You are on page 1of 2

ISLANVAS

TAKBEER-E-TASHREEQ
NEECHE LIKHI HUWITASBEEH KO HAR FARZ NAMAAZ KE BAAD HARBAALIG MUSALMAAN
MARD WA AURAT PAR EK MARTABA PARHNA WAAJIB HAI, ZIL-HIJJA KE 9 TAREEKH SE LE KAR
ZIL-HIJJA KE 13 TAREEKHTAK PARHI JAEGI.
YAANI IS SAAL WEDNESDAY 28'" JUNE 2023 KE FAJR KINAMAZ SE LE KAR SUNDAY 2"" JULY
2023 KE ASAR KI NAMAZ TAK PARHI JAEGI.
FATWA IS PAR HAI KEH BA-JAMAAT NAMAAZ PARHNE WAALE AUR TANHA NAMAAZ PARHNE
WAALE IS ME BARABAR HAI, ISITARAH MARD WA AURAT DONO PAR BARABAR HAL. LEKIN
MASTURAAT HAZRAAT, BULAND AAWAAZ SE NA KAHE AAHISTA KAHE.

ALLAHU AKBAR ALLAHUAKBAR LAA ILAHA IL-LAL-LAAHU WAL-LAHUAKBAR


ALLAHU AKBARWA LIL-LAHIL HAMD
DUA BEFORE SLAUGHTERING THE ANIMAL

INNI WAJ-JAHTUWAJHIYA LIL-LAZI FATARAS-SAMAWATI WAL-ARDA HANEEFAW- WAMA


ANA MINAL MUSHRIKEEN. INNA SALATEE WA NUSUKEE WA MAHYAAYA WA MAMAATEE LIL
LAAHIRABBIL AALAMEEN. LAA SHAREEKA LAHU WA BIZAALIKA UMIRTU WA ANA AW-WALUL
MUSLIMEEN. ALLAHUMMAMINKA WA LAKA.
YE DUA PARHNE KE BAAD- BISMILLAHIALLAHU AKBAR KAH KAR ZABAH KARE. (AUR DUA
YAAD NA HONE KI SOORAT ME SIRF BISMILLAHIALLAHU AKBAR KAHNA KAAFI HAI.)
DUA AFTERSLAUGHTERING THE ANIMAL
ALLAHUMMA TAQAB-BALHU MIN-NEE WA MIN (naam yahan par liya jaae) KAMA TAQAB
BALTA MIN HABEEBIKA MUHAMMADIW-WA KHALEELIKA IBRAHEEMA ALAIHIMAS-SALAAM.
NOTE: ZABAH KARNE KE BAAD KI DUAPARHNE ME YE BAAT KHAYAAL RAKHE KEH AGAR
ZABAHKARNE WAALA KHUD BHIUS JAANWAR MESHAREEK HAITO WO ( MINNI) KAHE
GA AUR YE KAHNE KE BAAD JO L0GUS ME SHAREEK HAI UN KA NAAM(ÓWA MIN) KAH
KAR LE GA, AGAR WO US JAANWAR ME SHAREEK NAHI HAITAB WO (MINNI) KIJAGA
(ÜeMIN) KAH KAR UN LOGOKA NAAM LE JO US JAANWAR ME SHAREEKHAI.
QURBAANI KE JAANWAR KE BAARE ME CHAND MASAAIL
1. Jis jaanwar ki paidaish hi se seengh na ho, ya seengh thi lekin toot gai, to uski Qurbani
jaaiz hai, kiyun keh seengh se jaanwar ka koi maqsood aur faeda hasil nahi, lekin agar
seengh is tarah tootikeh magz dimaag tak pahunch gaito phir us kiQurbani durust nahi.
2. Langre, kaane aur andhe jaanwar kiQurbani durust nahi. Lekin agar itna langra ho keh
paer ko zameen par tek laga kar us par kuch sahara de kar chal sakta hai to us ki
Qurbanidurust hai.lsi tarah aankh ki roshni aadha ya us se kam hai to Qurbanijaaiz
nahi.
3. Agar kaan mukammal maujood ho aur lambaaime chira huwa hai to us ki Qurbani
durust hai. Aur agar ek tihai se ziyada kata huwa hai to us ki Qurbani durust nahi, lekin
agar ek tihaiya us se kam kati huwi hai to us ki Qurbani durust hai.
4. Chote jaanwar jaise bakri, bherdi (sheep) wagera ka ek than na ho ya kharaab ho gaya
ho to uski Qurbanidurust nahi. Aur bare jaanwar jaise gaaye (cow) bhainsi,
oontni
(camel) wagera ka do than ya us se ziyada na ho ya kharaab ho to us ki Qurbani durust
nahi.
5. Jis jaanwar ki dum (pooch) tihai hissa se ziyada kata huwa hai to us ki Qurbani karna
durust nahi aur agar tihai hissa ya us se kam kati ho to us ki Qurbani durust hai.
6. Qurbani ke liye jaanwar ko zameen par giraya gaya jis se us ki taang toot
gai ya aankh
phoot gai to us ki Qurbani kar di jaaye, Qurbani ke liye giraane se agar aesaaeb
(nuqsaan) paeda ho jaae to us se qurbaani me kharabi nahi aati.
7. Jaanwar ko zabah karne se pahle chaarah khilae, paani pilaae, bhooka
makrooh hai.
piyaasa rakhna
8. Zabah ki jagah me le jaane ke wagt ghaseet kar le jaana makrooh hai.
9. Aasani se giraae, be-wajah sakhti kaarna makrooh hai.
10. Qiblah rukh baaye (left) karwat litaae (ke jaan ba aasani nikle) is ke khilaaf karna
makrooh hai.
11.Chaar paero me se teen baandhe.
12.Choori tez rakhe, be-dhaar choorise zabah karna makrooh hai.
13.Chooritez karna ho, to jaanwar se chup kar kare, jaanwar ke saamne tez karna
makrooh hai.
14.Jaanwar ko letaane se pahle choori tez kar le, baad me tez karna makrooh hai.
15.Ek jaanwar ko doosre jaanwar ke saamne zabah karna makrooh hai.
16.Letaane ke baad fawran zabah kare, be-faeda der karna makrooh hai.
17.Sakhti se zabah na kare keh sar alag ho jaae.
18.Gardan ke upar se zabah karna makrooh aur mana' hai, kiyun keh us me jaanwar ko
zaroorat se ziyaada takleef dena hai.
19.Zabah karne ke baad jaanwar ke sard(thanda)hone se pahle gardan alag na kare aur
hi chamra utaare is liye keh ye makrooh hai. na
20.Qurbani ki jaanwar ke gosht kO saat his-sa me tagseem karne ke wagt scale se naap kar
barabar his-sa lagaana zaroorihai.
Note: Halaal jaanwaro me bhi saat (7) cheeze haraam hai [sharam gah, peshab ki thayli,
gadood, haraam magz (spinal cord), khusiatain (dono ande), pitta, behta huwa khoon.

You might also like