You are on page 1of 2

Remembering November 14th, 2007: "Raah takta sab shahr-e-jaana chalo.. .

" Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo (paa-bajaulaan - shackles on feet like a prisoner) Chashm-e-nam, jaan-e-shoriidaa kaafii nahiin Tohmat-e-ishq-e-poshiidaa kaafi nahiin Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo (chashm-e-nam : teary eyes; jaan-e-shoriidaa : distressed soul; poshiidaa : hidden) Dast-afshaan chalo, mast-o-raqsaan chalo Khaak-bar-sar chalo, khuun-baa-damaan chalo Raah taktaa hai sab shahr-e-janaa chalo Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo (dast-e-afshaan : swinging hands; mast-o-raqsaan : dancing in trance; khaak-bar-sar : kicking the dust; khuun-baadamaan : blood on sleeves; shahr-e-janaa : city of the beloved) Haakim-e-shahr bhii, majmaa-e-aam bhii Tiir-e-ilzaam bhii, sang-e-dushnaam bhii Subh-e-nashaad bhii, roz-e-nakaam bhii Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo (haakim-e-shahr : ruler of the city; majmaa-e-aam : the crowd of common people; tiir-e-ilzaam : arrow of accusation; sang-e-dushnam : the stones on road; subh-e-nashaad : the sad morning; roz-e-nakaam : the unsucessful day) In kaa damsaaz apne sivaa kaun hai Shahr-e-jaana mein ab baa-safaa kaun hai Dast-e-qaatil ke shaayaan rahaa kaun hai

(damsaaz : friend; baa-safaa : sincere; dast-e-qaatil : hands of the murderer; shaayaan : worthy) Rakht-e-dil baandh lo, dil figaaro chalo Phir hamii qatl ho aaye yaaro chalo. Aaj baazaar mein paa-bajaulaan chalo (rakht-e-dil : heart beats; dil figaaro : broken-hearted) Faiz Ahmed Faiz

You might also like