You are on page 1of 8

Burjoon Ke Taluqaat

Her Mard aur Aurat ke ye khwahish hoti hai wo jany ke fulan shaks mery sath
ya fulan shaksh ke sath muwafkat rakhta hai ya mukhalfat. un mai dosti rahy
ge ya dushmani. mian bewi mai mohbat rahy ge ya larai. 

Burj ke Muwafakt ya Adawat kisi be insan ke zindgi per pori tarh asar andaz hoti
hai aur us ke aany wali zindgi mai is ke boht gehray asrat perty hain. Ager
burjon ke daryman muwafakt ho tu shadi ya dosti ko ikhtayar kia jay tu behater
ho ga aur ager un main adawat ho tu dosti ya shadi ka anjam larai, alehdgi ke
sort main nikly ga. Birth date se burj maloom krnay ka tareka aur Burajon ke
detail is tarha hai,

 1:   HAMAL ( ARIES ) 20 March to 19 April


 2:   SOR ( TAURUS )  19 April to 20 May
 3:   JOZA ( GEMINI )   20 May to 21 June
 4:   SARTAN ( CANCER ) 21June to 22 July
 5:   ASAD ( LEO ) 22 July to 23 August
 6:   SUMBLA ( VIRGO ) 23 August to 22 September
 7:   MEZAN ( LIBRA ) 22 September to 23 October
 8:   AKRAB ( SCORPIO ) 23 October to 22 November
 9:   KOS ( SAGITTARIUS ) 22 November to 21 December 
10:   JADI (CAPRICORN ) 21 December to 19 January 
11:   DILO ( AQUARIUS ) 19 January to 18 February
12:   HOOT ( PISES ) 18 February to 20 March

TALY MALOOM KERNY KA TAREEKA:

Buraj ke darmyan Muwafkat ya Adawat maloom kerny ka tareka ye hai ke Aurat


ka naam aur us ke ma ke naam ke adad maloom karin pir usy 12 per divide
karin ju adad baki bachy ga wo us ka Aurat ka taly ho ga aur ager kuch baki na
bachy tu us ka burj Hot ho ga. is tarha Marad aur us ke ma ke naam ke adad
nikal kar taly maloom kia jata hai. Adad ka jadul ye hai.

For Example: Mard ka naam Ahmed aur us ke maa ka naam Anum hai. 

Ahmed ke adad: alif  = 1, bare ha = 8, mim = 40, dal = 4 


Total: 1 + 8 + 40 + 4: 53
Anum ke adad: alif  = 1, noon = 50, an = 70, mim = 40 
Total: 1 + 50 + 70 + 40: 161

Ahmed aur Anum ke total howa, 53 + 161 = 214 abb talah nikalnay ke liy
ahmed or us ki ammi ka name ke adat ko plus kia. Pir 214 ko divide kiya 12 se
to 10 bacha abb 10 wa burj jadi  ahmed ka talah howa. is tarha larki aur us ke
maa ke adad nikal ker us ka taly maloom karin pir in ke taly ke darmyan dosti
ya adawat maloom kar lain. Khaseat aur aansar ( Aag, Hawa, Mati, Pani ) ke
aitab se burjon ko is tarha takseem kiya jata hai,

AATISHI BURJ: Hamal, Asad, Kos


AABI BURJ: Hoot, Sartan, Akrab
KHAKI BURJ: Sor, Sunbula, Jadi
BAADI BURJ: Joza, Mezan, Dilo
Aaitshi aur Baadi Burjon main Muwafkat hai

Aatishi aur Khaki Burjon main Muwafkat hai

Aatishi aur Aabi Burjon main Adawat hai

Baadi aur Aatishi Burjon main Muwafkat hai

Baadi aur Aabi Burjon main Muwafkat hai

Baadi aur Khaki Burjon main Adawat hai

Khaki aur Aatishi Burjon main Muwafkat hai

Khaki aur Aabi Burjon main Muwafkat hai

Khaki aur Badi Burjon main Adwat hai


Burj Hamal: yeah pehla burj hai aur is burj ka hakim syara Marikh hai. is burj
ka ansar Aag, mubarak din Sunday, mowafik stone Yaqoot aur Hera hai. rang
zard surk, tabiat is ki shereen, jahat mashrik hai, wabal zehra, sharaf aftab, 19
darja per haboot zohal, muzakar monkalib, mansoba mah mohram ul haram
hai. is burj ke mokalat ke naam, Israfeel, Lomaeel aur Doryaeel hain. 

Burj Sor: yeah dosara burj hai aur is burj ka hakim sayra Zohra, ansar Mati,
mubarak din Friday, muwafak stone Nelam hai. rang nela, tabiyat talkh wa tazz
hai jehat jaboob khana zehra, wabal merik, sharaf kamar, monis, sabit,
mansoba mah safar al mozafar hai. is burj ke Mokilat ke naam Kalkaeel,
Romaeel aur Sarfaeel hain.

Burj Joza:  yeah burj 3rd no per ata hai. is burj ka hakim sayra Atarad, ansar
hawa, mubrak din Wednesday, muwafik stone Zamurd hai. rang bhora, safaid
mahil ba zarde, tabiyat shor, jehat magribh, wabal mushtare, sharaf ras,
mozakar zojisdin mansoob mah rabe_e_awal hai. is burj ke mokilat ke naam
Sarhamaeel, Sarktaeel aur Atkaeel hain.
Burj Sartan: yeah burj 4th no per hai aur is burj ka hakim sayara Chand, Ansar
pani, mubarak din Friday,  muwafik stone parl aur moon stone hai. rang safaid
motlaq tabiyat sheren jehat shomal, wabal zahal sharaf mushtare, haboot
merike, monis, monkalib masoob mah rabe_u_sani hai. is burk ke mokilat ke
naam Hamwakeel, Tataeel aur Amwakeel hain.

Burj Asad: yeah 5th no burj hai aur is burj ka hakim sayara Shams, mubarik din
Sunday, ansar Aag, muwafik stone Lal aur Yaquoot hai. rang zarad wa surak
tabiyat shreen jehat mashrik, wabal zahal, mozakar monkalib, masoob mah
jamade_E_awal hai. is burj ke mokilat ke naam Doryaeel, Ismaeel aur Tankfeel
hain. 
Burj Sunbola: yeah burj 6th no per ata hai aur is burj ka hakim sayara Atarad,
Ansar mati, mubarak din Wednesday, muwafik stone Pikhraj hai. rang khaki ,
bhora hai. is ke tabiyat talkh tazz, jehat janoob, wabal mushtare, sharaf atarad,
haboot zehra, monis zojisden, mansoob mah jamade_u_sani hai. is burk ke
mokilat ke naam Sarfaeel, Jibraeel aur Mehkaeel hain.

Burj Meazan: yeah burj no 7 hai aur is burj ka hakim sayara Zohra, Mubarak din
Friday, Ansar Hawa, muwafik stone Almas, Sang Dudiya hai. rang  sabaz, zard
aur safaid, kadre zarad tabiyat shor jehat magrib, wabal merike sharaf zahal
haboot aftab mozakar monkalib, mansoob mah rajab hai. is burk ke mokliat ke
naam Atkaeel, Lofaeel aur Toraeel hain.

Burj Akrab:  burj 8th no per hai aur is ka hakim sayara Marekh aur Plotu, ansar
Pani, mubarak din Tuesday, muwafak stone Pikhraj hai. rang surk tabiyat
shereen jehat shomal, haboot kamar, monis sabit mansoob mah shaban hai. is
burj ke mokilat ke naam Amwakeel, Mekaeel aur Howlaeel hain.
Burj Kos: yeah burj 9th per hai aur is ka hakim sayara Mushtrai, ansar Aag,
mubarak din Wednesday, muwafak stone Pikhraj hai. rang zard surkh nela,
tabiyat shereen jehat mashrik, wabal atarad, haboot zanab wa ras mozakar
zojisden, mah Ramdan hai. is burj ke mokilat ke naam Tankfeel, Atraeel aur
Hamzaeel hain.

Burj Jadi: yeah 10 wa burj hai aur is burj ka hakim sayara Zohal, ansar Mati,
mubarak din Saturday, muwafik stone sang-e-sulaymani hai. rang sabz,  tabiyat
talkh, wabal kamar sharaf merike haboot mushtare monis monkalib mansoob
mah shawal hai. is burj ke mokilat ke naam Mehkaeel, Izraeel aur Ahraeel hain.
Burj Dilo: yeh 11 wa burj hai aur is burj ka hakim sayara Zohal, ansar Hawa,
mubarak din Wednesday, muwafik stone Yaquoot hai. rang nela sabz, tabiyat
talkh, wabal aftab mozakar mansoob mah zekad jehat magrib hai. is burj ke
mokilat ke naam Toraeel, Hrawozaeel aur Ajmaeel hain.

Burj Hoot: yeah burj 12 wa burj hai zur burj per hakim sayara Zohal, ansar
Pani, mubarak din Friday, muwafik stone (wo stone jis main Red color ke spot
hon)  rang safaid motlaq tabiyat shreen jehat shomal, wabal haboot atarad
sharaf zehra monis zojisden masoob mah zil haj hai. is burj ke mokilat ke naam
Howlaeel, Raftmaeel aur Dardaeel hain.

You might also like