You are on page 1of 4

Dwigrah yog

Surya aur Chandra yuti---

ek saath hai to woh aadmi stri ke aadhin rehnewala hai.

paap karm karnewala hota hai

apni kriya mein nischay kaarya karega

dradh rahega

selfish hote hai

Surya mangal yuti ---

angarak yog banta hai vivah mein vilambh hota hai

ladka hoga to ark vivah karvaaya jaata hai

ladki hoti hai to kumbh ke saath bhagwaan vishnu ke saath vivah karvaaya jaata hai

vyakti tejasvi hota hai

thoda sa hinsak bhi hota hai

balwaan vyakti hota hai

tenichal vyakti hote hai

Surya budh yuti ---

budh aaditya yog kehte hai

bahut accha fal milta hai

jatak vidwaan hota hai

shresth hota hai aur bade logo se samman milta hai

atithi ki seva karta hai

madhurbhaashi hota hai

jatak yashashwi bhi hota hai aur dhani bhi hota hai

surya guru yuti ---

accha fal milta hai

samman milta hai har jagah se

famous hoga paramparik dhani hoga

mitra bhi acchey milte hai aur scholar aur famous hote hai

surya sukra yuti ---

uski body mein kahi na kahi lagne ke sign honge


surya nich ka hoga to jatak ko jail mein jaana padega

surya aur shukra saath ho to actor ban sakta hai

ankhon mein tej kam hota hai

females se adhik attract hote hai

opposite gender se bahut laabh hoga

surya shani yuti ----

vish yog banta hai

har kaam mein mushkil hote hai

positive bhi hoge to bhi negative he soch aati hai

karyshil hota hai

old age ki tarah baat karnewala

mentally disturb hota hai

unke putra ya unki stri jaldi mrityu hoti hai

CHANDRA KI DWIGRAH YUTI

Chandra mangal yuti

usko raktvikaar hote hai

ladne mein maahir hota hai

land related, leather ya koi bhi metal ka vyvasaay karein ya to shilpkaar ban sakte
hai

chandra budh yuti

stri ke aadhin rethe hai

bahut acchey kavi aur dhanwaan hote hai

gaane bajaanemein bahut acchey hote hai

spritual aur hasmukh hote hai

dev brahmano ka poojak aur dhanwaan hota hai

premi swabhav hota hai nature bahut accha hota hai

chandra shukra yuti

marketing wala hoga

shuddh vyavhaar wala


jhagda karne mein active rehte hai

acchey vastra pehnta hai aur rajsik gun hote hai

chandra shani yuti ---

vishyog hota hai

chandra ketu se grahan yog hota hai

chandra rahu se bhi grahan yog hota hai

vehicles aur dhan accha hota hai

jatak ka swabhav accha nahi hota

vrudh stri se ya apne se bade se affair ya vivah karta hai

parstrigaami hote hai

Mangal yuti

Mangal budh yuti

nirdhan vyakti hota hai .

affairs widow se hote hai aur vivah bhi karte hai

sona chandi ya metal se he vyvasaay karta hai usi se uski life acchi chalti hai

mangal guru yuti

medhavi vyakti hota hai

chitrakala hoti hai

dusron ki baat sunnewala hota hai.

apne group ka leader hota hai

magal shukra yuti

jyotishi ho sakta hai

mathematics accha hota hai

accountant bhi ho sakte hai aur sattebaaj bhi hote hai.

respected personality hoti hai

Mangal aur shani yuti

jis jaatak ki kundli mein yah dono saath ho to baatchit mein expert hota hai.
magician jaisa ho kar logo ko ullu bhi banaata hai

apna dharm ko chhod dusre dharm ko jaate hai


bahot jhagda bhi karte hai

vish ya daaru pikar unki mrityu hoti hai

You might also like