You are on page 1of 2

Share market

Share market Paise kamane ka bahut bada zariya banta ja rah hai,
hamara youth group is silsile me bahut aage hai. Is market ke Heroes ki
history se bahut zyada asar is generation per pada. Jiski wajah se is
taraf jaane walo ki ek lambi line hame nazar aati hai.

Islam hame kamane se nahi rokta. Balki haram tareeqe se kamane se


rokta hai. Halal kamai ka jo bhi tareeqa ho us per Islam ne ajr bhi rakha
hai.

Aaj kamai ke jo naye raaste aaye hain, jisme kaafi aasaniya aur profits
bhi hai is taraf hamme ke bahut se log bhaage ja rahe hain, bagair yeh
jaane aur samjhe ki yeh tareeqa sahi hai ya nahi.

Peso ki chamak ne logo se unki binayi cheen li hai, Paiso ki chaah ne


uska fitri zaiqa hi change kar diya, maal ki hawas me dunya ki taraf
mukammal tareeqe se maa’ail ho gaye.

Inhi sab New Way of Business and marketing me se ek raasta hai Share
market ka.

Ham jaante hain ki yeh tareeqa kis had tak sahi hai, aur isme kya kamiya
ya khamiya hain, agar yeh sahi nahi to iska hamare pas ulternate kya
hai.

Questions
1. Share Market kya hai?
2. Islam Share market ki ijazat deta hai?
3. Share market ko Juwa bhi kaha jaata hai woh kaise?
4. Sharemarket me dhoka hai, iski wazahat farmaye
Share market

5. Share Market ki Haram Shakle kya kya ho sakti hain?


6. Share Market ki Halal Shakle kya hain?
7. Kuch Mash-hoor Companies jinke share lena sahi ya Galat hai?
8. Youth ke liye naseehat jo is taraf aankh band karke ja rahe hain?

Comments

1. Islam ne hame tijarat ke principles aur Usool sikhaye hain


2. Islam me Short Selling jaiz nahi hai
3. Juwa ko Qur’an me Haram qarar diya gaya
4. Koi cheez Qabze me nahi to use becha nahi ja sakta
5. Jiska Description Clear na ho uski selling jaiz nahi
6. Sood aur Intrest Islam me Haram hai
7. Share market me kuch shakle Haram aur Kuch Halal hain
8. Share market me log kaafi intrest dikha rahe hain
9. Haram Companies ke share nahi liye ja sakte

Dow jones Islamic Market Index

jamesrobertson.pdf

You might also like