You are on page 1of 1

AB MERE YAAR NAHI AATE

Gulliyon mein cricket khelne,

Woh saare yaar nahi aate

ab woh purane ravivaar nahi aate.

Ab dosti sirf birthday wishes tak hi seemit hai,

ab gappe ladaane chaurahe par,

har shaam, wahi puraane yaar nahi aate.

Logo tak jhoothi khabre pohachti hai,

Khabre bataane ke liye acche akhbaar nahi aate.

Mohalle ki khabare bataane mujhe,

Ab mere yaar nahi aate.

Kandho par kaam ka bhoj aagaya hai,

Hum saari zimmedariya utha nahi paate.

Life ki iss race mein daudne mere saath,

Ab mere yaar nahi aate.

Apekshayein hai meri khudse,

Unke neeche jaise dab gaya hu.

Mujhe meri muskan lautane,

Ab mere yaar nahi aate.

Sab apni life ki race daud rahe hai,

Sab apni manzilo ki ore badh rahe hai.

Milenge phir hum ek din,

Baithkar yaad karenge humare purane din.

Purane din yaad karne ke liye,

Ab mere yaar nahi aate.

You might also like