ ﹶﻠ ۡﻴﻚﹶ ﹶﻳﺎ ﹶر ﹸﺳﻮ ﹶل ﺍﷲ‬
‫ﹶو ﹶﻋ ٰﻲ ٰﺍﻟﹺﻚﹶ ﹶو ﹶﺍ ۡﺻ ٰﺤﺒﹺﻚﹶ ﹶﻳﺎ ﻧ ۡﹸﻮ ﹶر ﺍﷲ‬ ‫ﺍﹶﻟﺼﹼﹶ ﻠٰﻮ ﹸة ﹶو ﹼﹶ‬
‫ﺍﻟﺴ ﹶﻼ ﹸم ﹶﻋ ﹶﻠ ۡﻴﻚﹶ ﹶﻳﺎ ﻧ ﹶ ﹺﺒ ﹼﹶ ﺍﷲ‬

Karbala walon kay Kareemanah Andaz

Durood Shareef ki fazeelat


Hazrat Sayyiduna Ubaye bin Ka’b ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay arz ki Ya
Rasool Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬Mein Durood ki kasrat kerta hoon, Mein
Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ par Durood perhnay kay liye kitna

waqt muqarrar karo? Fermaya jitna chaho kar lo, Unhon


nay arz ki chothaai ? farmaya jitna chaho kar lo laykin ager
ziyadah Durood e pak perho gay to behtar hay. arz ki Nisf?
Fermaya jitna chaho perho magar ziyadah perhogay to
behtar hay arz ki Tihaai ? farmaya jitna chaho parho mager
Ziyada parho gay to behter hai . arz ki : Mein sara waqt Aap
par Durood pak perhta raho ga. Femaya phir to yeh ‘amal
tumhari prayshaniyon ko kifayat karay ga aur tumhari
maghfirat ka sabab ban jaye ga

Door ho jayen dunya kay ranj o alam


Ho ata apna ghum dijiye chashm e num
Maal o daulat ki kasrat ka talib nahin

www.dawateislami.net
1
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Tum pay har dum karoron Durood o salam

ٰ ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠّٰـ ُﻪ ﺗَـﻌَـ‬


‫ﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣـ َﺤـ َّﻤﺪ‬ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟـ ْ َﺤـ ِﻴْﺐ‬

Meethi Meethi Islami Behno! husool e sawab ki khaatir


bayan sunnay say pehlay achi achi niyyatayn ker laytay
hain . Farman e Mustafa ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ Musalman ki
niyyat us kay amal say behtar hay.

Do Madani phool
Baghayer achi niyyat kay kisi bhi amal e khayr ka sawab
nahin milta.

Jitni achi niyyatayn Ziyada, utna sawab bhi Ziyada.

Bayan sunnay ki niyyatayn


Nigahayn neechi kiye khoob kaan laga ker bayan sunon gi.

Tayk laga ker bethnay kay bajay ilm e din ki ta’zeem ki


khaatir jahan tak ho saka do zaanon bethoon gi.

Dhakka waghayrah laga to sabr karoon gi.

Zaroratan simat sarak kar dosri islami behnon kay liye jaga
kushadah kroon gi.Ghhornay ,Jhiraknay aur ulajhnay say
bachon gi.

www.dawateislami.net
2
Karbala walon kay kareemanah Andaz

‫ ﺗﹸﻮﺑ ﹸ ۡﻮﺍ ﺍ ﹺ ﹶﻲ ﺍﻟ ٰﹼﻠـ ﹺ‬، ‫ ﺍﹸذۡ ﹸ ﹸ وﺍﺍﻟ ٰﹼﻠـ ﹶ‬Waghayrah sun kar sawab Kamanay or
sada laganay wali ki dil joee kay liye past awaaz say jawab
don gi.

Ijtima’ kay bad khud aagay barh kar salaam o musafahah or


Infiradi Koshish karoon gi.

Doran e bayan mobile kay ghayr zarori isti’mal say bachon


gi,

Na bayan Record karon gi aur na hi kisi aur qism ki aawaz


(kay iski ijazat nahi)

Jo kuch sunon gi usay sun kay samajh kay us par ‘amal


kernay kay ba’d Mein dusron tak pahuncha kay nayki ki
da’wat ‘aam kernay ki Sa’adat hasil karon gi

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Meethi Meethi Islami Behno! Maah e Muharram ul Haram


hamaray darmiyan jaari o saari hay, yeh mahinah har saal
hamayn Shuhada e karbala ki aur bil khusos Sayyid ush
Shuhada Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki yaad
dilata hay kyun kay Aaj say saddiyon pehlay 61 hijri ko
Tareekh e Islam may Haqq o Baatil kay darmiyan aik
a’zeem ma’rikah paysh aaya jisay log waqi’aah karbala kay
naam say yaad kartay hayn, is ma’rikay may Shuhada e
karbala ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻨْ ُﻬﻢ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki istiqamat bharay andaz nay tamam
ahl e Haq ko baatil kay samnay datt janay aur zarurat
parnay par deen e islam ki khaatir jaan ka Nazranah paysh

www.dawateislami.net
3
Karbala walon kay kareemanah Andaz

kernay ka a’zeem ush shan sabaq diya. Agar Sultan e


Karbala, Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
chahatay to yazeediyon ko tabah o barbad ker saktay thay
magar istita’at aur qudrat kay baWujood khoon kay
piyason par bhi karam nawazi fermaye aur jang may pehal
na ki balky Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬aakhiri waqt tak un ko
samjhaatay rahay aur Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬kay ‘azab say daratay
rahay. Maidan e karbala may Hujjat puri kernay kay liye
Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay apnay
Ghhooray par suwar ho ker Yazeedi lashkar ka rukh kiya
aur jo kuch fermaya us ka har lafz karam nawaazi par
mabni tha. chunachay Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay irshad fermaya
aye logon mayri baat suno! Aur jald bazi ka muzahirah na
karo hatta kay Mein tumhayn us cheez kay muta’alliq
Naseehat na ker lon kay jo mujh par lazim ho chuka hay
aur apnay aanay ka ‘uzr bayan na ker loon. pas agar tum
mayra uzr Qabool ker lo mayri baat ki tasdeeq karo aur
mayray baray may insaf say kaam lo to tum is mua’amalay
may ba murad ho jao gay aur tum say mayray muta’alliq
koi muakhazah bhi na hoga Haan! Agar tum mayra uzr
Qabool nahin kertay to suno! Phir yeh aayaat e Mubarakah
tilawat fermaye:
ُ َ َ َ ۤ ُ ۡ ُ ً َ ُ ُ َ ُ ۡ َ ُ َ ُ ُ َ َ َ ُ َ ۡ ُ َ ۡ َ ۤۡ ُ ۡ َ َ
﴾۷۱﴿ ‫ﺂءﻛ ۡﻢ ﺛ َّﻢ ﻟ ﻳَﻜ ۡﻦ ا ُﺮﻛ ۡﻢ َﻋﻠ ۡﻴﻜ ۡﻢ ﻏ ّﻤﺔ ﺛ َّﻢ اﻗﻀ ۡﻮا ِا ّﻲ َو ﻟ ﺗ ۡﻨ ِﻈ ُﺮ ۡو ِن‬‫ﻓﺎﺟ ِﻤﻌﻮا ا ﺮﻛﻢ و ﺮﻛ‬

Tarjuma kanz ul iman:


To mil ker kaam karo aur aur apnay jhhootay ma’boodon
samait apna kaam pakka ker lo phir tumharay kaam may
tum par kuch gunjalak( uljhan o poshedgi) na rahay phir jo

www.dawateislami.net
4
Karbala walon kay kareemanah Andaz

ho sakay mayra ker lo aur mujhay muhlat na do ( sorah.yonus,


aayat.71)

ۡ ّٰ َّ َ َ َ َ ُ َ َ ٰ ۡ َ َّ َ ۡ َّ ُ ّٰ َۧ ّ َ َّ
﴾۱۹۶﴿ َ ِ ِ ‫اﻟﺼ‬ ‫ﻜﺘﺐ و ﻫﻮ ﻳﺘﻮ ﻲ‬ ِ ‫اِن و ِ ِﻲ اﻟﻠﻪ اﻟ ِﺬی ﻧﺰل اﻟ‬

Tarjumah kanz ul iman


Bay shak mayra waali Allah hay jis nay Kitab utari aur woh
naykon ko dost rakhta hay.(Aa’raaf, Aayat. 196)

Phir Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ َ ‫ﻋ‬


ُ َ ‫ َر‬nay Allah ‫ َ ّﺰ ََو َﺟ ّﻞ‬ki hamd o sana kernay
kay ba’d (un yazeediyon say) fermaya tum log mayri nisbat
kay baray may ghaur ker lo kay Mein kaun hoon?.... kiya
tumharay liye mayra qatal jaiz o durust hay?...kiya Mein
tumharay Nabi ka nawasa nahin…? Kiya Sayyid ush
Shuhada Hazrat Sayyiduna Hamzah ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬mayray
walid kay chacha nahin? Kiya Hazrat Sayyiduna Ja’far
Tayyar ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬mayray chacha nahin? Kiya tum tak
mayray aur mayray bhai say muta’alliq Rasulullah  ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ
ِ
‫ َواٰﻟ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ka yeh Irshad na pahuncha tha kay tum dono

naujuwanaan e Jannat kay Sardar ho? To agar tum mayri


baat ki tasdeeq karo to sun lo kay yahi haq hay, kyun kay
Mein nay us waqt say jhoot nahin bola jab say mujhay yeh
ma’loom huwa kay jhoot Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ko sakht na pasand hay
aur agar tum mujhay jhhutlaatay ho to Hazrat Sayyiduna
Jabir bin ‘Abdullah, abu saeed, sahal bin sa’ad, zayed bin
Arqam ya Anas ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬say pooch lo, kyun kay in sab
ِ
nay Rasoolullah ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ say mayray muta’alliq yeh
fazaail sun rakhay hayn. Kiya mayri is Naseehat may
tumharay liye koi aysi baat nahi jo tumhayn mayra khoon
bahanay say rook sakay? Phir aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay fermaya

www.dawateislami.net
5
Karbala walon kay kareemanah Andaz

agar tumhayn bahanay say rok sakay? Phir Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
nay fermaya agar tumhayn mayri baat may ya mayray
muta’alliq Nabi ka nawasah honay may koi shak ho to
Khuda ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki qasam mashriq o maghrib may mayray siwa
tum may ya tumharayn siwa kisi aur qaum may koi Nabi ka
Nawasah maujood nahin , zara batao to sahi kiya tumhayn
mujh say apnay kisi maqtool ka badla talab kerna hay ya
Mein nay tumhara maal zay’a ker diya hay kay us kay
badlay maal chahatay ho ya phir apnay zakhmiyon ka qisas
darkaar hay (Aakhir kis cheez ka badla chahtay ho? Woh
bad bakht khamosh rahay, Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay fermaya: Aye
shabas bin Rib’ee Aye Hajjar bin Abjar, aye Qays bin
Ash’as, aye Zayed bin Haris! Kiya tum logon nay hi mujhay
khutoot bhayj ker nahin bulwaya tha? woh saaf mukar gaye
aur bolay hum nay to aysa nahin kiya tha. Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
nay fermaya kyun nahin Khuda ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki qasam tum hi logon
nay to aysa kiya tha, phir fermaya : aye logo agar tum mayri
bay’at kerna pasand nahi kertay to mujhay chhor do ta kay
Mein kisi mahfooz jaga chala jaon. Bad naseeb qais bin
Ash’as bola: Aap ibn e Ziyad kay Hukm kay aagay sar
tasleem e kham ker layn (to aap ko chhutkaara mil sakta
hay ) Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ َ ‫ﻋ‬
ُ َ ‫ َر‬nay fermaya Allah ‫ َ ّﺰ ََو َﺟ ّﻞ‬ki qasam Mein
hargiz us ki bay’at nahin karoon ga. Allah kay bando! Mein
apnay aur tumharay Rubb ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki panah layata hoon, is say
kay tum mujhay sangsaar kero. Mein tumharay aur apnay
Rabb ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki panah layta hoon har us mutakabbir say jo
hisab kay din par yaqin nahin rakhta.

www.dawateislami.net
6
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Meethi Meethi Islami Behno! Bad bakht yazeediyon nay


Naseehat par mushtamil Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬kay is karimaana
andaz ka jawab sakht aziyyatayn aur takleefayn pahuncha
ker diya magar Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ko museebaton ka hujoom
haq say na hata saka aur aap kay a’zm o istiqlal may koi
kami na aaye Haqq o sadaqat ka Haami museebaton ki
bhayanak ghataaon say na dara aur toofan e bala kay saylab
say us ki saabit qadami may koi farq na aaya, deen ka
shaydaee dunya ki aafaton ko khayal may na laya. Agar Aap
‫ﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ٰ َ‫ اﷲ ﺗَﻌ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Yazeed ki bay’at kertay to woh tamam lashker aap
kay qadmon may hota aap ka Ihtiram kiya jata, khazanoo
kay munh khhol diye jatay aur dawlat e dunya qadmon par
luta di jati magar jis ka dil hubb e dunya say khali ho aur
dunya ki na payedaari ka raaz jis par wazih ho woh dunya
kay numayeshi rang o roop par kiya nazar daalay. Hazrat
Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay rahat e dunya kay
munh par thhokar maar di aur raah e haq may pahunchnay
wali museebaton ka khush dili say istiqbal kiya aur is qadar
aafaton aur balaon kay ba Wujood Yazeed jaisay fasiq
mu’lin gunahgaar shakhs ki bay’at ka khayal bhi apnay qalb
e mubarak may na aanay diya apna ghar lutana aur apna
khoon bahana manzoor kiya, magar Musalmano ki tabahi o
barbadi ghawara na fermaye aur islam ki izzat par harf
nahin aanay diya, Khuda ki qasam maidan e karbala
karbala may Karbala walon ka Islam ki khaatir apni jaano
ka Nazranah paysh kerna rehti dunya kay Musalmano kay
liye bahut bari karam nawazi thi, is kay ilawa bhi in hazraat
kay kirdar kay bahut say pehlo Musalmano kay liye qabil e
Taqleed namonah hayn, Aaiye aaj kay bayan may hum in

www.dawateislami.net
7
Karbala walon kay kareemanah Andaz

mubarak hastiyon kay ‘afw o dar guzar, mehman nawazi


aur Musalmano ki khayr Khuwahi waghayrah say
muta’alliq karimanah andaz kay baray may suntay hayn,
chunachay,

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫        َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Kareem ho to aysa
Ayk Aadmi kay pass bees ya tees ounth thay magar woh un
kay khanay peenay ka koi intizaam nahin ker pa raha tha.
Kisi shakhs nay usay Hazrat Sayyiduna Imam Husain  ‫ اﷲ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
‫ﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ٰ َ‫ﺗَﻌ‬ ki bargah may hazir honay ka Mashwarah diya
lihazah woh shakhs apni muraad lay ker chal para. Jis waqt
woh Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬ ki bargah
may pahuncha to Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬apnay khadimeen kay sath
khana khanay may masroof thay, us nay dil may socha kay
shayad yeh mujhay khanay may shareek na karayn. Abhi
woh ye soch hi raha tha kay Aap ‫ َر ِ َ  اﷲُ  ﺗ َﻌ َ ٰﺎﱃ  ﻋ َـﻨ ْ ُﻪ‬nay us per
shafqat kartay huway irshad farmaya: Aaiye! Hamaray sath
khanay may shamil ho jaiye. Lihazah who shakhs khanay
may shamil ho gaya. Khanay say faraghat kay ba’ad Aap   َ ِ ‫َر‬
‫ﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ٰ َ‫اﷲ  ﺗَﻌ‬
ُ Nay hath dhoey aur us ki janib mutawajjeh ho ker
us ki hajat pochhi, Hajat sun ker irshad farmaya: Apnay
ounthon ko lay aao! Is jagah say apnay ounthon ko khilao.
Us nay Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Ki karam nawazi daykhi to bay-
Saakhata kehnay laga: Mayray Maan Baap Aap per Qurban,

www.dawateislami.net
8
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki qasam! Yeh sakhawat bay misaal hay. (Musu’at
Ibn Abi Dunya, vol. 3, pp. 516)

Meethi Meethi Islami Behno! Hazrat Sayyiduna Imam


Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki karam nawazi ki kiya hi baat hay,
Kabhi Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬kisi ki mushkil door farmatay, Kabhi
kisi Ghareeb ki hajat pori farmatay, kabhi kisi musafir ko
nawaztay to kabhi kisi ki majboori-o-bay-basi ka zikr sun
ker us ki imdaad kay liye kamar basta ho jatay kiyun kay
sakhawat ka ‘azeem wasf Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ko apnay piyaray
Nana Jaan Rahmat-e- ‘Aalimyaan ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ say
wirasat may mila tha jaysa kay Nabi-e- Akram, Noor-e-
Mujassam ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ nay apnay ladlay nawasay kay
baray may khud irshad farmaya kay Husainmayri jura’at
aur sakhawat ka waris hay. (Mu’jam-ul- Kabeer, vol. 22, pp.
423,Hadees 1041) Lihazah Aap ‫ﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ٰ َ‫ اﷲ  ﺗَﻌ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Jood-o- Sakhawat
may apni misaal Aap thay, aaiye! Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki
kareemana sakhawat say muta’lliq 2 mazeed hikayaat
suntay hayn:

(1) Ayk Ayk hazaar denaar ki panch thayliyan


Ayk martaba Hazrat Sayyiduna Imam Husain‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Ki
khidmat may ayk shakhs nay hazir ho ker apni tangdasti
aur faqr-o- faaqah ki shikayat ki. Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay
farmaya: Thori dayr beth jao! Hamara Wazifah aanay wala
hay, jaysay hi wazifah pahunchay ga hum Aap ko rukhsat
ker dayn gay. Abhi kuch hi dayr guzri thi kay Hazrat
Sayyiduna Ameer Mu’aawiyah ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki taraf say ayk ayk

www.dawateislami.net
9
Karbala walon kay kareemanah Andaz

hazaar denaar ki panch thayliyan Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ


ُ َ ‫ َر‬ki baargaah
may paysh ki gaien. Qasid nay arz ki: Hazrat Ameer
Mu’awiyah ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay ma’zirat ki hay kay thori si raqam
hay isay qabool farma ker ghareebon may taqseem farma
dijiye. Hazrat Sayyiduna Imam Husain‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay woh
saari raqam us ghareeb aadmi kay hawalay ker di aur is
karam nawazi kay bawajood takheer per m’azarat farmaie.
(Kashf-ul- Mahjoob, pp. 77)

Ya Shaheed-e- Karbala faryaad hay


Noor-e- Chashm e Fatimah faryaad hay
hay mayri hajat mayn Taybah may maron
ay mayray hajat rawa faryaad hay
Muflis o naa chaar o khasta haal hon
Makhzan e jood o ata faryad hai
Bakht ki hayn jis qadar bhi guththiyan
saariSuljha do shaha ! faryad hai

(2) Charwaahay ko nawaaz diya


Ayk martaba Nawasa-e- Mustafa, Jigr-e- Gosha-e- Shayr-e-
Khuda Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ka guzar
ayk charwaahay kay pass say huwa jo bakriyan chara raha
tha, woh charwaha Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬kay pass hazir huwa aur
tohfay kay tor ayk bakri Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki khidmat may
paysh ker di, Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay us say pochha kay tum
aazaad ho ya Ghulam? Us nay arz ki: Huzoor! Mayn
Ghulam hon. Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay woh bakri usay wapas lauta
di. Us nay arz ki: Huzoor! Yeh mayri apni bakri hay to Aap

www.dawateislami.net
10
Karbala walon kay kareemanah Andaz

‫ﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬


ٰ َ‫ اﷲ  ﺗَﻌ‬ ِ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay
bakri qabool farma li. Phir Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ُ َ ‫ َر‬nay
us ghulam ko bhayr bakriyon samayt Us kay Aaqa say
khareed ker aazaad farma diya aur bhayr bakriyan usay
tohfay may day den. (Musannaf Ibn Abi Shayba, vol. 5, pp. 389,
Hadees 1)

Meethi Meethi Islami Behno! Hum nay Hazrat Sayyiduna


Imam Husain ‫اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ   َ ‫ َر‬ki sakhawat kay kareemana andaaz
kay baray may suna, hamayn chahiye kay hum bhi
sakhawat jaysi ‘azeem sifat apnay andar paydah karnay ki
koshish karayn aur apni istita’at kay mutabiq apnay
parayshan haal musalman bhaiyon ki madad kiya karayn,
Hadees-e-Pak may hay: Qiyamat kay roz jab kay Allah ‫ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
kay ‘arsh kay siwa koi saya na hoga, teen (3) shakhs Allah
Kay ‘arsh kay saey may hon gay. Arz ki gaie, Ya Rasoolallah
‫ﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ٰ َ‫ اﷲ ﺗَﻌ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ ! Woh kon log hon gay? Irshad farmaya:

(1) Jis nay mayray kisi ummati ki parayshani door ki hogi.


(2) Jis nay mayri sunnat ko zindah kiya hoga.
(3) Aur jis nay mujh per kasrat say Durood Shareef parhay
hon gay. (Bustan-ul- Wa’zeen, pp. 260-261)
Lihazah hamayn chahiye kay jo maal Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬nay
hamayn ‘ata farmaya hay us kay zariey apnay ‘azeez rishtay
daaron aur ghareebon kay sath khayr khuwahi kiya karayn.
Aaiye sakhawat ka jazbah dil may paydah karnay kay liye
sakhawat-o- sadqay kay baray may 3 farameen-e- Mustafa
suntay hayn:

www.dawateislami.net
11
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Sakhawat-o- Sadqay kay baray may teen farameen-


e- Mustafa
(1) Sakhi aadami, Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬say, jannat say aur logon say
qareeb hay aur dozakh say door hay. (Tirmizi, vol. 3, pp. 387,
Hadees 1968)

(2) Teen baatayn woh hayn jin per mayn qasam kha sakta
hon aur un may say ayk baat ki.
mayn tumhayn khabar dayta hon isay yaad rakho kay kisi
banday ka maal Sadaqah karnay say kam nahin hota.
(Musnad Ahmad, vol. 6, pp. 698, Hadees 18053)

(3) Namaz (Iman ki) daleel hay aur rozah (gunahon say)
dhhaal hay aur Sadaqah khata’aon ko is tarah mita dayta
hay jaysay paani aag ko. (Tirmizi, vol. 2, pp. 117, Hadees 614)

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Meethi Meethi Islami Behnon! Maydan-e- Karbala may


karbala walon ko kis qadar mushkilaat ka saamna karna
para magar in mushkil ghharriyon may bhi un Mubarak
hastiyon nay apnay kareemaana andaaz may koi tabdeeli
nahin aanay di balkay in kathhan halaat may zahiri bay-sar-
o-samaani kay bawajood bhi apni sakhawat kay darya
bahatay rahay, aaiye is silsilay may Hazrat Sayyidatuna
Zaynad Bint Shayr-e- Khuda ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki karam nawazi ka
ayk waqi’a suntay hayn:

www.dawateislami.net
12
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Anokhi sakhawat
Waaqi’ah karbala kay ba’d Ahl-e- Bayt ko Madinah
Munawwarah tak pahunchaanay kay liye jis shakhs ko
muqarrar kiya gaya tha woh bahut nayk dil tha, Us nay
poray rastay Ahl-e- Bayt ki zaruriyaat ka khayal rakha aur
in kay sath narmi aur Husn-e- Sulook say paysh aaya, Jab
yeh Qafila Madinah Munawwarah pahunch chukka to
Shahzadi-e- Shayr-e- Khuda Hazrat Sayyidatuna Zaynab
‫ﺎﱃ  ﻋَﻨْﻬَﺎ‬
ٰ َ‫ اﷲ  ﺗَﻌ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Ki chhoti Behin Fatimah Bint-e- Ali ‫ﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ٰ َ‫ اﷲ ﺗَﻌ‬ ِ ‫ر‬
ُ َ َ
nay in say arz ki: Is shakhs nay puray safar may hamara
khub khayal rakha hay. Hamayn bhi isay kuch na kuch
In’aam dayna chahiye. Hazrat Sayyidatuna Zaynab  ‫ اﷲ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
‫ﺎﱃ  ﻋَﻨْﻬَﺎ‬ ٰ َ‫ ﺗَﻌ‬nay fermaya kay hum us shakhs ko sirf apnay
zaywaraat hi paysh ker saktay hayn. Chunanchay dono
shahzaadiyon nay apnay kangan waghayrah utaar ker usay
day diye aur sath hi m’zirat bhi ki (kay is kay ilawa hamaray
pass daynay kay liye kuch bhi nahin) us shakhs nay woh
tamam samaan wapas lauta diya aur arz ki Agar Mein nay
woh khidmat guzari dunyavi mafad kay liye ki hoti to
Yaqinan is in’aam par mujhay khushi hoti magar Mein nay
to woh khidmat sirf Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki khushnodi aur Rasulullah
‫ﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ٰ َ‫ اﷲ  ﺗَﻌ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ say aap logo ki qurabat daari ki waja say ki
thi.

Meethi Meethi Islami Behno! Suna aap nay kay Ahl e Bayt
Athaar ki karam nawazi kis qadar A’la darjay ki thi kay
Hazrat Sayyidatuna Zaynab ‫ﺎﱃ  ﻋَﻨْﻬَﺎ‬
ٰ َ‫ اﷲ  ﺗَﻌ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay aqeedat ka

www.dawateislami.net
13
Karbala walon kay kareemanah Andaz

izhar kernay aur Ahl e Bayt kay sath husn e sulook say
paysh aanay walay ko na sirf apnay zaywaraat ata ferma
diye balky is baat par us say ma’zirat ka izhar bhi fermaya
kay is kay ilawah tumhayn daynay kay liye hamaray pass
mazeed koi cheez nahin, in mubarak hastiyon kay roshan
kirdaar say hamayn yeh dars milta hay kay agar koi shakhs
hamaray sath acha bartao karay to badlay may hamayn bhi
us kay shukriya kay tor par us kay sath acha bartaao kerna
chahiye , Hadees pak maynhay َ ‫ﺎس ﻟ َ ْﻢ ﻳ ْﺸ ُﻜ ِﺮ اﻟﻠ‬ َ َّ‫ﻜ ِﺮ  اﻟﻨ‬
ُ ‫ﺸ‬
ْ ‫ ﻟﻢ  ﻳ‬
ْ ‫ﻦ‬ ْ َ‫ ﻣ‬: ya’ni
jo logon ka shukr ada nahin kerta woh Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ka bhi
shukr guzar nahin hota (Tirmizi, jild 3 , page 386, hadees 1962) is
Hikayat say hamayn yeh dars bhi milta hay kay Allah ki riza
haasil kernay aur piyaray Aaqa, Makki Madani Mustafa  ‫ اﷲ‬ َ‫ﺻ‬
ُ َّ
‫ﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ٰ َ‫ ﺗَﻌ‬say apni sachi mahabbat ka izhar kernay kay liye
hamayn bhi apnay dil may ahl e bayt ki aqeedat o mahabbat
ka charagh roshan rakhna chahiye kyun kay mahabbat e
Ahl e Bayt, dunya o aakhirat ki sa’adatayn haasil honay kay
ilawah shafaa’at Mustafa hasil honay ka zariya hai jaisa kay
Mustafa Jaan e Rahmat ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ ka farman e Shafaaat
nishan hay: jo shakhs wasila haasil kerna chahta hay aur
yeh chahta hay kay mayri Baargaah may us ki koi khidmat
ho jis kay sabab Mein qiyamat kay din us ki shafaa’at
karoon usay chahiye kay mayray Ahl e Bayt ki khidmat
karay aur unhayn khush karay .(Barkaat e Aal e Rasool , page
110) kis qadar khush qismat hay woh Musalman jo Allah
kay piyaray Rasool ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ ki Aal e pak ki khushi ka
sabab banay, Aaiye Ahl e Bayt Athaar kay fazaail par
mushtamil mazeed 3 farameen Mustafa suntay hayn

www.dawateislami.net
14
Karbala walon kay kareemanah Andaz

1. Jo mayray Ahl e Bayt may say kisi kay sath acha


sulook karay ga Mein qiyamat kay din usay us ka
ajar ata fermaoga ( jami Sagheer ,page 533, Hadees 8821)

2. Jo shakhs awlad e Abd ul Muttalib may say kisi kay


sath dunya may nayki (bhalai) karay ga us ka Silah
dayna mujh par lazim hay jab woh qiyamat kay din
mujh say milay ga ( Tareekh e Baghdaad ,jild 10, page102,
Hadees 5221)

3. Sitaaray aasmaan walon kay liye ba’is e aman hayn


aur mayray Ahl e Bayt mayri Ummat kay liye ba’is e
aman hayn (Kanzul Ummaal , juz 12, Hadees 34150)

Kiya baat Raza us chamanistaan e Karam ki


Zahra hai kali jis may Husain aur Hasan phool

Meethi Meethi Islami Behno! Jis tarah Ahl e Bayt Athaar ki


mahabbat dunya o aakhirat may najaat paanay aur shafaa’at
ka zariya hay aysay hi us pak gharanay say Bughz o inaad
rakhna halakat ka sabab hay jaysa kay bahr o bar kay
Badshah, do Aalam kay Shahanshah ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ nay
Hazrat Ali, Hazrat Fatimah aur Hazraat e Hasnain
Karimayn ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻨْ ُﻬﻢ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬say Irshad fermaya jo tum say jung
karay Mein us say jung karoon ga aur jo tum say sulah
karay us ki mujh say sulah hay. Aik aur Hadees pak may
hay: khabardar jo shakhs Ahl e Bayt ki Bughz o adawat par
mara woh qiyamat kay din is haal may aaye ga kay us ki
dono ankhaun kay darmiyan likha hoga kay yeh Allah ‫ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ki rahmat say na ummed hay aur aagah ho jao! Jo shakhs

www.dawateislami.net
15
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Ahl e Bayt say Bughz o ‘adawat par mara usay Jannat ki


khushbu bhi naseeb na hogi.(Al Sharf ul Moabbad , page 105)

Baagh e Jannat kay hayn bahr e madh e khuwan e Ahl e Bayt


Tum ko muzdah naar ka aye dushmanaan e Ahl e Bayt

Meethi Meethi Islami Behno! Suna aap nay kay Ahl e Bayt
say Bughz rakhnay ki kaysi sakht wa’eedayn hayn lihaza
hamayn chahiye kay har dum un ka khoob adab o Ihtiram
karay aur ahl e Bayt say ‘adawat o dushmani rakhnay walon
ki sohbat say kooson door rahayn kyun kay sohbat zaroor
rung lati hay, agar achon ki sohbat mil jaye to insan may
achaye payda ho hi jati hay aur dil bhi gunahon say
bayzaar, naykiyon ka talabgaar aur buzurgaan e deen aur
Ahl e Bayt Athaar ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻨْ ُﻬﻢ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ki mahabbat say sar shaar ho
hi jata hay aur is kay bar ‘aks agar Khuda na khuwastah
buri sohbat muyassar aa jaye to insaan na chahatay huway
bhi buraiyon may mubtala ho hi jata hay, lihaza Awliya aur
Ahl e Bayt say aqeedat o mahabbat rakhnay walon hi
sohbat ikhtiyar ki jaye ta kay un ki sohbat ki barakat say
hamayn bhi un nayk hastiyon ka adab o Ihtiram naseeb ho,
bad qismati say aaj kal buri sohbatayn is qadar aam ho
chuki hayn kay achi sohbat milna mushkil ho chuka hay,
aysay halaat may ‫ ا َﻟ ْ َـﺤ ْﻤ ُـﺪ ِ ﻟـﻠّٰـﻪ  ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬Dawat e Islami ka Madani
mahool Yaqinan Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki bahut bari ni’mat hay jo apni
aur saari dunya kay logon ki Islah kernay kay A’zeem
Madani Maqsad kay paysh e nazar logon ko gunahon say
bachanay, naykiyon ki raah par lanay aur unhayn Awliya o
Ahl e Bayt e Athaar ki mahabbat ghhol ker pilanay may

www.dawateislami.net
16
Karbala walon kay kareemanah Andaz

masroof e amal hay lihaza aap tamam Islami behnayn


Dawat e Islami kay Madani mahool say har dum wabastah
rahye aur gunahon say nafrat naykiyon ki raghbat aur ahl e
Bayt ki sachi mahabbat apnay dil may payda kernay kay liye
Dawat Islami kay ijtima’aat may aatay rahay ‫ اِ ْن   َﺷــﺂءَاﻟـﻠّٰـﻪ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬is
ki khoob khoob barakatayn hasil hon gi aur ahl e Bayt
Athaar ki mahabbat may izafa ho ga.

Awliya ka karam, tum pay ho la jaram


Khoob jalway milayn, Qafilay may chalo

Risalah “Imam Husain ki Karamaat” ka Ta’aruf


Is kay ilawah karbala walon ki mahabbat o ulfat dil may
payda kernay kay liye Sheikh e Tareeqat Ameer e Ahl e
Sunnat ‫ـﺖ  ﺑَـ َﺮﻛَـﺎ ُﺗ ُـﻬ ُـﻢ  اﻟْـﻌَـﺎﻟِـﻴ َ ْـﻪ‬ ْ ‫اﻣ‬
َ َ‫ د‬kay risaalay “Imam Husain ki
Karamaat” ka mutala’a mufeed hay, yeh Risalah Imam
Husain ‫ﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ ‫ َر َ  ا‬ki wiladat, Aap kay fazaail o kamalaat aur
karamaat kay ‘ilawah Yazeed aur Yazeediyon kay dard naak
anjaam ki ma’lomaat aur ‘aashorah kay fazaail par
mushtamil hay, lihaza aaj hi yeh Risalah Maktabah tul
Madinah say hadiyyatan haasil ker kay khud bhi is ka
mutal’a kijiye aur dusri Islami behno ko is ki targheeb
dijiye, ‫ ا َﻟ ْ َـﺤ ْﻤ ُـﺪ ِ ﻟـﻠّٰـﻪ  ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬shu’bah Tarajim ki koshishon say is
risalay ka English, Hindi, Sindhi aur Gujrati samait kul 7
zabanon may tarjuma ho chuka hay, Dawat e Islami ki
website www.dawateislami.net say is Kitab ko read ( yaani
parha) bhi ja sakta hay, download aur printout bhi kiya ja
sakta hay.

www.dawateislami.net
17
Karbala walon kay kareemanah Andaz

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Meethi Meethi Islami Behno! Aaiye karbala walon kay


mazeed kareemana andaaz kay baaray may suntay hayn
chunanchay haq talfi kernay walay ko mu’af kerna aur dar
guzar say kaam layna bhi ahl e Bayt Athaar kay bay misaal
kareemanah andaz ka hissa hay, mua’af kerna Nabi e
Rahmat, Shafi’ee Ummat ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ُ
َّ ‫ﺻ‬
َ ki bahut piyari
sunnat honay kay sath sath deeni aur dunyavi ai’tibar say
bahut hi umdah khaslat hay, Quran kareem may afw o dar
ghuzar say kaam laynay ka hukm bhi diya gaya hay jaysa
kay parah 9 surah A’araf ki aayat number 199 mayn Allah
‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬Irshad fermata hay:

ۡ ۡ َ ۡ ۡ َ ُۡ ۡ ُۡ ۡ َ َ ۡ َۡ ُ
﴾۱۹۹﴿ َ ‫ف َو اﻋ ِﺮض ﻋ ِﻦ ا ٰﺠ ِﻬ ِﻠ‬
ِ ‫ﺧ ِﺬ اﻟﻌﻔﻮ و ا ﺮ ﺑِﺎﻟ ﺮ‬

Tarjuma Kanz ul Iman


Aye mahboob mua’af kerna ikhtiyar karo aur bhalaye ka
hukm do aur jahilon say munh phhayr lo.

Meethi Meethi Islami Behno! Mua’afi ki barakat say


bahami sulah ki fiza payda hoti hay, aapas kay masaail hal
hotay hayn, ba hami naraziyon ka khatimah hota hay, aapas
may mahabbat barhti hay aur dil may Bughz o Keenah kay
jazbaat payda nahi hotay. Lihaza hamayn chahiye kay
karbala walon kay Naqsh e qadam par chaltay huway afw o
dar ghuzar say kaam liya karayn, kisi Musalman ka qusoor
mua’af kernay say mua’af kernay walay ki izzat kam nahin

www.dawateislami.net
18
Karbala walon kay kareemanah Andaz

ho jati balky us may izafa hi hota hay. Hadees pak may hay:
kisi ko mua’af kernay ki waja say Allah ‫ ( ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬mua’af
kernay walay) banday ki izzat hi may izafah frmata hay(Sahi
Muslim, page 1071, hadees 6592). Aaiye afw o dar ghuzar say
muta’alliq kerbala walon kay kareemanah andaaz kay baray
may 3 waqia’aat suntay hayn

(1) Gaaliyan daynay walay ko du’aeen din


Aik martabah Isam bin Mustaliq naami mulk e sham kay
aik bashindah jo kay Maula e Kainat Hazrat Ali ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫َر‬
say Bughz rakhta tha, hazrat Sayyiduna Imam Husain kay
samnay unhayn aur un kay walid e mohtaram Hazrat
Sayyiduna Ali yul Murtaza ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ko bura bhala kehnay
laga. Hazrat Sayyiduna Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay usay
jhiraknay ulajhnay ya talkh kalami say koi jawabi karwaye
ِ ‫ ا َ ُﻋﻮ ُذ  ﺑِﺎا‬aur   ِ ‫ﻢ  اﻟﻠ‬
kernay kay bajaye   ‫ﷲ‬ ِ ‫ِﺴ‬
ْ ْ ‫ ﺑ‬perhnay kay ba’d yeh
aayaat e Mubarakah tilawat fermaye:
ۡ ۡ َ ۡ ۡ َ ُۡ ۡ ُۡ ۡ َ َ ۡ َۡ ُ
﴾۱۹۹﴿ َ ‫ف َو اﻋ ِﺮض ﻋ ِﻦ ا ٰﺠ ِﻬ ِﻠ‬ ِ ‫ﺧ ِﺬ اﻟﻌﻔﻮ و ا ﺮ ﺑِﺎﻟ ﺮ‬
ٌ َ ٗ َّ ّٰ ۡ ۡ َ ٌ ۡ َ ٰ ۡ َّ ‫َ َّ َ ۡ َ َ َّ َ ﻣ َﻦ‬
﴾۲۰۰﴿ ‫َﻋ ِﻠ ۡ ٌﻢ‬ ‫ﺎﺳ َﺘ ِﻌﺬ ﺑِﺎﻟﻠ ِﻪ اِﻧﻪ ﺳ ِﻤ ۡﻴ‬‫و اِﻣﺎ ﻳ ﻏﻨﻚ ِ اﻟﺸﻴﻄ ِﻦ ﻧﺰغ ﻓ‬
ُ ُ َ َ َّ َ َ ٰ َّ ٌ ُ َ َ َ َّ َّ َ
﴾۲۰۱ۚ ﴿ ‫ۡﻢ ّﻣ ۡﺒ ِ ُﺮ ۡو َن‬ ‫ا ِّن اﻟ ِﺬﻳۡ َﻦ اﺗﻘ ۡﻮا اِذا َﻣ ّﺴ ۡﻢ ﻃ ِ ﻒ ِّﻣ َﻦ اﻟﺸ ۡﻴﻄ ِﻦ ﺗﺬﻛ ُﺮ ۡوا ﻓﺎِذا‬

Tarjuma Kanz ul Iman


Aye mahboob mua’af kerna ikhtiyar karo aur bhalaye ka
hukm do aur jahilon say munh phayr lo, aur aye sunnay
walay agar shaytan tujhay koi koncha day (kisi buray kaam
par uksaye) to Allah ki panah maang bay shak wohi sunta

www.dawateislami.net
19
Karbala walon kay kareemanah Andaz

janta hay. Bay shak woh jo dar walay hayn jab unhayn kisi
shaytani khayal ki thhays lagti hay, hoshiyar ho jatay hayn
usi waqt un ki ankhayn khul jati hayn.
(Aa’raaf, Aayat.199-201)

Phir fermaya: apnay ooper bojh halka rakh, aur Mein Allah
‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬say tayray liye aur apnay liye maghfirat ka suwal kerta

hoon is kay ilawah Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ


ُ َ ‫ َر‬nay us kay sath is qadar
afw o dar ghuzar, narmi aur khandah payshani say paysh
aaye kay us ka Bughz o adawat aik dam mahabbat may
tabdeel ho gaya aur woh yeh kehnay par majboor ho gaya
‫ﺐ  اِ َﱄَّ   ِﻣﻨ ْ ُﻪ َ و ِﻣ ْﻦ  اَﺑِﻴ ِﻪ‬
ُّ ‫ ا ََﺣ‬ya’ni rooye zameen par Hazrat Sayyiduna
Imam Husain aur un kay walid Hazrat Ali ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬say
ziyadah mayray nazdeek koi mahboob nahain.(Tafseer Al Bahr
Al Moheet )

Gaaliyan sun ker du’a daytay ho tum


Aye shaheed e karbala! Tum par salam
Hay falah o kamrani narmi o aasani may
Har bana kaam bigar jata hay nadani may

(2) Gaali daynay walay kay sath khayr Khuwahi


Aik martabah Imam Husain ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬kay shahzaday
Hazrat Sayyiduna Imam Zayn ul ‘Aabideen ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ko
kisi nay gaali di to Aap ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay ( Ghussah honay aur
intiqami karwaye kernay kay bajaye) usay apna mubarak
kurta aur aik hazaar dirham daynay ka hukm diya. Kisi nay
kaha: aap nay 5 khaslatay jama’a kerli hayn.

www.dawateislami.net
20
Karbala walon kay kareemanah Andaz

(1) Burd baari.


(2) Takleef na dayna.
(3) Us shakhs ko aysi baat say rihaye dayna jo usay
Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬say door ker dayti.
(4) Usay taubah o nadamat ki taraf raghib kerna .
(5) Buraye kay ba’d tareef ki taraf rujo kerna Aap nay
ma’moli dunya kay sath yeh tamam a’zeem
cheezayn khareed lin.( Ihyaa ul Uloom , jild 3, page 221)

(3) Mein nay apna ghussah pee liya


Aik baar Imam Zayn ul ‘Aabideen ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬ko un ki laundi
wuzoo kerwa rahi thi achanak us kay haath say bartan Aap
‫ﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬
ٰ َ‫ اﷲ ﺗَﻌ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬kay chehray par gir gaya jis say chehra zakhmi ho
gaya. Aap ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬nay us ki taraf sar utha ker daykha to
ۡ ٰ
us nay arz ki: Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬Irshad fermata hay: َ ‫ َواﻟْﻜ ِﻈ ِﻤ‬:
َْ َّ َ َ ۡ َْ َ
‫ اﻟﻐ ۡﻴﻆ‬aur ghussah peenay walay ’’‫ﺎس‬ ِ ‫واﻟﻌﺎ ِﻓ ﻋ ِﻦ اﻟﻨ‬:aur logon say
dar guzar kernay walay” Irshad fermaya Alah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬tujhay
ۡ ْ ُ ُ ُ َ
mua’af karay phir arz guzar huyi: َ ‫اﻟﻠﻪ ِ ّﺐ اﻟ ُﻤ ْﺤ ِﺴ ِﻨ‬‫ و‬Aur Allah
‫ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ihsan kernay walay ko pasand frmata hay” Irshad
fermaya jaa tu Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬kay riza kay liye aazaad hay.( Ibn
aaskir , jild 41, page 387)

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Meethi Meethi Islami Behno! Daykha aap nay kay yeh


hazraat kitnay naram mizaaj aur burd baar huwa kertay,

www.dawateislami.net
21
Karbala walon kay kareemanah Andaz

logon ki ghalatiyon par un ko dantnay, jhiraknay aur un


kay sath ulajhnay kay bajaye un kay qusoor ko mua’af
kernay walay hotay thay, hum karbala kay jaan nisaaron say
mahabbat ka dum to bhartay hayn laykin hamayn is par bhi
ghaur ker layna chahiye kay kiya hum bhi dosron ki
ghaltiyon ko mua’af kertay hayn ya un say fauran badlah
laynay ka jazbah dil may josh maarnay lagta hay aur takleef
pahunchaanay walay ko eint ka jawab patthar say daynay
kay liye bari takleef pahunchaanay ki Koshish kertay hayn,
neez laundi ko mua’af kernay aur rizay e Ilahi kay liye
aazad kernay say muta’alliq aakhir may jo Hikayat hum nay
suni us may un logon kay liye lamha fikriyah hay kay jo
apnay mulazimeen kay sath nihayat ghayr munasib sulook
kertay hayn aur un ki ma’mooli ghaltiyon par unhayn
khoob jhhaar pilatay aur un ki hoslah shikni o dil aazari
kertay hayn, is kay bajaaey hum may say har aik ko chahiye
kay apnay ma tahton kay sath husn e akhlaaq say paysh
aaye un ki ghalatiyon par unhayn piyar aur mahabbat say
samjhaye aur Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki riza kay liye un say ‘Afw o dar
guzar karay ‫ اِ ْن   َﺷــﺂءَاﻟـﻠّٰـﻪ  ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬is ki khoob khoob barakatayn aur
rahmatayn haasil hon gi. Ahaadees may ‘afw o dar guzar
kay Kaseer fazaail bayan kiye gaye hayn, Aaiye mu’af
kernay ki fazeelat kay baaray may Ahadees mubarakah
suntay hayn:

1. Hazrat Sayyiduna Anas ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ


ُ َ ‫ َر‬say riwayat hay,
Rasulullah ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ nay Irshad fermaya: jab

www.dawateislami.net
22
Karbala walon kay kareemanah Andaz

log Hisab kay liye thehray hon gay to us waqt ek


munadi ’elaan karay ga kay jis shakhs ka ajar Allah
‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬kay zimma e karam par hay woh uthay aur

Jannat may dakhil ho jaye phir dusri bar ’elaan


karay ga kay jis shakhs ka ajar Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬kay
zimma e karam par hay woh uthay aur Jannat may
dakhil ho jaye. Poocha jay ga woh kaun hay jis ka
ajar Allah kay zimma e karam par hay. Munadi
kahay ga: un ka jo logon (ki Khataon) ko mu’af
kernay walay hayn phir teesri baar munadi ’ealan
karay ga: kay jis shakhs ka ajar Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬kay
zimma e karam par hay woh uthay aur Jannat may
dakhil ho jaye to hazaaron aadami kharay hon gay
aur bila hisab Jannat may dakhil ho jayen gay.
( Mojam ul Awsat , jild 1, page 542, Hadees 1998)

2. Hazrat Sayyiduna Ubaye bin Ka’b ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬say
riwayat hay kay Huzoor ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ nay Irshad
fermaya jisay yeh pasand ho kay us kay liye
(Jannat may) mahal banaya jaye aur us kay
darajaat buland kiye jayen to usay chahiye kay jo
us par zulm karay woh usay mua’f ker day aur jo
usay mahroom karay woh usay ata keray aur jo us
say ta’alluqaat toray woh us say ta’alluqaat joray.
(Tabqaat e Kubra ,jild 3,page 263 )

Meethi Meethi Islami Behno! Hamayn bhi chahiye jab koi


hamayn bura bhala kahay ya hamaray sath bura sulook

www.dawateislami.net
23
Karbala walon kay kareemanah Andaz

karay to Ahl e Bayt Athaar kay kareemanah andaaz paysh


e nazar rakhtay huway dar guzar say kaam layn. Allah
‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬hamayn ‘afw o dar guzar kernay ka jazbah naseeb

ْ ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ ﻋَﻠَﻴْ ِﻪ  َواٰﻟ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ ا ٰ ِﻣــ ْﲔ ﺑِـ َﺠـﺎ ِه اﻟـﻨَّـﺒِـ ِّﻰ‬
fermaye. ‫ اﻻ َ ِﻣــ ْﲔ‬
ِ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ

‘Afw ker aur sada kay liye raazi ho ja


Gar karam ker day to Jannat may rahon ga ya Rabb

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

8 madani kaamon may say ayk Madani kaam


Madani Dawrah
Meethi Meethi Islami Behno! Nayki ki da’wat ko aam kernay
aur saari dunya may Quran o sunnat ki ta’leemat ko
phhaylaanay kay liye Dawat e Islami din raat masroof e amal
hay. Aap bhi is a’zeem Maqsad may Dawat e Islami ka sath
daynay kay liye Dawat e Islami kay 8 madani kaamon may barh
charh ker hissa laynay ki Koshish kijiye. Dawat e Islami kay in 8
madani kaamon may say aik hafta waar Madani kaam “Madani
dawrah” bhi hay jis ka bunyaadi Maqsad dunya ki dhhun may
magan Afraad ko in kay Maqsad e haqeeqi say aagah kerna,
namaz rozay ki taraf raghib kerna, gunaahon say nafrat aur
naykiyon say mahabbat payda kernay ka zehan dayna shamil
hay. Is may koi shak nahin yeh tamam kaam nayki ki da’wat
daynay aur burai say man’a kernay may hi shumar hotay hayn.
Nafli ibadaat ko chhor ker nayki ki da’wat dayna aur burai say
man’a kerna yeh kis qadar aham kaam hay, is ka andazah is

www.dawateislami.net
24
Karbala walon kay kareemanah Andaz

baat say lagaye kay Qutb e Rabbani, Ghaus e Samdani Huzoor


Sayyiduna sheikh Abdul Qadir Jeelani ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَـﻨْ ُﻪ‬ ِ
ُ َ ‫ َر‬Irshad
fermatay hayn: nayki ka hukm dayna aur burai say man’a kerna
mayray nazdeek un hazaar ‘aabidon ki ibadat say ziyadah
Pasandeedah hay jo khalwat kadon may baith ker ibadat kernay
walay hayn. (Al Fath ur Rabbani, page 181 )

Aap bhi sawab paanay ki niyyat say Madani dawrah may


shirkat ko apna ma’mool banaye. Aap ki targheeb o tahrees kay
liye aik Madani bahar arz kerti hoon.
‫ـﺪ  ِﻟـﻠّٰـﻪ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ُ ‫ـﺤ ْﻤ‬
َ ْ ‫اَﻟ‬
Dawat e Islami walon par jhoom jhoom ker baaraan
e rahmat barasti hay chunachay Birminghham (U.K) kay aik
Islami bhai ka bayan apnay andaaz o alfaaz may paysh e
khidmat hay. Hum aik baar gunjaan aabadi walay ilaqay jisay
hum apnay Madani mahool may “Makki Halqah” kehtay hayn
may Madani dawrah kertay huway nayki ki da’wat daynay kay
liye ghar ja rahay thay. Is dauran aik ghar par dastak di to aik
umar raseedah Khatoon nikli jin ka Meer poor (Kashmir) say
ta’alluq tha. Urdu aur English say na balad thi. Hum nay sar
jhuka ker nayki ki da’wat paysh ki aur arz ki kay ghar kay
mardon ko masjid may bhej dijiye. Hum janay lagay to woh
kehnay lagi: ab meri bhi suno hamaray pass waqt kam tha is liye
aagay berh gaey magar hamaray aik Islami bhai thehar gaye.
Bari bi fermanay lagi ‫ اَﻟ ْ َـﺤ ْﻤ ُـﺪ  ِﻟـﻠّٰـﻪ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬Mein nay chand hi rooz pehlay
yeh mubarak khuwab daykha tha kay Sarkar e Madinah  ‫ اﷲ ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ
‫ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬sabz sabz Imamah walon ki jhurmat may masjid e

Nabawi Shareef say bahir tashreef la rahay hayn. Allah ki qudrat


say wohi sabz Imamay walay mayray ghar nayki ki da’wat
daynay aa gaye! Un ko Islami Behno kay haftah waar ijtima ki

www.dawateislami.net
25
Karbala walon kay kareemanah Andaz

da’wat di ab woh apnay khaandaan ki Islami Behno samayt ba


qa’idgi kay sath haftah waar ijtima may shirkat fermati hayn.

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Majlis Jamiaa tul Madinah


‫ـﺪ ِ ﻟـﻠّٰـﻪ  ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ُ ‫ـﺤ ْﻤ‬
َ ْ ‫ا َﻟ‬ Dawat e Islami ab tak 103 say ziyadah shu’ba
jaat may sunnatoo ki khidmat may masroof e amal hay,
inhi may say aik shu’bah Jamia tul Madina bhi hay, Sheikh
e Tareeqat Ameer e Ahl e Sunnat ْ َ ‫ﻢ  اﻟْـﻌَـﺎﻟِـﻴ‬
‫ـﻪ‬ ُ ‫ـﺖ  ﺑَـ َﺮﻛَـﺎ ُﺗ‬
ُ ‫ـﻬـ‬ ْ ‫اﻣ‬
َ َ‫د‬ ki dili
khuwahish kay tahat ilm e deen ko aam kernay kay liye
Dawat e Islami kay zayr e ihtImam Jamia Tul Madinah ki
sab say Pehli shaakh 1995 may new Karachi kay ilaqay
godhra colony (Bab ul Madinah Karachi) may khholi gaye
aur ‫ـﺪ ِ ﻟـﻠّٰـﻪ  ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ُ ‫ـﺤ ْﻤ‬
َ ْ ‫ا َﻟ‬ ab tak dunya kay Mukhtalif mumalik
maslan Pakistan, Hind, South Africa, England, Nepal aur
Bangladesh wagayrah may Jamia tul Madinah lil baneen
aur lil banaat qaim hayn, jin may hazaaron Islami bhai aur
Islami behnayn ilm e deen haasil ker kay na sirf apni ilmi
piyas bujha rahay hayn balky dusron ko bhi faizan e ilm say
Munawwar kernay may masroof hayn. In jamia’at ul
Madinah ki khusosiyyat yeh hay kay deeni ta’leem say
aarastah kernay kay sath sath talaba ki Akhlaaqi aur
rohaani tarbiyyat bhi ki jati hay lihaza Aap bhi apnay
bachon ko in jamiaat may dakhilay kay zariay ilm e deen

www.dawateislami.net
26
Karbala walon kay kareemanah Andaz

haasil kerwaye aur apni aur un ki aakhirat ko behtar


banaiye.

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Bayan ka Khulasa
Meethi Meethi Islami Behno ‫ ا َﻟ ْ َـﺤ ْﻤ ُـﺪ ِ ﻟـﻠّٰـﻪ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬aaj kay bayan may
hum nay karbala walon kay kareemana andaaz sunnay ki
sa’adat haasil ki kay

 Karbala walay ghussah kernay kay bajaye ghussah


peenay walay, logon ki ghalatiyon ko mu’af kernay
walay aur sab say afw o dar guzar ka mu’amala
fermanay walay thay.

 Karbala walay zameen may Fitnah o fasaad say


bachnay walay aur aman o sukoon qaim kernay
walay thay

 Karbala walay khoob sadaqah o kahyraat kernay


walay thay

 Karbala walay Allah ‫ ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬ki riza aur deen e islam ki


sar bulandi kay lie apna sab kuch qurban ker
daynay walay thay. Lihaza hamayn bhi chahiye kay
hum bhi Huzoor ‫ اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ kay un pakeezah
gharanay walon ki seerat o kirdar par amal ker kay
dunya o aakhirat ko roshan banayen aur Allah ‫ﻋَ ّﺰ ََو َﺟ َّﻞ‬
ki riza o khushnodi haasil karayn

www.dawateislami.net
27
Karbala walon kay kareemanah Andaz

Paeye Husain o Hasan Fatimah Ali Hayder


Hamaray bigray huway kaam bana day Ya Rabb

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

Libas kay Madani Phool


Sab say pehlay farameen-e-Mustafa ‫ﺎﱃ ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ َ واٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬
ٰ َ‫ اﷲ ﺗَﻌ‬ َ‫ﺻ‬
ُ ّ َ mulahaza
hoon:

 Jin ki ankhoon aur logon kay sitar kay darmiyaan parda


yeh hai ke jab koi kapray utaray to( ‫) ﺑ ِۡﺴ ِﻢ  اﻟﻠ‬keh lay.
(Almua’jamul ausat Vol. 2, P. 59, Hadees 2504)

 Jo shaks kapra pehnay aur yeh perhay:

ۡ ‫ﲑﺣ‬ ۡ ۡ ‫ﻴﻪ ﻣ‬ۡ ‫ﻫﺬا ورزﻗﻨ‬ ٰ ۡ ‫ی ﻛﺴﺎ‬ ۡ َّ ۡ ۡ


‫ﻮ ٍل‬ ِ ‫ﻏ‬
َ ‫ﻦ‬ ِ ِ ِ َ َ َ َ َ ِ َ ‫اﺬﻟ‬
ِ ‫ﷲ‬
ِ ِ ‫ﺪ‬
ُ ‫ﻤ‬ ‫اَﻟﺤ‬
َ َ َ
‫ﻮ ٍۃ‬ ۡ
َ ّ ُ ‫ِّﻣ ِ ّ َو َﻻﻗ‬
To is k aglay pichlay gunah mua’f ho jayen gay.
(Shub-ul-Imaan Vol. 5, P. 181, Hadees 6285)
 Jo bawajud e qudrat zaib-o-zeenat ka libaas pehenna
tawazu (ya’ni aajizi) kay taur per chhor day, Allah
ta’lah us ko karamat ka hullah pehnaaye ga. (Abu Daud
Vol. 4, P. 326, Hadees 4778)

Khatim-ul-Mursaleen, Rahmat-ul-lil ‘Aalameen  ‫اﷲ  ﺗَﻌَ ٰﺎﱃ  ﻋَﻠَﻴ ْ ِﻪ‬ َ‫ﺻ‬


 ُ  ّ َ
‫ َواٰﻟ ِ ٖﻪ َ و َﺳﻠَّﻢ‬ka Mubarak libaas aksar safaid kaprey ka hota.

(Kashaf-Ul-Iltebaas Fi Istehbaab-iI-Libaas Li Sheikh Abdul Haq


Dehlvi, P. 36)

www.dawateislami.net
28
Karbala walon kay kareemanah Andaz

 Libaas Halal kamayi say ho aur jo libaas haram kamai


say haasil huwa ho, Us may farz-o-nafl koi namaz
qabool nahin hoti. (ayzan, P. 41)
 Pehentay waqt seedhi taraf se shuru’ kijye (k Sunnat hai)
maslan jab kurta pehneyn to pehlay seedhi asteen may
seedha haath dakhil kijye phir ulta haath ulti aasteen
may. (Ezaan, P. 43)
 Isi tarah pajama pehennay may pehlay seedhay
payenchey may seedha paoon dakhil kijye aur jab (kurta
ya pajama) utaarnay lagay to is kay ber aks (ulat) kijye
ya’ni ulti taraf se shuru’ kijye.
 Sunnat yeh hay kay mard ka tehband ya pajama takhney
se upar rahay. (Miraat Vol. 6, P. 94)
 Mard mardana aur ‘aurat zanana hi libaas pehnay.
Chhotey bachoon aur bachiyon may bhi is baat ka
lehaaz rakhy’e.
Tarah Tarah ki hazaaron sunnatayn seekhnay kay liye
Maktaba-tul-Madinah ki matbu’a 2 kutub (1) 312
safhaat per mushtamil kitaab “Bahar-e-Shari’at” hissa
16 aur (2) 120 safhaat ki kitaab “Sunnatayn aur Adaab”
is kay ilawah Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-
Sunnat kay 2 rasaail “101 Madani Phool” aur “163
Madani Phool” Hadiyyatan hasil kijiye aur parhiye.

‫ـﻤﺪ‬
َّ ‫ـﺤ‬ ٰ َ‫    َﺻـ َّ  اﻟـﻠ ّٰ ُـﻪ ﺗَـﻌ‬
َ ‫ـﺎﱃ ﻋَـ ٰ ُ ﻣ‬ َ ْ ‫َﺻـﻠُّﻮا ﻋ َ َ  اﻟ‬
‫ـﺤـ ِﻴْﺐ‬

www.dawateislami.net
29

You might also like