You are on page 1of 3

 Azaadi? Aise hi thodi mili azaadi?

Hazaro goliya chal gayii, karodo kode baras


gaye. Bharat maa ke ladle, kabhi lahor jail me baraf ki silliyo par lataye gaye, toh
kabhi kala paani me eke k boond pani ko taras gaye.. Kitno ne jaan ki baazi laga
di, toh kitno ne bhari jawani me apni laash bichadi.. Aise hi thodi mili azaadi??
Ye jo 26 january hai na, yaha tak pohochne ka raasta 23 march se hoke guzara
hai. Wahi 23 march jab angrezo ne Bhagat, Raj Guru aur Sukh Dev ko phasi di
thi. Ye 26 january, 27 farvari ke kurbani ka sila hai. Wahi 27 farvari jab
chandrashekhar Azaad ne Alfred park me aakhari goli apne mastak me utaar li
thi. 26 January 30 actubar ke baad naseeb hui hai, jab Lala Laajpat Rai ke budhi
haddiyo ko james scot ki bedard laathiyo ne baras baras kr tod diya tha. Ye 26
january 30 january ki kimmat par mili hai jab baapu ne ‘he raam’ bolke hume
humesha ke liye akela chod diya tha.
Aakhein bhig rahi hai na? Toh rokiye apni aakhon ko, boliye apni aakhon se ki
aaj udasi ka nai, Utsav ka din hai.. aaj toh dholke bajayenge, jashn manayenge..
jo laut ke ghar na aaye, aaj unki yaad me gaayenge…
1. Bharat Humko, jaan se pyara hai..

 6 mahino se siachin me posted hu, -45 degree me apne seene me dehekti desh
prem ki aag sekh raha hu, din raat pahado par jami barf dekh raha hu..
Suna hai insaan ki aakhen das lakh se jyada rang pehechanti hai, hamari aakhen
to bas safhed hi dekhti hai aur afhed hi jaanti hai.
Iss baar gaav se ana har baar se jyada mushkil raha. Maa aur babuji dono sattar
paar kar chuke hai, Bidaai ki taarik kareeb aate hi andesho se bhar jata tha, kahi
ye aakhari mulakaat na ho ye sochke dar jata tha.. Chaar din baad rakhi thi,
behen ne bohot roka bas uska dil todke aa gaya, aur meri 5 baras ki beti vo jag
jati to mere pairo me aasuon ki janjir daal deti, toh use sota hua chod ke aa
gaya.. Patniiii station tak pohochane aayi thi, jaate jaate usne kuch kaha toh..
par me samaj nai paya, gala itna bhara hua tha ki avaj de nai paya..
Ye kahani sunkar aap mujpe afsos na kare, apni rishton ki kadar kare, jo aapke
paas hai use sambhale.. kyuki har koi apno ke karib nai hota, roj sham ko ghar
loutna har kisi ko nasib nai hota…
2. Sandese aate hai..
 Jiski Nason me maa bharati ka rakt hai, vahi desh bhakt hai..
Aur uski wajeh kya hai jaante hai??? Humari maayee.. humari maaye jo hume
dudh se pehele deshprem pilati hai, janm lete hi humare maathe par vatan ki
mitti lagati hai, pura bachpan hume veero ki kahaniya sunati hai..
Aesi hi ek maa apni deshpremi pati ko kehti hai,

तुम जब सीना चुभाते हो, मेरा दिल तुम्हारे साथ है। जब तुम सूरज से दमलते हो, तुम्हारी
मााँ और तुम्हारे बच्चे सिा तुम्हारी रक्षा की प्राथथना में खोए रहते हैं । तुम्हारी कमी में, हम
सभी एक साथ हैं , 'लुक्का छु प्पी' में तुम्हारी शीतलता की प्रतीक्षा कर रहे हैं , और तुम्हारे
बच्चे, दजन्ोोंने अपने दपताजी की जगह सोंभाल ली हैं , vo हमें hamesha समथथन और
प्रेरणा िे ते हैं..
3. Lukka chuppi..

 Hume toh aisa desh chahiye, jo humari man ki baat ko samze..fhir chahe raam
aaye, allah aaye, yaa ohh lord hi muh se nikale..
Hume toh aisa desh chahiye, jaha humare dharam se jyada humare soch ko log
jaane.. aap kise vote denge, se behetar, aap ke ghar sab thik hai? ye puche..
Hume toh aisa desh chahiye, jaha har gali me sukoon ho, fhir chaahe us gali ke
rang kesari, safhed, pile yaa hare ho..
Hume toh aisa desh chahiye, jaha koi khud ko garib na samje, aur ek dusre ki
tarkki par.. apne khud ke jeevan ko na tarashe..
Hume toh aisa desh chahiye, jaha har insaan ka man nidar ho, aur jaha ram ke
jay jaykaar ke baad, unke saath khadi sita maaiya ka bhi aadar ho..
Ek saath milke jallosh aur aanand jayej hai.. lekin saal ke baki mahino me kabhi
to ek dusare ki puch tach kiya karo..?
Desh bhakti, patriotism, ye har nayi pidhi ko sikhana padta hai.. duniya me kai aise
desh hai jaha syllabus me padhana padta hai.. Lekinnn humari baat kuch alag hai..
humari mitti me jiska janam ho gaya, uska rom rom Vande Mataram ho gayaa…
4. Vande Mataram..

You might also like