You are on page 1of 1

KARWAN-E-HAQ KI TARAF SE EHTEJAJ

THE INDEPENDENT Aur TIMES OF INDIA neyz INQUILAB ke Bamaujub


Saudio ke napaak azzam ka izhaar kiya ke RasoolAllah() ke Jasad e Athar ko
Jannat-ul-Baqui muntaqil kiya jaye.
Ahle ilm ke liye yeh ittela nayi nahi hai balke jabse Hijaaz-e-Muqaddas ki Sarzameen
par Saudi Nahinjaaro ka jaberana na-jayez khabza hua hai tab se hi yeh khabeez qaum
inhi na-paak koshisho mein masruf hai.
Dunya ne inki ghair Islami harkat ka mushahayda kiya hai. Jannat-ul-Mawla ki barbaadi,
Maidaan-e-Shuhada ke Mazaraat ki Shahdat, Jannat-ul-Baqui mein araam farma Aale
Rasool, Azwaaj e Rasool, Jaanisaraan e Rasool, Muhibbaan e Rasool Ke Mazaraat Ki
Shahadat, Gumbad-e-Khazra Par Hamla Aur Masjid e Nabawi Ke Taqaddus ki
paamaali inke karnaame hai jis par Ahle Sunnat ki taraf se sakht Ehtejaj kiya gaya.
Kuch arsay se baar-baar Media ke zariye se Aalam e Islaam ki zahen saazi ki jaa rahi hai.
Daiyish ke zarye kayi Mazaraat-e-Ambiya Aur Ajilla Sahaba-e-Kiraam wa Shuhada-e-
Islaam ke Mazaraat ki Shahadat neyz Sayyidina Kindhee (RaziallahuAnhu) ke Jasad-e-
Mubarak ki namalum muqaam par muntaqili iske baad Mahboob-e-Kibriya() Ke
Jasd-e-Athar ki muntaqili ki ittela Momineen ke Wajood ko larza kar rakh diya hai.
Saudi Haakim bila taaqeer apne ghustakhana khayaal se taeb hokar elaan kare ke wo
hargiz aisa koi aeqdaam nahi aregi jo Ghairat-e-ilahi ko jinjhod dey jiske nateeje mein
Ghazab-e-Jabbar wa Qahhaar ka shikaar hojaye.
Rasool-e-Pak Momino ki Jaan se bhi zyaada unke Maalik hai
Maalik ko Khuda na khwaasta zara si bhi Zehmath ho ya Takleef pahunche toh Ghulaam
apni aakhri Saans aur Khoon ke aakhri Khatray tak Jaano ki Baazi laga denge aur Aal-e-
Saud neyz Aal-e-Sheikh ki Hukumat aur wajud ki eeint se eeint bajadenge. -InshaAllah
.
Tarjuma: Mushrik hum par Chadd aaye hai, Jab wo Fitne ka irada karte hai hum inkaar
kardete hai. Inke majmuaa ne hamare khilaaf ek dusre ko pukaara hai, Unn baatun ke
mutabiq jo hum ne bayaan ki hai. Allah tu inko mehroom lauta Ameen.
Faqat:
Khadim ul Hadees Muhammad Ghousuddin Mahmood Farooqui.
Founder & President: Karwan-e-Haq Ahle Sunnat. Hyderabad,
Date: Wednesday 03rd Sept 2014, mutabiq 08 Zul-qaeda 1435Hijri.

You might also like