You are on page 1of 12

Time Bomb !!

Scene-1:
(Home)
(Light Comedy music)

Narration:

Hare Krishna !! Youth Ashraya is Naba Barsh ke aagman ke shubh avsar par aapke liye lekar aaya
hai, ek aur tadkila, bhadkila, dadhakti aur babhakti natika….”Time Bomb!!”
Ji haan bilkul sahi suna hai aapne….”Time Bomb”....

Aare, time bomb se yaad aaya, aaj ki is bhag daud ki zindagi mein time milpana utna hi durlabh
hai jitna is Delhi k sahar mein saaf hawa !!

Aur is instant maggie life mein agar koi dusre k liye waqt niakl diya tab to wo koi Devta hi hoga
🙂
Kher, bina aur waqt jaya kiye aaj ham chalte hain South Delhi, Saket, Chauhan parivar mein. Aise
to Sriman Dinanath Chauhan service mein DMRC worker safety division ke supervisor hain, par
anushasan mein sayad China ki army bhi inse piche rah jay.

Land Lady:
Aare oo Savitri, apne chore ko mana kar, store room ke deewaron pe drawing na kare….6 saal pehle
hi to chunwaya tha, yaad hai ki nahin tujhe ?

(Yeh hai Phulan Devi, Chauhan parivar ki Land Lady.


Jaise Hridaya mein virajman Parmatma, sab jivatmaon ko samajhte hain, waise hi Phulan devi apni
ghar ki ek ek int aur Diwaron pe lagi paint ki sthiti ko bhaamp leti hai, wo bhi teesre mohle se !!)

Savitri:
Ji…ji Kaki…mein rokti hun use abhi k abhi…
pata nahin aaj subhe kiska chehra dekh liya…
(thinks for while) haan…haan …
kale jamun ke ped ke bagal mein kale kutte ko sote hua dekh liya tha….tabhi to…!!

(Ye hain inki dharam patni Sri Savitri Chauhan. Ghar k saath saath beauty parlour bhi chalati
hai. Vastu sashtra, jadu tona aur andhviswas mein inko utni hi astha aur sradha hai jitna Arjun
ko Bhagwaan Shree Krishna ke rath chalane par !!)

Chintu…Chintu…band kar apna wall painting ki practice store room pe….Kaki ko pata chal gaya !!
Aafat ki Pudia…Chal ja yahan se…

Chintu: Aafat ki pudia !! Kalakar ki to koi kadar hi nahin is ghar pe.. Ek din is budhiya aur iske ghar ko
Rajnikanth wali phoonk se uda dunga…(to Lila, snatching her biscuit angrily) Ae.. moti kitna khaegi ?
Aghasur kahini ?

(Yeh hai ghar ke nawab Chintu Master. Tisri kaksha mein hai, aur inki teesri aankh hamesha khuli
rehti hai. Padhai ka pata nahin par Bollywood aur cricket k current affairs mein ek UPSC
candidate bhi piche rah jaye.)

Lila: (to Chintu) Hmm waise v ye high cholestrol ka tha…le khale sab kahle…( making a reel )

(At last but not the least, ye hain papa ki pari, papa ki chahiti, Lila Chauhan, sorry Miss Lila
Chauhaan, very talented and fashionable. Apni mummy ki parlour mein most frequently visiting
client 🙂. Is nanhi pari ko bas ek hi grahan laga hai aur wo hai iska stage fear…!!)
Dinanath Chauhan ek adarsh parivarik vyakti tha…Usko jindegi mein bas 2 cheeson se pyaar
tha…ek hai uske bachche aur dusra discipline….par ye dono kabhi ek naa ho paaye !! ).

(In the meantime children start making formations ready)

(Dance and music : Dangal song, Baapu sehat k liye Hanikarak hai !!)

DC: Lila, Chintu chalo haath jodo…


(Savitri, doing prayers, om jai jagdish hare…)
(After the prayers children bow down and take blessings of parents)
Savitri gives them prasad, packs tiffin ( of children and DC ).
All at the dining table, DC says “Waah kya biriyani bani hai….laajawaab !!”
An ideal goody goody home sweet home !! (All characters freeze on stage)

(Lord Krishna entry, Shuklam Varadaram Vishnu song)

Lord Krishna:
(Stares at smiling faces of all characters on stage for a while )
Kitna badhiya hai naa ?? Sab acha chal raha hai…an ideal 9 to 5 govt job, sundar si patni, agyankari
bache, jimmedar mata pita….waah….ye bhautik jeevan bhi na… kabhi kabhi kitna anandmay hota hai
!! sab sahi aur acha chal raha hai…mazaa aa raha na ? aa raha hai ki nahin ? bolo bolo….

Par….mujhe maza nahin aa raha hai…


Anand … aur wo bhi is bhautik jagat mein……
Aare hamare sath kabhi chalo phir pata chalega ki Anand ki sahi paribhasha kya hai? Zindegi me
agar sab sahi chalne laga to mere chaoukhat pe kab aaoge ?

Chalo…kuch twist ho jaaye !!

Scene-2
(ON BACKSTAGE)
(tense background music)

Narration:

(Someone screaming) Aare…aare….roko roko machine ko roko…Birju ka hath phas gaya…..Bechara


Birju, kitna tadap raha hai, ab kya hoga, kitna sara khoon bah gaya, jaldi se ambulance ko bulao,
Kahan hai safety supervisor…? Kon hai safety manager ? Kahan hai Dinanath Chauhan ?
Kya hamari jaan ke koi kimat nahin ?
Ham hadtaal kaenge…(everyone) haan haan ham hadtaal karenge…
Jab tak hamein nyay, muaavaza nahin milti aur Dinanath ko suspend nahin kiya jata, ham kaam nahin
karenge.(everyone) haan haan ham nahin karenge…
Scene-3
(Home, at dining table)
Narration:
Ab Dinanath ko 6 mahine ho gaye suspension mein ghar par baithe,
upar se ek jaanch committee bithai jati hai investigation k liye,
jis job k liye usne din raat ek kar di thi…ab wo uske haath se phisalte jaa rahi hai

Aur upar se ye mehangayi, bachon ke demands, bhangda karti Land Lady aur to aaj ye din bhi
dekhna tha !!

(tense background music)

Savitri: (talking to herself) Ghar ka sara kaam karo, khana banao, bacho ke homework solve karo,
parlour mein customer ka jik jik….nahin hota mujh se ye sab,
(talking to DC) kaha tha us din…. meri baayin aakh phadak rahi hai, thoda dahi chini kha ke office
jaao, magar nahin, mera kon sunta hai yahan…thode bahat padh likh kar sarkari job kya laga di, meri
baat ki koi value hi nahin, ab bhugto..

DC: Savitri, wo koi mauli exam nahin tha, din raat ek kar li thi maine….tab jake supervisor bana
tha….15 saal hogaye…aaj tak aisa kabhi nahin hua tha….un workers ko safety instruction samjhaya
tha, manual bhi diya tha…..par wo to saandh jaise bhid gaye machinary ka saath…meri kya galti thi
ismein…hmm..tum aur tumhare ye andh viswas…

Savitri: Haan haan….ab to meri saari baat chubhegi tumhe, haay shaadi ke mandap par hi maine
kale billi ko lal rang ke kursi par dekh liya tha…pata tha ye aadmi mere layaak nahin hai

DC: Karlo dusri saadi

Chintu: Haan Papa, aap bhi karlo, mujhe nayi mummy chahiye

Savitri: (twitches his ear), kya bola..jara phir se bol…jaisa baap waisa beta, dono naalayak

(pin drop silence, DC is hurt, stops eating and leaves home, Savitri keeps calling him, starts weeping
on the dining table)

(Lord Krishna entry, Shuklam Varadaram Vishnu song)

Lord Krishna:

Ch…Ch…Ch…Dukhalayam asaswatam….ye duniya dukhon ka bhandaar hai, jo bhi thodi bahat


khushi milti hai wo to kshanik hi hoti hai…ab kon ise inko samjhaye…?
Arjun ki baat hi kuch aur thi, turant hi smajh gaya, par aap logon ko samaya khan Gita padh ne k
liye..?
Mere ek priya senapati bhakt Prabhupad ke akath prayas se aaj wo sandesh har jagah har bhasha
mein uplabdh hai….
Par….amazon web service, reels, netflix se phursat mile tab na……
Kher mere bhakt to prayas karte rahenge….ab dekhna hai aap kitne samajhdar ho ?
Scene-4
(Market)
(market noise music)

(Devotees distributing on street)

One person eating momos, DC sitting nearby depressed….devotee approached…if he would like to
take

P1: Nahin chahiye…


Devotee : Aare prabhu, do plate momos ke paise se bhi kam mein aa jaegi ye pustak, aur ye
hamesha aapke sath rahegi

P1: Pandit ji aap to matthe hi chadh gaye, khane v nahin dete aap log, nahin chahiye bola na..jaaiye
yahan se..

Devotee : Aaare ye Gita life ka manual hai, ek khushaal jindegi kaise bitani hai, bina ise padhe aap
nahin jan sakte. Manual to jaruri hota hai, DMRC mein accident hua tha, yaad hai na ?
(shocking background music, short 2 second duration)

(DC is shocked to hear this, now becomes interested in the discussion)

P1: wo kya hai na….ham is mahan manual k layak nahin hai….jaaiye koi dusre ko dijiye….hmm !!

Devotee : Thik hai, Hare Krishna…(starts to leave)

DC: Aare Panditji, rukiye rukiye….kya kaha aapne? Ye manual hai..?

Devotee: ji haan, koi v page khol ke padhiye, lagega mano kebal aap k liye hi likha gaya ho..

DC: Thik hai, Kitne ki hai ye ?

Devotee: 230 rupees, kya palta palta ke dekh rahe hain, ye BBT ke pustak hai, Los Angeles mein
print hoke aate hain, price printed nahi rehta is pe, bharosa kijiye ham pe

DC: PhonePe ?

Devotee : ji, aapka number bhi dijiye, aur ye thoda sa prasad mandir ki aur se

DC: Dhanyawaad

P1: Aare pandit ji, aur ek packet hai kya ?

Devotee: ji, lijiye

P1: chalo thoda daan punya ham bhi kar lete hain, ye lijiye 51 rupaye…..

Devotee : Dhanyabaad, ye lijiye, ek choti si bhent (gives him a small book )

P1: Nahin…padhne ko mat boliye….bas….gyan hamare rago rago mein bah raha hai,,,, 🙂
Scene-5
(Home)
Narration:

Dinanath ab bo pustak lekar aaya parantu bina kisi ko dikhaye ek trunk mein rakh diya.
Wo bhakt ne ek do baar call karke madir bhi amantrit kiye par Dinanath apne jaanch committee
ke karyon mein byast rah gaya, aur wo pustak aisi hi mahino tak pada raha..(stage set up delay
expected)

Lila: Maa, Maa, wo mere do designer jhumke kidhar gaye ? Aaj program hai school mein…dance
practice to karli par pata nahin, dar sa lag raha hai, sab log jab mujhe dekh rahe honge tab stage pe
kaise karun? All is well..ALL IS WELL !! (looking at trunk) Is mein dekhti hun..
(opens the trunk, and finds Gita)
(happy music, discovered something amazing)

Aare ye brand new book, wo bhi Gita…pata nahin kab se padi hai yahan pe ?
Khol ke dekhti huni…
Wow..kya colourful pics hai, (smells) hmmm…new book ki smell..
Aaj tak kabhi khol k nahin dekhi, let's explore it..
(flips some pages and finds 4.10)

Wow…prema, love… for Krishna, what if I can dance with Krishna !!


(jo hai albela mad neno wala song)
(After dance scene)

(happy music, discovered something amazing)


Wow…amazing….that was cool !! Rohan k sath salsa ya Duet to kuch bhi nahi iske samne !! Kabhi
ye angle se socha nahin tha…!!
Ab samajh mein aaya, ye Hare Krishna wale aise paglon jaise, bina koi laaj saram ke kaise public
mein naach lete hain, awesome !! Thoda aur dekhti hun ismein aur kya likha hai..
(Lila continues to read for 10 seconds)

(Savitri Devi entry)


Savitri: Aare tujhe tere jhumke mile kya…? Lila….tu ye kya….tu Gita padh rahi hai ?
Aare Karamjalee, tune kaise is pavitra granth ko touch kar liya wo bhi bina snan kiye, ye granth ko
mandir ghar mein laal kapde mein baandh k rakha jaata hai, padhne se ghar mein Mahabharat hoti
hai, aur aaj to Sanibaar hai, sani bhagwaan kya sochenge ? unke prakop ko kaise sahungi ? ghar ke
haalat kam the kya ?

(In the meantime, Lila is continuing to read the book, not being affected by the scoldings, blissful
expression on the face and finds something interesting now)

Lila: Maa, tum to aise hi tension le rahi ho, ye dekho kya likha hai ismein…
(Reads Gita mahatmya-1,-2, 18.66)

Savitri: Ye sab to thik hai, par agar ye sari baat galat hui to ? Kon iska guarantee lega ?
Lila : Aaare maa, maa, maa khud param bhagwaan guarantee de rahe hain, sani dev ji ghussa kyun
honge..? Ye gyan guru sishya parampara se aa rahi hai…dekho…yahan
(shows the guru sishya parampara page, savitri reads for a while)

Savitri: Aare wah…kabhi socha nahin tha…ki bhagwaan kuch aisa bolenge…(thinks for a
while)….waise galti meri hi hai, kabhi aaj tak padha hi nahin, mein v kitni darpok thi….jiti rahe meri
beti….I am proud of you…

(both embrace each other)

Lord Krishna entry


(Shuklam Varadaram Vishnu)

Lord Krishna: Kyun bhakton? Kaisa laga mera ye twist ? Aare….aise hi kuch lilaon k liye hi to main
famous hun … :-) Mere bhakt Gita lekar aapke dwar tak pahancha to denge par, usko sweekar karna,
usko padhna, aapki jimmedari hai,

Yahi hai asli sukh aur anand ki paribhasha


Chut jaegi Netflix aur roadside momos ki abhilasha

Kaisa bhi ho office ki boss, ya ghar mein bache ya ardhangini….


Khushiyan badhegi din dugni aur raat chauguni…

Scene-6
(Market)
Narration:
(Motivational / inspirational background music)

Dinanath ne us din ek kya pustak li, ghar mein to kranti aa gayi, Lila abhi pehle se jyada confident
thi, Savitri ko to jaisa Gita padhne mein nasha sa ho gaya, Chintu Bollywood chod ke ab
Mahabharat mein interest lene laga :-) khud Dinanath ko ye sudden change achambha mein dal
diya…..usne wo bhakt to call kiya aur unse mandir mein mila … phir kya aur hona tha? Aage ka
process to aapko pata hi hai…

Bhakti Vriksh, Sunday Class, Prasadam, Mangal Aarti, mala jap bhi ab Chauhan parivaar ka hissa
ban gaya. December ka mahina aaya, marathon ka josh sab mein bhar gaya, Dinanath aur uski beti
Lila aaj karne ja rahe hain unka pehla Granth Vitran….ab dekhna ye hai ki unki ye romanch kari
yatra kaise suru hoti hai ….

(market noise music)

DC: Lila, sarmane ka nahin rukne ka nahin, darar dalna hai, strike rate is 100%, ham koi galat kaam
nahin kar rahe hain, confidence…confidence…unke aakhon mein dekh kar bolo aur kaho…..

Lila: Papa dekho koi aa raha hai is taraf..

DC: tries to go near, but person walked away


Lila: Papa, kuch bolo..jaldi (man goes away)

DC:(smiles and looks at Lila)


Wo baat kar raha tha phone pe..

Lila: Bholenath market metro se left mein aata hai ya right pe ?


DC: Don't doubt direction..!! Ham log sahi track pe hain

(someone comes)

DC: (Stammers)...Hare Krishna, 250$, Gita jayanti, ISKCON gita, Bhagvat Delhi….

(P1, person did not understand)

Lila: matlab, ki Gita Jyanti k subh awsar pe ham aap k liye liye laen hain Sampurna Bhaktivedanta
Gita, Kya aap ekbaar dekhna chahenge ?

(P1, person ignores, P2 with headphone does not even look at them)

Both wait for some time, then they see SBI credit card sellers in proper formals speaking with MBA
tone !!

Salesman :
Ladies and gentlemen, one stop solution to all purchase expenditure anxiety, kabhi v kahin v or jitna
chaho utna bhi !!
(both father and daughter got mesmerised to see them speak)

DC : Ye hai presentation soft skill, kahan se llaye yei ?


Salesman: Aare bhai sahab, us taraf jao, shiva market, ho sake kuch dharmic client aapko udhar mil
jaae.

Lila: Papa chalo…ye to acha hua ki hamein sahi direction to pata chala book distribution k liye !!

DC: Haan…ye sahi baat hai( and laugh)


(they both showed one by one to all but one soul who was running airport, stopped by to their
surprise and said with gratitude saying…” Aare mein to isi book ko dhund raha tha…!! Pls pack one “

Both became extremely happy….DC called up prabhujji

DC: (on phone) Prabhuji…!!! Khata khul gaya, Ek Gita ho gaya….Jai Srila Prabhupad !! ok ok thik
hai…thank you so much prabhuji, aaj 20 karne se pehle ham ghar nahin jaenge….

Lila : 20 !! wo v 1st day?

DC: Haan 20, dekha tumne dekha, agar aaj ham yahan nahin hote ye aise hi bina Gita liye airport
chala jata….

Chintu also joins them..

Chintu at the table : (to someone who did not take) Aee mudha, narak mein talega tu, mand sumanda
mattayo…
DC: are nahin.. Nahin… aise nahin, hamein ek positive note k sath discussion end karna hia, ok beta?

Chintu: ji Papa

DC: Good boy..

Landlady: Ae Dinanath, pure duniya ko baant raha hai, mujhe hi nahin diya ab tak, la de ?

Chintu: 230$

Landlady: Aur bina cover ka kitna ?

Chintu: 230$

Lila : Aap bina paper aur cover k v leke ja sakte hain, free padega ( both kids laugh )

Landlady : Nalayokon, rakho 230$ ( and leaves)

Lila : Lijiye coming back book as Christmas gift/new year gift….lijiye lijiye

P3: Coming back ?

Lila: ji haan, har ek jivatama jo karma bandhan mein hai, usko mrityu k baad dubara aana hi padta
hai is duniya mein

P3: (thinks for a while) ohh…mein abhi aap se ye book le leta hun, agle janam mein iska payment kar
dun chalega kya ?

Lila: (Thinks for a while) thik hai….par iska kya guarantee hai ki aap manushya ke rup mein hi vapas
aaoge??

(both laugh and he P3 makes the payment)

(After a long time…DC says to wind up)

DC: Abhiv ye 7 bach gaye…aur der ho gayi bahat, pata nahin 20 ka target kaise pura karenge

Book store : Aaapke pass Gita hai?

Lila: Ji Hindi chahiye ya English ?

Book Store : Actually mera book shop hai, yahan pass mein, aapki Gita badi demand mein rehti hai,
isiliye mein chahta hun ki aapki saari copy mein kharid kar mere store par rakhun

DC: Waaah….acha sujhao hai….ye pura carton hi lelo

Book store : Nahin, abhi k liye mein 5 hi leta hun

DC: Ji bahat acha….(gives to the shop keeper, he leaves)


Haribol….Jai Srila Prabhupad

Lila : Papa dekhiye, aapke DMRC ke friend isi taraf hi aa rahe hain
DMRC Friend: Aare DC, ye kya naya business ? Was yehi karega abhi tu ? Bacho thoda samjhao
apne daddy ko…ISKCON wale tera fayda utha rahe hain, kyun kar raha hai unki service…wo bhi free
mein…

Chintu: Mudha…!! Maya Rita gyan !!

Lila: Shh…dhire bol…by the way Maya Rita nahin Maya Apahrita gyan (smiles)

Chintu: Haan wohi…

(Little serious tone background music)

DC : Ye tujhe ordinary books lag raha hai ? Aare Srila Prabhupad ji ne raat raat bhar jaag kar in
pustokon mein Bhativedata purports likhe hain jise padh kara aaj pura biswa badal reaha hai…ye to
mera soubhagya hai ki, mujhe kuch seva karne ka opportunity mila.

Chodo kis ke samne bol raha hun…well agar sudharna chahta hai to lele , ye ek aakhri copy bachi hai
mere pass.

DMRC friend: Kabhi nahin….time nahin hai mere pass


(Kinnar music)

Hinjde1(H1): aari o Pushpa, aaj kitna collection hua ?


H2: 1000 to cross hi hua ab

Lila : (to H1) kya aap Gita lenge ?

H1: haae, kitni sundar bachi hai, bhagwaan tera bhala kare (starts blessing), aur ye khajoor (to
Chintu) tera bhai hai kya re ?

(Chintu hides behind Lila)

(Picks up the gita) kitneki hai ye?

Lila: 230$

H2: Sushma tension mat le…ye…chikne k paise kab kaam mein aayega,
(Goes to DMRC friend)
ae nikal re batwa (takes money, and purchases Gita)

H1: (To the DMRC friend) tu bhi le ek, ae de re isko ek piece…

DMRC: Time nahin hai mere pass padhne k liye, kya karu ghar mein rakh ke..?

Chintu: Auntie
H1 and H2: Haeen ??
Chintu: Uncle
H1 and H2: Haeen??
Chintu: Chodo jo bhi ho app….
H1 and H2: Haan ab thik hai
Chiuntu: ye gita nahin time bomb hai, kab koi kaise ise padh lega koi nahi janta, ho sakta aap lekar
nahin padho, par kab koi dusra padh lega, kya pata?

H2: baat to munna, tune sahi kaha….samjha re DMRC ?

DMRC friend: Nahin

H1: Lagta hai ise apne style se samjhana hoga….chal re Pushpa….

(stage clear of SBI kiosk before dance)


(Dance and music : Gita to be presented as time bomb, music and dance steps from Laxmi Bomb !!
may be lyrics needs to be changed)

(all leave the stage, DC, Lila, Chintu all laughing)

DC: Pura carton khali, 20 ka ho gaya target

Chintu: Kasam se bahut maja aaya !!


Lila: Papa ham Kal v aayenge

DC: Haan Haan kyun nahin….

Lord Krishna entry


(Shuklam Varadaram Vishnu)

Lord Krishna:

Ab koi itna prayas agar mere vani ke prachar k liye karega, to kya mein usko aise hi khali haath jaane
dunga ? To phir mere bhakt vatsal hone ka kya matlab ? Now everything will be back to normal..sab
kuch ab hoga pehle jaisa…par Bhakti ke sath..:-) Kyun ? Kaisa laga mera twist ?
Scene-7
(House)
(Phone ringing background music)

DC: (DC chanting, phone rings, picks up the cal) Hello !!

DMRC: Am I speaking to Mr. Dinanath Chauhaan ?

DC: Ji, aap kon ?

DMRC: Mein hun Praveen Parekh, senior executive, Barakhamba road, DMRC

DC: Yes sir..

DMRC: Jaanch committe k report ke anusar, aap innocent hai, isliye aap next month se office join kar
sakte hain

(happy bg music)

DC: Kya….

DMRC: Hello..

DC: Yes Yes..sir!!

DMRC: Congratulations….mujhe aap pehchane kya ?

DC: Ji…no sir…

DMRC: Yaad nahin, pichle hafte hi to maine aap se ek Gita liya tha, tab jan bujhkar maine apni
identity chupai thi aap se…I read it…its a good book…good work, hamein aap jaise nagrik aur
chahiye samaj mein…keep up the good work.

DC: Thank you so much sir( almost on the verge of crying), aare Lila, Chintu, Savitri….mere khilaaf
saara case withdraw ho gaya, ab ek saal ke baad mein dubara office ja sakta hun..

Chintu and Lila : Jai Srila Prabhupad !!

Savitri: (also about to cry) sach….he giridhari, he Shaam Sundar, lakh lakh sukar hai tera…
Pata tha mujhe, kuch good news milne wala hai….par itna good ye nahin pata tha..

Chintu: kaise maa ?

Savitri : aaj subhe hi ek neule ko bagiche mein dekha tha…isi liye…

(All laugh together)

You might also like