You are on page 1of 5

Motivational Story of

Bopdev
Scene 1

Narration : Ek gurukul mein Bopdev naam ka ek chatra padta tha. Wo padai


mein thoda kamzor tha aksar wo pariksha mein vifal ho jata tha.
Scene 2
Narration : Gurudev sabhi chatron ko unka pariksha fal de rahe the
Dialogues:

• Gurudev (giving result to Bopdev) : Bopdev! Putra tum, pariksha mein punah vifal hue ho.
Tumhe thoda aur satark hone ki avashyakta hai

Bopdev depressingly takes the sheet and sits in the corner of the classroom

• Indranil : Mitra tum is tarah udas na ho, mujhe pura yakin hai ki agli pariksha mein tum avashya
hi safalta prapt karoge

• Bopdev (sad) : Nahi mitra, ab mujhe yakin ho gaya hai ki main kbhi bhi safalta prapt nahi kr
sakta. Main ab aur nahi pad sakta, Main avashya hi ek jadmati ek budhi heen chatra hu.
Scene 3

Narration : Sham ko sabhi chatra khel rahe the aur Gurudev apni puja mein leen
the, usi samay sabki nazron se chipkar kisi tarah Bopdev gurukul se bhaag gaye.

Bhagte bhagte unhe ek kuan dikhai pada. Wo thakan aur pyas ki wajah se kuch
der wahi vishram karne lage, pani pite hue unka dhyan kuen ki diwar ki taraf
gaya.

Unhone dekha ki jis rassi se pani ki Balti ko kuen se khicha ja rha h uske diwar
par lagatar ragad khane ki wajah se kuen ki diwar ke patthar par nishan pad gaya
hai. Ye dekhkar unhone socha ki yadi lagatar ragad khane se ek kapas ki rassi se
patthar pad nishan pad sakta hai to fir lagatar mehnat karne se mujhe bhi fal
awashya hi prapt hoga.

Yeh sochkar aur fir se mehnat krne ke drad nishchay ke sath Bopdev wapas
gurukul laut aye.
Scene 4
Narration :
Wapas akar unhone kadi mehnat ki aur bade hokar ek vidwan Lekhak
aur Granthakar bane. Inke dwara rachit kai doho mein se ek hai:

“Karat karat abhyas ke, jadmati hot sujan


Rasri awat jaat te, sil par padat nishan”

Is dohe ka arth hai ki lagatar parishram karne se jadmati (budhi heen)


bhi waise hi sujan (budhiman) ho jate hai. Jis prakar rasri (rassi) ke
lagatar ane jane se sil (patthar) par nishan pad jata hai.

You might also like