You are on page 1of 2

Soodi Banking

Islam ek complete code of life hai. Insaani zindagi saare departments ke


liye yaha rehnumai aur Guidence mojood hai. Islam ne har ek ke haq
huqooq bhi muqarra kiye hain. Isi me ek haq hai Bando ka haq. Yeh haq
itna azeem hai ki baaz dafa ham dekhte hain Allah ne apne haq se aage
isko rakha hai. Kyunki Allah to apna haq ma’af kar sakta hai woh Gafoor
aur Raheem hai. Lekin bande jab tak apne haq ko ma’af na kare to Allah
bhi ma’af nahi karta.

Huqooqul Ibad me ek haq maal ka bhi hai. To Musalmano ko hukm hai


aapas me Tijarat aur Sahi tareeqe se maal kamao aur khao lekin kisi ka
maal na haq aur galat raaste se na lo.

Na haq maal ka len den me Soodi aur Interest based Business bhi aata
hai. Sood aur Interest ke zariye se kamaya gaya maal halal nahi hai.

Magar aaj aksar karobar isi bunyad per khade hain. Bank ka poora
nizam isi ke sahare chalta hai. Yeh system kai saari problems ki bhi
wajah banta hai. Globally aur Gharelu pemane per kaafi diqqat ka
saamna logo ko karna padta hai.

Yeh System kya hai? Islam me is field ke baare me kya rehnumai kaise
ham apne aapko is galat tareeqe se bachaye aaj isi mudde per baat
karenge apne panelists hazrat ke sath

Questions
1. Banking kya hai aur banks ka kya kaam hai?
2. Islam sood aur soodi karobar ke baare me kya kehta hai?
Soodi Banking

3. Hadees – Har koi sood ka kuch hissa to payega ka mafhoom kya


hai?
4. Soodi banking ka kya nuqsan hai ya kya nuqsan hua hai?
5. Bank ki service lena kaisa hai?
6. Bank se bachne ke kya tareeqe ho sakte hain?
7. MBA aur Business ki padhayi kar sakte hain? Jabki sab ka talluq
sood se ho jaata hai?
8. Bank ke Sood ke paiso ka kya kare?
9. Islamic banking ka nazariya kasia hai?
10. Modern Era me Non-Intrest Banking mojood hai?

Comments

1. 2008 me RBI Ex Governer R G Rajan ne Interest Free bank banane


ka mashwara diya tha
2. Famous Economist R G Rajan Islamic Bank ke haq me the
3. Mr. Rajan ke recommendation ko NDA Gov ne thukra diya
4. 2019 me Islamic banking ke total assets 1.99 trillion dollars the.
5. Islamic banking ki maang badhti ja rahi hai
6. Sood ka Nizam samaj ko nuqsan dene wala hai
7. Aaj ke dor me Non-Intrest banking taraqqi per hai
8. Hame Soodi Banks se bachna chahiye
9. Inflation ki badi wajah Soodi system bhi hai
10. Soodi Nizam gareeb ko had darja gareeb karne wala hai

You might also like