You are on page 1of 6

KABHI ALVIDA NA KEHNA

(RECREATION)
EXT.GARDEN.BENCH

Dev takes out chewing gum from his mouth rolls it around his index
finger, and is about to throw it away...

MAYA

Excuse me, excuse me please garden

Ko gandha mat keejiye, meine abhi

Abhi saaf kiya hai

DEV

Tum maali ho?

MAYA

Aapka kya lagta hai?

DEV

Mujhe toh lagta hai tum dulhan ke

Kapde churakar bhaagrahi ho. Undar

Batadu kya?

MAYA

Could you please leave me alone?

DEV

Of course...not

Tumhari shaadi undar ho rahi hai,tum

Yaha kyu baithi ho, why?

MAYA

Aapko kya taqleef hai

DEV

Directly nahi, indirectly taqleef hai

Mei maa ko taqleef hai, jitni jaldi tum

Yaha se undar jaogi, utni jaldi meri maa

Yaha se nikal sakti hai

Whilst saying this DEV walks and sits on the bench next to maya...
MAYA

AJEEB INSAAN HO, BAITH BHI GAYE

DEV

Toh phir laitkar baat karu?

Arey one to one discussion toh

Baithkar hi hota haina

MAYA

Discussion?

DEV

Hmm, mujhe maloom hai tumhe problem

Hai, c’mon talk to me tell me everything

MAYA

Mein apni problem aapke saat kyu

Discus karu?

DEV

Lekin yeh toh tair hogaya na ki problem

Hai...waise mein kisi se advice nahi leta,

Lekin doosro ko advice dene ke liye hamesha

Taiyaar rehta hoon waise bhi ajnabiyon ki

Baat sunleni chahiye, kabhi kabhi ajnabee

Apno se zyaada jaante hai

MAYA looks at DEV’s engagement ring

MAYA

Aapki shaadi hochuki hai?

DEV

Hmm, Einstein hehehe aaj poore

5 saal hojayenge

MAYA

Kya sochke shaadi ki


DEV

Soch sochkar kaun shaadi karta hai,

Just kidding...DIYA aur mein college

Se ek doosre ke dost hai, phir humne

Socha apni dosti ko ek aur naam dedete hai

Waise bhi ek dost ke saat poori zindagi

Guzaarne se behtar aur kya hosakta hai,hmm

MAYA

Kabhi kabhi dosti mohobbat ki jagah leleti hai,

Aur phir mohabbat ke liye jagah hi nahi rehti

DEV

Yea...yea, waise woh jo mandap pe baithe hai

Tumhara dost hai ya tumhari mohobbat...itna

Waqt nahi le sakti

MAYA

Rishi ko mein bachpan se jaanti hoon,

Mere ma baap ke guzar jaane ke baad,

RISHI aur uske pita hi mere pariwaar hai

DEV

“waisi mohobbat” arey waisi mohobbat kaha

Rehagayi. Arz kiya hai mohobbat ke zamane

Guzargaye janaab...mohobbat ke zamaane

Guzargaye janaab, ab chote mote pyaar se hi

Kaam chalaleke jiyega, haan...good!

MAYA

Iska matlab, aap apni beewi se mohabbat

Nahi karte?

Itna waqt nahi lesakte


DEV

‘laughs’ hum khush hai humne apni

Zindagi banali

MAYA

Yeh mere sawaal ka jawaab nahi hai

DEV

Hmm! Sawaal mere jawaab ka nahi hai,

Sawaal tumhari zindagi ka hai zindagi

Ke jis mukaammpar tum ho waha se do

Raaste hai, ek khushiya ka jo mein

Chahta hoon tumhe mile doosra intezaar ka,

Mohobbat ki intezar ko, ya hosakta hai

Zindagi bhar na mile

MAYA

Aur woh mohobbat agar mujhe shaadi ke

Baad miljaye toh?

DEV

Nahi dhoondogi, toh nahi milegi aur

Yahan bench par baithe baithe toh bilkul

Nahi milegi, andar jao aur shaadi karo baraat

Tumhara intezaar kar rahi hai aur tum yaha

Gair mard ke saat baithkar idhar udhar ki

Baatein kar rahi ho, sharam aani chahiye, log

Kya kahenge, shame on you, go now go go and get

Married go!

MAYA

It was nice talking to you


DEV

Well, i’d rather be playing football

It was a pleasure to meet you ma’am

MAYA

Maya

DEV

Dev, mera naam

Ab jaldi jao, shaadi karo aur

Khushh raho, good bye sayonara

Alvida!

MAYA

Alvida nahi, alvida kehne se phir

Milne ki umeed mar jaati hai

Kya pata, phir mile

DEV

“pichk”

They walk on opposite directions moving apart from each other.

THE END

You might also like