You are on page 1of 2

www.tallyclass.

com Current Assets Group YouTube – Happy learny

Chapter 63 : Current Assets Group in Tally


Current Assets ka Hindi me Matlab hota hai Chalu Sampatiya

yaha par Chalu se matlab hota hai jo Chalti Rehti hai jo Kabhi Ghat ti hai to kabhi Badhti hai.

Inshort Aisi Sabhi Sampatiya jo Chalti Rehti hai aur jo Kabhi Ghat ti hai aur Kabhi Badhti hai
wo Sabhi Current Assets Kehlati hai.

Jaise Cash Balance Jo Meri Samapti hai Aaj Meri jeb me 500 Rs. hai to Kal 100 Rs. bhi Ho
Sakte hai aur parso 1000 Rs. bhi Ho Sakte hai.

Cash Balance Aaj Kam hai to kal Jyada Bhi Ho Sakta hai
Isi Tarah Bank Balance Aaj Jyada hai to kal kam bhi ho Sakta hai.

to Aisi Sabhi Sampatiya jo Ghat ti Badhti rehti hai Wo Chalu Sampatiya Kehlati hai.

Current Assets Group me Kaun kaun Se Ledger Bante hai


To Dosto Current Assets jo hai na Wo Main Group hai isme Koi bhi Ledger banane ki jarurat
nahi hai Lekin Iske Jo Sub Group hai jo Bhi Ledger Banane hote hai usi me bante hai. to ham ye
Dekhte hai ki kaun kaun se Sub Group Current Assets ke Under Aate hai.

SR. NO. SUB GROUP NAME MAIN GROUP


1 Cash in Hand Current Assets
2 Bank Account Current Assets
3 Loan & Advances Assets Current Assets
4 Sundry Debtors Current Assets
5 Deposit Assets Current Assets
6 Stock in Hand Current Assets

to aapko jo bhi ledger banane hai wo Sub Group me banane hai Current Assets ke Group me Koi
Bhi Ledger Banane ki Jarurat nahi hai aur List me jo Samaptiya di huwi hai wo sab ke Sab aisi
Sampatiya hai jo Kabhi Badhti hai to kabhi Ghat ti hai.
www.tallyclass.com Current Assets Group YouTube – Happy learny

Current Assets Group ka Nature Kya Hota hai


Mujhe lagta hai ye to batanae ki jarurat nahi hai kyunki Is Group ke naam me hi Assets Juda
huwa hai aur ab tak jo hamne samjha hai us se bhi saaf pata chalta hai ki yaha par un sampatiyo
ki baat ho rahi hai jo hamari sampatiya hai.

to is Basis par Current Assets Group ka Nature Assets ka hota hai.

You might also like